• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?

  • Total voters
    321

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
1,949
21,617
144
Quick Recap of the Arc: After Aarav's encounter with kim Min-soo as Avinash Kim Min-soo ran away. Then Kunle got invitation from the Carnival of death (COD) to save him and for Aarav's alterior motive aarav and Yoo-Jung decided to go with him and joined them Becky and also Caroline who wanted undiscovered her father's murderer.

In carnival with Aarav and Yoo-Jung's help they clear each floor and Aarav was taking all game master out until at floor 3 they got tricked by the game master and lost becky there.

Later they are joined by another team's 2 remaining players (Mira&Daryl) and they entered the 4th floor where they got summoned into another world to complete a quest, Save this world from demon kind and from the demon king and an side quest to save both of Priestesses twin daughters(Eira&Sola). To save them Aarav made a sacred bond(Marriage by earth means) with both of daughters them and get into a physical relationship with them.

*End of recap*
 
Gurdep

Well-Known Member
2,781
3,660
144
UPDATE 1 ~
[THE TUTORIAL TOWER]

Manali
Evening ~ 04:14

*Thud*

"Ye ho gya akhri Sofa" Single Sofe ko neeche rakhte huwe 1 admi ne bola phir usi sofe per baith ker saanse drust karne laga.

"Itne me thak gye Parth? abhi to aur bhi samaan nikalna hai Truck me se" Dusre Adhik umar ke Admi ne table ko rakhte huwe hans ker kaha.

Parth: (sigh) Pata hai pata hai! Ab saans lene to ruk he sakta hu.

"Arey Manohar bhai sahib! Aram se ker lo ap kaam koi baat nahi, Ap ki bhabhi ne chaye banayi hai ye pee lo phir ker lena baki kaam" Ek aur Admi ne haath me chaye pakre kamre ke andar ate huwe kaha.

Manohar: Arrey! Ashwin main ne kab kaha aram ne kare? per Aram karne jitna kaam bhi to kare na pehle akhir paise kis kaam ke leta hai?

Ashwin: Chale koi baat nahi bacha hai abhi wo, kaam to ho jaye ga chaye pee le pehle warna ap ki bhabhi Gussa kare gi.

Ashwin ne chaye ko table per rakhi aur Manohar ko Sofe per baitha dia, Manohar ne bhi aage kuch na kaha aur chup chap chaye peene laga.

Manohar ki umar 35 saal thi uss ka apna Furniture ka kaam tha aur iss waqt wo Furniture Deliver karne aya huwa, Wiase to manohar dukan me kaam karne wale larko ko bhej deta tha lekin ye furniture us ke purane dost Ashwin ke ghar ana tha iss liye wo khud bhi saath aya tha.

Us ke saath us ki dukan me kaam karne wala larka baitha tha Parth, Kaam to karta tha per nakhre bhi bohat the aksar Manohar se us ko daant bhi sun'ni parti thi

Ashwin: Bhai sahib Aarav ko bhi andar ane ko keh dete! Bechara kab se laga huwa hai wo bhi kuch der baith jaye, us ki halat bhi mujhe kuch sahi nahi lag rahi.

Ashwin ne khirki se bahir ek Jawan larke ko October ki thand me kaam karte daikhte huwe kaha

Manohar: (Sigh) Ap ko kia lagta hai? agar use bula sakta to main kiu na bulata? use agar kahe gye bhi to wo nahi aye ga, Yahan se uss ko jaldi kaam pura ker ke dusre kaam per nikalna hai, Iss liye yahan ka kaam wo jaldi niptana chahta hai.

Manohar ne chaya ka khali cup wapis Table per rakhte huwe kaha, Us ki ankho me Mayooshi jhalakne lagi thi maano wo bebas ho is mamle me.

Ashwin: (Frowns) Per iss halat me dusra kaam? Aise agar wo kaam karta raha to wo khud ko koi bara nuksaan pohancha baithe ga.

Manohar: kia kahu Ashwin! Bechare Bache ko kis muh se kahu ke wo aram ker le Maa Bachpan me dono behan bhai aur baap ko chorr gayi, Upar se jo baap tha wo zimedariyo ko nibhane ke kabil he nahi tha, aur akhir main 2 saal pehle wo bhi duniya se chala gaya bache ke sar per 18 saal ki umar me kanwari behan ki zimedari aa gayi iss liye School chorr ker kaam per lag gaya Zindagi itna sab us bache se le ker bhi khush na huwi ke kuch arsa pehle us ki behan ki medical report me Cancer dikh gaya, Sirf stage 2 hone ki wajha se cancer curable to hai lekin paise to us me bhi lagte hai na? ab ye bacha 18 ghante lagatar alag alag jagha per kaam ker ke paise ikathe ker raha hai apni behan ke liye.

Manohar ki baat sun Ashwin ki ankho me Aarav ke liye hamdardi jhalakne lagi, wo daikhne laga kis tarha bina kisi bhi cheez ki parwah kiye 1 jawan larka mehnat ker raha hai

*****

Wanhi bahir Aarav ek ek ker ke sab cheeze truck se bahir rakhne me laga huwa tha, Aarav 20 saal ka ek jawan larka tha us ke kapre purane the use daikh ker he pata lag sakta tha ke wo theek se khana nahi khata us ki ankho ke neeche dark circle ban rahe the der raat tak kaam karne ki wajha se.

8d5f4848f855a9ad2c2a1b78d4facc82.jpg

Sab cheeze bahir rakh ker Aarav Truck se neeche utarne ke liye truck ke kinare per aa gya, Aarav neechhe utarne he laga tha jab achanak us ka paon phisal gaya us ne khud ko bachane ke liye truck ki side ko pakar lia per wahan ek ek keel nikli huwi thi jo seedhi Aarav ke haath per lagi aur us ki hatheli cheer di.

Aarav neeche girte girte bacha lekin us ke haath se khoon behne laga tha, Us ne jaldi se apne haath ki muthi band ker li aur apne dusre haath se apni jeb me rakha romal nikalne laga,Romal nikal ker Aarav ne apne haath per lapait lia.

a3dab1238b32331d2ff0dcc36c7349bf.jpg

Aarav ne dobara haath ki muthi bana li aur upar asman ki taraf daikhte huwe dard ko bardasht karne laga, October ka maheena tha aur Aarav ko mehsoos ho raha tha ke Snowfall hone wali hai.

*ring* *ring*

Abhi Aarav ko khare kuch der he huwi thi ke us ke phone per Call ane lagi Aarav ne apna keypad wala phone nikala jis ko type laga ker apas me jora huwa tha, Aarav ne screen daikhi aur thook nighal ker call attend ker li.

Aarav: Hello!

Caller: Kahan Reh gye larke? yahan hotel me customer ane shuru ho gye aur tumhara kuch pata he nahi hai, 1 ghante me mujhe tum yahan chahiye ho, warna kanhi aur daikh lena kaam.

Saamne se caller ne chilate huwe kaha jo us hotel ka malik tha jahan Aarav ne iss ke baad jana tha, Kaam se nikaalne ka sun ker Aarav ke chehre per pareshani ke bhav aa gye.

Aarav: Sorry! Main aa raha.

Caller ne jawab sun ker Call band ker di, Aarav ne ek lamba saans bhara aur dobara Chair ko uthane laga.

"Aarav" Ghar se bahir nikalte huwe Manohar ne Aarav ko awaz lagayi, Aarav ne saamne daikha to Manohar, Ashwin aur Parth teeno chalte huwe aa rahe the.

Manohar: (Frowns) Aarav ye tumhare haath per kia huwa hai?

Manohar ne aage barh Aarav ka haath pakra aur romal khol ker daikhne laga, Aarav ke haath se khoon lagatar beh raha tha Manohar ne gusse Aarav ki taraf daikha to Aarav ne apna sar jhuka lia.

Parth: Aarav Chal mere saath yanhi paas Clinic hai wahan se Dressing karwa ate hai.

Aarav: Us ki zaroorat nah....!

iss se pehle Aarav apni baat puri karta manohar ne use ghoor ke daikha to Aarav chup ker gaya, Aarav ko pata tha Manohar kabhi kisi per aise gussa nahi hota, Aarav ki use fikar thi wo Aarav ko apne bete ki tarha samajhta tha, iss liye wo Aarav per gussa ker jata tha jis ka Aarav ne bhi kabhi bura nahi mana, Waise bhi Manohar ne Aarav ki bohat madad bhi ki thi mushkil waqt me.

Manohar: Parth isse le ker ja! Aur tu fikar mat ker ye samaan hum rakh le gye Tere paise bhi nahi katu ga. Aur Aarav tere bhi nahi katu ga waise bhi tujhe jitna bhi rok lu to hotel me to jaye ga he? behtar ye he hai teri maram pati hone ke baad aram ker ke jaye

Aarav ko acha to nahi lagta tha aise Manohar se ehsaan lena per Manohar bhi apni jagha sahi tha, Parth ko saath iss liye bheja tha Manohar ne kiu ke agar akele Aarav ko bhejta to wo bina Clinic gye seedha hotel chala jata.

Paarth aur Aarav clinic ke liye nikalne lage jab achanak kale badalo ne pure Asman ko dhak lia, Tez hawa chalne lagi jo sab ke rongte khare ker rahi thi, Sab ne apne paas rakhi cheezo pakar lia.

Sab taraf shor sharaba mach gaya hawa se baraf urne lagi aur Paas ki cheeze dikhni bhi band ho gayi.

Ashwin: (Shouts) Sab ghar ki taraf chalo!

Ashwin ne chilate huwe kaha to sab ghar ki taraf bhaage, Hawaye sab ko peeche ki taraf push ker rahi thi, Sab apne gharo ki taraf bhaagna chah rahe the lekin hawa ki wajha se chalna bhi mushkil ho raha tha.

"Uncle!!!" Manohar ko peeche Aarav ki Awaz ayi

Manohar ne peeche ghoom ker daikha to Aarav ek jagha khara huwa tha, us ke gird ek circle bana huwa tha jis me peele rang ki roshni jagmagah rahi thi, sab kuch dhoondla tha per Aarav ke gird maano halki si hawa tak bhi nahi thi dheeme dheeme wo roshni aag lapto me badalne lagi.

66489e15463b2d31884c8005d1575b5d.gif

Aarav: (Scared) Uncle me hil nahi pa raha apni jagha se!

Aarav ne chilaya Manohar bina kuch soche us ki taraf bhag gaya per jaise he wo Aarav ke kareeb gaya, Un lapto ne mano Manohar ko dhaka de ker peeche gira dia ho, Tabhi Aarav ke saamne hawa me kuch likha aa gaya.

[The tutorial tower can only be entered by certain player]

Lapte Aarav ke gird lipatne lagi, Per wo Aarav ko jala nahi rahi thi, Lekin Aarav tab bhi dar raha tha kiu ke wo bilkul bhi hil nahi pa raha tha, Aarav ki ankho me ansoo aa gye.

Aarav: (Crying) Uncle! main marna nahi chahta, Uncle please mujhe nikal lo yahan se, Please!!!!!!!

Aarav ke ye akhri Lafaz the jab wo aag ek dum se bharki aur khatam ho gayi wahan bachi to tooti huwi zameen, Wahan zameen thar tharane lagi, Manohar bhaag ker wahan gaya jahan Aarav tha lekin Wahan ab kuch nahi tha.

