..UPDATE 21
azeem:- okay bhai done...but fir aap mujhe nahi bhoolna...
atif:- dont worry yaar tujhse wada kiya hai to nibhaunga bhi......
Aur uske bad main apne ghar aa gaya..ab waqt tha LOVELY se baat karne ka..maine night me hi uske number par msg kiya..
Atif:- hi.....and congrats for your engagement. ((Uska mobile shayad uske haath me hi tha uska reply bhi ekdum aa gaya))
Lovely:- thanks, but who are you ?
Atif:- pahchan sako to pahchan lo.
Lovely:- mujhe KBC khelne ka koi shauk nahi hai. Apko batana hai to bataiye warna dobara msg nahi karna mujhe.
Atif:- (( fir maine use ek voice msg bheja)) ab agar awaz pahchan sako to pahchan lo.
Lovely:- ohhho atif sahab hain...aap to hamesha lavish aur ambar se hi milne aate hain...aaj mere paas kaise aa gaya msg. Aur mere khyal se meri shadi hone ke bad karna chahiye tha msg ab bhi kyun kiya. Ab meri mangni ho gai hai to ab pahli baar tera koi msg aya. Ab kya faayeda.
Atif:- kya matlab?
Lovely:- kuch nahi yaar, tu nahi samjhega, aur bata kaisa chal raha hai sab?
Atif:- are yaar tu to hamesha ghar ke kaamo me hi busy rahti hai. Tere paas waqt hi kahan hai mujhse baat karne ka.
Lovely:- chal chal naatak mat kar..sab pata hai mujhe ki tu mujhse baat hi nahi karna chahta.
Atif:- ab agar aisi baat hoti to main is time msg hi kyun karta.
Lovely:- chal acchcha theek hai......aur bata kya chal raha hai ?
Atif:- bas yaar ek chhoti si baat hai aur zaroori bhi hai aur usme teri help chahiye hai...aur help abhi nahi chahiye, shayad kuch saal baad..
Lovely:- aisi konsi help hai jiska zikr tu abhi kar raha hai but chahiye tujhe kuch saal baad.
Atif:- (( fir main ek lambi si saans leta hun, khud ko mazboot karta hun aur apne dimaagh me shabd dhundne lagta hun ki kis tarah se mujhe shuruat karni chahiye apni baat ki))...yaar dekh jo baat main tujhe batane ja raha hun wo sirf hamare beech ek secret rahna chahiye. Main sirf tujh par bharosa kar sakta hun kyunki bachpan se hi hum dono ke beech ek acchi bonding rahi hai isiliye maine tujhe batane ka socha hai aur kisi se bhi is baat ka zikr nahi hona chahiye.
Lovely:- mujh par bhrosa karne ke liye shukriya.....aur ab bata bhi de itna suspense create mat kar.
Atif:- main LAVISH se muhabbat karta hun aur usse shadi karna chahta hun. Shayad hamari family raazi na ho but agar teri thodi help ho jayegi to tera ahsaan hoga.
(( Dusri taraf ekdum khamoshi si chhaa gayi, uski taraf se koi reply nahi aya, main usko lagatar msg karta raha but wo sirf padhti rahi lekin reply nahi kar rahi thi. Lagbhag koi 15 mins ke baad uska ek reply aya jisne mujhe andar se hi hila kar rakh diya)).
Lovely:- ek baat bolun, bura nahi maanna..jo himmat aaj tune LAVISH ke liye dikhayi hai kya wo hi himmat tu kuch waqt pahle mere liye nahi dikha sakta tha ?
Atif:- ab tu KBC mat khel..seedhi baat bata.
Lovely:- seedhi baat ye hai ki main bhi tujhse bachpan se hi pyar karti thi but teri taraf se mujhe kabhi mere liye wo response nahi dikha aur na hi aisi muhabbat dikhi jo tu aaj LAVISH ke liye dikha raha hai.
Atif:- (ab shocked hone ki bari meri thi)kyaaaaa ? But sach me mujhe kabhi pata hi nahi chla ki tu aisi feelings rakhti hai mere liye.
Lovely:- aur agar pata chal jata to? Ya agar main khud hi tujhse apni muhabbat ka izhaar kar deti to tab kya jawab hota tera?
Atif:- but ab in baaton ka kya faayeda ?
Lovely:-main janti hun ki koi faayeda nahi hai but mujhe tera jawab chahiye...shayad mere liye zindagi aasaan ho jaay.
Atif:- please yaar lovely aise sawaal na kar jiska main jawab na de sakun...aur maanle ki main agar haan bhi kah dun to meri jo feelings hain lavish ke liye us par ye ek sawaliya nishan hoga. Aur agar main naa kahta hun to tera dil toot jayega..aur jo meri itni acchi dost rahi hai bachpan se hi main uska dil bhla kaise tod sakta hun..main is baare me kuch bhi nahi kah sakta....please yaar mujhe is imtehaan me na daal.
(( Fir lovely ki call aa jati hai mere mobile par..aur main darr raha tha ki ab kaise baat karunga isse call par, but fir bhi maine uski call receive ki))
Atif:-dekh yaar lovely m...(( Meri baat ko beech me hi kaatkar))
Lovely:- tujhe kuch kahne ki zaroorat nahi hai but ek baat ki khushi ye hai ki meri life me na sahi but meri bahan ki life me to aa hi raha hai tu, aur is bahane main tujhe baar baar dekh to sakungi.
