• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Samraat ..The Tales of Debauchery, Hate & Revenge

Daksh The King

Active Member
905
6,461
124
Covid Se Pahle....

covid se pahle meri busyness kuch aisi thi.. mere liye lunch ka samay nikaal pana mushkil tha... mera kaam hi aisa tha.. upar ki krpa se sab koshal mangal tha.. par covid ne aisa disturb kiya.. kuch aise halat kharab hue.. karze ke bojh tale ja daba.. jo abhi tak utar nahi saka... life jaise taise kat rahi rahi thi..
samay freee tha bohut free tha.. so XP ko khub samay dia maine...

parrr abbb

uparwale ki krpa se mera dhanda firse apni routine par aane laga ha... aise me samay ki firse kami ho gayi ha mere paasss....
ab aap sab se juda hon to to juda rahunga.... update ki speed kabhi zayda samay mila to zayada likh kar post kar dia karnga....
kam mila to kammm...

jaise hi last kuch days se udpate likhna to door ki baat.. likhna kya ha. wo bhi nahi sochne ka samay tha mere paas..

aaj kuch din me samay mila.. to socha kya likha jaaye.. fir abhi dedh ghante me update likh daala... aur post bhi kar di...

so update let ho to mayus nahi hona.. updates aate rahenge.. der se sahi.. par aap ka sath bana rahega...

Thanks For You Love......
 
Mumbai indians

loveseeker
105
233
44
Episode:07

Delhi ki ek kothi ke ek haal room me ek ladki ek painting banane me busy thi. Koi aur us haal me maujud nahi tha.

Kuch der baad ek ladka aaya aur ladki ko piche se apni bahun me bhar liya..

"Kya kar rahi ha meri jaan alka" ladka lehje me mithas samo kar bola..

ladki ki paiting kharab ho gai. brush ghalat jaga colour chhod gaya tha. ladki zor laga kar ladke se alag ho gayi. Ladki ka hath utha, ghooma aur ladke ke chehre par panchu ungliyon ke nishan chhod gaya. Ladki aag ugalti ankhon se ladke ko dekhne lagi.

Ladki : How dare you! Tumne mujhe chhuwa bhi kaise. Ladki cheekhte hue boli. Usay ghussa hi itna aa gaya tha ladke ke chhune se.

Ladka apne gaal par hath rakh kar ladki ko dekhne laga. Usay ghussa toh bohut aa raha tha ladki par. Par woh ghussa pi kar ladki se bola.

Ladka : Alka hamari engagement ho chuki hai, kuch hi mahino me hamari shadi hone wali ha. Kya tumhe chhune ka haq bhi nahi ha mujhe.

Alka : (Chillate hue) Haan!! Nahi ha tumhare paas koi bhi haqq samjhe. Abhi main tumhari patni bani nahi hon satish. Jab ban jaaongi, fir tum mujhe chhune ka haq bhi pa loge. Par usse pehle kabhi bhul kar bhi mujhe chhune ki koshish mat karna.

Satish : Come on alka! Kis daur me ji rahi ho tum. Aajkal toh---

Alka : (Hath utha kar satish ko aage bolne se rokti hui) Dekho satish mujhe zamane se koi lena dena nahi ha. Main jaisi bhi hon kisi ke liye khud ko badal nahi sakti, tumhare liye bhi nahi. Na ab aur na hi shadi ke baad. Aur haan! tum yahan mat aaya karo. Mujhe kaam me disturbance hoti ha.

Alka ek gehri nazar satish ko dekhne ke baad firse apne kaam me busy ho gai.

Satish behadd ghusse se piche se alka ko dekhne laga. Mann me wo bol raha tha. Saali tujhe toh main shadi ke baad dekh longa. Badi akad ha na tujhme, sari ki sari na nikal di toh mera naam bhi Thakur Satish Singh nahi.
(Satish Daksh Ke Chacha Ka Beta Hai)

Satish kuch pal ruka fir wahan se chal diya. Uske kadmon ki chaap sunkar alka ne piche mud kar dekha toh satish ja chuka tha. Sab samaan vaise hi chhod kar woh bhi haal se bahar nikal padi. Kamre me pohnch kar apne mobile se ek pic nikal kar dekhne lagi. Ek nazar dekh kar foran hi mobile ko bed par phenk bhi dia.

Ghusse aur nafrat bhari nazron se wo mobile par nazar aa rahi tasveer ko dekhne lagi. Fir khadi hokar cheekhne chillane lagi.

"Mujhe nafrat ha tumse Daksh Thakur! Behadd nafrat!! I hate you Daksh!! I hate you daskh!!"

pooja-hegde-4k-wallpaper-preview
Alka...Age..24..Detail Baad Me..
(Jab dono ek dusre se alag hue the toh Daksh ki age 19 aur Alka Ki age 18 saal thi.. Ab Daksh Ki Age 25 Aur Alka Ki 24 Years Ho Chuki Thi.)

Alka wahi ladki hai. Jo Daksh ke dil me basi thi, basi ha aur hamesha basi rahegi. Aur alka engagement hone ke baad bhi Daksh ko bhul nahi paa rahi thi. Dono ka pyaar bachpan ka pyaar tha.

(Parivar ka detail intro bhi jald hi diya jaayega)

:::::::::::::::::

Sham tak Daksh shaoling temple se 5km ke fasle tak pohnch chuka tha. Suraj ki roshni abhi baki thi. Daksh ek pahad ki choti par pohnch kar saamne dekh raha tha. Saamne firse usay ek residential area dikhne laga tha.

Daksh : kyun Shimuna ab kya vichar han tumhare?

Shimuna : kis baare me?

Daksh : Yahi jo mera picha kar rahe the. Ekdumm se sab kaise wo wapis laut gaye. Koi bhi uske baad mere piche nahi aaya. Mujhe dhundna jaise sabne band hi kar dia ha. Is baare me tum kya kehti ho.

Shimuna : Hmmm! Baat toh khaas ha Daksh! Woh Margaret mujhe bohut aage ki cheez maloom padti ha. Saali ne zarur apne dimag ka use kiya hoga. Woh samjh gai hogi tumhari manzil kya ho sakti ha.

Daskh : Absolutely right Shimuna. Saali jitni patakha ha, utni hi dimag wali bhi hai. Khair! toh ab kya karna sahi rahega.

Shimuna : Ehehehe! choron ki tarah andhera hone ka intezar.

Daksh : hahaha sahi hai toh fir andhere me hi chhup kar temple tak pohnchna sahi rahega. Bina nazron me aaye temple pohnch saka toh achhi baat ha. Warna fir dekh lenge, jo bhi raah me aaya.

Andhera hua toh Daksh mountain se utarne laga.

Apne hisab se Daksh bach bacha ke abadi se nikal liya. But dekhne walun ne usay dekh liya aur margaret ko khabar kar di. Is maamle me margaret ne sach me hi achhi fielding set kari thi. Daksh kisi ko notice nahi kar paya. Aage firse mini mountain area tha. Daksh unhi pahadon par chadne laga. Pahadon par rehte hue Daksh temple se kuch fasle par pohnch gaya. Daksh ki nazron ke saamne hi shaolin temple tha.

Temple dekh kar Daksh ne ek chain bhari saans li. Daksh apni manzil par pohnch chuka tha. Last pahaad ki choti par baith kar daskh temple ko dekhne laga.

Shimuna : to hum ponch gaye Daksh apni manzil tak. Shimuna chehakte hue boli.

Daksh : hmmm pohnch toh gaye han Shimuna! Par temple ke andar pohnch pana asaan nahi hoga.

Shimuna : ye toh ha woh saali badi dangerous ladki ha. Zarur usne tumhe pakadne ke liye koi jaal bichha rakha hoga.

Daskh : jaal toh woh bichha hi chuki ha. Ye khamoshi zarur kisi toofan ke aane se pehle ki khamoshi ha.

Daskh wahi baitha rat ke guzarne ka wait karne laga.

:::::::::::

Wahin margaret bhi DK ke nazar aane ke baad firse ghayab ho jane par muskurane lagi thi. Usay is khel me bohut maza aane laga tha. Woh samjh gai thi DK uske plan ko jaan gaya chuka hoga. DK bhi ab plan se hi aage badhega.

Apne admiyon ko woh order de chuki thi. Jaise hi DK unki range me aaye. Door rehte hue paralize kar dene wali bullets fire kardi jaayen. Margaret kisi ko kuch bhi pata nahi lagne dena chahti thi. Woh DK ke kabze me aane tak so nahi sakti thi. Aur usay 100% yakeen bhi tha is baar DK uske kabze me aane se bach nahi sakega.

Margaret khud bhi temple ke kareeb DK wali side me bani ek building me thi. Ek chhat par bane hue room ki khidki se night vision binoculars ankhon se lagaye pahadon par dekh rahi thi. Usay kahin bhi DK dikhai nahi dia tha. Par woh nirash nahi thi.

:::::::::::::::::::

MASTER CHI-FANG bhi temple ke basement me tha. MASTER ke kuch khas chele bhi wahin basement me maujud the. MASTER sab ko DK baare me bata chuka tha. Wo sab MASTER ke agle order ke intezar me the.

MASTER ankhen band kiye alti palti maare baithe hue the. Jaise woh bhi DK ko dekh rahe the. Andaz kuch aisa hi tha MASTER ka.

:::::::::::::::::::

Raat ke lag-bhag 3 baje ke karib Daksh pahaad se niche utra. Kuch fasle par shaolin temple ki building thi. Charon dishaon me andhere ka raj tha. Kahin kahin koi light roshan thi.

Daksh pahad se utra aur charon dishaon me dekhne laga. Usay charon orr ek bhayanak sannata mehsus ho raha tha. Daksh ko lag raha tha aage uske liye halat kathin hone wale han.

Par Daksh ko aage toh badhna hi tha. Daksh ne ek lambi saans li aur tez kadmon se chalta hua aage badhne laga. Daksh marine life jeene wala insan tha. Uski senses aam logon se zayada active thee. Daksh puri tarah se active hoke aage badhne laga.

Margaret aur uske sathi agents DK ko dekh chuke the. Jaise hi DK range me aaya. Margaret ne bullets fire karne ko bol dia. Ek sath 3 dishaon se silencer lagi guns se bullets nikli aur DK ki orr badhee. Par koi bhi bullet DK ko nahi lag saki.

DK foran hi niche bhi gir kar khud ko bacha gaya tha. Shimuna cheekh padi thi. DK utha aur daud pada temple ki orr.

Margaret toh DK ko dekhti reh gayi. Woh sochne lagi, kitna active insan ha ye toh. Bullets ko hi pehle se judge kar gaya. Cinoculars side rakh ke usne ek gun uthaai aur DK ko nishane banane lagi. Uske kisi bhi agent ki koi bhi bullets DK ko chhu bhi nahi saki thi.

Par margaret ki gunse nikli goli seedhi DK ke kandhe me utar gai. DK gir pada. Margaret ne gun phenk kar apne agents ko DK tak pohnchne ke orders dene lagi. Foran hi woh khud bhi us house se bahar nikal padi. Margaret daudti hui DK ki orr jaane lage.

Daksh ko bullet lagi toh....

Daksh : Shimuna is bullet ke lagne se mera sharir kaam chhodne laga ha.

Shimuna bhi dakhs ko bullet lagne se tension me aa gai thi.

Shimuna : Daksh tum jaldi se utho aur bhago. Tumhare andar aam logon se 10 guna badhkar shakti ha. Bullet ka asar hone me time lagega.

Daksh : Dekhta hon.. Daksh bullet ke result ko samjhte hue waise hi pada raha. Maragret aur agents samjhe the DK ab paralize ho chuka ha. Wo hil bhi nahi sakega. Par yahi unki bhul thi.

Jaise hi sab DK ke paas pohnche, DK ekdumm se uth khada hua. Ek agent ke hath se gun chhen kar bakiyon par fire karne laga.. Margaret jo kuch fasle par thi. Woh niche gir kar khud ko bacha gai.

Margaret : Impossible! Bullets se toh DK ko ek pal me hi paralize ho jana chahiye tha.

Dk ke hath me jo gun thi. Uske andar jitni bhi bullets thee. DK ne wo saari bullets agents par fire kar di. Sath hi DK firse ek aur gun utha kar bahag khada hua. Aas paas ke 10-12 agents paralize ho chuke the. Door ke agents pehle toh shocked rahe. Fir woh DK ke piche bhagne lage. Sath hi wo fire bhi kar rahe the.

Margaret bhi DK ke piche bhagne lagi. Usay apni is nakami par bohut ghussa aane laga tha. DK uske hath se firse nikal raha tha. Aur margaret is baar DK ko apne hath se jaane nahi dena chahti thi.

Dk ka sharir bhi kaam chhodne laga tha. Badi himmat se woh khud se ladta hua bhaag raha tha. Jald hi DK temple ke deewar tak ja pohncha. Ek bullet DK ko aur bhi lag chuki thi. Dusri bullets ke lagte hi DK ke sharir ki akdan bhi sath me hi badhne lagi thi. Do do bullets bhi apna asar dikha rahi thi. Deewar par chadna bhi DK ke liye mushkil hone laga tha.

Shimuna ne yahan Daksh se poochhe bina hi apni power ka use karte hue DK ko deewar ke paar pohncha dia.

Margaret aur dusre sab DK ko dekhte reh gaye.

