• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,443 82.6%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.5%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 239 13.7%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 37 2.1%

  • Total voters
    1,746

Werewolf

𝕮𝖍𝖎𝖊𝖋
Supreme
17,694
113,399
259
Last edited:

Bilal jan

My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
16,208
40,506
258
Mega Update

Update - 52 ~ Bruised and Battered
Ab tak...

Unki ye mulaqaat zyaada derr tak ki na rahi, kyuki Nidhi waha se bina Veer se mile hi jaa chuki thi.

Aur idhar Ragini bechaari...

Wo iss umeed me thi, ki Veer kuch derr me laut aaega. Par usse kya pata tha, ki Veer toh waha Slogan dwara kab ka uske changul me phass chuka tha.


Ab aage...

Veer aur Kaera dono hi Slogan ke changul me phass chuke the. Par ye baat shayad Veer ke ghar me kisi ko na pata thi. Ab sawaal ye uthata hai ki jab Kaera kidnap kii gayi tab uske ird gird ghumne waale Jassi aur Raghu kya kar rahe the? Aur kaha par the?

1st January
New Year's Eve
************* Hotel
Few hours back...

*********** Hotel me iss waqt party shuru ho chuki thi. Visitors apne aap me lage hue the. Shaam se chaalu hui ye party, aaj derr raat tak chalne waali thi. Akhir naya saal roz roz thodi aata hai bhala. Par uss se bhi khaas baat ye thi ki yeh party vishesh thi.

Kyu? Kyuki Kaera jo unn invite kiye gaye sadasyo me se ek thi. Aur yadi Kaera jaisi hasti party me ho toh ye baat jataane ki bhi zaroorat nahi ki party kitni khaas rahi hogi. Aur beshaq, party keval khaas logo ke liye hi thi. Uske bawajood Kaera shaam me thodi derr ke liye party attend kar bas waapas lautne ki hi soch rahi thi. Shayad iss party me uska mann nahi lag raha tha.

Aur jab wo baahar nikalne hi waali thi ki kuch awaazo ne uska dhyaan kheech liya.

"Dekho! Mein ab bhi kehti hu aap gaadi chalaane ki haalat me nahi ho. Mene kaha tha driver ko saath me le chalna chahiye. Par aap ho ki..."

"Arre... Mene kaha na *hic* ki mein chala lunga... *hic* Tum kyu khamakha *hic* tension le... le rahi ho?"

Inn awaazo ko sunn jab Kaera unn do vyaktiyo ke nazdeek aayi toh usne dekha ki ek aged couple aapas me behas kar rahe the. Jo aadmi tha wo nashe me tha aur uski patni usse aisi haalat me gaadi chalaane ko mana kar rahi thi.

Kaera : Ohhh!? If it isn't Mister and Mistress Bansal??

Aur Kaera ki awaaz sunn jese hi uss lady ne usse dekha toh wo chaunk gayi.

Aurat : Arre? K-Kaera beti... tum!?

Kaera : Mujhe nahi pata tha aap bhi yaha aayi hongi Miss.

Aurat : Ohh! Beta! Quit the formalities. Dekho na tumhi, tumhaare ye uncle meri baat sunn hi nahi rahe hai. Aaj jamm ke wine pee hai inhone. Mene kaha tha inn se ki driver rakh lete hai par inhone meri ek na suni aur usse mana kar diya. Ab wo apne ghar chala gaya hoga. Ab aisi haalat me mein inhe kya drive karne de sakti hu? Tum hi batao beta!?

Kaera : Drink and drive? No way! Aap wahi puraani location me situated ho na abhi bhi?

Aurat : Haan beta!

Kaera : Then don't worry! Raghu!?

Raghu : Haan! Haan Miss!?

Kaera : Go and drop Mister and Mistress Bansal!

Raghu : Huh!? Par? Par Miss!? Mein aapko chorr ke bhala...?

Kaera : Are you questioning me Raghu? Jassi hai yaha par. You don't have to worry!

Raghu : J-Jii!

Na chaahte hue bhi, apni miss ke order par Raghu ko bemann agree karna pada.

Aurat : Arre! Beta?? Iski kya zaroorat? Arre, mein call kar ke kisi ko bula lungi. Boht log hai beta, koi na koi aa hi jaega.

Kaera : Don't worry Miss! Chota sa hi kaam hai. Raghu will do it. Aur karne dijiye mujhe help, warna Dad ko pata chala toh baad me wo mujhe sunaenge. After all wo aur uncle puraane friends hai.

Aurat (smiles) O-Okay beta! Sach me, kitni badi ho gayi ho tum aur kitni samajhdaar bhi. Kitne saalo pehle dekha tha mene tumhe. Ab toh bas tv aur newspapers me dikhti ho tum. Aur kitna aage badh chuki ho tum aur badhti jaa rahi ho. Aise hi jeevan me success milti rahe tumhe beta. Bless you!!

Kaera : Thank you Miss!

Aurat : Beta ghar zaroor aana.

Kaera : Hmm~

Aur fir Raghu dono Mister aur Mistress Bansal ko unki hi car ko drive kar unhe ghar ki orr le gaya. Idhar Kaera ab keval Jassi ke saath hi maujood thi.

Aur dono hi nikalne waale the jab...

Jassi : Ugh! Miss! Mein washroom se abhi aata hu. Aap kahi jaana mat. Idhar hi rukna.

Kaera : Are you okay Jassi? Kaafi derr se notice kar rahi hu. Tum teen se chaar baar washroom ki orr jaa chuke ho. Is everything alright?

Jassi : Wo... Pata nahi Miss! Shayad... Nahi kuch nahi! Mein... Mein abhi aata hu. Bas yu gaya aur yu aaya.

Bolte hue Jassi forun hi apna pait pakad ke washroom me ghusa aur zorr se darwaaza band kar toilet seat par baith gaya.

'Dhatt saala!!! Kuch gadbad hai. Kisme?? Ek minute!!!! Wine!!!! Haan!! Iski toh... Shit!!!! Achha hua Raghu ne nahi lii! Mujhe jald se jald usse yaha bulaana padega.'

Idhar baahar Kaera ki car ke andar hi uska driver baitha hua tha jab andar hotel se ek aadmi suit pehne aaya aur haath me ek gift tha uske ekdum chamkeeli gift wrapping se saja hua.

Usne window par khat khataate hue driver se window neeche karwaayi aur bola.

Aadmi : Ye Miss Kaera ka gift hai, isse andar rakh lo.

Driver : N-Nahi! Miss ke gifts hamesha Raghu Sir aur Jassi Sir hi laate hai. Mein...

Aadmi : Arre haan baba! Mujhe pata hai, par abhi wo Miss ke saath unke saath khade hai, wo kya hai na andar bheed hai. Aur tum mujhe nahi jaante? Soch lo! Miss Kaera ne hi bheja hai mujhe ye gift rakhwaane. Yadi mein waapas jaa ke tumhaari shikaayat kar diya na, toh tumhaari naukri gayi samjho.

Driver : N-Nahi! Accha theek hai! Rakh do! Miss ka hi hai na?

Aadmi : Haan na bhai, ab kya likh ke du?

Aur wo aadmi gift ko andar rakh chala gaya. Driver thodi duwidha me toh zaroor tha par jab usne dekha ki banda andar hotel se hi aaya tha aur suit bhi pehne hue tha aur saath hi saath gift ekdum neatly packed tha toh usne bhi fir zyaada dhyaan nahi diya.

Idhar andar maujood Kaera ko khade hue 5 minute ho chuke the par abhi tak Jassi baahar nahi aaya tha aur ye soch usne car me baithne ka faisla liya.

Baahar kya ho raha tha unn baato se bekhabar idhar andar washroom me baitha hua Jassi iss waqt Raghu ko call laga raha tha.

*Ring Ring*

Raghu : Bol Jassi!

Jassi : Jald se jald unhe chorr ke waapas aa, yaha kuch gadbad hai.

Raghu : K-Kesi gadbad!?

Jassi : Meri wine me drug mila hua tha!

Raghu : Kyaaaaa!? Tu... Tu theek toh hai na?

Jassi : Hmm! Constipation Drug!!

Raghu : Ek minute!!! Tabhi tu...???

Jassi : Haan! Pehle mujhe laga tha mera hi pait kharaab hai par nahi. Kisi ne meri wine me drug milaaya tha. Mein daawe ke saath keh sakta hu. Ugh!!! Tu... Tu jald se jald yaha aa, mein washroom me hu aur Miss baahar. Tu iska matlab samajh raha hai na?

Raghu : Wait! Tu washroom ke andar se baithe hue mujhe call kar raha hai? Haha~

Jassi : Gandu! Ughhh! Hassne ka samay nahi hai.

Raghu : Right! Haggne ka samay hai hahaha~

Jassi : Iski toh... Abey Saale!! Ugh!!! Mein serious hu! Jo koi bhi hai wo yaha par hotel me maujood hai. Aur uska target Miss hai. Aur aisa karne waala ek hi insaan ho sakta hai...!

Raghu (frowns) : Slogan!!!

Jassi : Right... Aargh!! Dekh! Tujhe jald se jald yaha aana hoga. Meri haalat sahi nahi hai. Pait me dard hai. Miss baahar akeli hai. Tu samajh raha hai na?

Iss baar Raghu ki bolti band ho gayi. Usse samajh aa chuka tha maamla gambheer hai.

Jassi : Tu bas jaldi...

*Kaboooooooooommmm*

Aur tabhi ek itni tezz awaaz aayi ki andar washroom me baithe Jassi ko vibrations tak feel hue uss dhamaake ke.

Jassi : Shit...!!!!

Maano jese uske chehre se rang hi udd gaya tha.

Raghu : J-Jassi!?? Wo awaaz kesi thi!? Oyeeee! Jassi!?

Par Jassi toh jese koi baat ka jawaab dene ki haalat me nahi tha. Usne forun apna pant sahi kiya aur phone bina kaate hi jeb me rakha aur door ka knob jese hi usne kholna chaaha toh paaya ki...

Door locked tha.

"Iski maa ki aankh... Dhattttt!!!!!"

*Thud*

Gusse me usne zorr se ek laat dii door ko par door tass se mass na hua.

Tabhi uski nazre upar ko gayi toh usne dekha upar opening thi. Yaani ki thoda chadh ke waha se nikla jaa sakta tha.

Aur yahi soch wo lag gaya apne kaam me.

Par tab tak boht derr ho chuki thi.

Kaera jo bomb ke blow se gir kar behosh ho chuki thi, wo Steve aur uske saathiyo dwaara ek gaadi me baith chuki thi. Aur palak jhapkate hi unki gaad waha se rafu chakkar ho gayi. Bas reh gaya toh...

Kaera ki jalti hui Mercedes ka dhaacha jisme tezz aag ki lapte apna kaam kar rahi thi, logo ki afra tafri, aur unka shor.

***

Wahi yaha hospital me bhi kuch sahi nahi chal raha tha. Doctor ne bataaya tha ki Dada jii ko chot zaroor aayi thi par koi critical chot nahi thi.

Ab chuki unki age ke hisaab se zyaada strong medications nahi de sakte isliye doctors ne slow process ko apnaaya. Wese hi Dada jii iss waqt kamzori ki sthiti me the.

Toh unka dose light rakha gaya tha. Isme time zyaada lagne waala tha par yahi sabse sahi raasta tha.

Unke maathe aur ghutno par chot zyaada thi. Isliye zyaada se zyaada araam karna hi unki best medicine tha.

Arohi idhar baithi hui soch rahi thi ki Veer kab tak aaega? Kyuki Kavya ko uss se baat kiye kaafi samay ho chuka tha.

'Maybe subah aaye woh!?'

Usne Veer ke baare me sochna band kiya aur apne aas paas maujood sabhi logo ko dekha aur unki baatein sunn'ne lagi.

Karunesh : Mere khayaal se, baccho ko ab ghar bhej dena chahiye. Aur ladies logo ko bhi. Hum gents log yaha reh lenge! Kyu Bhaiya!?

Brijesh : Hmm! Shweta, tum Bhumika ko leke ghar chali jao.

Shweta : Par...!?

Brijesh : Hum hai na idhar. Raat bhar hum reh lenge yaha. Aur subah hum sab fresh hone jaenge toh tum me se koi bhi yaha aa jaana tab tak ke liye.

Shweta : Th-Thik hai!

Brijesh : Kavya, Arohi, Vivek, Pranjal aur Sumitra aap bhi. Aap sab ghar jaiye. Mein aur Karunesh hai yaha par. Raat bhar hum dekh lenge.

Kavya : Nahiiiii! Mein Dada jii ko aise akele chorr nahi jaungi.

Karunesh : Beta Tau jii sahi keh rahe hai. Pehle apni sehat dekhna bhi zaroori hai. Aur hum toh hai na yaha par!?

Kavya : Nahi mein nahi jaungi!

Arohi : Mein bhi nahi!

Brijesh : ???

Pranjal : Aur mein bhi nahi Papa!

Karunesh : Beta! Zidd nahi karte!

Vivek : Kavya aur Pranjal tum dono chote jao. Mein aur Arohi yaha Papa aur Tau jii ke saath rukenge.

Pranjal : Par bhaiya...!?

Vivek : Mene kaha na!

Pranjal : Fine!

Kavya : Bhaiya mujhe bhi rukna hai...

Vivek : Subah Kavya! Subah! Subah fresh hoke aana fir hitni derr rukna ho yaha rukna. Ab raat bhi kaafi ho rahi hai. Jao! Savere se waha mandir ki bhaag daud me thak gayi hogi. Chaliye aap sab. Mein drivers ko bol deta hu.

Aur na chaahte hue bhi Vivek sabhi ko gaadi me baitha kar unhe ravaana karwa diya.

Car me baithi iss samay Shweta apna angutha daato tale dabaaye chinta me thi.

'Kese!? Ye sab kese ho gaya!? Dada jii ke saath aaj saal ke pehle hi din!? Meri toh kuch samajh nahi aa raha. Unka swasth rehna zaroori hai.'

Toh wahi car me aage baitha Pranjal mann hi mann muskuraa raha tha.

'Sab kuch sahi se hua. Kya kehne hai mere bhi! Haha~'

Sochte hue usne apni jeb me haath sehlaaya jisme wheelchair ka wahi toota hua pahiya rakha hua tha.

Ye wahi pahiya tha jo usne wheelchair ko patakte waqt ukhaad ke alag kar diya tha. Kyu!??

Kyuki yahi toh saare raaz chhupaaye hue tha.

'Kya khoob alter karke diya diya hai ye pahiya uss robotics club waale ne. Hahaha~ Andar itne chote gears haraami ne fit kese kiye!? Kherr jo bhi ho, Mene sahi time pe remote ki button dabaayi ekdum haha~ Mandir ke pujaari ke saamne tab mein apne haath felaaye prashaad le raha tha.
Par usse kya pata tha ki uske pehle hi mene jeb ke upar se button daba dii thi. Hehehe~ Ab bas saari jaayzaat hamaari. Ab aage ka plan araam se karna hai.'

Sabhi ki nazro pare, Pranjal apna chehra chhupaaye apne hontho par muskurahaat bikhere hue tha.

Aur idhar hospital me keval Vivek, Arohi, Brijesh aur Karunesh hi bache the Dada jii ki dekhbhaal ke liye.

Khaane ki tension nahi thi kyuki bhandaare ka kuch khaana lunchbox me rakha hua tha toh raat araam se guzar jaane waali thi.

Arohi jo wahi baithi hui thi wo abhi bhi puraani vardaat ko yaad kar ussi baare me soch rahi thi.

Fir achanak hi uska dhyaan uss incident par gaya jab Pranjal gusse me uss wheelchair ko tod raha tha.

'Mene kabhi usko itna gusse me nahi dekha Dada jii ke liye. Aur kursi par kyu gussa nikaal raha tha woh!? It's not like that ki kursi...!?????'

Pata nahi usse kya soojha par Arohi uthi aur forun hi neeche car ki taraf gayi jo unke liye ruko hui thi. Aur car me ghuste hi usne sabse pehle wheelchair ko dekha jiski haalat boht hi bigdi hui nazar aa rahi thi.

Usme se ek chaka bhi gaayab tha. Harr jagah usne bade hi gaur se check kiya par usse kuch bhi nazar na aaya.

'Wait! Iska ek pahiya kaha gaya!?'

Arohi : Bhaiya! Ye wheelchair ka pahiya kaha gaya ek!?

Driver : Arohi Ma'am!? Ye wheelchair toh Pranjal bhaiya jab se rakh ke gaye hai yaha uske baad kisi ne usse nahi chhua hai. Jo kuch bhi hoga udhar hi hoga. Baaki mujhe koi jaankaari nahi hai.

Arohi : Accha!

'Na jaane kaha gaya hoga!? Pranjal ne toh mandir ke udhar hi isse patka tha, kahi wahi toh nahi gir gaya!? Udhar jaake dhundna toh ab possible nahi. Akhir Dada jii ki chair apne aap kese neeche aa sakti hai!? Mujhe Dada jii ke hosh me aane ka wait karna chahiye. Wahi kuch bata paenge.'

Mann me aneko sawaal liye Arohi khaali haath hi waapas se ward ke baahar aa kar baith gayi.

Aur kismat se, kuch derr baad hi Dada jii ko hosh aa chuka tha.

Doctor : Dekhiye! Dada jii ko hosh aa chuka hai. Par aap sabhi 5 minute baad hi milne jaaiyega andar. Aur haan, ek baar me do se zyaada vyakti nahi. Unhe bulwaana bhi mat zyaada. He needs rest.

Brijesh : J-Jii doctor.

Aur sabse pehle dono Karunesh aur Brijesh Manorath jii se andar mil ke kuch derr baad baahar aaye.

Jab Vivek aur Arohi ki baari aayi toh wo bhi andar gaye.

Arohi : D-Dada jii!?

Manorath : Arohiii... Vivek... Beta!

Vivek : Boliye mat Dada jii! Doctor ne mana kiya hai. Aap bas lete rahiye. Aap ko hosh aa gaya yahi boht badi khushi ki baat hai hamare liye.

Arohi : Dada jii! A-Aap jab mandir me upar the. Toh aapki chair achanak apne aap neeche kese aa gayi!?

Arohi ka sawaal sunn jaha Manorath yaad karne ka prayaas karne lage toh wahi Vivek achanak hi ekdum alert ho gaya.

Manorath : Beta! Jaha tak mujhe yaad hai, mene peeche mud ke dekha tha toh koi nahi nazar aaya tha.

Arohi : Kya!?? P-Par aisa kese ho sakta hai!? Bhala aapki chair aise kese apne aap...!?

Vivek : Arre meri behan! Araam se! Dada jii ko zyaada zorr mat lene de dimaag pe.

Arohi : Wo... I... Par aisa kese akhir!?

Manorath : Shayad aaj devi mata ki yahi iksha thi...!? Mein itne saalo se unke darshan karne na gaya na toh dekho Devi maa ne mujhe saza dii hai.

Wo muskuraate hue bole par jese unke ye bol Vivek ki aankho me chamak laa diye.

Vivek : Haan! Arre haan! Aisa ho sakta hai Dada jii! Aaj mujhe bhi subah perr me chot lag gayi thi mandir me hi. Shayad devi maa batlaana chaah rahi thi ki bhale hi hamaara ghar panap raha hai par iska matlab ye nahi ki hum unhe bhul jaaye. Hume ye dhyaan me rakhna chahiye ki ye sab unke ashirwaad ke kaaran hi hota aa raha hai. Aur shayad devi mata ko pasand nahi aaya ki ab jab hume firse unke aashirvaad ki zaroorat padi toh hum unhe yaad karne pohuch gaye.

Manorath : Mujhe bhi aisa hi lagta hai beta. Kyuki mere peeche koi bhi nahi tha. Ekdum jhatka sa laga tha kursi ko, maano jese kisi ne dhakka diya ho. Ab toh theek se yaad bhi nahi aa raha. Jitna yaad kar raha hu utna bhulta jaa raha hu.

Vivek : Aap dimaag par zorr bilkul mat daaliye Dada jii. Araam kariye. Aur kuch bhi cheez ki zaroorat ho toh hum sab baahar hi hai. Isse Mata ki saza samajh ke bhul jaiye aur aage hum kese unki sharan me hamesha bane rahe iss baare me soch aage badhiye.

Manorath : Shayad... Shayad tum sahi keh rahe ho beta.

Vivek (smiles) : Hmm Dada jii!

Arohi : Par...

Vivek : Chalo Arohi baahar. Dada jii ko araam karne do.

Aur bemann Arohi Vivek ke saath baahar aa gayi.

'H-How!?? This doesn't makes any sense. Gravity ke kaaran bhi wo chair aise neeche nahi aa sakti. Dada jii ne kaha tha unhe aisa laga ki kisi ne dhakka diya ho!? Par peeche koi bhi nahi tha. Kahi dada jii se dekhne me koi galti toh nahi ho gayi!?? Kya karu? Mera dill maan hi nahi raha ki chair apne aap neeche aayi hogi.'

Uske sawaalo ka jawaab shayad aaj toh nahi milne wala tha usse. Par dekhna ye tha ki kya hoga jab Arohi waqai gutthi suljha legi. Aur suljha paegi bhi ya nahi!? Ya fir uske dono bhaiyo ki ye kartoot hamesha hamesha ke liye gupt ho ke reh jaegi!?

***

Mumbai
11:00 PM
Slogan's Hideout...

Veer aur Kaera dono hi bandhe hue the. Ekdum nidar aankhein liye Veer Slogan ko ghur raha tha toh wahi Slogan uss LED ki roshni se dur andhere me kursi par baitha hua chaav se Veer ko parakh raha tha.

Veer keval uske perr hi dekh paa raha tha. Kyuki udhar tak roshni nahi jaa rahi thi.

Tabhi Steve Slogan ke bagal me aaya aur bola.

Steve : Wo Deal poori ho gayi aur next deal ke liye abhi dealer ke aadmi se milne jaana hai Dada!

Kehte hue usne ek suitcase khola jisme paiso ki gaddiya bhari hui thi.

Slogan : Mene tumhe kitni baar kaha hai Steve ki inn choti moti deals ke baare me mujhe baar baar nahi bataaya karo. Seedhe ek report taiyaar kar baad me dikha diya karo.

Steve : Mujhe pata hai. Fir bhi ye meri tasalli ke liye.

Slogan : Hmm~ Thik hai. Jao aur next deal ke liye jis se bhi milna hai mil aao.

Steve : Jii Dada!

Aur itna bol Steve waha se nikal gaya.

Uske jaate hi Slogan ne ek baar taali bajaayi aur ek aadmi peeche se aaya aur uske paas aake jhuk gaya.

Slogan : Steve par nazar rakho. Yadi zara bhi tumhe lagta hai ki paiso ki koi herr ferr hui hai aur yadi wo kisi se mila hua hai. Forun mujhe bataana.

Aadmi : Jii Dada!

Aur wo aadmi bhi nikal gaya.

Uske jaate hi iss baar Slogan ne do baar taali bajaayi aur ek aur aadmi peeche se aaya aur uske nazdeek jhuk gaya.