Manohar wanhi zameen per toote pathro ke idhar udhar phenkne laaga maano wahan un pathro ke beech Aarav ko dhoond raha ho, Abhi kuch pal pehle un ke saamne Aarav khara tha Lekin ab wahan us ka namu nishan nahi tha, zameen aur zor se thar tharane lagi to Parth ne aage barh manohar ko pakar ke uthaya to Manohar us se chutne ki koshis karne laga,

Parth: Uncle! khud ko sambhaliye, hume yahan se nikalna ho ga,

Manohar: Kahan jaye! Hum Aarav ko chorr ker kanhi nahi ja rahe, Aarav meri awaz sun raha hai na tu? kahan hai tu?

Manohar ki ankhe bheeg gayi us ki awaz rondhaya gayi, Parth bhi shock me tha lekin wahan ke halat daikh ker use apne emotions side per rakh ker soch samajh ker faisle lene parne the.

Parth Manohar ko kheenchte huwe ghar ke andar le gaya, Aur darwaza lock ker dia, Manohar us se chutne ki koshis karta raha, Aur cheekhte huwe Aarav ko pukarta raha.

Manohar: Aarav!!! Aarav!!!

*****

Charo taraf gehra andhera tha kuch nazar nahi aa raha tha, un lapto me se Aarav seedha iss andhere me aa dooba tha, us ke mann me ek he sawal tha?

"Kia Main Mar Gaya Hu?"

Ye soch ker he Aarav ko khud per gussa ata ja raha tha, use ye bhi nahi pata tha ke wo kaise mara hai? wo aag na to jala rahi thi na garam thi phir wo kaise mar gaya?Aarav ye sab soch he raha tha jab uss ke saamne dobara kuch likha aa gaya

[Welcome, Player]

Aarav: [Frowns] Player ye kia hai? Aur kahan Welcome?

[You must survive in this tower while trying to go back to your world]

0996d1c99db4ef7fefc0279072712fff.jpg
****
644fd0a6b9f663661db357cc0215e686.jpg
[Name- Aarav Arya
Level- 1
Rank- F
Title- None

****

HP- 27
MP- 13
Strength- 22
Agility- 22
Endurance- 23
Stamina- 19
Intelligence- 17

(Stats Points: 0)

****

Skill- 2
[Will to live] ~ [Slash (E)]

****

[Weapon- None]

[
New Quest Available]

42ca8d6d672e8d92ae25fc1080585f50.jpg
[Quest: To complete the quest, you have to kill the orc king, The location of orc king will be given below

(Rewards)
(1) Orc king's Blood Axe
(2) 20 stats point (every party member)
(3) MVP will get Additonal 20 Stats Point
(4) You can go back to home

Time Limit: 7 Days
Quest Failure Penalty:
(Death) ☠️]

[You are now entering the Tutorial Tower]

[Good luck]
.
.
.
.
.
[To ye tha pehla update, Start hamesha mushkil hota hai iss liye iss per bohat waqt laga, Umeed hai ap logo ka pyaar is update per daikhne ko mile ga, Saath bane rahiye ga, Aur like ker ke maze ke Reviews dena mat bhuliye ga, Next Update Wednesday ki shaam ko aa jaye ga tab tak ke liye, Sayonara!!!]
NICE STORY
 
Gurdep

Well-Known Member
2,781
3,660
144
UPDATE 2 ~
[THE PROMISE]

Recap

Weapon- None]

[New Quest Available]

(2) 20 stats points (every party member)
(3) MVP will get Additonal 20 Stats Points
(4) You can go back to home

Time Limit: 7 Days
Quest Failure Penalty:
(Death)☠️]

[You are now entering the Tutorial Tower]

[Good luck]

Ab aage...

Manali
Night~ 11:46 PM

"Sorry Bhayia"

Aarav ke bazoo per sar rakhe leti uss ki behan Urvi ne halke se kaha, Us ki ankho me se ansoo nikalne ko the, Aarav apni socho me gum tha, lekin apni behan ki Runasi Awaz sun us ka dhayan apni behan ki taraf ho gya, Aarav ne us ko laite huwe side se gale laga lia.

Abhi dono hospital se wapis aye the, Urvi ki kuch dino se tabiyat kharab ho rahi thi, har waqt bukhar rehne laga tha jism me bewajah dard uthne laga tha, jis ke chalte Aarav us ko zabardasti hospital le gaya.

Doctor Aarav ke Purane dost ke Papa he the iss liye unho ne fees kam karwa di, Report me to time tha lekin Doctor Shirish ek kabil doctor the, unho ne pehle he apni raye dete huwe keh dia ke ye Cancer ke syptoms hai.

Ye sun Urvi ko khud se zada apni bhai ki fikar hone lagi, kiu ke agar ye sach tha to us ka bhai apni puri koshis karne wala tha apni behan ke ilaaj ke liye.

Pehle he us ki wajha se Aarav ne khud parhai chorr di aur kam ker ke Urvi ko parhane ke liye mehnat ker raha tha, Urvi ke laakh mana karne per bhi wo na maana aur zabardasti urvi ko School bhejta raha.

Urvi ko andaza tha ke us ke bhai ke paas Treatment ke liye paise nahi the, iss liye wo mann ne me dua mangti rahi ke Doctor sirish ka khayal galat sabit ho jaye, per aj jab wo report lene gye aur wahan stage 2 ke cancer ke bare me unhe pata laga to dono ke chehre ke rang Urr gye.

Urvi khud ko tab se sambhale huwi thi lekin apne bhai ke gale lag us ki himmat jawab de gayi aur wo rone lagi.

Urvi: (Crying) Sorry bhayia!

Urvi bus gale lagi roti rahi us ke muh se Sorry ke siwa koi aur lafz nahi nikal raha tha, Apni behan ko yun rota daikh Aarav ne us ko aur zor se baahon me bheench lia.

Aarav: Pagal ho gayi hai kia? Tu kis baat ki mafi maang rahi hai? Ab bimari puch ker thori ati hai.

Aarav khud buri tarha dara huwa tha apni Behan ki halat ke baare me sun ker lekin us ne kabhi apni kamzoor halat apni behan ko nahi dikhayi thi, uss ke liye wo hamesha ek mazboot bhai ki tarha bane rehne ki koshis karta jis ke agosh me us ki behan sab duniya ki takleefo se azad Aram ker sake.

Lekin aj apni behan ko yun rota daikh usse khud takleef ho rahi thi, Aarav ne ek lamba Saans bhara aur kuch pal shaant rehne ke baad chehre per halki muskurahat saja li.

Aarav: Urvi! Hum ne bohat se mushkil waqt ek saath daikhe hai, Maa ke bina zindagi guzarne ka mushkil waqt, Sharab ki aur juwe ki latt ki wajha se papa ke saath wo karze wale dino ke bure waqt, Phir Papa ke chale jane ke baad puri duniya se akele larte huwe waqt, Lekin tujhe pata hai? in sab waqto se main ne kia seekha hai?

Urvi apna sar uthaye apne bhai ki taraf daikhne lagi, Aarav in sab takleefo me bhi chehre per ek muskurahat sajaye baat ker raha tha, Us ka bhai hamesha se aisa he tha, chahe jo bhi ho jaye, Us ke chehre ki ye muskurahat se Urvi ke dil ko rahat mil jati thi.

Aarav: In sab palo me mujhe Ehsaas huwa! Waqt chahe jitna bhi bura kiu na ho us ne guzar he jana hota, jaise ache pal hamesha nahi rehte aur guzar jate hai waise he bure pal bhi guzar jate hai, Mujhe in dono palo me tujh se ek he cheez chahiye.

Us ke bhai ko us se kuch chahiye ye sun Urvi ne apne ansoo saaf kiye aur seedhe ho ker baith gayi, Maano puch rahi ho ke us ke bhai ko us se kia chahiye? Uss ki ye harkat daikh Aarav ki muskurahat aur gehri ho gayi.

Aarav: (sigh) Vishwas! Sirf tera Yaqeen chahiye mujhe, wo yaqeen jis me tere mann me sirf ek baat ho, "Cahahe Jaisa bhi waqt kiu na aa jaye mera bhai sab theek ker sakta hai".

Aarav ki baat sun Urvi ke Chehre per muskurahat aa gayi, kahan wo soch rahi thi us ka bhai pata nahi kia mange ga, per us ka jawab sun us ne khudh ke sar per he haath marr dia, Aarav ne apna haath Urvi ke kareeb ker dia.

Aarav: (Smiles) bata kare gi mujh per aisa Vishwas?

Urvi Apne banhe philaye aage barhi aur apne bhai ko dobara gale laga lia aur us ke gaalo ko chum lia.

Urvi: (Blush) Haan ji! Mujhe ap per pura Vishwas hai.

"Ye sab kia ho raha hai?"

Aarav ne chilate huwe kaha, yun Achanak us ke saamne andhere me ye sab likha ane laga, pehle he wo khud ko mara huwa samajh ke dara huwa tha upar se ye us ke saath hone laga tha.

Aarav: (Scared) Koi mujhe bataye ga ye sab kia hai? Hello koi hai kia yahan?

Aarav awaz dene laga ke shayad koi sun le, per kisi ka jawab na sun Aarav mayoos ho gya, tabhi achanak us ko apne neeche wohi cirlcle dobara banta dikhayi dia.

40b79591271d549d5662f3aea696f9e8.jpg

Aarav: (Frightened) Nahi Nahi! Dobara nahi.

Wo circle dobara chamakne laga aur us me se lapte nikli, Aarav ko un lapto ke ilawa kuch aur nazar nahi aya , Aarav ki body ek dum se dabao me aa gayi aur us ke saamne se lapte hatne lagi.

Lapte khatam hote he Aarav ne saamne Daikha to wo ek jungle me khara tha, Jungle jagha jagha se baraf se dhaka huwa tha, yani wo kisi barfile ilaqe me tha, Per Sawal ye tha ke konse barfile ilaqe me?

Aarav: (Frowns) Ye konsi jagh....!

"Where the Fuck I am?"

Iss se pehle Aarav apni baat puri karta us ko peeche se kis larke ki awaz ayi us ne ghoom ker daikha to us ke peeche use kuch log khare dikhayi diye, Aarav tezi se un ki taraf bhaag para.

Aarav: Oye! idhar daikho, main yahan hu.

Aarav bhaag ker un ke paas unhe bulate huwe jane laga, Unhe daikh ker Aarav ko ek umeed ki kiran nazar aa rahi thi, use khushi ho rahi thi wo yahan akela nahi hai, us ke haath se khoon abhi bhi beh raha tha jis ke dard se use khud ke zinda hone ka ehsaas ho raha tha.

"Ochitsuke!"

Un me se ek larke ne Aarav ko daikh ker kahan to Aarav uss ki shakal daikhne laga kiu ke us ka kaha kuch bhi Aarav ko samajh nahi aya tha.

Aarav: (confuse) konsa suke?

Aarav ne dhayan se daikha to wo larka dikhne me chinese lag raha tha, Aarav ne bakiyo ko daikha to baki bhi indian nahi lag rahe the, Wahan Aarav ko mila ker 6 log the 4 larke aur 2 larkiye,

Sab ke chehre per khoof tha waisa he khoof jo Aarav ke chehre per tha, Jis se Aarav ko ehsaas ho gya ke unhe bhi kuch nahi pata aur wo bhi Aarav ki tarha he yahan aye hai, Un sab me sirf wo chinese larka tha jo iss Situation me calm tha Per aisa kiu tha ye pata lagane ke liye us se baat karni zaroori thi, Aarav ne us larke ki taraf ishara karte huwe dheeme lehje me bola.

Aarav: Chinese?

Larka: No Chinese! Japan

[New Skill Available]
4c667003169c909672ac9c07061b37ff.jpg
[Enhanced Language Understanding]

[Capabilities: The user has the ability to understand, decipher and translate any written and typed language into the user's own native tongue, or through subliminal intuition of what by physical communication means. This ability may even employ telepathic faculty, where the psychic energy is read (by hearing or sight) to understand what the message is meant to convey.]