Margaret wahin ruk kar deewar ko takne lagi. Uske agents bhi shocking face ke sath uske aas paas khade ho gaye the. Unki life ka ye pehle aisa scene tha, jo woh dekh rahe the. Warna is se pehle kabhi aisa kuch dekhne ko nahi mila tha. DK unki nazron me insan nahi raha tha. DK sach me hi ek ajeeb insan ki surat unke saamne aaya tha.

Margaret : Apne paralized agents ko uthaao aur thikane par lekar chalo. Sab ko anti-paralized injection laga kar theek karo. Kuch temple ke charon orr reh kar nigrani karo. Koi bhi baat ho mujhe foran khabar di jaaye.

Margaret sabko order dekar seedhe raste se temple ke andar jaane lagi. Shaolin temple ke andar woh kisi kisam ki koi karwaai nahi kar sakti thi. Temple ke bahar uski hukumat thi toh andar woh sirf ek student thi. Jo trainning ke liye aai hui thi.

::::::::::::

MASTER CHI-FANG ne ankhen khol kar apne chelon ko dekha. Unke chehre par muskurahat thi. Jahan deewar ke andar DK aan gira tha. MASTER ne apne chelon ko us jaga ka bata kar DK ko lane ko bol dia.

MASTER ko bow karne ke bad sab bahar chale gaye.

Kuch der me DK MASTER ke saamne tha. DK paralized condition me tha. MASTER ko dekh kar DK bol toh nahi saka par uski ankhon me chamak aa gai thi.

MASTER : jaao iski halat me sudhaar laane ka intezam karo. Kisi ko pata na chale DK yahan maujud ha.. Qing-li ko bhi mere paas bheg dena.

1 ghante baad DK wapis se normal halat me maujud tha. usay lahi hui bullets bhi nikal di gai thee.

Basement me MASTER, DK aur qing-li maujud the. Baki sab bahar the. Qing-li basement me itne fasle par maujud tha. Jahan tak MASTER ki awaz nahi pohnch sakti thi.

MASTER : kaise ho tum mere bachhe. Akhir samay tumhe mere paas le hi aaya. Ek bade bazurg ke honto par apne bachhon ko dekh kar jo muskan hua karti ha. Wahi muskan MASTER CHI-FANG ke honto par bhi thi.

Daksh : (smile) aapko dekh kar badi khushi hui MASTER.

MASTER : mujhe bhi mere bachhe!! Kitni bar tum china aaye par mujhse nahi mile.

Daksh toh MASTER ko dekhta hi reh gaya. Fir samjh gaya MASTER uske baare me bohut kuch jaante han. Jaise ab jaan gaye the.

Daksh sharminda ho gaya.

MASTER : sharminda nahi hote beta. Samay hamesha apni chalen khud se chalta ha. Samay ne firse chaal chali aur tumhe mere paas le aaya. Mujhe woh sab batao mere bachhe jo main nahi jaanta. Khalai makhloq ke judi hui sari baten mujhe bataao.

Daksh ne fir MASTER ko sab bata dia, Shimuna ke baad jo jo hua tha.

MASTER : Shimuna beti tumne earth par aa kar bohut galat kiya ha. Kitni abadi ha tumhare planet ki.

Shimuna jo MASTER ki shandar personality dekh kar bohut zayada mutasar ho gai thi. Woh Daksh ke moh se bolne lagi. Uski lehje me MASTER ke liye respect bohut zayada thi. Awaz Daksh ki thi alfaz Shimuna ke the.

Shimuna : ji MASTER ji 3 crore!

MASTER : hamari dunya ki abadi arbo me ha meri bachhi. Tum teen crore ko bachane ke liye arbo logon ki zindagi ko daao par laga gai ho meri bachhi. Tumhare hamari zameen par aa jane se kitni zindagiyan jaane wali han. Is baare me bhi socha ha kuch tumne. Mere desh me parvesh karke tumne mere desh ke logon ki jaan bhi khatre me daal di ha. Fir bhi hum tumhara savagat karte han apni dunya me meri bachhi.

China me aate hue plan ke sath nahi aye dono. Kisi ki nazron me aaye bina bhi tum dono mere paas pohnch sakte the. Isse mere desh ke logon par bana khatra bhi kam ho jata.
Dk ke china me parvesh karne ke baad tum apni entry kisi aur desh me show karwa kar wapis bhi laut sakti thi. Isse sab ka dhayan DK parse bhi khatam ho jaata. Sab jaan jaate tum DK ko chhod kar kahin aur chali gai ho. Isse DK bhi mehfuz ho jata.

Par ab se DK kai ki nazron me hamesha rahega. Tum ise chhod kar bhi chali jaao. Tab bhi sab iske piche pade rahenge. Isse tumhare baare me jaanne ke liye kuch bhi kar jaayenge.

Shimuna : ji MASTERji! Mujhse galti hui mujhe maaf kar den. Mujhe sab baton par dhayan dena chahiye tha. Shimuna ki awaz se sharamsari aa gai thi.

MASTER : abb bhi tum bohut kuch kar sakti ho meri bachhi. Tum abhi bhi DK ke sharir se nikal kar kisi aur desh me khud apni maujudgi dikha kar laut sakti ho. Isse tumhare planet se aaye hue dusre nimoons bhi mere desh me ghus kar tabahi nahi macha sakenge. Koi ek agar hamari dunya walun ke hath bhi laga toh bhi hamari dunya par khatra ban jaayega. Tum log kuch aisi cheezen bhi sath lekar aaye ho. Jiske karan dunya lalach me aate hue khun bahane par utar aayegi.

Shimuna : MASTERji main Daksh ke andar se nikli toh wo jaan jaayenge. Fir mere liye bach kar nikalna mushkil ho jayega.

MASTER : Yahan tum galat ho meri bachhi. Tum jaise pehle apne planet walun se bachi rahi ho. Ab bhi bachi rahogi. Tumhari andar ki power dsuron nimoons se badhkar ha. Tum isliye bhi zayada dar rahi ho, agar tum unki pakad me aati toh wo tumhe wapis le jaayenge. Fir tumhare parivar aur planet walun ke liye khatra badh jaayega.

Ab rahi dusri bat toh tumhare DK ke andar se nikalne ko koi nahi jaan paayega. Uska intezam me kar sakta hon.

Daksh aur Shimuna dono MASTER ki baat sunkar heran bhi hue aur excited bhi.

MASTER DK ko lekar ek kamre me dakhil hua. Andar purane zamane ke kuch jar pade hue the. Unke andar alag alag rangon ka liquid bhara hua tha. Ek jar ke andar se kuch liquid nikal kar ek payale me bhara. Fir ek syringe se ek jar ke andar se liquid bhara aur payale me daal dia.

MASTER : DK beta apni saans band kar lo. Jab tak me na kahun saans mat lena.

Dk ne saans li. Marine life jeete hue Daksh ki breathing stamina bohut badha hua tha.. Do mint hi guzre the. Room ke andar ki fiza me ek ajeeb si bu rachne lagi. Saans roke hue bhi Daksh ko us bu ka ehsas hone laga tha. MASTER normal raha tha. Unse saans nahi roki thi. Do mint baad MASTER ne Shimuna ko Daksh ke andar se nikalne ko kaha. Shimuna kashmakash me padi toh MASTER ke firse kehne par woh Daksh ke andar se nikal padi.

Daksh ne dekha toh Shimuna ko dekhta hi reh gaya. Shimuna visible thi. Aur apne planet ke kapdo me wo badi qayamat dhaa rahi thi. Daksh ne saans roki hui thi. Wo bol nahi sakta tha. Bas Shimuna ko dekhta reh gaya. Aisi haseen ladki Daksh ne ab tak nahi dekhi thi.

Usi room se juda hua tha ek aur room, jiska door band tha. MASTER ne DK ko usi room me jaane ko bol dia. DK bina kuch bole door khol kar dusre kamre me ghus gaya. Door band kiya toh Daksh ko koi smell nahi aai. Daksh ne saans li. Toh bu khatam ho chuki thi. Daksh ne ek lambi saans li.

MASTER : jab tak tum is kamre me ho koi tumhari bu nahi pa sakta meri bachhi.

Shimuna MASTER ke pairon me gir padi thi. Shimuna MASTER se aur bhi bohut zayada mutasar ho gai thi.

Shimuna : MASTER!!!

MASTER ne Shimuna ke sar par hath fer dia.

MASTER : uth jaao meri bachhi. Lord buddha sada tumhari raksha kare.

Shimuna khadi hui aur MASTER ko dekhne lagi.

MASTER : tumne DK beta ko island par jo bhi khane ko dia ha. Jahan woh sab DK ke liye faydemand ha wahin DK ke liye bohut zayada ghatak bhi tha. Kisi bade ki maujudgi ke bina koi bhi dawa zeher ban jaya karti hai. DK beta ke liye wo sab sahi hote hue bhi bohut ghatak sabat hua ha meri bachhi. DK sahi samay par mere paas pohnch gaya. Agar usay der ho jati toh bohut badi samasya khadi ho sakti thi. Ab tum jaao aur bahar jaate hi kisi me sama kar yahan se nikal jaao. Kuch aise tarike se, jo log DK ke piche pade han. Tum unki nazron me aa jaao. Fir khamoshi se samudra me nikal par kisi aur desh me ja kar apni maujudhi sabat karo. Jab sab ka dhayan yahan se wahan ho jaaye toh laut aana. Is bar nazron me aaye bina hi aana.

MASTER se permission lekar Shimuna kamre se bahar nikli aur pal bhar se temple se bahar jaa kar kisi me sama gai. Uske baad Shimuna ne bilkul vaise hi kiya jaisa MASTER ne kaha tha.

Margaret jo temple ke ek kamre me thi. Usay khabar mili toh woh heran reh gai. Jo andaze usne lagaye the woh galat kaise ho sakte the. Apne admiyon ko kuch orders dekar woh kamre me tehalne lagi. Woh firse jod tod karne lagi. Par is baar uski samjh me kuch nahi aaya.

::::::::::::::

Nimoons bhi indian sahil par rehte hue DK and Shimuna se judi har khabar par dhayan rakhe hue the. Woh bhi jaan gaye Shimuna china me hai.

Nimoons china ke liye nikal pade. Samudri raste me safar karte hue ek incident pesh aaya. Jisme ek nimoons jaan se gaya.

Hua kuch aisa....

Paanch nimoons me se char aage the, ek bohut piche reh gaya tha. Kerala ke samudra ki gehrai se guzarte hue end wale nimoons ko apne right side me ek octopus dikha, woh usay dekhne laga. Yahan usse galti hui aur saamne se ek shark se takra gaya. Nimoons bohut speed me tha. Power bhi bohut thi usme. Shark ke sharir me chhed karta hua nimoon paar nikal gaya.

Parr...

Par uske shoes shark ke andar se guzarte hue utar gaye. Shoes shark ke pet me hi reh gaye. Bina shoes wo fast swimming nahi kar sakta tha. Paani me hulchal se aage wale nimoons bhi piche mud kar dekhne lage. Wo apne ek sathi ko museebat me dekh kar wapis palte.

Parr der ho chuki thi.....

Samudra me nimoons ke pairon se nikalne wale khun ke kaaran aur shark ke khun ke karan aas paas ke sabhi samudri jeev shark aur nimoon par toot pade. Jitne samudri jeev the, der nahi lagi aur nimoon ke sath sath shark ka sharir bhi tukdon me bat kar samudri jeevo ke pet me utar chuke the.

Charon nimoons apne sathi ki maut dekh kar dukhi ho gaye. Wo apne sathi ke liye kuch nahi kar paaye. Der bhi nahi lagi aur woh apne ek sathi se mehrum ho gaye.

Sab fir china ki orr badhne lage.....

China ke ek sahil par pohnch kar DK baare detail hasil ki. Koi bhi step lene se pehle wo puri info nikal lena chahte the. Wo nimoons the aur kisi bhi desh me ghus kar Shimuna ko pakad nahi sakte the. Samudra me woh safe the. Par samudra se bahar woh safe nahi reh sakte the. Shimuna ko pakadne ke liye badi saavdhani ki zarurat thi. Nimoons apne planet par nahi earth par the.

Mare hue nimoons ke shoes baare charon nimoons bhul chuke the. Apne sathi nimoon ki maut par dukhi hokar woh uske juton ko yaad nahi rakh paaye the. Unhi shoes ko samudri lehren kerala ke ek island ki or le jaane lage. Suba tak woh island ke sahil tak pohnch chuke the.

Island ke sahil par ek awara kisam ka ladka baitha hua tha. Wo samudra me shoes ko dekh kar heran reh gaya. Bhagam bhag woh paani me utra aur shoes lekar wapis sahil par aa gaya.

Awara ladka bhuka nanga bhi tha. Apne phate purane shoes utaar kar usne nimoons ke shoes pehn liya.. Shoes pehn kar woh bada khush hua aur shoes ko hath laga laga kar dekhne laga. Usay pata hi nahi chala, kab woh shoes active hue aur awara ladka kuch hi der me asmaan ki bulandiyon par tha..

Uski cheekhen nikal gai. Island par rehne walun ne ye dekha toh video banane lage. Fir wahi hua jo aise maamlo me hota aaya ha. Video viral hone lagi. India fir pure world me woh video dekhi jaane lagi.

