• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    323

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
1,950
21,652
144
Quick Recap of the Arc: After Aarav's encounter with kim Min-soo as Avinash Kim Min-soo ran away. Then Kunle got invitation from the Carnival of death (COD) to save him and for Aarav's alterior motive aarav and Yoo-Jung decided to go with him and joined them Becky and also Caroline who wanted undiscovered her father's murderer.

In carnival with Aarav and Yoo-Jung's help they clear each floor and Aarav was taking all game master out until at floor 3 they got tricked by the game master and lost becky there.

Later they are joined by another team's 2 remaining players (Mira&Daryl) and they entered the 4th floor where they got summoned into another world to complete a quest, Save this world from demon kind and from the demon king and an side quest to save both of Priestesses twin daughters(Eira&Sola). To save them Aarav made a sacred bond(Marriage by earth means) with both of daughters them and get into a physical relationship with them.

*End of recap*
 

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
1,950
21,652
144
UPDATE 8 ~
[QUEST]



*Huh*


Aarav ke muh se awaz nikli aur uss ne apni ankhe dheeme dheeme kholi, Uss ka sar dard se phatne ko ho raha tha abhi bhi use sab dhundla Nazar aa raha tha.



Ankhe khol uss ne daikha ke wo apne Wolf ke upar laita huwa hai aur Wolf chal raha hai, Aarav ne khud ko sambhalte huwe theek se baithaya aur idhar udhar daikhne laga.



“Kaise ho???”



Aarav ko apne peeche se awaz ayi to uss ne sar ghooma ker peeche daikha to uss ke Peeche Yoo-Jung baithi huwi thi, Chehre per abhi bhi uss ke mask tha lekin uss ki Ankho se Aarav use pehchaan sakta tha.



Aarav: Sar phatne ko ho raha hai!!!! Kia huwa tha mujhe?


Aarav ne apne sar pakre kaha, Use kuch samajh nahi aa rahi thi ke use kia huwa hai, Use yahan tak pata tha ke wo Apne Wolf ka Naam rakh raha tha phir kia huwa use kuch nahi pata tha.



“Aarav!!!!”


Aarav ko apne side se Isabelle ki Awaz ayi to Aarav ne uss taraf daikha, Uss se kuch dur he baki sab bhi Apne wolves ke upar baithe huwe the, Isabelle num ankho se Aarav ko daikh rahi thi jaise wo abhi roo de gi.



Daisuke: Aa gaya tumhe hosh? Pure hafte ki neend puri kar li hai tum ne ek baar me!



Daisuke ne hanste huwe Aarav se kaha, Aarav ko abhi bhi kuch samajh nahi aa rahi thi, Asmaan ki roshni se lag raha tha shaam hone wali thi, Aarav ne jab apne hosh khoye the tab subha ka he waqt tha matlab Aarav 7 se 8 ghante soo ker utha tha.


Aarav: Sorry!!! Pata nahi kaise main behosh ho gya, Shayad Goblins ka koi trap tha?


Daisuke: Goblins ka attack nahi tha wo!!! Paka to nahi keh sakta lekin mujhe jahan tak lagta hai Demon Wolf ko naam dene ki wajha se tumhari ye halat huwi thi!!!


Aarav Daisuke ko herani se daikhne laga, Naam dene se kis tarha Aarav ki ye halat ho sakti thi? Daisuke bhi Aarav ki halat samajh gaya aur khud he use explain karne laga.



Daisuke: Ye sirf ek theory hai, lekin jahan tak mujhe lagta hai jab tum ne apne Demon Wolf ko naam dia to kiu ke wo tumhare pack ka hissa tha iss liye wo Naam ek rank ke roop me use ho gya, Jis ki wajha se tumhara Demon Wolf evolve hone laga kiu ke tumhari wajha se wo Evolve ho raha tha iss liye tumhare andar se bohat zada MP ek saath use hone lagi, Tumhari MP kam hone ki wajha se tum unconscious ho gye.



Ab Aarav ko sab kuch samajh ane laga tha, Aarav ne jaise he apne Demon Wolf ko naam dia to wo Demon Wolf bakiyo se High rank per Chala gaya matlab agar Aarav Captain tha to wo Demon wolf Aarav ka general ban gaya tha.


Jis tarha Aarav ko devour Ability use karne ke liye bohat zada Mana chahiye thi waise he apne kisi Demon Wolf ko evolve karne ke liye bhi uss ko bohat zada Mana chahiye tha, kiu ke Aarav ka Mana kam tha iss liye Aarav uss ko bardasht na ker saka aur behosh ho gya.



Aarav: Matlab Kam MP hone ki Wajha se main Shadow ko Evolve nahi ker saka?



Aarav ne Daisuke se dobara sawal kia to Daisuke ne Muskurate huwe Use Shadow ko daikhne ko kaha, Aarav ne aage ho ker Shadow ko daikha to uss ki ankhe Herat se phelti chale gayi.


Shadow Size me aur bhi bara ho chuka tha aur saath he uss ki Ankho ka rang bhi badal ker laal hone laga tha, Lekin Wo Evolve kis tarha ho gya jab ke Aarav ke paas itna Mana tha he nahi? Iss ka jawab Aarav ko puchna nahi para use khud andaza ho gya aur uss ki ankhe Isabelle ki taraf chali gayi.



Isabelle Aarav ko apni taraf daikhta daikh haan me ishara ker deti hai, Jis se Aarav ko pata chal gaya ke ek baar dobara Isabelle ne apni Ability se use Mana transfer kia hai, Ye sochte he Aarav ka haatha apne honto per chala gaya!!!



