• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?

  • Total voters
    324

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
1,955
21,742
144
Schedule
UPDATE#
DATE​
Update 117​
November 28th 11:30 PM​
Update 118​
December 4th 11:30 PM​
Update 119​
December 8th 11:30 PM​
Update 120​
December 12th 11:30 PM​
Update 121​
December 17th 11:30 PM​
 
navrose

Member
403
243
43
UPDATE 10 ~
(Departure)

AARAV HOUSE
Manali ~ 9:24 AM

*Click* *Click*

“Ye ho gya mera pura Suitcase tayar!!!”

Urvi apne Suitcase ke lock ko band karte huwe khud se kaha, Suitcase pura tayar ker ke wo neeche biche huwe gadde per baith gayi aur rest karne lagi, Aj un me jaane ka din tha

Urvi wanhi baithe apne kamre ke kone kone ko daikh rahi thi, Ye he kamra tha jahan wo pichle 12 Saal se reh rahi thi apne bhai aur Papa ke saath, Lekin aj wo ye sab peeche chorr ker jaane wale the.

Na-Jane kitni yaade Kaid thi iss ghar me unn ki, Ye koi bara ghar nahi tha sirf 1 kamre wala ghar tha lekin dono behan bhai ke liye ye kisi mehal se kam nahi tha, Pura din jab apne kaamo se thak ker wapis ghar ate to yanhi un ko sab se zada sakoon milta tha.

*Knock* *Knock*

Kamre ke darwaze per dastak huwi to Urvi apne khayalo se baahir aa gayi, Darwaze per Aarav khara apni behan ko daikh raha tha, Uss ko daikh Urvi ne muskurate huwe side per ho ker Aarav ko jagha di jahan Aarav aa ker baith gaya.

Urvi apne bhai ke baazo se lag apna sar uss ke kandhe per rakh ker baith gayi-

Urvi: (Softly) Aj iss ghar ko bhi chorr ker ja rahe hai hum???

Aarav: (Nod) Jana to pare ga! Zindagi chalte rehne ka naam he hai.

Urvi: Ek baar Maa ki yaado ko peeche chorr ker Uss ghar se nikal gye the, Aj itne waqt baad wohi dard ho raha hai to ajeeb lag raha hai.

Urvi ki baat sun Aarav ne ek lambi saans bhari aur uss ke saamne wo pal aa gye jab wo apna purana ghar chorr ker yahan aye the apne Pita ke saath-

Aarav: Yaade jagha ya cheezo me nahi hoti Urvi!!! Jo hamari khubsoorat yaade hoti hai wo hamare dil me hoti hai, Jab tak wo yaade dil me hai tab tak Jagha aur Cheeze mayine nahi rakhte.

Aarav ki baat sun Urvi uss ke baazo ko aur zor se jakarne lagi, Aj bhi hamesha ki tarha Urvi ki mushkilo ka jawab Aarav ke paas tha, Lekin abhi bhi Urvi ke chehre per udaasi thi jis ko Aarav bhaanp pa raha tha.

Aarav: (Chuckle) Waise yanhi per tu apne School ki larkiyo ko tution deti thi na!!!

Urvi ki Udaasi ek pal me uran chuu ho gayi aur uss ke chehre per herani chaa gayi, Aarav se alag hote huwe wo usse herani se daikhne lagi

Urvi (Shocked): Ap ko kaise pata?

Aarav: (Smirk) Tujhe kia laga tha? tu mujh se chupa ker ghar me tution de gi aur mujhe pata nahi chale ga! Abhi tujhe bohat lambi zindagi jeeni pare gi mujh se kuch chupane ke liye.

Aarav ne halki muskurahat se kaha wanhi Urvi ke gaal sharam se laal ho gye kahan wo soch rahi thi ke wo kaise geniuse ki tarha Tution aur ghar ke kaamo ki timing manage ker ke apne bhai se sab kuch ache se chupa rahi thi.

Wanhi Aarav pehle se he sab kuch jaanta tha, Urvi apne haatho ke mukke bana Aarav ke upar baras pari Aarav wanhi gira sirf hansta raha, Apni behan ke chehre se udaasi khatam ker usse thora sakoon mila tha.

Abhi tak Aarav ne Urvi ko ye nahi bataya tha ke 1 Maheene baad wo dobara usse chorr ker khatre ke muh me jaane wala hak, Urvi ko sirf ye pata tha ke Aarav ko new job mili hai jis se wo Urvi ka treatment Easily karwa sakta hai.

Aarav ne Urvi ka haath pakra aur usse kheenchte huwe apni banho me jakar lia-

Aarav: Aise he hansti rehna hamesha! Ab sab kuch theek ho jaye ga, America me tu bilkul theek bhi ho jaye gi phir wanhi ek ache se medical college me parh ker tu Doctor ban jaye gi, Phir main Araam se apni doctor behan ke paiso per Ayaashi karu ga.

Aarav ne akhri baat mazak me kahi jis per Urvi bhi hansne lagi, Ek mushkil hafte ke baad Zindagi me dobara sab kuch acha hone laga tha Urvi sirf prarthana ker rahi thi sab kuch aise he chalta rahe

“Darling!!!”

Kamre ke baahir se awaz ayi to dono apne khayalo se baahir aa gye-

Urvi: (Chuckle) Lo aa gayi Shetaan!

Urvi ne khare hote huwe kaha to Aarav bhi khare ho gaya aur Urvi ke saath baahir aa gaya, Un ke saamne he ek choti larki khari huwi thi.

Aarav: (Whisper) Mujhe he lag raha hai ya phir Sach me aj gusse me ho ye?

Aarav ne Urvi ke kaan me khus-phusate huwe kaha, Abhi wo baat ker he raha tha ke wo larki gusse me Aarav ke kareeb aa gayi aur Aarav ke chutki kaatne lagi.

Aarav: Ouch! ye kis liye bhala?

Larki: Huh! Pura hafta gayab rahe ho aur mujh se puch rahe ho ke ye kis liye hai? Kahan gayab the ap?

Larki ne muh phulate huwe kaha, Ye Akanksha thi Manohar ki beti shuru se he uss ki Aarav aur Urvi se bohat banti thi jis ki wajha se wo un se apni saari zid puri karwati thi.

Aarav: Haye! Main kitni bari galti ker gaya iss baar maaf ker do next time se tumhe bata ker jao ga.

Aarav bhi darne ka halka natak karte huwe bola, Akanksha apni hansi control karne ki koshis ker rahi thi lekin wo uss me asafal rahi aur apne muh per haath rakh hansne lagi.

Akanksha: Kitne bare natakiye ho ap! Iss baar chorr rahi hu, Lekin yaad rahe jab main hamari shadi ho jaye gi uss ke baad aisa kuch nahi karne du gi.

Akanksha apni kamar per haath rakhte hiwe nakli gussa sajaye boli, Bachpan se he uss ne apni zindagi me sirf 2 mardo ko sab se ahem mana tha 1 uss ke pita jinho ne uss ko sehzadi ki tarha pala tha, Aur dusra Aarav-

Akanksha aksar kehti rehti ke wo bare hone ke baad Aarav se shadi kare gyi, Uss ki wo masomiyat daikh sab ke dil pighal jate aur wo bhi usse chirhane lag jate.

Urvi: (Chuckle) Phir decide ho gya! Hum dono mil ker bhayia ki class lia kare gye.

Urvi ki baat sun Akanksha ne uss ke haath per taali de di-

*Knock* *Knock*

Darwaze per dobara dastak huwi aur Manohar andar aa gaya, Aarav ne Urvi ko ishara kia to wo Akanksha ko le ker kamre me chali gayi-

Manohar: Kia baate ho rahi thi?

Aarav: Kuch nahi bus Akanksha class le rahi thi meri-

Aarav ki baat sun Manohar halke se muskura dia, Phir uss ne apne haath me pakre ek kagaz ko Aarav ki taraf ker dia jis ko Aarav ne pakar lia.

Manohar: Ghar ke paise tere account me transfer ker diye hai!

Aarav yahan se jaane wala tha to wo fazool me ghar khali nahi chorna chahta tha, Iss liye Aarav ne Manohar se ghar baichne ke liye kaha Manohar uss ki baat se khush nahi tha.

Kuch der shanti se sochne ke baad Manohar ne Aarav ko apna faisla suna dia-

“Tu baich main khareedta hu”

Aarav chah ker bhi mana nahi ker sakta tha, Kiu ke uss ko urgent me ghar baichna tha aur itni jaldi sab kuch hona mushkil tha iss liye wo Manohar ke faisle ko chup ker ke maan gaya.

Aarav: Thank You Uncle!

Aarav apne haath me pakri receipt ko parhte huwe dheeme se bola, Manohar ne Ghar ke jitne paise bante the uss se kuch zada he diye the-

Manohar: Thank You rakh apne paas! Mujhe tera Thank You nahi chahiye bus wada chahiye ke sab kuch sahi ho jane ke baad tu wapis aya kare ga.

Manohar Aarav ke kandhe ko pakar apne gale se lagate huwe bola, Aarav ko yun bhejna uss ke liye Asaan nahi tha Aarav ki fikar abhi bhi usse sata rahi thi.

Aarav se alag hone ke baad Manohar ne apne jeb me haath dala aur ek Smart phone Aarav ko pakra dia-

Aarav: Uncle iss ki kia zaroorat thi?

Manohar: Tujhe kaha na kuch mat bol! Chup ker ke apne paas rakh le, Waise bhi ye meri taraf se nahi Akanksha ki taraf se hai, Tum dono ke jaane se bohat udaas hai wo dikha nahi rahi lekin ghar per roo rahi thi, Zid ker ye mobile le to lia lekin khud tujhe dene ki himmat nahi thi to mujhe dene ko keh dia.

Aarav itne pyaar se diye Gift ko mana nahi ker sakta tha, Udaas wo bhi tha aise sab ko chorr ke jane per lekin ye zaroori tha kanhi pohanchne ke liye kanhi se nikalna he parta hai.

Kuch der Aarav yun he Manohar se baat karta raha, Parth aur Divya bhi aa gye jo dono ko Airport chorne jaane wale the Manohar dukan ka bahana bana ker ruk gaya aur Akanksha bhi tabiyat kharab hone ka keh ker ruk gayi.

Adarsh sab Passport, Ticket urgent me karwa ker unhe de ker wapis ja chuka tha, Lekin abhi un ki Manzil Adarsh ka ghar nahi tha, Sab sharto me ek shart Aarav ne aur rakhi thi ke America jaane se pehle usse ek aur jagha jana tha.

****

Murtala Muhammed International Airport
Nigeria ~ 12:39 PM

“Ye paani pee le!”

Aarav ne ek paani ki bottle Urvi ko dete huwe kaha, 8 Ghante ke safar ke baad un ki flight land ho gayi thi lekin itne lambe safar ke baad Urvi ko Jet Lag ho rahe the, Wanhi ek Air hostess se puch ker Aarav Urvi ko ek jagha baitha ker paani peela raha tha.

Lekin Urvi ki puri body me thakan aur pet me dard hone laga tha, Aarav Urvi ka haath pakarte huwe usse le ker baahir aa gaya.

Urvi ko ek jagha baitha ker Aarav ne apna samaan le lia aur Urvi ke saath baahir aa gaya-

“Mr. Aarav?”

Aarav ko saamne he ek Admi haath me uss ke naam ka board liye khara dikh gaya, Wo bhi Aarav ko daikhte he pehchan gaya, Adarsh ne Aarav ke liye yahan sab ko set ker dia tha aur ek Jack naam ke bande ko un ki sab zaroorat ka khayal rakhne ko keh dia.

Dono ko baahir ata daikh Jack ne aage barh un se baggage Cart pakar li-

Jack: Mr. Aarav ap sab se pehle kidhar jana chahe gye?

Aarav: Meri behan ki halat kuch theek nahi hai! Sab se pehle hume rest karne ke liye kanhi jana hai.

Jack: Ok to hum pehle ap ke stay ke liye jahan sab kuch tayar kia hai wahan chalte hai?

Jack ne Aarav se pucha jis ke hami milte he wo unhe baahir le gaya aur Parking se apni Car la ker uss me unhe le ker nikal gaya, Lagos ek bara sehar tha unhe apni destination me pohanchne me 25 Minute lag gye.

Ye ghar Adarsh ne yahan ane per stay ke liye banwaya tha, Lekin phir bhi Aarav ke ghar se ye ghar bhi bohat bara aur sundar tha.

6963d538f8c211ad03f7cf3ee815d2ff.jpg

Aarav aur Urvi dono he iss ghar ko daikh ker ek he baat soch rahe the, Agar ye ghar itna bara hai to wo ghar kaisa ho ga jahan Adarsh khud rehta hai.

Ghar ke baahir he 2 ladies servants ne un ka sawagat kia, Urvi ko daikh foran situation samajh ker unho ne uss ko sambhal lia, Servants ke kaamo me professionalism bohat ache se jhalak raha tha.

Sawagat karte waqt un ke chehre per ek muskurahat thi lekin Urvi ko daikhte he wo Muskurahat pareshani me badal gayi thi, Urvi ko ek kamre me bed per laita ker unho ne AC ka temperature set ker dia.

AC bilkul Manali ke temperature ke hisaab se set huwa tha, Kuch waqt he huwa tha ke Jack ek doctor ko le aya jo Urvi ko check karne laga.

Aarav: Sab kuch theek to hai na Doctor?

Aarav jo tab se Urvi ki halat se pareshaan tha ab uss ko aur bhi fikar hone lagi thi, Doctor ne apna kaam kia aur Urvi ke kamre se baahir aa gaya.

Doctor: Pareshaan hone ki koi baat nahi hai, Sirf Normal jet lag ki wajha se unhe thori mushkil ho rahi hai Unhe abhi rest karne de time zone Achanak change huwa hai to unhe adjust hone me kuch waqt chahiye, Extreme jet lag nahi hai 1 ya 2 din ke andar un ke recover hone ke chances hai.

Doctor ne kuch aur instructions Servants ko de diye Jin ko unho ne ache se samajh lia, Sab kuch samjha ker doctor wahan se chala gaya.

Servant 1: Sir ap ke liye khana tayar hai! Ap abhi khana chahe gye kia?

Aarav: Main Urvi ke saath he khana khao ga!

Aarav ki baat sunte he dono khane mo kamre me laane ki tayari karne lagi, Aarav bhi khud ko fresh karne ke liye bathroom chala gaya aur apna muh haath dhone laga.