Awara ladka behosh nahi hua. Bas uski halat bad se badtar hone lagi. Kisi ek rukh par wo nahi ud paa raha tha. Bohut der ke baad woh udta hua kerala ke junglon me ja pohncha. Uske piche indian army ke bohut se helicopter bhi lag chuke the. Baki sabhi organizations bhi uske liye pagal hone lagi. Shoes se nikalne wali roshni video me bohut clearly dekhi ja sakti thi.

Koi ye nahi jaan paya aur na hi soch paya, ye nimoon's shoes bhi ho sakte han. Par ye shoes jiske bhi the. Jaise bhi the, bohto ke liye bade kaam ke the.

Kerala ke junglon me pohnchte hi awara ladka marne ki halat me pohnch gaya. Uska rukh niche junglon me hua, fir badi speed ke sath woh niche aane laga.

Jungle ke jis area me woh awara ladka gir raha tha. Theek usi jaga ke niche jungle me ek jadugar us area ko apne mantron se zariye invisible kiye chaap me laga hua tha. Dekhne se woh area gehri dhund me lipta hua nazar aata tha.

Jadugar lakdee ke bane ek kamre me baitha hua chaap kar raha tha. pure kamre me charon dishaon me sindoor se rekhayen khenchi hui thee. koi bhi bahar se andar nahi aa sakta tha. par jadugar se chhat se iska intezam nahi kiya tha.

Aaj ki raat uski chaap ki akhri raat thi. Chaap ke pura hote hi woh ladki ki bali dene wala tha. Fir usay prapt hoti aseem kali shaktiyan.

Ladki megical wire se bandhi hui thi. Khauf ke karan uska chehra sufed par chuka tha. Pichhle kuch dino se woh isi halat me thi. Usay bhuk piyas tak mehsus nahi ho rahi thi. Ye sab us jadugar ke mantron ke karan tha.

Ladki apni maut ko lamha ba lamha khud ki orr badhte hue dekh rahi thi. Aaj ki raat uski zindagi ki akhri raat hone wali thi.

Parr...

Ladki ki kismat achhi thi. Jo woh awara ladka theek jadugar ke saamne padi hui dao-sword ke upar aan gira.

2
Ladke ki dono taangen dao-sword se takrayen, takrate hi uski dono taangen uske sharir se alag ho gayee. Sath hi jadugar ka chaap bhi adhura reh gaya. Chaap ke adhure rehte hi ladki ke gird lipti magical wires ghayab ho gai. Ladki uth khadi hui.

Jadugar ladki ki bali dekar kali shaktiyan prapt karne wala tha. Chaap ke adhura reh jaane par woh tadapne laga. Ladki ki jaan bachi toh usme himmat aa gai. Woh wahan se bhagne lagi. Upar se girne wale awara ladke ki lash dekh kar bhi ladki bohut zayada darr gai thi. Par ab usme himmat aa gai thi. Woh wahan se nikal kar bhaagne lagi.

Phirr....

Phirr jaane kya us ladki ke dil me samaai, woh lauti aur awara ladke ke kate pairon se shoes utaar kar wahan se nikal bhaagi. Bhaagti hui woh jungle me gumm hoti chali gai.

Helicopters jo awara ladke ke piche the. Woh dhund dekh kar heran hue. Unhe kuch smajh nahi aayi. Kuch fasle par ek khali jaga ek ek karke saare helicopters land hone lage.
Dhund ko dekh kar sab heran the. Sab dhund par charcha karne lage.

::::::::::::::::::

Shimuna ke rukhsat hone ke baad MASTER Daksh ko lekar firse basement me pehle wali jaga par ja pohnche. Wahi qing-li se Daksh ke sath kya karna ha wo batane lage.

Do ghante baad Daksh ke sarr aur chehre ke saare baal saaf kiye ja chuke the.

Pehle Daksh Aisa Dikh raha tha.
wp5118286-1

Ek aisa oil.....

Ek aisa oil jiski khasiyat bohut hat kar thi. Uski madad se Daksh ke face me badlaao laaya gaya. Qing-li apni ungli par baar baar do alag kisam ke oil laga kar Daksh ke
Pure chehre par maalish karne laga. Jiske kaaran Daksh ke chehre ki jild kahin se sukadne lagi toh kahin se phoolne lagi.

Result.....

Result ye nikla keh Daksh ke chehre me aaye badlaao ke karan Daksh sara hi badal kar reh gaya. Ankhon me lens daal kar Daksh ki baaki manda pehnchan ko bhi chhupa liya gaya. Koi karib se dekh kar bhi Daksh ko pehchan nahi sakta tha. daksh ka chehra hi nahi badla tha. dehkne wale daksh ko ek indian nahi ek chinese hi samjhte.

Daksh Kuch aisa dikhne laga tha....

656-01768076en-Masterfile

MASTER : DK beta jab tak tum yahan ho. Tum TIGER ke naam se jaane jaaoge. Kabhi bhi khud ko DK ya daskh ke naam se saamne mat aane dena. Warna firse wahi hungame shuru ho jaayenge. (Daksh naam MASTER ne Shimuna me mohn se suna tha. Warna pehle MASTER bhi Daksh ka asal naam nahi janta tha.) abb se tum do dino ke liye behosh rehne wale ho. Jo samudri jadi-butiyan tum khaa chuke hon. Uske karan hone wale nuksan ko khatam bhi karna ha.

Daksh toh khud ko aaine me dekh kar hi bada heran tha. MASTER ki baat par bass sar hila kar hi reh gaya.

MASTER ke kehne par fir qing-li ne Daksh ko behosh kar dia. Uske baad wo Daksh ke liye masruf ho gaye.

.
.
.
.

Aaj Ke Liye Itna Hi Mitro! Baki Agle Episode Me.......
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::

Gajab bhai maja a gaya

Bro har din to kam se kam 1 update hona chaiye itni mast story ke liye
 
Zoro x

🌹🌹
1,689
5,424
143
Episode:01

South Atlantic Ocean me apni manzil ki or badh raha Harmony Of The Seas nami ship, us ship ke antim floor ki chhat par khada hua Thakur Daksh Singh.

apne desh se hazaron mile door, apnu se 6 saal se door ek marine life ji raha tha daksh. sab uske liye mar chuke the aur wo sab ke liye..

6 years.....

6 saalon se daksh thakur ne kisi ki koi bhi khabar nahi li thi. wahan se nikale jaane ke baad (dhutkar kar, zaleel karke nikaale jaane ke baad) kon is dunya me aaya aur kon is dunya se gaya. daksh thakur nahi janta tha.

dada, dadi, maa, papa, bhai behen, chacha chachi, unke bachhe aur dusre sab abhi bhi ji rahe han ya mar gaye han. daksh thakur nahi janta tha. aur na hi jaanna chahta tha. daksh thakur kisi ke baare me jaanne ki zarurat bhi nahi samjhta thi.

everyone hated him and he hated everyone

saalon se sabse door tha daksh fir bhi.. wo awazen, wo cheekhen, wo alfaz, wo nafrat wo dhutkaar, usay aaj bhi yaad thi. jab bhi un awazon ki goonj uske andar goonjti thi to wo pagal sa hone lagta hon.

zindagi......

zinda rehne ko dil nahi chahta tha daksh ka. par mar bhi nahi sakta tha.. itna dard bhar dia gaya tha uske andar. apne sharir ke andar se aatma tak ko nikaal bahar karne ke liye daksh thakur kya kuch nahi kar jaya karta tha. dunya ka konsa aisa khatarnaak kaam tha, jo daksh thakur ne na kiya ho. samudra ki us gehraai tak wo ja pohnchaa tha, jahan tak pohnch paana shayad kisi ke liye mumkin na raha ho..

par daksh thakur.....

daksh thakur bina kisi darr khauf ke har khatarnaak gehraai me utar jaya karta tha. suicide karne ki koshish kabhi nahi ki thi daksh thakur ne. haan jis kaam me uski jaan jaane ke 80%-90% bhi chances karte to wo zarur kar jaya karta tha.

dunya me koi bhi kaam 100% dangerous nahi tha daksh thakur ke liye.. agar hota to wo kab ka mar chuka hota.. usay mila dard usay is dunya ko chhod kar jaane bhi nahi deta tha.

Diksh became a multi-talented man because of the dangers he faced.

shayad wo marna bhi nahi chahta tha. agar mar jata to fir wo usay kaise hasil kar pata. ek wahi to thi jiske liye wo marna nahi chahta tha.. wo bhi daksh se nafrat karti thi..
she hated him immensely.....

wahi thi jiski waja se daksh ki zindagi barbad ho gai thi, wahi thi jiski waja se daksh thakur ko maut nahi aa rahi thi. wahi thi jiske milne ki aas liye daksh thakur hamesha hi khatron se lad jaya karta tha. jahan yakeeni maut hua karti thi, daksh thakur wahan se bhi bach jaya karta tha.

wahi thi jisne daksh thakur ko barbad kar dia tha.. wahi thi jise paane ke liye daksh thakur hamesha se betaab raha tha. wahi thi, jo shayad kabhi badal kar daksh thakur ki zindagi me firse bhi aa jaaye to daksh thakur kabhi bhi usay na apna sakun..

kuch aise hi vichar daksh thakur ke the.

kaisi ajeeb baat thi, jise daksh thakur beinteha chahta tha, jise paane ke liye daksh thakur marna bhi nahi chahta tha. jise paane ke liye daksh thakur zinda tha. agar kabhi wo daksh thakur ki zindagi me aa bhi jaati to daksh thakur usay paaye bina side se nikal jata..

jis tarha se daksh thakur ko dhutkaar dia gaya tha. shayad wo bhi kabhi moka milne par usay dhutkaar deta..

"mujhe nafrat ha tumse shadeed nafrat... i hate you daksh.. i hate you.. And I will always hate you.. mar jana par kabhi mujhse apni surat matt dikhana thuuuuuuuuuu.."

"tumm.. tumm.. mere bhai nahi ho sakte daksh.. nahi.. nahi.. tum mere bhai nahi ho sakte.. aisi neech harkat karne wala kabhi mera bhai ho hi nahi sakta.. dafa ho jaao hamari zindagi se hamesha hamesha ke liye.. kabhi apni ghattiya surat leke mere saamne bhi matt aana"

"tu meri kokh me hi kyun nahi mar gaya paapi.. kaash mujhe pata hota tu aisa nikle ga. toh main khud tujhe apne hathon se apni kokh me hi maar deti.. agar aisa kiya hota to aaj aisa din dekhna naseeb nahi hota"

"kitna chah thi mujhe ek waris ki.. kitni khushiyan manaai thi hum sab ne tere janam din par.. par tum.. tum to hamara khun kehlwane layak nahi ho. dafa ho jaao meri haveli se.. fir kabhi yahan matt aana"

"hamesha hi main khud par garv kiya karta tha tujhe apna beta paa kar.. par tu.. par tu hi mere aur mere khandan ki izzat ko mitti me mila gaya.. apne hi ghar ki bahu betiyon ki izzat ke sath khelne laga.. thuuuuuu ha tujh par.. nikalllll jaaa mere ghar se.. nikal ja hum sab ki zindgiyon se..

"nikallll jaa"

"nikallll jaa"

"nikallll jaa"

"nikallll jaa"

aakash me badal nahi the, chandni raat thi, stars chamak rahe the. thandi thandi hawa chal rahi thi. mausam suhana tha, toofan ke aane ka koi amkaan nahi tha.. par jo tofaan baar baar daksh thakur ke andar aane lagta tha. wo samudri toofan se kahin badh kar tha..

kuch bhi to nahi bhula tha daksh thakur.. sab kuch aise yaad tha daksh thakur ko, jaise kuch samay pehle ki baat ho.. firse sab yaad aane laga to uske andar ki aag firse badhne lagi. aise samay me koi kam hi uske saamne aaya karta tha.. wehshi ban jaya karta tha daksh thakur. wo pagal to nahi hota tha. lekin pagal pan ki hadd se bhi kahin badh jaya karta tha.

daksh thakur ship par pichhle 3 saal se as a engineer kaam kar raha tha. is kaam me bhi daksh thakur slefmade tha. dekh kar sab sekh gaya tha. bina degree ke hi wo ship par as a negineer kaam kar raha tha...

daksh thakur ke andar ki ghutan badhne lagi to chhat chhat par maujud intercom se neeche call karke batane laga

"main samudra me utarna chahta hon"

daksh thakur ki baat ka dhayan hamesha hi rakha jata tha. kuch der me ship dheere hokar samudra me hi ruk gaya..

raat ka akhri pehr tha. toh ship ke staf ke siva sare passengers so rahe the.. apne kapdee utaar kar, ek underwear me chhat par rehte hue hi ek long jump lagaya daksh thakur ne aur dono hath aage karte hue seedha samudra ke paani me ja pohnchaa..

paani ko cheerte hue wo bohut neeche tak gaya... fir wapis upar ki or uthne laga.. jald hi wo paani ki satah par tha. daksh thakur firse paani me jane hi wala tha keh upar asmaan se ek tez roshni ki lakeer si chamakti hui neeche apni or aate hue daksh ko dikhi..

roshni ki us lakeer ki speed bohut zayada thi. daksh heran hota usse pehle hi wo roshni ki lakeer niche aate hi usse takra gai..

roshni ke takrane se daksh thakur ko 440 volt ka jhatka laga.. daksh bina tadpe hi paani me bohut neeche jaa kar behosh ho gaya... high voltage se lagne wala jhatka wo sehn nahi kar paya tha.

hosh aane par daskh ne ankh khol kar pehle right fir left dekha.. khud ko sahil par lete hue paya to firse ankhen band kar leen.. first to daksh ko yaad hi nahi raha tha raat wo ship par tha aur samudra me naha raha tha..

jaise hi usay sab yaad aaya woh ek jhatke me uth baitha.. uthte hi wo firse piche ki or gir pada.

daksh khud se.. ye mujhe itni weekness kyun feel ho rahi ha. aise jaise main saalon se bhuka hon. jaise maine apne andar ki sari shakti ka upayug kar liya ho. daksh jaise bhi karke khud ke andar bachi khushi shakti ko ikatha karne laga.. wo ladkhadate huye uth khada hua. daksh aas paas dekhne laga.. dekhne par paya keh wo to ek mini island par tha.

what is this.. how is this possible.. main toh ship ke paas naha raha tha. yahan kaise aa gaya..

daksh samudra kinare khada island ko dekhne lagta toh kabhi samudra me.. door door tak usay wo ship nazar nahi aa raha tha.. wahan ek island ke siva kuch bhi nahi tha. kuch tha toh charon or samudra ka paani tha.