Isabelle: (instantly) Kiss nahi ki main ne iss baar!!!



Isabelle Aarav ko apne hont chuta daikh jaldi se boli jis ko daikh baki sab hansne lage, Wanhi Aarav apni harkat per sharminda hone laga.



Daisuke: (Laughing) Iss baar kiss ki zaroorat nahi thi! Isabelle ko apni Ability use karne ke liye pure mann se saamne wale ko Mana dene ka sochna parta hai, kiu ke iss baar wo sach ne tumhe bachana chahti thi iss liye sirf tumhe chune ki wajha se kaam ho gya.



Daisuke ki baat sense bana rahi thi jahan pichli baar Demon Wolves ki wajha se Isabelle dar rahi thi jis ke chalte use Aarav ko kiss karna para, Wanhi ab use kisi ka dar nahi tha aur wo sirf Aarav ko bachana chahti thi.


Isabelle aur Andrew dono ke chehre abhi bhi utre huwe the kiu ke un ke kehne ki wajha se Aarav ne Shadow ko Naam dia tha, Un ko aisa daikh Aarav ko bura laga kiu ke wo Aarav ka bura nahi chahte the wanhi Isabelle ne to dusri baar Aarav ko bachaya tha.



Aarav: Chalo ant bhala to sab bhala, Waise kitni MP transfer ki thi Isabelle ne mujhe?


Aarav ne sab ke mood ko badalne ke liye muskurate huwe kaha, Jis ko baki bhi samajh gye aur seedhe ho gye-


Isabelle: Main ne dhayan to nahi dia, Lekin 1000 se upar MP transfer to kari hai main ne hamare collect kiye half Mana Stone Se MP transfer ki hai!!!



Isabelle ki baat sun ek aur bomb Aarav ke sar per phoot gaya, Kahan wo soch raha tha 200 ya 300 MP lagi ho gi, Lekin yahan to 1000 se zada MP lag gayi thi pichle 5 din se unho ne jo Mana Stone collect kiye the uss ka half sirf Shadow ko Evolve karne me lag gaya tha, Aarav kisi aur ko Evolve karne ka sochne bhi nahi wala tha.


Andrew: Isabelle bohat pareshaan thi Tumhe uss halat me daikh ker, 2 din se wo Sab Mana stone se MP transfer ker rahi thi jis se wo khud bhi bohat thak gayi hai!



Aarav: Wait!!! Main 2 din se Unconscious tha???


Ab tak ke lage sab shock se bara shock to ab Aarav ko laga tha, Agar Aarav 2 din se Unconscious tha to iss ka Matlab aj un ki Quest puri karne ka akhri din hai, Aarav ne apne saamne dobara Quest ki Window kholi to uss per time parh ker uss ke hosh urr gye.




[Remaining Time: 6 Hours 14 Minutes]




Sirf 6 ghante bache the Quest puri karne ke liye aur abhi tak wo kahan pohanche the Aarav ye tak nahi jaanta tha, Aur jaise System ne dobara uss ke Mann ki baat sun li ho aur uss ke saamne dobara Window khul gayi.



[You are now entering the Quest Zone]



****



“Ye kha lo!!!”



Isabelle ne ek Apple Aarav ko pakrate huwe kaha, Sab ek Pathar ke paas baithe huwe the aur Ane wali larayi ke loye khud ko tayar ker rahe the, Wanhi Aarav ne 2 din se kuch nahi khaya tha iss liye wo wo Fruits kha raha tha.



Itne dino se wo log ye Fruits he kha rahe the, Isabelle apni Ability se in Fruits ko pehle he check ker leti thi jo khane ke kabil hote un ko wo rakh lete, Wahan khaane ke liye Janwar bhi the jin ko khaya ja sakta tha lekin un ke paas pakane ka waqt nahi hota tha iss liye sab sirf Fruit khate the.



Sab ke chehro per iss waqt Khoof ka saya chaya huwa tha, Un sab ne yahan ane ke baad sirf iss Quest ko pura karne ke liye itni mehnat ker ke khud ko strong banaya tha, Lekin ab jab wo wahan aa chuke the to un ke andar Dar janam lene laga tha.



Dar jo unhe ye sochne ke liye majboor ker raha tha ke agar aj wo ye Quest puri na ker sake to ye din un ka akhri din hone wala tha, Un me Mann me khud se sawal uthne lage the!!!


Kia wo Quest puri ker sake gye? Kia wo Orc king ko harane ke liye Strong ho chuke hai? Agar wo Orc King ko na maar sake to kia wo bach sake gye ya nahi?



In sawalo ne sab ke andar bhukamp utha rakha tha, Koi kuch nahi bol raha tha bus andar he andar jeetne ke liye Praarthana ker rahe the-



*Grrrrr*


Unhe saamne se Shadow wapis ata dikha jis ke Upar Yoo-Jung savar thi, Yoo-Jung wanhi ek pahar ke upar se apne Ability Eagle Eye ki madad se Field ko janchane gayi thi.



Daisuke: Kuch Pata chala kia???



Yoo-Jung ke waapis ate he Daisuke ne uss se pucha, Jis per Yoo-Jung ne haan me sar hilate huwe information deni shuru ker di.



Yoo-Jung: Orc King ki location confirm ho gayi hai! Yahan se 2 Km per Orc King hai, Lekin in 2 Km ke beech Orc King ke chaaro taraf kuch Orc's ne usse ghera huwa hai, Main jitna daikh saki hu uss ke hisaab se ye sketch banaye hai.