[3 intelligence points will be deducted]

[
(Accept)~(Cancel)]

Apne saamne dobara cheeze likhi daikh Aarav dar gaya, Aarav ne bohat kam parhai ki thi jis ke chalte use English samajh nahi ati thi, Us ne thori bohat jo English sikhi thi to wo Manali me ane wale tourist logo ko bolte sun seekhi thi.

"Accept"

Wo japanese larka ek dum se bola to sab ka dhayan us ki taraf chala gaya, Sab ke chehro per dar saaf daikha ja sakta tha, Us larke ne sab ki taraf nazre ghoomayi aur dobara bola.

Larka: Trust me guys! Just Click on Accept, I will Explain everything later.

Larke ki baat sun Sab ne ek dusre ki taraf daikha jaise ek dusre se puch rahe ho ke kia karna chahiye? Larke ki baat sun ye to sab ko pata chal gaya tha ke sab ke saamne Same cheez he likhi aa rahi hai.

Larka: I'll count to 3! After 3 let's do it together.

Larke ki baat sab ne haan me sar hila dia, kiu ke un ke paas koi aur Raasta bhi nahi tha, abhi tak jo un ke saath huwa tha us ke baare me kisi ko kuch nahi pata tha, Wanhi us japanese larke ki awaz me Confidence tha, to sab ne us per yaqeen karne ka faisla ker lia.

Larka: 3, 2, 1 click!

Larke ke 1 kehte he sab ne hawa me he Accept per ungli maar di, un ko daikh Aarav ne bhi wohi kia, click karte he.

*Aahhh!!*

Sab ke Sar me ek tez dard ki lehar uthi, Maano koi un ke sar ko kisi cheez se cheer raha ho, Sab ghutno ke bal gir gye, Wanhi Aarav seedha barf per gir gaya us ki naak se khoon behne laga, Ankho ke aage Andhera chaane laga.

[3 Intelligence points deducted]

[You have acquired the skill
(Enhanced Language Understanding)]

Ye Notification Aarav ki ankho ke saamne aya aur us ka pura sar ka dard khatam hone laga, Aarav ne apne haatho ko neeche rakha aur un per zor de ker uthna chaha, tabhi use us ke gale me se ulti upar ati mehsoos huwi, Jis ko us ne bahir udhel dia, aur wanhi ghutno ke bal baitha khanste huwe lambi lambi saanse bharne laga.

*Cough* *Cough*

*huh* *huh*

"Kuch behtar mehsoos huwa kia?"

Aarav ke kaano me awaz ayi to us ne sar utha ker daikha ye wohi Japanese larka tha, Lekin us ki hindi sun Aarav heran ho gya, Abhi kuch lamhe pehle is larke se English bhi nahi boli ja rahi thi, Lekin ab hindi aise bol raha tha mano Mumbai me he puri zindagi guzari ho us ne, Us larke ko bhi jaise Aarav ki herani ki wajha samajh aa gayi thi.

Larka: (Chuckle) Heran mat ho! Sab Samjhata hu pehle khare ho jao.

Larke ne apna haath aage barhaya to Aarav us ke haath ka sahara le ker khara ho gya, Sab logo ki halat Aarav se kuch khaas alag nahi thi, Sab lambi lambi saanse bhar rahe the unki ankhe laal ho rahi thi puri, Wanhi 1 larki ki halat un sab se behtar thi, sar me us ke bhi dard tha lekin bakiyo ki tarha us ne ulti nahi ki thi.

Japanese larka: Great! Lagta hai tumhari Intelligence bohat high hai, Kitne points hai Intelligence me tumhare?

Larke ne larki ki taraf haath barhate huwe kaha, jis ko us larki ne side per ker dia aur khud apne sahare khari ho gayi, aur garajti nazar larke per daal ke boli.

Larki: 72!

Larka: Damn! Koi shak nahi tum per itna faraq kiu nahi para.

Un ki baate sun baki sab jo khamoosh the un me se ek larka gusse se bol he para.

Larka 2: (annoyed) Agar tumhari baate ho gayi ho to batana chaho gye ke yahan ye sab kia chal raha hai?

Larka: Oops, Sorry! to main apne naam se shuru karta hu, mera naam Daisuke takahashi hai, main Japan PSIA (Public Security Intelligence Agency) Agent hu, Waise baki sab bhi agar apna naam bata dete to aage baat karna Easy hota.

8d0ce44ed3d3cb0c74e96d9747b71cce.jpg

Sab ka muh Daisuke Ke PSIA agent hone se he khul gaya, Lekin un ke saath jo kuch ho chuka tha us ke saamne ye kuch nahi tha.

Koi bhi pehal nahi ker raha tha sab khamoosh khare ek dusre ko daikh rahe the, Jab kuch der koi kuch nahi bola to Aarav apna introduction dene ke liye aage ho gya.

Aarav: (Awkward) Hello! Mera Naam Aarav hai, Main India, Manali se hu, Aur mujhe kuch nahi pata yahan kia ho raha hai.

"Andrew! Main nigeria se hu, Ek Army Officer, aur mujhe bhi nahi pata ye sab kia hai"
0af66c3a91101bbc5b0df5278a323213.jpg

Un me se ek aur Admi bola dikhne me wo kafi mazboot insaan lag raha tha 34 ke paas to lag rahi thi us ki age, us ke upar Army ki job sahi bhi lag rahi thi.

"Hi! Isabelle Adjani here, Main France se hu ek doctor."

1a230a83b8213ce4d267e4fee39962f4.jpg

Dusri larki ne apna introduction dete huwe kaha, Isabelle ek Heart specalist thi Surgery Department me, Dikhne me khubsoorat thi.

"Seriously! Hum sach me iss waqt ye ker rahe hai, Hum nursery School me nahi hai jo introduction, Hume yahan se wapis jane ke baare me sochna chahiye, Agar Wapis jaane ka Raasta pata hai to batao? pata hai mujhe kitni mushkil ho rahi hai thand me?"

Daisuke: (Smirk) Got It! AP ke pita ji kisi Bari company ke owner hai right?

Larka: Wait! Tumhe kais....Wait Wait, Ye sab planning thi, Oh my god main kaise tumhari baato me aa gaya? *Huh* Batao kitne Paise chahiye tumhe, Mere Dad muh per maar de gye tumhare paise bus Keemat bolo, batao kitne chahiye? Bloody Cheap Bastards.

Daisuke: Beta ji baat suno, Sab se pehle to Baap ke paiso per itna nahi urte, Dusri baat hum yahan koi tumhe kidnap ker ke nahi laye, Saath rehna hai to raho warna Ja sakte ho jahan jana chaho.

Larka: Youuu!

Andrew: Kid! Abhi larne ka waqt nahi hai, Aur naam batane se tumhara koi nuksan nahi hone wala, Just trust us.

Larke ko gussa to aa raha tha per Andrew ki baat bhi sahi thi Naam batane se kisi ka nuksaan nahi ho raha tha.

Larka: (Tsk) Vansh Sayani.

9a022009d7e23c16f30e758272d478bc.jpg

Itna bol ker Vansh chup ho gya kisi aur ne bhi use cherna sahi nahi samjha, aur unho ne aage barhna he sahi samjha.

"Kim Yoo-Jung! 19 Years old,From south Korea, Student, Also in Archery team"

Yoo-Jung ne apna introduction dia aur dobara chup ker ke khari ho gayi, Abhi tak Unho ne Yoo-Jung ka chehra nahi daikha tha kiu ke us ne mask laga ke rakha tha, Us ke kandhe per Bow aur Arrows bhi the jaise wo yahan ane se pehle Shooting practice he ker rahi thi.

6dd4cc4cdb97e00ab0ba7bf5d687bd6f.jpg

Daisuke: Good! Sab ka Inroduction ho gya ab mujhe bhi samjhane me Easy ho ga, to hum PSIA wale pichle 2 Saal se ek case per kaam ker rahe, balke ye kehna sahi ho ga pure world ki intelligence force ek case per kaam ker rahi hai,2 Saal pehle Achanak 6 Log alag alag countries se achanak gayab ho gye, Jaise hum sab Achanak gayab ho gye, After 29 Days un me se sirf 4 wapis aye, Un ke parents aur relatives ne police Report bhi karwayi Police ne simply Human Trafficking ka case samjha isse, But Intteligence ka dhayan un per tab gaya Jab baki 4 logo me achanak supernatural powers dikhi.

Vansh: What! matlab kuch bhi, Apni taraf se banate ja rahe ho sab kuch.

Daisuke: Exactly! Mujhe iss Reaction ki he umeed thi iss liye main ne sab ko pehle Skill Accept karne ko kaha, Tumhe khud experience karne ke baad bhi yaqeen nahi ho raha, khud Socho tum 6 Alag Countires ki language Achanak se kaise samajh pa rahe ho?

Daisuke ki baat sab ke mann Se shak khatam ho gya wanhi vansh ne sirf gusse se apna muh pherr liya.

Daisuke: Continuing! Un supernatural Powers ko daikh Intelligence ka Dhayan un per Gaya...........

*Grrrrr*

Iss se pehle ke daisuke apni baat aage barhata tez gurahat ne sab ke rongte khare ker diye, Awaz itni unchi thi ke dur se bhi us ko saaf sun sakte the.

Daisuke: (Frightened) Everyone! Please Calm down.

Daisuke ne kehte huwe halke se ghoomna shuru kia, Saamne ka nazara daikh Daisuke ke bhi pair kaanp uthe, Un ke saamne iss waqt 30 ke kareeb Wolves gura rahe the, Lekin ye cheez unhe dara rahi thi, Inhe dara raha tha un ka size, Ek ek Wolf size me Normal Wolf se Triple tha.

144719361554407b3c430d8e979e4809.jpg

Daisuke: (Gulp) Koi koshis bhi mat karna! Ye normal wolf nahi hai Demon Wolf hai, sirf 1 se larna he mushkil hai hamare liye.

Isabelle: (Scared) To....To....Toooo....Hum kia kare ab?

Daisuke: Wait! mere signal per sab bhaage gye.

Daisuke ne ishara de ker un sab ko roka, Wolf me se ek chalte huwe un ki taraf ane laga dheeme dheeme wo bhagne laga us ke saath baki sab bhi in sab ki taraf bhaage.

ee0e33a5450d686c162eb822a52963bc.jpg

*Kabooom*

Daisuke ne ek Gernade jis ko us ne pehle he unpin ker dia tha sahi waqt per wolf ki taraf phenk dia.

Daisuke: Runnnn!!!!

Daisuke ka ishara milte he sab dusri taraf bhagne lage, Wo sab kisi pahar ke upar the jis ki wajha se un ke peeche Dhalan aa gayi jis per wo Tezi se bhaag paa rahe the, per sirf Ek galti Aur wo usi Dhalan per ghoomate huwe Wolves ka shikar ban sakte the.

Daisuke: (Shouts) Sab log bina peeche daikhe seedhe bhaago!

Vansh: Hume aur kitni der bhaagna ho ga?

Daisuke: Pata nahi!!! Pehli baat to ye wolves yahan hone he nahi chahiye the, Map ke hisaab se in ka Den hum se bohat Distance per tha, Phir in wolves ko yahan konsi cheez kheench layi?

*Blood*

Aarav ke zehan me achanak click huwa, Aarav ke haath se khoon beh raha tha aur wolves khoon door se he soongh sakte the.

Aarav: Kia meri wajha se?

Aarav ko jaise he iss cheez ka ehsaas huwa use khud per gussa ane laga, Isse Confirm karne ka ek he raasta tha Aarav bhaagte huwe Bakiyo se alag hone laga aur jaisa uss ne socha tha waise he mostly Wolves bakiyo ko chorr ker us ki taraf bhaagne lage.