"tum bhul gaye ho daksh, tum samudra me naha rahe the.. main asmaan se girte hue tumse takra gai thi..tumse takrate hi main tumme samati chali gai thi.. tum meri power ko sehn nahi kar paaye aur behosh ho gaye"

ladki ki awaz sunkar daksh firse ladkhada gaya.. woh charon dishaon me dekhne laga.. par koi aas paas nahi tha.

"yahan tumhare aas paas koi nahi ha daksh. jo tumhe nazar aayega. yahan is sansan island par tum ho aur ek main hon"

daksh ki hairat kam hi nahi ho rahi thi.

daksh : tum kahan ho, tum mujhe nazar kyun nahi aa rahi.. kya tum invisible ho..

"main tumhare andar hon"

daksh : what nonsense.. aisa kaise ho sakta hai. koi kisi ke andar kaise samaa sakta ha. tum zarur invisible ho. aur mujhse jhut bol rahi ho.

"i'm not lying daksh.. main sach me hi tumhare andar hon.. raat main tumse takrate hi tumme samaa gai thi. yahi waja bani jo mere dushman mujhe pa nahi sake"

daksh firse baith gaya.. apne sarr ko dono hathon se thaam kar wo us awaz wali se bola

daksh : are you still kidding me?

"nahi daksh mujhe kya zarurat ha.. tumse mazak karne ki"

daksh : to mujhe bataao, tum... tum kaise mere andar samaa sakti ho aur tum ho kon, asmaan se kaise aa sakti ho tum.. asmaan se aane wala aise to nahi aata. koi aa bhi jaaye to uska zinda bach pana mumkin nahi ha.

"Ehehehehe.. ek sath itne sawal"

daksh : to batao mujhe, khud se hi sab bata do..

"universe me itne secrets han, kisi bhi planet par rehne wale pure universe ke secrets nahi jaan sakte.. main bhi aise hi palnet se aai hon"

daksh : This is all nonsense.. aisa kuch bhi nahi ha.. prithvi ke siva kisi aur planet par zindagi mumkin nahi ha. agar ha toh prithvi par uska pohnch pana mumkin nahi ha..

"daksh thakur is universe me sab mumkin ha.. apni dunya ke baare me bataao, hazaron saal pehle rehne wale kisi ek bhi viyakti ko zinda karke aaj ki dunya dikha di jaaye to wo dekh kar yahi kahega "asambhav" ye nahi ho sakta.. daksh everything is possible in this universe.. aise bohut se secrets han, jinhe koi pa nahi saka"

uski baaten sunkar daksh ke sarr me dard hone laga tha.

daskh : mujhe bas itna bata do, agar tum sach me hi mere andar ho to mai tumhe mehsus kyun nahi kar pa raha.

" daksh main tumhare andar se bahar nikal kar to tumhare saanme visible nahi ho sakti. haan tum mujhe dekh sakte ho"

daksh : wo kaise?

"wo aise keh tum apni ankhen band kar apni dono ankhon ke bech me dekho"

daksh uski baat sunkar ankhen band kar gaya.. fir wo usi ke bataye huwe par amal karne laga

daskh : ye kya mujhe to white white dikh raha ha sab

"ab apni ankhon par dono hath rakh kar dekho"

daksh ne apni ankhon me dono hath rakh kar dekha toh

daksh : oh my God tum to mujhe sach me dikh rahi ho.. tumhari surat mujhe puri kyun nahi dikha de rahi. tumhara cherha dhundla dhundla kyun dikha de raha ha mujhe.

"tum abhi mujhe clear nahi dekh sakte.. uske liye tumhe apni brain power badhani hogi.. daksh tumne apni kam ho chuki power ko bhul chuke ho"

daksh : haan ye baat to main sach me bhul hi gaya tha. tumne mujhe kuch sochne layak chhoda hi kahan tha. tumhe apne andar paa kar main shock ho gaya tha.

"tum behosh ho gaye the to main apne dushmano ki pohnch se door hone ke liye apni power ka use karte hue, behoshi me hi tumhe is island par le aai.. ye island us ship se 300 mile door ha.. isi waja se tumhari power down hui ha daksh.. jitni speed maine use kari ha, wo tumhari power se kahin badh kar ha"

apne dono hath hata kar daksh ne apni ankhen khol deen..
कहानी शुरुआत बहुत ही शानदार लाजवाब थीं भाई
देखते हैं आगे क्या होता हैं भाई
 
Zoro x

🌹🌹
1,689
5,424
143
Episode:02

daksh : theek ha maine dekh liya tum mere andar samaai hui ho.. kripya ab mere andar se bahar tashreef le aayen.

"sorry daksh main bahar nahi aa sakti"

daksh : wo kis khushi me miss!

"mera naam shimuna hai"

daksh : khoob, achha naam ha.. lekin main apne wajud ko kisi ka thikana nahi banne de sakta.

shimuna : daksh agar main bahar nikli to mere dushman jaan jaayenge, main kahan hon. nahi plz mujhe apne andar hi rehne do. main lozan ke kabze me nahi jana chahti, agar wo mujhe pakad kar wapis planet par le gaye toh mera pura maar diya jaayega.. shimuna sisak padi thi.. daksh ladkiyon par daya karna bhul chuka tha. lekin shimuna par daksh ko daya aa gayi. shimuna ek dusre planet se thi, daksh ko uspar daya aa gai.

daksh : achha achha nahi nikalne ko bolta..

daksh ko chakkar se aane lage the, wo let gaya

shimuna : sorry daksh meri waja se tumhari aisi halat hui ha.

daksh : its ok shimuna.. ab meri ye weekness kaise door hogi, aur kitne samay me door hogi.

shimuna : daksh main tumhari earth par upalabdh shakti badhane wali cheezon baare nahi jaanti. tum mujhe samudra me mile the, tum jaante hoge, samudra me kya kuch aisa ha, jisse se tum khud ko recover kar sakte ho.. aur

daksh : aur kya shimuna?

shimuna : daksh har planet par bohut kuch aisa bhi paya jata ha, jo har dhund nahi pata. aisi cheezon ke upayog se shakti ko kai guna badhaya bhi ja sakta ha.

daksh : ye baat to main bhi samjhta hon shimuna. hamare samudra ki gehraiyo me bohut kuch aisa ha, jinke baare me pustken bhari padi han.. par samudra ki gehraai me paayi jane wali un jadi bootiyon tak kisi ki rasayi mumkin nahi ha.

shimuna : abb mumkin ha daksh.

daksh shimuna ki baat heran reh gaya.

shimuna : tum bhul rahe ho daksh, daskh tum island par kaise aaye. jab tak main tumhare andar hon. tum samudra ki kisi bhi gehraai me ja sakte ho.. dekh sakte ho, saans le sakte ho, khaa pi sakte ho.

daksh : kyaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa?

shimuna : haan daksh ye mumkin ha.. aur tumhe aisa hi karna padega daksh, mujhe bhi zarurat ha is sab ki. tum jitni khud ki power badhaoge daksh, utni safe main bhi rahungi.

daksh : is baat ka kya matlab hua shimuna

shimuna : daksh main bahar reh kar bhi khatre me hon aur tumhare andar reh kar bhi.

daksh : bahar rehte tumhe apne hi planet walun se khatra hoga. mere andar rehte hue bhala kaisa khatra?

shimuna : mujhe earth par aate hue earth ke space center se dekh liya gya hoga. mere peeche aa rahe nimoons bhi earth walun ki nazron se bach nahi sake honge daksh. another planet se judi hui koi bhi info ho, sab uski chhan been me lag jaate han. hum to fir bhi insano se milte julte han. humen kaise nahi earth wale dhundenge.. main to tumhare andar reh kar sabki nazron se ojhal ho gayi han. par dusre nimoons kisi ki nazron se chhup nahi sakenge.. kyun ki wo meri tahra se kisi dusre me sama nahi sakte. nimoons ne pehle to tumhe samudra me dhunda hoga. na milne par tumhari khoj ki hogi. tum kon ho kahan se aaye ho.. kaiyon ko maara hoga unho ne tumhare baare me jaanne ke liye. nimoons mere piche the. mujhe tumme samate hue wo dekh chuke honge. ab wo tumhari khoj me honge. aise wo sabki nazron me aa gaye honge. agar aisa ho chuka ha daksh toh nimoons baare saari earth wale jaan chuke honge.

daksh : mujhe kyun dhunden shimuna, wo ye bhi to soch sakte han, tum mere andar se nikal kar kisi aur me bhi sama sakti ho.

shimuna : unhe turant hi pata chal jaayega daksh, jab bhi main tumhare andar se bahar niklongi. baar baar kisi me samaane se meri power bhi kam hoti ha. aur mujhe earth par reh kar taqat hasil karni ha, na keh kam.. lozan ko maar kar firse apne meesa ko king banana ha mujhe.

daksh : meesa?

shimua : hamare planet par pita ko meesa kehte han daksh

daksh : aur maa ko?

shimuna : Ehehehe meesi

daksh : hahaha "meesa".."meesi"

shimuna : chalo daksh ab yahan se chalte han. kis country me jana chahoge tum.

daksh : pehle to samandar me rehte hue hi mujhe apni shakti wapis paani hogi.

shimuna : paani hi nahi badhani bhi hogi.. tumhe fighting aati ha daksh?

daksh : street fighting aati ha kisi had tak. bohut kam kisi se ladne ka chance bana ha mera.

shimuna : tumhe apni earth ke hisab se ladna seekhna hoga daksh. warna tumhare liye mere liye bohut mushkil ho jayegi. aur sach kahun to tumhare wajud ke best thikana mujhe kisi aur wajud me nahi milega. apne liye mere liye khud ko powerfull banaao daksh.

daksh : ab to aisa hi karna padega.. chalo chalte han samudra me

daksh utha ldakhada hua samudra me utar gaya. samudra me utarte hi daksh ko khud me kuch energy mehsus hone lagi..

kuch gehraai me jaate hi daksh ne ankhen khol kar saans lene ki koshish ki. sach me hi usay koi pareshani nahi bani. saans lene se paani uski naak me nahi gaya. aisa sab daksh ke liye hairat angez tha. daksh fir samudra ke paani me lambe lambe saans lene laga..

shimuna : maine kaha tha na daksh tumse.. paani me tumhe kisi kisam ki koi preshani nahi hogi. haan agar koi preshani ban sakti ha to wo ha samudri jeev se. khud ko usse bachane ki koshish karna. tum kisi bhi samudra jeev se zayada speed se ter kar sakte ho.

daskh : ye sab mere liye bada ajeeb ha shimuna

shimuna : ajeeb to hoga hi. tum thehre insaan, ek insan paani me saans le raha ho. uske liye ajeeb to hoga hi.. chalo ab aage badho aur neeche gehri me utro..

daksh : gehraai me abhi khatra zayada hoga. pehle khud ko recover kar lun..

daksh normal gehraai me rehte hue hi wapsi ka safar tay karne laga. aage africa tha. ship par wo laut nahi sakta tha. aage ja nahi sakta tha. abb se uski life ke maanings badal gaye the. shimuna uske andar se nikal bhi jaati to bhi dunya wale usay zinda jaan kar uske piche pad jaate.