Yoo-Jung ne Orc King aur uss ke saatho Orc's ke banaye Sketch Daisuke ko pakra diye jis ko daikhne ke liye sab uss ke paas aa gye



Daikhne se he pata chal sakta tha King kon hai, Orc King beech me tha Matlab uss ke paas jaane ke liye unhe baki Orc's ke beech me se ho ker jaana tha, Lekin Yoo-Jung ki batayi Orc's Formation ke hisaab se wo bina Orc's ke pata lage wahan se nahi ja sakte the.



Andrew: Hamare paas Orc's se larne ka Samay nahi hai!!! Hum me se kisi Ek ko sab Orc's ko apni taraf kheenchna ho ga?



Andrew ne wo keh he dia jo Daisuke kehne se bachna chah raha tha, Daisuke ko bhi samajh aa chuki thi ke iss ke sivaye un ke paas aur koi raasta nahi hai, Un me se koi ek baki sab Orc's ko apni taraf kheenche ga to baki sab Seedhe Orc King ke paas ja sakte the.



Daisuke ko ye bhi pata tha ke ye kaam wahan sirf ek insaan he ker sakta hai “Aarav” Lekin wo use kaise sab Orc ke beech khatre me jaane ko keh sakta tha.


Aarav: Ye mujh per chorr do ap!!!



Aarav ne situation ko samajhte huwe foran keh dia, Koi keh nahi raha tha lekin Aarav he tha jo Demon Wolves ko Command de ker sab Orc's ka saamna ker sakta tha, Koi bhi aur Orc's ka saamna nahi ker sakta tha.



Yoo-Jung: Main bhi tumhare saath ruku gi!!! Arrows ki madad se main distance se Orc's ko apni taraf bula sakti hu.



Yoo-Jung ne Aarav ko volunteer karta daikh kaha, Aarav wahan sab se takatwar zaroor tha lekin itne Orc's ka akele saamna karna Asaan nahi hone wala tha, Kisi ne uss ke sujhav per Virodh nahi kia.



Daisuke: Theek hai!!! Aarav aur Yoo-Jung Orc's ko sambhale gye, Un ke saath 6 Demon Wolves rahe gye aur 2 se hum Orc king tak jaye gye, Aarav aur Yoo-Jung tumhe Orc's ko haraane ki zaroorat nahi hai sirf un ko hamare paas mat ane dena.



Aarav: Nahi!!! Agar hum Orc's ka saamna kare gye to hum unhe hara ker ap ko support karne ke liye wahan ane ki koshis kare gye.


Aarav ne Daisuke ko beech me rokte huwe kaha, Usse andaza tha ke Orc king kitna khatarnak ho sakta hai shayad uss ke wahan hone se bhi un ke jeetne ke chances bohat kam the.


Daisuke ne muskurate huwe haami bhar di, Uss ki tarha Aarav bhi kisi ko khatre me akela nahi chorna chahta tha issi wajha se uss ke mann me Aarav ke liye ek respect ban chuki thi.


Daisuke: Vansh tum Isabelle ko protect karo gye, Main aur Andrew Orc King se lare gye lekin agar hum use na maar sake to tumhe bhi hamare saath ana ho ga, Yaad rahe iss battle per hamari Zindagi depend karti hai.


Daisuke ne Vansh ko samjhate huwe kaha Vansh ko Daisuke ka uss per hukam chalana acha to nahi lagta tha lekin aj iss sab ki gambheerta ko wo samajh paa raha tha, Uss ne Daisuke ke order per haan me sar hila ker okay keh dia.



Isabelle: Guys hum jeete gye na?


Isabelle ki ghabrayi huwi awaz ne sab ka dhayan uss ki taraf kheench lia, Uss ke chehre per abhi bhi dar tha uss ne abhi to apni zindagi jeeni shuru ki thi itni mehnat ke baad uss ne apna doctor banne ka khawab pura kia tha lekin agar aj wo haarte to sab kuch khatam ho jaane wala tha.


Aarav ne apna haath aage barha ker Isabelle ke haath ko apne haath me le lia.


Aarav: Hum zaroor jeete gye!!!


Aarav ne apne chehre per muskurahat sajaye kaha to Isabelle bhi halke se muskurayi lekin abhi bhi wo dar rahi thi.



Daisuke: Let's do it guys!!!



Daisuke ne apna haath beech me laate huwe kaha, Sab uss ke haath per haath rakhne lage aur 3 ki ginti per sab ne apne haath utha liye.



“We Will Win”


Sab ne unchi awaz se kaha aur khare ho gye apni life ka sab se important battle larne ke liye.



****



[Remaining Time: 1 Hour 17 Minute]



*Rooaaarrrr*


Ek tez dahar ke saath Demon Wolves 2 Orc's per jhapat pare, Orc ko pakar ker unho ne neeche gira dia 3 Demon Wolves ke neeche hone ke bawajood Wo Orc unhe mushkil me daal raha tha.



*Slashhh*


Aarav ne apni Sword se uss ki gardan ko kaatna chaha per uss ki Sword Orc ki gardan ke beech me he ruk gayi, Orc ki Hadi bohat zada mazboot thi sword use kaat nahi paa rahi thi.




[Unique Ability (Will to live) Activated]


*Slash*


Will to live Active ker ke Aarav ne dobara uss ki gardan per waar kia to uss ka sar dhar se alag ho gya, Sirf ek ko kaatne ke liye he Aarav ko apni puri strength use karni per chuki thi.



*Grrooowwwrrrr*


Dusre Orc ne apne upar ke sab Demon Wolves ko apne upar se dur phenkte huwe khara ho gya.



*Thud*



Orc abhi khara he huwa tha ke Shadow ne uss ko ek zordar takar maari jis se wo hawa me urta huwa peeche ja gira.