Slogan : Tumhe ispe nazar rakhni hai jo gaya abhi. Dhyaan rahe, yadi tumhe zara bhi lage ki ye mera kaam karne ki bajaaye Steve ke saath mil ke peso ki herra feri kar raha hai toh usse wahi uda dena. Par dhyaan rahe yadi mujhe pata chala ki tumne keval befaaltu usse maara hai, toh agla udne waala sarr tumhara hoga.

Dusra aadmi : J-Jii Dada!

Aur itna bol dusra aadmi bhi jaa chuka tha.

Finally, Slogan ne Veer ki taraf apna focus kiya aur usse dekha.

*Ring Ring*

Par tabhi uska phone baj utha.

Aur number dekhte hi Slogan ki bauhe sikud uthi.

Slogan : Hello!?

Voice : I told you! Didn't I!?

*Craasssssssssshhhhhhh*

Aur agle hi pal Slogan ne zorr se apna phone patak ke fek diya. Phone do tukdo me jaake toot gaya.

"Maaadarchooodddd!!!"

Wo chillaya...

Aur uske chillaate hi Kaera jo ab tak behosh padi hui thi, wo kasmasaayi aur apni palke jhapkaane lagi.

"Umm..."

Usse hosh aa chuka tha. Uski aankho se dhundlapann hata aur jese usse saamne ka nazaara nazar aaya. Usse koi bhi chot nahi aayi thi. Wo bas Bomb ke blow se thoda sa dur jaa giri thi jiske chalte wo behosh ho gayi thi.

"Where...!? Where am I!?"

Aur agle hi pal uske kaano me ek jaani maani awaaz padi.

"Y-You... Okay!?"

Usne bagal me dekha toh wo thoda chaunk gayi. Veer uske bagal se rassiyo se bandhe hue baitha tha. Aur usse apni haalat par dhyaan aaya fir, ki wo khud bui toh bandhi hui thi.

Kaera (shocked) : Y-You!??? Veer!!!!?

Veer : Hmm~

Kaera : Where...!? Where are we!? Aur tum yaha!? Y-Ye sab!?

Veer : In short, you got kidnapped. Mein isliye yaha hu because I came to save you. But as you can see, I got caught.

Kaera smart thi boht. Veer ke chote se description se wo saari baatein samajh chuki thi. Wo blast, wo Jassi ka yu bathroom jaana baar baar aur uska yaha hona. Everything was planned. It was a trap.

Wo kuch kehne ke liye hui par tabhi...

*Tuck* *Tuck*

Juuto ki chalne ki awaaz ne uska dhyaan kheecha.

Aur tabhi uski aankho ke samaksh ek suit pehna vyakti saamne aaya.

Slogan : Kitna... Kitna bhaagna pada hai tumhaare liye. Kitne saalo se... Akhir! Akhir tum mere haath aa hi gayi. Tum soch bhi nahi sakti.

Kaera : T-Tum kaun!? Who are you!? Aur yaha mujhe aise kyu...!?

Slogan : Who am I!?? Hahaha~ Mein Slogan hu.

Naam sunte hi Kaera ki aankhein hairaani ke maare felti chali gayi.

Beshaq! Ye naam usne Jassi aur Raghu ke muh se kayi baar suna tha. Wo jaanti thi ki ye aadmi uske peeche pada hua hai. Par kyu? Iska jawaab usse bilkul bhi nahi pata tha.

Kaera (nidarta se) : What do you want from me!? Jo kehna hai seedhe muh kaho. Why act like a coward!?

Veer Kaera ki nidarta dekh khud aascharya me tha. Usse nahi laga tha ki Kaera itna straightforward hoke baat karegi.

Slogan : What do I want from you!? Arre sab kuch toh tumhi se milna hai mujhe...!

Kehte hue Slogan ne zorr se Kaera ki chin apne haato me jakad lii.

Kaera : Mmphhhh...

Veer : Youuu.....!!!!!

Apni rassiyo ko zorr se marod Veer ne khud ko jhanjhora... Par koshish bekaar.

Rassiya boht hi mazbooti se bandhi hui thi.

Veer : Don't you dare touch her....!!!

Wo gurraaya. Par Slogan toh jese Veer ke ravaiyye ko dekh aur bhi khush ho raha tha. Maano jese wo yahi chaahta tha.

Slogan : Hahaha~ Karo gussa! Aatish ko toh badi hi berehmi se maara tumne hai na!?

Veer (shocked) : Tumhe...!? Tumhe kese!?

Ye sunn jese usse boht bada jhatka laga tha. Aur bina samay waste kiye hi usne fir...

'Check!'

*Ding*

[Real Name : Sanjeev

Alias Name : Slogan
Age : 58

Bio : Sanjeev ek crime boss hai. Different crime organizations aur underworld me usse kaafi log jaante hai. Uska ek hi maqsad hai, Kaera ko paana aur usse khatam karna.]

Aur bio padhte hi Veer ki haalat sahi toh bilkul bhi nahi thi. Bhale hi zyaada details nahi mili thi. Par Slogan ka goal spasht roop se uske saamne tha.

Aur ab bas chinta hi usse khaaye jaa rahi thi. Atyant bechaini. This man was not someone with whom you can deal alone.

Slogan ek crime boss tha.

'Shitttt!!!! No no no no no... I can't let anything happen to Miss Kaera.'

[This is really bad!! Tum... Try to open the knots. Loose karo unhe kheech ke.]

'I'm trying... Kuch nahi ho raha hai. It will take time.'

Aur Slogan agle hi pal ek chaaku liye aage badha.

'No no no.... Ughhhh!'

Veer ghabraate hue apne aap ko poore force ke saath jhanjhora aur unn rassiyo ko dheeli karne ka prayog kiya par koi fayda nahi.

Rassiya dheeli toh ho jaati par time lagta. Aur Veer ke paas time ki hi toh kami thi.

Slogan ne Kaera ka ek haath khola aur uske haath me chaaku thamaayi aur uska haath apne haatho me pakda raha.

Veer sawaaliyo nazro se pal bhar ke liye unhe dekha par agle hi pal...

*Splurrrrrrrtttttttt*

"Aaaaaaaaaaaaarrrrrrrrrrrrgghhhhhhh"

Ek zordaar cheenkh uss kamre me goonj gayi.

Aur ye cheenkh kisi aur ki nahi, Veer ki thi.

Kyuki iss waqt Slogan ke haatho me Kaera ka haath tha jisme chaaku thi.

Aur wo chaaku Veer ke haath me dhassi hui thi. Wo laal laal koon behna shuru ho chuka tha.

"Noooooooooooo....!"

Kaera khoon dekhte hi chillaayi aur apne haatho ko peeche kheechne ke liye hui par...

Slogan ke dono haath aur dabaav daal uss chaaku ko andar ghused rahe the.

"Aaaaaarrrrrrrghhhhhhh"

Wo chaaku aise andar baahar ho rahi thi jese maano kisi phal me maar dii ho.

Par Veer ki haddi ko wo penetrate na kar saki. Kaaran!? Kaaran tha Bone Reaper jo Veer ne equip kiya hua tha. Fir bhi... Dard toh dard hota hai. Bhale hi Veer ki haddi sahi salaamat thi, par dard toh utna hi hona tha.

Wo dard se tadap raha tha. Uske perr zorr zorr se zameen par patak kar shor kar rahe the. Uski kursi bhi dolne lagi thi aage peeche hokar.

Aur wo chaaku ki chamdi ko ujaadne ki awaaz jiske chalte khoon ris ris ke baahar aa raha tha aur gaadha gaadha ekdum laal behte hue zameen par gir raha tha.

Aaj pehli baar Kaera ki aankho me aasu aaye the. Itne saalo ke baad.

"Noooooooo....! D-Don't.... Leave him alooooonneeee!!!!"

Veer ko dard me dekh pata nahi kyu... Uski aankhein apna aap namm ho chali.

Usne bharpoor prayaas kiya ki wo apna haath kheech ke uss chaaku ko baahar nikaal sake par Slogan ke dono haath uske force par bhaari pad rahe the aur na chahte hue bhi wo kuch nahi kar paa rahi thi.

"Pleaaaaaseeeeee!!!! Leave him alooonnneee!!!!"

Shayad aaj pehli baar Kaera ne itne varsho me kisi se please kehke guhaar lagayi thi. Itna darr toh usse tab nahi laga tha jab Slogan uski chin pakde hue tha.

Kuch bhi ho, Kaera Veer ko iss dard me nahi dekhna chaahti thi. Kyu!? Iska reason usse bhi nahi pata tha.

[Nooooooo!!!!]

Iss baar Pari ki bhi ek zordaar bechaini bhari cheenkh Veer ko apne mann me sunaayi dii. Wo samajh chuka tha ki Pari uske liye kitna concerned thi. Bhale hi uska behaviour badal chuka tha. Par Veer ye jaan ke khush tha ki Pari still cared about him.

'Fuuuuuuccckkkkkk!!!!! Aaaaaaarrrrghhhh!!!'

Apne nichle honth ko daato me dabaaye Veer dard ko sehne ki koshish kar raha tha toh wahi Slogan aur zorr se chaaku ko ghuma ghuma ke Veer ki chamdi ukhaadne me laga hua tha.

*Splurt* *Splurt*

Bas aisi hi awaaz aa rahi thi khoon ki risne kii.

Slogan : Mein isse thodi maarunga... Isse toh tum maarogi. Hahaha~ Aur fir tumse mein niptunga.

Kehte hue usne chaaku baahar nikaali aur ek baar fir...

*Spluuuurttttttt*

"Aaaaaaaaaaaaaaaarrrrrrrrrrrrghhhhhhhh"

Ussi hamle ke upar hi dusra prahaar kiya Slogan ne. Aur uske haath ki chamdi ko cheerte hue Chaaku ek baar fir ghus gayi.

"Nooooooooooooooo~"

Iss baar Kaera ki ye guhaar jaise kisi ne sunn lii, kyuki agle hi pal...

*Bang*

Ek gunshot ka sound baahar se aaya aur andar maujood ek aadmi dhadaam se zameen par gir pada.

Slogan ke haath apne aap hi wahi rukk gaye aur usne jese hi entrance me dekha...

Usne paaya ki 30 se 35 aadmi sabhi gun liye andar aa rahe the.

"Tchhhh!"

Daat meeste hue usne Kaera ko wahi chorra aur wo bhaaga peeche ke gate ki orr...

"Gherr lo... Ek bhi aaj bhagne na paaye..."

Ye awaaz sunn Kaera ki jaan me jaan aa gayi thi jese. Kyuki ye awaaz Raghu ki thi.

Slogan ke saath kuch aadmi toh bhaag gaye the par kuch wahi reh gaye aur nateeja unki maut.

Itne saare log ek saath aaye the. Raghu ne jese hi kaera ko dekha uski jaan me jaan aayi.

Raghu : Thank God you are safe...

Par uski nazar jese hi bagal me gayi toh wo hairat ke maare wahi jamm sa gaya.

Veer ka haath khoon se latpat tha. Uske chehre par paseena hi paseena tha aur uski aankhein band hone ko ho rahi thi.

Kaera (cries) : R-Raghuuuu!!!!

Fatafat samay ki paabandi ko dhyaan me rakhte hue Raghu ne rassiya kholi aur Kaera aur Veer ko azaad kiya. Par Veer jese apne hosh kho raha tha.

Blood loss jo ho gaya tha itna.

Kaera : Raghuuuuuu! Veeeer.... We...

Raghu : I know Miss! Suno tum sabhi, Miss ko leke forun ghar ki orr jao. Mein isse hospital tak chorr ke aata hu.

Kaera : I'll... I'll come too...

Raghu : Nooooo! Aap nahi! Please! Ghar jaiye! Sir wait kar rahe hai aapka.

Apne dad ke baare me sunn Kaera shaant pad gayi aur na chaahte hue bhi usse waha se jaana pada.

Par jaane se pehle usne kayi dafa peeche mud Veer ko dekha jo neeche pada hua tha. Aur Raghu apna rumaal baandh uske khoon ko rokne ki koshish kar raha tha.

***

2nd January
*** Hospital
10:36 AM

Veer ko jab hosh aaya toh usne dekha ki wo hospital ke bed par laita hua tha.

Usne kasmasaate hue apni aankhein mali aur apne ek haath ka jaayza liya jo pattiyo se bandha hua tha.

Usne Pari se baat karne ki bhi koshish kii par Pari sleep mode me thi.

Shayad Veer ko wo araam dena chaahti thi isliye wo kal raat me hi sleep mode me chali gayi thi.

Veer jaanta tha ki Pari uski energy use karti hai active rehte waqt. Toh uska sleep mode me jaana ye concern tha Veer ke prati. She wanted him to recover soon.

"Arrrghhh!"

Karaahte hue jese Veer ne jaise hi saamne dekha toh wo ek baar fir ashcharya chakit reh gaya.

Saamne teen behad hi parichit aurte maujood thi...
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Like aur comments karne ka. 😁

Dhanyavaad!!
Jabrdast mindblowing superbbb speechless update.......
waiting for next update......
 

Raj

Well-Known Member
4,637
15,615
158
Update-48~ Mystery and Plan
Ab tak...

'Y-Ye!?? Damnnnnnnn....!'

Bas baaki tha... toh Veer jo achraj me waha khada hua tha abhi bhi apni fist hold kiye aur baaki aadmi... Jo karaahte hue sadak par dale hue the.

Veer ne khush hote hue ek raahat ki saas lii...

Par ...

*Clap* *Clap* *Clap*

Apne just peeche se ye awaaz sunn uska shareer kaanp utha.'


Ab aage...

Achanak aayi unn taaliyo ki awaaz jese uss sunsaan sadak me goonjne lagi aur Veer ke raungte khade ho gaye. Kuch shan ke baad hi taaliyo ki goonj tham gayi aur sab kuch shaant pad gaya.

Ekdum ekaant sa...

Aur fir Veer dheere dheere palta...

Usne saamne dekha aur jese hi uski nazre saamne hui....

Uski ankhein phati ki phati reh gayi.

Uss limousine se ek vyakti nikal ke baahar aaya tha. Floral shirt, blazer, trouser, black formal shoes aur bas. Uske haatho me kuch nahi tha. Veer iss vyakti se kabhi nahi mila tha. Na hi usse jaanta tha. Par uske saamne khada ye vyakti, pata nahi kyu par Veer ko usse dekh ke hi khatre ki ghanti sunaayi de rahi thi.

Kuch gadbad thi.

Veer ko aisa mehsoos hua jese iss waqt usko yaha nahi hona chaahiye tha.

Ye wahi vyakti tha. Wahi vyakti...

Jisse Veer ne uss din Suhana ke saath hotel me dekha tha. Uss lift me. Bilkul!!!!

Veer ki memory sharp thi. Usse bakhubi yaad tha ki ye wahi insaan tha jo uss din lift me tha. Akhir kese Veer usse bhul sakta tha!?

Wo floral shirt... Uss aadmi ke dress up ki sabse eye-catching cheez thi. Jisse aadmi ek nazar me asaani se bhul hi na paaye.

Par sabse bada sawaal tha. Wo akhir yaha kar kya raha tha!? Inn aadmiyo se uska kya lena dena tha?

Dono ki nigaahe ek dusre ko aise scan kar rahi thi jese maano ek dusre ko ladne se pehle parakh rahe ho.

Veer : T-Tum...!!

Aadmi : *smiles*

Veer ke response par wo aadmi kuch nahi bola bas muskuraaya. Par kisi kaaran vash Veer ko uss aadmi ki muskuraahat aur bhi zyaada khatre ke sanket de rahi thi.

Uski bauhe apne aap sikudi... Aur usne firse pucha.

Veer (frowns) : Tum sab kaun!? And you... You were there in the elevator that night.

Aadmi (smiles) : Ohh! Beshaq! Toh mein yaad hu tumhe!? Good! Good! Toh mein bhi apna intro de du. Right!? So... Well! I go by the name of...

Veer (gulps) : ...

Aadmi (smiles) : SLOGAN!!!

Veer (frowns) : Slogan!?

Veer ne usse dekh ek shan bhi waste nahi kiya aur seedhe...

'Check!'

Par...

[You are not eligible to view this person's status.]

Ek aur bada jhatka laga usse.

Saamne khada vyakti jo kareeb 55-60 saal ki umr ka tha par utne ka prateet nahi ho raha tha. Wo muskuraate hue Veer ko aise dekh raha tha jese uski saari chaale jaanta ho.

Veer (frowns) : Ye sab tumhaare aadmi hai!?

Slogan : Bilkul bilkul! Par yaha pe sawaal toh mera hona chaahiye na!? Tum meri gaadi ke saamne aaye aur gaadi roki... Toh zaahir hai ki mere aadmi tumhe dushman hi samjhenge na?

Veer : T-That...

Slogan : Toh kya mein jaan sakta hu? Ek anjaan ladka meri gaadi ko itni raat gaye follow kiya aur fir saamne apni bike rok mere aadmiyo se lada. Ab iss par apne vichaar rakhna chaahoge tum?

'There's something wrong...!!! I can feel it. I cannot say ki mujhe mission mila tha.'

[Ye aadmi mujhe creepy vibes de raha hai Master! Ugh!]

Veer (frowns) : I think... Tum aur tumhaare aadmi kuch illegal kaam kar rahe hai. Gaadi ki window tints itni black kyu hai!? Transparent kyu nahi!? This is illegal.

Veer ne kuch soch ke ye jawaab diya. Kyuki zaahir sii baat thi. Mission tha ki gaadi me andar thehre vyakti ko chot na aaye. Matlab saaf tha, ki gaadi me koi aisa shaks tha jisse harm na pohuch paaye.

Aur ye log gaadi ki window tints ekdum kaali rakhe hue the. Veer inn sab baato ko parakhne ke baad, uska anumaan ek hi jagah par jaa raha tha.

That...

This was a Kidnapping!!!!

And someone was inside....

Zaroor! Zaroor kuch gadbad thi. Warna aisa mission me likh ke nahi aata. Wo bhi warning me likh ke aaya tha.

Pakke se iss aadmi ne kisi ko agvaah kiya hai aur Windows ka yu kaala hona koi ittefaaq nahi tha balki jaan boojh ke unke sheeshe kaale the taaki andar kya ho raha kisi ko bhi kuch pata na chale.

Aur itne aadmi same dress pehne hue!? Zaahir sii baat thi. There was something definitely wrong.

But what was it!???

Aisa kya tha jo sense nahi bana raha tha? Iska jawaab jaan'ne ke liye Veer ko keval uss limousine ke andar dekhna tha aur bas... Saara ka saara sach ek baar me saamne aa jaata.

Slogan : Mein illegal kaam kar raha hu? Ye windows safety purpose ke liye hai. Aur transport department se permission bhi hai mere paas... Toh bhala kyu nahi!?

Veer ki kuch samajh nahi aa raha tha. Kya ye vyakti waqai begunaah tha!? Kya uska hi system behak raha hai!?

Veer : Mujhe andar dekhna hai... Surely! Yadi kuch illegal nahi hai andar toh... You won't mind right!?

Slogan : Ahem!!! Par kyu!? Kyu dekhne du bhala mein? Mein chaahu toh abhi tumhaare khilaaf complaint kar sakta hu... Akhir dekho! Tumne kitne aadmiyo ko maara hai yaha mere...

'This doesn't makes sense at all... Damn ittt!!!!'

[This guy... Master!!!! Iski baato me mat ulajhiye... I can feel it. Ye baato me uljha raha hai.]

'I know it Pari!!'

Veer : Mujhe bas andar dekhna hai. Akhir mein concerned tha aur isliye follow kiya... So yadi koi illegal kaam nahi hai toh... You shouldn't mind right!?

Slogan : Well!!! Thik hai... Have a look...

Aur wo limousine ke darwaze se side hatt gaya aur Veer ko andar dekhne ke liye permission de diya.

Ahista ahista aur satarkta se bhare kadam badhaate hue Veer unn aadmiyo aur uss Slogan ke paas se guzra aur usne jese hi andar jhaak ke dekha...

Toh usse nazar aaya, ek ladki acchi si dress pehne hue baithi hui thi. Kahi se bhi wo aisi nahi lag rahi thi jo kidnapped kii gayi ho.

Veer : ???

Ladki : Hmm!?

Veer : Aapka naam!?

Ladki : Huh!? Why should I tell you? Aur tumhaare hi kaaran car ruki hai na? Tumne hi uncle ke aadmi ko maara na abhi? Get lost okay!? I'm in my way to home...

Par uss ladki ka jawaab sunn Veer toh ekdum hakka bakka reh gaya tha. Ye sab chal kya raha tha!? Akhir system ne usse ye car rokne ke liye kyu kaha!?

Veer : Ma'am! Aap safe hai na!? Aisa toh nahi ki... Ye sabhi aadmi aapko majboor kar kahi le jaa rahe hai!?

Ladki : What the hell? Are you mad or what? Ab iss se pehle ki mein police ko phone karu tum nikal lo yaha se samjhe!? Uncle chaliye na...! Kaafi neend aa rahi hai mujhe.

Veer ko laga tha ki shayad unn aadmiyo ke darr se ye ladki sach chhupa rahi hogi par aisa toh kuch bhi nahi tha. Wo toh poori tarah se normal lag rahi thi. Akhir kya chal raha tha yaha pe!?

Aur isliye ek baar aur confirm karne ke liye, Veer ne wahi kiya...

'Check!'

[Name : Priya

Age : 24
Bio : Priya! Ek xxxxxxx college ki student hai. She loves to go into the parties and dancing. Thodi selfish hai. Paiso ka guroor bhi hai. Priya ke Dad ek rich business man hai.

Favourability : 2
Relationship : Strangers]

Par status padhte hi Veer ko ek aur bada jhatka laga. Ye ladki kisi bhi danger me nahi thi. Everything was completely normal.

Then why this mission!?

Akhir system uss se karwana kya chaah raha tha!? Yu itni raat gaye kisi ki gaadi rokna? What the hell was wrong with this system!?

Veer awkwardly darwaaze se peeche hata.

Slogan (smiles) : Ab yakeen ho gaya!?

Veer : Y-Yeah... Sorry for that...

Slogan : Yadi tumhare intentions galat hote na ladke toh tum bhaari musibat me pad sakte the.

Veer : Y-Yeah!!

Aur Veer waha se bina kuch kahe hi jaane laga. Usse samajhne ke liye ab ekaant mahaul chahiye tha taaki wo samajh sake ki ye sab behanchod hua kya uske saath.

'Pari! Ghar pohuch ke... I need an explanation.'

[Even... I... I don't know master. System ne aisa Mission bhala kyu generate kiya hoga!? Jiska koi matlab hi nahi tha!?]

Par ye baat hamari bechari Pari bhi nahi jaanti thi. Kya waqai system ne ek sahi mission generate kiya tha? Ya ye koi internal malfunction tha system me!?

Jo kuch bhi ho, iska answer jaan'na Veer ke liye boht zaroori tha.

Abhi wo apni bike utha ke key ghuma hi raha tha jab peeche khade unn logo ki kuch awaaz uske kaano me padi.