((mere paas kahne ke liye kuch nahi tha to main bas khamoshi se usko sunta raha)) aur tu tension na le bas itna bata ki meri kya help chahiye?
Atif:- sorry yaar, main kabhi teri feelings nahi samajh paya..
Lovely:- are ab chhod na yaar, jo hua so hua..ab apni baat bata kaisi help chahiye tujhe meri?
Atif:- bas yaar tujhe sirf itna karna hai ki jab bhi lavish ki shadi ki baat ho to apne parents se mere bare me sochne ke liye kahna...
Lovely:- chal theek hai..yahan ki tension tu na le, bas apne ghar ka soch, kya teri family maan jayegi?
Atif:- wo meri zimmedari hai, wo main khud dekh lunga......aur sun, tum log kal ja rahe ho na teri sasural me ?
Lovely:- haan, but tujhe kaise pata?
Atif:- mujhe lavish ne bataya tha, aur aaj lavish se milna hai mujhe haweli aakar...tujhe isliye bata raha hun kyunki tujhe pata hona chahiye.
Lovely:- oye hoye, to baat yahan tak pahonch gayi hai, ab dono love birds mauke ka faayeda uthaynge...hahaha.
Atif:- are nahi yaar aisi baat nahi hai, but ye to normal hai na...pyar me ek dusre se milna bhi to zaruri hota hai na.
Lovely:- haan haan kyun nahi, but ek baat dhyan rakhna...kuch galat mat karna tum dono.
Atif:- dont worry, itni akal hai mujh me....but thoda bahot to hoga hi.
Lovely:- thoda bahot? Aur ye kitna hai thoda bahot?
Atif:- i mean....kiss to ho hi sakti hai, agar tu permission de to.
Lovely:-hmmmmmmmmmm chal thik hai itna to hota hi hai....but isse aage nahi jana...samajh gaya na?
Atif:- haan ji haan samajh gaya...wo to main shadi ke baad hi karunga...hehehe.
Lovely:- badmash ladke....bahot tez ho gaya hai tu...
Fir aur thodi der lovely aur main baat karte rahe..fir main call cut karke sone ki tayyari karne laga aur kal lavish se mulaqat ke bare me sochne laga.....jab aap kise se muhabbat karte hain to uske bare me sochna bhi accha lagta hai aur jab apka mahboob apke samne ho to us waqt ki to baat hi kuch aur hoti hai.....mere sath bhi kuch aisa hi chal raha tha aajkal...ab to ye aalam tha ki lavish ke naam se bhi mere chehre par ek smile aa jati thi...main khush tha, meri life lavish ke aa jane se aur bhi khoobsurat ho gayi thi..bas ye hi baatein sochte sochte main so gaya.......
Fir main subah uthkar naha kar fresh hua, nashta kiya aur lavish ko call ki..
Atif:- kya hua sab chale gaye kya ?
Lavish:- my hubby, abhi sirf 9 baj rahe hain, but sab tayyar ho rahe hain shayad ek ghante me chale jaynge.
Atif:-ohhh, iska matlab main jaldi ready ho gaya..
Lavish:-ji haan, abhi aap thoda aur wait kijiye, main call kar dungi apko.
Atif:-ab wait karna mushkil ho raha hai..bas main ab jaldi se tumhare paas aana chahta hun..
Lavish:- itni besabri thik nahi hai atif ji, thoda control rakhiye khud par.....aapne hi kaha tha na ki sabr ka fal meetha hota hai.
Atif:- okay meri jaan, theek hai...fal to tumhare bahot meethe hain, taste karke dekh liye hain maine..
Lavish:- shut up...gandi baatein nahi, ab aap wait kariye, main khud call kar dungi apko...
Uske baad main idhar udhar ghumke apna waqt guzar raha tha...aur ye sala waqt bhi guzar hi nahi raha tha...ajeeb baat hai, jab hum kisi cheez ka wait karte hain to ek min bhi ek ghante ke jaisa lagne lagta hai...khair, waqt to guzarna hi tha so guzar gaya...fir lavish ka msg aata hai ki ab aa jaaye aap..maine bhi der kiye bina fauran jaldi jaldi kadam rakhte huye haweli ke peeche ke darwaze se entry kari jo ki lavish ke portion ke kareeb hi tha...haweli ke andar aakar dekha to azeem apna face dho raha tha, jab uski nigaah mujh par padi to maine use aankho ke ishare se bahar jane ke liye kaha...fir usne jaldi se towel se apna face saaf kiya aur bahar chla gaya...main ekdum lavish ke room ki taraf badha, jahan wo kursi par baith kar mera hi wait kar rahi thi shayad...waise to usko jana hi nahi tha family ke sath but fir bhi wo tayyar hokar baithi hui thi aur behad hi khoobsurat lag rahi thi...main room ke andar gaya aur darwaze ko thoda sa bhida diya...
Lavish:- arerererere...ye kya kar rahe hain aap azeem bahar hi hai wo kya sochega..
Atif:- uski aap fikr na karein, use maine kisi kaam se najibabad bhej diya hai aur wo 3-4 ghante se pahle nahi ayega...but ek baat bataiye, ye itna saj sanwar kar kyun baithi hain aap ?
Lavish:- apne hubby ke liye...
Atif:- aaaaye haaaay meri jaan kya kah diya...ammmmmmuaaaaah, ((maine dur se hi usko flying kiss di, aur usne bhi haath hawa me uthakar kiss ko pakda aur apne seene se laga liya)) uski is ada par main muskuraye bina na raha........
To be continued........