Daisuke: Aaaaarav!!!

Daisuke ne Aarav ko alag hote daikha to us ne us ko wapis bulana chaha per Aarav bina kuch sune bhaagta raha, Daisuke ne khud Aarav ke paas jana chaha per beech me bohat zada Wolves the jis wajha se wo us taraf na ja saka.

*Swish*

Achanak ek Arrow Daisuke ke saamne se hote Aarav ke peeche bhag rahe wolves ki taraf gaya jis ko wolves ne dodge ker lia, Daisuke ne Side per daikha to Yoo-Jung Bhaagte huwe lagatar Arrows Wolves ki taraf chalati ja rahi thi.

Daisuke ko us ki bhi fikar ho rahi thi aise Arrows chalate huwe bhaagna Khatrnak tha, Daisuke ko apni taraf daikhta daikh Us ne ankho se he ishara ker dia Maano keh rahi ho ke wo ye ker sakti hai, Jis per Daisuke bhi seedhe bhaagne laga.

Daisuke: I'll Freakin' Kill you if any of you die!

Wanhi Jab Aarav ne apni taraf Arrows ate daikhe to us ke chehre per halki si muskurahat aa gayi, Arrows ko dodge karne ki wajha se Wolves ki speed slow ho rahi thi jis se Aarav ko distance barhane ka moka mil raha tha.

Per ye khushi kuch palo ki he thi, bhaagte huwe Aarav ko apne saamne ek khayi dikhi, Khayi daikh ker Aarav apne Kadmo per zor dete huwe ruka.

*Grrrr*

Per Us ke rukte he ek wolf Aarav per kud para aur us ne Aarav ke kandhe per apne daant gara diye jis Aarav ka balance kharab huwa aur wo larkharate huwe seedhe khayi me gir gaya.

Aarav: i'm Sorry!!!!! Urvi.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he guys, Umeed karta hu ap logo ko update pasand aye ga, Pichle update per ap logo ne bohat pyaar diya jis ke chalte main ne iss update ki length barha di hai, Umeed hai iss update per bhi ap logo ka Pyaar daikhne ko mile ga, Next Update Saturday Evening ko tab tak ke liye, Sayonara!]
NICE update
 
Gurdep

Well-Known Member
2,781
3,660
144
UPDATE 3
[THE PREY]

Ab Aage

“Urvi! Tujhe nahi lagta tujhe ye sab karne se pehle bhayia se puchna chahiye tha?”

Urvi ki dost Kirti jo us ke saath college se wapis aa rahi thi us ne Urvi se kaha, Us ka sawal sunn Urvi ne dheeme se Naa me sar hila dia

Urvi: (Sigh) Nope! Tujhe kia lagta hai? Agar main bhayia se puchti to wo mujhe college ki larkiyo ko tution dene ki permission dete kia?

Urvi ka jawab sun Kirti ke paas kuch bhi kehne ko na bacha Aarav kabhi bhi Urvi ko permission nahi dene wala tha, Ulta Urvi ke kehne per wo apne ap ko aur push ker leta kaam ki taraf jo Urvi chahti nahi thi, Lekin Aarav Urvi ko School ke baad MBBS karwana chahta tha jis ka Urvi ka bhi Mann tha.

Urvi Scholarship ke liye Aim karne wali thi lekin Scholarship mil bhi jaye to aur bhi bohat se kharche the jin ko afford karna Aarav ke liye bohat mushkil tha, Iss liye Urvi ne tutions dene ka socha jis se apne kuch kharche wo khud pure ker sake jis se Aarav ko kuch Asani ho jaye.

Kirti: Phir bhi! bhayia ko bina bataye Tution kaise de gi?

Urvi: (😁) Wo main ne soch lia hai! Daikh Bhayia raat me ghar ate hai, main bhayia ke ane tak ghar ke thore kaam karti hu jo itne zada nahi hai, to phir main aisa karu gi school ke baad wanhi school ke paas ek larki ke ghar tution du gi larkiyo ko, main ne larki se puch lia hai us ke ghar walo ko koi issue nahi hai, Bus us larki se tution fees nahi lu gi, Tution ke baad 4:30~5:00 Baje tak seedhe ghar aa ker bhayia ke ane se pehle ghar ke kaam ker lu gi.

Kirti: (Frowns) Baap re! Kameeni tu to puri Planing bana ker baithi huwi hai.

Kirti ne Urvi ke kandhe per kandha maarte huwe kaha jis per Kirti ne use kandha maar dia aur dono khilkhilate huwe ek dusre ko halke dhake dene lagi.

Kirti: (Frowns) Parth Bhayia! Lekin unho ne ye kise uthaya huwa hai?

Kirti ne Road ke dusri taraf per chalte apne bhai Parth ko daikha, Jis ki kamar per uss ne kisi ko uthaya huwa tha, Kirti ki baat sun Urvi ne Parth ki taraf daikha per jab uss ki nazar peeche wale insaan per gayi to uss ke chehre ki rangat badal gayi.

Urvi: (Stunned) Bhayia!

Bhale he Aarav ka chehra Parth ke dusre kandhe per hone ki wajha se dikh nahi raha tha, Per Urvi ne use ek jhalak me pehchan lia, Aarav ko daikhte he Urvi tezi se Aarav ke paas aa gayi.

Urvi: Bhayia!

Urvi ki awaz sun Parth chalte huwe ruk gaya, Us ke ghoomte he Aarav ka chehre saamne aa gaya, Aarav ki ankhe band thi us ke sar per Dressing ki huwi thi, Aarav ko yun Unconscious daikh Urvi ki ankhko se ansoo behne lage uss ne kaampte haatho ko Aarav ke chehre per rakh use chunne lagi, Wo itna ghabrayi huwi thi ke kuch bol bhi nahi paa rahi thi.

Parth: Fikar mat karo! Kuch nahi huwa Aarav ko, Bus zada kaam karne ki wajha se Weakness ho gayi thi jis ki wajha se dukan per gir gaya tha, Glucose lagwa li hai kuch der Araam karne ke baad hosh aa jaye gi.

Urvi: (Sobbing) Phir tum inhe hospital me araam karne dete aise kiu le ker ghoom rahe ho?

Urvi ne gusse se kaha, Apne bhai ko iss halat me daikh uss ki samajh me kuch nahi aa raha tha wo kia bole ja rahi hai, Iss liye parth ne bhi gussa nahi kia.

Parth: Agar isse Hospital me chorta to hosh me ate he Seedha kaam per wapis aa jata, Iss liye isse ghar chorne ja raha hu jahan tum isse zabardasti aram karwa sako, aur rahi baat aise kiu le ja raha hu wo iss liye kiu ke wahan koi rickshaw wagaira nahi thi iss liye.

Parth ki baat sun Urvi ko ehsaas ho gya wo gusse me kuch zada he uncha bol gayi, per wo bhi kia karti? jab baat uss ke bhai ki ho to wo khud ko control nahi ker pati thi.

Kirti: Urvi! Sawal baad me bhi puche ja sakte hai, pehle Aarav Bhayia ko ghar le ker jane de Parth bhayia ko.

Kirti ki baat sun Urvi side per ho gayi, Parth Raasta milte he dobara chalne laga aur ghar aa ker Aarav ko bistar per lita dia.

Parth: Mujhe wapis kaam per jana hai! Chal Kirti tujhe ghar chorte huwe jata hu.

Urvi ne dono ko darwaze tak chora aur darwaza band ker ke wapis Aarav ke paas aa gayi, Urvi ne Aarav ko bohat waqt ke baad aise sakoon se sote daikha tha wo wanhi Aarav ke paas ek stool ko rakh ker baith gayi.

Urvi: Kiu karte ho mujhe Tang!....

Urvi ki awaaz rowasi ho gayi thi.

Urvi: Kitni baar!!!!!! Kitni baar ap se kehna ho ga mujhe ke sirf ap ke upar nahi hai sab zimedariya, Yaad hai bachpan me jab hum khelte the ap kia kehte the.

Ek pal ke liye bachpan ki yaad ko yaad ker Urvi halki si muskurahat hansi.

Urvi: Maa yahan nahi hai to kia huwa? Hum hai na ek dusre ke liye! Agar ek khelte huwe gir bhi jaye ga to dusra use dobara utha de ga, Phir kiu? Akhir kiu ap ne khud ko girne se itni mushkil se roka huwa hai? Akhir kiu mujhe khud ko uthane ko moka nahi de rahe ho?

Urvi ke andar ki sari bharaas wo apne bhai per nikal rahi thi, Jitna bhi dard wo samete huwe thi wo bahir nikal rahi thi, Bhale he Aarav use sun na sake per wo keh paa rahi thi ye he bohat tha uss ke liye.

Urvi: (Glares) Aarav Arya! Agara tum apni Mann mani karne chahte to aisa he sahi! Per yaad rakhna mujhe mera bhai bilkul sahi halat me wapis chahiye, Tumhe jo karna hai karo per ant me hamesha mera bhai mujhe mere paas chahiye.

****

*Huh*

2c428d127071c28d38267d85c76e9521.jpg

Aarav ne apni ankhe kholi, Us ka chehra upar Asmaan ki taraf tha, use apne saamne wo pahar nazar aa raha tha jahan se wo gira tha, Uss ki apni saanse tez chal rahi thi per wo un saanso ko mehsoos nahi ker pa raha tha, Aisa tha jaise us ka shareer us ke saath hai he nahi.

Aarav: Kia? Kia main bach gay....,

*Agggggggh*

Aarav khud se sawal ker he raha tha jab us ke pure shareer me ek tez dard ki lehar uthi, Jo injuries body Numb hone ki wajha se feel nahi ho rahi thi un sab ka dard ek saath Aarav ko mehsoos huwa, Aur dard aisa jo bardasht ke bahir tha.

Aarav ne zindagi me bohat se zakhm aur dard bardasht kiye the per iss ke saamne wo kuch nahi the, Shareer ke alag alag hisso me maas phat ke khoon beh raha tha aur Aur bohat si hadiye buri tarha se toot chuki thi,

Insaan ke jism me agar thora sa bhi cut lage to dard sehna mushkil hota, Lekin agar pura jism he jagha jagha se cut jaye to dard kaha se seh paye ga Insaan? Dard itna zada tha ke Aarav hil bhi nahi paa raha tha, Uss ka ek taraf ke kandha bhi toot chuka tha aur wahan se maas bhi gayab tha, Jis wajha se khoon kandhe se bhi lagatar beh raha tha.

Aarav: Fuckkkkkkk!!!!!

Dard ke kaaran Aarav kuch theek se soch bhi nahi paa raha tha, Aarav ke saamne ka pahar daikh ker lag raha tha ke 100 foot ki unchai se gira tha Aarav, Wo zinda tha ye bhi ek chamatkar se kam nahi tha.

Lekin agar wo zinda tha bhi to aur kitni der zinda reh sakta tha? Jis tarha khoon beh raha tha use umeed nahi thi ke wo zada der zinda reh sake ga.

Maano jaise uss ka pareshani System ne bhaanp li ho, Us ke saamne dobara ek system window aa gayi

f32162f170c6ff5184a3585e9f0e8514.jpg

[The Player is in a critical state, HP is dropping repeatedly]

HP 27 se gir ke 7 ho gayi thi aur lagatar girti ja rahi thi, Zahir tha ke HP 0 hone per Aarav mar jaye ga, Jis se Aarav ko ehsaas ho gaya ke us ke bachne ka koi Chance nahi hai.