Ek aadmi Slogan ki taraf muda aur bola,

"Usne sahi kaha tha Dada... Bilkul wesa hi hua. Ye toh jaadu ki tarah hai. Usko kese...!?"

Par iske pehle ki wo kuch keh paata. Slogan ka haath tezzi se ghuma aur ek tamaacha uss aadmi ke gaal par pada. Bechaare ke kaan me seeti bajne lagi itni zorr se wo jhaapad pada tha usse aur agle hi pal wo shaant pad gaya.

Veer ne ek baar fir shanka me unhe peeche mud dekha par fir gaadi chaalu kar wo nikal gaya.

Uske jaane ke baad ab keval Slogan aur uske aadmi hi bache hue the.

Steve, Slogan ka right hand aadmi jo kaafi derr se chup tha aur uske peeche khada hua tha wo aage aaya apne Dada se kuch kehne ke liye par jese hi usne apne Dada ki aag baboola aankhein dekhi toh uske shabd muh me hi reh gaye.

Slogan : Steve!!!

Steve : J-Jii Dada!

Slogan : Taiyaariya kesi chal rahi hai!?

Steve : Sab taiyaar hai Dada!

Slogan : Good!

Slogan andar limousine me baithne jaa hi raha tha jab Steve ne himmat kar puch hi liya.

Steve : D-Dada!!

Slogan : !??

Steve : U-Uss... Uski baat sahi nikli... Bilkul wesa hi hua... Ye sab...!?

Slogan : Aaj tak... Aaj tak iss Slogan ko kabhi koi darra nahi paaya hai Steve. Wo koi chhal kiya hai. Dekh lenge usse bhi.

Aur itna bol wo ghus gaya car me.

Ye sab kya baatein thi jo ye kar rahe the!? Kiske baare me baatein thi ye? Ye keval wahi jaante the.

***

Few Days later...

Uss raat uss ajeeb se mission ke baad, Veer ki life kuch shaant sii thi. Sabse strange baat par uss mission ki hi thi.

Uss raat jab Veer waha se lauta toh ghar pohuchte hi usse notification mil gaya tha.

*Ding*

['Mission : Follow the black limousine and stop it at all costs' has been completed.]

*Ding*

[200 points have been rewarded.]

Ye jese aur bhi bada surprise tha uske liye. Usse uss mission ke baare me toh kuch jaankaari nahi mil paayi par zaroori baat ye thi ki mision complete ho chuka tha aur toh aur...

200 points eksaath.

'Uss raat... Kuch aisi cheez hai Pari... Jisse hum dekh nahi paa rahe hai. I don't think ye system ka koi malfunction hai. Kyuki iss se pehle kabhi system ne aise behave nahi kiya hai.'

[I agree master! Wait I can do something.]

'Kya!?'

[Mein ek diagnostic run maar sakti hu. Uss se pata chal jaega ki system me kahi kuch kharaabi hai ya nahi!]

'Do it right now then!'

Veer ke nirdesh anusaar Pari lag chuki thi apne kaam me. System ko check kar rahi thi. Taaki yadi koi bhi error ho toh saamne aa jaaye.

Par...

[Everything is fine Master. There's nothing wrong!]

'Damn it!!! It doesn't makes any sense. System wanted me to not harm that girl. Iska matlab kahi mujhe keval uss se milwana toh nahi tha!? But she's just a rich girl. Usme koi aisi khaasiyat nahi hai. I don't think that's the case. Wait! Kahi... Wo kisi aise ko jaanti ho? Jis se future me mujhe milwaye wo!? Aur hamari mulaqaat ho? Isliye shayad system ne mujhe usse harm na pohuchaane ke liye kaha!? But no... Akhir milwaane ka matlab kya? Upar se mera pehla impression hi bekaar tha uske liye...'

[Kuch bhi ho master. Aapko ab pehle se zyaada alert rehna padega.]

'Yeahhh! Aur tum level 5 se kitni dur ho?'

[I'm almost there. One more Mission aur mein level 5 pe hehe~]

'Hmm!'

[And you will get surprises then... Hehe~]

'Hmm? Of course! Harr level up pe kuch na kuch internal feature unlock hota hai. Right!?'

[Yeah! Par iss baar aur bhi boht kuch hai. It will be a great surprise!]

'Meri umeede na jagao.'

[I promise Master! You know how much I love you right? Jhooth thodi bolungi.]

'Hmm... Alright! Let's go! Suhana ne business ke baare me discuss karne bulaaya hai. I need to earn money fast. Miss Kaera se milna padega. She's damn good in business.'

[Yesssssss!]

***

Same day...
At Veer's old house...

Raat ka waqt tha. Hall me hi ghar ke mukhiya Manorath viraajmaan the aur ek naukar unke perro me tel laga ke unki maalish kar raha tha.

Ussi hall me maujood couch par dono bhai, Vivek aur Pranjal baithe hue the jo ishaaro hi ishaaro me na jaane kya baatein kiye jaa rahe the.

Brijesh abhi tak ghar nahi lauta tha aur Karunesh bhi. Ghar me Sumitra, Arohi aur Kavya hi maujood thi aurato me.

Bhumika aur Shweta, bole toh Veer ki Sauteli behan aur Maa dono hi apni hotel me thi aur wo aksar raat me saara kaam kaaj waha ka nipta ke hi ghar lautati thi.

Kavya aur Arohi ek hi room me apni baato me lagi thi aur Sumitra ghar ki maid ke saath khaane ki taiyaari kar rahi thi.

Jab Pranjal ko mauka sahi laga toh usne apni baatein rakhna chalu kiya.

Pranjal : Dada jii!

Manorath : Hmm?

Pranjal : Dada jii! Aap akhiri baar hamaari kul devi ke mandir kab gaye the?

Manorath : Hmm? Accha... Beta kayi saal ho gaye.

Pranjal : Ye kya Dada jii!? Naya saal aa raha hai. Aur naye saal ki shuruaat me mere khayaal se aapko udhar jaana chahiye. Mein toh bachpan me gaya tha. Mujhe toh yaad bhi nahi waha ka kuch bhi. Kyu na hum log waha hoke aaye!?

Vivek : Chota sahi keh raha hai Dada jii! Akhir... Itne saal ho haye aapko khud ko gaye. Aur mein toh last time gaya bhi nahi tha. Naye saal ki shuruaat yadi devi jii ke ashirvaad se ho toh kitna badhiya rahega.

Dono ne jab ye baat kahi toh Manorath ko bhi waqai laga ki baat ekdum sahi thi. Jab naye saal me aadmi acche dhan, sukh, samridhhi prapti ki iccha karta hai toh sabse pehle Bhagwaan ko hi yaad karta hai. Aaj Manorath ke paas bhagwan ka diya sab kuch hai. Toh aise me usse apni kul ki devi ka ashirwaad lene waha jaana hi chaahiye aur waha pe bhi kuch karwaana chaahiye.

Manorath : Tum dono ki baat bilkul sahi hai. Waqai! Hume jaana chaahiye...

Pranjal (smiles) : Waqai!?

Manorath (smiles) : Kyu nahi beta!? Bilkul! Hum saparivaar jaenge... Hamaari taraf se mandir me jo kuch bhi ban padega hum karenge aur udhar bhandaare ka aayojan bhi karenge. Naye saal ki ye shuruaat devi jii ke ashirvaad se hi honi chaahiye. Bilkul! Mujhe ye jaan ke behad khushi hui ki aaj ke iss samay me bhi mere pote... Pooja paath se kitna jude hue hai. Wahi tumhaare pita ko dekho... Unn dono bhaiyo ko... Hmph! Subah shaam paisa paisa paisa... Aaj bhojan ke liye late hue toh dekhna kya haal karta hu unka.

Pranjal : Ye hui na baat Dada jii! Bas toh fir tay raha. Hum sabhi 31st ko jaenge aur ek raat wahi theher ke new year mana ke waha se lautenge.

Manorath : Par mujhe ab bhi vishwash nahi hota. Tum dono naya saal manaane ke liye udhar gaav jaane ke liye ready ho gaye!?

Pranjal : Harr saal toh hum hotel ya kahi aur party kar naya saal manaate hi hai na Dada jii? Fir ek saal gaav me jaane se aisa thodi hai ki koi nuksaan ho jaega hamaara? Aur hum toh devi jii ke liye jaa rahe hai. Wo toh jaha bhi viraajmaan ho wo harr bhumi shubh hai.

Pranjal ki baat sunn Manorath ki aankhein namm ho gayi aur wo apna chashma nikaal apni aankhein malne lage.

Manorath : Mere pote kitne samajhdaar hai. Devi jii ki kripa hai sab.

Pranjal : Aur Dada jii...

Manorath : ??

Pranjal : Darasal mene ye request isliye saamne rakhi kyuki... Mein devi jii se ek khwaaish maangna chaahta hu...

Manorath : ??

Pranjal : ki jald se jald Veer aur Tau jii ke beech jo bhi jhagda hai wo khatam ho jaaye aur mera pyaara bhai ghar laut aaye. Mein uska poora khayaal rakhunga. Uske bina ye ghar adhoora hai Dada jii. Mujhe yakeen hai ki devi jii meri baat zaroor sunengi aur Veer aur Tau ji ko dekhna aap ek karwa dengi...

Veer ka zikr hote hi Manorath ekdum shaant pad gaye. Unhe Veer ka hi chehra apne mann me nazar aane laga.

Manorath (mann me) : Mera Veer...

Manorath : Veer ko bhi hum..

Vivek : Wo... Veer Ragini ke saath ruka hua hai Dada jii. Chinta ki koi baat hi nahi hai. Ragini ki saheli bhi uske ghar me hai. Toh aisi koi chinta ki baat hi nahi. Meri bhi yahi khwaish rahegi devi jii se... Ki jald se jald Ragini ghar laut aaye.

Manorath : Isme galti saari tumhaari thi. Hmph! Fir bhi... Devi jii ka naam leke sacche mann se iccha maangna aur Ragini bitiya ke paas jaa kar maafi bhi. Dekhna wo zaroor laut aaegi.

Vivek : J-Jii Dada jii!

Aur Manorath itna bol apni aankhein band kar apne chintan me doob gaye toh wahi Pranjal aur Vivek ek dusre ko dekh rahe the. Na jaane kya vichaar chal rahe the unke mann me.

Kuch boht bada hone waala tha shayad...

***

30th December...
At Night...
Nidhi's House...

Nidhi as usual apne khaana banaane me vyast thi andar kitchen me toh wahi Shreya aur Juhi hall me baithe hue the.

Juhi toh apne T.V me lagi hui thi par Shreya apne hi vichaaro me leen thi.

'Meri job already lag chuki hai. Aur earning bhi theek thaak hai. But still... Hamesha mera dhyaan youtuber bann'ne ke liye jaata hai. I want to do it. But uske liye mere PC ko accha khaasa banaana padega pehle... Uske baad ek accha internet connection. Uske baad hi kuch ho paega. Maybe part time me mein stream kar sakti hu. Yeah! Right! And I can even invite Veer to join my stream... Dheere dheere meri popularity badhti jaegi. People will knowa about me. About Veer too... Ohh it's so romantic. Veer aur mein saath me stream karenge! People will comment about us ki are you both in relationship!? Haha~ We will react to videos together... Play games together. It'll be so...'

"Shreyaaaaaaaaaaa!!!"

Par iske pehle ki Shreya apne mann me bann rahe laddu khaa paati, andar se Nidhi ki awaaz jese usse hosh me laayi.

Shreya : H-Huh!? K-Kya!?

Nidhi : Andar aao thode ye aalu rakhe hai mene cooker me... Inhe peel kar do.

Shreya : Alright!!!

Aaj ghar me aalu ke paraathe bann rahe the jo Shreya ke favourite the. Wo bhi Nidhi ke haatho ke. Toh wo madad karne se peeche kese hatt sakti thi? Akhir Nidhi itne pyaar se uske liye jo bana rahi thi.

Shreya : Dii!

Nidhi : Hmm!?

Shreya : Kal ka kya plan hai!?

Nidhi : Kya!?

Shreya : For god's sake... Dii! Kal saal ka akhiri din hai. Naya saal aane waala hai... Aur aapka koi plan nahi hai?

Nidhi : I-I don't have any... Aur kya naya saal? Harr saal ek jese hi guzarte hai mere... Mere liye koi naya saal nahi hai...

Uski awaaz sunn Shreya ka mann maayus ho gaya. Isme bechari Nidhi ki koi galti nahi thi. Galti thi toh bas uski kismat kii. Par Shreya nahi chaahti thi ki uski behan ka ye saal ka akhiri din itna sadhaaran tareeke se beete...

Usne fatafat aalu peel kiye aur Nidhi ko diye aur wo jhatpat apne phone leke hi kitchen me ghusi aur kisi ko call karne lagi.

Aur jese hi udhar side se kisi ne phone uthaaya toh Shreya ne baat karna shuru kii...

Shreya : Haan hello Veer!??

Aur bas...

Veer ka naam sunte hi Nidhi ek jhatke me palti aur usne Shreya ko dekha. Jese maano puchna chaah rahi ho ki bhala Veer ko kyu call kari thi woh.

Par Shreya ne Nidhi ko dekhne ke bawajood usse ignore kar diya aur apni baatein jaari rakhi.

Shreya : Wo... Kal saal ka akhiri din hai. Toh tumhara kya plan hai!?

Veer : Filhaal toh koi plan...

Shreya : Ohh that's so great toh tumhara koi plan nahi hai!? Wonderful!

Veer : H-Huh!?

Shreya apne baalo ke sath khelte hue Veer se baatein karti jaa rahi thi aur Nidhi ko bhi dekhti jaa rahi thi jo palat palat ke beech me usse dekh rahi thi.

Shreya : Toh tay raha... Tum mein Juhi aur Dii... Hum sabhi raat me celebrate karne chalenge. Okay!?

Veer : ???

Veer toh surprised tha hi par sabse zyaada surprised thi Nidhi kyuki wo ek jhatke me palat gayi.

Veer : Umm... Well... Kya Ma'am ready hoengi? I don't think unke paas time ho...

Shreya : Of course! Dii ready hai! She's all prepared...

Nidhi (shocked) : Shreya tum...

Shreya : Ohh! Lagta hai Dii ko tumse baat karni hai... Ye lo Dii...

Nidhi : W-Wait...!

Aur agle hi pal Shreya ne apne haatho se phone seedha Nidhi ke kaano me laga ke usse thama diya...

Nidhi : ....

Veer : ....

Shreya nahi jaanti thi ki Veer akhiri time Nidhi se jab mila tha toh thappad kha ke gaya tha. Toh aise me iss waqt Nidhi se baat karna kitna awkward tha uske liye ye baat wo nahi jaanti thi.

Aur na keval Veer ke liye balki Nidhi ke liye bhi ye utna hi awkward tha.

Nidhi : ...

Veer : Umm... Hello!?

Veer ki awaaz sunn Nidhi ke honth khule par fir achanak hi band ho gaye. Na jaane kyu wo itna katra rahi thi.

Usne bebas nigaaho se Shreya ko dekha par Shreya toh jese aur encourage kare jaa rahi thi.

Shreya : Kya hua? Aree baat kariye...!

Aur majbooran Nidhi ko muh kholna hi pada.

Nidhi : H-Hello!?

Veer : Hello... Ma'am!! Wo... Shreya jii ne kaha... ki kal ka plan hai... Kuch...

Nidhi : Umm...

Veer : ???

Nidhi : Wo...

Par Nidhi kuch keh paati tabhi baahar washroom se Juhi ki awaaz aayi...

"Maaaasiiiiii.... Sabun khatam ho gaya hai..."

Shreya : Aayi Juhiii....

Aur Shreya agle hi pal baahar nikal gayi.

Ab bache the toh keval Nidhi aur Veer phone pe. Ye atmosphere aur bhi awkward ho chuka tha unn dono ke liye.

Veer : Wo... I'm sorry ma'am. Y-Yadi... Aap mujhse baat nahi karna chaahti then it's okay. Don't worry! Mein yaha se call cut kar deta hu... Shreya jii ko bol dunga network problem thi. It's.. it's totally fine. So...

Nidhi : N...Noooooo!!

Par agle hi pal ek desperation se bhari awaaz Nidhi ke muh se nikli...

Nidhi : A-Aisi koi... koi bhi baat nahi hai.

Veer : I... I see!

Nidhi : ....

Veer : So!? Umm... Aapne mujhe maaf kar diya!?

Nidhi : I... Hmm!

Veer : O-Okay!!! You know... Mere wese koi bhi intentions nahi the ma'am. I... I don't know... I just wanted to hold you.

Nidhi bechaari ye sunte hi... Uski aankhein hairaani ke maare felti chali gayi aur uski saasein bhi lambi hone lagi...

Veer : I mean... Just to give you... Emotional support you know. M-Mera koi bhi galat iraada nahi tha. S-So... I just wanted you to know ki... Mein aapki maayusi sehan nahi kar paata... And I always miss you. Aisa nahi hai ki mein apni Bhabhi ke ghar me hu toh ab mujhe aapke ghar ki yaad nahi aati. I always think of you... I mean... All of you...

Shreya : Ho gayi baat!? Lao do mujhe...

Shreya washroom se aayi aur Nidhi ke haatho se usne phone le liya aur baahar chali gayi.

Bechaara Veer jawaab ke taur par kuch bhi nahi sunn paaya.

Par...

Nidhi na jaane kya soch rahi thi. Par uski nazre ek jagah hi tiki hui thi. Saasein pehle se thodi tezz. Aur unn aankho ke saamne uske baal the jo uske expression ko chhupaaye hue the.

Kya hone waala tha kal!? Inke iss plan me!? Toh wahi Pranjal aur Vivek ke plan me!? Aur saath hi saath... Slogan!!!! Jiski activities Veer ke palle nahi pad rahi thi.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Like maarne ka aur apne thoughts rakhne ka. 😁
Dhanyavaad!




SUPERB AWESOME FANTASTIC MIND BLOWING
Update - 49 ~ The Last Day of the Year
Ab tak...

Bechaara Veer jawaab ke taur par kuch bhi nahi sunn paaya.

Par...

Nidhi na jaane kya soch rahi thi. Par uski nazre ek jagah hi tiki hui thi. Saasein pehle se thodi tezz. Aur unn aankho ke saamne uske baal the jo uske expression ko chhupaaye hue the.

Kya hone waala tha kal!? Inke iss plan me!? Toh wahi Pranjal aur Vivek ke plan me!? Aur saath hi saath... Slogan!!!! Jiski activities Veer ke palle nahi pad rahi thi.


Ab aage...

31st December...
At Morning...

Kal Shreya se jab Veer ki phone par baat hui thi toh Veer ki haami liye bagerr hi Shreya ne usse apne plan me shaamil kar liya tha. Aur tay hua tha ki aaj ki raat Veer, Shreya, Nidhi aur Juhi sabhi saath me enjoy karne jaenge aur late night tak naye saal ka swaagat kar thoda celebration kar ke hi ghar lautenge.

Veer ko uss mission ke 200 points mil chuke the par abhi tak usne unn points ko spend nahi kiya tha siwae 10 points ke. Usne Appearance me 10 points kal raat me hi invest kar diye the. Aur ab uske stats kuch iss prakaar se the.

[ Stats :
Strength - 56/100
Intelligence - 70/100
Agility - 50/100
Endurance - 50/100
Appearance - 50/100]

Veer shayad apne bache hue points ko ekdum effectively use karna chaahta tha. Shayad shop me aisi kisi anokhi skill ki talaash thi usse jo uske behad kaam aa sake.

'Show me my full status Pari!'

[Sure thing, Master!]

[Name : Veer

Age : 21
Status : Student

Stats :
Strength - 56/100
Intelligence - 70/100
Agility - 50/100
Endurance - 50/100
Appearance - 50/100


Skills :
1) Sex Protection : ON (Silver Tier Skill)
2) Basic Martial Arts Skill (Bronze Tier Skill)
3) Hawkeye (Diamond Tier Skill)

System's Internal Features :
Check-I, Check-II, Path Tracker, Past Illustration.

Relationships :
1) Suman : Loyal Slave (Favourability : 84)
2) Aabha : Familiar (Favourability : 58)
3) Sonali : Familiar (Favourability : 30)
4) Ragini : Close Friend (Favourability : 60)
5) Nidhi : Close Friend (Favourability : 52)
6) Shreya : Close Friend (Favourability : 64)
7) Juhi : Best Friend (Favourability : 85)
8) Suhana : Close Friend (Favourability : 59)
9) Sonia : Good Friend (Favourability : 50)
10) Kavya : Very Close Friend (Favourability : 80)
11) Arohi : Good Friend (Favourability : 55)
12) Bhumika : Familiar (Favourability : 20)
13) Shweta : Familiar (Favourability : 8)

System Level : Level 4
(56 EXP more to reach Level 5)]

'Hmm!! I need to earn money and need more points. Meri priority yahi hai abhi.'

[Right master!]

'So!? Umm... Miss Kaera ki favourability nahi dekh sakta kya mein!?'

[Dekh sakte ho but not now. Yadi kisi ka status nahi dekh sakte toh aap uski Favourability bhi nahi dekh paoge.]

'Hmm! I see! Alright! Let's go...'

Aaj Veer ke 2 jagah plans the. Ek toh wahi Shreya aur baaki sabhi ke saath raat ka plan tha aur dusra Ragini aur baaki sabhi ke saath.

Jab Veer ne ye baat bataayi thi ki wo raat me free nahi rahega, ye sunn ke Ragini kaafi udaas ho gayi thi. Par usne behla fusla ke Ragini ko jese tese mana liya aur din me ghoomne chalne ko keh diya. Yaha Veer ko ek aur baat jaan'ne ko mili ki Kavya aur baaki sabhi parivaar ke saath kul devi ke mandir ke liye subah nikal chuke the.

Beshaq! Veer iss achanak trip se unki thoda aascharya chakit tha par usne zyaada nahi socha. Kavya ka kehna tha ki uske Dada jii ne Veer ko saath le chalne ke liye bhi bola tha par Vivek ne beech me kood kar Dada jii ke kaan bhar diye aur wo baat wahi tal ke reh gayi.

Kherr! Aaiye, toh wahi chal ke dekhte hai ki waha kya chal raha tha iss waqt...

Iss samay subah ke 8 baj rahe the aur sabhi ghar waale do badi badi gaadiyo me baithe hue the apni aur apne gaav ki orr jaa rahe the.

Veer ke parivaar ke poorvaj saalo se uss devi mata ki pooja karte aaye the aur uss mandir ki sthaapna bhi unke poorvajo ne hi kii thi par jese jese samay guzarta gaya aur aane waali peedhi sheher se judti gayi, wo mandir dheere dheere waha ke trust me samarpit kar diya gaya.

Kaaran!? Kaaran tha ki ab Veer ka parivaar sheher me panap raha tha aur ghar ka koi sadasya roz roz mandir ki dekh bhaal ya chakkar lagaane ke liye kisi ke paas itna samay nahi tha. Toh uss mandir ko wahi ke trust me samarpit kar diya gaya. Ab uss mandir ki poori zimmedari unn trust waale logo ki thi.