Muh dhone ke baad Aarav seeshe me khud ko daikhne laga, Aarav ki ankhe halki chamak rahi thi Aarav ne apne ungli se apni ankh me pehne lens ko nikal dia.

Aarav: Ye bhi toot gaya!

Aarav lens ko daikhte huwe bola jo damage tha, Aarav dobara seeshe me apni ankho ko daikhta hai jo Neele rang me chamak rahi thi, Aarav jab se wapis aya tha uss ki ankhe aisi he thi.

Pehle to sab Aarav ko theek daikh ker khushi se kuch nahi bole, Lekin jab sab ne khusiye mana li to Urvi ne Aarav ko bataya ke uss ki ankhe neele rang se chamak rahi hai.

Aarav ko khud kuch nahi pata tha iss baare me, Daisuke se baat karne per unho ne ek andaza lagaya ke shayad ye ankhe Alpha ki prowess ko aur bhi kholne ki wajha se badli hai, Alpha ki ankhe Laal thi lekin Aarav ki Neeli thi.

Uss ki ankhe normal na hone ki wajha se Manohar ne usse ek normal lens banwa ker dia tha, Lekin uss chamak se lens bhi damage ho chuka tha-

Aarav: Mujhe apni ankhe control karne ho gi!

Aarav ne khud se kaha aur apne ankho ko waapis badalne ki koshis karne laga lekin wo Abhi bhi waise he chamak rahi thi, Jab kuch der tak koshis karne ke baad bhi kuch nahi huwa to Aarav ankho per Black Glasses laga ker baahir aa gaya.

****

“Saamne taxi ke paas khare Admi ke paas Car le jao!”

Aarav ne apne saath wali seat per baithe drive ker rahe jack se kaha to uss ne Car ko taxi paas ker ke park ker dia, Aarav baahir nikla uss ke saamne Taxi ke paas Daisuke khara taxi wale ko pay ker raha tha.

Aarav ko daikhte he wo uss ke paas aa gaya-

Daisuke: Akhir mil he gye hum iss duniya me bhi!

Daisuke ne hanste huwe kaha to Aarav bhi uss ki baat per muskura dia, Aarav ne jack ko ishara kia to Jack car le ker wahan se nikal gaya.

Aarav: (Sigh) Iss kaam ko kaise chorr sakta tha! Ana to parna he tha mujhe.

Aarav ka dil ghabrane laga tha, Itna lamba safar ker ke wo yahan aa to gye the lekin ab jab wo yahan pohanch gye the to Aarav ki himmat jawab dene lagi thi.

Daisuke: Phir chalte hai Andar!

Daisuke ne Aarav ki taraf daikhte huwe bola to Aarav ne sar hila ker hami bhar di, Dono uss ghar ki taraf barhne lage lekin har kadam ke saath Aarav ke kadam bhaari hote ja rahe the-

Aarav apne haatho se apni shirt pakar apni Anxiety chupana chah raha tha lekin chupa nahi paa raha tha, Akhir Aarav ke kadam ruk gye aur wo wanhi khara ho gya, Apne saath Aarav ko Na chalta daikh Daisuke ne peeche ghoom Aarav ko ruke daikha to wo uss ke paas aa gaya.

Daisuke: Khare kiu ho gye ho? Chalo andar chale!

Daisuke ne Aarav ko hilate huwe kaha lekin Aarav chup khara apne saamne us ghar ko daikhta ja raha tha, Ek chota sa ghar jo zada fancy nahi tha lekin khubsoorat tha.

Aarav: I can't do this! Mere haath pair mera saath nahi de rahe Daisuke.

Aarav ne Ronasi Awaz me kaha to Daisuke ko bhi Aarav ke liye bura lagne laga, Aarav wanhi neeche apna sar pakar ker baith gaya jin cheezo ko wo ab tak yaad karne se bach raha tha wo sab uss ke saamne kisi film ki tarha chal raha tha.

Andrew ke akhri pal! Andrew jis ne Aarav ki jaan bachane ke liye khud ki jaan kho di, Aarav abhi khud ko maaf nahi ker saka tha wo apna sar pakre khud ko koos raha tha ke akhir kiu uss waqt uss ne Andrew ki baat nahi mani?

“Aarav bina soche aage mat barho!!!”

Andrew ne saaf saaf Aarav ko aage barhne se roka tha, Lekin lagatar larayi jeetne ki wajha se garoor me aye Aarav me sun'ne ke baad bhi usse unsuna ker dia aur aage barha jis ke nateeje me Andrew ko apni zindagi gavani pari.

Aarav: (Sobbing) Akhir kis muh se Andrew ki family ki batao ga main? Ke meri wajha se Andrew ko marna para? Ke main he hu jis-

*Chataak*

Aarav abhi bol he raha tha ke Daisuke ne ek zordar jhapar Aarav ke gaal per jhar dia, Aarav herani se apne saamne baithe Daisuke ko daikhne laga.

Daisuke: Aarav tum ab koi bache nahi ho, Jo tumhe sahi galat seekhana pare mujhe! Iss waqt tum Na sirf khud ko ilzaam de rahe ho saath me ek soldier ki zindagi ka Apamaan bhi ker rahe ho.

Daisuke ke chehre per gussa tha jo aj tak Aarav ne nahi daikha tha, Daisuke hamesha calm aur soch samajh ker faisle lene wala insaan tha, Lekin iss lamhe wo bilkul alag insaan he lag raha tha.

Daisuke: Andrew tumhari wajha se nahi tumhare liye mara tha! Ek soldier ne apni zindagi khoyi apni duty pura karte huwe lekin tum yahan khud ko ilzaam de ker uss ka Apamaan ker rahe ho.

Aarav: Lekin-

Daisuke: (Angry) Chup! Ek soldier apni puri zindagi iss pal ke liye jeeta hai kab wo apni duty nibhate huwe apne akhri pal jiye ga, Lekin tum un palo ko apni galti ka Naam de rahe ho, Yaad karo wo pal jab tum sab ki zindagi bachane ke liye khud sab Demon Wolves ko apne saath le ker uss khayi me kud gye the, Agar wahan tum marr jaate to hum bhi iss ke liye puri zindagi khud ko ilzaam dete kia?

Daisuke ne Aarav ko daant lagate huwe kaha aur usse uss ke apne pal yaad karwa diye, Uss waqt Aarav kisi ko apni moat ka zimedar nahi samajh raha tha sirf un sab ko bachane ke baare me sochte huwe sab Demon wolves ko le ker uss khayi me kud gaya tha-

Aarav: (Sofly) Sorry!

Aarav ne maafi maangi to Daisuke bhi shaant hone laga, Uss ke lafz sakht the lekin Sach the Ek soldier ke liye wo pal sab se zaroori hote hai jahan wo sirf saamne wale ko bachana chahta hota hai, Aur jab wo saamne wala bach jaye to wo khushi aoni zindagi ko khone ke ghum se zada hoti thi.

Daisuke: Ab aise muh bana ker yahan mat baith! Ek soldier ban aur mere saath chal apni duty nibhane.

Daisuke ne haath aage barhate huwe kaha, Aarav bhi uss ka haath pakar ker khara ho gya, Aarav ke liye ye pal mushkil the lekin usse in ka saamna karna he tha.

Dono chalte huwe darwaze per gye aur ek baar ek dusre ki taraf daikh darwaze per dastak de dete hai, Kuch Pal ki khamooshi ke baad andar se lock khulne ki awaz ane lagi aur dono khud ko Mazboot ker ke khare ho jate hai.

Darwaza khula aur un ke saamne ek Aurat chehre per muskurahat liye khari thi, Apne saamne 2 anjaan logo ko daikh pehle uss ne pehchanne ki koshis ki lekin jab nahi pehchan saki to uss ne puch lia.

Lady: Kis se milna hai ap ko?

Daisuke (Respectfully): Mr. Andrew Yakubu ka ghar ye he hai?

Lady: (Nod) Haan ji! Main un ki wife hu! Becca Yakubu, Lekin mere husband iss waqt duty per hai.

Daisuke: Mera Naam Daisuke hai! Japanese Intelligence Officer Aur mere saath khara larka mera partner hai Aarav, hamare paas ap ke liye kuch hai.

Daisuke ne apne ap ko introduce karwaya aur Aarav ko Aage barhne ka ishara ker dia, Becca herani se dono ko daikh rahi thi Aarav ne apni jeb me haath daal ek letter nikal becca ki taraf barha dia.

Aarav ke haath kaanp rahe the Becca ne uss ke haath se letter le lia, Letter ke upar likhi writing parhte he uss ne darwaze ko pakar ker khud ko girne se bachaya.

Becca: (Wheep) Is he dead?

Becca ne akhri umeed bhari nazro se Aarav ki taraf daikhte huwe pucha, Aarav kuch bhi na keh saka sirf apni nazre jhuka ker khara ho gya, Becca ka haath apne muh per chala gaya wo apni roti huwi awaz dabane ki koshis ker rahi thi.

Becca apne haath me letter ko jakre khari khud ko shaant karna chah rahi thi lekin ye uss ke liye bohat mushkil tha, Becca ne thore side per ho ker unge raasta dia to dono andar aa gye un ko hall me baitha ker wo khud Bathroom me chali gayi.

“Peeche hato mujhe Bhi daikhne do!”

Aarav aur Daisuke apne paas darwaze ke peeche se bacho ki awaz sun sakte the, Wahan 3 bache darwaze ke peeche chup ker un dono ko daikh rahe the, Dono un sab ke foreigner the jo roz unhe daikhne ko nahi milte the.

Kuch der baad Becca Bathroom se baahir aa gayi, Uss ne apne ap ko fresh ker lia tha lekin uss ki ankhe abhi bhi laal thi rone ki wajha se uss ke haath me letter khula huwa tha.

Becca: I'm sorry! Main iss waqt ap ko kuch offer nahi ker sakti.

Becca apne ansoo chupate huwe bol rahi thi lekin uss ki awaz me abhi bhi ronasapan unhe mehsoos ho raha tha.

Daisuke: Ap uss ki fikar mat kare, Hum yahan sirf apne dost ki akhri khawaish puri karne aye the! Kuch dino me official's ap ke paas aa ker sab kuch bata de gye.

Daisuke ne kuch aur zaroori cheeze usse bata di, Sab kuch batane ke baad dono jaane ke liye khare ho gye aur baahir ki taraf chalne lage

”What were his last moments like?”

Un ke peeche se Becca ki halki si awaz ayi jis ne dono ke kadam wanhi rok diye, Daisuke fikar ke saath Aarav ko daikhne laga lekin Aarav khud ko sambhale huwa tha.

Aarav: He was a true hero.

Aarav ne Becca ki taraf daikhte huwe kaha, Becca ke chehre per muskurahat aa gayi lekin ankho se ansoo bhi dobara behne lage.

Becca: at least he was happy!

Aarav ne haan me sir hila dia aur chalte huwe Daisuke ke saath baahir ane laga, Usse teeno bache wanhi chuppe dikhe, 2 larkiya ek larke ke peeche chuppi huwi thi.

Uss ko daikh Aarav ko Urvi ki yaad aa gayi, Aarav ne apne haath se uss ke sar ko thapthapaya aur uss ke paas ho gya.

Aarav: Protect your family!

Aarav ki baat wo larka samajh to nahi saka lekin uss ne haan me sar hilate huwe haan keh dia, Aarav muskura ker baahir aa gaya.

Daisuke: Kaisa mehsoos ho raha hai?

Aarav: (Sigh) Mann bhaari hai abhi bhi!

Daisuke: Hmm! Coffee piyo gye kia? Taxi wala bata raha tha yanhi paas me ek coffee shop hai.

Daisuke ne Aarav se pucha, Aarav coffee Peeta to nahi tha lekin Agar Daisuke usse bula raha tha to baat sirf coffe ki nahi thi, Apne Phone se Aarav ne Jack ko inform ker dia aur Daisuke ke saath coffee shop ki taraf chala gaya.

Ek khubsoorat aur acha coffee shop thi Office time tha to zada log bhi nahi the, Dono ek table per baith gye aur Daisuke ne coffe Order ker di dono ke liye.

Aarav: to kia baat hai?

Aarav ne seedhe kaam ki baat per ate huwe kaha, Uss ke paas zada waqt nahi tha usse Urvi ke paas wapis Jana tha wo usse sota huwa chorr ker yahan aya tha, Shaam ka andhera chaane laga tha.

Daisuke: Kuch sawal ho gye tumhare mann me pehle wo puch lo!

Aarav: Hmm! Theek hai to mera pehla sawal, Ap ne mujhe mera status kisi ko batane se mana kiu kia hai?

Aarav ke sawal per Daisuke muskurane laga jaise usse iss sawal ki he umeed thi, Daisuke ne Aarav ko Tower ke andar shuru me he kisi ko bhi apna status batane se mana ker dia tha aur uss per koi sawal bhi nahi karne ka kaha tha.

Daisuke: (Sigh) Huh! Aarav jaise tumhe pata hai ke hum pehle log nahi hai jo uss tower me gye hai, Lekin hum bakiyo se alag zaroor hai.

Aarav: Alag! Wo kaise?

Daisuke: Main ne wapis ane ke baad Orc King ki information lene ki koshis ki hai to mujhe pata chala hai Orc King ek B Rank beast hai, Hume na sirf waqt kam mila tha pehli quest ke liye saath me hamara target bhi bakiyo se bohat zada strong tha, Tumhe kia lagta hai iss ki wajha kia ho gi.

Aarav: Kia?

Daisuke: (Smirk) Shuru me to mujhe bohat si wajha dikh rahi thi! Hum ek complete team the 1 Archer, Healer, Tanker, Blacksmith aur Dealer ye puri 1 balance party thi jo easily kisi D Rank beast ko hara sakti thi, kiu ke hamare paas jo bhi member the sab ke paas bohat impressive Power aur prowess thi, Lekin hum me 1 tha jo agar akela bhi hota to uss Quest ko complete ker sakta tha.

Daisuke ke har lafz ka koi na koi matlab tha, Aarav bhi koi bacha nahi tha usse samajh aa raha tha ke baat kis taraf barh rahi hai.

Daisuke: Tum! Aarav tum ab tak ke pehle ho jis ke paas Unique Ability hai aur wo bhi 1 nahi 2 saath me tumhari skill Slash bhi 2 fold skill hai jo ab tak sirf 1 ke paas thi, Agar in sab ko ignore bhi kare to 1 baat jo mujhe hazam nahi ho rahi wo ye hai ke hum sab ko shuru me he ek job mili hai jis ke according he hume skills aur abilities milti hai lekin jaisa tum ne mujhe bataya tumhare status me Tumhare paas koi job hai he nahi.