Aarav: Agggh! Akhir kiu? Kiu ho raha hai mere saath ye sab? Akhir Kia bigara hai main ne kisi ka?

Aarav ka Mann bhaari ho raha tha Dard Sehan karna chah ker bhi wo seh nahi paa raha tha, Akhir me uss ki ankho se ansoo behne lage

Aarav: Sirf Ek khawaish! Sirf ek khawaish ki thi main ne ke apni behan ko muskurahat de saku, kia ye bhi bohat zada maang lia tha main ne?

Aarav ne puri zindagi me khud ko itna bebas kabhi mehsoos nahi kia tha, Chahe jo bhi mushkil hoti wo hamesha Mehnat ker ke un mushkilo ko khatam karne me yaqeen rakhta tha, Lekin aj wo andar se toot chuka tha pehli baar Aarav ko lag raha tha ke wo aj haar gaya hai.

*Thump*

Aarav se koi cheez zor se aa ker takrayi jis ke chalte Aarav ka pura shareer Barf me gulatiya khate huwe 10 se 12 Feet dur ek pathar se ja takraya.

*Eeeeeeeeeeee*

Aarav ke kaano me siti si bajne lagi Ankho ke aage sab dhoondla dikhne laga, Aarav ka pura shareer buri tarha kaampne laga.

Aarav ne mushkil se apni kholi per abhi bhi sab dhoondla tha, Dheere dheere Aarav ka vision theek ho gya, Per jab us ne apne saamne ke manzar ko daikha to us ki bachi huwi himmat bhi jawab de gayi.

Uss ke saamne 15 ke kareeb Demon Wolves the per jo use dara raha tha, wo wolves nahi balke un ke saamne khara ek Vishal barfeela Bhaaloo tha. (Ice Bear)

43e2a79ddf1e2841c06a517063ca9e49.jpg

Wo Bhaaloo kisi Haathi se bhi bara tha, aur uss ke upar jagha jagha khoon laga huwa tha, Us ke saamne Wolves bacho jaise lag rahe the, Aarav ne apne kareeb daikha to wahan ek Demon Wolf mara huwa tha, ye Wohi wolf tha jo abhi Aarav se aa ker takraya tha.

Per sirf ye he Wolf nahi tha jo mara tha bohat se aur bhi Wolves wahan mare huwe the jin ke shareer me ice spikes ghuse huwe the, Per wo Ice Spikes per gire kaise ye Aarav ko samajh nahi ayi? Per iss Sawal ka jawab bhi Aarav ko foran mil gaya.

Jab bhaaloo ne apna haath Zameen per Maara to Wolves ke neeche Ice spikes Nikalne lage, Demon Wolves ne tezi se apni jagha se chalang maari aur un Ice Spikes ko Dodge karne lage.

Lekin phir bhi bohat se wolves un spikes se injured ho gye, Per wo yahan ruke nahi aur sab tezi Se bhaaloo ki taraf barhe wo bhaaloo per apne numbers ka use ker ke attack karna chahte the, per Vishaal hone ke bawajood bhaalo ki raftaar dheemi nahi thi wo kisi bhi wolf ko apne kareeb ane nahi de raha tha.

Aarav: (Shivers) Ye!!!! Ye kia ho raha hai? Akhir ye kahan aa gaya hu main? Ye ice Spikes? Ye vishaal Bear?

Aarav theek tarha bol bhi nahi paa raha tha, Ab dard ki jagha Khoof ne le li thi saamne ka nazara koi aisa nahi tha jis ko daikh ker wo calm reh sake. Bhaaloo ki wajha se Aarav Wolves se to bach gaya tha.

Lekin bhaalo Wolves se Aarav ko bachane ke liye nahi lar raha tha balke wo khud Aarav ko apna shikaar banane ke liye lar raha tha, Dono side me se jo bhi jeetne wala tha wo Aarav ka shikaar karne wala tha.

Matlab chahe jo bhi jeete Ant me Aarav ki maut he thi, ye soch ker Aarav ko khud ki kismat se jo thori bohat Umeed thi wo bhi khatam ho gayi.

Wanhi dusri taraf Wolves lagatar sankhya me kam hote ja rahe, Akhir me sab Wolves ne ek taraf se attack karne ki jagha Bhaaloo ke chaaro taraf phel gye aur ek saath uss per Attack karne ke liye bhaag pare.

9cdd7962b052d7e2dac146a3c8282668.gif

Lekin iss baar un ki Movements badal gayi thi, Wo baar baar apni position change ker rahe the aur baar baar ek pal ke liye un ki speed itni tez ho rahi thi ke wo dikhayi bhi nahi de rahe the.

Bhaaloo ne dobara khud ko ghoomaya aur sab per attack karna chaha per usi pal Wolves ne apni speed barhayi aur apne Claws se bhaaloo ke Shareer ko pharne lage.

*Groowwrr*

Bhaalo buri tarha se dahara per Wolves ruke nahi aur lagatar Bhaaloo per Claws aur apne daanto se us ke shareer ko kaatne lage.

Bhaaloo gusse me aa gaya aur apne haatho se sab Wolves ko utha utha ke dur phenkne laga, Sab Wolves dur dur ja ker gir rahe the per wo foran he khare hote aur dobara Bhaaloo per Attack ker dete per ye khel zada waqt nahi chala.

*Roaaaaar*

Bhaaloo ne ek dahar li aur apne aage ke dono haatho ko zameen per de maara uss ke chaaro taraf Ice Spikes Nikalne lage Wolves ne bhagna chaha per Ice Spikes bohat dur tak phel chuke the jis ke chalte bohat se ice spikes wolves ko maarne me kamyaab ho gaye.

8fe3890d05f27b7baa3fdc26ba60cd62.jpg

Sirf 3 se 4 he wolves bache the jo buri tarha se zakhmi the, Wo aise larayi jeet nahi sakte the ye wo khud bhi samajh gye the.

*Oowwwoooo*

Un me se ek wolf ne apna muh upar karte huwe Howl kia ye howl ek signal tha baki wolves ke liye, Wolves ab sirf shikaar nahi jeetna chahte the ab wo Ice bear ko apna shikaar banana chahte the, Bhale he wo janwar the per apne pack ke wolves ko yun marta daikh gussa unhe bhi aa raha tha.

Wanhi abhi huwe Ice Spikes ke Attack ko daikh Aarav aur bhi chaunk gaya, Ab tak uss ne jo kuch daikha tha ye uss sab se zada chauka dene wali cheez thi, Wo jahan bhi tha use ye pata lag gaya tha wo Prithvi per to nahi tha.

Us ice spikes se huwe attack ki wajha se puri zameen aur pahar hil gye, Tabhi Aarav se ek Seeshe ki bottle aa takrayi Aarav ne us bottle ko daikha to beech me hare rang ka paani tha.

1379d91ce7deffd3e545ca20faa93abf.jpg

[Item: (Healing Potion) ~ Effect: (Instantly Restores 10 HP)]

Aarav ke saamne jab dobara window khuli to uss per likhe Lafz parh ker Aarav ke saanse thamne ko ho gayi, Use yaqeen nahi ho raha tha ke jo likha huwa wo sach hai, Per jo uss ne abhi daikha tha wo kahi se bhi normal nahi tha, Per Aarav ke paas Shaq karne ka moka nahi tha waise bhi wo marne he wala tha us ki HP sirf 2 reh gayi thi.

Aarav ne bottle uthani chahi per us ka haath hila he nahi, Aarav khud pura hilana laga jis se Zakhm aur khulne lage aur dard aur barhne laga per Aarav iss waqt us ek chance ko gawana nahi chahta tha jo use itni mushkilo ke baad mila tha.

Aarav aise he hilta raha use koi faraq nahi per raha tha ke larayi me aage kia ho raha hai wo sirf us potion ko hasil karna chahta tha, Aise he hilte hilte wo potion ke kareeb gir gaya.

Aarav ne ek lambi saans bhari aur dard bardasht karte huwe khud ko ghaseet ker potion ke kareeb le gaya, Per ab sawal tha ke wo Bottle ko kaise kholta, lekin itna kareeb aa ker wo peeche nahi hatna chahta tha.

Per usi pal wahan ka mahool badal gaya, Wahan ki hawa bhaari mehsoos hone lagi, Ab tak jo larne ki awaze aa rahi thi ek pal me band ho gayi, Aarav ko apne peeche kuch mehsoos huwa kuch aisa jo uss ne kabhi mehsoos nahi kia tha, Uss ka dar barhne laga aur tabhi us ke saamne ek aur notification aa gaya.

[Alpha Demon Wolf presence stunned player body, Player have fallen into a stunned state.]

Aarav ne dheeme se apni gardan ghooma ker daikha to ek chattaan ke upar ek ek wolf khara mehsoos huwa Aarav use theek se daikh bhi nahi paa raha tha, Dikh rahi thi to wo 2 Laal khoon ke liye bhooki ankhe.

f3520725eded697a86809c3705d1a1c2.jpg

[Activating Unique Ability (Will to live)]

[Requirements not met]

[To use the Unique Ability (Will to live) to its full potential, you have to meet its requirements]

[Current Progress (3.8%)]

[Fear Decreased -40%]

[Endurance Increased +10]

[Intelligence Increased +20]

[Strength Increased +10]

[Stamina Increased +10]

[Agility Increased +10]

[All stats return to normal after the Unique Ability (Will To Live) deactivated]
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he guys, thora late ho gya kiu ke update me changes ker raha tha, Update pichle update jaise 3K+ Words ka hai, Abhi storie ka order set ker raha hu shayad next week se 1 hafte me 3 update dene start ker du, Iss liye like aur Reviews de ker mujhe aise he maze ke update dene me madad karte rahiye ga, Next update monday Evening me aye ga ya tuesday Evening me tab tak ke liye, Sayonara (Eid Mubarak)]

D8SEPNrUwAARSMR.jpg
NICE update
 
Awara

Awarapan
164
156
59
UPDATE 1 ~
[THE TUTORIAL TOWER]

Manali
Evening ~ 04:14

*Thud*

"Ye ho gya akhri Sofa" Single Sofe ko neeche rakhte huwe 1 admi ne bola phir usi sofe per baith ker saanse drust karne laga.

"Itne me thak gye Parth? abhi to aur bhi samaan nikalna hai Truck me se" Dusre Adhik umar ke Admi ne table ko rakhte huwe hans ker kaha.

Parth: (sigh) Pata hai pata hai! Ab saans lene to ruk he sakta hu.

"Arey Manohar bhai sahib! Aram se ker lo ap kaam koi baat nahi, Ap ki bhabhi ne chaye banayi hai ye pee lo phir ker lena baki kaam" Ek aur Admi ne haath me chaye pakre kamre ke andar ate huwe kaha.

Manohar: Arrey! Ashwin main ne kab kaha aram ne kare? per Aram karne jitna kaam bhi to kare na pehle akhir paise kis kaam ke leta hai?

Ashwin: Chale koi baat nahi bacha hai abhi wo, kaam to ho jaye ga chaye pee le pehle warna ap ki bhabhi Gussa kare gi.

Ashwin ne chaye ko table per rakhi aur Manohar ko Sofe per baitha dia, Manohar ne bhi aage kuch na kaha aur chup chap chaye peene laga.

Manohar ki umar 35 saal thi uss ka apna Furniture ka kaam tha aur iss waqt wo Furniture Deliver karne aya huwa, Wiase to manohar dukan me kaam karne wale larko ko bhej deta tha lekin ye furniture us ke purane dost Ashwin ke ghar ana tha iss liye wo khud bhi saath aya tha.