Par aaj bhi, jab bhi Veer ka parivaar, khaas kar Manorath jii jab bhi waha jaate the, gaav ke sabhi log unhe bade hi aadar aur satkaar ke saath unka swaagat karte the. Yaha tak ki wo ye bhi kehte the ki ab bhi ki wo mandir unhi ka hai aur hamesha unhi ka rahega. Shayad aaj bhi unki acchi khaatirdaari hone waali thi.

Unn do cars me se, ek car me Brijesh sang Bhumika, Shweta, Kavya aur Manorath viraajmaan the.

Toh wahi dusri me Karunesh sang Sumitra, Vivek, Arohi aur Pranjal.

Dono hi car me do drivers the. Sheher se kuch ghanto ki duri par hi unka gaav tha.

Kavya : Dada Jii aapne... Veer bhaiya ko nahi bulaaya!?

Manorath : Beta mene kaha tha par Vivek bola ki aaj Veer shayad kahi aur jaa raha hai... Meri toh koi sunta hi nahi hai. Jese jese budha hota jaa raha hu, meri baato ko ab log hawa me udaate jaa rahe hai.

Brijesh : Papa jii... Aisi baat kyu keh rahe ho aap!? Hum sab aapki baat maante hai. Ab uss baare me charcha mat kariye aap. Mandir jaa rahe hai, accha mood rakh ke chaliye.

Brijesh ki iss baat pe sabhi shaant pad gaye. Wo aage driver ke sang baitha hua tha. Toh wahi peeche side ki seat par Manorath aur unke bagal se Kavya, fir Bhumika aur fir Shweta.

Bhumika : Aaj saari responsibility Nandini ko deke aayi hu Mom.

Nandini unke hotel ki manager thi. Jo sab kuch badi hi acchi tareeke se manage kar leti thi.

Shweta : Hmm! Chinta ki koi baat nahi hai. Wo acche se dekh legi.

Bhumika : Hmm! Bas koi bada client ya guest na aa jaaye. Aur aisa na ho ki kuch problem ho jaaye.

Shweta : Don't overthink! Just enjoy the day mera baccha...!

Bhumika (smiles) : Hmm!

Aur kuch ghanto ki doori tay karne ke baad hi wo pohuch chuke the apne kuldevi ke mandir.

Sabhi ka waha harr baat ki tarah bade hi aadar ke saath swaagat kiya gaya. Saath hi saath waha unke rukne aur khaane ki bhi vyavastha kii gayi.

Darshan kar lene ke baad sabhi khaana khaane me lage hue the jab Vivek aur Pranjal aapas me baith na jaane kya baatein kar rahe the.

Pranjal : Saara plan ready hai bhaiya... Bas derr hai toh usse anjaam dene kii...

Vivek : Nahi chote... Aaj nahi...! Hume wese bhi kal nikalna hai. Aaj risky hai. Kal karna... Wese bhi yaha se naashta karne ke baad hi niklenge hum.

Pranjal : Thik hai bhaiya! Kal sahi fir...

Na jaane dono kis plan ko anjaam dene ki baat kar rahe the.

***

Idhar Veer din me apne parivaar ke saath ho rahi baato se anibhigya Ragini aur baaki sabhi ke saath aaj ghoomne nikla hua tha.

Par achanak hi raaste me usse nazar aaya ki kuch ladies kisi kapde ki sale par humgama kar rahi thi.

Veer : Kya ho raha hai udhar!?

Ragini : Virodh!

Veer : Virodh!? Kesa virodh!?

Ragini : Umm... Wo dekho na... Mahila mandal jama ho gaya poora udhar. Kisi sale ki peeche ladaayi ho gayi hai. Shayad kuch ghapla kiya hai sale waale ne. Isliye aurate itni awaazein laga rahi hai.

Aur waqai! Jab Veer ne dhyaan se dekha toh usse samajh aaya ki naye saal ki sale ke bahaane kapdo ka business karne waala aadmi kuch phate aur bekaar pieces ko nikaalne ke liye ye sale rakha hua tha. Aur wo kapdo ki wrapping ko kholne nahi de raha tha.

Jab kuch aurato ne khol ke kapdo ki jaanch kii toh unhone dhaava bol diya. Ittefaaq se mahila mandal wahi se kahi aur jaa rahi thi aur ye virodh dekh wo bhi unke saath jud gayi aur poori tarah se waat laga dii uss dukaan daar kii.

Ragini (sighs) : Harr sale me kuch na kuch hota hi hai.

Veer bade hi dhyaan se sab kuch dekh raha tha aur achanak hi jese uske dimaag ki ghanti baji aur agle hi pal uske hontho par ek muskaan bikhar gayi.

Veer : Bhabhi!

Ragini : Hmm!?

Veer : Meri aap se ek request hai. Aap poori karogi!?

Ragini : Hmm? Okay! Kya baat hai!?

Veer : Kya aap... Kya aap Suman jii ko sheher ke poore taur tareeke sikha sakti ho? Mera matlab hai saare niyam kaayde, khareed-daari se leke devices ko operate karna sab kuch. Ek modern vyakti ka poora knowledge jitna apa de sakti ho... Kya aap kar sakti ho?

Ragini (surprised) : Huh!? P-Par ye ekdum se aise kyu!?

Veer : Suman jii ne mujhse hi khud kaha tha. Kyu hai na!? Suman jii!?

Suman : E-Ehhh!? Ohhh! Haa haa! Mene kaha tha...

Suman baat ko samajh forun hi haa me sarr hilaayi aur apni razamandi dii. Par uski samajh me nahi aa raha tha ki uske maalik ke dimaag me akhir chal kya raha tha.

Ragini : O-Okay! Mein apni poori koshish karungi inhe sab kuch bataane me...

Veer (smiles) : Thank you Bhabhi!

Ragini : Umm... It's okay!

Lunch ke samay, Ragini aur Veer agal bagal hi baithe the jab Veer ne Ragini ke chehre par maayusi ko turant hi bhaanp liya...

Veer : Aap pareshaan lag rahi ho Bhabhi!

Ragini : Huh!? N-Nahi toh!? Mein bhala kyu pareshaan hone lagi!?

Veer : Jhooth mat boliye! Mujhse toh bilkul bhi nahi! Vivek bhaiya ka call aaya tha na!?

Veer ki baat sunn Ragini iss baar dheere se haa me sarr hilaayi aur apne nigaahe neeche kar baith gayi.

Veer : Kya kaha unhone!?

Ragini : Wo... Wo sabhi aaj hamaari kuldevi ke mandir gaye hai.

Veer : Unhone aap ko bhi bulaaya hoga!?

Ragini (nods) : Umm...

Veer : Toh!??

Ragini ne apni nigaahe upar kar ek pal ke liye usse dekha... Unn aankho me nami jo panap rahi thi wo Veer asaani se dekh paa raha tha.

Ragini : I... Mein... Mein kabhi bhi mandir ke naam par devi ka tiraskaar nahi karti mana kar ke... Par...

Veer : ....

Ragini : Par...

Veer : Aapka mann nahi kiya zara bhi...

Ye vaakya sunn Ragini chaunki aur Veer ko ghurne lagi.

Bhala uske mann ki baat Veer ne kese bhaanp lii thi!?

Veer : Itne dino se aap ke saath reh raha hu. Thoda boht toh mein bhi aapko samajhne laga hu.

Kehte hue usne jese hi apna haath Ragini ke haath ke upar rakha toh bechaari Ragini ki idhar haalat hi bigadne lagi. Wo phati aankho se Veer ko ghure jaa rahi thi.

Uske gulaabi honth khule... Par keval halki sii hawa hi baahar nikli, koi shabd nahi.

Aur aankhein jyo ki tyo Veer par tiki thi.

Veer : I don't know ki aap kya decision logi. But aap jo bhi decision logi. Hum sab aapke saath hai. But if... Yadi aapne Vivek bhaiya se sach me alag hone ka decision liya then... I was wondering ki... Kya hum aise hi reh paenge!? I mean... Fir aap uss ghar ki sadasya nahi rahogi aur mera aur Suman jii ka aapke ghar rukna...

Wo apni baat aage rakh paata ki uske pehle hi Ragini ne apna haath uske hotho par rakh usse rok diya.

Ragini : Veer! Mein uss parivaar ki sadasya rahu ya na rahu. Tum aur Suman jii mere apne sadasya ho. Wo ghar mera akele ka nahi hai. Tum sabhi ka bhi hai. Aur kya karungi mein itne bade ghar me akele reh ke!? Bhulo mat Veer... Tum bhi... Uss parivaar se alag ho chuke ho. Toh aise me yadi mein bhi hoti hu... Toh... Aren't we the same!?

Usne muskuraate hue kaha par Veer jaanta tha. Ki uss smile ke peeche kaafi kuch chhipa hua tha. Jisse shayad vyakt karna abhi Ragini ke bas me nahi tha.

Aur bilkul wesa hi hua... Bhaavuk hote hue Ragini ne forun hi apna chehra ferr liya aur jab usne dekha ki Suman samet sabhi counter se waapas uski aur Veer ki taraf aa rahi hai toh forun hi apni aankhein mal seedhi hokar baith gayi.

Ant me unn sabhi ne thoda enjoy kiya jiske chalte Ragini ka mood kaafi hadd tak theek ho chuka tha.

Par ab samasya thi raat ki...

Veer ko Nidhi ko jo face karna tha. Wese toh Nidhi ne usse maaf kar diya tha. Par...

Pratkyash aamne saamne milna ek alag baat thi.

Aur zaahir hai ki dono ke beech awkwardness barkaraar rehne waali thi.

***

31st December...
At Night...

Veer apni bike par tha aur wo theek Nidhi ki society me hi neeche khada hua tha jab Nidhi samet Juhi aur Shreya neeche utarti hui aayi.

Shreya : Arre kya koi mehmaan ho tum haan!? Jo ek minute ke liye bhi upar nahi aa...

Par uske bol wahi tham gaye jab usne paas aate hue Veer ko dekha.

Appearance me 10 points daalne ka asar tha ye!?

Shreya (blushes) : You... You look good!

Veer (smiles) : Thanks!

Shreya (blushes) : Aisa... Aisa kya laga rahe ho aajkal huh!? Hume bhi bata do...

Veer (smiles) : It's a secret!

"Maaaaaamuuuuuuuu!!!"

Aur beshaq! Veer ko dekhte hi uski pyaari fuljhadi bole toh Juhi sarpat daudati hi aayi aur uske perr se lipat gayi. Veer ne forun hi usse godi me uthaay aur uska gaal choom liya.

Veer : Aa gayi Juhi!? Kya pehni ho aap!? Ohhhh! New jacket!??

Juhi : Hmm! Maasi ne dilaayi!

Veer : Kya baat hai!? Boht kharche ho rahe hai!?

Shreya : Kyu na honge!? Ab mein kamaane jo lagi hu.

Veer (smiles) : Hmm!

Shreya (blushes) : Wese bhi... Sab tumhari hi wajah se toh hai.

Veer aage kuch keh pata ki tabhi...

*Tuck* *Tuck* *Tuck*

Usse heels ki awaaz sunaayi dii aur usne dekha ki Nidhi ek khubsoorat sii saree pehne aur ek shawl upar daale neeche aa rahi thi.

Aaj wo itni khubsoorat dikh rahi thi ki Veer khud apne aap ko kuch derr yu taktaki lagaye usse dekhne se na rok saka.

Dono ki hi nazre mili aur pal bhar ke liye dono hi jese bhul gaye ki wo dono akele nahi hai. Aas paas bhi log hai.

Shreya : Toh chale!?

Veer : Ah! Y-Yeah! Right!

Juhi : Mein Maamu ke saath baithungi... Aage bike pe...

Shreya : Huh!?

Nidhi : Nahi Juhi! Mere saath baitho chalo. Maasi ko baithne do unke saath. Hum apni scooty me chalte hai.

Wese toh iss baat se Shreya boht khush thi ki usse Veer ke saath baithne ka mauka mil raha tha par fir bhi... Wo apni behan se bhi utna hi pyaar jo karti thi. Aur uski fiqr bhi.

Nidhi saree me thi. Aur aise me scooty chalana wo bhi Juhi ko lekar, raat ke waqt. Ye kitna kathin tha wo jaanti thi. Aur khatarnak bhi ho sakta tha.

Isliye...

Shreya : Nahi dii! Aap aur Juhi Veer ke saath baithiye! Aapne saree pehni hui hai Dii. Dikkat jaegi. Aur mera kya hai? Mein toh jeans me hu. Mein scooty se chalti hu.

Nidhi ne ek pal Veer ko dekha jo bina kuch kahe hi uske nirnay ka intezar kar raha tha aur fir akhir kaar Nidhi ne finally dheere se haa me sarr hilaaya aur Veer ke theek peeche jaake wo baith gayi.

Ye pal...

Veer ke hontho par apne aap hi muskaan laa diya. Aise hi toh ek saath baith ke college se lauta karte the wo. Aise hi toh Nidhi uske peeche yu baitha karti thi. Aaj itne dino baad ussi anubhuti ko firse mehsoos kar paa raha tha Veer. Par sabse aham baat ye thi ki iss waqt chaand bhi apne poore rang dhaaya hua tha. Poora chamak raha tha aur apni roshni bakhoobi bikhere hue tha.

Aur finally Veer aur baaki sabhi society se nikle.

Raat ka plan simple tha. Koi acchi si jagah jaake pehle thoda entertainment. Fir dinner aur ant me new year celebration ke fireworks dekhne ka plan.

Sabse pehli jagah Veer aur baaki sabhi amusement park me gaye the. Amusem park toh nahi tha, ek pradarshini lagi hui thi. Bhale hi amusement park se thoda chota tha par rides idhar bhi thi.

Juhi baccho waali rides enjoy kar rahi rhi, toh wahi Shreya uski photos utaar rahi thi. Aur wahi Veer aur Nidhi side me khade unhe dekh rahe the.

Juhi : Mummyyyyy! Mujhe wo bade waale me baithna.

Usne ishaara karte hue kaha. Uska ishaara Giant wheel ki orr tha.

Nidhi : Huh? Nahi Juhi! Bilkul bhi nahi! Darr jaogi baad me tum hi. Dekh rahi ho kitni upar tak jaata hai.

Shreya : Juhi! Wo dekho! Wo train waali me baithe apan!? Mein bhi baitha sakti hu usme toh.

Juhi : Haa chalo chalo maasi... Jaldi...!

Aur wo kheech ke Shreya ko le gayi.

Ab bache the toh keval Veer aur Nidhi.

Veer : Umm... Kya aap chalna chahogi!? Ma'am!? Giant wheel me!?

Nidhi : Huh? M-Mein!? N-Nahi... Mein nahi...

Veer : O-Okay!

Wo jawaab dete hue apni nazre jhuka liya. Par jese Nidhi ne uska expression dekh liya tha toh wo puchi,

Nidhi : Umm... Kya tumhe ride karna hai!?

Veer : Hmm? Y-Yeah! Mein kabhi baitha nahi hu inn rides me. Kabhi koi laaya hi nahi...

Usne ek feeki smile dete hue kaha toh Nidhi ko jese yaad aaya ki Veer ka bachpan kese guzra tha. Aur ye yaad karte hi wo bauhe sikode usse dekhne lagi aur ek duwidha me phass gayi.

Nidhi : O-Okay! If... If you want then... Hum chal sakte hai!

Bas fir kya tha kuch hi derr me Veer aur Nidhi dono hi Giant wheel par sawaar the. Par...

*Ding*

[Mission : Hug Nidhi! Let her know you are her support.
Rewards : ?? Points
Time limit : Before 12 A.M
Mission Failure Penalty : 50 Points Deduction.]

'What the fuckkkkkkkkk!?'

[Hahaha~]

'Mazaak chal rahi hai? No seriously!? Mazaak hai? Fuckkkk! Uss din hi mene unke haathe se thappad khaaya tha aur ab ye? Jhoote padwaane ki planning hai kya? Wtf is this mission?'

[I cannot help it master! Execute this mission properly. Aur... Haa~ iss Mission ke complete hote hi mein level up ho jaungi. But I'll be in sleep mode for loading your new resources. Toh pehle se hi wish kar deti hu. Happy new year master! Enjoy your time! Hehe~]

'W-Wait what!??? Wtf??? Sleep mode achanak kyu?'

[I told you kuch surprise hai right? So wait for it!]

Nidhi : Ummm...

Nidhi ne uska dhyaan kheecha toh Veer hosh me aaya. Giant wheel ghoomte hue upar jaa raha tha.

Aur Nidhi aur Veer agal bagal baithe hue upar se poora nazaara dekh rahe the.

Nidhi : It's so beautiful...

Veer : Bilkul aap ki tarah...

*Badump*

Nidhi (gasps) H-Huhhhh!?

Veer : Mene kabhi iss ride pe sawaari nahi kii thi. Aaj aap aayi toh ye bhi ho gaya... Thanks for agreeing.

Nidhi : It's... It's fine!

Nidhi : Veer!

Veer : Hmm?

Nidhi : Sach kahu... Toh I'm really mad at you.

Veer : ??

Nidhi : Kitna kehti rehti hu tum se. Kitna keh chuki hu pehle bhi. Don't leave your studies. Par tum ho ki sunte hi nahi. Kya karna chaahte ho aage!? Kya karoge!? Kuch plan hai ki nahi? Mein tumhe daant nahi rahi hu. Tumhari teacher bhi hu. Tumhare career ki chinta mujhe lagi rehti hai. Aur tum toh mere khaas student ho. Ek tarah se parivaar ka hissa bhi ban gaye the tum haal hi me. Toh kidhar jaana chaahte ho, koi lakshya hai ki nahi? Kya kar rahe ho abhi? Study nahi karte toh kya karte ho din bhar? Kuch socha hai future ke baare me? Kyu nahi aate ho college!? Ye saare sawaalo ke jawaab tumhe acche se pata hone chaahiye Veer.

Wo lagataar bole jaa rahi thi. Par Veer chaand ki uss roshni me keval Nidhi ke husn ko hi dekhta raha aur bas muskuraata raha.

Abhi bhi Nidhi ko Veer ke bhavishya ko lekar chinta thi.

Veer (smiles) : Aapki yahi baatein toh mera dil jeet leti hai.

Nidhi : Huhhhh!??

Veer : M-Mera matlab hai... Aapko meri itni chinta hai?

Nidhi : Kyu nahi hoegi? Akhir tum...

Kehte hue wo ruk gayi.

Veer : Akhir tum!?? Akhir tum kya ma'am!?

Wheel ekdum upar aa chuka tha jab Nidhi ne Veer ke chehre ko dekha aur uska chehra apne ekdum sameep paaya toh uske bol wahi tham gaye.

Nidhi : Kuch... Kuch nahi...!

'Fuckkk! I'm doing it. Jo hoga dekha jaega. Ek thappad aur kha lunga.'

Aur agle hi pal Veer ne Nidhi ko zorr se apni baaho me kheech liya.

Iss achanak hamle ki umeed Nidhi ko bilkul bhi na thi. Wo apni aankhein faade abhi abhi jo kuch hue usse digest karne ki koshish kar rahi thi. Aur jese hi usse abhaas hua ki iss waqt wo Veer ki baaho me thi aur Veer usse zorr se bheencha hua tha, Nidhi ki saasein tez ho gayi.

Usne apna haath upar le jaake Veer ke seene par rakha aur usse dhakelne hi waali thi jab Veer ke shabd uske kaano me pade,

"Sabse pehle toh thank you ma'am. Mujhe uss daldal se nikaalne ke liye. Fir apne saath rakhne ke liye, mera itna support karne ke liye ye jaante hue bhi ki aap khud itni pareshaani me ho. Uske baad thank you ki aapne harr hardship me mera saath diya. Aaj bhi aapko meri parvaah hai, thank you ki aap aaj aane ke liye taiyaar hui, mere saath ride me baithne ke liye taiyaar hui. Rahi baat mere aim ki... I'm leaving the college ma'am. Because I know ki mujhe kya karna hai. Thank you so much! Aap hamesha hi meri ma'am rahogi, chaahe mein college jau ya nahi. And lastly... Jese aapne mera saath diya wese hi mein bhi aapka saath dunga. I'm here for you. Always!"

Unn baato ko sunte hi Nidhi ka haath jo Veer ko dhakelne ke liye the wo ekdum se dheela pad gaya.

Dono ke hi chehre aapas me behad qareeb the. Dono hi ek dusre ki garam saaso ko bakhubi mehsoos kar paa rahe the.

Aur na jaane aise kya hua ki Veer apne aap hi Nidhi ki orr jhukne laga.

Nidhi ka attraction jese usse kheech raha tha.

Paas aate hi usse sunaayi dii... Nidhi ke tezz dhadkate hue dil ki heartbeat. Kitni zorro se dhadak raha tha uska dil.

Wo bas lambi lambi saasein liye jaa rahi thi.

Par jese hi Veer uske ekdum kareeb aa gaya, jab wo uske hontho se bas kuch hi centimetres ki duri par tha, Nidhi ne zorr se dhakka deke usse peeche dhakel diya.

Nidhi : N-Nooooooooooo!!!!!!!!

Aur ek baar fir dono ke beech me wahi awkwardness ka mahaul chha gaya.

Uske baad toh jese dono me hi koi baat nahi hui.
Dinner ke baad bhi wo dono ek dusre se baat nahi kiye. 12 bajte hi jab fireworks ka show shuru hua toh dono hi baithe zaroor the par dono ke beech me Juhi baithi hui thi.

Aur dono hi pal do pal apni nazro ko ek dusre se milaate par nateeja wahi, koi bhi kuch kehne ki haalat me nahi hota.

Aur tabhi...

*Ding*

[System has reached Level 5.]

*Ding*

[In-built feature ~ Translator has been unlocked.]

*Ding*

[In-built feature ~ Slot has been unlocked.]

*Ding*

[Quest hunt is now accessible.]

'Huh!??!'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!





SHAANDAAR AWESOME EXCELLENT FABULOUS LOVELY AND INTERESTING UPDATE BHAI
 

Raj

Well-Known Member
4,637
15,615
158
Update - 50 ~ New Year's Blast
Ab tak...

*Ding*

[System has reached Level 5.]

*Ding*

[In-built feature ~ Translator has been unlocked.]

*Ding*

[In-built feature ~ Slot has been unlocked.]

*Ding*

[Quest hunt is now accessible.]

'Huh!??!'


Ab aage...

1st January...
New Year's Morning...

Aaj naye saal ka pehla din tha. Jaha Veer ke ghar me, yaani ki Ragini ke ghar me iss waqt sabhi ground floor par hassi mazaak kar aaj naashte me kuch special banaane ki soch rahe the, wahi iss waqt Veer apne kamre me apne bistar par baithe sawaalo ke chakravyuh me ghira hua tha.

Wese hi Veer uss Slogan waale mission ko lekar uljhan me tha pehle se hi ki bhala aisa mission system ne usse kyu saupa tha, jiska koi sense hi nahi bann raha tha!?

Upar se ab Veer ko kuch aur baatein sata rahi thi. Aur wo thi...

[Oye Itna shaant kyu ho tum!? Huh!? Kuch bolo bhi!?]

Pari ka ye firsa badla hua ravaiyya.