*Swisshhh*
*Swisshhh*
*Swisshhh*


Shadow ke upar baithi Yoo-Jung ne ek ke baad ek Arrow shoot ker diye, Sab Arrow mushkil se Orc ke thora he andar ghus sake, Iss se pehle wo uth pata Sadow ne apne Claw se use wanhi khatam ker dia.



Aarav: Sirf sadharan Orc itne khatarnak hai to Orc King kia cheez ho ga?


Aarav un mare huwe Orc's ko daikhte huwe bola jin ko maarne ke liye unhe itni mushkil huwi thi-



*Groowwwrrrr*



Wanha larayi ki awaze sun ker baki Orc's bhi wanha aa gye, Un ko ata daikh Aarav aur Yoo-Jung bhi dobara larne ke liye tayar ho gye lekin saamne se ate 50 ke kareeb Orc se larna Moat ko dawat dene se kam nahi tha.


*****



[Remaining Time: 57 Minutes]




Aarav aur Yoo-Jung ko gye huwe 20 Minute ho chuke the, Wanhi baki sab bhi moka milte he peeche se Orc King ki taraf nikal gye the, Wanha abhi bhi kuch Orc's the lekin itne nahi jin se bach ker nikla na ja sake.



Daisuke aur Isabelle ek Wolf ke upar savar aage the Andrew aur Vansh dusre Wolf per savar un se thora peeche chal rahe the, Isabelle ko bachana iss waqt un ke liye sab se zaroori tha.


*Smash*


Un ke saamne Achanak ek ped hawa me urte huwe wahan lage ped torte huwe un ki taraf aya, Demon Wolves ne upar uchalte huwe uss ko dodge ker lia lekin uss ped se sab ki halat buri ho gayi thi.



Unho ne jis taraf se ped aya tha uss taraf daikha to un ke saamne Orc King khara tha, Yoo-Jung ne unhe Sketch dikhaya tha lekin ab Jab Orc King un ke saamne khara tha to sab dar se kaampne lag chuke the.



Vishaal shareer aur uss ke haath me ek Axe pakri huwi thi jo laal rang ki thi, Axe aisi dikh rahi thi jaise kisi janwar ki skin se bani ho lekin uss ko daikh sab ke andar khoof ane laga.



Ab tak unho ne sirf Goblins ka saamna kia tha lekin Orc King kisi Goblin jaisa kamzoor nahi lag raha tha, Daisuke ne Andrew ko ishara kia aur dono ne apne peeche baithe Vansh aur Isabelle ko wanhi utaar dia.



*Groowwwrrrr*


Demon Wolves dono ko apne upar bithaye Orc King ki taraf bhaage lekin Orc King ne koi react nahi kia aur wanhi khara unhe daikhta raha, Demon Wolves ne jaise he Orc King ke upar jhapatna chaha Orc King ne Axe se un per vaar ker dia.



*Slash*


Demon Wolves ko cheerte huwe Axe aage barh gayi, Demon Wolves ke upar baithe Andrew aur Daisuke peeche ja gire aur Demon Wolves wanhi neeche gir gye.


Ek pal pehle relax khara Orc King Achanak kab hila kisi ko pata nahi chala, Demon Wolves neeche gir chuke the wo attack nahi ker sakte the, Wanhi Andrew aur Daisuke ki abhi huwe attack se halat kharab ho chuki thi.



Andrew: Hume iss danav se larna ho ga? Demon Wolves ko ek attack me hara dia hai uss ne!!! Hum kaise saamna kare gye iss ka?



Andrew abhi tak itna kisi se nahi dara tha jitna dar use Orc King se lag raha tha, Use khud se zada bakiyo ki chinta ho rahi thi agar wo Orc King ko na maar sake to sab aj marne wale the.



Daisuke: Mujhe nahi pata!!! Lekin hume ye karna he ho ga.


Daisuke ne dobara khare hote huwe kaha Andrew bhi dobara khara ho gya aur apni shield nikal li, Iss baar Orc King khud aage huwa aur apni Axe se vaar kia to Andrew ne apni shield se uss ko block karna chaha lekin uss vaar me itni force thi ke Andrew Shield ke saath peeche ja gira.


Daisuke ne hawa me Uchalte huwe ghoom ker sword se attack ker dia.



Lekin Daisuke ki sword Orc King ko kaatne ke liye andar he nahi ghus saki, Orc King dobara ghoom ker apni axe se Daisuke per vaar ker dia.



*Clank*



Andrew apni shield liye Daisuke ke aage aa gaya, Axe Shield ko cheerte huwe aage barhi aur Andrew ko dobara hawa me uchalte huwe peeche gira dia, Andrew bach to gaya lekin uss ki shield beech se cut chuki thi.


“Material Detection”


Peeche se unhe Vansh ki awaz ayi jo apni ankh ke aage unglio se circle bana ker Axe per focus ker raha tha, Vansh ki taraf se ye bohat Samajhdari ka faisla tha wo Axe ke baare me jaanna chah raha tha.



Vansh: Uss ki kulhari se bachna, Wo ek khaas kulhari hai jo 10,000 Orcs ke sacrifice ke baad bani hai, Agar Orc ne kulhari se kisi ko kaata to Orc ki takar barh jaye gi.



Vansh ne unhe ek bohat zaroori khabar de di thi, Matlab wo kulhari se khud ko katne nahi de sakte the jis ke liye unhe ek attack me he Orc King ko khatam karna pare ga.



Daisuke: Vansh tumhe yahan ana ho ga!!!



Daisuke ne Vansh ko larayi ke beech me bulaya to Vansh khoof bhari nazro se use daikhne laga, Uss ne abhi kuch der pehle he Orc King ki takat ko daikha tha wo kaise iss danav se lar sakta tha.