Aarav ko Daisuke ki har baat me sense mehsoos ho rahi thi, Baki sab bhi Powerful the lekin Aarav un sab me se alag tha-

Daisuke: Agar kisi aur ko pata chala tumhare status ke baare me to tum per khatra aa jaye ga, Tum khud ko to bacha lo gye lekin tumhare apno ka kia?

Aarav: (Aggressively) Kia kehna chahte ho ap?

Daisuke: Gussa mat karo baat ko samjho! Tum alag ho lekin hum abhi kuch keh nahi sakte abhi ke liye tumhe khud ko agli Quest ke liye tayar rakhna hai aur agar tum official's ke haath char jate to tumhe bachana muskil ho jata, Iss liye main ne Adarsh Sayani se tumhare liye baat ki Adarsh ki Family World ki big 4 Family me se 1 hai, Adarsh ka real business weapons ka hai jo uss ki family me saalo se chalta aa raha hai, Adarsh Official ko sambhalne ki takat rakhta hai iss liye main ne tumhe uss ke paas bheja hai lekin tum uss per bhi pura trust mat karna sirf Uss ko Use karo.

Daisuke ne har baat 2 baar dohrate huwe Aarav ko kahi jis ko Aarav ne ache se yaad ker lia, Daisuke ko Aarav ki fikar thi ye Aarav ache se daikh sakta tha agar iss waqt Daisuke usse kisi kaam se rok raha tha to wo Aarav ki bhalayi ke liye he tha.

Aarav: Ab aage kia karna hai?

Daisuke: Adarsh se permission le ker main ne tumhare liye ek trainer ko manaya hai! Tum apne status ke baare me sirf mujhe ya usse bata sakte ho, Aur bhi jo tumhare paas stats point hai unhe invest mat karna training ke baad khud sochna kaise invest karne hai points.

Aarav: Hume sach me training ki zaroorat hai kia? Strength to hum sirf point add karne se le sakte hai!

Daisuke: (Chuckle) Ye to tumhe training me khud pata chal jaye ga! Kab tak yahan rukne wale ho?

Aarav: Urvi kuch acha mehsoos nahi ker rahi jet lag ki wajha se to kal tak jana to mushkil hai!

Daisuke: Koi baat nahi tumhara trainer bhi tab tak wahan aa jaye ga! Main tumhari behan se milta to zaroor lekin abhi meri flight ka time hai.

Aarav: Koi baat nahi next time mil le gye! Waise bakiyo ki kuch khabar.

Aarav ke sawal per Daisuke kuch der ke liye gehri soch me chala gaya, Jaise soch raha ho usse kuch kehna chahiye ya nahi.

Daisuke: (Sigh) Huh! Chupane se kia badal jaye ga, Isabelle ko main ne wapis ate he Apne paas bulwa lia tha, Kiu ke Isabelle vacation per thi to uss ke ghar walo ne koi missing report nahi karwayi jis se uss ko Bina kisi issue ke japan le aya, Uss ki halat abhi kuch khaas achi to nahi hai lekin wo mehfooz hai.

Aarav: Nice! Aur Yoo-Jung?

Daisuke: Yoo-Jung ka main kuch keh nahi sakta! Main ne koshis ki lekin contact nahi ker saka main, Bus 1 khabar mili hai ke wo khud Korean intelligence ke paas chali gayi hai.

****

Adarsh Nigeria House ~
10:57 PM

Aarav ghar wapis aa gya to servants ne usse raat ke khane ka pucha to Aarav ne unhe mana ker dia, Daisuke ke saath baato me uss ne thora bohat khaa bhi lia tha.

Aarav thakan bhare din ke baad abhi sona chahta tha, Lekin pehle wo Urvi ke kamre me check karne ke liye chala gaya, Kamra khola andar andhera tha Urvi ke bed ke paas ja ker Aarav ne daikha aur phir dobara baahir jaane ko huwa.

“Bhayiaaa!!!”

Urvi dar se Aarav ko pukarte huwe uth gayi, Aarav bhaag ker uss ke paas chaka gaya apne bhai ko saamne daikh Urvi uss ke gale lag lag gayi.

Urvi: (Shivering) Bhayia! kahan the ap?

Urvi buri tarha kaanpte huwe boli to Aarav uss ko apne saath laga ker baith gaya-

Aarav: Yanhi hu main! Kia ho gya tha tujhe?

Urvi: Wo main ne ek bura Sapna daikha! Ap ko kisi ne bandha huwa tha aur ap ko mujh se dur kheench rahe the hum dono ek dusre ke paas ana chah rahe the lekin aa nahi paa rahe the.

Aarav: Dar mat! wo sirf ek bura Sapna tha soo ja Araam se.

Urvi: Ap bhi yanhi mere saath soo jao na! Mujhe dar lag raha hai.

Urvi ne Aarav ko jakarte huwe kaha ti Aarav bhi Urvi ko laita ker wanhi uss ke saath lait gaya, Urvi ne side Aarav ko pakar lia aur dono ki ankhe neend se band hone lagi.

9f4dbe8ea2a2754d27a4442f0347a44c.jpg
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he umeed karta hu ap logo ko ye update pasand aye ga, Aur last update me main ne Wednesday ko update dene ka nahi kaha tha, main ne kaha tha ke agar 30 likes huwe to update wednesday ko aye ga, Iss baar bhi target 30 likes hai agar target complete huwa to next Update Monday night ko aa jaye ga, To main chala sone yaad rahe Good Morning pyaare reviews aur Like ke saath kehna hai, Milte hai agle update per tab tak ke liye Sayonara!!!]
Superb awesome update
 
blackblood

The Silent Reader
33
50
18
Bhai ye veer ki mout
UPDATE 29 ~
(INTERCOURSE)

Presbyterian Hospital
New York ~ 1:25 PM

“I've brought your lunch, Miss Urvi!”

Nurse ne kamre ke andar ate huwe kahe, Urvi sofe per upar paon ker ke baithi baahir se guzarti gaariyo ko ate jaate daikh rahi thi, Nurse ne la ker Lunch table per rakh dia.

Urvi: oh, Thank You! I was starting to feel hungry.

Urvi seedhe ho ker baith gayi, Nurse ka kaam Urvi ke khana khatam karne tak wanhi rukne ka tha, Nurse reports check karne lagi, Urvi dheeme dheeme khana khane lagi.

“Maze ka khana khaya ja raha hai! Wo bhi akele akele.”

Ek awaaz ne Urvi ke haath rok diye, Urvi ne sar utha ker daikha to uss ke saamne he uss ka bhai khara tha, Urvi uthate huwe uss ke gale ja lagi, Urvi bina kuch bole Aarav ko zor se bheenche khari ho gayi.

Nurse bhi daikhne lagi ke Aarav andar kab aya hai, Usse kia pata Aarav apni behan ko surprise karne apni Abilty Use ker ke bina awaaz kiye andar aya tha.

*Hic* *Snif*

Urvi Aarav ki baahon me subakne lagi, Aarav ko laga tha Urvi thora gussa kare gi, Lekin wo sach me bohat dar gayi thi, Aarav uss ki peeth thapthapane laga.

Aarav: Kia ho gaya tha? Dar gayi thi kia? Dar mat vada kia hai na nibhaoga bhi.

Urvi: Chup rahiye! Mujhe kuch minute aise he rehne do!

Urvi ne seedha Order de dia, Aarav bhi khamoosh khara ho gaya, Urvi apne bhai ke agosh me ane ke baad dobara acha mehsoos karne lagi thi.

Urvi(Sob): I'm sorry! Mujhe gusse me wo sab nahi kehna chahiye tha, Please dobara mujh se mile bina mat jana, Please.

Aarav(Smile): Theek hai, Agli baar akhri lamhe tak tu mere saath rahe gi, Per abhi ke liye peeche hona pare ga, Teri Nurse hume daikh rahi hai.

Urvi jaldi se peeche ho gayi, Nurse unhe daikh ker muskura rahi thi, Uss ne Pichle dino me jab bhi Urvi ko daikha hamesha udas he daikha, Uss ne pehli baar Urvi ko aise daikha tha.

Aarav: Ap ja sakti ho! Doctor se permission le li hai, Aj Urvi ko main apne saath le ker jao ga, Aj hamari little date hai.

Aarav ne shararti andaaz se kaha to Urvi ne uss ke kandhe per muka maar dia, Aarav hansne laga, Nurse un ko aise khush daikh muskurate huwe baahir chali gayi.

Urvi(Pout) Kia bolte ja rahe the Ap? Aur kahan le jaane wale ho bimar insaan ko?

Urvi ne muh banate huwe kaha, Aarav ne Urvi ki gaalo per thapki di aur uss ka haath pakar lia.

Aarav: Mere saath chal tu! Aj hum enjoy karne wale hai.

Aarav Urvi ka haath pakar usse bathroom me bhej dia patient ke kapro se apne kapre badalne ke liye, Urvi ke baahir ane ka baad wo Urvi ko pakar ker Hospital se baahir aa gaya.

Archana ne permission le li thi to kisi ne roka bhi nahi, Urvi baahir ayi to saamne un ke liye Archana ne ek Car bhi saath bheji thi, Aarav Urvi ke saath Car me baith gayi, Aarav drive nahi ker sakta tha to ek driver. Bhi saath aya tha.

Aarav: Bhayia, Archana ji ne jahan ka kaha hai wahan le jao!

Aarav ne driver se kaha ti wo Car ko chalane laga, Urvi ko kuch samajh nahi aa rahi thi, Lekin wo apne bhai ke saath hone se aur uss ko aise khush daikh ker uss ki baat maan ker chup ker ke baithi rahi.

Bliss & Glamour Boutique

Car ek boutique ke baahir ja ker ruko, Aarav Urvi ko saath lete huwe Car se utar gaya, Urvi itni khubsurat shop daikh ker he heraan thi, Aarav uss ka haath pakarte huwe andar le gaya.

Saamne he unhe Attend karne ke liye Manager khud khari huwi thi, Archana ne usse ye karne ke liye kaha ho ga, Ye soch ker Aarav andar chala gaya.

Manager: Welcome! Both of you are welcome to Bliss & Glamour Boutique. How can I assist you both?

Aarav: Hi there! I'm Aarav, Archana ji ne ap ko bataya ho ga, Ye meri behan hai, Urvi! Mujhe meri behan ke liye Casual Clothes chahiye.

Manager: Certainly, Aarav! We have a great collection of casual clothes that combine comfort and style. Give me a moment, and I'll bring you a selection to choose from.

Urvi Aarav ko heraani se daikhne lagi, Ye mehngi shop thi ye wo samajh chuki thi, Lekin wo chup rahi kiu ke wo jaanti thi ke Aarav ko apni hasiyat ka zada ache se andaza hai.

Boutique ek parlor bhi offer karta tha, Jab tak Urvi tayar hone gayi thi, Aarav ne bhi apne liye kuch kapre le liye aur pehan ker tayar hone laga, Aarav tayar ho ker baahir aya to Urvi bhi saamne tayar khari thi.

e200bfe7307bf6724b7ce3828929baf6.jpg

Urvi(Embarrassed): Kaisi lag rahi hu?

Aarav: You look beautiful! Agar aise baahir gayi to larke to marne ko tayar ho jaye gye tere liye, Yaad rahe agar koi kuch kahe to unhe pehle bata dena tera bhai kon hai!

Aarav ne apne muscle flex karte huwe kaha, Uss ka bachpana daikh Urvi ko hansi aa gayi, Urvi ki Embarrassment kam hone lagi, Aarav bhi khush ho gaya.

Aarav ne Urvi ke liye aur bhi dress liye aur phir Pay karne ke liye Counter per chale gye, Aarav ne bag rakhe aur bill ka wait karne laga, Aarav ne notice kia ke Counter per khari larkiye usse chhor nazro se daikh rahi thi.

Counter Girl:(Nervously) Um, excuse me, are you... Aarav?

Aarav: (Surprised) Yes, that's me. Have we met before?

Counter Girl:(Excitedly) Oh my goodness! I'm such a fan of your work! I've seen your photos in magazines and on billboards. Your modeling is incredible!

Aarav aur Urvi dono ek saath chaunk gye, Aarav ko khabar mili thi ke uss ka kaam hit gaya hai, Lekin 1 hafte me aise fan ka milna uss ke liye bhi awkward tha.

Counter Girl:(Pointing) Oh look, there's a poster of you right there! You're even more handsome in person.

Aarav ne uss taraf daikha wahan ek poster rakha huwa tha Aarav ke kaam ka, Urvi Apne bhai ko aise famous daikh heraan aur khush dono ho rahi thi.

Counter Girl: I'm sorry if I'm being too forward, but would it be possible for us to take a picture together? It would mean a lot to me.

Aarav ne Urvi ki taraf daikha to uss ne usse haan kehne ke liye ishara ker dia, Aarav uss larki ke kareeb ho gaya, Larki ne khushi se uchalte huwe phone nikala aur Aarav ke kareeb ate huwe kuch Selfie le li.

Counter Girl: Thank you so much, Aarav! This means the world to me. I'm going to treasure this photo.

Aarav(Awkwardly) Y-yeah sure!

Wo larki khari ho gayi aur Selfie ko filter set karne lagi, Aarav ka bill bhi ho gaya, Aarav ne modeling karne per mile paiso se bill pay kia aur jaldi se baahir nikal ker Urvi ke saath Car me baith gaya.

Aarav(Relief): Huh! Jaan nikalne ko ho gayi thi wahan!

Urvi: Ye kia tha? Ap modeling ker rahe ho?

Aarav: Wo Miss Vanshika ko male model ki zarorat thi tab! Mujhe nahi laga tha baat yahan tak barh jaye gi, Lekin chhoro abhi hamare paas aur bhi bohat kuch hai karne ke liye, Driver bhayia, Aage barho.

Driver ne dobara Car chala di, Aarav aur Urvi waapis normal hone lage, Dono he koi bhi serious baat nahi ker rahe the, Car ab ki baat ek amusement park ruki, Aarav Aur Urvi andar chale gye.

Aarav: Tujhe bachpan se rides ka shauk tha na! Aj hum jee bhar ker rides le gye.

Jab Aarav aur Urvi utsaah se bhare amusement park mein pravesh kiye, unki aankhen utsah se khuli. Hawa mein thrill bhare rides ke shor aur cotton candy ki khushboo thi. Apne din ko sabse achhe tarike se bitane ka iraada lekar, wo jaldi se park ke andar tak chale gye

Unka pehla thikana Gravity Tower tha, ek vishal imarat jo unke samne bhayanak roop se khadi thi. Bhai-behen ne shararat bhari muskaan se ek dusre ki taraf daikha.