Zaahir sii baat thi, ki kal raat jab Veer ne Nidhi ko hug kiya aur wo mission complete kiya, uske baad hi Pari Level 5 par pohuch chuki thi. Aur naye features bhi unlock ho chuke the. Parantu uske baad se hi Pari ka ravaiyya ek baar fir badla badla sa nazar aa raha tha jisse lekar Veer uljhan me fassa hua tha.

Bhala kya hai ye system!? Pari baar baar yu apna ravaiyya kyu badalti rahi hai? Kabhi aisa lagta hai sab sahi hai par kabhi achanak se Pari ajeeb dhang se apna behaviour poora change kar leti hai.

Aur iss baar bhi wahi hua tha. Akhir kya raaz chhupa tha iske peeche!?

'Halla mat karo... I'm thinking!'

[Thinking what!? I can listen to your thoughts you know.]

'Just shut up!'

[Ugh!!! Hmph...!]

Ek gehri saas lete hue Veer ne kal ki vardaato par ek baar firse prakaash daala aur sab kuch yaad kia.

Kal Nidhi ko hug karne ke baad usse 50 points mile the. Uske paas pehle hi 190 points the. 10 points wo Appearance me jo daal chuka tha. Toh ab total 240 points uske paas maujood the.

Par ab sawaal aata hai naye features ka...

Jo ki the~

In-built feature ~ Translator
In-built feature ~ Slot
Aur wo Quest Hunt.

'Pari! Kal toh tum sleep mode me thi. Ab mujhe vistaar se sab kuch batao inke baare me.'

[Yeah! Right! So... Basically, Translator ek In-built feature hai. Just like Check and all. Aur jesa ki iska naam hai wesa hi iska kaam hai.]

'Hmm!? Don't tell me...!?'

[Yes! Tumne sahi samjha. It's a Translator. Chaahe koi bhi vyakti koi bhi bhaasha kyu na bole, tumhe unke bole gaye shabd translate hoke screen par dikh jaenge. Aur ye automatically hoega. So, you don't have to worry at all.]

'I see! Par ye 'tum' kehke kab se bulaane lagi mujhe tum? Hmm?'

[Wh-What!? Don't tell me ki tumhe 'aap' hi sunn'na pasand hai.]

'No! Bas! Tumhara behaviour achanak se badal gaya isliye puch raha hu.'

[W-What!? N-No! It's not like that. Mein toh tumhaari wahi Pari hu. Right!?]

Veer ne kuch kaha toh nahi aur wo apne dimaag me bhi kuch sochna nahi chaahta tha. Warna Pari uske thoughts padh leti. Isliye usne shaant rehna hi theek samjha.

'Tell me about Slot! Ye kya hai!?'

[Yesss! :D Yahi toh hai asli cheez. Slot ka matlab toh jaante hi ho tum right?]

'Hmm! Yaani ki ek prakaar ki khaali jagah jaha pe kuch rakha jaa sake.'

[Exactly!]

'Aur ye Slot kya kaam aane wala hai mere!?'

[Right! Yahi pe Quest hunt kaam aata hai. Ab tum Quest Hunt ko access kar sakte ho.]

'Explain!'

[Hmm~ Simple bhaasha me... Quest open karo aur card paao.]

'Card!?'

[Yes! Various cards! But ek dikkat hai.]

'Kesi dikkat!?'

[Quest me se do hi kism ke cards nikalte hai. Ek Legendary Tier Card aur ek Trash Card.]

'Hmm... Toh!?'

[Legendary Tier Cards nikalne ke chances 15% hai. And Trash card nikalne ke chances 85%]

'Hmm! I'm getting it now.'

[Yes! In simple terms, Quest Hunt me jaa kar Quest kholo, usme se cards pao aur uss card ko Slot par lagao.]

'Hmm! Aur Legendary Cards kis type ke honge?'

[Good Question! Legendary Cards jesa ki naam hi bataata hai. They will be Legendary. Par harr Legendary card apne aap me alag hota hai aur unki apni khoobi hoti hai. For Example~ Yadi tum Quest open karte ho aur usme se Legendary card nikla toh wo kayi saare Legendary cards me se ek ho sakta hai. Tumko aisa card mil sakta hai jis se kaho tumko 50% kam neend aaegi. Jaldi nahi thakoge. Wagarah wagarah. Par ye kaam tab hi karega jab iss card ko Slot me equip karoge.]

'This...!?'

Pari ki harr ek baat Veer ko jese naye naye jhatke de rahi thi.

[Kyu na isse live try kare!? :D ]

'!??'

[Tumhare paas 240 points hai.]

'Quest kholne ka price kitna hai!?'

[200 points!]

'Wtf!???'

[Of course! Tumhe kya laga? 10-12 points me sab ho jaega?]

'Fuckkkkk! 200 points!? Wese hi badi mushqil se missions ke through points ikhatte ho paate hai. Aur upar se...'

[Bhulo mat ki isme Legendary Card nikalne ke 15% chances hai. Yadi ek bhi Legendary Card haath lag gaya na. Toh tumhe pata bhi nahi hai ki wo kya kar sakta hai.]

'Aur Trash card haath laga toh? Aakhir uske chances toh 85% hai?'

[Toh kuch nahi, gaye points... :whistle: ]

'Wtf!???'

[Y-Yeah! Ab kuch paane ke liye risk toh lena padega na!?]

'Shiitttttttt!! So it's a gamble...!'

[Exactly!]

Veer samajh gaya tha ki ye poore juye ke khel ki tarah tha, jisme uske jeetne ke chances 15% the aur haarne ke 85%.

Dusre shabdo me, 200 points invest kar usse quest kholne milega. Yadi usse Legendary Card milta hai, tab toh sab kuch sahi hai. Par yadi Trash card milta hai, jiske chances itne zyaada hai toh Veer ke 200 points gaye samjho. Poori tarah se barbaad ekdum.

'Aur meri kismat jaanti hi ho tum right!?'

[Yeah! It's trash... :whistle: ]

'!???'

[What!? I'm saying the truth!]

'Ahem! Right!'

[So? Live try karna hai? :D Ho sakta hai tumhe Legendary Card mil jaaye!?]

'Fine! Do it!'

[What!? Really?]

'Yeah! Do it! Gaye toh gaye. Par yadi Legendary card mila... Then... mein bhi toh dekhu kya kar sakta hai wo card!?'

[Wow! Mujhe nahi laga tha tum risk loge.]

'I said do it!'

[Ugh!!! Fine! Fine! Just say Quest Hunt!]

'Quest Hunt!'

*Ding*

Veer ke kehte hi uske mann me ek imaginary screen khuli jisme ek treasure chest jesa kuch dikh raha tha usse.

Aur neeche open karne ka option tha.

Par...

Open ke hi just neeche, waha likha tha~

Cost : 200 Points.

Bechaara Veer ye dekhte hi apne decision ke baare me dobaara sochne laga.

[Bas click karo mann me hi uss option pe. Aur bas. Quest khulega aur kuch na kuch milega. Hehe~]

'Fine!'

Dil pe haath rakh, Veer ne ek lambi saas lete hue open par click kar hi diya aur tabhi...

Usne dekha ki wo quest dheere dheere khula aur andar se chamakti hui roshni aa rahi thi.

Aur uske khulte hi ek card baahar aake nikla.

[This... This...!? No waayyyyyyyyy! :shocked: ]

Pari ka shock hona bhi swabhaavik tha.

Akhir Veer ko aisi cheez jo mil gayi thi.

Uski screen par, ye card maujood tha~



IMG-20220111-210119

'Wait! Let me read. Increases Bone's Rigidity by 70%, Recovery Rate by 60%... Wait whaaaaaatttt!??? What the fucccckkkkkkk!?????'

[This... Just how lucky you are?]

'Almost Unbreakable Rib... Ribcage guaranteed!????'

[Yes! Dekha ab. Mene kaha tha na!? Ki ek hi card sab kuch badal sakta hai. Now look at that baby hahaha~ Bone Reaper. Saral bhaasha me, aapki jo bones ki hardness hai. Yaani ki unka thospann. Wo 70% badh jaega. Aur bone ki recovery 60% badh gayi hai. And look at that... Almost Unbreakable Ribcage guaranteed. Matlab aapka ribcage... Almost Unbreakable bann chuka hai. Tootne waala nahi ab. Damnnnnn!]

'This...!?'

Veer ko shocked hona laazmi tha. Akhir cheez hi aisi haath lagi thi.

[Now equip it!]

Pari ke nirdesh anusaar Veer ne forun hi uss card ko apne slot me equip kar liya.

[Dhyaan rahe. Kisi bhi card ko equip kar lene ke baad aap usse 24 ghante ke pehle nahi hata sakte. Kam se kam 24 ghanto ke baad hi aap unequip kar paoge.]

'Gotcha... Let's go~'

***

Veer ka new year filhaal toh sahi jaa raha tha. Filhaal ke liye. Par yahi baat shayad anya jagah par nahi kahi jaa sakti thi.

Jese ki iss waqt...

Yaha apne gaav me aaye kuldevi ke darshan ke liye Manorath aur baaki sabhi ko aaj din me ghar ki orr wapas Mumbai ko lautna tha.

Kal unhone darshan kiye the aur aaj unki hi taraf se Bhandaare ka aayojan bhi tha.

Bas khaana almost ready tha aur bas logo ko baatna baaki tha.

Arohi iss waqt ek jagah baithi hui thi aur saare khaana banaane waalo ko dekh rahi thi wahi dur se hi.

Ye sab uske liye naya tha. Wo pooja paath me shuru se hi utna samarpit nahi thi. Aur yaha aake bhandaara karwaana, ye sab uske liye ekdum naya tha. Iss kaarya me wo pehli baar sammalit ho rahi thi.

Abhi wo baithi hi thi ki tabhi usne Kavya ko aate hue dekha. Kavya kisi se muskuraate hue phone par baat kar rahi thi.

'Kavya...!? Bhala kis se baat kar rahi hai!?'

Usne mann me socha.

Kavya jab nazdeek aayi toh usne khud hi puch lia.

Arohi : Kavya!? Kiska call hai!?

Kavya : Hmm? Ohh! Veer bhaiya ka... Lo na... Aap bhi unhe New Year wish kar do...

Kehte hue usne Arohi ko apna phone thama diya. Aur Arohi bechaari ab iss soch me pad gayi thi ki baat ko kese start kare.

Veer : Hello!?

Arohi : H-Hello!?

Veer : Arohi... dii...

Arohi : Umm... H-Happy... Happy new year Veer!

Veer : Happy new year to you too!

Arohi : Th-Thank you!

Veer : ....

Arohi : Wo... Hum... Hum sabhi kuldevi ke mandir aaye hai...

Veer : I know that...

Arohi : R-Right! Wo... Dada jii ne tumhe laane ka socha tha. B-But...

Veer : I know that too...

Arohi : O-Ohhh!! Okay! W-Wo...

Veer : !??

Arohi : N-Nothing...

Veer : Ohhh!

Bechaari Arohi, na toh samajh paa rahi thi ki kese conversation ko chaalu kare aur yadi kar bhi de toh kese uss conversation ko banaaye rakhe!? Aaj bhala itna kyu darr rahi thi wo Veer se baat karne me!?

Wese ye darr nahi tha kuch aur hi tha. Jisse wo khud bhi nahi jaan paa rahi thi.

Usne Kavya ko phone waapas se thamaya aur khud uth ke chali gayi.

Kuch derr me hi bhandaare ki saari prakriya poorn ho chuki thi aur sabhi ne fir baatna bhi shuru kar diya.

Gaav ke log bhaari maatra me aaye aur sabhi ne acche se bhandaare ka lutf uthaaya.

Kavya jaha kheer baatne me lagi hui thi toh wahi Arohi sabzi baat rahi thi.

Bhumika aur Shweta puri baatne me lage hue the.

Aur Manorath chup chaap sabhi ko muskuraate hue dekh rahe the.

Wese toh wo chalne me ekdum swasth the par fir bhi unhe zyaada thakaan na ho isliye unke liye ek wheelchair leke rakhi thi Brijesh ne.

Taaki jab wo thak jaaye toh koi bhi wheelchair ke zariye unhe unki jagah le jaa sake.

Aur iss waqt bhi, subah subah mana kiye jaane lar bhi aaj wo taiyaariyo me apna haath bataaye jiske chalte kaafi thakaan bhar aayi thi ab unme.

Wheelchair par hi baithe hue wo araam farma rahe the aur apne parivaar ko mil jul ke gaav ke logo ke beech unn sab ko bhandaare ka prashaad dete hue wo bade hi chaav se dekh rahe the sab kuch.

Tabhi unhone dekha ki Pranjal waha se unki taraf aaya. Aaj Pranjal ne itna kaam kiya tha ki Manorath khushi se fule nahi sama paa rahe the.

Pranjal (haafte hue) : Dada jii! Bas kuch derr ka aur hai... Fir hum sab bhi baith jaenge khaane.

Manorath : Beech beech me araam bhi kar liya kar 5-10 minute beta. Aaj toh tumne boht kaam kiya hai.

Pranjal : Kya Dada jii!? Devi ke mandir me... Ye sab kaam thodi maana jaata. Yahi toh pooja hai. Aur pooja jitni bhi karo, kam hi lagti hai.

Manorath toh jese harr ek pal guzarte khushiyo ke naye starr par pohuchte jaa rahe the.

Pranjal : Aapne aaj darshan kiye!?

Manorath : Abhi nahi beta.

Pranjal : Ye kya baat hui Dada jii!? Kherr! Jab sabhi khaana khaa lenge uske baad mein aapko leke chalunga. Upar mandir me...

Manorath : Bilkul beta. Ab tum araam karo. Subah se lage ho. Warna perr boht dukhenge. Thoda sa rukk jaaya karo.

Pranjal : Abhi nahi Dada jii! Meri behne mere rehte hue akele kese kaam kar sakti hai? Bhaiya aur mein dekh lenge sab. Aap araam karo.

Aur itna bol, wo chal diya waapas unhi gaav waalo ke beech unhe prashaad baatne.

Sab kuch ekdum sahi jaa raha tha.

Ye pal, Manorath ke liye sabse zyaada khush-haal tha. Kyuki aaj wo apne parivaar ko ek saath gaav waalo ke liye seva karte dekh rahe the.

Yahi hoti hai uparwaale ki mahima, ki wo na jaane kab ek saath sab ko le aaye aur ekjut kar de.

'Kaash mera Veer bhi yahi hota...!'

Sochte hue Manorath apne khayalaato me kho gaye.

Kuch samay beet jaane ke baad sab kuch kushal mangal se sampann ho chuka tha aur ab bas gharwaalo aur mandir ke trust logo ka hi khaana bacha hua tha.

Jab gaav waale log dheere dheere jaane lage toh Manorath ne sabhi ko khaane ke liye hidaayat dii.

Aur bas, neeche dari biccha ke sabhi parivaar ke sadasya pattal me khaana paros shuru ho chuke the.

Pranjal : Kaash... Mera bhai Veer bhi yahi hota... Aur Ragini Bhabhi bhi!

Pranjal ne shaatirta se halki awaaz me kaha. Uske bagal se Arohi aur Kavya baithi hui thi. Aur ye vaakya sunte hi dono ki hi bauhe sikudne lagi.

Wo jaanti thi ki Pranjal toh ulta unhe Veer se dur rehne ko kehta tha toh bhala aaj wo yaha uske baare me kese soch sakta hai?

Ye zaroor dhong tha. Mann me ye nirdhaarit kar, dono hi behno ne usse ignore hi karna sahi samjha.

Wahi dusri aur Shweta aur Bhumika apni baato me lagi hui thi.

Shweta : Kya hua? Baat ho gayi na?

Bhumika : Haan! Sab kuch sahi hai hotel me mom.

Shweta : Mene kaha tha na. Tu khamakha tension le rahi thi.

Bhumika : Hmm! Wese... Aapne fir uske baare me kya socha? Matlab? Kesa kya chal raha hai?

Shweta : Beta! Bas... Jald hi Papa jii decision lenge zameen ka. Aur fir dekhna, humaare paas hamaara hissa hoga. Fir usse hum jese chaahe use kare.

Bhumika : Ohhhh! Par... Aapko kese pata Dada jii jald hi decision lene waale hai!?

Shweta (khuspusaate hue) : Vivek ne toh yahi kaha tha.

Bhumika : Hmm? Kya kaha!? Kuch sunaayi nahi diya mom!

Shweta : Ahh!? Arre nahi beta. Mene kaha ki mera mann kehta hai ki jald hi Papa jii decision lene waale hai. Tum dekhna.

Bhumika : Ohhh! P-Par... Unhone toh kaha tha na ki... V-Veer yadi ghar me nahi hoga toh tab tak koi bhi charcha zameen ke baare me nahi kii jaegi?

Shweta : Hmm! Kaha tha unhone. Par tum dekhna meri bacchi, jald hi denge wo apna faisla.

Bhumika : Hmm~

Shweta apni beti Bhumika se bhi baatein chhupaayi hui thi. Wo baatein ki wo Vivek ke saath mili hui hai aur Veer ko baahar nikalwaane ke plan me Vivek ka hi haayh tha. Bachaari Bhumika ye soch ke chal rahi thi ki uski Mom hi sab kuch kar rahi hai.

Idhar Shweta aas lagaaye baithi thi ki jald hi wo mauka aaye jab Manorath apni jayzaat aur zameen ka batwaara kare aur wo apna hissa lene me safal ho jaaye. Fir toh Shweta ko kisi cheez se matlab nahi hone waala tha. Bas apni hotel, apni zameen, aur apni bacchi. Bas!

Par usse kya pata tha. Ki jis khaayi se usne Veer ko feka tha ussi khaayi se fekne ke liye Vivek uske peeche khada hua tha.

Wo ye nahi jaanti thi ki Vivek ka iraada usse sui ke baraabar tak ki zameen dene ka nahi hai. Kya hoga jab Shweta apne karmo ke fal ka parinaam dekhegi? Jab usse pata chalega ki jis zameen ke liye usne itne paapad bele the, wo toh uske haath aani hi nahi thi.

Jab sabhi khaana khaa ke fursat hue toh bas ab nikalne ka samay ho chuka tha. Lagbhag shaam hone ko aa gayi thi.

4 baj rahe the...

Wese toh wo sabhi din me nikalne waale the par sab kuch thoda late hua ya yu kahe ki sab kuch hone me samay zyaada lag gaya. Aur issi kaaran vash aaj wo thoda late the.

Pranjal Manorath ke paas aaya aur unse bola,

"Dada jii! Darshan nahi hue na aapke abhi bhi?"

Manorath : Haa beta! Darshan karna baaki hai. Ek akhiri baar jaane se pehle.

Pranjal : Chaliye! Mein karwaaye deta hu Dada jii!

Manorath : Haa chalo beta.

Kehte hue jab Manorath uthne lage toh pranjal ne unhe pakad ke waapas se wheelchair par baitha diya.

Pranjal : Arre arre!? Ye kya!? Subah se thak gaye ho aap. Aap isme hi baitho raho mein leke chalta hu na?

Manorath : Beta isme!? Arre waha seedhiya hai beta. Seedhiyo me kese le jaoge upar tak?

Pranjal : Arre Dada jii side me rasta bhi hai. Upar jaane ka. Udhar se chalenge na hum.

Manorath : Beta fir bhi chadhaayi toh hai na. Thak gaye hoge tum bhi. Rehne do...

Pranjal : Na matlab na... Mene kaha na. Aap tension mat lo. Mein nahi thaka hu. Bas aap chaliye.

Manorath : Accha! Accha beta theek hai.

Aur apne pote ki baat maante hue Manorath akhir kaar baith hi gaye. Pranjal pyaar se muskuraaya aur theek unke peeche chala gaya aur wheelchair ko pakad wo upar side me bane mandir ki orr le jaane laga.

Par iss waqt uski wo muskaan... Pyaar bhari muskaan se tabdeel hoke ek haivaani kutil muskaan bann chuki thi.

Aur uski nigaahe Vivek ko dekh rahi thi. Wahi Vivek ki nigaahe bhi chup ke se Pranjal ki aankho se takraayi maano jese mann hi mann kuch baatein kahi jaa rahi thi.

Upar side ke raaste se le jaate hue Pranjal dheere dheere Manorath ko mandir ke dwaar par le gaya.

Aur fir mandir ke andar bhi...

Andar aate hi Manorath ne devi ke darshan kiye aur prashaad bhi liya.

Jab lautne ki baari aayi toh Pranjal ne Manorath ko seedhiyo ke paas laake roka aur bola,

Pranjal : Arre! Mene prashaad toh liya hi nahi Dada jii!

Manorath : Jao beta le aao. Fir chalte hai.

Pranjal : Abhi aaya Dada jii...

Aur itna bol wo chal diya Mandir ke pujaari ki orr waapas peeche.

Pranjal prashaad le hi raha tha ki pata nahi kya hua ki Manorath ko wheelchair aage badhi.

Manorath ne jab aahat paate hi peeche dekha toh usse koi dikhaayi nahi diya. Pranjal dur khada prashaad le raha tha. Par tab tak boht derr ho chuki thi.

Jab tak Manorath ki kuch samajh me aata, wheelchair ka ek pahiya seedhi ke neeche jaa chuka tha.

Aur fir...

*Craaaaashhhhhhhh*

"Aaaaaaaaaaa...."

Upar se ludakte hue Manorath seedhiyo par girte chale gaye.

"Dadaaaaaaa jiiiiiiii!!????"

Pranjal ne jab peeche mud ke dekha toh shocked hote zorr se chillaaya aur tezz kadmo ke saath seedhe Dada jii ki orr bhaaga.

Manorath seedhiyo par girte padte neeche jaate jaa rahe the.

Seedhiya itni bhi nahi thi par kam bhi nahi thi.

Kuch seedhiyo se lagtaar girne ke baad ek jagah aakar wo ruke aur behosh ho chuke the.

Pranjal ghabraaya hua unke paas aaya aur dekha toh uske Dada jii ka maatha aur perr khoon se sana hua tha.

"Dadaaaaaaa jiiiiiiii!!!!"

Wo zorr se cheenkha aur uski ye cheenkh ne aas paas ke sabhi logo ko chaukanna kar diya.

Aur sabhi uss orr bhaage...

***

1st January...
New Year's Eve...
Mumbai...

Ek badi sii hotel ke corridor me ek aadmi tezz kadmo ke saath chalta hua jaa raha tha.

Uske peeche kayi saare hatte katte aadmi chal rahe the.

Kuch ki jebo me toh guns bhi thi. Aur sabhi dekhne me itne bhayaanak ki maano abhi pakad ke zinda maar denge.

Par iss waqt wo sabhi apne Boss ko follow kar rahe the jo iss waqt tezz kadmo ke saath hotel ki lift ki orr jaa raha tha.

Aur ye aur koi nahi Slogan hi tha.

"Kaam hua!?"

Usne tezz awaaz me pucha.

Steve : Sab ready hai. Bas uske aane ki derr hai.

Slogan : Good! Sab kuch fatafat hona chahiye. Mujhe Mumbai chorre saalo ho chuke hai aur Aatish ab nahi hai toh police gaandupana zaroor dikhaegi. Saari gaadi ready rakhna aur CCTVs saare band karwa diye hai na?