Us ke saath us ki dukan me kaam karne wala larka baitha tha Parth, Kaam to karta tha per nakhre bhi bohat the aksar Manohar se us ko daant bhi sun'ni parti thi

Ashwin: Bhai sahib Aarav ko bhi andar ane ko keh dete! Bechara kab se laga huwa hai wo bhi kuch der baith jaye, us ki halat bhi mujhe kuch sahi nahi lag rahi.

Ashwin ne khirki se bahir ek Jawan larke ko October ki thand me kaam karte daikhte huwe kaha

Manohar: (Sigh) Ap ko kia lagta hai? agar use bula sakta to main kiu na bulata? use agar kahe gye bhi to wo nahi aye ga, Yahan se uss ko jaldi kaam pura ker ke dusre kaam per nikalna hai, Iss liye yahan ka kaam wo jaldi niptana chahta hai.

Manohar ne chaya ka khali cup wapis Table per rakhte huwe kaha, Us ki ankho me Mayooshi jhalakne lagi thi maano wo bebas ho is mamle me.

Ashwin: (Frowns) Per iss halat me dusra kaam? Aise agar wo kaam karta raha to wo khud ko koi bara nuksaan pohancha baithe ga.

Manohar: kia kahu Ashwin! Bechare Bache ko kis muh se kahu ke wo aram ker le Maa Bachpan me dono behan bhai aur baap ko chorr gayi, Upar se jo baap tha wo zimedariyo ko nibhane ke kabil he nahi tha, aur akhir main 2 saal pehle wo bhi duniya se chala gaya bache ke sar per 18 saal ki umar me kanwari behan ki zimedari aa gayi iss liye School chorr ker kaam per lag gaya Zindagi itna sab us bache se le ker bhi khush na huwi ke kuch arsa pehle us ki behan ki medical report me Cancer dikh gaya, Sirf stage 2 hone ki wajha se cancer curable to hai lekin paise to us me bhi lagte hai na? ab ye bacha 18 ghante lagatar alag alag jagha per kaam ker ke paise ikathe ker raha hai apni behan ke liye.

Manohar ki baat sun Ashwin ki ankho me Aarav ke liye hamdardi jhalakne lagi, wo daikhne laga kis tarha bina kisi bhi cheez ki parwah kiye 1 jawan larka mehnat ker raha hai

*****

Wanhi bahir Aarav ek ek ker ke sab cheeze truck se bahir rakhne me laga huwa tha, Aarav 20 saal ka ek jawan larka tha us ke kapre purane the use daikh ker he pata lag sakta tha ke wo theek se khana nahi khata us ki ankho ke neeche dark circle ban rahe the der raat tak kaam karne ki wajha se.

8d5f4848f855a9ad2c2a1b78d4facc82.jpg

Sab cheeze bahir rakh ker Aarav Truck se neeche utarne ke liye truck ke kinare per aa gya, Aarav neechhe utarne he laga tha jab achanak us ka paon phisal gaya us ne khud ko bachane ke liye truck ki side ko pakar lia per wahan ek ek keel nikli huwi thi jo seedhi Aarav ke haath per lagi aur us ki hatheli cheer di.

Aarav neeche girte girte bacha lekin us ke haath se khoon behne laga tha, Us ne jaldi se apne haath ki muthi band ker li aur apne dusre haath se apni jeb me rakha romal nikalne laga,Romal nikal ker Aarav ne apne haath per lapait lia.

a3dab1238b32331d2ff0dcc36c7349bf.jpg

Aarav ne dobara haath ki muthi bana li aur upar asman ki taraf daikhte huwe dard ko bardasht karne laga, October ka maheena tha aur Aarav ko mehsoos ho raha tha ke Snowfall hone wali hai.

*ring* *ring*

Abhi Aarav ko khare kuch der he huwi thi ke us ke phone per Call ane lagi Aarav ne apna keypad wala phone nikala jis ko type laga ker apas me jora huwa tha, Aarav ne screen daikhi aur thook nighal ker call attend ker li.

Aarav: Hello!

Caller: Kahan Reh gye larke? yahan hotel me customer ane shuru ho gye aur tumhara kuch pata he nahi hai, 1 ghante me mujhe tum yahan chahiye ho, warna kanhi aur daikh lena kaam.

Saamne se caller ne chilate huwe kaha jo us hotel ka malik tha jahan Aarav ne iss ke baad jana tha, Kaam se nikaalne ka sun ker Aarav ke chehre per pareshani ke bhav aa gye.

Aarav: Sorry! Main aa raha.

Caller ne jawab sun ker Call band ker di, Aarav ne ek lamba saans bhara aur dobara Chair ko uthane laga.

"Aarav" Ghar se bahir nikalte huwe Manohar ne Aarav ko awaz lagayi, Aarav ne saamne daikha to Manohar, Ashwin aur Parth teeno chalte huwe aa rahe the.

Manohar: (Frowns) Aarav ye tumhare haath per kia huwa hai?

Manohar ne aage barh Aarav ka haath pakra aur romal khol ker daikhne laga, Aarav ke haath se khoon lagatar beh raha tha Manohar ne gusse Aarav ki taraf daikha to Aarav ne apna sar jhuka lia.

Parth: Aarav Chal mere saath yanhi paas Clinic hai wahan se Dressing karwa ate hai.

Aarav: Us ki zaroorat nah....!

iss se pehle Aarav apni baat puri karta manohar ne use ghoor ke daikha to Aarav chup ker gaya, Aarav ko pata tha Manohar kabhi kisi per aise gussa nahi hota, Aarav ki use fikar thi wo Aarav ko apne bete ki tarha samajhta tha, iss liye wo Aarav per gussa ker jata tha jis ka Aarav ne bhi kabhi bura nahi mana, Waise bhi Manohar ne Aarav ki bohat madad bhi ki thi mushkil waqt me.

Manohar: Parth isse le ker ja! Aur tu fikar mat ker ye samaan hum rakh le gye Tere paise bhi nahi katu ga. Aur Aarav tere bhi nahi katu ga waise bhi tujhe jitna bhi rok lu to hotel me to jaye ga he? behtar ye he hai teri maram pati hone ke baad aram ker ke jaye

Aarav ko acha to nahi lagta tha aise Manohar se ehsaan lena per Manohar bhi apni jagha sahi tha, Parth ko saath iss liye bheja tha Manohar ne kiu ke agar akele Aarav ko bhejta to wo bina Clinic gye seedha hotel chala jata.

Paarth aur Aarav clinic ke liye nikalne lage jab achanak kale badalo ne pure Asman ko dhak lia, Tez hawa chalne lagi jo sab ke rongte khare ker rahi thi, Sab ne apne paas rakhi cheezo pakar lia.

Sab taraf shor sharaba mach gaya hawa se baraf urne lagi aur Paas ki cheeze dikhni bhi band ho gayi.

Ashwin: (Shouts) Sab ghar ki taraf chalo!

Ashwin ne chilate huwe kaha to sab ghar ki taraf bhaage, Hawaye sab ko peeche ki taraf push ker rahi thi, Sab apne gharo ki taraf bhaagna chah rahe the lekin hawa ki wajha se chalna bhi mushkil ho raha tha.

"Uncle!!!" Manohar ko peeche Aarav ki Awaz ayi

Manohar ne peeche ghoom ker daikha to Aarav ek jagha khara huwa tha, us ke gird ek circle bana huwa tha jis me peele rang ki roshni jagmagah rahi thi, sab kuch dhoondla tha per Aarav ke gird maano halki si hawa tak bhi nahi thi dheeme dheeme wo roshni aag lapto me badalne lagi.

66489e15463b2d31884c8005d1575b5d.gif

Aarav: (Scared) Uncle me hil nahi pa raha apni jagha se!

Aarav ne chilaya Manohar bina kuch soche us ki taraf bhag gaya per jaise he wo Aarav ke kareeb gaya, Un lapto ne mano Manohar ko dhaka de ker peeche gira dia ho, Tabhi Aarav ke saamne hawa me kuch likha aa gaya.

[The tutorial tower can only be entered by certain player]

Lapte Aarav ke gird lipatne lagi, Per wo Aarav ko jala nahi rahi thi, Lekin Aarav tab bhi dar raha tha kiu ke wo bilkul bhi hil nahi pa raha tha, Aarav ki ankho me ansoo aa gye.

Aarav: (Crying) Uncle! main marna nahi chahta, Uncle please mujhe nikal lo yahan se, Please!!!!!!!

Aarav ke ye akhri Lafaz the jab wo aag ek dum se bharki aur khatam ho gayi wahan bachi to tooti huwi zameen, Wahan zameen thar tharane lagi, Manohar bhaag ker wahan gaya jahan Aarav tha lekin Wahan ab kuch nahi tha.

Manohar wanhi zameen per toote pathro ke idhar udhar phenkne laaga maano wahan un pathro ke beech Aarav ko dhoond raha ho, Abhi kuch pal pehle un ke saamne Aarav khara tha Lekin ab wahan us ka namu nishan nahi tha, zameen aur zor se thar tharane lagi to Parth ne aage barh manohar ko pakar ke uthaya to Manohar us se chutne ki koshis karne laga,

Parth: Uncle! khud ko sambhaliye, hume yahan se nikalna ho ga,

Manohar: Kahan jaye! Hum Aarav ko chorr ker kanhi nahi ja rahe, Aarav meri awaz sun raha hai na tu? kahan hai tu?

Manohar ki ankhe bheeg gayi us ki awaz rondhaya gayi, Parth bhi shock me tha lekin wahan ke halat daikh ker use apne emotions side per rakh ker soch samajh ker faisle lene parne the.

Parth Manohar ko kheenchte huwe ghar ke andar le gaya, Aur darwaza lock ker dia, Manohar us se chutne ki koshis karta raha, Aur cheekhte huwe Aarav ko pukarta raha.

Manohar: Aarav!!! Aarav!!!

*****

Charo taraf gehra andhera tha kuch nazar nahi aa raha tha, un lapto me se Aarav seedha iss andhere me aa dooba tha, us ke mann me ek he sawal tha?

"Kia Main Mar Gaya Hu?"

Ye soch ker he Aarav ko khud per gussa ata ja raha tha, use ye bhi nahi pata tha ke wo kaise mara hai? wo aag na to jala rahi thi na garam thi phir wo kaise mar gaya?Aarav ye sab soch he raha tha jab uss ke saamne dobara kuch likha aa gaya

[Welcome, Player]

Aarav: [Frowns] Player ye kia hai? Aur kahan Welcome?

[You must survive in this tower while trying to go back to your world]

0996d1c99db4ef7fefc0279072712fff.jpg
****
644fd0a6b9f663661db357cc0215e686.jpg
[Name- Aarav Arya
Level- 1
Rank- F
Title- None

****

HP- 27
MP- 13
Strength- 22
Agility- 22
Endurance- 23
Stamina- 19
Intelligence- 17

(Stats Points: 0)

****

Skill- 2
[Will to live] ~ [Slash (E)]

****

[Weapon- None]

[
New Quest Available]

42ca8d6d672e8d92ae25fc1080585f50.jpg
[Quest: To complete the quest, you have to kill the orc king, The location of orc king will be given below

(Rewards)
(1) Orc king's Blood Axe
(2) 20 stats point (every party member)
(3) MVP will get Additonal 20 Stats Point
(4) You can go back to home

Time Limit: 7 Days
Quest Failure Penalty:
(Death) ☠️]

[You are now entering the Tutorial Tower]

[Good luck]
.
.
.
.
.
[To ye tha pehla update, Start hamesha mushkil hota hai iss liye iss per bohat waqt laga, Umeed hai ap logo ka pyaar is update per daikhne ko mile ga, Saath bane rahiye ga, Aur like ker ke maze ke Reviews dena mat bhuliye ga, Next Update Wednesday ki shaam ko aa jaye ga tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Interesting
 
Awara

Awarapan
164
156
59
UPDATE 2 ~
[THE PROMISE]

Recap

[You must survive in this tower while trying to go back to your world]

[Name- Aarav Arya
Level- 1
Rank- F
Title- None
****
HP- 27
MP- 13
Strength- 22
Agility- 22
Endurance- 23
Stamina- 19
Intelligence- 17
****
Skill- 2
[Will to live] ~ [Slash (E)]
****
Weapon- None]

[New Quest Available]

[Quest: To complete the quest, you have to kill the orc king, The location of orc king will be given below

(Rewards)
(1) Orc king's Blood Axe
(2) 20 stats points (every party member)
(3) MVP will get Additonal 20 Stats Points
(4) You can go back to home

Time Limit: 7 Days
Quest Failure Penalty:
(Death)☠️]

[You are now entering the Tutorial Tower]

[Good luck]

Ab aage...