Daisuke: Daro mat!!! Agar tum yahan na aye to phir bhi hum me se koi nahi bachne wala hamare paas sirf 36 Minute bache hai.



Daisuke ne dobara use eshaas dilwaya ke kitna kam waqt reh gaya hai un ke paas, Vansh darte huwe uss ke paas aa gaya Daisuke ne dobara Orc King per nazre jama li.



Daisuke: Orc King ki unchai ki wajha se hamara use maarna mushkil hai hume ek attack me he use khatam karna ho ga, to plan ye hai ke Andrew Orc King ke attack ko block kare ga jis se hume chance mil jaye, aur uss waqt tumhara kaam hai Vansh.




Daisuke ne Andrew ko uss ki position batayi aur Vansh ko aage ka plan batane ke liye uss ki taraf daikha jo abhi bhi dar se kaanp raha tha, Daisuke ne uss ke kandhe per haath rakha aur usse dobara ehsaas dilwaya ke wo kis situation me hai.


Daisuke: Cut his legs from his blind spot and make him kneel!!!



Daisuke ki baat sun Vansh use herani se daikhne laga, Jis ko Daisuke nahi kaat saka tha uss ko wo Vansh se katwa raha tha aisa kaise ho sakta tha.


Daisuke: Fikar mat karo!!! Tumhe Isabelle Boost de de gi, Aur jaise he Orc King neeche gire ga Isabelle mujhe boost de gi jis se main Uss ki gardan kaat saku.



Daisuke ne Isabelle ki taraf daikha to uss ne hami bharte huwe haan me sar hila dia, Daisuke ka Plan perfect tha agar wo kaam ker gaya to wo agle Attack se jeet sakte the.


Andrew ne tooti huwi shield uthayi aur dobara Orc King ki taraf bhaag gaya, Wanhi Daisuke dusri taraf se Orc King ki taraf barhne laga aur Vansh Orc king ke peeche ki taraf bhaag gaya.


*Clang*



[Strength Focusing]

Dobara Andrew ki shield ne Axe ko roka lekin iss baar Andrew ne apne haatho aur pairo me apni Strength ko focus karna shuru ker dia tha, Vansh seedhe Orc King ke peeche gaya aur apna Spear utha Orc King ke Pair ko kaatne ke liye tayar ho gya.



[Boost]



Isabelle ne Vansh ko boost de dia jis se uss ke sabhi stats double ho gye, Spear Orc King ki tang me ghus gaya lekin uss se aage na barh saka-


Orc King ko Vansh ke attack se kuch farak nahi para uss ke side se ata Daisuke uss ke kareeb aa gaya, Orc King ne Axe ko Andrew se hatate huwe Daisuke ke aage Zameen per de maari.

e6bc194db41fa6765d699081e570e717.gif

Daisuke ke neeche se zameen khulne lagi aur ek bari khayi ban gayi, Orc King ke iss Attack se sab andar se pura hil ker reh gye sirf ek Baar me Orc King ne ek puri khayi bana di thi.



Orc King ne Vansh ki taraf daikha jo dar ke wahan se bhaag raha tha, Orc King ki nazre Isabelle per chali gayi jaise use oata lag gaya ho ke Isabelle ki wajha se he Vansh use zakhmi karne me safal ho saka hai.


Orc King thora neeche huwa aur chalaang maar ker seedhe Isabelle ke saamne chala gaya, Orc King ko apne itna kareeb daikh Isabelle ke shareer ne uss ka saath he chorr dia aur wo seedhe zameen per gir gayi.



Isabelle ko apne saamne apni moat dikh rahi thi, Orc King ne apna haath upar uthaya aur Isabelle ko pakar ker masalna chaha.



*Groowwwrrrr*

*Thud*



Ek tez dahar ke saath Shadow ne Orc King ko takar maarte huwe peeche dhakel dia, Isabelle ne apni nazre utha ker upar daikha to uss ke saamne Aarav haath me sword pakre khara huwa tha.

ed7ad173b2a1dc0c9eb44d0652520550.jpg


Andrew: Tum yahan kia ker rahe ho??? Yoo-Jung kahan hai???



Andrew Aarav ko wahan daikh khush to tha lekin use situation ko samajhna bhi tha jaldi se, Aarav ne Andrew ki taraf daikha aur use relax rehne ka ishara kia aur use Daisuke ki taraf dhayan dene ko kaha.



Aarav: (Sigh) Huh!!! Yoo-Jung baki Wolves ke saath bache huwe Orc's ko sambhale huwe hai, Abhi Daisuke ko bachao wo buri tarha ghayal hai!!!



Aarav ki baat sahi thi Orc King ke attack ko Daisuke ne dodge to ker lia tha lekin wo wanhi ek ped ke neeche phans chuka tha, Isabelle bhaagte huwe Daisuke ki taraf chale gayi.


Wanhi Andrew wahan se seedha Aarav me paas aa gaya aur uss ke saath khara ho gya.



Andrew: Hamare pass sirf 19 Minute aur hai, Sab ki khatir hume usse khatam karna ho ga!!!


Andrew ki baat sun Aarav ne hami bhari aur Shadow ko wapis bula lia, Orc King Shadow se larne ki wajha se thora thak chuka tha un ke paas ye he moka tha.



Andrew: Chalo!!!


Andrew ki baat sunte he wo Orc King ki taraf bhaage, Aarav ne apni sword uthayi aur Orc King ki taraf barha di, Orc king ne axe se attack karna chaha per Andrew ne beech me he block ker dia.