Steve : Aas paas ke sabhi band hai.

Slogan (smiles) : Good! Aaj naye saal me naya dhamaaka hoga...

Steve : Bas uske aane ki derri hai. Aur bas fir...

Slogan : Hmmm~ hume jald nikalna hoga. Aatish ke resources aur man power ko kal hideout par jama karwao. Police ko busy rakhne me kaam aaenge wo.
Itna bada mauka haath se aaj chooth nahi sakta mere...

Steve : Jii Dada!

Aur Slogan Steve ke saath neeche utar apni gaadi me jaa chuka tha.

Na jaane kiska wait kar rahe the ye sabhi. Par itna toh tay tha ki jiska bhi intezaar ho raha tha. Wo inn sabhi ke liye boht zaroori tha.

***

Mumbai ke hi iss sheher me ek alag anya hotel me iss waqt new year ki party chal rahi thi.

Aur party toh abhi sahi se shuru ho rahi thi. 8 baj chuke the... Par...

Uss hotel se hi ek behad hi khubsoorat sii ladki ek black dress me baahar aayi aur apni gaadi ki orr jaane lagi.

Par abhi wo gaadi se kuch hi doori par thi jab...

*Kabooooooooooommmmm*

Ek itni tezz blast hua...

Uski hi car me... Jo waha khadi uska intezaar kar rahi thi.

Andar maujood driver ke chithde udd chuke the aur car toh poori aag ki lapto me qaid thi. Chaaro aur dhuaa hi dhuaa...

Aur aas paas afra tafri...

Log cheenkhte hue waha se dur bhaagne lage.

Toh wahi wo ladki jo car ki taraf jaa rahi thi wo blast ke blow se thoda sa dur jaa giri aur behosh ho gayi.

Ye sab kuch itni jaldi hua ki waha ke logo ko samajh me hi nahi aaya ki hua kya achanak se.

***

Kuch derr pehle...

Veer iss waqt ussi chhetra me maujood tha. Ragini ne usse kuch samaan laane bheja hua tha. Aaj new year special dinner bann'ne waala tha.

Par...

Wo abhi dukaan ke andar jaane hi wala tha jab achanak se usse ye sunaayi diya.

*Kabooooooooooommmm*

Aur agle hi pal uske raungte khade ho gaye.

'What the...!? What was that!? Kahi aas paas se hi aayi hai awaaz.'

[We must check that out.]

Aur wo gaadi me baithne hi waala tha jab uska phone baj utha.

'Huh!? Kavya?'

Veer : Hello??

Dusri side se Kavya ki zorr zorr se rone ki awaaz aa rahi thi.

Veer : H-Hello? Kavya kya hua? Bol na kuch!? Ro kyu rahi hai?

Kavya ki sisakne ki awaaz Veer ko aur bhi ghabraahat me daalte jaa rahi thi.

Kavya (rote hue) : Bh-Bhaiyaaaaaaaa.... *sniff*

Veer : Kavya darra mat bol jaldi... Kya hua?

Kavya : Dada jiii... Seedhiyo se gir gaye. Hum sabhi hospital me hai. *sniff* Aap jaldi se aa jao...

Aur maano ye khabar sunn Veer ko saanp soongh gaya.

Kavya : Hum sabhi thoda dur hai. Kyuki ye mandir me hi hua.... *sniff* Toh jo hospital accha nazdeek mila wahi aa gaye hum. Aap jaldi aa jao bhaiya... *sniff*

Veer : M-Mein abhi aa raha hu Kavya. Don't worry!

Usne call kaata aur key ko wo lagaaya hi tha gaadi me jab...

*Ding*

[Mission : Rescue Kaera from the hideout.

Rewards : ??? Points.
Mission Failure Penalty : 5000 Points.
Time Limit : 2 Days.]

Aur ye padhte hi uski aankhein felti chali gayi....

'Shiiiitttttt!!!'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Like ki button par thok ke jaane ka. Aur comment karne ka. 😁

Dhanyavaad!




MIND BLOWING JABARDUST AWESOME MARVELLOUS AND INTERESTING UPDATE BHAI
 

Raj

Well-Known Member
4,637
15,615
158
Update - 51~ Trapped
Ab tak...

*Ding*

[Mission : Rescue Kaera from the hideout.

Rewards : ??? Points.
Mission Failure Penalty : 5000 Points.
Time Limit : 2 Days.]

Aur ye padhte hi uski aankhein felti chali gayi....

'Shiiiitttttt!!!'


Ab aage...

Aaj naye saal ka pehla din tha. Ek shubh din. Sab kuch kitna acche se guzar raha tha. Aaj hamaara parivaar kaafi saalo ke baad idhar hamaari kuldevi ke mandir me darshan karne aaya tha.

Shuruaat se hi mujhe puja paath me utni dilchaspi nahi rahi, par aaj waqai sab ke saath milke samay guzaarne me mera mann khush ho gaya tha. Ye sab ki mujhe kitni zaroorat thi, ye aaj mujhe aur acche se samajh me aane laga tha.

Hum sab abhi yahi the, bas lautne ki hi derr thi. Mein baithi hui soch hi rahi thi ki sab ikhatta hoye aur hum sab laute. Ek acche naye saal ki shuruaat ke baad ek acchi bhali shubh raatri. Par shayad ye hona devi ko manzoor nahi tha.

Jab achanak...

"Dadaaaaa jiiiiiiiiii!!!!!!"

"Aaaaaaaaaaaaaa"

Paas me hi maujood upar mandir ki seedhiyo se kuch awaazein aayi.

Jese hi meri nazre uss shor ki orr gayi...

Toh saamne ka nazaara dekh meri rooh kaanp gayi.
Dada jii! Mandir ki seedhiyo se ludhakte hue neeche girte jaa rahe the. Unke peeche unki wheelchair bhi girti hui bas neeche ki orr aati jaa rahi thi. Aur mujhe jo sunaayi de raha tha wo tha shor... Dada jii ki dard bhari cheenkh, Pranjal ka bebasi se chillaana aur uss wheelchar ki girne ki awaaz jo seedhiyo se bas takraati jaa rahi thi.

Tabhi unke peeche se upar mandir se Pranjal ghabraata hua daudta hua neeche aane laga. Saath hi saath mandir me maujood baaki jan bhi. Unke chehro par shikan saaf nazar aa rahi thi mujhe.

Aur hum sab jo mandir ke niche side bhandaare waali jagah par baithe hue the, sab ikhatte uthe aur Dada jii ki taraf daud pade.

Meri choti behan Kavya...

Dada jii ki haalat dekh, unke maathe par khoon saja dekh zorr zorr se bilakhne lagi.

Mein chup chaap peeche khadi hui thi. Kuch samajh nahi aa raha tha kya karu. Par itna zaroor abhaas ho gaya tha mujhe ki...

Meri aankhein bhi namm ho chali thi.

Tau jii aur mere papa, dono hi boht ghabraaye hue lag rahe the. Unn dono ne Dada jii ko uthaaya aur sabse pehle ek jagah acche se unhe litaaya.

Harr taraf afra tafri sii machi hui thi. Kavya ro rahi thi. Tau jii aur Papa Pranjal se sawaalo pe sawaal kar rahe the. Bhumika dii aur Tai jii... Wo bhi chintit nazre liye baato me uljhi hui thi. Vivek bhaiya upar mandir me dekhne gaye the ki Tau jii akhir gire kese!?

Pranjal ka kehna tha ki wo prashaad le raha tha jab achanak hi usne peeche se Dada jii ki cheenkh suni toh woh ghabraate hue daud ke forun hi neeche aaya. Mandir ke pujaari jii ka bhi yahi kehna tha. Wo apne haatho se hi Pranjal ko prashaad de rahe the. Jab achanak hi Dada jii ki wheelchair seedhiyo se neeche chali gayi.

Par ye kese ho sakta tha?

Mein iss sawaal me uljhi hui thi. Akhir Dada jii ki kursi apne aap kese neeche aa gayi!?

Mere mann me bas sawaal hi sawaal ghoom rahe the. Pehle laga ki shayad Pranjal se galti se khisak gayi hogi, par Pranjal toh Pujaari jii ke paas tha. Fir ek pal ke liye mere mann me ye khayaal bhi aaya ki kahi aisa toh nahi ki Dada jii ko kisi ne peeche se dhakka de diya ho? Par fir agle hi pal ye khayaal mere mann se nikal gaya.

Nahi! Aisa kaun karega!? Gaav ke log hume bade hi aadar ke saath kal se rakhe hue the. Hamaari hi seva me lage the. Koi kar hi nahi sakta aisa. Aur kar ke milega bhi kya? Toh bas ab ek hi anumaan baaki tha.

Ki shayad Dada jii ne hi khud galti se chair move kar lii ho aur wo neeche ki orr aa gire. Ye possible tha. Par ye jaan'ne ke liye unka hosh me aana zaroori tha.

Par filhaal...

"Tod dunga... *sniff* Kyu laaye aap sab ye kursi!? Haan!? Mein tod dunga aisi kursi ko. Sab iss kursi ke kaaran. Nahi baithenge aaj se Dada jii ispe..."

Pranjal zorr zorr se rote hue wheelchair ko utha utha ke fek ke patak raha tha. Usne ek wheel bhi ukhaad diya tha wheelchair ka.

Jab Achanak Vivek bhaiya ne aake usse peeche se jakad liya.

"Chorr! Chote... Chote chorr!!! Kya kar raha hai? Paagal ho gaya hai kya!?"

"Chorr do mujhe bhaiya! Sab iss kursi ke kaaran. Na ye hoti na Dada jii girte... *sniff* "

Mein...

Kuch bhi kehne laayak nahi thi. Ekdum maun hi saare nazaare ko dekh rahi thi. Shayad ghabra gayi thi mein. Aisa pehli baar meri aankho ke saamne ho raha tha. Dada jii ki khoon se sani haalat dekh mere jese paav jamm se gaye the.

"Jaldi! Nazdeek me hospital dikha tha na hume aate waqt!? Forun! Papa jii ko car me litao aur chalo forun. Jaldi!"

Tau jii ki awaaz sunn hum sab jese ab rukne laayak sthiti me nahi thi. Gaav waalo ko jaldbaazi me hi vida dekaar hum sab jald se jald nazdeeki hospital pohuche.

Kavya! Mere kandhe par sarr rakh poore time aasu bahaati jaa rahi thi. Meri maa bhi, boht chinta me thi.

Dada jii ko forun hi hospital waalo ne bharti kar liya tha.

Aur hum sab bas unke ward ke baahar hi gumsum se baithe hue the.

Aaj ka itna accha shubh din, jese ek maatam ke din me badal gaya tha. Palak jhapakte kya se kya ho gaya. Bas dua yahi thi, ki Dada jii ko kuch na ho.

Sabse zyaada Dada jii ka attachment Kavya se tha aur...

Haan!

Jese mujhe koi yaad aaya.

Veer!

Kavya aur Veer se hi Dada jii sabse zyaada attached rahe hai. Shayad kuch dino se Pranjal ke prati bhi unka rujhaan badh raha hai.

Veer ke baare sochte hi... Mujhe uska chehra apne mann me nazar aane laga.

Aur wo lamhe...

Wo Diwali ki raat...

Jab Mein Kavya ko scooty par baitha ke unn gundo se bhaag rahi thi. Aur uss raat Veer hume bachaane aaya tha. Jab wo ek chattaan ki tarah saamne khada tha mujhe unn gundo se bachaane ke liye.

Pata nahi kyu, par aaj bhi uss lamhe ko yaad kar, mere raungte khade jaate hai. Wo pal mein kabhi na bhul paungi.

Uske baad se samajh aaya tha mujhe. Ki mein kitni galat thi. Kitne bade andhkaar me jee rahi thi. Bhala mein aisa kese kar sakti thi!? Keval Vivek Bhaiya aur Pranjal ki baato me aakar mein apne uss pyaare bhai ko neglect karti aayi jo bina kuch soche, bina apni jaan ki parvaah kiye ek pal me waha haazir ho gaya tha mujhe bachaane ke liye.

Wahi ye Vivek bhaiya, aur Pranjal. Kehne ko toh mere sage bhai hai. Par inn dono ne uss din mera phone nahi uthaaya tha. Aur mein inki baat maan rahi thi!?

Sach me...

Mujhe khud pe ab hassi bhi aati hai aur ghin bhi. Mein shayad isliye... Veer se nazre nahi mila paati. Badi mushqil se uske aas paas mein khadi reh paati hu. After all, he's too pure.

Aur Veer ke baare me sochte sochte hi mujhe ye bhi khayaal aaya ki...

Dada jii ke baare me usse toh pata hi nahi.

Mene bagal me baithi Kavya ko dekha aur uss se kaha,

"Kavya! Veer ko iss baare me kuch nahi pata hai. Usse bata do."

"Huh!?"

Kavya meri baat sunn ascharya me mujhe dekhi par fir agle hi pal wo haan me sarr hilaayi aur uth ke baahar ki orr chali gayi.

Aur mein yaha yahi soch rahi thi.

'Will he come!?'

***

'Fuck! Keval tumhaare kehne par mein ye risk le raha hu.'

[Wait what!? Mene tumhe force nahi kiya okay!? I only suggested.]

'Haan! I know ki kese suggest kiya tha tumne. Arre Dada jii ke paas baad me chale jaana. Pehle mission pe jao. Uske baare me details lo. Blah blah blah. Kaun tha ye kehne waala!?'

[Wh-!?? Haan toh kya galat kaha!? Hmph! Dada jii ko toh baad me bhi dekhne jaa sakte hai. But Mission ki time limit 2 days ki hi hai. Aur bhulo mat ki mission update hua tha kuch derr pehle hi. Yadi firse hua aur time limit ghat gayi toh!? Fir kya karoge!?]

'Ussi ko dhyaan me rakh ke yaha aaya hu. Even though, mujhe Dada jii ko dekhne ka mann kar raha hai. Na jaane kya hua hai, kis haal me honge wo?'

Raat ke 9 baj rahe the aur Veer aur Pari dono hi yaha anjaan sii jagah par apni hi behas me lage hue the.

Kaaran!?

Kaaran tha ki Veer ka mission already update ho chuka tha aur usse location mil gayi thi ki hideout kaha par hai.

Nikla toh wo Ragini ke liye samaan lene tha. Par bechaara aa pohucha tha wo hideout. Yahi thi Veer ki Zindagi. Naye saal ke pehle din hi, usse aaj aise mod pe laake khada kar diya tha system ne. Ek taraf uske Dada jii toh ek taraf Kaera. Uski zindagi me uthal puthal toh hona hi tha.

Aur kab na jaane kya ho jaaye.

Kherr! Usne phone kar Suman ko bol diya tha ki wo Ragini ke liye samaan le aaye aur Ragini ko jata bhi de ki wo late aaega aaj.

Par sabse bada sawaal abhi uske mann me ye tha ki...

'Wtf is Miss Kaera doing here!? Wo toh Delhi me thi na? Yaha kab aayi? Shit! Kaun hai ye log jo unhe yaha le aaye hai. I can't let anything happen to her.'

[I don't know. Par mujhe kuch galat sa mehsoos ho raha hai. Like kuch waqai bura hone waala hai. So beware~]

'Hmm! Par ye kesi ajeeb sii jagah hai!?'

Usne apni bike ek jagah dur lagai jaha kisi ko asaani se nazar na aaye aur wo sunsaan raaste ko paar kar hideout ki boundary par aaya.

Usne dekha ki andar jaane ke liye side me ek bada sa gate tha jo ki band tha andar se. Aur aisa bhi ho sakta hai ki gate ke andar pehre daar bhi ho.

Par abhi iss waqt usse boundary par lagi jaaliyo se hi andar ka kuch nazaara dikhaayi de raha tha.

Lohe ke bade bade container rakhe hue the alag alag rang ke. Na jaane kya bhara hua tha unme.

'Huh!? Ye Pubg me goergopol waali jagah ki tarah kyu dikhaayi de raha hai mujhe. Khaas kar ki wo lohe ke containers.'

[Shut up! Think ki andar kese jaaoge. Game ke baare me baad me sochna.]

'Oh c'mon! I'm your master! Not you... I dont know tumhari deal kya hai but I have already figured out ki tumhaara behaviour harr level par badal jaata hai.'

[What!? What are you saying!!? It's... It's nothing like...]

'Jhooth nahi bolo. Koi fayda nahi hai. I already know. Harr level par... Your behaviour changes. Warna mujhe aap kehkar pukaarti tum. Aise rudely baat naa karti. Na jaane meri pichle level ki Pari kaha chali gayi. I miss her.'

[Huh!? W-What the hell? Y-You think I'm rude!? Huh!??? :angry: ]

'Of course you are. Aur shut up! Let me think...'

[Y-You... Y-You... :angry++: ]

'Sleep mode me bheju tumhe!?'

[Ehhh!? N-Noo! Ughhh! Dekh lungi... Hmph! :beee:]

'I can hear that.'

[ :eek1: ]

'Just what are these things...!?'

Bauhe sikodte hue wo dheemi chaal chal ke ek boundary ke paas rakhe hue container ke paas aaya aur...

'Check'

[Description : An Iron Container. Contains sedatives and other drugs for smuggling.]

Veer ne uss container ko jese hi check kiya, uski aankhein hairaani ke maare felti chali gayi.

'No wayyyyy! This...!?'

[Drugs... Iska matlab saaf hai. Ye koi gang hai. Andar boht log ho sakte hai. Now I think ki tumhe andar nahi jaana chahiye. It's getting late.]

'Waah! Pehle khud bolti ho ki jaldi se hideout par chalo, aur ab aa gaye toh keh rahi ho ki waapas chalo.'

[That... That's because Mujhe nahi pata tha ki it will be a gang. Look! In simpler terms, hume nahi pata andar kaun hai, uska kya iraada hai, kyu wo Kaera ko laaya hai. Mere khayaal se hume kuch details leke hi andar jaana chaahiye.]

'Nahi! I'm going in. Miss Kaera andar hai.'

[B-But...]

'You won't understand! She's my responsibility. Jab tak wo khud se mujhe mana nahi kar deti, wo meri zimmedaari rahengi. I must help her. Aur kya pata, kaho andar kam log ho aur hum asaani se unhe churra ke baahar le aaye.'

[I-I don't think so...]

'As I said... I'm going in...'

[W-Wait!]

Par Veer na ruka. Shayad uske andar jaane ka kaaran, bheetar maujood Kaera thi.

Veer ko na jaaane kyu, Kaera apni ek zimmedari ki tarah prateet hoti rahi.

Akhir, Kaera ka first time usne uss se chheena tha.
Chheena toh nahi kehenge. Par ye bhi nahi kahenge ki Kaera ne apni marzi se usse diya tha. Akhir wo toh nashe me thi. Bas! Shayad isliye, Veer ko ek sense of responsibility mehsoos hoti thi apne upar.

Andar jaane ke liye, zaahir sii baat thi wo main gate se nahi jaane waala tha. Waha se jaana matlab khud ke perr par kulhaadi maarna.

Poore hideout ki boundary ka chakkar lagaane ki soch jab wo aage badha toh ek jagah usse ek chota gate nazar aaya. Ye hideout ka pichla hissa tha shayad. Aur yaha se keval auto tak ke nikalne jitni jagah thi. Uss se zyaada nahi.

Jese hi Veer uss gate ke nazdeek aaya, usne gate ko halka sa dhakka diya aur...

*Creeeaaaaaaakkkkk*

'Fuckkk! It's open!'

[Shor mat karo....]

'You shut up first...'

[You.... ]

Andar aate hi uske kaano par ek awaaz padi,

"Abe peeche ka gate band kar, aur faaltu ke jo bulb jal rahe hai unhe bhi band kar..."

"Haan! Karta hu..."

Aur ek aadmi gate ki taraf badha.

'Shit~!"

Mauka dekhte hi Veer ek wahi rakhe container ke peeche chhup gaya.

Ye uski kismat thi, jo uss aadmi ne usse nahi dekha tha. Wo aadmi aaya gate band kiya aur andar chal diya.

Andar ek badi sii building type kii thi. Kuch jagah se puraani toh kuch jagah se nayi prateet ho rahi thi.

Khud ko savdhaan kar, Veer ahista ahista logo se bach bach ke jese tese andar tak pohucha.

'1, 2, 4.... 16... 22... Fuckkk! Kitne log hai behanchod! Damn it! Where is she!?? Miss Kaera!?'

[B-Be... Safe...]

'I know! Mein soch raha hu ki bina fight liye hi unhe yaha se churra ke le jau. But I don't think ye utna asaan hai.'

[Asaan hai!? It's almost impossible!]

Jab Veer thoda aur andar tak aaya toh usse jese sabse bada jhatka laga.

Uske perr wahi jamm se gaye the. Muh ekdum khula ka khula, ankhein feli ki feli...

Kyuki saamne...

Kaera ek kursi par baithi hui thi, rassiyo se bandhi, shayad behosh thi woh.

Par...

Uss se bhi zyaada jhatka dene waali baat ye thi ki Kaera ke saamne jo shaks khada tha...

Wo koi aur nahi balki wahi tha. Jis se Veer do baar path cross kiya tha.

Slogan!!!

'N-No wayyyy! H-He... Ye toh wahi hai. It's him!!!! K-Kya naam tha!? Yes!!! Slogan!!!! Wh-What is he doing here!? Iska matlab... He's the one!??? I... I knew it. There was something wrong with him.'

[W-Why!?? Ye sab aur ulajhta jaa raha hai. Listen! Let's go back. Kaera ke bodyguards ko hum inform karte hai. Wo usse search karne me lage honge. We will find tgem aur fir unke saath hum waapas yaha...]

"Chalo baahar bhi aa jao ab!"

Pari ki baat adhoori hi reh gayi jab achanak hi Veer ko apni peeth par ek gun ki nok mehsoos hui aur uske peeche se kahe gaye wo shabd.

'Shit!!!!'

Wo palta aur dekha toh saamne ek hatta katta aadmi maujood tha. Uske haath me ek silver colour ka revolver tha.

Revolver se ishaara kar wo Veer ko baahar laaya aur Veer aur Slogan ki aankhein ek baar fir aapas me takraayi.

Slogan : Swaagat hai! Welcome! Welcome! Mujhe pata tha tum yaha aaoge hi!

'Huh!? How did he..!?'

[Isse kese pata? Is he joking or what!?]

Slogan : Baitho! Baitho!

Slogan ne ishaara kae Veer ko Kaera ke bagal me rakhi chair par baithaaya. Majbooran Veer ko baithna pada.

Par uski nazre ek baaj ki tarah Slogan par hi maujood thi.

Slogan : Zara inka bhi toh swagat karo bhai!

Aur uske itna kehte hi Steve jo revolver liya tha usne apna revolver khosa aur rassiya laake Veer ke haath perr dono baandh diye.

Veer (gusse me) : Kaun ho tum asal me!? Aur ye sab kya hai!?

Slogan (smiles) : Arre bataya toh tha na bacche!? I'm Slogan!