Manali
Night~ 11:46 PM

"Sorry Bhayia"

Aarav ke bazoo per sar rakhe leti uss ki behan Urvi ne halke se kaha, Us ki ankho me se ansoo nikalne ko the, Aarav apni socho me gum tha, lekin apni behan ki Runasi Awaz sun us ka dhayan apni behan ki taraf ho gya, Aarav ne us ko laite huwe side se gale laga lia.

Abhi dono hospital se wapis aye the, Urvi ki kuch dino se tabiyat kharab ho rahi thi, har waqt bukhar rehne laga tha jism me bewajah dard uthne laga tha, jis ke chalte Aarav us ko zabardasti hospital le gaya.

Doctor Aarav ke Purane dost ke Papa he the iss liye unho ne fees kam karwa di, Report me to time tha lekin Doctor Shirish ek kabil doctor the, unho ne pehle he apni raye dete huwe keh dia ke ye Cancer ke syptoms hai.

Ye sun Urvi ko khud se zada apni bhai ki fikar hone lagi, kiu ke agar ye sach tha to us ka bhai apni puri koshis karne wala tha apni behan ke ilaaj ke liye.

Pehle he us ki wajha se Aarav ne khud parhai chorr di aur kam ker ke Urvi ko parhane ke liye mehnat ker raha tha, Urvi ke laakh mana karne per bhi wo na maana aur zabardasti urvi ko School bhejta raha.

Urvi ko andaza tha ke us ke bhai ke paas Treatment ke liye paise nahi the, iss liye wo mann ne me dua mangti rahi ke Doctor sirish ka khayal galat sabit ho jaye, per aj jab wo report lene gye aur wahan stage 2 ke cancer ke bare me unhe pata laga to dono ke chehre ke rang Urr gye.

Urvi khud ko tab se sambhale huwi thi lekin apne bhai ke gale lag us ki himmat jawab de gayi aur wo rone lagi.

Urvi: (Crying) Sorry bhayia!

Urvi bus gale lagi roti rahi us ke muh se Sorry ke siwa koi aur lafz nahi nikal raha tha, Apni behan ko yun rota daikh Aarav ne us ko aur zor se baahon me bheench lia.

Aarav: Pagal ho gayi hai kia? Tu kis baat ki mafi maang rahi hai? Ab bimari puch ker thori ati hai.

Aarav khud buri tarha dara huwa tha apni Behan ki halat ke baare me sun ker lekin us ne kabhi apni kamzoor halat apni behan ko nahi dikhayi thi, uss ke liye wo hamesha ek mazboot bhai ki tarha bane rehne ki koshis karta jis ke agosh me us ki behan sab duniya ki takleefo se azad Aram ker sake.

Lekin aj apni behan ko yun rota daikh usse khud takleef ho rahi thi, Aarav ne ek lamba Saans bhara aur kuch pal shaant rehne ke baad chehre per halki muskurahat saja li.

Aarav: Urvi! Hum ne bohat se mushkil waqt ek saath daikhe hai, Maa ke bina zindagi guzarne ka mushkil waqt, Sharab ki aur juwe ki latt ki wajha se papa ke saath wo karze wale dino ke bure waqt, Phir Papa ke chale jane ke baad puri duniya se akele larte huwe waqt, Lekin tujhe pata hai? in sab waqto se main ne kia seekha hai?

Urvi apna sar uthaye apne bhai ki taraf daikhne lagi, Aarav in sab takleefo me bhi chehre per ek muskurahat sajaye baat ker raha tha, Us ka bhai hamesha se aisa he tha, chahe jo bhi ho jaye, Us ke chehre ki ye muskurahat se Urvi ke dil ko rahat mil jati thi.

Aarav: In sab palo me mujhe Ehsaas huwa! Waqt chahe jitna bhi bura kiu na ho us ne guzar he jana hota, jaise ache pal hamesha nahi rehte aur guzar jate hai waise he bure pal bhi guzar jate hai, Mujhe in dono palo me tujh se ek he cheez chahiye.

Us ke bhai ko us se kuch chahiye ye sun Urvi ne apne ansoo saaf kiye aur seedhe ho ker baith gayi, Maano puch rahi ho ke us ke bhai ko us se kia chahiye? Uss ki ye harkat daikh Aarav ki muskurahat aur gehri ho gayi.

Aarav: (sigh) Vishwas! Sirf tera Yaqeen chahiye mujhe, wo yaqeen jis me tere mann me sirf ek baat ho, "Cahahe Jaisa bhi waqt kiu na aa jaye mera bhai sab theek ker sakta hai".

Aarav ki baat sun Urvi ke Chehre per muskurahat aa gayi, kahan wo soch rahi thi us ka bhai pata nahi kia mange ga, per us ka jawab sun us ne khudh ke sar per he haath marr dia, Aarav ne apna haath Urvi ke kareeb ker dia.

Aarav: (Smiles) bata kare gi mujh per aisa Vishwas?

Urvi Apne banhe philaye aage barhi aur apne bhai ko dobara gale laga lia aur us ke gaalo ko chum lia.

Urvi: (Blush) Haan ji! Mujhe ap per pura Vishwas hai.

****

[You are now entering the Tutorial Tower]

[Good luck]

"Ye sab kia ho raha hai?"

Aarav ne chilate huwe kaha, yun Achanak us ke saamne andhere me ye sab likha ane laga, pehle he wo khud ko mara huwa samajh ke dara huwa tha upar se ye us ke saath hone laga tha.

Aarav: (Scared) Koi mujhe bataye ga ye sab kia hai? Hello koi hai kia yahan?

Aarav awaz dene laga ke shayad koi sun le, per kisi ka jawab na sun Aarav mayoos ho gya, tabhi achanak us ko apne neeche wohi cirlcle dobara banta dikhayi dia.

40b79591271d549d5662f3aea696f9e8.jpg

Aarav: (Frightened) Nahi Nahi! Dobara nahi.

Wo circle dobara chamakne laga aur us me se lapte nikli, Aarav ko un lapto ke ilawa kuch aur nazar nahi aya , Aarav ki body ek dum se dabao me aa gayi aur us ke saamne se lapte hatne lagi.

Lapte khatam hote he Aarav ne saamne Daikha to wo ek jungle me khara tha, Jungle jagha jagha se baraf se dhaka huwa tha, yani wo kisi barfile ilaqe me tha, Per Sawal ye tha ke konse barfile ilaqe me?

Aarav: (Frowns) Ye konsi jagh....!

"Where the Fuck I am?"

Iss se pehle Aarav apni baat puri karta us ko peeche se kis larke ki awaz ayi us ne ghoom ker daikha to us ke peeche use kuch log khare dikhayi diye, Aarav tezi se un ki taraf bhaag para.

Aarav: Oye! idhar daikho, main yahan hu.

Aarav bhaag ker un ke paas unhe bulate huwe jane laga, Unhe daikh ker Aarav ko ek umeed ki kiran nazar aa rahi thi, use khushi ho rahi thi wo yahan akela nahi hai, us ke haath se khoon abhi bhi beh raha tha jis ke dard se use khud ke zinda hone ka ehsaas ho raha tha.

"Ochitsuke!"

Un me se ek larke ne Aarav ko daikh ker kahan to Aarav uss ki shakal daikhne laga kiu ke us ka kaha kuch bhi Aarav ko samajh nahi aya tha.

Aarav: (confuse) konsa suke?

Aarav ne dhayan se daikha to wo larka dikhne me chinese lag raha tha, Aarav ne bakiyo ko daikha to baki bhi indian nahi lag rahe the, Wahan Aarav ko mila ker 6 log the 4 larke aur 2 larkiye,

Sab ke chehre per khoof tha waisa he khoof jo Aarav ke chehre per tha, Jis se Aarav ko ehsaas ho gya ke unhe bhi kuch nahi pata aur wo bhi Aarav ki tarha he yahan aye hai, Un sab me sirf wo chinese larka tha jo iss Situation me calm tha Per aisa kiu tha ye pata lagane ke liye us se baat karni zaroori thi, Aarav ne us larke ki taraf ishara karte huwe dheeme lehje me bola.

Aarav: Chinese?

Larka: No Chinese! Japan

[New Skill Available]
4c667003169c909672ac9c07061b37ff.jpg
[Enhanced Language Understanding]

[Capabilities: The user has the ability to understand, decipher and translate any written and typed language into the user's own native tongue, or through subliminal intuition of what by physical communication means. This ability may even employ telepathic faculty, where the psychic energy is read (by hearing or sight) to understand what the message is meant to convey.]

[3 intelligence points will be deducted]

[
(Accept)~(Cancel)]

Apne saamne dobara cheeze likhi daikh Aarav dar gaya, Aarav ne bohat kam parhai ki thi jis ke chalte use English samajh nahi ati thi, Us ne thori bohat jo English sikhi thi to wo Manali me ane wale tourist logo ko bolte sun seekhi thi.

"Accept"

Wo japanese larka ek dum se bola to sab ka dhayan us ki taraf chala gaya, Sab ke chehro per dar saaf daikha ja sakta tha, Us larke ne sab ki taraf nazre ghoomayi aur dobara bola.

Larka: Trust me guys! Just Click on Accept, I will Explain everything later.

Larke ki baat sun Sab ne ek dusre ki taraf daikha jaise ek dusre se puch rahe ho ke kia karna chahiye? Larke ki baat sun ye to sab ko pata chal gaya tha ke sab ke saamne Same cheez he likhi aa rahi hai.

Larka: I'll count to 3! After 3 let's do it together.

Larke ki baat sab ne haan me sar hila dia, kiu ke un ke paas koi aur Raasta bhi nahi tha, abhi tak jo un ke saath huwa tha us ke baare me kisi ko kuch nahi pata tha, Wanhi us japanese larke ki awaz me Confidence tha, to sab ne us per yaqeen karne ka faisla ker lia.

Larka: 3, 2, 1 click!

Larke ke 1 kehte he sab ne hawa me he Accept per ungli maar di, un ko daikh Aarav ne bhi wohi kia, click karte he.

*Aahhh!!*

Sab ke Sar me ek tez dard ki lehar uthi, Maano koi un ke sar ko kisi cheez se cheer raha ho, Sab ghutno ke bal gir gye, Wanhi Aarav seedha barf per gir gaya us ki naak se khoon behne laga, Ankho ke aage Andhera chaane laga.

[3 Intelligence points deducted]

[You have acquired the skill
(Enhanced Language Understanding)]

Ye Notification Aarav ki ankho ke saamne aya aur us ka pura sar ka dard khatam hone laga, Aarav ne apne haatho ko neeche rakha aur un per zor de ker uthna chaha, tabhi use us ke gale me se ulti upar ati mehsoos huwi, Jis ko us ne bahir udhel dia, aur wanhi ghutno ke bal baitha khanste huwe lambi lambi saanse bharne laga.