*Slash*


Aarav ki Sword ko ata daikh Orc King ne apna haath aage ker dia jis se uss ka haath ghayal ho gaya, Lekin Sword aage na barh saki tabhi Shadow ne apne claws se uss ko khatam karna chaha per Orc King peeche ki taraf kudte huwe bach gaya.


Orc King ke reflexes bohat tez the jis wajha se Shadow bhi uss per Attack na ker saka, Aarav dobara Aage ki taraf barh gaya.



Andrew: Aarav bina soche aage mat barho!!!



Andrew peeche se chilaya per Aarav nahi ruka, Orc King ke paas jate he Aarav ne dobara attack karna chaha per Orc King ab tak apna Stamina wapis hasil ker chuka tha.


Orc King ne dobara apni axe ghoomayi lekin Aarav ke reflexes bhi tez the, Axe ko apni taraf ata daikh Aarav ne Axe ki sharp side ko dodge kia aur Axe ki plane side per paon rakhte huwe khud hawa me uchalte huwe Orc King ki gardan kaatni chahi.



Lekin Orc King ki Neck aur bhi zada mazboot thi Aarav ki Sword use kaat nahi saki, Aarav wapis neeche aa raha tha jab uss ki ankhe dar se phelne lagi.




Aarav ke neeche Ice Spikes ki tarha he Spike ban rahe the lekin in ka rang laal tha jo Blood se bane the, Aarav ko ehsaas ho gya ke wo kia bewakoofi ker baitha hai.



Uss ki ankho ke saamne wo pal aa gye jab Alpha spikes ke beech aa ker mar gaya tha, Alpha ke paas choice thi lekin Aarav iss ko dodge nahi ker sakta tha Spikes upar ate ja rahe the.



*Thud*


Aarav se kuch aa ker takraya aur Aarav side per hote huwe zameen per ja gira, Aarav bach gaya tha wo khushi se dobara khara huwa ke wo bach gaya hai per wo khushi agle pal he khatam ho gayi.



*Urgh*


Aarav ke saamne Spikes Andrew ke shareer ke andar ghuse huwe the, Shadow ne Orc King per dobara attack kia to wo dobara peeche chala gaya aur spikes khatam ho gye.



Andrew wanhi neeche gir gaya Aarav bhaag ker uss ke paas chala gaya, Andrew ke shareer me jagha jagha ched ho chuke the jin se khoon beh raha tha.


Aarav: Andrew!!! Andrew ap ne aisa kiu kia? Meri khatir khud ki jaan khatre me daal di, Akhir kiu?



Andrew ne kuch bola chaha per uss ke gale me bhi spike ghus gaya tha jis se wo kuch bhi bol nahi saka, Aarav ki Ankho me ansoo aa gye uss ne peeche daikha to Daisuke aur Isabelle bhaagte huwe un ki taraf aa rahe the.



*Ugh*


Andrew ki karahne ki awaz ayi to Aarav ne dobara uss ki taraf daikha, Andrew apna haath ki muthi banayi uss ki taraf barha raha tha, Aarav ne haath aage barha ker uss ka haath pakar lia.


Andrew ne haath khol ker kuch Aarav ke haath me rakh dia, Wo thamane ke baad Andrew ka haath phisalte huwe neeche zameen per gir gaya aur Aarav ke saamne Notification aa gaya.




[Party member Andrew is Dead]



Aarav ke saamne Notification aya aur Andrew ki ankhe band ho gayi, Aarav mehsoos ker paa raha tha ke uss ke haath me pakre shareer me ab jaan nahi thi.



Isabelle aur Daisuke bhi wahan aa gye unhe bhi notification aa chuka tha, Andrew ko daikh Isabelle ki ankho me bhi ansoo aa gye Daisuke ne uss ke kandhe per haath rakh use khare rehne ke liye sahara de dia.



Aarav ne apna haath khola to uss ke haath me letter tha jo Andrew ne apne ghar ke liye likha tha, Uss letter ko daikh Aarav subakne laga Andrew ye letter apne ghar bhejna nahi chahta tha lekin aj Aarav ki bewakoofi ki wajha se ye letter use Aarav ko dena para.



Aarav ki bewakoofi ki wajha se kisi ki zindagi chale gayi thi jis ko wo kabhi bhi wapis nahi la sakta tha-




[Remaining Time: 3 Minute]


Dobara Time ka notification sab ke saamne aa gaya, Aarav ne Andrew ko neeche laita dia aur apni jagha se khara ho gya.


[Unique Ability (Will to live) Activated]


Aarav ne apni Unique Ability dobara activate ker li aur apni sword utha li, Aarav ne ansoo se bharo ankho se Isabelle ki taraf daikha, Aarav ki ankho me ansoo zaroor the lekin saath me ek gussa bhi tha jo use khud per tha.



Aarav: Boost!!!




Aarav ne sirf itna kaha jis per Isabelle ne Aarav ko boost de dia, Will to live ki wajha se pehle he Aarav ke stats barhe huwe the boost se uss ke stats double ho kee 100 se upar chale gye the.



Aarav iss attack se sab khatam karne wala tha use khud ki fikar nahi thi, Stat aise Achanak barhne ki wajha se uss ki puri body per bohat zada pressure tha lekin wo uss per focus he nahi ker raha tha.



*Thump* *Thump*


Aarav ne kadam aage barhaye uss ke har kadam ke saath uss ke paas ki zameen hil rahi thi, Aarav Orc King ku taraf bhaaga jo Shadow se lar raha tha.


Orc King ne Shadow ko pakarte huwe dur phenk dia jahan Shadow Ek bare boulder se ja takraya, Orc King khud ko sambhalta uss se pehle he Aarav wahan aa gaya.