Veer (gusse me) : Don't fuck with me. Mein already internet aur harr jagah search kar chuka hu. Slogan naam ka koi aadmi nahi hai.

Slogan (laughs) : Of course! Of course! Hahaha~ But... Kya tumne underworld me kisi se pucha!?

Veer : Huh!??

Slogan (smiles) : Nahi na!? Toh kese pata chalega!?

[Ugh! Ye aadmi boht creepy hai. What the hell is wrong with his smile!?]

Slogan : Steve!

Steve : Jii Dada!

Slogan (smiles) : Kursi lagao bhai! Aur show shuru kiya jaaye!

*Clap* *Clap*

Aur uske taali bajaate hi achanak hi saari lights band ho gayi. Bas baaki tha, toh Veer aur Kaera ke upar laga hua uss safed L.E.D ka jalna jo hawa me taar se latka hua tha.

Aage kya hone waala tha, Ye toh Veer nahi jaanta tha. Par itna zaroor jaanta tha ki...

Something bad was about to happen.

***

Veer jab Ghar se baahar samaan lene nikla hua tha. Uske kuch derr baad hi uske ghar me ek shaks aaya.

Aur ye koi aur nahi uski chaheeti Nidhi ma'am thi.

Ragini : Arre!? A-Aap yaha!? Itni... Raat gaye!? Aaiye na!

Nidhi : Hmm~

Ragini : J-Jii! Kese aana hua!? Sab theek toh hai na?

Nidhi : Huh!? Ah! Sab... Sab theek hai. Wo... V-Veer kaha hai!?

Ragini : Veer ko toh mene samaan laane ke liye bheja tha. Par... Abhi thodi derr pehle hi uska phone aaya ki wo kisi kaam me busy hai toh aane me late ho jaega.

Nidhi (frowns) : Itni raat gaye wo kis kaam me busy hai!?

Ragini : Ye toh usne mujhe bhi nahi bataaya. Par jab aaega toh zaroor bata dega. Kuch aa gaya hoga usse zaroori kaam...

Nidhi : Aap uski Bhabhi ho... Aur aapko zara bhi chinta nahi ki wo kaha gaya hai itni raat gaye!? Na college jaata hai woh, na koi kaam dhandha, aur na hi uska koi dost hai. Fir kis kaam se gaya hai woh!? Aapne ek baar bhi sochne ka prayaas nahi kiya!?

Nidhi ke ekdum se bole gaye shabdo ko sunn Ragini jese hairat me wahi khadi reh gayi. Aur wo bas stabdh nigaaho se Nidhi ko ghur rahi thi.

Fir jese Nidhi ko bhi dhyaan aaya ki bhala ye kesa ravaiyya dikha diya usne apna Ragini ko. Na jaane kya soch rahi hogi woh uske baare me.

Nidhi : Ah! Wo... Maaf karna... Wo mein... I didn't mean it like...

Ragini : It's! It's okay! Aap aaiye... Baithiye na!

Nidhi : Hmm~

Thoda embarassed feel karte hue Nidhi sofe par baithi toh Ragini ne usse paani serve kia.

Ragini : Ab bataaiye!

Nidhi : Actually! Mujhe Veer se hi milna tha.

Ragini : Koi zaroori kaam!?

Nidhi : Hmm~ Kal jab hum saath me giant wheel...

Ragini : !???

Nidhi : Ahem... Mera matlab hai... Kal jab wo mere saath tha toh usne bataaya tha ki... Wo ab college continue nahi karega. Kal toh mein usse kuch keh na paayi...

Aur Nidhi kyu na keh paayi thi ye baat bhi wo jaanti thi. Akhir Veer uske hontho ke kareeb jo aa gaya tha kal.

Ragini : Usne aisa kaha!?

Nidhi : Hmm~ Aur isliye... Ek teacher hone ke naate ye mera farz hai ki mein apne students ko sahi raah dikhau. Aur Veer toh fir bhi mera favourite student raha hai. Hamaara relationship friends ki tarah bhi raha hai. Toh mein laut rahi thi... Isliye socha Veer se baat kar usse fir se samjhau... Kitna zaroori hai. Career!

Ragini : Aapki baat sahi hai. Wese... Aap kidhar se laut rahi thi? Aapka ghar toh yaha se thoda sa dur hai. Kisi relative ke yaha aayi thi aap!?

Nidhi : Wo...

Aur itna bol Nidhi bauhe sikode ekdum chup ho gayi.

Ragini : Maaf karna. Yadi nahi bataana hai toh koi baat nahi.

Nidhi : ....

Ragini : Par yadi aapki ye college waali baat sahi hai toh. Mein Veer se iss vishay par zaroor baat karungi. Usse samjhaungi.

Nidhi : You must...

Ragini : J-Jii! Bilkul! Ye kya!? Aapne itni patli sweater pehni hui hai!? Baahar kitni thand hai.

Nidhi : No! I'm fine~

Ragini : Aise kese!? Mein abhi aapke liye ek shawl le aati hu. Thand me laut'te waqt kaam aaega. Aur... Aap rukiye abhi chai bana ke laati hu.

Nidhi : Nahi! Iski koi zaroorat nahi.

Ragini : Mene kaha na... Rukiye! Warna Veer mujhe chillaega fir... Kahega ki meri favourite ma'am ko yu hi bina kuch khilaaye pilaaye hi kese jaane de diya!? Haha~

Nidhi (budbudaate hue) : Yadi usse meri baato ki itni parvaah hoti toh unn vaado ko nahi todta woh...

Ragini : Hmm!? Kuch kaha kya aapne!??

Nidhi : N-Nahi! Kuch bhi nahi!

Kuch derr baad dono hi baith ke chai pee rahi thi aur baato me lagi hui thi.

Par Ragini ko kuch mehsoos zaroor ho raha tha.

Usne dekha ki baat baat par kabhi Veer ka zikr aate hi Nidhi jese gum sum sii ho jaati thi toh kabhi kuch aur soch apne khayalaato me doob jaati.

Unki ye mulaqaat zyaada derr tak ki na rahi, kyuki Nidhi waha se bina Veer se mile hi jaa chuki thi.

Aur idhar Ragini bechaari...

Wo iss umeed me thi, ki Veer kuch derr me laut aaega. Par usse kya pata tha, ki Veer toh waha Slogan dwara kab ka uske changul me phass chuka tha.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!

Dhanyavaad!



JABARDUST EXCELLENT FANTASTIC SUPERB AND INTERESTING UPDATE BHAI
 

Bruce The Bat

Member
162
1,000
123
Awesome update Werewolf bhai.
Iss update me bhi last me suspense bana diya. Bahut badhiya bhai. Love the way you write the story. Har ek character ki feeling aur uske bhaav bakhubi dekhate ho aap. Jese aarohi aur kaera iss update me.
Hotel me party thi to kaera bhi jese bas formality ke liye hi gayi thi. Uska mann kaha lagta he inn sab me. Bachpan se hi ye sab dekh ke badi hui he wo. Kuch special nahi he. Special usse wo teady bear laga hoga jo veer ke sath jeeta tha, wo time jo veer ke sath bitaye, veer ke wo shabd. Yaha ek soft side bhi dikhi kaera ki. Apne papa ke dost ki madad ki. Ab kaera ko kaha pata he raghu unko chhodne jayega aur idhar wo kidnap hogi. Plan to badhiya banaya tha slogan ne aur execute bhi perfect kiya usko. Jassi ko pata lagte derr na lagi par tab tak plan kaam kar chuka. Ho gayi uski miss kidnap.
Yaha manorath ji ko hospital me treatment shuru ho chuka he. Achha he khatre se bahar he taki jab sachhai pata chale to khud se pranjal aur vivek ko ek laga sake kaan ke niche. Aur unke dono beto ko bhi. Karunesh ko bhi lagana ek apne dono harami kya karte he ? Kaha jate he ? Kuch bhi najar na rakhte. Khair yaha aarohi ne dimag chalaya to sahi. Usse pranjal ke behaviour se shaq hua he par koi thos proof nahi uske pass. Wheelchair yaad aayi to sahi par uska wheel pahele hi nikal chuka tha chota harami. Yaha shweta bhi bas apna hi soch rahi he. Karo jo bhi Karna he bure din bhi aayenge sab ke. Yaha par ek sawal he ye dono harami veer se nafrat karte he par kya bachpan se hi esa he ya abhi property ke liye ?? Bachpan se nafrat he to unke dimag me nafrat dali kisne ?? Koi to hoga hi ??
Aarohi sawal puch rahi he par bada harami he baju me. Jo baat taal raha he. Ab ye baat manorath ji ki bachkani he ki devi maa ne saja di. Bhagwan ka dil itna bhi chota nahi ki aap unko yaad na karo to wo aapko saja de 😅. Par kya pata ye baat aarohi ke liye khaas bann jaye. Jese vivek haa me haa mila raha he shaq to hui hoga usse.
Slogan ke hideout pe dono bandhe he. Veer ki halat kharab he abhi to kuch kar nahi sakta. Kaera ko samjh to diya short me. Kaera ko bhi darr nahi slogan se. Slogan to sala kisi pe bharosa na karta. Ab ye kon he jisne ye bhi predict kiya tha ki veer aayega ?? Kahi usse pari ke bare me kuch pata to nahi ??
Slogan ne yaha kaera aur veer dono ko chot pahuchne ke liye kaera ke hatho veer ko chaku mara. Kaera ne bhi jese bahut samay baad please kaha aur aankho me aasu bhi aaye. Bas usse pata nahi kyu hua esa. Achha hua bone ripper ki wajah se jyada penetration nahi hua. Yaha pari ki bhi chinta dikhai di veer ke liye. Bas uska behaviour change hua he wo nahi. Achha hua sahi waqt pe raghu aa gaya. Par sawal he ki hideout ka pata kese chala usko ?? Kahi Steve ne to nahi intel di 🤔 ?? Ya kisi aur ne ??
Kaera ke dad kon he wo to pata chal hi jayega par kaera ke uper check kyu nahi kiya ?? Aur ye hospital me kon he teeno ?? Kaera, ragini aur suman lagti mujhe to. Nidhi aur shreya bhi ho sakti he. Sonia aur suhana hui to majha aayega.
Aur ek baat thi bhai. Ye dono harami ko unke khel me hi harana. Esa Karna ki dono ka sabke samne asli chahera aa jaye.
Aur bhavna ji aur unki beti kab aane wali he ??
Waiting for next update.
 

Raj

Well-Known Member
4,637
15,615
158
Mega Update

Update - 52 ~ Bruised and Battered
Ab tak...

Unki ye mulaqaat zyaada derr tak ki na rahi, kyuki Nidhi waha se bina Veer se mile hi jaa chuki thi.

Aur idhar Ragini bechaari...

Wo iss umeed me thi, ki Veer kuch derr me laut aaega. Par usse kya pata tha, ki Veer toh waha Slogan dwara kab ka uske changul me phass chuka tha.


Ab aage...

Veer aur Kaera dono hi Slogan ke changul me phass chuke the. Par ye baat shayad Veer ke ghar me kisi ko na pata thi. Ab sawaal ye uthata hai ki jab Kaera kidnap kii gayi tab uske ird gird ghumne waale Jassi aur Raghu kya kar rahe the? Aur kaha par the?

1st January
New Year's Eve
************* Hotel
Few hours back...

*********** Hotel me iss waqt party shuru ho chuki thi. Visitors apne aap me lage hue the. Shaam se chaalu hui ye party, aaj derr raat tak chalne waali thi. Akhir naya saal roz roz thodi aata hai bhala. Par uss se bhi khaas baat ye thi ki yeh party vishesh thi.

Kyu? Kyuki Kaera jo unn invite kiye gaye sadasyo me se ek thi. Aur yadi Kaera jaisi hasti party me ho toh ye baat jataane ki bhi zaroorat nahi ki party kitni khaas rahi hogi. Aur beshaq, party keval khaas logo ke liye hi thi. Uske bawajood Kaera shaam me thodi derr ke liye party attend kar bas waapas lautne ki hi soch rahi thi. Shayad iss party me uska mann nahi lag raha tha.

Aur jab wo baahar nikalne hi waali thi ki kuch awaazo ne uska dhyaan kheech liya.

"Dekho! Mein ab bhi kehti hu aap gaadi chalaane ki haalat me nahi ho. Mene kaha tha driver ko saath me le chalna chahiye. Par aap ho ki..."

"Arre... Mene kaha na *hic* ki mein chala lunga... *hic* Tum kyu khamakha *hic* tension le... le rahi ho?"

Inn awaazo ko sunn jab Kaera unn do vyaktiyo ke nazdeek aayi toh usne dekha ki ek aged couple aapas me behas kar rahe the. Jo aadmi tha wo nashe me tha aur uski patni usse aisi haalat me gaadi chalaane ko mana kar rahi thi.

Kaera : Ohhh!? If it isn't Mister and Mistress Bansal??

Aur Kaera ki awaaz sunn jese hi uss lady ne usse dekha toh wo chaunk gayi.

Aurat : Arre? K-Kaera beti... tum!?

Kaera : Mujhe nahi pata tha aap bhi yaha aayi hongi Miss.

Aurat : Ohh! Beta! Quit the formalities. Dekho na tumhi, tumhaare ye uncle meri baat sunn hi nahi rahe hai. Aaj jamm ke wine pee hai inhone. Mene kaha tha inn se ki driver rakh lete hai par inhone meri ek na suni aur usse mana kar diya. Ab wo apne ghar chala gaya hoga. Ab aisi haalat me mein inhe kya drive karne de sakti hu? Tum hi batao beta!?

Kaera : Drink and drive? No way! Aap wahi puraani location me situated ho na abhi bhi?

Aurat : Haan beta!

Kaera : Then don't worry! Raghu!?

Raghu : Haan! Haan Miss!?

Kaera : Go and drop Mister and Mistress Bansal!

Raghu : Huh!? Par? Par Miss!? Mein aapko chorr ke bhala...?

Kaera : Are you questioning me Raghu? Jassi hai yaha par. You don't have to worry!

Raghu : J-Jii!

Na chaahte hue bhi, apni miss ke order par Raghu ko bemann agree karna pada.

Aurat : Arre! Beta?? Iski kya zaroorat? Arre, mein call kar ke kisi ko bula lungi. Boht log hai beta, koi na koi aa hi jaega.

Kaera : Don't worry Miss! Chota sa hi kaam hai. Raghu will do it. Aur karne dijiye mujhe help, warna Dad ko pata chala toh baad me wo mujhe sunaenge. After all wo aur uncle puraane friends hai.

Aurat (smiles) O-Okay beta! Sach me, kitni badi ho gayi ho tum aur kitni samajhdaar bhi. Kitne saalo pehle dekha tha mene tumhe. Ab toh bas tv aur newspapers me dikhti ho tum. Aur kitna aage badh chuki ho tum aur badhti jaa rahi ho. Aise hi jeevan me success milti rahe tumhe beta. Bless you!!

Kaera : Thank you Miss!

Aurat : Beta ghar zaroor aana.

Kaera : Hmm~

Aur fir Raghu dono Mister aur Mistress Bansal ko unki hi car ko drive kar unhe ghar ki orr le gaya. Idhar Kaera ab keval Jassi ke saath hi maujood thi.

Aur dono hi nikalne waale the jab...

Jassi : Ugh! Miss! Mein washroom se abhi aata hu. Aap kahi jaana mat. Idhar hi rukna.

Kaera : Are you okay Jassi? Kaafi derr se notice kar rahi hu. Tum teen se chaar baar washroom ki orr jaa chuke ho. Is everything alright?

Jassi : Wo... Pata nahi Miss! Shayad... Nahi kuch nahi! Mein... Mein abhi aata hu. Bas yu gaya aur yu aaya.

Bolte hue Jassi forun hi apna pait pakad ke washroom me ghusa aur zorr se darwaaza band kar toilet seat par baith gaya.

'Dhatt saala!!! Kuch gadbad hai. Kisme?? Ek minute!!!! Wine!!!! Haan!! Iski toh... Shit!!!! Achha hua Raghu ne nahi lii! Mujhe jald se jald usse yaha bulaana padega.'

Idhar baahar Kaera ki car ke andar hi uska driver baitha hua tha jab andar hotel se ek aadmi suit pehne aaya aur haath me ek gift tha uske ekdum chamkeeli gift wrapping se saja hua.

Usne window par khat khataate hue driver se window neeche karwaayi aur bola.

Aadmi : Ye Miss Kaera ka gift hai, isse andar rakh lo.

Driver : N-Nahi! Miss ke gifts hamesha Raghu Sir aur Jassi Sir hi laate hai. Mein...

Aadmi : Arre haan baba! Mujhe pata hai, par abhi wo Miss ke saath unke saath khade hai, wo kya hai na andar bheed hai. Aur tum mujhe nahi jaante? Soch lo! Miss Kaera ne hi bheja hai mujhe ye gift rakhwaane. Yadi mein waapas jaa ke tumhaari shikaayat kar diya na, toh tumhaari naukri gayi samjho.

Driver : N-Nahi! Accha theek hai! Rakh do! Miss ka hi hai na?

Aadmi : Haan na bhai, ab kya likh ke du?

Aur wo aadmi gift ko andar rakh chala gaya. Driver thodi duwidha me toh zaroor tha par jab usne dekha ki banda andar hotel se hi aaya tha aur suit bhi pehne hue tha aur saath hi saath gift ekdum neatly packed tha toh usne bhi fir zyaada dhyaan nahi diya.

Idhar andar maujood Kaera ko khade hue 5 minute ho chuke the par abhi tak Jassi baahar nahi aaya tha aur ye soch usne car me baithne ka faisla liya.

Baahar kya ho raha tha unn baato se bekhabar idhar andar washroom me baitha hua Jassi iss waqt Raghu ko call laga raha tha.

*Ring Ring*

Raghu : Bol Jassi!

Jassi : Jald se jald unhe chorr ke waapas aa, yaha kuch gadbad hai.

Raghu : K-Kesi gadbad!?

Jassi : Meri wine me drug mila hua tha!

Raghu : Kyaaaaa!? Tu... Tu theek toh hai na?

Jassi : Hmm! Constipation Drug!!

Raghu : Ek minute!!! Tabhi tu...???

Jassi : Haan! Pehle mujhe laga tha mera hi pait kharaab hai par nahi. Kisi ne meri wine me drug milaaya tha. Mein daawe ke saath keh sakta hu. Ugh!!! Tu... Tu jald se jald yaha aa, mein washroom me hu aur Miss baahar. Tu iska matlab samajh raha hai na?

Raghu : Wait! Tu washroom ke andar se baithe hue mujhe call kar raha hai? Haha~

Jassi : Gandu! Ughhh! Hassne ka samay nahi hai.

Raghu : Right! Haggne ka samay hai hahaha~

Jassi : Iski toh... Abey Saale!! Ugh!!! Mein serious hu! Jo koi bhi hai wo yaha par hotel me maujood hai. Aur uska target Miss hai. Aur aisa karne waala ek hi insaan ho sakta hai...!

Raghu (frowns) : Slogan!!!

Jassi : Right... Aargh!! Dekh! Tujhe jald se jald yaha aana hoga. Meri haalat sahi nahi hai. Pait me dard hai. Miss baahar akeli hai. Tu samajh raha hai na?

Iss baar Raghu ki bolti band ho gayi. Usse samajh aa chuka tha maamla gambheer hai.

Jassi : Tu bas jaldi...

*Kaboooooooooommmm*

Aur tabhi ek itni tezz awaaz aayi ki andar washroom me baithe Jassi ko vibrations tak feel hue uss dhamaake ke.

Jassi : Shit...!!!!

Maano jese uske chehre se rang hi udd gaya tha.

Raghu : J-Jassi!?? Wo awaaz kesi thi!? Oyeeee! Jassi!?

Par Jassi toh jese koi baat ka jawaab dene ki haalat me nahi tha. Usne forun apna pant sahi kiya aur phone bina kaate hi jeb me rakha aur door ka knob jese hi usne kholna chaaha toh paaya ki...

Door locked tha.

"Iski maa ki aankh... Dhattttt!!!!!"

*Thud*

Gusse me usne zorr se ek laat dii door ko par door tass se mass na hua.

Tabhi uski nazre upar ko gayi toh usne dekha upar opening thi. Yaani ki thoda chadh ke waha se nikla jaa sakta tha.

Aur yahi soch wo lag gaya apne kaam me.

Par tab tak boht derr ho chuki thi.

Kaera jo bomb ke blow se gir kar behosh ho chuki thi, wo Steve aur uske saathiyo dwaara ek gaadi me baith chuki thi. Aur palak jhapkate hi unki gaad waha se rafu chakkar ho gayi. Bas reh gaya toh...

Kaera ki jalti hui Mercedes ka dhaacha jisme tezz aag ki lapte apna kaam kar rahi thi, logo ki afra tafri, aur unka shor.

***

Wahi yaha hospital me bhi kuch sahi nahi chal raha tha. Doctor ne bataaya tha ki Dada jii ko chot zaroor aayi thi par koi critical chot nahi thi.

Ab chuki unki age ke hisaab se zyaada strong medications nahi de sakte isliye doctors ne slow process ko apnaaya. Wese hi Dada jii iss waqt kamzori ki sthiti me the.

Toh unka dose light rakha gaya tha. Isme time zyaada lagne waala tha par yahi sabse sahi raasta tha.

Unke maathe aur ghutno par chot zyaada thi. Isliye zyaada se zyaada araam karna hi unki best medicine tha.

Arohi idhar baithi hui soch rahi thi ki Veer kab tak aaega? Kyuki Kavya ko uss se baat kiye kaafi samay ho chuka tha.

'Maybe subah aaye woh!?'

Usne Veer ke baare me sochna band kiya aur apne aas paas maujood sabhi logo ko dekha aur unki baatein sunn'ne lagi.

Karunesh : Mere khayaal se, baccho ko ab ghar bhej dena chahiye. Aur ladies logo ko bhi. Hum gents log yaha reh lenge! Kyu Bhaiya!?

Brijesh : Hmm! Shweta, tum Bhumika ko leke ghar chali jao.

Shweta : Par...!?

Brijesh : Hum hai na idhar. Raat bhar hum reh lenge yaha. Aur subah hum sab fresh hone jaenge toh tum me se koi bhi yaha aa jaana tab tak ke liye.

Shweta : Th-Thik hai!

Brijesh : Kavya, Arohi, Vivek, Pranjal aur Sumitra aap bhi. Aap sab ghar jaiye. Mein aur Karunesh hai yaha par. Raat bhar hum dekh lenge.

Kavya : Nahiiiii! Mein Dada jii ko aise akele chorr nahi jaungi.

Karunesh : Beta Tau jii sahi keh rahe hai. Pehle apni sehat dekhna bhi zaroori hai. Aur hum toh hai na yaha par!?

Kavya : Nahi mein nahi jaungi!

Arohi : Mein bhi nahi!

Brijesh : ???

Pranjal : Aur mein bhi nahi Papa!

Karunesh : Beta! Zidd nahi karte!

Vivek : Kavya aur Pranjal tum dono chote jao. Mein aur Arohi yaha Papa aur Tau jii ke saath rukenge.

Pranjal : Par bhaiya...!?