:::::::::::::::::

shimuna ne jaisa daksh se kaha tha, hua bhi bilkul vaisa hi. puri dunya me khalbali mach gayi thi. NASA walun ne shimuna samet paanch aur nimoons ko earth par aate hue dekh liya tha. ye khabar turant hi american president ko di gai. wahan se khabar pure world ki media ko de di gai.

fir to jaise puri dunya ke news channel wale is khabar ko nashar karne lage.

sattelite cameras ko zoom karke sabko dekh liya gaya sivaye shimuna ke. paancho nimoons akaar me to dikhayi de rahe the lekin unke face clear nahi the. shimuna roshni me lipti hui dikhai de rahi thi. baaki nimoons bina roshni ke the.

samudra ke jis hisse ki or wo sab utarte dikhaai diye the. wahan se guzar rahe sabhi ships par contact kiya jane laga. jald hi daksh wale ship baare bhi sab jaan gaye. us ship par hue nimoons ke hamle ki khabar bhi pata chal gai thi. is khabar ke sath hi ship par liye gaye nimoons ke snap bhi all world me viral hote chale gaye.. passnegers ship tha. kaiyon ne snaps liye nimoons ke toh kaiyon ne videos bana li thi.

ship par nimoons ke hue hamle baare shimuna bhi daksh ko bata chuki thi. nimoons daksh ki detail paane ke liye kuch bhi kar sakte the. aur hua bhi wahi.

daksh jab samudra me naha raha tha. shimuna ko daksh me samate toh koi nahi dekh saka. lekin ship ke staf shimuna ke aane ki jhalak dekh gaya tha. shimuna ke baad dusre 5 nimoons bhi jab samudra me gire to ek zordar awaz hui thi. paani ke chheente bohut door tak gaye the.. jise ship par dekh liya gaya tha.. foran hi siren baja kar sabko saavdhan bhi kar dia gaya..

nimoons jab samudra me shimuna ko nahi pa sake. daksh ke sath wo samudra me hi rehte hue kahin door bohut door chali gai thi. wo shimuna ka peecha nahi kar paaye.. daksh ki detail hasil karne ke liye wo ship par chad gaye. nimoons ke akaar dekh kar sab dar gaye. ship ke guards jinke paas latest guns thee. un guns ka rukh nimoons ki or kar dia gaya..

ship ke captain bhi jaan gaya tha, asmaan se tapke hue insan nahi ho sakte.. unke akaar bhi insaano se bade the. captain ne security incharge ko dekha to incharge ne guards ko hamla karne ko bol dia.

ek jung chhid gayi thi ship par. bohut se guards maare gaye. nimoons ke liye earth walun se ladai asaan nahi thi. goliyan lagne se wo bhi zakhmi hone lage.. unme jo leader tha. wo sabko samudra me koodne ke liye bol gaya..

sab samudra me koodne lage.. nimoons leader ne ek guard ko pakad aur uske mathe se mathe jod kar daksh baare info lene laga.. lekin usay kuch hasil nahi hua. daksh ko ship par sab DK ke naam se jaante the.. daksh kahan se aaya tha, kahan rehta tha, koi nahi jaanta tha. daksh ne bhi apni info sahi se kisi ko nahi bataai thi.. apna ghar aur apne sab wo chhod chuka tha. toh kisi ko apne baare se sab batane ki zarurat bhi usne mehsus nahi ki thi..

nimoons leader bhi samudra me utar gaya.. woh shimuna ko paane me nakam ho gaya tha. daksh baare detail bhi wo paa nahi saka tha. kuch to karna hi tha, khali hath to wo bhi wapis nahi lautne wale the.

::::::::::::::::

ship me banaai gai nimoons ki pics nd videos amercian CIA ko bhej di gai..

Power.....

jiske paas power hoti, usi ke andar mazeed power ka lalach sabse badh kar hota hai..
planet koi bhi ho, usme rehne wale kaise bhi hon. har koi sabse badhkar khud ko powerfull dekhna chahta ha.

dusre planet se aaye huon ke liye sari dunya pagal hone lagi thi. dunya ke sabse powerfull country kisi ek bhi nimoon ko hasil kar lena chahte the. ek to space baare bohut se secrets unke hath lagte dusre wo nimoons par research karke bohut si power bhi hasil kar sakte the.

bade bade deshon ki intelligence companies ke sath sath underworld wale bhi aisi khabar sunkar lalach me aa gaye the. wo bhi nimoons ke liye sar garam hone lage..

:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
कहानी बहुत शानदार लाजवाब हैं भाई
 
Zoro x

🌹🌹
1,689
5,424
143
Episode:03

daksh samudra me tairta hua aage badhne laga. daksh ki life 6 saal pehle jaisi bhi thi, par ghar se nikalne ke baad ki life daksh ke liye adventurous life ban gayi thi.

apnu se mili dhutkaar ne daksh ko ek naya jeevan de dia tha. 6 saal marine life ji kar daksh wo ban chuka tha. jo woh apne desh me, apne pariwar ke sath reh kar nahi ban sakta tha.

shimuna ke daksh ki life me aa jaane se daksh ki adventurous life aur bhi zayada adventurous, thrilling ho gayi thi. jaisa aur jitna shimuna ne daksh ko bata diya tha. daskh shimuna se sab sun aur jaan kar pehle to heran hua tha. par fir baad me wo khush bhi ho gaya tha..

daksh pichhle 6 saal se aisi hi life to ji raha tha. khatron me bina darre kood padna uska shauk ban gaya tha. according to shimuna daksh ke liye ab aage ki life ek dangerous life me badalne wali thi. puri dunya nimoons ke sath sath daksh ki raah par bhi lagne wali thi. daksh to tha hi khatron ka manjha hua khiladi.. khatra kitna bada hi kyun na ho, daskh hamesha datt kar saamna kiya karta tha.

nayi milne wali chunauti ko bhi daksh ne pure mann se accept kar liya tha. koi tha nahi ab uski zindagi me, apna desh apna pariwar wo chhod chuka tha. apne naye ban chuke dushmano se ladte hue agar wo mara bhi jata ha toh kisi ko kaano kaan khabar bhi nahi honi thi. khabar ho bhi jaati to kaunsa kisi ko fark padne wala tha. koi nahi ab uske liye rone wala.

shimuna : daksh bohut der se khamosh ho tum! why?

daksh : (lambi saans chhodte hue) tum to mere andar ho shimuna, mere vichar nahi jaan sakti kya tum?

shimuna : daksh main to tumhare andar ki wo baat bhi jaan sakti hon, jo tum bhi nahi jaante, tum wo bhul chuke ho. par main bina tumhari permission ke aisa kuch nahi kar sakti. It is bad to take interest in someone's personal thoughts daksh!!

daksh shimuna ki baat par muskura pada

daksh : (glad) shimuna you can be my good freind!

shimuna bhi daksh ki baat par khush ho gai.

shimuna : definitely main tumhe tumhari dunya ki sabse best friend ban kar dikhaungi daskh. mere liye badi khushi ki baat ha daksh, jo earth par aate hi mujhe tum mil gaye. mujhe tumhare jaisa dost shayad hi earth par milta.

daksh : mujhe bhi kuchh aisa hi lag raha ha shimuna.. warna pichhle 6 saal se maine kabhi kisi ladki se dosti nahi ki.

shimuna : (shocked) why?

daksh : jald hi reason bhi bata dunga. mujhe lagta hai, tum hi wahi ho, jis ke aage main apna dard khol sakta hon.. warna to koi is dunya me mujhe aisa mila nahi jis ke saamne main khud ko khol sakun..

shimuna : (chirp) i am glad to know that i am becoming special to you.

daksh : tum hamari dunya se nahi ho na aur fir tumse zayada der kuch chhupaya bhi to nahi ja sakta.. tum to mere andar samaai hui ho aur jaane kitne samay tak tum mere andar hi rehne wali ho. mujhe bhi tum jaisi hi ek dost ki zarurat thi. mujhe bhi jo ek dost ki kami feel hua karti thi, aaj woh bhi puri hote hue nazar aa rahi ha..

shimuna : main samjh sakti hon daksh, zarur tumhari zindagi me kuch aisa hua ha, jis bina par tum aise ban gaye ho.. par main tumse wada karti hon daksh.. kabhi bhi apni had se aage badhne ki koshish nahi karungi. apni power ka galat use nahi karungi.

daksh : woh to theek ha, par abb main aise aur itni raftar se to nahi tair sakta.. agar mian aise hi tairta raha to main fir wo hasil nahi kar paaonga, jiski talash hum dono ko ha. main ye bhi to nahi janta wo samudra ke kis area me milengi mujhe.

shimuna : dd-daskh mere paas ek solution ha, aa-agar tum ghussa na karo to

daksh : isme hichkichane ki kya baat ha. ye to achhi baat ha shimuna jo tumhare paas koi solution ha

shimuna : daksh baat hichkichane ki ha bhi aur nahi bhi

daksh : shimuna mujhe lagta ha hamare beech ye formality ab khatam ho jani chahiye. aise to hum har baat par vichar hi karte rahenge aur kaam ki baat hum kabhi nahi kar payenge.

shimuna : sahi kaha tumne daksh.. mujhe to vaise bhi koi problem nahi hone wali thi. baat to tumhari ha. kyunki main tumhare andar hon. aur jo baat main kehne jaa rahi hon, uska connection tumhare brain se tha.

daksh : brain se? shimuna khul kar kaho jo bhi kehna chahti ho!

shimuna : daksh jab se tum is dunya me aaye ho. apni ankhon se tumne jo kuch bhi dekha ha, kaano se jo kuch bhi suna ha. wo sab tumhare brain me save ha. par tumne kabhi uska use nai kiya. tum apni us memory se anjaan ho. askar sab dekha suna hum regularly yaad nahi karte toh hum usay bhulne lagte han. par wo neurons me maujud rehta ha.

daksh : hmmm ye to tum sahi keh rahi ho.. aage bolo

shimuna : tumhare brain me utar ke main wo sab kuch read kar sakti hon daksh, jo tum bhul chuke ho. jo tum yaad nahi rakh paaye, main wo bhi read karke apni memory me save kar sakti hon aur meri memory tumhari memory se kahin badhkar ha. mera brain tumhare brain se kahin badhkar powerfull ha. daksh tum mujhe samudra me mile the.. toh tum ek marine life jeene wale insan huwe..tum bohut se aise bhi logon se mile hoge, jinse tumne samudra me paai jaane wali rare cheezon ke baare me suna hoga, books me padha hoga, pics dekhi hongi. tum wo sab yaad nahi rakh sakte.. par agar tum mujhe permission do apne brain me ghusne ki toh main wo sari jaankari wahan se prapt kar sakti hon.

shimuna ki baat sunkar daksh ko 440 nahi 1000+ volts ka jhakta laga tha. shimuna ki baaten sunkar samudra ke paani me hi uska mohn khula ka khula reh gaya tha. bahar hota to zarur koi na koi makhi daskh ke mohn me ghuss jaati.

daksh : asambhav!!!

shimuna : sab kuch mumkin ha daksh, main apne planet ki princess hon, hamare planet par king pariwar ke paas bohut si shaktiyan hoti han.. mujhme bhi han. yahi shaktiyan lozan bhi pana chahta ha..

daksh ne ek lambi saans chhodi... apne dono hathon ki mutthiyon bana kar band karke aur khol kar dekhne laga.

daksh : jab se tum mujhe mili ho shimuna, mujhe sab ajeeb dekhne sunne ko mil raha ha. agar tum sach keh rahi ho shimuna, toh fir ye aur bhi achhi baat ha.. isse kaam jaldi hone ki sambhavana ha. warna mai kahan pure samudra me maara maara firta rahunga. main jaanta bhi to nahi keh wo rare things mujhe kahan se prapt hongi.

shimuna : uske liye mujhe tumhare barin ko khangalna padega daksh!!

daksh : aur mere brain ko khangalte samay tumhe milegi meri guzri zindagi ki wo dastan, jise maine aaj tak sab se chhupa kar rakha hua ha.

shimuna : haan aisa bhi ho sakta ha daksh.. par main tumse wada karti hon. mai tumhare brain ke us hisse me nahi ghusungi jahan tumhare secrets save han.

daksh : (sad) nahi shimuna tum chaho to wo sab bhi jaan sakti ho.

shimuna : nahi daksh, woh sab main tumhare mohn se sunna chahungi, khud se main aisa nahi karna chahti. ye achhi baat nahi hogi, na tumhare liye aur na hi mere liye. tumhare memory ko search karte samay main jo kuch bhi dekhongi, wo sab tumhe bhi dikhaai dene lagega.. isse tum par zarur achha asar nahi padega.

daksh : (breathe) haan sahi kaha tumne shimuna, main abhi wo sab kuch firse yaad nahi karna chahta.

shimuna : toh tumhari orr se mujhe permission ha daksh?

daksh : Go Ahead!!

daksh ki permission milne par shimuna daksh ke dimaag me ghus gai.. wahan se wo daksh ki zindagi me aaye huwe logon ko search karne lagi. daksh ki samudra se judi sari info search karni shuru kar di. koi vyakti agar daksh se mila tha ship par, usse hui sari baaten, uske paas dekhi hui books, un books me maujud rare things ki rare pics, daksh jo books khud se library me ya ship par padh chuka tha. shimuna wo sab bhi search karne lagi..

jaise jaise shimuna aage badh rahi thi, vaise vaise samudra ke paani me rehte hue daksh ki ankhon ke saamne bhi ek film si chalne lagi thi. jahan daksh tha, wo samudra ka kam gehraai wala area tha. wahan daksh ko koi khatra nahi tha. daksh ko samudra me kuch aur dikhaai nahi de raha tha. kuch dikh raha tha toh wo sab kuch dikh raha tha daksh ko, jo shimuna daksh ki neurons me search kar rahi thi.. daksh ko apna guzra samay firse dikhne laga. guzra samay yaad kiya jaaye toh wo hamesha achhi buri yaaden dono lekar aata ha. daksh bhi achhi buri dono yaadon me jaane laga.

shimuna ki search ki waja se daksh ko brain me bohut peedan bhi hone lagi thi.. daksh ne apne sarr ko dono hathon se thaam liya tha.

