Aab tak ...
Priya apni mom ko pawan ke baare main bta deti hain jisse sun kar priya ki kom do sharte priya ke saamne rakh deti hain .
Aab aage ...
Priya apni mummy ki baat sun kar bhauth khush hojati hain aur kamre main jaakar apni friend pooja ko call karti hain .
in call ...
pooja - hello
priya - hello pooja guess what maine mom ko pawan ke baare main bta diya aur unhe pawan aur meri shaadi se koi problem nahi hain aur woh aaj papa se baat karengi iss baare main .
pooja - yeh toh tune bhauth acchi khabar sunayi waise apna plan ka phase 1 bhi complete hone wala hain .
Priya - saach aab tu bhi apne papa mummy se baat karle .
pooja - kal papa aarhe hain tab karungi .
priya - aur yeh bta usse college ki baat ki .
pooja - haan karli woh maan gaya
priya - excellent , ab bss uski aur reema ki dosti hojaye fir reema se bhi iss baare main baat karke usse bhi raazi karlenge .
pooja - haan sahi kha , khair ab tak sab kucch tere plan ke hisab se ho raha hain .
priya - tu tension mtt le aage bhi sab plan ke hisab se hoga . Waise tune usse seduce karne ki koshish ki .
pooja ( sharmate hue ) - haan .
priya - matlab aaj toh pawan ji pr bijliya giri hongi .
pooja ( chedte hue ) - priya tu bhi na aur waise aunty ne haan kya kha tu toh unhe ji karke bulane lagi .
priya ( haste hue ) - haan toh mere hone wala pati hain .
pooja - woh mera bhi pati hain samji .
priya - haan haan yaad hain meri soutan ji
pooja - soutan baad teri dost pehle hu .
priya - tu meri sabse acchi dost hain .
pooja - chal thik hain baad main baat karti hu .
priya - okay bye .
aab inki khatam hoti hain ki priya ke mobile phone pr ek unknown number se ek text aata hain jisse dekh kar priya ke face pr ek smile aajati hain .
TExt - hii priya . I am pawan , we met yesterday in cafe .
yeh msg tha pawan ka joh priya ko thanks msg karne ke liye kiya tha usne . Waise pawan ne priya ka number kal le liya usse cafe main .
in text ....
( pawan prespective )
Priya - hii pawan .
Main - hello priya .
priya (anjan bante hue ) - kucch kaam tha kya .
main - kaam joh tha woh hogaya ussi ke liye apko thank you bolne ke liye msg kiya hain .
priya - arre isme thanks kaisa tum pooja ke dost ho main itna toh kar hei skti hu apni friend ke dost ke liye
Main - waise main aapka bhi dost ban skta hu .
[ Main hairan tha ki maine yeh baat priya ko kyu likhi yeh mujhe bhi nahi pta ]
priya - no problem pr main dosti nibhana ke liye karti hu aap nibha payenge .
main - agar samne wala dosti nibhaya toh main bhi picche nahi hatunga .
priya - nice , so friends .
Main - friends .
[ Aur inn dono ki baate yuhi chalti rakheti hain aab chalte dusre shahar ]
In marriage hall ....
Marriage hall ke bicho bich ek sundar sa mandap saja hua tha jisme Pandit ji shaadi ke maantr padh rahe thai unke saath baithe thei dulha aur dulhan aur unke family member . Ladke duara ladki ko magal sutra pehne ke baad .
pandit ji - vivah sampan hua aaj se ladka dharmesh aur ladki shweta aap dono pati patni hain .
[ Ji haan yeh shweta pawan ki asli behan hei hain jiski shaadi aaj pawan ke so called friend dharmesh se hui hain ]
pandit - aab aap dono apne bado ka aashirwad le .
dono dharmesh aur shweta harish (pawan ke papa ) aur savita (pawma ki mom ) ke peer chute hain .
harish - humesha khush raho . Aaj main bhauth khush meri beti ki shadi hogayib bss ek kami hain mera pawan yaha hota toh woh kami mujhe na ghalti .
dharmesh - woh jaldi hei mil jayega papa ji mujhe pura yakin hain .
[ Dharmesh aur shweta bss sex karte thai unke bicch pyaar nahi tha lekin khud dharmesh ne apni aur shweta ki shaadi ki baat kari thi pawan ke mom dad se jisse unhone accept kar liya ]
wo dono aage badh kar dharmesh ke papa mummy ka aashirwad lete .
D mom - saada khush raho .
D dad chintit hokar dharmesh se bolte hain beta tere dimaag main kya chal raha hain mujhe yeh pta hain ki tujhe bura lag raha ki tune apne dost ko dhokha diya hai aur pirashchit ke liye shaadi tu itna handsome hain lakhpati baap ki aulad aur ek middle class family main shaadi .
[ dharmesh jawab nahi deta aur sab ke assirwad lene lagta hain ]
ek aadmi harish ke saame aata hain aur kheta hain - kaise ho harish .
Harish - arre sangram kaise ho .
( Saame khada shaks sangram singh tha joh uss accident wali ladki ka baap hain )
sangram - main toh badhiya hu aur ladki ki shaadi ki badahi ho .
harish - shukriya aao betho na aur bhabhi aur baki sab nahi aaye
sangram - aab tu toh college ke baad apni job main busy hogaya aur fir hum teeno bhi apne bussiness main busy hoagye aab toh function main hei mulaqat ho patk hain .
Harish - haan yeh toh hain woh bhi kya din thei yaar jab hum charo college main mauj kiya karte thei waise tere jija ji ko bhi invite kiya tha maine pr woh toh dusre desh hain .
sangram - haan jija ji didi dusre shahar shift hogaya aur bacha woh pakau maharaj woh isse shahar main hain .
harish - haan mila tha usse aur bta bhabhi aur teri beti kaisi hain .
sangram - sab badhiya hain aur tera beta kha hain bachpan main dekha taha usse .
yeh sun harish ko bada bura lagta hain aur face expression change hone lagte hain . Jisse sangram dekh leta hain .
sangram - kya hua harish tera face aisa kyu hogaya koi problem hain .
[ aaj ke liye itna hein jaldi mulaqat hogi . Update ko like aur comment karna na bhule ]