Orc King ne apni Axe se Aarav per attack kia jis ko Aarav ne apni sword se block ker lia, Aur phir shuru huwa Aarav aur Orc ke beech ghamasan yudh.


Dono he ek dusre ko kaatne ki koshis ker rahe the lekin na to Aarav haar maan raha tha na he Orc King-



[Remaining Time: 57 Seconds]


Aarav ke saamne Notification aya jis per Aarav ne koi dhayan nahi dia, Aarav ne apni Sword se Attack karna chaha lekin Orc King ne use block ker lia-




*Clang*


Sword jaise he Axe se takrayi to Axe me se blood nikla jis ne sword ko jakar lia, Aarav ko apni sword chorni per gayi, Aarav peeche ho gya.



[Remaining Time: 38 Seconds]



Aarav bina sword ke Orc King ki taraf bhaagne laga, Uss ke paas koi aur choice bhi nahi thi adha minute reh gaya tha Orc King ko uss adhe minute me harana tha.



[Player has successfully Unlocked 15% of the Alpha Demon Wolf Power]


[The player can now transform a part of his body]



Aarav ke saamne Notification aye aur uss ko apni Ungliyo per chubhan mehsoos huwi, Aarav ne Ungliyo ko daikha to un me se claws baahir aa rahe the.

a0ad5378e653707769f675b432c44272.jpg

Aarav ab aur bhi tez bhaag paa raha tha, Aarav Orc King ke saamne jate he hawa me uchal gaya, Orc king ne apni Axe se khud ko block karna chaha-



*Stab*


Achanak Yoo-Jung kanhi se wahan aa gayi uss ki Stealth skill ki wajha se Orc King use wahan mehsoos bhi nahi ker saka, Yoo-Jung ke haath me Andrew ki Flail thi jis se uss ne Orc King ke haath per Attack kia jis ki wajha se Orc King khud ko defend na ker saka.



[Deathly Slash]
eaf6b931ebffe50adcf9153d562b5f12.gif

Aarav ke saamne Notification aya aur uss ne Apne claws se Orc King ke gale ko phaar dia, Orc King ke gake se khoon ka fawara chalne laga Aarav seedha peeche zameen per ja gira, Boost ka effect khatam ho gya tha pehli baar Isabelle ne itna lamba waqt boost ko active rakha tha jis ki wajha se uss ki bhi halat kharab ho gayi.



*Grrooowwwrrrr*


Orc King zor se dahara wo samajh chuka tha ke ye uss ke akhri pal hai per wo akela nahi marna chahta tha, Wo Aarav ki taraf bhaaga aur uss ke upar kudna chaha-


*Kabooooom*




Ek neeli beam ne Orc King ko hit kia aur dur phenk dia, Aarav ne uss taraf daikha to Shadow apne muh me Alpha ki tarha he urja ikathe kiye khara huwa tha.




[Quest Completed]


*****



*Click*


Ashwin ne apne ghar ke darwaze ko khola aur baahir aa gaya, Baahir ate he thandi hawaye uss se aa takrayi aj bohat zada thand ho rahi thi jahan sab log apne gharo me Aram ker rahe the wanhi iss waqt Ashwin ki nazro ke saamne Manohar khara huwa tha.



Ashwin ne baahir nazre ghoomayi to har taraf andhera tha sirf street light aur ghar ke baahir lagw bulb se halka ujala tha, Ashwin aage barh ker Manohar ke paas ja ker khara ho gya.



Ashwin: Aur kitne din aise he chala ga Manohar bhayia!!!



Ashwin ne halki awaz me kaha lekin Manohar waise he khamoosh khara neeche zameen per nazre garaye khara raha, Ye wo he jagha thi jahan se Aarav gayab huwa tha.



6 din ho chuke the Aarav ko Gayab huwe, Kisi ko kuch samajh nahi ayi thi ke wahan kia huwa hai? Na to unho ne pehle aisa kuch daikha tha Na he kuch aisa suna tha.



Police me report ki jis per unho ne yahan aa ker jagha bhi daikhi thi, Lekin unhe bhi kuch samajh nahi aa rahi thi akhir aise kaise koi insaan din ke ujale me aise gayab ho sakta tha?



Wahan jitne logo ne Aarav ko akhri baar daikha to un per se kisi ki baat per bhi police ko yaqeen nahi huwa tha, Lekin Manohar ke hone ki wajha se phir bhi unho ne Report likh li.



4 din aise he chakar lagane ke baad Police ne bhi Case ko lagbhag chorr he dia, Un ka kehna tha ke Earthquake ki wajha se sab ko daikhne me galti huwi hai aur Aarav khud kanhi bhaag gaya hai.



Jab Aarav ko dhoondne ki akhri umeed bhi Manohar ko khatam hoti dikhi to wo Nirash roz yahan aa ker khara ho jata aur bina kuch bole ghanto bhar aise he khara zameen ko ghoorta rehta.



Ashwin: Main ne Parth ko Call ker di hai!!! Wo ata he ho ga ap uss ke saath ghar jaye, Aise to ap apni sehat kharab karwa baitho gye.



Ashwin ne dobara Manohar ko bulate huwe kaha baahir Bohat zada thand thi, Wanhi Manohar bina kisi intizaam ke aise thand me khara tha uss ke bimaar hone ke chances bohat zada the.



Manohar: (Shiver) Kia karu ga ghar ja ker? Ghar per uss bachi ka wo utra huwa chehra kis tarha daikhu? Har roz jab main wapis jata hu to wo bachi mujhe umeed bhari nazro se daikhti hai ke shayad main uss ke bhai ko saath laya hu, Lekin mujhe akele daikh uss ke chehre pee wo nirasha kaise bardasht karu main?