985ffd49b203594ec89d00b295ba4d71.jpg

Urvi: Bhayia! Mujhe ek minute dena, Main washroom se ho ker ayi.

Urvi gayi aur kuch minute baad waapis aa gayi dono line mein shaamil ho gaye, apne mauke ka besabri se intezaar karte hue. Ride operator ne unhe unke seats mein bandh kar diya aur jab tower unchaayi, tabhi unki utsukta bhi badhi.

Achanak, Aarav ne apni behen ke aakhon mein ek shararti chamak dekhi. Usne jaana tha ki woh kuch karne wali hai. Jab tower apni charam sima par pahuncha, Urvi ne jor se chillaaya,

"Bhayia, ye daikho!"

aur apne bag se ek chhote se pani ki gun nikali, jiske zariye usne halki si pani ki dhara Aarav ke taraf chhodi, Aarav ko chaukaane wala ye drishya dekhkar usne saans rok li.

Aarav: Inventory!

Aarav ne apni Inventory jaisi khaas power ko Water Gun rakhne ke liye Use ki :lol: Lekin Aarav ki gun bari thi, Aarav ne bhi paani ki dhaar Urvi per maarni shuru ker di.

Hasiyaaon ki dhun aasman me gungunaane lagi jab bhai-behen ne dostana pani ka jang shuru kiya, ek dusre ko paani se bigone lage.

Unki hansi ne aas paas ke sawaar logo ka dhyaan khinch liya, Aarav ne chupke se aur Guns nikali aur kuch aur logo ko pakra di, Jaldi he poore group mein ek pani ka jang shuru ho gayi.

Gravity Tower ek gila aur masti bhara jung ka maidan ban gaya. Ride rukne ke baad Ride operator pehle to hairaan huwa, lekin phir uss ki hansi nikal padi anaydaayak ghatna ko dekhkar.

Jab Ride neeche aa ker ruki to sabhi log abhi huwi masti ki baate karte huwe hans rahe the, Urvi Aur Aarav bhi bheegi huwi halat me utre lekin wo ruke nahi, Wo kabhi Roller coster me baithate kabhi horror house me jaate to kabhi kisi dukaan per khare ho ker maze ke snack khaate, Aise he shaam ka samay ho gaya.

Dono ne ek dusre ki taraf daikha saans charhi huwi, Dono hans rahe the, Dono ne ek baar dobara bachpan ko jiya tha, Lekin ab din ant ko ane laga tha, Akhri Ride ke liye wo Ferris Wheel me chale gye.

Shaam ke waqt unchayi se baahir ka nazara alag he lag raha tha, Dono seeshe ke paas sar tikaye baahir ke nazare ka anand lene lage.

Urvi: Bhayia! Ap ne apne future ka kia socha hai? Kia kare gye hum aage?

Aarav ne Urvi ki taraf daikha to wo relax thi, Aarav bhi relax ho gaya aur sochne laga.

Aarav: Future! Sach kahu to main ne kabhi kuch nahi socha, Hamesha hamari zindagi survive karne ke liye sochi thi main ne, Lekin ab agar soch raha hu to, Ek baar tera Cancer cure ho jaane ke baad tere saath bohat waqt beetao ga, Phir ek din ek acha larka daikh ker teri shaadi ker du ga, Tujhe koi pasand huwa to bata dena, Lekin yaad rahe meri permission lage gi *Chuckle*

Urvi: Lekin ye to mere liye huwa na! Ap apne liye kia chahte ho?

Urvi ne sawal alag nazariye se pucha to Ab Aarav sach me soch me doob gaya, Lekin jaise agle he pal usse jawab mil gaya.

Aarav(Relief): Huh! Main ek sadharan zindagi chahta hu, Ek normal job karu ga, Teri shadi ke baad apne liye kisi larki ko dhoondu ga, Mujhe koi Super Cute ya koi Super Ugly larki nahi chahiye, Mujhe koi pyaar karne wali chahiye, Jab main ghar waapis aao to uss ko daikh ker sab thakan utar jaye, hamare 2 bache ho gye, 1 larka aur 1 larki, Hum Rakshabandhan aur diwali jaise tevaron me tere ghar aye gye aur hum ek dusre ke bacho ko ek dusre ke bachpan ke raaz sunaye gye, Ek sadharan zindagi guzarne ke baad umar ho jane kw baad main Noki se retire ho jao ga bacho ko settle karne ke baad, Bachi huwi zindagi apni wife ke saath guzarne ke baad tum dono se pehle mar jao ga, Aisi zindagi chahta hu main.

Aarav ke chehre per kab muskurahat aa gayi usse pata he nahi chala, Aarav ne Urvi ki taraf daikha to wo Aankhon me ansoo sajaye chehre per muskurahat laye apne bhai ko daikh rahi thi.

Wo seedhe Aarav ke gale se aa lagi, Aarav ne bhi usse bahon me bhar lia, Dono kuch pal Aise he rahe, Ferris Wheel ruk jaane ke baad dono baahir aa gye.

Dono Car me baithe aur Aarav waapis Urvi ko hospital drop karne chala gaya, Urvi ko uss ke kamre me chhor ker Aarav ne uss ke maathe ko chum lia.

Urvi: Main ap ka bataya future daikhne ke liye excited hu!

Urvi ne muskurate huwe kaha Aarav bhi uss ke gaal ko thapthapate huwe baahir aa gaya, Car me baith Aarav sochne laga kia sach me wo sapne pure ho gye, Kia wo dharti per ane wale khatre se lar sake gye bhi? Kia Earth ka koi future hai bhi kia?

****

Wind Clan
Japan ~ 8:13 AM

“My Lord! Lady Tsubame aa chuki hai, Aur andar ane ki anumati maang rahi hai”

Family Head ke saamne bow karte huwe ek servant ne kaha, Family Head apni jagha baitha raha aur haath ke ishare se usse Tsubame ko andar ane dene ko kaha.

Kamre me ek baar dobara sabhi Elders baithe huwe the, Kuch khush the to kuch chinta me doobe huwe the, wanhi kuch aage kia hone wala hai sirf ye daikhne ke liye utsuk the, Darwaza khoola gaya to Tsubame andar aa gayi.

Saamne chal ker ate huwe wo beech me khari ho gayi, Saamne baithe apne Pita ke saamne bow karte huwe, Sabhi Elders ko respect dete huwe khari ho gayi.

Tsubame(Bow): Father ap ka adesh aya tha mere yahan ane ka! Ap ke Adesh ko pura karte huwe main yahan aa gayi hu.

Hiroshi: Bohat ache meri bachi! Hum sabhi aj yahan Clan ke liye kuch bare faisale lene ke liye aye hai, Unhi me se kuch faisalo per hume tumhari tippani bhi chahiye aur wanhi tumhare kiye kuch sawal bhi hai.

Tsubame: Main apni taraf se puri koshish karu gi ap ki sahayata karne ki! Aur mujh se jo pucha jaye ga uss ka sach sach jawab dene ki!

Hiroshi: Shabash! First Elder shuru kariye.

Hiroshi ne First Elder ko aage barhne ke liye kaha, First Elder ne bhi haan me sar hilate huwe apne saamne rakhe Khat ko uthaya aur uss ko parhne laga.

First Elder (Loudly): Tsubame Takahashi! Hume branch family se tumhare liye complain ayi hai, Tsubame Takahashi, Tum ne Clan se baahir kisi ko Clan ki Secret Technique seekhane ki koshis ki hai.

Tsubame ne sab ki taraf daikha to sabhi Tsubame ki harkat se heraan the, Tsubame jaisi samajhdar larki se unhe aisi umeed nahi thi, Lekin Tsubame ko un se koi farak nahi parta tha, Uss ne apne pita ki taraf daikha to wo bina kisi bhav ke apni Beti ka utar sunane ke liye tayar baithe the.

Tsubame: Ji haan! Main ne apni Sage Level mastery ki power ki madad se ek baahir wale ke andar Inner Qi jagrit ki hai, Sage Level ke diye adhikar ke mutabik main Family aur Clan ke baahir ke direct Disciple bana sakti hu, Uss Adhikar ko istemal karte huwe main ne ek Disciple banaya hai.

First Elder: Lekin tum jaanti ho ke ek baahir wale ko Disciple banane ka matlab Clan ke raaz ki zimedari lena hota hai! Agar tumhare Disciple ke davara ki gayi kisi bhi harkat se Family ko nuksaan huwa to uss ki saza tumhe bhi mile gi.

Tsubame: Main ye jaanti hu! Main apne pita Hiroshi Takahashi ke maan aur un ki beti ki hasiyat se ye kasam khati hu, Agar mere Shishya ke kiye gye kisi bhi kaam se Wind Clan ko anch bhi ayi to main apne paraan tyagane ko tayar hu.

(Ye larki pagal ho gayi hai kia? Aise kaise ye kisi baahir wale ke liye aisi kasam khaa sakti hai)

(Praan tyagne se clan ke paas se ek aur Sage Level master kam ho jaye ga! Kia ye larki dhamki de rahi hai)

(Shayad apne pita ke Head hone ki wajha se usse vishwas hai ke uss ki galat harkat per bhi uss ke pita usse kuch nahi hone de gye)

Elder ki aapas me khusar-phusar honi shuru ho gayi, Un ki awaaz itni kam bhi nahi thi ke Hiroshi aur Tsubame sun na paye.

Hiroshi: Hum tumhari kasam ki izaat karte hai! Tsubame waqt ane per tumhe apne shishya ko Clan me lana ho ga, Aur agar hume kuch bhi bhanak lagi uss ke galat vichar ki, Hum ussi pal tum dono ko saza de de gye.

Hiroshi ne awaaz me aur bhi wazan daalte huwe kaha, Sabhi Elders ki kana-phusi ek saath band ho gayi, Tsubame ko bhi rahat mili ke Uss ke pita ne Aarav ko abhi laane ke liye nahi kaha, Hiroshi ne First Elder ko aage barhne ke liye kaha, Ye sun sabhi Elder aur bhi utsuk hone lage.

First Elder: Tsubame Takahashi! Sabhi Elders aur Family Head ki Hazri me sabhi ye chahte hai ke, Tumhare bare bhai Daisuke Takahashi, Jo 31 saal ki umar me bhi Clan ki kisi Technique ya apni Inner Qi ko seekh na saka, Uss se Family Head ke agle sambhavit ummedwar ka title cheen lia jaye, Kiu ke tum Daisuke ke hit me thi, Iss liye hum tum se tumhari raye bhi chahate hai.

Tsubame ne Aacharya bhari nazron se First Elder ki taraf daikha, Jaise wo puchna chah rahi ho ke kia wo sach bol rahe hai kia? First Elder Tsubame ko apni taraf daikhte daikh nazre churane lage.

Tsubame ne sab ki taraf daikha to sab khamoosh the, Wanhi 3rd Elder muskurate huwe Tsubame ki nazro me nazre garaye baithi rahi, 3rd Elder ki Ankhon me garoor tha ke wo agar chahe to kuch bhi ker sakti hai.

Tsubame (Softens): Father! Main ye Accept nahi ker sakti hu, Abhi bhi Family Head ki position ke test me samay hai, Hume Bhayia ko samay dena ho ga.

3rd Elder(Smirk): Aur hum aisa kiu kare gye? Hum ne tumhare bhai ko 30 saal diye the, Rare se Rare herbs, Cultivation Medicine aur kia kuch nahi dia, Lekin uss ne kia kiya? Tumhe andaza bhi hai ke wo sab kitna keemti tha hamare liye, Na-Jaane kitne behtareen Warriors tayar ho sakte the un sab se, Lekin tumhare bhai per sab barbaad ho gye.

Tsubame: Elder 3rd ap ye kaise keh sakti ho? Abhi bhi Bhayia ke paas samay hai, Wo safalta zaroor haasil kare gye, Hum-

3rd Elder(Grin): Chup! Tum bhool rahi ho tum Elders ki Presence me ho, Tum ne himmat kaise ki yahan awaaz unchi karne ki, sabhi Elders ka ye faisala hai, tumhe sirf bataane ke liye bulaya gaya hai, Sirf iss liye ke tum baad me koi pareshani na bano.

Tsubame apni muthi bheenche daant peeste reh gayi, Sar jhukate huwe 3rd Elder se maafi maang ker wo khamoosh ho gayi.

First Elder: Daisuke ke nikal jaane ke baad Ab sirf 3 Ummedwar baki hai! Family Head Hiroshi Takahashi ki taraf se Takahashi Tsubame, First Elder matlab meri taraf se mera Grandson Yamamoto Ryota, Akhri Ummedwar hai 3rd Elder ki taraf se un ka beta Nakamura Hiruki.

Tsubame apna sar jhukaye chup khari sunti rahi, Uss ki aankhen bheegne ko hone lagi thi, Sirf ye soch ker ke uss ke bhai ka kitna dil dukhe ga, Daisuke ne Hameshah sirf apne Pita ko proud karne ka socha tha.

Lekin agar wo apni position kho de raha tha to wo kuch nahi ker sakta tha, Tsubame ko samajh nahi aa rahi thi ke uss ke pita ne virodh kiu nahi kia.

First Elder: Aj se 7 Maheene baad Test shuru ho ga! Ab ki baat ka test ho ga, The Voids Grasp.

Naam sunte he Tsubame ki aankhe Aacharya ke maare khul gayi, Uss ne apne pita ki taraf daikha to wo usse he daikh rahe the, Sabhi Elders khamoosh the, Matlab sab kuch pehle se decide tha.

Ab Tsubame ko samajh aa rahi thi ke uss ke pita ne virodh kiu nahi kia? The Void Grasp ek test tha jahan Participant ko ek dark chamber me bitha dia jata tha, wo chamber ek special metal se bana tha.

Chamber andar baithe Participant ki inner ki ko uss ke andar kheenchta hai, Agar Participant ka control acha na ho to wo puri Inner Qi ke saath apne praan bhi kho sakta tha, Ye test Tsubame ke liye bhi mushkil tha, Agar Daisuke test lete to uss ka ek he jawab tha, Marityu!

3rd Elder chehre per muskurahat sajaye Tsubame ke chehre ke badalte bhav ko daikh ker Enjoy ker rahi thi, Tsubame ko ye samajhte waqt na laga ke ye sujhav 3rd Elder ka he hai, kiu ke uss me shuru se apne bete ko control ki training di thi.