40 mint tak shimuna daksh ke brain me busy rahi.. sari info search karke usay apne brain me utarne lagi. tab tak daksh ki halat bohut kharab ho chuki thi. ye baat shimuna ne pehle daksh ko nahi bataai thi. shimuna khud bhi sab kuch jaldi kar lena chahti thi.

shimuna apne kaam se free hui to daskh behosh ho chuka tha. ab shimuna ke liye tension nahi rahi thi. daksh jo kuch nahi jaanta tha, jo kuch daksh bhul chuka tha. shimuna wo sab kuch jaan chuki thi. konsi rare thing daksh ke liye sabse best han aur kahan kahan uske milne ki sambavana hai, shimuna jaan chuki thi..

behosh ho chuke daksh ko shimuna ne apni power ka use karke samudra me tairana shuru kar dia. shimuna daksh ko flash speed se samudra me leke ek side me aage badhne lagi.

:::::::::::::::::::::

daksh ek island ke sahil par tha. shaam hone wali thi.

daksh ko hosh aaya toh wo apni ankhen kholne ki koshish karne laga.. ankhen to daksh ki nahi khul paai thee, par uske mohn se dard ke kaaran karahen zarur nikalne lagi thee.. daksh ko apna pura jism phode ki tarah se dukhta hua mehsus hua..

daksh ne sar hilane ki koshish ki toh uski cheekhen nikalne lagi..

daksh : sshhh--shimuna ye mujhe itna dard ko kyun ho raha ha

shimuna : sorry daksh ye sab meri waja se hua ha. mujhe aisa karna pada daksh.. tum to behosh ho gaye the. mujhe apni power use karni padi. jo kuch mujhe tumhare liye chahiye tha... wo sab dhundne ke liye mujhe 4000 mile tak samudra ko search karna pada.

daksh : (shocked) kyaaaaaaaaaaaaaa?

shimuna : haan daksh uske liye mujhe wapis ek baar firse afirca ke samudra ki orr jaana pada tha.. apni puri speed ka use kiya ha maine daksh. 6 ghanton me maine 4000 mile tak ke samudra ko chhan maara tha.. meri power ka aisa use tumhara sharir sehn nahi kar paaya aur tumhari aisi halat ho gai.

daksh : (karahte hue) kuch mila bhi ha ya aise hi khali hath laut aai ho.

shimuna : (chehakte hue) haan mila na, bohut kuch mila ha mujhe daksh..

daksh ko khushi bhi hui par dard ka ehsas bohut badhkar tha.

daksh : mere is dard ka kuch karo shimuna.. mujhse sehn nahi ho raha ye dard!!

daksh ki halat sach me hi bohut kharab thi. daksh ek insaan tha, ek nimoon girl ne apni power ka use kuch zayada hi ek insan par kar dia tha.

shimuna : daksh tumhare right hand me ek ocean flower ha, usay mohn me lekar chabaao.

shimuna ki baat par daksh ko apne right hand me kisi laplapi si cheez ka ehsas hone laga.. apni bachi khuchi shakti ka pryog karke daksh ne apne hath me maujud samudri phool ko apne mohn me daal liya.. daksh ko us ocean flower ka taste bohut zayada kadwa laga.. wo usay ugalne wala tha. par shimuna ne usay rok diya.

daskh mohn se to kuch nahi bol sakta tha. mind me hi wo shimuna se bol pada.

daksh : aisa lag raha ha shimuna jaise mere andar ki antadiyan tak bahar aane wali hon. kitni jaldi is samudri phool ka ras mere andar tak phel gaya ha.

shimuna : yahi to khasiyat ha daksh is phool ki. dekhna kitni jaldi tumhara sara dard jaata rahega..

daksh ke liye us kadwe phool ko chabana zeher chabane ke barabar tha. par marta kya na karta, usay wo phool chaba chaba kar nigalna hi pada.

daksh ko apne seene me jaise bhanwar se bante hue mehsus hone lage the..aisa lagne laga jaise uske sharir me koi unwanted cheez ghus gai ho... jo khaya tha, wo pet me utar ke apna asar dikhane laga tha. daksh ki cheekhen firse shuru ho gaee.. shimuna kuch nahi boli. kuch bol kar koi fayda bhi to nahi hone wala tha.

daksh kuch mint tak cheekhta, chillata, tadapta raha.. fir wo ekdumm se shaant pad gaya.. agar koi dekhta to yahi samjhta, daksh mar chuka ha.. daksh ki saans tham chuki thi. body me koi bhi movement dekhne ko nahi mil rahi thi.

ye condition bhi zayada der barkraar nahi rahi.

daksh lete lete hi kisi adiyal ghode ki tarah ekdumm se hi palti khaa kar uth khada hua.. daksh apni ankhen baar baar bhench raha tha. apni mutthiyan wo baar baar khol aur band kar raha tha.. apne dono pair utha utha kar wo bade zor se sahil ki ret par maar raha tha..

daksh firse cheekhne chillane laga.. is baar ka cheekhna kuch aur andaz me tha.. koi dekhne wala hota to wo daksh ko dekh kar yahi kehta "paagal ha saala"

shimuna bhi daksh ki halat par hassne lagi thi. daksh ka dard hi khatam nahi hua tha, sath hi daksh ke andar shakti bhi bohut badhne lagi thi. shakti badhi toh daksh ki dimagi halat bhi uske control se bahar hone lagi thi. ocean flower ki kadwahat aur heat ne bhi daksh ke andar shakti aur aag bohut badha di thi. shimuna ye sab jaanti thi. wo ye bhi jaanti thi, daskh ki aisi halat zayada der nahi rahegi.. daksh jald hi theek bhi ho jaayega.

bass wo daksh ki halat dekh kar khub hass rahi thi. daksh bhi shimuna ki hansi me apni hansi ki awaz milaye sahil par idhar udhar daudne laga.

daksh ne ya shimuna ne ek baat par dhayan nahi kiya tha. jitni speed ka pryog kiya tha shimuna ne samudra me, usi speed ki waja se daksh ka underwear samudra ke kis area me utar gaya tha, shimuna ya daksh dono nahi jaante the. ocean flower ki heat ne daksh ke jism aur dimag me hi aag nahi bhari thi. daksh ke lund me bhi ek bhayankar aag bhar di thi..

daksh ki bhaag daud se daksh ka lund bhi sath me hi uchhal kood macha raha tha.. jiska akaar apne pure joban par tha. jiski sakhti hamesha se kahin badhkar thi.

tumblr-p9pa4f-HTBw1t1dytvo1-640

:::::::::::::::::::::::

har ghar me, har mohalle me, har gaon me, har town me, har shahar me, har state me, har country me ek haakim hota ha.

ghar me, mohalle me ya fir gaon, town ya shehar me jo sabse bada hota ha. jiski baat sunna wahan rehne walun par farz hoti ha.. aiso ko haakim kaha jata ha.

ghar me, mohalle me agar koi ek bada ho, kisi ek ka order chalta ho to negative soch rakhne wale khud ko uski jaga par laane ke liye sar dhar ki baazi bhi laga diya karte han..

kahin ladaaiyan hoti ha to kahin sazishen janam lene lagti ha. kisi par hukumat karna, har power rakhne wale ki soch hua karti ha. zayada power rakhne wala aur bhi ilake apne under lene ki koshish karta ha. toh wahin jiske pass power na ho, woh power paa kar hukumat karne ke khawab dekhne lagta ha.

hamari earth par 5-7 desh bohut powerfull desh han.. sabse powerful country america ha.. jaise uski soch ha, all world par kabza karne ki, har desh me apna jhanda lehrane ki, har kisi ke sar ko apne aage jhuka hue dekhne ki. jis desh me koi insan khaas ho, uske andar abilities ka bhandaar ho.. usay apne under lene ki koshish karte han. jis desh me kuch aisa paaye jaane ki sambhavana ho, jise paa kar wo aur bhi powerfull ban sake. toh fir wahi apni power ka use karke us desh ya us jaga ko apne under lene ki koshish karte han.

hukamran banne ka sapna dekhne wale all universe me paaye jaate han. jaise prithvi par america ha toh

nimoonica me lozan ha.. lozan bhi ek negative soch rakhne wala nimoon tha. power ke lalach me, nimoonica ka king banne ke chakkar me wo apne kuch sathi bana kar saazishen karne laga.

lozan fir nakam nahi raha, kai saal tak sazishen karne ke baad lotham se usne singhasan chheen liya.. par usay kuch prapt nahi ho saka.

According to Nimoonica's laws.....

lozan ko sab ke saamne shimuna ke sath sambhog karna tha. sambhag ke baad fir shimuna ke sath wahin moka par shadi karni thi. lozan king banta aur shimuna malika. shadi ke foran baad shimuna ke pure pariwar ke sarr kalam kar diye jaate.

par.....

shimuna ko ye sab manzoor nahi tha. ek malika banne ki chah uske dil me bhi thi. par apne pariwar ko wo marta hua nahi dekh sakti thi. apne planet par wo lozan ko king bante bhi nahi dekh sakti thi. shimuna jaanti thi lozan kitni ghattiya nature ka nimoon ha. ek bar lozan king ban gaya to fir uske planet wale khushiyon ko tarasne lagenge.. lozan king banne ke baad power paane ka haqdar bhi ban jaata.. fir power paa kar wo pure planet par aur aas paas ke planets par tabahi macha deta..

shimuna lozan ki nature se bakhubi waqif thi.. isi kaaran wo apne planet se bhaag kar earth par aa gai.. kisi dusre planet par bhi wo nahi jaa sakti thi. wahan wo lozan se mehfuz nahi reh sakti thi. ek earth hi usay mehfuz dikhi toh wo fir earth par aa gai..

usay bhaagte hi lozan ko bhi khabar ho gai.. lozan ne apne sabse khaas aur darinda sift warriors ko shimuna ke piche laga diya.. wo bhi shimuna ke piche earth par aa gaye.. par wo shimuna ko paa na sake.. daksh ki surat me shimuna nimoons ki nazron se mehfuz ho gai. ab shimuna ko paa lena nimoons warrirs ke liye asaan nahi tha.
.
.
.

.
Aaj ke liye itna hi mitro.. Read and enjoy this update.. Reviews ke liye to kehna hi nahi padega mujhe. 2 update me hi itna zabardast prem dekh kar mere mann ko bohut khushi mili ha.:vhappy:

::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
मजा आ गया भाई
 
Zoro x

🌹🌹
1,689
5,424
143
Episode:04

Lozan jaisi soch rakhne walun ki kami nahi thi pure universe me....

Earth par nimoons ke paaye jaane ki charcha hui toh har taraf hulchal mach uthi.. dunya ki badi badi organizations nimoons ko, daksh ko apne kabze me dekhne ke liye meetings arrange karne lagee.

Dunya ki sabse badi organizations me....

NO:01 Red Power Organization(R.P.O) jo america ki thi..
NO:02 black adam organization(B.A.O) Israel
NO:03 Underworld Mafia

ye teeno pure world me sabse zayada powerfull organizations mani jati thi. RPO and BAO ke leaders kon kon the, ye baat koi nahi jaanta tha. RPO and BAO ke orders par puri sarkar hil jaya karti thi. jo bhi orders inki orr se jaari hua karte, un orders ki value dono desho ke prime ministers ke orders se bhi badhkar hua karti.

in dono organizations ka politics se koi connections nahi tha, in leaders ka kaam tha, apne apne desh ko all over the world sab se badhkar strong banana. desh ko powerfull banane ke liye jis kisi cheez ki bhi zarurat hoti RPO nd BAO hi sab zarurat puri kiya karti thi. apne desh ko pure world me sabse powerfull dekhne ke liye dono desh ki janta bhi apni apni orgnizations ka bharpur sath dia karte the. is maamle me sab ek the.

inhi dono organizations ke under thee dono desho saari organizations. RPO aur BAO ke leaders kon kon the, head office kahan kahan the, ye baat koi nahi jaanta tha. koi agar jaanta bhi tha, toh un ke baare me bhi koi nahi jaanta tha. dono organizations ke leaders, unse jude khaas logon ko kabhi kisi ne nahi dekha tha. sab bass milne wale orders ko follow kiya karte the.

underworld ka bhi aisa hi kuch scene tha.. underworld ka leader bhi kabhi kisi ke saamne nahi aaya tha. wo fone par, video call me hamesha awaz aur face badal kar saamne aaya karta tha.

teeno organizations ne pure world me apne ordres jaari kar diye the, daksh and nimoons jahan kahin bhi milen. unhe kisi bhi haal me apne under liya jaaye..

orders milte hi hazaron agents samudra me, samudra ke jis area me nimoons aaye the, us area ke aas paas ke desho me searching shuru kar di gayi.

abhi tak koi nahi jaanta tha, aane wale nimoons han aur wo kis planet se aaye han. ye keval daksh hi jaanta tha.

::::::::::::::::::::

RPO, BAO underworld wale jitne khush the.. usse kahin badh kar khush the india wale.

because........

another planet se aane walun ka jab jab zikr hota, sath zikr hota ek hindustani ka..