*Cough* *Cough*

*huh* *huh*

"Kuch behtar mehsoos huwa kia?"

Aarav ke kaano me awaz ayi to us ne sar utha ker daikha ye wohi Japanese larka tha, Lekin us ki hindi sun Aarav heran ho gya, Abhi kuch lamhe pehle is larke se English bhi nahi boli ja rahi thi, Lekin ab hindi aise bol raha tha mano Mumbai me he puri zindagi guzari ho us ne, Us larke ko bhi jaise Aarav ki herani ki wajha samajh aa gayi thi.

Larka: (Chuckle) Heran mat ho! Sab Samjhata hu pehle khare ho jao.

Larke ne apna haath aage barhaya to Aarav us ke haath ka sahara le ker khara ho gya, Sab logo ki halat Aarav se kuch khaas alag nahi thi, Sab lambi lambi saanse bhar rahe the unki ankhe laal ho rahi thi puri, Wanhi 1 larki ki halat un sab se behtar thi, sar me us ke bhi dard tha lekin bakiyo ki tarha us ne ulti nahi ki thi.

Japanese larka: Great! Lagta hai tumhari Intelligence bohat high hai, Kitne points hai Intelligence me tumhare?

Larke ne larki ki taraf haath barhate huwe kaha, jis ko us larki ne side per ker dia aur khud apne sahare khari ho gayi, aur garajti nazar larke per daal ke boli.

Larki: 72!

Larka: Damn! Koi shak nahi tum per itna faraq kiu nahi para.

Un ki baate sun baki sab jo khamoosh the un me se ek larka gusse se bol he para.

Larka 2: (annoyed) Agar tumhari baate ho gayi ho to batana chaho gye ke yahan ye sab kia chal raha hai?

Larka: Oops, Sorry! to main apne naam se shuru karta hu, mera naam Daisuke takahashi hai, main Japan PSIA (Public Security Intelligence Agency) Agent hu, Waise baki sab bhi agar apna naam bata dete to aage baat karna Easy hota.

8d0ce44ed3d3cb0c74e96d9747b71cce.jpg

Sab ka muh Daisuke Ke PSIA agent hone se he khul gaya, Lekin un ke saath jo kuch ho chuka tha us ke saamne ye kuch nahi tha.

Koi bhi pehal nahi ker raha tha sab khamoosh khare ek dusre ko daikh rahe the, Jab kuch der koi kuch nahi bola to Aarav apna introduction dene ke liye aage ho gya.

Aarav: (Awkward) Hello! Mera Naam Aarav hai, Main India, Manali se hu, Aur mujhe kuch nahi pata yahan kia ho raha hai.

"Andrew! Main nigeria se hu, Ek Army Officer, aur mujhe bhi nahi pata ye sab kia hai"
0af66c3a91101bbc5b0df5278a323213.jpg

Un me se ek aur Admi bola dikhne me wo kafi mazboot insaan lag raha tha 34 ke paas to lag rahi thi us ki age, us ke upar Army ki job sahi bhi lag rahi thi.

"Hi! Isabelle Adjani here, Main France se hu ek doctor."

1a230a83b8213ce4d267e4fee39962f4.jpg

Dusri larki ne apna introduction dete huwe kaha, Isabelle ek Heart specalist thi Surgery Department me, Dikhne me khubsoorat thi.

"Seriously! Hum sach me iss waqt ye ker rahe hai, Hum nursery School me nahi hai jo introduction, Hume yahan se wapis jane ke baare me sochna chahiye, Agar Wapis jaane ka Raasta pata hai to batao? pata hai mujhe kitni mushkil ho rahi hai thand me?"

Daisuke: (Smirk) Got It! AP ke pita ji kisi Bari company ke owner hai right?

Larka: Wait! Tumhe kais....Wait Wait, Ye sab planning thi, Oh my god main kaise tumhari baato me aa gaya? *Huh* Batao kitne Paise chahiye tumhe, Mere Dad muh per maar de gye tumhare paise bus Keemat bolo, batao kitne chahiye? Bloody Cheap Bastards.

Daisuke: Beta ji baat suno, Sab se pehle to Baap ke paiso per itna nahi urte, Dusri baat hum yahan koi tumhe kidnap ker ke nahi laye, Saath rehna hai to raho warna Ja sakte ho jahan jana chaho.

Larka: Youuu!

Andrew: Kid! Abhi larne ka waqt nahi hai, Aur naam batane se tumhara koi nuksan nahi hone wala, Just trust us.

Larke ko gussa to aa raha tha per Andrew ki baat bhi sahi thi Naam batane se kisi ka nuksaan nahi ho raha tha.

Larka: (Tsk) Vansh Sayani.

9a022009d7e23c16f30e758272d478bc.jpg

Itna bol ker Vansh chup ho gya kisi aur ne bhi use cherna sahi nahi samjha, aur unho ne aage barhna he sahi samjha.

"Kim Yoo-Jung! 19 Years old,From south Korea, Student, Also in Archery team"

Yoo-Jung ne apna introduction dia aur dobara chup ker ke khari ho gayi, Abhi tak Unho ne Yoo-Jung ka chehra nahi daikha tha kiu ke us ne mask laga ke rakha tha, Us ke kandhe per Bow aur Arrows bhi the jaise wo yahan ane se pehle Shooting practice he ker rahi thi.

6dd4cc4cdb97e00ab0ba7bf5d687bd6f.jpg

Daisuke: Good! Sab ka Inroduction ho gya ab mujhe bhi samjhane me Easy ho ga, to hum PSIA wale pichle 2 Saal se ek case per kaam ker rahe, balke ye kehna sahi ho ga pure world ki intelligence force ek case per kaam ker rahi hai,2 Saal pehle Achanak 6 Log alag alag countries se achanak gayab ho gye, Jaise hum sab Achanak gayab ho gye, After 29 Days un me se sirf 4 wapis aye, Un ke parents aur relatives ne police Report bhi karwayi Police ne simply Human Trafficking ka case samjha isse, But Intteligence ka dhayan un per tab gaya Jab baki 4 logo me achanak supernatural powers dikhi.

Vansh: What! matlab kuch bhi, Apni taraf se banate ja rahe ho sab kuch.

Daisuke: Exactly! Mujhe iss Reaction ki he umeed thi iss liye main ne sab ko pehle Skill Accept karne ko kaha, Tumhe khud experience karne ke baad bhi yaqeen nahi ho raha, khud Socho tum 6 Alag Countires ki language Achanak se kaise samajh pa rahe ho?

Daisuke ki baat sab ke mann Se shak khatam ho gya wanhi vansh ne sirf gusse se apna muh pherr liya.

Daisuke: Continuing! Un supernatural Powers ko daikh Intelligence ka Dhayan un per Gaya...........

*Grrrrr*

Iss se pehle ke daisuke apni baat aage barhata tez gurahat ne sab ke rongte khare ker diye, Awaz itni unchi thi ke dur se bhi us ko saaf sun sakte the.

Daisuke: (Frightened) Everyone! Please Calm down.

Daisuke ne kehte huwe halke se ghoomna shuru kia, Saamne ka nazara daikh Daisuke ke bhi pair kaanp uthe, Un ke saamne iss waqt 30 ke kareeb Wolves gura rahe the, Lekin ye cheez unhe dara rahi thi, Inhe dara raha tha un ka size, Ek ek Wolf size me Normal Wolf se Triple tha.

144719361554407b3c430d8e979e4809.jpg

Daisuke: (Gulp) Koi koshis bhi mat karna! Ye normal wolf nahi hai Demon Wolf hai, sirf 1 se larna he mushkil hai hamare liye.

Isabelle: (Scared) To....To....Toooo....Hum kia kare ab?

Daisuke: Wait! mere signal per sab bhaage gye.

Daisuke ne ishara de ker un sab ko roka, Wolf me se ek chalte huwe un ki taraf ane laga dheeme dheeme wo bhagne laga us ke saath baki sab bhi in sab ki taraf bhaage.

ee0e33a5450d686c162eb822a52963bc.jpg

*Kabooom*

Daisuke ne ek Gernade jis ko us ne pehle he unpin ker dia tha sahi waqt per wolf ki taraf phenk dia.

Daisuke: Runnnn!!!!

Daisuke ka ishara milte he sab dusri taraf bhagne lage, Wo sab kisi pahar ke upar the jis ki wajha se un ke peeche Dhalan aa gayi jis per wo Tezi se bhaag paa rahe the, per sirf Ek galti Aur wo usi Dhalan per ghoomate huwe Wolves ka shikar ban sakte the.

Daisuke: (Shouts) Sab log bina peeche daikhe seedhe bhaago!

Vansh: Hume aur kitni der bhaagna ho ga?

Daisuke: Pata nahi!!! Pehli baat to ye wolves yahan hone he nahi chahiye the, Map ke hisaab se in ka Den hum se bohat Distance per tha, Phir in wolves ko yahan konsi cheez kheench layi?

*Blood*

Aarav ke zehan me achanak click huwa, Aarav ke haath se khoon beh raha tha aur wolves khoon door se he soongh sakte the.

Aarav: Kia meri wajha se?

Aarav ko jaise he iss cheez ka ehsaas huwa use khud per gussa ane laga, Isse Confirm karne ka ek he raasta tha Aarav bhaagte huwe Bakiyo se alag hone laga aur jaisa uss ne socha tha waise he mostly Wolves bakiyo ko chorr ker us ki taraf bhaagne lage.

Daisuke: Aaaaarav!!!

Daisuke ne Aarav ko alag hote daikha to us ne us ko wapis bulana chaha per Aarav bina kuch sune bhaagta raha, Daisuke ne khud Aarav ke paas jana chaha per beech me bohat zada Wolves the jis wajha se wo us taraf na ja saka.

*Swish*

Achanak ek Arrow Daisuke ke saamne se hote Aarav ke peeche bhag rahe wolves ki taraf gaya jis ko wolves ne dodge ker lia, Daisuke ne Side per daikha to Yoo-Jung Bhaagte huwe lagatar Arrows Wolves ki taraf chalati ja rahi thi.

Daisuke ko us ki bhi fikar ho rahi thi aise Arrows chalate huwe bhaagna Khatrnak tha, Daisuke ko apni taraf daikhta daikh Us ne ankho se he ishara ker dia Maano keh rahi ho ke wo ye ker sakti hai, Jis per Daisuke bhi seedhe bhaagne laga.

Daisuke: I'll Freakin' Kill you if any of you die!

Wanhi Jab Aarav ne apni taraf Arrows ate daikhe to us ke chehre per halki si muskurahat aa gayi, Arrows ko dodge karne ki wajha se Wolves ki speed slow ho rahi thi jis se Aarav ko distance barhane ka moka mil raha tha.

Per ye khushi kuch palo ki he thi, bhaagte huwe Aarav ko apne saamne ek khayi dikhi, Khayi daikh ker Aarav apne Kadmo per zor dete huwe ruka.

*Grrrr*

Per Us ke rukte he ek wolf Aarav per kud para aur us ne Aarav ke kandhe per apne daant gara diye jis Aarav ka balance kharab huwa aur wo larkharate huwe seedhe khayi me gir gaya.

Aarav: i'm Sorry!!!!! Urvi.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he guys, Umeed karta hu ap logo ko update pasand aye ga, Pichle update per ap logo ne bohat pyaar diya jis ke chalte main ne iss update ki length barha di hai, Umeed hai iss update per bhi ap logo ka Pyaar daikhne ko mile ga, Next Update Saturday Evening ko tab tak ke liye, Sayonara!]
Ab arav kese bache ga 😱
 
Top