Tsubame ko gussa to aa raha tha, Lekin wo virodh ker ke apne bhai ko uss khatarnak test ke liye nahi bhej sakti thi, Apna gussa apne andar dabaye Tsubame shaant khari rahi.

First Elder: Kisi ne virodh nahi kia to hu-

*Knock* *Knock*

Kamre ke baahir se kisi ne darwaza khatkhataya to sab chup ho gye, Ek baar dobara wo he servant andar aya aur sab ko bow ker ke khara ho gaya.

Servant: Young Master, Daisuke baahir aye hai! Wo sabhi Elders ki Presence me andar ana chahte hai.

Tsubame apne bhai ke waapis ane ka sun ek rahat ka saans le ker khari ho gayi, Uss ka bhai uss Tutorial se zinda waapis aa gaya tha, Abhi uss ke liye ye he bohat tha.

Hiroshi: Usse andar le aoo!

3rd Elder ke chehre per muskurahat aur gehri ho gayi, Tsubame samajh gayi ke ab wo Daisuke ko baate sunana chahti thi, Clan me koi bhi Tutorial ke baare me nahi jaanta tha, Tsubame apne pita se bhi kuch nahi keh sakti thi.

*Slide*

Darwaza khula aur Daisuke andar aa gaya, Sab se pehle uss ki nazar saamne khari Tsubame per gayi, Tsubame Aankhon me ansoo liye muskurate huwe hont hila ker bina awaz kiye boli.

“Welcome Back”

Daisuke ne muskura ker Nod ker dia, Tsubame ke saath khare hote huwe Daisuke ne sab ko respect dete huwe Bow kia, Sabhi Daisuke ko wahan daikh chintit the.

Hiroshi: Acha huwa tum aa gye! Hum Tsubame ko batane dena chahte the, Lekin Waqt shayad kuch aur chahta hai, Per pehle tum batao ke tum yahan Elders ki Presence me kiu ana chahte the?

Daisuke: Mujhe nahi pata ap kia batana chahte ho, Father! Lekin main bhi ek zaroori kaam ke liye aya hu.

Hiroshi: Haan, Batao kia kaam hai?

Daisuke ne sab ki taraf daikha to Kamre ka Atmosphere bohat zada tense tha, Lekin Daisuke jis kaam se aya tha wo bhi zaroori tha.

Daisuke: Dhanyvad, Father! Main sab se permission maangne aya hu, Main First Elder ke saath apni Training ko ek baar dobara shuru karna chahu ga, Ab ki baar ye Training, The Whispering Grove me ho gi.

Ab ki baat sirf Tsubame nahi sabhi chaunk gye, The Whispering Grove apne naam ki tarha he ek jale huwe pedon ke beech ek jagha thi, Kehna tha ke wahan manmohak awaaze har Inner Qi User ko madhosh ker ke maarne ke liye kaafi hoti hai, wahan koi the Master level achieve karne se pehle survive nahi ker sakta tha.

Tsubame ne Daisuke ko rokne ke liye kuch bolna chaha, Lekin wo kuch bol sakti ke uss se pehle 3rd Elder apni kursi per haath maarte huwe khari ho gayi.

3rd Elder(Shout): Pagal ho gye ho kia tum? Agar marne ki itni jaldi hai to kam se kam naye Family Leader ko chhun jaane tak zinda rehne ki koshis karo, Abhi mar ker tum Family Head ko bete ke marne ke gham me daalna chahte ho tum?

3rd Elder ko dar lagne laga tha ke wahan kisi tarha Daisuke apni Inner Qi ko Active na ker le, 3rd Elder ek shatir Aurat thi usse beech me apna nuksaan dikh raha tha.

Daisuke (Smirk): Main ab pehle jaisa nahi hu! Main aisa kuch nahi chahta jis se hamare Clan ko nuksaan ho, Mujhe sab ka vishwas chahiye.

3rd Elder: Tumhe lagta hai ke tum wahan zinda reh sako gye? Agar aisa hai to tumhe pehle mere test ko pass karna ho ga, Agar tum meri Blood Lust ko seh gye to meri taraf se tumhe jaane ki permission ho gi.

Blood sunte he sab dar gye, 3rd Elder best Bloodlust User me se ek maani jati thi, Koi rok pata uss se pehle he 3rd Elder ne gusse bhaari Aankhon se Apni Inner Qi ko Daisuke ke upar choor dia.

*Crack*

Daisuke jahan khara tha wahan ka floor pressure se dabne laga, Bloodlust se nikal rahe pressure se kisi ko kuch saaf dikhayi nahi dia.

Tsubame: Elder 3rd Ap y-

Hiroshi (Interfere): Tsubame!

Ek awaaz ne Tsubame ko wanhi rok dia, Tsubame ne apne pita ki taraf daikha jo ashcharya bhari Aankhon se apne bete ko daikh rahe the, Tsubame ne dhayan lagate huwe daikha to saamne Daisuke bilkul sahi halat me khara huwa tha.

3rd Elder(Mumble): Na-Mumkin! Ye kaise ho sakta hai? Tumhare jaisa nakara kaise meri Bloodlust ke saamne khara reh sakta hai?

*Glare*

Daisuke ne gusse se laal Ankhon se 3rd Elder ki taraf daikha, Aj tak wo iss Aurat se beizzat hota aya tha, Lekin aj wo alag tha, Ab wo uss Aurat ki Aankhon me aankhen daal khara reh sakta tha, Lekin 3rd Elder ye kaise bardasht ker sakti thi.

3rd Elder ne apni Bloodlust ko barhana shuru ker dia, Wahan baithe sabhi log usse mehsoos ker sakte the, Hiroshi jo apne bete ko saamne khara daikh khush tha wo bhi dar gaya ke 3rd Elder zada aage ja rahi hai.

Hiroshi: Thir-

Daisuke: Kneel!

Ek khofnaak awaz Daisuke ke muh se nikli aur 3rd Elder apne ghutno per gir gayi, Sab apni jagha se Chaunkte huwe khare ho gye, 3rd Elder neeche ghutno per baithi gehri saanse bhar rahi thi, Wanhi Daisuke Aankhon me angare bhare 3rd Elder ko ghoor raha tha.

3rd Elder: Y-ye kaise ho sakta hai? M-main tujh se kaise haar gayi? Kuch galat huwa hai, Akhir kaise main tere jaise nakara insaan se haar sakti hu, Aj tak kitne Herbs aur Cultivation Technique istemal ki lekin teri Inner Qi nahi jaagi phir Achanak kaise? Kaise t-tu mujhe hara sakta hai?

3rd Elder ki awaz kat rahi thi, Wo abhi bhi uss ehsaas ko bhool nahi paa rahi thi, Uss ki kaanpti awaaz us ke dar ko dikha rahi thi, Sabhi Elders bhi heraan the 3rd Elder ki ye halat daikh ker.

Daisuke: Konse Herbs? Konsi Technique?

Daisuke 3rd Elder ki taraf chalte huwe gaya, Daisuke ka har kadam 3rd Elder ko peeche jaane per majboor ker raha tha, Akhir 3rd Elder apni kursi se ja lagi, Daisuke 3rd Elder ke saamne ja ker neeche pairon ke bal baith gaya.

Daisuke: Konse Herbs? Konsi Technique? 2nd Elder, Ap meri Inner Qi me kisi Herb ko mehsoos ker sakte ho kia?

2 Elder ek herb master tha, Wo pehli jhalak me he Pehchaan gaya tha ke Daisuke ki Inner Qi me koi bhi Cultivation herb nahi tha, Sabhi ko shaq tha ke 3rd Elder sirf jhoot bolti hai ke uss ne Daisuke ki madad ke liye Herb Use kiye, Lekin Aj sab ko yaqeen bhi ho gaya tha.

Sab ki nazro me ek mazak ban chuki thi 3rd Elder, Neeche baithe wo khud ke Apman ko bardasht karti rahi, Agar wo kuch karti to baat uss per he ghoom ker ane wali thi.

Hiroshi: Itna kafi hai Daisuke! Apni jagha per waapis ja ker khare ho jao.

Baat ko zada aage barhta daikh Hiroshi ko Daisuke ko waapis ane ka kehna per gaya, Jo bhi tha 3rd Elder ek Elder thi aur abhi wo apne bete ko aise kisi Elder ka apman karne nahi de sakta tha, Daisuke waapis apni jagha per Tsubame ke saath ja ker khara ho gaya.

Tsubame ne apne bhai ka haath pakar lia, Aj apne bhai ki bahaduri daikh usse Garv mehsoos ho raha tha, Daisuke ne Apni Inner Qi ko ko jagrit ker lia tha aur kabu bhi, Ye wahan sabhi samajh chuke the.

Hiroshi: Daisuke, Tum ne yahan apni shakti sab ko dikha ker khud ko Training ke liye kabil dikha dia hai! mujhe nahi lagta kisi ko koi aapatti ho gi tumhare jaane se, main dobara tumhe First Elder ke saath Training ki permission deta hu aur tum Whispering Grove me bhi ja sakte ho.

Hiroshi ne faisala suna dia, Abji daikhe drishya ke baad kisi ne bhi virodh nahi kia, Daisuke ne First Elder ki taraf daikha to wo khushi se muskurate huwe Daisuke ko daikh rahe the.

Daisuke: Ap bhi kuch batana chahte the , Father?

Hiroshi: Haan, Lekin shayad abhi hume uss faisale per kuch aur sochne ki zaroorat hai! Tum ja sakte ho, Hum tumhe baad me sab kuch bataye gye.

Hiroshi ne unhe jaane ki anumati di to Tsubame aur Daisuke bow karte huwe baahir ki taraf chale gye, Jate huwe Daisuke ne 3rd Elder ki taraf daikha jo sar jhukaye baithi huwi thi.

Daisuke aur Tsubame baahir aa gye, Tsubame ne Daisuke se kuch kehna chaha per Daisuke tez kadmo ke saath chalta raha, Daisuke ko tun bhaagta daikh Tsubame bhi uss ke peeche tez chalne lagi, Daisuke apne purane kamre ke andar chala gaya.

Tsubame: Aise bhaag kiu rah-

*Ugh*

Daisuke ke kadam larkharaye aur wo girne wala he tha ke Tsubame ne aage barh usse pakar ke sambhal ker neeche bauth dia, Daisuke ki naak se khoon nikalne laga tha.

Tsubame (Sob): Main jaanti thi ke uss kameeni ke kiye uss vaar ka kuch asar to huwa ho ga! Ap ko kia zaroorat thi itna aage jaane ko?

Daisuke (Groan): Jana zaroori tha! Zindagi me pehli baar uss Aurat ke saamne khara ho saka hu, Lekin manana pare ga Wo Bloodlust kamal ki thi, Mujhe apne sabhi stats point Endurance aur Intelligence me daalne per gye uss lamhe, Leki wo chehra daikhne ke baad *Chuckle* Worth it tha point daalne ka faisala.

Tsubame (Smile): Pagal ho ap! Waapis ane ke foran baad ye karne chale aye, Aur ate he apni Inner Qi ki news ka bomb phor dia, Main ab yanhi hu ap ki training me ap ke saath.

Daisuke: Uss ki zaroorat nahi hai! First Elder ne mujhe 20 saal train kia hai, Wo mujhe ache se jaante hai aur wo he mujhe seekha sakte hai, Waise bhi tumhare paas koi aur bhi hai jis ko tumhe train karna hai.

Daisuke ka ishara Aarav ki taraf tha, Aarav ke sahi hone ka sun ker Tsubame ko aur bhi rahat mil gayi, Wo ab tak puchne se bhi dar rahi thi.

Daisuke: Hum sab zinda waapis aa gye hai! Isabelle bhi Quest reward ke mile reward full recovery se waapis sahi ho gayi hai, Kento sensei usse sambhale gye, Main yahan train karu ga tumhe uss Lafange ko tayar karna ho ga.

Tsubame: Leki-

Daisuke: Yaar ab bus bhi karo! Daikh nahi rahi takleef me hu main, Abhi mujhe sambhalne do Maa se bhi milna hai, Wo aise daikhe gi to dar jaye gi.

Tsubame muskurane lagi, Apne bhai ko ek baar dobara khush daikh usse bhi khushi ho rahi thi, Aarav ne apna vaada nibhaya tha, Ab baari Tsubame ki thi apna vaada nibhane ki.

Tsubame: Aa rahi hu main, Aarav!

****

Elysium Mansion
New York ~ 10:37 PM

*Screeeech*

Driver ne Car roki to Aarav neend se utha, Urvi ke saath beetaye din ke baad abhi usse Party bhi attend karni thi, Aarav car se baahir daikha to wo ek bara mansion tha, Aarav ko suit aa gaya tha jo uss ne ek parlor me change ker kia tha jo Vanshika ne set karwaya tha.

Aarav Car se baahir nikla aur apne suit ko set karte huwe andar jaane laga, Baahir khare guards ne Aarav ke kapre aur Car ko daikhne ke baad usse roka nahi, Wo Car special Sayani moters ki banayi gayi Car thi.

Aarav andar gaya saamne usse log dikhne shuru ho gye, Andar to duniya he alag thi, Ek se barh ker ek mashoor chehra Fashion ki duniya ke bare sitaare sabhi andar the, Aarav hichkichahate huwe andar chala gaya.

“Ah, There he is! The star of today's party, Aarav Arya”

Ek awaaz ne sabhi ka dhayan andar ate Aarav ki taraf ker dia, Aarav aur bhi awkward hone laga, Awaaz dene wala aur koi nahi Sammy tha, Aarav ne saamne daikha to usse Vanshika dikh gayi.

Hamesha ki tarha sundar aur cute, Aarav ek baad dobara uss ki khubsurati me doobne laga, Vanshika apne saath Veronica auf Lydia ko liye Aarav ke paas aa gayi.

Lydia(Gently): Hi Aarav, Dobara mil ker acha laga!

Veronica: Hey, Handsome!

Vanshika: Aa he gye tum? Pata hai kitna wait ker rahe the tumhara, Abhi kitnle logo se milna hai tumhe.

“Hey Aarav, Main **** Agency se hu, Tumhara kaam hume bohat pasand aya, agar kabhi mann kare to visit karna hamaru agency ko bhi”

“Agar tumhe kabhi koi bhi financial issue ho to mujhe zaroor yaad karna”

“Hey, Aarav! Tumhare next week ka schedule free hai kia?”

“Aarav, Tum ne abhi film industry me jaane ka to nahi socha kia?”

Ek ke baad ek sawal Aarav ke liye ata gaya, Usse samajh nahi aa raha tha ke kis ka kia jawab de? Har koi baat karta aur aona Card Aarav ko pakra deta.