Daksh "DK" ke naam se ship par jaana jata tha. koi bhi daksh ko uske real naam se nahi jaanta tha. daksh ne ghar chhodne ke baad ek toh apna pura naam kabhi kisi ko nahi bataya, dusra apne naam ke sath thakur hata dia tha.

jab nimoons earth par aaye to ship ke paas samudra me keval daksh tha, uske baad daksh kahin bhi nahi mila. sab samjhne lage, daksh se juda ha another planet se aane walun ka rahasy.

vaise toh koi bhi confirm nahi tha keh aane wale another planet se han.. par unki shaklen unke akaar dekh kar sabne samjh liya tha. woh humans nahi han. zarur wo kisi dusre planet se aaye han.. jis andaz me wo sab aaye the.. NASA walun ne apne hisab se confirm kar diya tha.. wo another planet se hi han. aur NASA aise maamlon me kaise galti kar sakta tha.

india walun ne jab ye suna keh ek indian samudra me lapata ho gaya ha.. theek usi jaga se, jahan par nimoons aa tapke the. indian ye jaan kar bohut khush ho gaye the.

india me RAW bhi puri tarah se active ho chuki thi. RAW walun ne bhi apne sabhi agents ko nimoons and daksh searching ke kaam par laga dia tha.. sath hi ye bhi orders jaari kar diye the, daksh se jaise hi connection bane, usse baat karne ki koshish ki jaaye. usay apne sath milane ki koshish ki jaaye. agar daksh ko world ki other organizations se khatra ho to daksh ki puri puri madad ki jaaye. kuch bhi ban pade, daksh ko kuch hone na diya jaaye. aur apni RAW identity kisi par zahir na hone den.

maamla world top organiations ka hi nahi tha.. maamla political bhi ban sakta tha. hungame to janam lene hi wale the. wo bhi bohut zayada. ye baat RAW samet saari dunya samjh chuki thi.

baat power paane ki thi, toh power har koi pana chahta tha. jaise bhi paani pade.. laashon ke dher bhi lagane paden toh lagane se koi bhi piche nahi hattne wala tha.

NASA wale barson se space research ke chalte arbon dollars kharch kar chuke the. par woh aisi janakari prapt nahi kar paaye the, jaisi ab nimoons ke aa jaane se milne ki sambhavana thi.

india hi kya world ka koi bhi country hota, america sabse number 1 rehne ki sochta.. nimoons ke maamle me bhi number 1 rehne ke liye RPO ko kuch bhi karna padta to wo piche na hatti. yahi haal BAO ka bhi tha. wo bhi daksh ke liye, nimoons ke liye kuch bhi kar jaati.

underworld walun se bhi punga hone wala tha. par RAW walun ko unki koi tension nahi thi. underworld walun se to woh hamesha se hi nipatte aa rahe the.

senkdon RAW agents bhi apne kaam par lag chuke the. wo bhi daksh aur nimoons ko search karne lage.. DK india se tha toh RAW wale zayada khush the aur samjhte the, universe se judi jaankari paane ka haq unhe sabse zayada ha.. par wo khul kar kuch bhi nahi kar sakte the. sab RPO BAO ki nazron me aaye bagair karna tha. agar dunya jan jaati, DK ya nimoons RAW walun ke hathe chadd gaye han toh RPO and BAO wale kaise bhi karke DK ya nimoons ko apni custody me le lete..

:::::::::::::::::::

Lozan king na bankar bhi king hi tha.. wo king ban chuka tha, par king aur uske pariwar ko maar nahi paya tha. king banne par milne wali power prapt nahi kar paaya tha. fir bhi wo king tha.

agar lozan shimuna ke sath sabse saamne sambhog karke, shadi karke, king Lotham aur uske pariwar ke sabhi members ke sar kalam karke king banta, to usay milti woh power, wo shaktiyan jo king ko prapt hua karti thee. par Lozan is maamle me khali hath reh gaya tha. shimuna ke nimoonica se bhaag jaane ki waja se Lozan shaktiyan prapt nahi kar paya tha.

bada dukh tha Lozan ko is baat ka.. par wo kuch kar nahi paa raha tha. uske warriors shimuna ke piche gaye hue the aur Lozan ya koi bhi nimoon ye nahi janta tha, shimuna ya dusre warriors kahan gaye han.

Lozan pure planet ki jaankari rakhta tha. woh apne planet ke sabse bade space center par bhi kai chakkar laga chuka tha, wahan maujud scientists se baat karke shimuna aur dusre nimoons ko search karne ke orders de chuka tha. par abhi tak kisi ka koi bhi suragh nahi mil paaya tha.

agar Lozan king ban jata, usay shaktiyan prapt ho jaati to fir uske liye shimuna ya dusre nimoons warriors ko dhund pana koi mushkil kaam nahi rehta.

Parr Afsos.....

Lozan ke paas shaktiyan nahi thee. nimoonica's scientists sar tod koshish kar rahe the. naye naye experiments karke jald se jald woh Lozan ko khush kar dena chahte the. Lozan naya bana king bana tha. sab Lozan ki madad karke Lozan ko khush kar dena chahte the. Lozan ki nazron me khud ki value badhana chahte the.

shimuna ne nimoonica se udaan bhari to usay 25 din lag gaye the earth par pohnchne me. in 25 dino me Lozan bhi araam se nahi baitha tha. uska zayada tar samay space center me hi guzarta tha.

nimoonica's scientists ek aisi searching machine banane me lage hue the, jis ki madad se nimoons pure universe me jahan kahin bhi honge, nayi banaai jane wali machine unhe search kar liya karegi.

Lozan ye jaan kar bada khush hua tha. woh chahta tha jald se jald uske scientist wo searching machine bana len.

:::::::::::::::

Ocean flower kha lene se Daksh khud par control ko baitha tha. ocean flower jo sadiyon se samudra ki gehraai me raha tha. us tak kabhi bhi suraj ki roshni nahi pohnch paayi thi. fir bhi wo apne andar itni kadwahat aur heat rakhta tha, Daksh ka digestive system bigad kar reh gaya.

Parr.....

Parr aisa zayada der nahi raha.. ocean flower ne badi tezi ke sath daksh ke khun me shamil hokar daksh ke wajud ke sare dard ko nichod liya.. keval dard hi nahi nichhoda, apni heat ke kaaran daksh ke dimaag me bhi zabardast bigaad paida kiya.

Daksh pehle to kisi murde ke jaisa ho gaya, fir wo kisi adiyal ghode ke jaise uth khada hua. fir woh paglon ki tarah hasta hua sahil par daudne laga.

Daksh jaisa bhi tha, tha toh ek aam insaan hi. kaise woh ek rare ocean flower ki kadwahat aur heat sehn kar pata. jitni heat daksh ke sharir me badhi, utni hi heat daksh ke dimag me bhi badhi. jab tak woh heat daksh ke dimaag me rahi, daksh aise hi hassta raha, daudta raha. paglon jaise kahkahe lagata raha.

adhe ghante baad daksh kuch normal hua toh

daksh : kya tha ye sab shimuna?

shimuna : Ehehehe jo bhi tha, par sab bada maze ka tha. Ehehehe pata ha daksh aaj kitne samay ke baad me itna khul kar hansi hon.

daksh jo ocean flower ke zer e asar tha, wo sad nahi ho sakta tha. wo abhi bhi laughing mood me tha. serious to wo ho nahi sakta tha.

daksh : haan tha to sab kuch bada hatke (daksh ki nazar apne lund par padi toh) aur kuch romanchak bhi.. daksh ki ankhon se dekh rahi thi shimuna is dunya ko. wo bhi daksh ke lund ko dekh gayi..

Ehehehehehe hohohoho Ehehehehehe hahahaha Ehehehehehe

is baar shimuna itna hansi jitna pehle daksh hans raha tha. daksh bhi firse hassne laga.. woh khada hua aur apne lund ko pakad kar daba daba kar hassne laga.. itna garam, itna sakht pehle kabhi nahi daksh ne apne lund ko paya tha. daksh firse apne lund ko pakad kar hassne laga.

shimuna : Ehehehehe pata ha daksh, sach me hi aaj main jitna hansi hon, itna pehle kabhi nahi hansi.

daksh : aisa kyun?

shimuna : ek toh mujhe apne planet se nikle bohut din ho gaye han. dusra wahan mujhe tum nahi mile the naa Ehehehehe aur na hi aisa koi scene dekhne ko mila tha Ehehehe

daksh : achha! mujhe ye bataao shimuna tum ek ladki hokar bhi mere ling ko dekh kar kyun hasne lagi.

shimuna : kyun mai nahi has sakti kya daksh!! aur ye ling kya hota ha haan, lund kaho ise tum daksh lund!! shimuna hasste hue, maze leti hui boli.

daksh : ladkiyan to aisa sab dekh kar sharam se laal peeli ho jaya karti han. aur tum ho keh khul kar hass rahi ho, baat kar rahi ho.

shimuna : daksh hamare planet par sex itna aam ha, itna shayad hi pure universe me kahin ho. hamare planet par ladki, ladka jaise hi jawan hote han, unhe sex karna padta ha. ye ek law bhi ha hamare planet ka.

daksh : kyaaaaaaa?

shimuna : haan daksh!!

daksh : ohh fir to tum bhi?

shimuna : kya main bhi daksh! main bhi ek jawan ladki hon, jawan hote hi maine sex kar liya tha. uske baad to koi hisab hi nahi raha. haan par shadi aur bachhon ke liye ek standard ha. king pariwar ka member bina parkh ke kisi se shadi nahi kar sakta.

daksh ne ek lambi saans li.

daksh : toh ab main apne is khade samaan ka kya karun.

shimuna : uske liye toh tumhe samudra ki koi kachhi machhli hi khaani sahi rahegi. uske andar nami bohut hoti ha, usi se kam ho sakti ha tumhare andar ki heat.

daksh : kyaaaa? kachhi machhli.. main kese khaaonga kachi machhli

shimuna : Ehehehehe daanto se udhed udhed ke

daksh : hahaha tum mujhe kis dunya ka insan banane wali ho shimuna

shimuna : Ehehehe universal man. apne world me to tum super human ban hi chuke ho. mai jo mil gai hon tumhe.. ant me shimuna apni tareef karte hue maze se boli.

daksh : tumhare mere sath hone se sach me hi main famous ho gaya hon. par tumhare aa jaane se meri zindagi ka sukun bhi khatam hone wala ha. ye baat bhi main jaan gaya hon.

shimuna : kuch agar khaas mil jaaye toh fir kuchh to khona hi padta ha daksh. shimuna usi tone me boli.

daksh chalta hue samudra me utar gaya.. shaam ho chuki thi. samudri phool kha kar daksh bhi ek samudri jeev ban chuka tha. paani me utra toh woh aur shimuna bhul gaye the keh shaam ke samay andhere me woh fish kese pakdenge. par paani me utarne ke baad daksh tairta hua aage badhne laga. daksh ko andhere me bhi sab saaf saaf nazar aane laga tha.

jitni speed daksh ko shimuna ki waja se mil chuki thi. kaise koi machhli uski pohnch se nikal sakti thi. haan pani me chikni machhli par kabza jamana asaan kaam nahi tha.

mushkil to hui daksh ko, par 2kg ki ek machhli pakad hi li daksh ne.. machhli pakad kar daksh samudra ke paani se bahar nikal pada. wahi sahil par baith kar wo usay daanton se chabane laga. sach me hi usay apne sharir ki, dimaag ki heat me kami mehsus hone lagi.

daksh wo saari machhli chat kar gaya.. ek lamba dakaar lekar daksh wahi let gaya. marine life jeene wala daksh ab ek wilf life jeene laga tha. kisi junglee wehshi ki tarah woh kachhi machhli danton se udhed udhed kar khaa gaya tha.

daksh ka pet bohut samay baad bhara tha. heat kam hui to daksh ko firse neend aane lagi. daksh wahi lete lete so gaya.

agli suba bohut der se daksh ki ankh khuli thi, wo bhi bohut tez dhoop ke karan.. daksh ko apne jism me heat badhti hui feel hui toh daksh uth baitha. daksh ne upar suraj ki orr dekha toh daksh ko andaza hua keh wo bohut der tak sota raha ha. din ke 10 se upar ka time ho chuka tha.

daksh khada hua aur island ki orr dekhne laga.

shimuna bhi daksh ki ankhon se sab dekhne lagi.

shimuna : island ki orr kya dekh rahe ho daksh!

daksh : dekh raha hon ab aage mujhe kya karna chahiye. island par ghoomna sahi rahega ya nahi.

shimuna : nahi daksh abhi to tum kuch bhi nahi ho. mera matlab ha, tum jese ho vaisa koi nahi ha. tum ek daring man ho. island par bane khatron se nipat sakte ho. par jaisi life ab tumhe mil chuki ha. usi ko saamne dekhte hue tumhe har kadam phonk phonk kar uthana hoga. tumhe dunya se ladne ke liye fighting seekhni hogi. khud ko safe rakhne ke liye tumhe strong banna hoga. island ke andar jana sahi nahi rahega. ek to hum island bare kuch nahi jaante aur dusra hamara time bhi waste hoga. tum jald se jald khud ko strong banane ki koshish karo.

daksh : itna to sab main bhi samjhta hon shimuna. kam to main pehle bhi nahi tha kisi se. pehle mere liye khatrat samudri the. par ab puri dunya aur nimoons mere piche pad chuke han. mujhe khud ko sabka saamna karne layak banana hoga.

shimuna : yahi baat to main bhi keh rahi hon daksh!!

daksh : nimoons jo is dunya me aaye han shimuna, unki power kis had tak ha.

shimuna : is had tak daksh! agar tum kabhi unke hath lag jaao toh power ka use karke tumhari haddiyon ka surma banane me nimoons ko der nahi lagegi. tum chah kar bhi unke saamne tik nahi paaoge. wo insan nahi han daksh! woh nimoons han. bohut hi zayada powerfull itne keh tumhari earth ka koi bhi insan unka saamna nahi kar sakta. haan hathiyaron ke aage unki nahi chal sakti. hathiyaron ke aage wo maat khaa jaayenge.