Har shabd ke saath Manohar ki awaz bhaari hoti ja rahi thi, Wo apne haatho ki muthi bheenche apnd ansoo rokne ki nakam koshis ker raha tha.



Aarav ke Gayab ho jaane ke baad jab Urvi ko iss cheez ki khabar huwi to wo har taraf apne bhai ko dhoondne lagi, Uss ki to jaise duniya he lut chuki thi har taraf dhoondne ke baad jab use apna bhai nahi mila to uss ki halat aur kharab hone lagi.



Manohar aise uss ko akela nahi chorr sakta tha iss liye wo Urvi ko apne ghar le aya jahan wo apni beti aur biwi ke saath rehta tha, Urvi har din baahir jati apni bhai ko dhoondne lekin wo apne bhai ke baare me koi khabar nahi jaan paa rahi thi.



Lekin wo himmat nahi chorr rahi thi, Wanhi logo ka kehna tha ke shayad Aarav ko uss jagha Aag lag gayi thi jis me wo bhasam ho ker marr gaya hai, Logo ki baate sun ker Urvi bohat mushkil se khud ko sambhale huwe thi.



Uss ko aise tarapta daikh Manohar ka kaleja katne laga, Abhi kuch waqt pehle he to Urvi ne apne pita ko khoya tha phir Cancer ki khabar aur shayad Zindagi uss se itna lene ke baad bhi khush nahi thi ke uss se uss ki jeene ki akhir wajha uss ka bhai bhi waapis le lia.



Manohar: Tumhe pata hai Ashwin Un ke pita ke dihaant ke baad main ne un se wada kia tha ke main un ke saath rahu ga unhe kuch hone nahi du ga!!! Lekin daikho akhir kia he ker saka main? Mere saamne Aarav uss ko bachane ke liye mujhe pukarta raha, Lekin main use baacha nahi paya, abhi bhi uss ki wo awaz mere kaano me goonj rahi hai.



Ashwin: Main samajhta hu Manohar bhayia!!! Lekin aise yahan khare hone se kia acha ho ga? Maanta hu uss bachi ka saamna karna mushkil ho ga, Lekin iss waqt Ap ke siwaye aur kon uss ko himmat de sakta hai?



Ashwin ka kehna bhi sahi tha yahan khare hone se kisi ko kuch nahi milne wala tha, Urvi iss waqt akeli thi wo apni bhai ke jaane ke gum me kuch galat na ker baithe ye bhi ek dar tha jo unhe sata raha tha.



*Vrooom*



Unhe baahir bike ki awaz ayi jo kareeb aa ker ruk gayi, Bike per Parth baitha huwa tha Ashwin ne use intezar karne ka ishara ker dia.



Ashwin: Parth bhi aa gaya hai, Ap abhi ghar ja ker Araam karo hum kal baith ker soche gye ke kia karna hai!!!



Ashwin ne Manohar ko dobara ghar jaane ke liye kaha, Manohar bhi khamooshi se chal dia use andaza tha ke uss ke wahan hone ki wajha se parosi Ashwin se complain karte hai ke un ke ghar ke baahir aise kisi ko khare na hone de.


Ashwin ko farak nahi parta tha un ki baato se lekin aj nahi to kal un me se koi Manohar se badtameezi ker sakta tha, Iss liye Ashwin ne pehle he Manohar ko ghar jaane ka keh dia.


Manohar seedha Parth ke paas ja ker uss ke peeche bike per baith gaya, Parth ne bhi kuch nahi bola uss ne bike ko kick maari aur bike chala di.




“Bhai Sahib”



Abhi wo thora dur he gye the ke unhe peeche se Ashwin ki chilate huwe Awaz ayi, Parth ne jaldi se bike ko ghoona Dia peeche baitha Manohar bhi pareshan ho gya ke Ashwin unhe aise kiu Bula raha hai?




Wapis wahan ate he dono bike se utar ker andar ki taraf bhaage, Lekin un ki nazar jaise he saamne gayi to un ke kadam dheeme hote gye, Manohar jo ansoo roke baitha to wo uss ki ankho se behne lage uss ke muh se ek shabd he nikla.



Manohar: (Crying) Aarav!!!



Un ke saamne iss waqt Aarav zameen per baitha huwa tha uss ka pura shareer khoon se bhara huwa tha, Wanhi uss ki Ungliyo se khoon tapak raha tha wo bus ankhe khole saamne daikhte ja raha tha




Jahan Parth aur Ashwin Aarav ki halat daikh ker heran the, Wannhi Manohar sirf Aarav ko apne saamne daikh ker he khush tha, Uss ne kisi aur cheez per dhayan nahi dia aur seedhe ja ker Aarav ko apne seene se laga lia.



Manohar: Kahan chala gaya tha mere bache? Pata hai kitna dar gaya tha main? Teri behan bhi kitni pareshaan thi? Theek to hai na tu?


Manohar use apne seene se lagaye sawal per sawal karta raha use khud samajh nahi aa rahi thi wo kia kia puche ja raha hai?




Lekin Aarav ki taraf se koi jawab nahi aya, Parth ne dusri taraf ja ker daikha to Aarav ki ankhe band thi.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he iss update ke saath he hum puri ker chuke hai apni pehli quest, Ye bhi ek mega update tha 7.5K+ Words ka, Iss ke baad Updates me action kam ho jaye ga aur saath me update ka size bhi, Umeed karta hu ap logo ko update pasand aye ga, Main chala sone Milte hai agle update per tab tak ke liye Sayonara!!!]
 
Top