Aarav bhi sirf mundi hilate reh gaya, Wanhi kuch ne to Vanshika ko Aarav ke saath khare ker ke picture leni shuru ker di, Vanshika bhi uncomfortable feel ker rahi thi, Lekin Aarav usse jitna cover ho sake ker raha tha, ek taraf ye sab chal raha tha wanhi Saamy apni assistant ke saath khara sab daikh raha tha.

Jenny: Sir, Aarav ne sach me bohat kam waqt me bohat zada naam kama lia hai! Shayad Aarav apne saath charm le ker aya hai.

Sammy(Chuckle) Charm? Jenny tumhe abhi bhi bohat kuch seekhna baki hai, Tumhe sach me lagta hai ke ye sab sirf luck aur mehnat se mila hai, Nahi, In logo ko daikho kia ye bina matlab ke kisi ke kaam ko free me promote kare gye kia? nahi.

Sammy ka sawal sun Jenny ne socha to sab kuch sach me ajeeb tha, Sabhi kuch zada he perfectly aur smoothly chal raha tha.

Jenny: Ap ko kia lagta hai?

Sammy(Sigh): Aarav talented hai! Shayad ab tak ke mile mujhe sab logo se zada, Lekin sirf talent se bhi itni jaldi safalta nahi milti, Ye sab kia gaya hai Aakash Sayani ke dhavara, Sabhi ko Aarav ko promote karna billboard aur poster sabhi Aakash ka kia huwa hai.

Jennt: Aakash, Ap ke cousin? Wo itni power rakhte hai kia?

Sammy(Chuckle): Aakash ki power! Uss larke ne Business me ane ke baad seedhi bari 2 Company ko takeover ker lia, Aakash Sayani, they say he's the smartest businessman in the world. No one has been able to stand up against him, until now.

Jenny: Until Now?

Sammy: let me tell you about Veer Singh! He's often referred to as a knucklehead, unpredictable businessman. When Veer enters the business world, clashes erupt, and many businesses and companies have been destroyed in their wake, Despite their clashes, they both emerged as the titans of the business world. Aakash with his calculated strategies and unwavering intelligence, and Veer with his audacious risks and enigmatic charm.

Sammy ko aise kisi ki hype create karte daikhna Rare moment he hota tha, Lekin Jenny ko samajh aa gaya tha ke Aakash aur Veer kisi ko banane aur torne ki power rakhte hai.

****

“Yahan aoo!”

Vanshika Aarav ko un sabhi se bachate huwe le ker side per aa gayi, Vanshika ke paas hone se kisi bhi aur ne Aarav ko approach nahi kia, Aarav bhi Akhir sakoon ki saans le sakta tha.

Aarav: Mujhe in sab ki kabhi adat nahi hone wale! Ye hameshah mere liye ajeeb he rahe ga.

“Hey, Vanshika!”

Un ki baato ke beech ek awaaz ayi, Sab ne uss taraf daikha to saamne ek larka khara tha, Aarav usse ek aur chipku samajhne wa tha, Lekin usse daikhte he Vanshika khush ho gayi.

Wo aage aya Vanshika ne usse Hug ker liya, Ye daikh Aarav ko ajeeb laga per wi khud ko samjhane laga.

Vanshika: Mr. Derek! I can't believe it's you! You look stunning as ever!

Derek: Oh, don't flatter me! You're the one who's become a total superstar, I've been following your career, and I must say, you're killing it!

Vanshika: Aarav iss se milo! Mera Childhood friend Derek! Abhi ye apna Movie Studio Own karta hai, lekin harkate abhi bhi waisi hai.

Derek: Childhood friend aur Ex-boyfriend! *Chuckle*

Vanshika: Haan, Haan! Mr Ex-boyfriend wo sirf 2 month ke liye the.

Dono ek dusre se baate karne lage, Derek ek handsome Admi tha aur ek ache shareer ka malik tha, Aarav usse khud se compare karne se reh nahi paa raha tha, Aarav ko samajh nahi aa rahi thi uss ke saath kia ho raha hai.

Aarav: Um, Excuse me! I'll be right back, Nature Calls.

Aarav un ke beech se nikal gaya aur ek Servant se bathroom ka puch ker chala gaya, Aarav ki dharkane tez chal rahi thi usse khud samajh nahi aa rahi thi ke uss ke saath kia ho raha hai.

Aarav: (Kia mujhe jalan ho rahi hai? Lekin kiu?)

Aarav bathroom chala gaya, Bathroom thora alag me tha, Apna chehra paani se jagate huwd wo seeshe me daikhne laga.

Aarav: Kia soch raha tha, Aarav! Vanshika*Chuckle* Wo meri league se bohat baahir ki hai, Wo Derek jaise kisi ko deserve karti hai.

Aarav ne khud se kaha aur khud ko normal ker ke baahir aya, Saamne he usse Veronica khari mil gayi.

Veronica (Grin): Well, well! look who decided to join the land of the living again. You've been in there for quite some time, Aarav. Everything alright?

Aarav(Smile): Yup! Everything's completely alright! Ap ja sakti hai andar.

Aarav ne jana chaha per Veronica ne Aarav ka raasta rok dia, Wo sharart ke mood me thi, Aarav khara ho ker usse daikhne laga.

7c0f92c4deb3bc9e8044d24c3c195071.gif

Veronica (Seductively): Tum hanara promise bhool to nahi gye kia?

Aarav(Swallow): Konsa Promise?

Veronica muskurate huwe Aarav ke kareeb ayi, Dur se aisa lag sakta tha ke dono ek dusre ki bahon me hai, Veronica ne apne hont Aarav ke kaan ke kareeb kiye.

Veronica (Whisper): Hamari Kiss!

Aarav ke kaan garam ho gye aur gaal laal ho gye, Veronica Peeche huwi aur Aarav ki halat daikh muskurane lagi, Wo Aarav ki taang kheench rahi thi, Vanshika peeche ho gayi aur apne honto pee ungli phairane Lagi.

14ddeb59a027ccc9813a089d7c9573e6.gif

[Alpha Status Amplified! Beware: Alpha's wrath awaits those who challenge its dominance!]

Aarav ko andar ajeeb lagne laga, Jaise Veronica uss ki Pride ko hurt ker rahi ho, Veronica wanha se nikalne lagi, Aarav ne Veronica ka haath pakra aur usse ghooma ker deewar se laga dia.

Aarav(Pant): Agar tum ye chahti ho to ye he sahi!

Veronica kuch samajh sakti uss se pehle uss ke hont Aarav ke honto ki girift me the, Veronica ka pura badan dheela per gaya, Aarav un honto ka pura rass nichorne laga.

b48bbadad86eb7665843d021c4d41a07.jpg

Kuch pal ke baad Aarav ne apne hont alag kiye, Dono ke beech ek thook ki layer ban gayi, dono ek dusre ki aankhon me aankhen daal daikhne lage.

Veronica (Mumble): Ye tha jo Lydia ne mehsoos kia tha! Jaise koi blackhole apne andar kheench raha ho Pure shareer me tarange, Main yanhi nahi ruk sakti, Mujhe aur chahiye.

Veronica ne dobara apne hont Aarav ke honto se mila diye, Aarav ka haath pakarte huwe peeche apne gaand per le gayi aur Aarav usse masalne laga.

a8bdd6a3ae55e2f840b6eaa3fa5d5ff9.jpg

[Bazaar Side Quest Available]

[Have Sexual Intercourse with Veronica Carmichael]

[(Reward: ????) (Failure penalty: ???)]
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Ye update 8K Words ka hai, Rakhna 5K ka tha lekin 8K per chala gaya sorry for delay, Target wohi agar 30 Likes huwe to next update Friday Night ko aye ga, Umeed karta hu ap ko Update pasand aye ga Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Bhai ye veer ki maut bhayanak honi chahiye wo bhi aarav Arya ke hatho me
And aarav aur vanshika k jaisa
Akash aur urvi ka hona chahiye aur ek baat aakash aur urvi ye carecter is kahani ki ki jaan hai unhe kuch mat hone dena aur ho sake to agale update me aarav ko india bhej do aakhir purane dino me help karane valo ko bhi bhulana nahi chahiye logo ko kyunki unki wajah se to aarav Aaj is mukkam par hai
Baki aap badhiya likh rahe ho aur ha ye mera thinking hai do not take anyone personally
 
  • Love
Reactions: Salty~Otaku

Ak47203

Well-Known Member
3,692
5,739
143

Awesome update
 
  • Like
Reactions: peerdip Meena

zamam

Member
109
77
43
UPDATE 22
(BEYOND THE HORIZON)

Darkvale Forest ~
84 Hours 32 Minutes Remaining

*Sshhhrrrr*

Aarav Khali ankho ke saath kadam aage barhata ja raha tha, Uss ke haath se Ki Blade neeche zameen se lagte huwe uss phaarte huwe aage barh rahi thi, Aarav ki nazre Kabhi Yoo-Jung to kabhi Shadow ke kate huwe sar ki taraf jaati.

Aarav ne apni nazre upar karte huwe apne saamne khare Orc King ki taraf daikha, Orc King chehre per ek ghinoni muskan liye Aarav ko daikh raha tha, Aarav ki ankho me gussa bharne laga.

[Alpha Authority Activated]

[Unique Ability (Will to live) Activated]

[Beast Transformation (Wolf Claws)]

Aarav ne kehar bhari nazro se Orc King ki taraf daikha, Orc King ke chehre aur bhi khusi aa gayi jaise wo Aarav ki halat Enjoy ker raha ho, Aarav ne raftaar pakri aur aage barhte huwe chalaang maari aur hawa me apni blade ko rotation dete huwe.

[Deathly Slash]

Aarav ne pehla vaar he Deathly Slash ka kia jaise wo Orc King ki ghinoni muskan ko ek bhi aur pal nahi daikhna chahta tha, Aarav ko khud ehsaas na huwa lekin uss ke Deathly Slash ne neeche Ground per ek cut bana dia.

Aarav ne neeche kadam rakhte he saamne daikha, Lekin Orc King wahan tha he nahi Aarav ne ghoomte huwe peeche Slash mara to Zameen se ek Blood spike baahir aa gayi, Aarav ne uchalte huwe apne haatho per Balance ker khud ko peeche ghaseet lia.

*Grooowwwwrrrrr*

Aarav ka gussa barhne laga, Uss ki Ki Blade roop badal ker Claws ke saath dalne lagi, Aarav tezi se aage barha aur ek ke baad ek Vaar karne laga, Orc King ki raftaar bhi barhne lagi aur wo Aarav ke har Attack ko dodge karne laga.

Orc King ne Aarav per Vaar karna chaha to Aarav hawa me uchal gaya, Uss ki ankhe Neele rang se laal me badalne lagi, Aarav ne apna haath aage barhaya to uss ke haath me Ki energy ikathi hone lagi, Inner Ki kisi Ball ke roop me Aarav ke haath me Rotate karne lagi.

Aarav: Arrrggghhhhh!

Aarav haath neeche karte huwe neeche Orc Ki ki taraf jaane laga, Aarav hava me jaise Levitate ker raha tha uss pal, Aarav ka haath Orc King ko lagne he wala tha.

*Pssshhhhh*

Aarav ki kalayi me tez jalan huwi aur Inner Ki ki bani wo ball nasht ho gayi, Aarav zameen per ja gira uss ki ankhe dobara waapis normal hone lagi, Aarav ka sar bhaari hone laga.

Aarav: Ye kia huwa? Or-

*Pch*

Aarav kuch aur bolta ke uss ke chehre oer kuch aa gaya, Aarav ne dhayan se daikh to wo Slime thi, Aarav waapis baitha aur chaaro taraf daikhne laga, Wahan koi bhi Orc ya Orc King nahi tha.

Aarav: Kahan gye wo sab? Abhi to yanhi the! Kuc-

Aarav ne saamne daikha to Vansh aur Yoo-Jung dono bilkul sahi the, Dono ke chehro per khoof tha, Jahan Vansh hava me ghabraye huwe Spear ghoomaye ja raha tha.

Wanhi Yoo-Jung ek jagha baithi dar se kaanp rahi thi, Yoo-Jung ki ankho me ansoo the wo khari bhi nahi ho paa rahi thi.

765eebaf39a1dc6d77141dfe4fce55a7.gif

Aarav: Ye sab kia ho raha hai? Was it just in my mind?

Aarav ne khud se sawal kia, Uski awaz me shanka aur Ashcharya dono ka ehsaas tha, Wo samajhne ki koshis ker raha tha ke jo drishya uss ne kuch pal pehle daikha wo sach tha ya sirf uss ki kalpana, aur phir jaise usse kuch yaad aya to wo apne saath latke uss bag ko khol uss me wo kitaab dhondne laga.

Bag me rakhna to Easy tha, Lekin uss ko Dhoondne me kuch waqt lagta tha, Kitaab milte he Aarav ne uss ko khool panne palatne laga, Kuch pal me he Aarav ko wo page mil gaya jis ko wo dhoondh raha tha.

[The Illusion Mist is a creature that uses mist to create illusions from a distance. When someone breathes in the mist, they start seeing these illusions. If the person gets hurt outside of the illusion, it breaks the spell. However, they must avoid inhaling the mist again, or they can get trapped in the illusions once more.]

Slime Aarav ka chehra iss liye dhake huwe thi ke wo dobara Illusion Mist me saans na le, Aarav ke paas aisi situation se bachne ka raasta tha, Inner Ki ko saanse lene ke raaste me balance karte huwe ek filter bana lia Aarav ne, Filter se hava me chupe sabhi poison sirf purify ho ker Body me ja sakte the.

Aarav: Ab tum mere chehre se hat sakte ho!

Slime Aarav ki baat maante huwe neeche utar gaya, Aarav ne gehra saans bhara lekin usse kuch bhi na huwa, Aarav ne muskurate huwe Slime ko thap thapate huwe usse uss ke kaam ke liye shabashi di.

(◍•ᴗ•◍)✧*。

Aarav waapis khara huwa, Uss ne apne kareeb daikha, Uss ki banayi Ki Ball beech me nasht to ho gayi thi, Lekin uss ke Impact se wahan ek bara gadha ban chuka tha, Aarav ko khud samajh na ayi ke uss ne ye kaise kia tha, Uss pal jaise Aarav khud ki body se control kho raha tha.

Aarav: Akhir kitni takatwar thi wo Ki Ball? Zameen ko chhue bina he itna bara gadha wo bhi in pathro per jis ko Slime bhi pighla na payi!