daksh : dimag ke maamle me bhi woh nimoons hum insano se badhkar nahi ho sakte shimuna. hamari dunya me bohut se brains aise han, jinka jawab nahi ha. wahi han jo is dunya ko apni muthhi me liye hue han.

shimuna : itna to main bhi jaanti hon daksh! science ke maamle me hum earth walun se kahin badhkar han. par intelligence me hum kam ho sakte han. isi liye mere meesa kabhi bhi apne planet se earth par aane ka nahi sochte the. par Lozan kabhi khud ko rok nahi paayega.

daksh : Lozan ne kabhi hamari dunya me parvesh karne ki sochi bhi to usay bhi dekh liya jaayega. ye earth ha shimuna yahan Lozan ki nahi chalne wali. yahan ke brians ke aage woh bhi fail ho jaayega.. anyway tum ----- daksh aage bolta apne hathon ko dekh kar woh chonkte hue chup ho gaya. daksh ke sath sath shimuna bhi daksh ke hathon ko dekhne lagi. daksh jahan heran hua apne hathon ko dekh kar. wahi shimuna ek baar firse khilkhila kar hassne lagi.

daksh : ye kya ha shimuna?

shimuna : Ehehehehe daksh!! Ehehehehe jj-jo bhi hai daksh! par hai bada maze ka. Ehehehe tum kitne sunder ho gaye ho na daksh Ehehehehe

daksh ke hath hi nahi uska pura jism kaala siyaah ho gaya tha. wahi dekh kar daksh shocked tha to shimuna ka haste haste bura haal hone laga tha.

daksh : zarur ye kal wale sea flower ki waja se hua ha. tumne mujhe pehle kyu nahi bataya shimuna, aisa bhi kuch mere sath ho sakta ha.

shimuna : Ehehehe mujhe nahi pata tha daksh! aisa bhi kuch ho sakta ha. aise affect baare main nahi jaanti thi. achha hua jo nahi jaanti thi main. warna tumhari aisi sundarta main kaise dekh paati Ehehehe

daksh ko chinta hone lagi thi. par shimuna ko keval maza aa raha tha.

daksh : ab kya karun main shimuna main toh sara hi kaala ho gaya hon. mujhme aur ek negro me abb koi fark nahi raha.. firse mera rang mujhe kese wapis mil sakta ha?

shimuna : Ehehehe rehne do daksh aise achhe dikh rahe ho. you are looking very beautiful and attractive Daksh! kasam le lo jo itni sundarta maine pehle kabhi dekhi ho.. shimuna thi keh khilkhilaye hi jaa rahi thi. chup hone me hi nahi aa rahi thi.

daksh : kya khaak achha dikh raha hon main. ek kaala admi bhi kabhi beautiful dikh sakta ha kya.. daksh preshan ho gaya tha apne black colour ko dekh ke.

badi mushkil se shimuna ne khud par kaabu paaya. warna to agar wo visible hoti toh wahin loot poot hone lagti daksh ki sundarta ko dekh kar.

shimuna : mera khayal ha, kuch din ye rang rahega, fir dhire dhire chala jaayega. agar iska itna nuksan hota to mujhe tumhare brain se wo jaankari zarur milti daksh!

daksh : theek keh rahi ho tum shimuna. ab mujhe rang ko chhod kar"jo kuch tum samudra se laai thi" uspar dhayan dena hoga.

daksh fir shimuna ke dawara laai gai rare thing ko dekhne laga.

shimuna : isme jo black shiny stone ha na daksh, ise pees kar khana hoga. agar toh yahan aag aur bartan hote toh achha rehta. usi bartan me paani daal kar, ubaal kar, in stones ko usme daal kar liquid banaya jaata, fir tum usay peete toh badi jaldi iska asar tumpar hona tha. in 1 week hi tum khud ko itna strong paate keh mann karta kisi ped ko mukka maar kar gira do. aur green colour ki jo lambi lambi pattiyan han. isko khane se tumme sehn shakti badhegi. black shiny stone aur dusri cheezon ke khaane se hone wale nuksan se bachat hogi.

daksh : pattiyon ka upyog kaise karna ha shimuna?

shimuna : ye bhi pees kar hi leni han daksh.. bass inhe pehle sukhana hoga.

daksh : aur ye lachakdar si, laplapi si bel kis kaam aayegi?

shimuna : ise dhoop me rakhoge to ek oil me badal jaayegi daksh!.. fir tum iski malish apne badan par karna, isse tumhare badan me lachak bohut zayada badh jaayegi. fir kabhi tumhari koi haddi tootegi nahi.

daksh : main khud se toh maalish karne se raha.

shimuna : jitni aur jahan tak ho sakti ha karo daksh. baaki ise sath le lena.. abadi me pohnchenge toh tum kisi ki madad le sakte ho.

sab samjh kar daksh ne un rare cheezon ka istemal shuru kar dia.. island par rehte hue daksh sahil par door door nikal jaata. bhuk lagti to samudra me utar kar fishing karta.
dusre din daksh sahil par bohut aage nikal gaya.. 2 ghante baad daksh ko ek watefall dikha. daksh waterfall dekh kar khush ho gaya.. daksh daudta hua waterfall me kood gaya. bohut der tak wo nahata raha. thanda paani pi kar daksh ko bada sukun mila tha. jo baat paani me hoti ha woh kisi aur cheez me kahan. paani pi kar daksh ke andar zindagi ki leher daud gai.

wahi daksh ko bohut se alag alag shape me patthar mile. daksh ne kuch nokdar patthar uthaaye, ek patthar me bada sa chhed bana hua tha jharne ke paani ke girne ki waja se.. daksh ne us patthar ko bhi utha liya. fir nokdar pattharo ki madad se wo us chhed ko aur bhi khula karne laga.. daksh me ab taqat badhne lagi thi. daksh shaam tak laga raha.. shimuna bhi daksh ka hosla badhati rahi. shaam tak daksh ne patthar ko ghis ghis kar ek payale jaisa bana liya tha.

payala mil gaya tha daksh ko, saaf paani bhi jharne ki surat maujud tha. ab daksh ko aag jalane wale stones ki talash thi. aise patthar zarur daksh ko milte is island par.

alge din daksh ko wo fire stone bhi mil gaye.. unhi stone se daksh ne aag jalayi. fir toh us island par daksh ke maze ho gaye.. samudra me jaa ke wo machhliyan pakad laata aur aag par bhoon kar khaane lagta.. usi aag se wo shiny stones aur paani ko, payala numa patthar me daal kar pighlane laga...

daksh ki marine life wild life me badal chuki thi, daksh toh tha hi aisi life ke bharpur maze lene wala insan. daksh wahi rehte hue khub enjoy karne laga.. daksh wo sari rare things island par rehte hue istemal karne laga. bohut tezi se daksh me badlaao aane lage. malish sahi se na kar paane ki waja se daksh ko apna sharir akadta hua mehsus hone lagta. aise samay uske liye jhuk pana asaan nahi rehta tha. aisi halat me daksh zayada samay samudra me bitane lagta.. wahi usay rahat milti.

2 hafte tak daksh usi island par raha. khud me badlaao la kar daksh fir apne agle safar ke liye nikal pada.. bachi hui samurdri cheezen usne ek samudri bel me bandh kar apni kamar kar gird lapet li thee.. daksh dikhne me kisi taarzan se kam nahi lagta tha.

daksh me itni power to nahi aai thi keh woh sach me hi mukka maar kar ped gira sakta, haan par daksh ke andar 10-12 admiyon ke barabar shakti zarur aa gai thi.

daksh ko un rare things ke upyog se apna rang hi wapis nahi mila tha. daksh ko mila tha ek aisa rang, jo dekhne wale ko khud se begana kar sakta tha. daksh shuru se hi mardangi me number 1 tha. bohut si ladkiyan daksh ko paane ke liye machal jaaya karti thee.

Aur Abb...

Abb to ladkiyan daksh ke liye zarur pagal hone wali thee. ek swimmer ki body me jaisi attraction hua karti ha, wo kisi gym me saalon laga kar banaai gai body me bhi nahi hua karti. daksh good looking me maamle kaiyon se badhkar tha. abb toh woh lakhon me nahi croro ek ho gaya tha..

daksh samudra me swimming karte hue, shimuna ki shakti ke adhe istemal ko badi easily apne sharir par sehn kar pa raha tha. shimuna agar flash speed se samudra me tairti toh daksh ka sharir ab bhi itni speed sehn na pata. haan par ab daksh behosh nahi ho sakta tha. daksh ko utna dard nahi ho sakta tha. island par guzre kuch dino me daksh itna strong ban gaya tha.

Daksh ja raha tha china.. wahin woh fighting sahi se seekh sakta tha. wahin mil sakti thi wo fighting skills jo daksh ko pure world me kahin nahi mil sakti thee, wahin ban sakta tha daksh is dunya ka sabse best fighter.. ek wahin desh tha, jahan daksh ko mil sakte the aise ustaad jo usay jaan kar, samjh kar, wo sikha sakte the. jo daksh ko puri dunya me kahin aur se seekhne ko nahi mil sakta tha.

ye bhi daksh ko shimuna ne hi bataya tha. daksh ko ghar se nikle 6 mahine hone ko aaye the, daksh ek ship par ek engineer ka helper tha. wahin ship par daksh ko ek chinese master chi-fang mila tha. 90 saal se bhi upar ki age thi master chi-fang ki.. daksh ne master chi-fang ko bada samman dia tha.. jitne din master chi-fang aur daksh ka sath raha tha, daksh ne apne kisi bade ke jaise master chi-fang ka khayal rakha tha.

master chi-fang ne daksh ko kabhi china aane ka kaha tha. daksh ko fighting seekhne ki baat kari thi master chi-fang ne. master chi-fang ek manjha hua master tha. bada naam tha unka china me. master chi-fang ek aisa master tha, jiske paas aisi skills thee, jo bohut kam hi kisi master me dekhne ko milti thee. aur jaisi purani kalaa master chi-fang ke paas thee. unhe seekh pana bhi har kisi ke bass ki baat nahi thi.

shimuna ne daksh ko master chi-fang ki yaad dilaai toh daksh ko master chi-fang ke saath bitaye sabhi pal yaad aane lage. daksh ko fir se master chi-fang se milne ki chah hone lagi. pehle kabhi daksh ne master chi-fang se milne ki chah apne mann me nahi aane di thi. pehle ki life daksh ke liye aur tarha ki life thi. par ab daksh ke liye life ke meanings badal chuke the.

Daksh china master chi-fang ke paas hi jaa raha tha.

::::::::::::::::::::

jitne din daksh ko island par lage, utne dino me kuch bhi nahi hua. puri dunya daksh ko, nimoons ko dhoondne me lagi rahi. par koi bhi hath nahi laga. jitni hungama macha tha news me, wo sust padne laga. logon ka josho kharosh bhi kam padne laga. life ek bar firse routine par aane lagi.

Daksh island par tha aur nimoons samudra me.. stupid toh wo bhi nahi the. aise hi toh woh khul kar saamne nahi aa sakte the. nimoons the par aqal wale the. apne planet par nahi the woh, earth par the. ye baat woh bohut achhe se jaante the.

nimoons kisi ki nazron me bhi nahi aana chahte the. warna puri dunya toh unke piche pad hi chuki thi.. ye baat bhi woh jaan chuke the. daksh baare bhi woh ye jaan gaye the daksh india se hai.. daksh india lauta ya nahi, lautaga bhi ya nahi ye baat bhi confirm nahi thi.

koi bhi step lene se pehle woh achhe se jaankari le lena chahte the. nimoons samudra me safar karte hue india ke paas pohnch chuke the. samudra me safar karte hue woh kisi sahil par raat ke samay pohnchte aur milne wale kisi insaan ke mathe se mathe jod kar info nikalte, fir usay maar kar kahin dafan kar dete. apne baare woh info leek nahi hone de rahe the. is maamle me nimoons waaki bohut dimaag istemal kar rahe the. abhi tak nimoons ke hathon mare huon ki lashen kahin se nahi mili thee. warna unke marne par sab jaan jaate, ye sab nimoons ne hi kiya ha aur unka rukh kis disha me ha.

nimoons india ke paas pohnch kar ek door ke sansaan sahil par rehne lage.. agli milne wali info tak wo kisi bhi shehar me dakhil nahi ho sakte the. unhe gharz bhi to kisi aur se nahi thi.. gharz thi to bas daksh se thi. kyunki shimuna uske andar samaa jaane ke baad firse bahar nahi nikli thi. daksh milta toh shimuna bhi mil jati.

.
.
.
.

Aaj Ke Liye Itna Hi Mitro... Baaki Next Episode Me... 😍👀👀👀👀
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
मजा आ गया भाई
 
Daksh The King

Active Member
905
6,461
124
Ek hi ID se saari stories likhte Asad bhai, itni IDs banane ki kya zarurat thi? Kam se kam 10 behatreen stories hoti aapki ek hi ID ke saath...
Strange Very Strange.. But Mujhe Khushi Bhi Hui Hai Mere Bhai .. Kisi Ne Toh Mujhe Pehchana.
Ab Reason Bhi Bata Do..
Why did I do that?????
Kya ye asad bhai h
Par kaise....???
Yes Sandeep Bhai Main Asad Hi Hoon!!!
 
Top