Aarav ne abhi ke liye un khayalo ko mann se nikala aur apne saathiyo ko bachane chala gaya, Aarav ne Vansh se pehle Yoo-Jung ko Illusion se nikalna sahi samjha, Wo Vansh ko Yoo-Jung ki ye halat nahi dikhana chahta tha.

Aarav Yoo-Jung ke paas gaya ti wo ghabrate huwe khud ko peeche ghaseetne lagi, Yoo-Jung Aarav se bhi dar rahi thi lekin Aarav ko ab pata tha ke wo Aarav se nahi jis ko wo Aarav ki jagha daikh rahi thi uss se dar rahi thi.

Aarav ne apne tez kadmo aur Movement ko Use karte huwe Yoo-Jung ke peeche ja ker uss ka pakar lia, Yoo-Jung Chutne ki koshis karne lagi per Uss me abhi wo pehle wali strength nahi thi, Aarav ne apne haath Yoo-Jung ke Gulabi honto per rakhte aur Yoo-Jung ko khud se chipka lia, Apna chehra Yoo-Jung ke kandhe per le jaate huwe apne daanto ko Yoo-Jung ki makmali tawacha per gaar diye.

*Aghhh, Uhmmmm*

Yoo-Jung ke muh se awaz nikli, Lekin wo dard se cheekhne se zada Moan zada lag rahi thi, Yoo-Jung se zada Aarav ghabra gaya, Uss ne to ye Yoo-Jung ko bachane ke liye kia tha lekin uss Pahari larke ko kia pata tha ke ye kitna galat dikh raha hai.

Lekin ab Aarav ne ye ker he dia tha to wo ruka nahi aur daant se aur bhi kaatne laga, Yoo-Jung ki pakar Aarav ke haatho per kasne lagi aur uss ka dar khatam hote huwe wo hosh me aa gayi, Aarav ne apna chehra peeche kia aur Yoo-Jung ke muh aur naak per haath rakhe baitha raha.

Aarav: Tum hava me saane nahi le sakti! Mujhe nahi pata tum ne kia daikha, Lekin wo jo bhi tha wo sirf ek Illusion tha, Hume tumhare liye koi mask chahiye per mere paas mask nahi hai.

Yoo-Jung ne kuch pal chaaro taraf nazre ghoomayi, Usse Aarav ki baat per vishwas ho gya ke wo sahi keh raha hai, Yoo-Jung ne angoothe se Good ka ishara kia to Aarav apna haath uss ke chehre aur kamar se hatate huwe khara ho gya.

Aarav ab jab dobara Yoo-Jung ki taraf daikh raha tha to Situation Awkward ho gayi uss ke liye, Ab tak pehli baar Aarav mekisi larki ko aise Moan karte suna tha.

Aarav (Awkwardly): H-Hum mask dhoond-

Yoo-Jung: Uss ki zaroorat nahi hai! Main hava me chupe toxic se bach sakti hu, Pehle sirf meri Laparwahi ki wajha se main Illusion me phans gayi thi, Hamare liye abhi uss Mist Monster ko dhoodna zaroori hai, Mist me aur bhi koi Toxic ho sakta hai jo hume Harm ker sakta hai.

Aarav: Right! Lekin hum usse dhoonde gye kaise? Wo kanhi bhi ho sakta hai!

Yoo-Jung (Sigh): Huh! Mujhe laga tha tum ab tak Figure out ker chuke ho gye.

Aarav: Kia?

Yoo-Jung: Tumhe kis lagta hai? Dzanum se larte waqt mujhe kaise pata chal gaya ke tum wahan ho?

Ab jab Aarav dobara soch raha tha to sach me Yoo-Jung ne bina daikhe he Aarav ko pukar lia tha, Jahan Aarav tha wahan Yoo-Jung ko dikhna possible he nahi tha.

Aarav: Kaise?

Yoo-Jung: Mujhe last Quest ki MVP Banne per ek new Ability mili thi! Holoscan, Main apne around 50 Meter tak Area ko Scan ker sakti hu, Bilkul kisi Radar ki tarha, Sab kuch to nahi dikhta lekin agar mujhe pata hai ke main kia dhoond rahi hu aur wo 50 meter ke Radius ke andar hai to main uss ki location detect ker sakti hu.

Ye ability Aarav ki sense ki tarha ki thi, Lekin Aarav aise detect nahi ker sakta tha, Jahan Holoscan zada specifically mosnter ki location pin ker sakti thi.

Aarav: Vansh ko bhi uss waqt ais-

Yoo-Jung: Nahi! Vansh chutiya hai, Uss ke chehre se uss ki tharak jhalak rahi thi, Mujhe Holoscan ki bhi zaroorat nahi thi!

Aarav apna sar pakar khara ho gya, Sach me Vansh ek chutiya tha, Upar se Yoo-Jung ek pal ke liye bhi nahi jhijhki kuch kehne se pehle, Aarav shayad pehli curse word sun raha tha kisi larki ke muh se, Aarav ne dobara apne sar se ye baate nikali aur jo zaroori hai uss per dhayan dene laga.

*Ahhhhh*

Vansh apna spear liye bhaagte huwe un ki taraf aya, Yoo-Jung bina kisi effort ke uss ke side per gayi aur Vansh ko pakarte huwe kisi Wrestler ki tarha Chokeslam dete huwe zameen per patak dia, Vansh wanhi neeche Unconscious ho ker gir gaya.

Yoo-Jung: Ab hamare liye zada easy rahe ga! Shuru karte hai phir.

Yoo-Jung dikhne me kisi Pari ki tarha ki thi, Lekin uss ke move kisi Demon se kam khatarnak nahi the, Beauty with Brain to tha he lekin Yoo-Jung ke liye Demon lagana galat nahi tha.

Aarav (whisper): Shayad mujhe wo moan wali baat kabhi pata nahi lagne deni chaiye iss ko!

Yoo-Jung: What?

Aarav: Kuch bhi nahi! Tum shuru karo.

Yoo-Jung ne apna dhayan saamne kia aur hava me he Ungliya chalane lagi, Matlab uss ke saamne uss ki System window open thi.

Yoo-Jung: Mil gaya hume hamara mujrim!

****

Darkvale Forest ~
83 Hours 27 Minutes Remaining

*Gasping*

Daisuke ki saanse bhaari ho chuki thi, Wo Pichle ghante se apne pratidwand ko harane ki koshish ker raha tha, Lekin Daisuke ki kanhi se bhi jeet hoti dikh nahi rahi thi, Daisuke ne apne dusri taraf daikha to wahan Pathro ke neeche Isabelle dabi huwi thi.

Daisuke (Annoyed): Akhir chahte kia ho tum? Yahan aa kaise gye tum?

Daisuke ko uljhan hone lagi thi, Lekin Dusri taraf se koi bhi jawab na aya, Daisuke ne dobara apni swords uthayi aur apne pratidwandi ki taraf tezi se bhaagne laga, Paas jate he Daisuke ne apni Sword ko ghoomate huwe vaar karna chaha, Lekin ek baar dobara wo asafal raha aur ulta khud zakhmi hote huwe peeche ja gira.

Daisuke ki halat ab uthne layak nahi rahi thi, Wo zor lagate huwe uthna chah raha tha, Lekin uss ki halat usse uthne nahi de rahi thi, Saamne khara vyakti chalte huwe Daisuke ki taraf ane laga, Daisuke apni haar maan chuka tha Vyakti ne apna haath Daisuke ke sar per rakha.

[Healer detected! Mana transfer to player in progress]

[Player's Mana Zone Activated]

Daisuke ne sar utha saamne daikha to wahan wo Vyakti nahi, Isabelle baithi huwi thi Daisuke ke sar per haath rakhe, Daisuke ki HP bhi recover hone lagi, Daisuke ko situation samajhte waqt nahi laga.

Daisuke: Sab kuch ek chhalava tha kia?

Isabelle: Shayad! Lekin Achanak se tum ajeeb harkate karne lage, Main ne pehle koshis ki ke apni shaktiyan istemal na karu, Lekin jab halat bigarne lagi to mujhe Ability Istemal karni per gayi, Agar tumhe kuch ho jata to mujhe kon bachata?

Isabelle ne Daisuke ko Calm karne ke liye dhayan se apne shabdon ko chuna tha, Daisuke bhi Isabelle se kuch kehne ki halat me nahi tha, Daisuke uthte huwe deewar se tik ker baith gaya.

Daisuke: Tum ne kia kiya?

Isabelle: Pata nahi! Lekin mujhe ye pata chala hai ke itna zada Mana hone ki wajha se main Ek Mana Zone bana sakti hu, Ye kia hai mujhe bhi nahi pata lekin main ne koshis ki to tum apne hoosh me waapis aa gye kisi tarha iss se!

Daisuke: Hmm!

Dono ke beech shanti chaa gayi, Jahan Isabelle Daisuke ki ajeeb harkate daikh ker dar gayi thi, Wanhi Daisuke abhi huwe chhalave ki socho me dooba huwa tha.

Isabelle (Concern): Kia daikha Chhalave me tum ne?

Daisuke (Sigh): Huh! Kuch purane zakhm the, Dobara hare ho gye hai wo, Daro mat abhi ke liye theek hu main, Tum batao kitni der ye Mana Zone bana ker rakh sakti ho.

Isabelle: Pata nahi! Lekin zada samay nahi banaye rakh pao gi, Ab ki baae shayad Mujhe bhi ye Mana Zone na bachaye, Lekin ab hume pata to chal gaya na ke wo ek Chhalava hai, Hum dobara shayad na phanse uss me!

Daisuke: Nahi! Main ne jo mehsoos kia hai wo ajeeb tha, Main jaanta tha ke wo sach nahi hai, Lekin main usse jhuthla bhi nahi paa raha tha, Chhalave se mili ye chhote bhi abhi tak hai, Agar dobara hum phanse to shayad waapis na aa sake hum.

Isabelle: Hume kuch karna chaiye!

Daisuke: Kia kare? Meri halat aisi nahi hai ke hum chal sake, Tumhare bina ye Mana Zone bhi nahi rahe ga to tumhe peeche chhor kuch daikhne bhi nahi ja sakta, Agar tum ne Heal Use ki to Durability kam ho jaye gi, Hum sirf Prarthana ker sakte hai, Agar ye Dhundh se Illusion aye hai to Dhundh ke saath chale bhi jaye gye, Ye prarthana karo ke hamare khatam hone se pehle khatam ho jaye ye Dhundh, Warna sach me hum yahan 24 Ghante bhi pure nahi ker sake gye.

Daisuke peeche deewar se sar sata ker baith gaya, Isabelle bhi darne lagi aur puri koshis karne lagi ke wo kuch he aur pal kiu nahi lekin Mana Zone banaye rakh sake, Lekin unhe lag nahi raha tha ke wo nikal sake gye ab ki baar.

Isabelle (Sob): Lagta hai akhri baar usse daikhne ka moka bhi nahi mila ga mujhe!

Daisuke (Smile): Huh! Itna pyaar karti ho to keh kiu nahi deti uss se?

Isabelle: Pyaar nahi keh sakti usse main! Pyaar to ek baar main ker chuki hu, Mera Fiance jo budhu ye samajh raha ke main trip per hu, Lekin jo Aarav ke saath main mehsoos ker rahi hu wo bhi bohat ajeeb hai, Sirf ek baar usse daikhne ki chahat mere andar se jaye nahi ja rahi, Na Jaane uss ki chumban ne kia ker dia hai mujh per, Aisa hai jaise ek khinchav mujhe uss ki taraf kheenche ja raha hai, Huh! Kia lagta hai kaisa ho ga wo?

Daisuke: Kaisa hai ye to nahi keh sakta! Lekin kam se kam wo zinda hai, Andrew ke waqt jo notification aya tha abhi tak waisa koi Notification nahi aya, Jab tak wo notification nahi aye ga Matlab wo zinda hai!

Isabelle (Relief): Thank You! Kam se kam wo zinda hai ye jan'nne ko mila, Na jane kia ker raha ho ga wo?

****

Darkvale Forest ~
81 Hours 59 Minutes Remaining

*Woosh* *Woosh*

Aarav aur Yoo-Jung dono bina kadmo ki awaz kiye bhaagte huwe Mist Monster ki taraf jaa rahe the, Vansh ko Unconscious Aarav ne kandhe per uthaya huwa tha, Unhe nikle huwe kafi samay ho chuka tha lekin jaise Mist Monster bhi unn se dur bhaag raha tha.

Yoo-Jung: Hamare saamne he wo kanhi ruka huwa hai! Lagta hai thak chuka hai wo itna bhaagne ke baad.

Aarav aur Yoo-Jung Location wali jagha pohanch khare ho gye, Lekin wahan unhe koi bhi nahi dikh raha tha, Dono har taraf dhoondne lage lekin wahan koi bhi nahi tha.

Aarav: Kahan hai wo?

Yoo-Jung: Mujhe nahi pata! Main sirf location pata ker sakti hu, Wo yanhi kanhi hai, Lekin hamari nazro me nahi aa raha, Kanhi wo Invisible to nahi hai kia?

Aarav: Tum ne apna kaam ker dia hai! Ab meri baari hai.

Aarav ne Vansh ko neeche laita dia aur zameen ko chhute huwe ankhe band ker dhayan lagane laga, Uss ki Sense ne kaam karna shuru kia aur wo apne kareeb dhoodne laga Mist Monster ko.

Aarav: Wahan us ped ke upar!

Aarav ne ishara kia to Yoo-Jung tezi se uss taraf uchli, Eagle Eye ko Use karte huwe uss ne dhayan se daikha to usse apne saamne Mist Monster mil gaya, Kisi machar ke Aakar ka ek keera uss ke pankh Alaukik roshni me chamak rahe the, Roshni me ek Vibration se Mist ban rahi thi, Yoo-Jung ko daikhte he wo waapis urte huwe bhaaga.

367c08571f6e0b5ab74a97338cc6718f.jpg

Yoo-Jung ne apne Dagger se Vaar karna chaha, Chote Aakar ki wajha se Uss ne Aasani se khud ko Yoo-Jung ke vaar se bacha lia, Yoo-Jung se bachte he wo dobara bhaagne ko huwa.

Uss se pehle Aarav apne sharp Senses se Yoo-Jung ki lead follow karte huwe uss ke saamne aya aur apni Ki Blade uss ko kaatne ko huwa, Lekin dobara uss ne khud ko bacha lia lekin ab ki baar uss ki direction ki sense freeze ho gayi thi ek pal ke liye.

*Swish*

Ek Arrow hava ko cheerte huwe uss machar jaise praani ko apni nok per le jaate huwe saamne ped ne ja ghusa, Uss ke pankho ki roshti dheemi hote hote khatam ho gayi.

Aarav ne Yoo-Jung ki taraf daikha jo apna bow liye khari huwi thi, Andhere me ek keere ke Aakar ke praani per itna accurate Aim karna koi sadharan baat nahi tha, Dhundh khatam hone lagi aur waapis se sab kuch saaf dikhna shuru ho gya.

Aarav ped ke paas gaya aur Arrow ko baahir nikal daikhne laga, Arrow ki tip per Mist Monster tha, Lekin wahan koi Mana Stone nahi dikh raha tha.

Aarav: Ab iss ka kia kare?

“Noum”

Aarav ki kalayi se Slime ki halki awaz ayi, Aarav ne slime ki taraf daikha to wo Mist monster ki taraf daikh rahi thi.

Aarav: Kia huwa? Khaana chahte ho to kha sakte ho tum!

(●♡∀♡)

(╯°□°)╯︵ `

Slime ne Arrow ko Monster ke saath jhapat lia, Kuch he lamho me monster aur Arrow dono puri tarha nasht ho gye the.

[Acid Slime Devoured a Higher Level Creature]

[Acid Slime Power Leveled Up]

dac095c99b7809fa69fd290bbe10f19d.jpg

Acid Slime ke Mist Monster ko khaate he uss ka level up ho gya, Ab tak Aarav ye bhi nahi samjh saka tha ke Rank aur Level me kia difference hai? Aarav ne ye Waapis jaane ke baad sochne ke liye chhor dia.

Yoo-Jung: Hume waapis jana chahiye! Kuch ghanto me waapis roshni ho jaye gi, Hamare paas araam ke liye kuch ghante he hai, Hum me se koi ek pehle soo jaye ga aur dusra Guard kare ga, Phir dusra soo jaye ga aur pehla Guard kare ga!

Yoo-Jung ne duty samjha di, Vansh ki halat Guard karne wali thi nahi to usse count nahi kia, Dono waapis Safe Zone ki taraf chale gye, Waapis ane ke baad Aarav ne Infinity bag me se Tent aur Heater jaisi cheeze nikaal li jo wo saath le ker aya tha.

Tent set karne ke baad Pehle Aarav ne Guard duty lene ka decide kia, Vansh ko ek taraf laita dia gaya aur Yoo-Jung alag se lait gayi, Aarav baahir ek bare pathar ke upar baith gaya.

Acid Slime ko apne saamne Rakh Aarav usse dhayan se daikhne laga, Ek din me he dobara kitna kuch badal chuka tha, Jo Slime subha Aarav ki dushman thi ab wo he Slime Aarav ke saath thi, Agar Slime madad na karti to shayad wo log Illusion se kabhi baahir he na aa pate!

Aarav Slime ko daikha apne Purane saathiyo ko yaad karne se reh na saka, Akhir kanha the sab Demon Wolf? Kiu wo unhe Sense nahi ker paa raha tha? Wo un Orc's se bach ker nikal to gye the na? Aise bohat se sawal Aarav ke mann ko uthal puthal ker rahe the.

Aise he khayalo me waqt beetata gaya, Kuch ghanto ke baad Yoo-Jung khud he uth gayi aur Aarav ko araam karne ke liye bhej ked Guard duty per baith gayi, Aarav abhi laita he tha ke pure din ki thakan ek saath effect ki aur Aarav agle he pal neend ki gehrayio me chala gaya.

415e2e25a02a1e6698ff0cd84ec8ee88.jpg

*Ughhhh*

Aarav jaldi se uth ker baith gaya, Uss ka badan paseene se bheega huwa tha aur saanse tez tez chal rahi thi, Aarav ne baahir daikha to roshni jo chuki thi, Aarav baahir nikla saamne he usse Vansh dikh gaya.

Vansh: Kuch zada nahi soo liye kia?

Aarav ko ek pal ke liye gussa aya ke akhir kon puri raat sota raha hai? Lekin wo bina kuch bole Yoo-Jung ke paas chala gaya jo apne weapons tayar ker rahi thi.

Aarav: Nikal rahe hai kia hum?

Yoo-Jung: Haan! Abhi ke liye hum waapis uss taraf jaye gye jis taraf se main ayi thi, Agar mere Holoscan me Isabelle ya Daisuke me so koi aa gaya to hum un ke saath mil sakte hai.

Aarav: Good! Main Tent le leta hu waapis.

****

Darkvale Forest ~
73 Hours 13 Minutes Remaining

*Thud*

Ek pathar ke girne ki awaz se Daisuke ki aankh khul gayi, Apne saath daikha to neeche Isabelle laiti huwi thi, Kab un ki aankh lag gayi dono ko he pata nahi chala, Der raat tak Isabelle Mana Zone banaye rakhe huwe thi.

Daisuke ne upar daikha to pedon ke beech me se halki dhoop darshan de rahi thi, Daisuke khara hone ki koshish ker raha tha lekin abhi bhi uss ki body bohat damage thi, Daisuke apna sar dobara deewar se sata ker baith gaya.

Daisuke: Akhir 24 Ghante survive ker he lia! Ab jald se jald baki-

*Glup*

Ek safed rang ki cheez Daisuke ki taraf ayi to wo Isabelle ko lete huwr Side per sarak gaya, Aise Achanak movement se Isabelle bhi ankhe khol ker daikhne lagi ke kia huwa? Daisuke uss taraf daikha jahan wo kuch pal pehle baithe the to wahan ek jaal sa ban gaya tha.

Daisuke: Spider! Lekin kahan?

Daisuke ne apni Swords per pakar banayi aur Spider ko dhoondne laga, Usse zada dhoondna nahi para, Ek taraf se Spider ati Daisuke ko dikh gayi jo kisi Billi ke size jitni bari thi, Daisuke aage barhne ko huwa he tha ke uss ke kadam wanhi tham gye, Uss ek Spider ke baad wahan se ek aur Spider ayi phir ek aur phir ek aur nikal ayi.

a8fb38d2fc1337d969c0ff4db0ffa41b.jpg

Wo sirf ek spider nahi puri Spider Army thi, Daisuke ne Isabelle ko uthaya aur wahan se bhaagne laga, Daisuke ko spider ki power ka andaza nahi tha lekin itne bare number se larna Daisuke ki haar ban'nne wala tha.

Isabelle: Ab kia kare hum? Mera Mana pura Exhaust ho chuka hai, Main simple boost bhi nahi Use ker sakti hu!

Daisuke ki halat abhi bhi khaas sudhri nahi thi, Lekin aisi khatarnak me zinda bach jaane ke baad Daisuke haar nahi man'nna chahta tha, Bachi huwi takat istemal karte huwe Daisuke bhaage ja raha tha, Spiders bhi jaise aj uss ka peecha na chhorne ka faisla ker ke ayi thi.

Daisuke bhaage ja raha tha jab tak uss ke saamne ek Cliff nahi aa gayi, Cliff itni deep thi ke upar se uss ka ground dikh bhi nahi raha tha, Daisuke ne apne kadam Dusri taraf ghoomate huwe Cliff ke saath bhaagne laga, Lekin Spiders ne dono taraf se Cover ker lia tha unhe jis se Daisuke sirf ek direction me he bhaag sakta tha.

Lekin Spiders kisi pal bhi uss ke saamne aa sakti thi, Kuch Spiders bare patharo ko sirf apne Webs se kheench ker idhar udhar phenk rahi thi, Daisuke aur Isabelle ko un ka ant dikhne laga har kadam ke saath un ki umeed khatam hoti ja rahi thi.

“Daisuke!!!!”

Ek awaz ne Daisuke ko waapis hosh me le aya, Awaz Cliff ke dusri taraf se ayi thi, Dono ne uss taraf daikha to Cliff ke dusri taraf un ke saath Baki teeno bhaag rahe the, Un dono ke liye Andhere me ujala ban ker aye the wo teeno, Aarav bhaagte huwe idhar udhar daikhne laga aur phir jaise Aarav ko jo chahiye tha wo usse mil gaya.

Aarav: Yoo-Jung! Mere saath aoo.

[Unique Ability (Will to Live) Activated]

[Current Progress (13.2%)]

[Fear Decreased -100%]

[Endurance Increased +41]

[Intelligence Increased +41]

[Strength Increased +41]

[Stamina Increased +41]

[Agility Increased +41]

[Sense Increased +7]

[All stats return to normal after the Unique Ability (Will To Live) deactivated]

Ek zameen se ukhra huwa ped jo Neeche gira huwa tha, Aarav ne uss ka ek chhorr pakra aur Yoo-Jung ne uss ka dusra chhorr pakra, Uthate huwe Aarav ne beech se ped pakar lia aur Yoo-Jung uss ko sahara dene lagi, Bhaagte huwe Cliff ke kinare aa ker Aarav ne aur Yoo-Jung ne zor lagate huwe ped ko phenka to wo Daisuke ke side ja laga aur idhar se Aarav ne usse pakar ker girne se bacha lia.

Aarav (Shout): Daisuke! Yahan aoo!

Daisuke ne Aarav ki tarac daikha to wahan nikalne ka raasta ban chuka tha, Aarav ko ane me waqt lag sakta tha, Tab tak Daisuke wahan ruk nahi sakta tha to usse he uss taraf jana tha.

Daisuke: Isabelle! Bachi huwi puri takat se pakar lo mujhe.

Daisuke bhaagte huwe Ped ke upar charh gaya, Yoo-Jung Arrows se Spider ko rokne ki koshis ker rahi thi, Wanhi Aarav dusri taraf se ped ko pakre huwa tha, Daisuke ki umeed barhne lagi wo kadam barhata raha, Uss ki ankho ke aage andhera chaane laga saanse bhaari hone lagi aur akhir uss ka paon phisal gaya.

Aarav: Daisuke!!!

Daisuke Ped ki tehni ko pakre jhool raha tha, Lekin wo apni halat me zada der usse nahi pakar sakta tha, Yoo-Jung ko ped ke upar charhna per gaya aur wo Daisuke ki taraf bhaagi, Lekin Daisuke ka haath phisalne laga tha uss ke peeche latki Isabelle neeche ki gehrai daikh dar rahi thi, Daisuke tehni ki tip per aa chuka tha.

Isabelle: Sorry!

Isabelle ne Daisuke ka kandha choor dia, Daisuke ki ankhe herat se khul gayi jab uss ke peeche wazan kam huwa, Yoo-Jung ne Daisuke ka haath pakar lia oer Daisuke ki nazre neeche gir rahi Isabelle per thi jo ankho me ansoo liye gir rahi thi, Wanhi dusri taraf khare Aarav ka pura badan sehar utha, Kia wo dobara apne saathi ko khone wala tha?

“Kia phir se wohi hone wala hai? Itni mehnat ke baad bhi main kuch nahi ker pao ga kia? Kia mujhe bachane kudna chahiye kia? Lekin main wahan itni dur tak Isabelle ko pakarne ke liye pohanch pao ga kia? Agar sirf main Tsubame ki movement seekh pata! Lekin mujhe kiu uss ko seekhne ki itni zaroorat dikhti thi? Kiu uss ke bina adhoora lagta tha? Haan, Main saamne daikhne ki koshis me kabhi peeche daikh he nahi paya! Kia waisi Movement sird Tsubame ki thi? Nahi, Wo chahat mujhe Tsubame se nahi kisi aur se ayi thi! Mera sab se pehla opponent”

[Forceful Unsealing of Alpha's Abilities Detected!]

[Alpha's Abilities Unsealed: Forceful Override Detected!]

[Alpha's Ability Successfully Unsealed!]

[New Ability Acquired (Flash Steps)]

ed322e497cbb046351d58a2f04b316e7.jpg

Aarav: Flash Steps!

Aarav ke pairon me Vibration mehsoos hone lagi, Ek jhatke ke saath Aarav Cliff se kud gaya, Sabhi ki nazro me Aarav ek jagha se dusri Jagha teleport huwa tha, Lekin Isabelle kafi neeche ja chuki thi to Aarav ne Isabelle ko pakra aur paas ke pathro ko pakarne ki koshish karne laga, Lekin tez movement se uss ka haath kisi bhi pathar per sahi se nahi laga.

Ek haath se Isabelle ko kamar se pakre dusre haath se rukne ki nakam koshis karte huwd Aarav bhi Isabelle ke saath he khayi me chala gaya, Kuch he pal me dono bakiyo ki nazro se ojhal ho gye.

Yoo-Jung ne Daisuke ko upar kheencha aur Usse le ker Vansh ke paas aa gayi, Daisuke ke hosh abhi bhi salamat nahi huwe the, wanhi Spiders dusri taraf se web shoot ker ke iss taraf aa rahi thi, Ek baar dobara wo ghirne lage Spiders ke beeche me, Yoo-Jung sar jhukaye khayi se neeche daikhe ja rahi thi.

Yoo-Jung: Hume nikalna ho ga! Hum yahan se seedha neeche nahi ja sakte hume ek safe route dhoondn ho ga.

Vansh(Scared): Pagla gayi ho kia? Tumhe lagta hai yahan se gir ker dono me se koi bhi bacha ho ga?

Daisuke: Wo zinda hai! Abhi tak notification nahi aya, Yoo-Jung sahi keh rahi hai hume Safe route dhoondna ho ga.

Vansh(Annoyed): Yahan In makriyo se kaise bach kef nikle pehle wo socho!

Daisuke me itni takat nahi thi ke wo bhaag pata ya lar sakta, Kia Vansh aur Yoo-Jung itne Spiders ko ek saath maar sakte the kia? Dikhne me wo Na-Mumkin lag raha tha, Yoo-Jung dono ko peeche chorte huwe Spiders ke paas jaane lagi.

Daisuke (Concern): Yoo-Jung! Chances mat lo, Wo-

Daisuke ke shabd beech me he ruk gye, Yoo-Jung haatho ko phela gehre saans bharne lagi, Thumb aur Index finger se ek Hole banate huwe Aim bana ker Yoo-Jung ne zor se saans choori to uss ke muh se Aag nikalne lagi aur makriyo ko jalane lagi.

22ff555e3478e4eba0abed37ddfcae44.gif

Daisuke: Fire Realm Clan!

.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Update ko dhayan se parhna bohat se future plots hai iss update me, 5.7K words ka hai ye Update,Light jaane ki wajha se thora late ho gya, Baki Target wohi hai 30 likes agar huwa to Next Update Saturday Nght ko aye ga, Umeed karta hu ap ko update pasand aye ga aur agar pasand aye to izhaar karna mat bhoolna, Milte hai agle Update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Yu-jung zinda hai :cry2:
 
Top