Vivek : Mene kaha na!

Pranjal : Fine!

Kavya : Bhaiya mujhe bhi rukna hai...

Vivek : Subah Kavya! Subah! Subah fresh hoke aana fir hitni derr rukna ho yaha rukna. Ab raat bhi kaafi ho rahi hai. Jao! Savere se waha mandir ki bhaag daud me thak gayi hogi. Chaliye aap sab. Mein drivers ko bol deta hu.

Aur na chaahte hue bhi Vivek sabhi ko gaadi me baitha kar unhe ravaana karwa diya.

Car me baithi iss samay Shweta apna angutha daato tale dabaaye chinta me thi.

'Kese!? Ye sab kese ho gaya!? Dada jii ke saath aaj saal ke pehle hi din!? Meri toh kuch samajh nahi aa raha. Unka swasth rehna zaroori hai.'

Toh wahi car me aage baitha Pranjal mann hi mann muskuraa raha tha.

'Sab kuch sahi se hua. Kya kehne hai mere bhi! Haha~'

Sochte hue usne apni jeb me haath sehlaaya jisme wheelchair ka wahi toota hua pahiya rakha hua tha.

Ye wahi pahiya tha jo usne wheelchair ko patakte waqt ukhaad ke alag kar diya tha. Kyu!??

Kyuki yahi toh saare raaz chhupaaye hue tha.

'Kya khoob alter karke diya diya hai ye pahiya uss robotics club waale ne. Hahaha~ Andar itne chote gears haraami ne fit kese kiye!? Kherr jo bhi ho, Mene sahi time pe remote ki button dabaayi ekdum haha~ Mandir ke pujaari ke saamne tab mein apne haath felaaye prashaad le raha tha.
Par usse kya pata tha ki uske pehle hi mene jeb ke upar se button daba dii thi. Hehehe~ Ab bas saari jaayzaat hamaari. Ab aage ka plan araam se karna hai.'

Sabhi ki nazro pare, Pranjal apna chehra chhupaaye apne hontho par muskurahaat bikhere hue tha.

Aur idhar hospital me keval Vivek, Arohi, Brijesh aur Karunesh hi bache the Dada jii ki dekhbhaal ke liye.

Khaane ki tension nahi thi kyuki bhandaare ka kuch khaana lunchbox me rakha hua tha toh raat araam se guzar jaane waali thi.

Arohi jo wahi baithi hui thi wo abhi bhi puraani vardaat ko yaad kar ussi baare me soch rahi thi.

Fir achanak hi uska dhyaan uss incident par gaya jab Pranjal gusse me uss wheelchair ko tod raha tha.

'Mene kabhi usko itna gusse me nahi dekha Dada jii ke liye. Aur kursi par kyu gussa nikaal raha tha woh!? It's not like that ki kursi...!?????'

Pata nahi usse kya soojha par Arohi uthi aur forun hi neeche car ki taraf gayi jo unke liye ruko hui thi. Aur car me ghuste hi usne sabse pehle wheelchair ko dekha jiski haalat boht hi bigdi hui nazar aa rahi thi.

Usme se ek chaka bhi gaayab tha. Harr jagah usne bade hi gaur se check kiya par usse kuch bhi nazar na aaya.

'Wait! Iska ek pahiya kaha gaya!?'

Arohi : Bhaiya! Ye wheelchair ka pahiya kaha gaya ek!?

Driver : Arohi Ma'am!? Ye wheelchair toh Pranjal bhaiya jab se rakh ke gaye hai yaha uske baad kisi ne usse nahi chhua hai. Jo kuch bhi hoga udhar hi hoga. Baaki mujhe koi jaankaari nahi hai.

Arohi : Accha!

'Na jaane kaha gaya hoga!? Pranjal ne toh mandir ke udhar hi isse patka tha, kahi wahi toh nahi gir gaya!? Udhar jaake dhundna toh ab possible nahi. Akhir Dada jii ki chair apne aap kese neeche aa sakti hai!? Mujhe Dada jii ke hosh me aane ka wait karna chahiye. Wahi kuch bata paenge.'

Mann me aneko sawaal liye Arohi khaali haath hi waapas se ward ke baahar aa kar baith gayi.

Aur kismat se, kuch derr baad hi Dada jii ko hosh aa chuka tha.

Doctor : Dekhiye! Dada jii ko hosh aa chuka hai. Par aap sabhi 5 minute baad hi milne jaaiyega andar. Aur haan, ek baar me do se zyaada vyakti nahi. Unhe bulwaana bhi mat zyaada. He needs rest.

Brijesh : J-Jii doctor.

Aur sabse pehle dono Karunesh aur Brijesh Manorath jii se andar mil ke kuch derr baad baahar aaye.

Jab Vivek aur Arohi ki baari aayi toh wo bhi andar gaye.

Arohi : D-Dada jii!?

Manorath : Arohiii... Vivek... Beta!

Vivek : Boliye mat Dada jii! Doctor ne mana kiya hai. Aap bas lete rahiye. Aap ko hosh aa gaya yahi boht badi khushi ki baat hai hamare liye.

Arohi : Dada jii! A-Aap jab mandir me upar the. Toh aapki chair achanak apne aap neeche kese aa gayi!?

Arohi ka sawaal sunn jaha Manorath yaad karne ka prayaas karne lage toh wahi Vivek achanak hi ekdum alert ho gaya.

Manorath : Beta! Jaha tak mujhe yaad hai, mene peeche mud ke dekha tha toh koi nahi nazar aaya tha.

Arohi : Kya!?? P-Par aisa kese ho sakta hai!? Bhala aapki chair aise kese apne aap...!?

Vivek : Arre meri behan! Araam se! Dada jii ko zyaada zorr mat lene de dimaag pe.

Arohi : Wo... I... Par aisa kese akhir!?

Manorath : Shayad aaj devi mata ki yahi iksha thi...!? Mein itne saalo se unke darshan karne na gaya na toh dekho Devi maa ne mujhe saza dii hai.

Wo muskuraate hue bole par jese unke ye bol Vivek ki aankho me chamak laa diye.

Vivek : Haan! Arre haan! Aisa ho sakta hai Dada jii! Aaj mujhe bhi subah perr me chot lag gayi thi mandir me hi. Shayad devi maa batlaana chaah rahi thi ki bhale hi hamaara ghar panap raha hai par iska matlab ye nahi ki hum unhe bhul jaaye. Hume ye dhyaan me rakhna chahiye ki ye sab unke ashirwaad ke kaaran hi hota aa raha hai. Aur shayad devi mata ko pasand nahi aaya ki ab jab hume firse unke aashirvaad ki zaroorat padi toh hum unhe yaad karne pohuch gaye.

Manorath : Mujhe bhi aisa hi lagta hai beta. Kyuki mere peeche koi bhi nahi tha. Ekdum jhatka sa laga tha kursi ko, maano jese kisi ne dhakka diya ho. Ab toh theek se yaad bhi nahi aa raha. Jitna yaad kar raha hu utna bhulta jaa raha hu.

Vivek : Aap dimaag par zorr bilkul mat daaliye Dada jii. Araam kariye. Aur kuch bhi cheez ki zaroorat ho toh hum sab baahar hi hai. Isse Mata ki saza samajh ke bhul jaiye aur aage hum kese unki sharan me hamesha bane rahe iss baare me soch aage badhiye.

Manorath : Shayad... Shayad tum sahi keh rahe ho beta.

Vivek (smiles) : Hmm Dada jii!

Arohi : Par...

Vivek : Chalo Arohi baahar. Dada jii ko araam karne do.

Aur bemann Arohi Vivek ke saath baahar aa gayi.

'H-How!?? This doesn't makes any sense. Gravity ke kaaran bhi wo chair aise neeche nahi aa sakti. Dada jii ne kaha tha unhe aisa laga ki kisi ne dhakka diya ho!? Par peeche koi bhi nahi tha. Kahi dada jii se dekhne me koi galti toh nahi ho gayi!?? Kya karu? Mera dill maan hi nahi raha ki chair apne aap neeche aayi hogi.'

Uske sawaalo ka jawaab shayad aaj toh nahi milne wala tha usse. Par dekhna ye tha ki kya hoga jab Arohi waqai gutthi suljha legi. Aur suljha paegi bhi ya nahi!? Ya fir uske dono bhaiyo ki ye kartoot hamesha hamesha ke liye gupt ho ke reh jaegi!?

***

Mumbai
11:00 PM
Slogan's Hideout...

Veer aur Kaera dono hi bandhe hue the. Ekdum nidar aankhein liye Veer Slogan ko ghur raha tha toh wahi Slogan uss LED ki roshni se dur andhere me kursi par baitha hua chaav se Veer ko parakh raha tha.

Veer keval uske perr hi dekh paa raha tha. Kyuki udhar tak roshni nahi jaa rahi thi.

Tabhi Steve Slogan ke bagal me aaya aur bola.

Steve : Wo Deal poori ho gayi aur next deal ke liye abhi dealer ke aadmi se milne jaana hai Dada!

Kehte hue usne ek suitcase khola jisme paiso ki gaddiya bhari hui thi.

Slogan : Mene tumhe kitni baar kaha hai Steve ki inn choti moti deals ke baare me mujhe baar baar nahi bataaya karo. Seedhe ek report taiyaar kar baad me dikha diya karo.

Steve : Mujhe pata hai. Fir bhi ye meri tasalli ke liye.

Slogan : Hmm~ Thik hai. Jao aur next deal ke liye jis se bhi milna hai mil aao.

Steve : Jii Dada!

Aur itna bol Steve waha se nikal gaya.

Uske jaate hi Slogan ne ek baar taali bajaayi aur ek aadmi peeche se aaya aur uske paas aake jhuk gaya.

Slogan : Steve par nazar rakho. Yadi zara bhi tumhe lagta hai ki paiso ki koi herr ferr hui hai aur yadi wo kisi se mila hua hai. Forun mujhe bataana.

Aadmi : Jii Dada!

Aur wo aadmi bhi nikal gaya.

Uske jaate hi iss baar Slogan ne do baar taali bajaayi aur ek aur aadmi peeche se aaya aur uske nazdeek jhuk gaya.

Slogan : Tumhe ispe nazar rakhni hai jo gaya abhi. Dhyaan rahe, yadi tumhe zara bhi lage ki ye mera kaam karne ki bajaaye Steve ke saath mil ke peso ki herra feri kar raha hai toh usse wahi uda dena. Par dhyaan rahe yadi mujhe pata chala ki tumne keval befaaltu usse maara hai, toh agla udne waala sarr tumhara hoga.

Dusra aadmi : J-Jii Dada!

Aur itna bol dusra aadmi bhi jaa chuka tha.

Finally, Slogan ne Veer ki taraf apna focus kiya aur usse dekha.

*Ring Ring*

Par tabhi uska phone baj utha.

Aur number dekhte hi Slogan ki bauhe sikud uthi.

Slogan : Hello!?

Voice : I told you! Didn't I!?

*Craasssssssssshhhhhhh*

Aur agle hi pal Slogan ne zorr se apna phone patak ke fek diya. Phone do tukdo me jaake toot gaya.

"Maaadarchooodddd!!!"

Wo chillaya...

Aur uske chillaate hi Kaera jo ab tak behosh padi hui thi, wo kasmasaayi aur apni palke jhapkaane lagi.

"Umm..."

Usse hosh aa chuka tha. Uski aankho se dhundlapann hata aur jese usse saamne ka nazaara nazar aaya. Usse koi bhi chot nahi aayi thi. Wo bas Bomb ke blow se thoda sa dur jaa giri thi jiske chalte wo behosh ho gayi thi.

"Where...!? Where am I!?"

Aur agle hi pal uske kaano me ek jaani maani awaaz padi.

"Y-You... Okay!?"

Usne bagal me dekha toh wo thoda chaunk gayi. Veer uske bagal se rassiyo se bandhe hue baitha tha. Aur usse apni haalat par dhyaan aaya fir, ki wo khud bui toh bandhi hui thi.

Kaera (shocked) : Y-You!??? Veer!!!!?

Veer : Hmm~

Kaera : Where...!? Where are we!? Aur tum yaha!? Y-Ye sab!?

Veer : In short, you got kidnapped. Mein isliye yaha hu because I came to save you. But as you can see, I got caught.

Kaera smart thi boht. Veer ke chote se description se wo saari baatein samajh chuki thi. Wo blast, wo Jassi ka yu bathroom jaana baar baar aur uska yaha hona. Everything was planned. It was a trap.

Wo kuch kehne ke liye hui par tabhi...

*Tuck* *Tuck*

Juuto ki chalne ki awaaz ne uska dhyaan kheecha.

Aur tabhi uski aankho ke samaksh ek suit pehna vyakti saamne aaya.

Slogan : Kitna... Kitna bhaagna pada hai tumhaare liye. Kitne saalo se... Akhir! Akhir tum mere haath aa hi gayi. Tum soch bhi nahi sakti.

Kaera : T-Tum kaun!? Who are you!? Aur yaha mujhe aise kyu...!?

Slogan : Who am I!?? Hahaha~ Mein Slogan hu.

Naam sunte hi Kaera ki aankhein hairaani ke maare felti chali gayi.

Beshaq! Ye naam usne Jassi aur Raghu ke muh se kayi baar suna tha. Wo jaanti thi ki ye aadmi uske peeche pada hua hai. Par kyu? Iska jawaab usse bilkul bhi nahi pata tha.

Kaera (nidarta se) : What do you want from me!? Jo kehna hai seedhe muh kaho. Why act like a coward!?

Veer Kaera ki nidarta dekh khud aascharya me tha. Usse nahi laga tha ki Kaera itna straightforward hoke baat karegi.

Slogan : What do I want from you!? Arre sab kuch toh tumhi se milna hai mujhe...!

Kehte hue Slogan ne zorr se Kaera ki chin apne haato me jakad lii.

Kaera : Mmphhhh...

Veer : Youuu.....!!!!!

Apni rassiyo ko zorr se marod Veer ne khud ko jhanjhora... Par koshish bekaar.

Rassiya boht hi mazbooti se bandhi hui thi.

Veer : Don't you dare touch her....!!!

Wo gurraaya. Par Slogan toh jese Veer ke ravaiyye ko dekh aur bhi khush ho raha tha. Maano jese wo yahi chaahta tha.

Slogan : Hahaha~ Karo gussa! Aatish ko toh badi hi berehmi se maara tumne hai na!?

Veer (shocked) : Tumhe...!? Tumhe kese!?

Ye sunn jese usse boht bada jhatka laga tha. Aur bina samay waste kiye hi usne fir...

'Check!'

*Ding*

[Real Name : Sanjeev

Alias Name : Slogan
Age : 58

Bio : Sanjeev ek crime boss hai. Different crime organizations aur underworld me usse kaafi log jaante hai. Uska ek hi maqsad hai, Kaera ko paana aur usse khatam karna.]

Aur bio padhte hi Veer ki haalat sahi toh bilkul bhi nahi thi. Bhale hi zyaada details nahi mili thi. Par Slogan ka goal spasht roop se uske saamne tha.

Aur ab bas chinta hi usse khaaye jaa rahi thi. Atyant bechaini. This man was not someone with whom you can deal alone.

Slogan ek crime boss tha.

'Shitttt!!!! No no no no no... I can't let anything happen to Miss Kaera.'

[This is really bad!! Tum... Try to open the knots. Loose karo unhe kheech ke.]

'I'm trying... Kuch nahi ho raha hai. It will take time.'

Aur Slogan agle hi pal ek chaaku liye aage badha.

'No no no.... Ughhhh!'

Veer ghabraate hue apne aap ko poore force ke saath jhanjhora aur unn rassiyo ko dheeli karne ka prayog kiya par koi fayda nahi.

Rassiya dheeli toh ho jaati par time lagta. Aur Veer ke paas time ki hi toh kami thi.

Slogan ne Kaera ka ek haath khola aur uske haath me chaaku thamaayi aur uska haath apne haatho me pakda raha.

Veer sawaaliyo nazro se pal bhar ke liye unhe dekha par agle hi pal...

*Splurrrrrrrtttttttt*

"Aaaaaaaaaaaaarrrrrrrrrrrrgghhhhhhh"

Ek zordaar cheenkh uss kamre me goonj gayi.

Aur ye cheenkh kisi aur ki nahi, Veer ki thi.

Kyuki iss waqt Slogan ke haatho me Kaera ka haath tha jisme chaaku thi.

Aur wo chaaku Veer ke haath me dhassi hui thi. Wo laal laal koon behna shuru ho chuka tha.

"Noooooooooooo....!"

Kaera khoon dekhte hi chillaayi aur apne haatho ko peeche kheechne ke liye hui par...

Slogan ke dono haath aur dabaav daal uss chaaku ko andar ghused rahe the.

"Aaaaaarrrrrrrghhhhhhh"

Wo chaaku aise andar baahar ho rahi thi jese maano kisi phal me maar dii ho.

Par Veer ki haddi ko wo penetrate na kar saki. Kaaran!? Kaaran tha Bone Reaper jo Veer ne equip kiya hua tha. Fir bhi... Dard toh dard hota hai. Bhale hi Veer ki haddi sahi salaamat thi, par dard toh utna hi hona tha.

Wo dard se tadap raha tha. Uske perr zorr zorr se zameen par patak kar shor kar rahe the. Uski kursi bhi dolne lagi thi aage peeche hokar.

Aur wo chaaku ki chamdi ko ujaadne ki awaaz jiske chalte khoon ris ris ke baahar aa raha tha aur gaadha gaadha ekdum laal behte hue zameen par gir raha tha.

Aaj pehli baar Kaera ki aankho me aasu aaye the. Itne saalo ke baad.

"Noooooooo....! D-Don't.... Leave him alooooonneeee!!!!"

Veer ko dard me dekh pata nahi kyu... Uski aankhein apna aap namm ho chali.

Usne bharpoor prayaas kiya ki wo apna haath kheech ke uss chaaku ko baahar nikaal sake par Slogan ke dono haath uske force par bhaari pad rahe the aur na chahte hue bhi wo kuch nahi kar paa rahi thi.

"Pleaaaaaseeeeee!!!! Leave him alooonnneee!!!!"

Shayad aaj pehli baar Kaera ne itne varsho me kisi se please kehke guhaar lagayi thi. Itna darr toh usse tab nahi laga tha jab Slogan uski chin pakde hue tha.

Kuch bhi ho, Kaera Veer ko iss dard me nahi dekhna chaahti thi. Kyu!? Iska reason usse bhi nahi pata tha.

[Nooooooo!!!!]

Iss baar Pari ki bhi ek zordaar bechaini bhari cheenkh Veer ko apne mann me sunaayi dii. Wo samajh chuka tha ki Pari uske liye kitna concerned thi. Bhale hi uska behaviour badal chuka tha. Par Veer ye jaan ke khush tha ki Pari still cared about him.

'Fuuuuuuccckkkkkk!!!!! Aaaaaaarrrrghhhh!!!'

Apne nichle honth ko daato me dabaaye Veer dard ko sehne ki koshish kar raha tha toh wahi Slogan aur zorr se chaaku ko ghuma ghuma ke Veer ki chamdi ukhaadne me laga hua tha.

*Splurt* *Splurt*

Bas aisi hi awaaz aa rahi thi khoon ki risne kii.

Slogan : Mein isse thodi maarunga... Isse toh tum maarogi. Hahaha~ Aur fir tumse mein niptunga.

Kehte hue usne chaaku baahar nikaali aur ek baar fir...

*Spluuuurttttttt*

"Aaaaaaaaaaaaaaaarrrrrrrrrrrrghhhhhhhh"

Ussi hamle ke upar hi dusra prahaar kiya Slogan ne. Aur uske haath ki chamdi ko cheerte hue Chaaku ek baar fir ghus gayi.

"Nooooooooooooooo~"

Iss baar Kaera ki ye guhaar jaise kisi ne sunn lii, kyuki agle hi pal...

*Bang*

Ek gunshot ka sound baahar se aaya aur andar maujood ek aadmi dhadaam se zameen par gir pada.

Slogan ke haath apne aap hi wahi rukk gaye aur usne jese hi entrance me dekha...

Usne paaya ki 30 se 35 aadmi sabhi gun liye andar aa rahe the.

"Tchhhh!"

Daat meeste hue usne Kaera ko wahi chorra aur wo bhaaga peeche ke gate ki orr...

"Gherr lo... Ek bhi aaj bhagne na paaye..."

Ye awaaz sunn Kaera ki jaan me jaan aa gayi thi jese. Kyuki ye awaaz Raghu ki thi.

Slogan ke saath kuch aadmi toh bhaag gaye the par kuch wahi reh gaye aur nateeja unki maut.

Itne saare log ek saath aaye the. Raghu ne jese hi kaera ko dekha uski jaan me jaan aayi.

Raghu : Thank God you are safe...

Par uski nazar jese hi bagal me gayi toh wo hairat ke maare wahi jamm sa gaya.

Veer ka haath khoon se latpat tha. Uske chehre par paseena hi paseena tha aur uski aankhein band hone ko ho rahi thi.

Kaera (cries) : R-Raghuuuu!!!!

Fatafat samay ki paabandi ko dhyaan me rakhte hue Raghu ne rassiya kholi aur Kaera aur Veer ko azaad kiya. Par Veer jese apne hosh kho raha tha.

Blood loss jo ho gaya tha itna.

Kaera : Raghuuuuuu! Veeeer.... We...

Raghu : I know Miss! Suno tum sabhi, Miss ko leke forun ghar ki orr jao. Mein isse hospital tak chorr ke aata hu.

Kaera : I'll... I'll come too...

Raghu : Nooooo! Aap nahi! Please! Ghar jaiye! Sir wait kar rahe hai aapka.

Apne dad ke baare me sunn Kaera shaant pad gayi aur na chaahte hue bhi usse waha se jaana pada.

Par jaane se pehle usne kayi dafa peeche mud Veer ko dekha jo neeche pada hua tha. Aur Raghu apna rumaal baandh uske khoon ko rokne ki koshish kar raha tha.

***

2nd January
*** Hospital
10:36 AM

Veer ko jab hosh aaya toh usne dekha ki wo hospital ke bed par laita hua tha.

Usne kasmasaate hue apni aankhein mali aur apne ek haath ka jaayza liya jo pattiyo se bandha hua tha.

Usne Pari se baat karne ki bhi koshish kii par Pari sleep mode me thi.

Shayad Veer ko wo araam dena chaahti thi isliye wo kal raat me hi sleep mode me chali gayi thi.

Veer jaanta tha ki Pari uski energy use karti hai active rehte waqt. Toh uska sleep mode me jaana ye concern tha Veer ke prati. She wanted him to recover soon.

"Arrrghhh!"

Karaahte hue jese Veer ne jaise hi saamne dekha toh wo ek baar fir ashcharya chakit reh gaya.

Saamne teen behad hi parichit aurte maujood thi...
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Like aur comments karne ka. 😁

Dhanyavaad!!



SHAANDAAR EXCELLENT AWESOME FANTASTIC MARVELLOUS AND INTERESTING UPDATE BHAI
 

FallenAngel

Active Member
1,260
4,044
143
Pehle to so sorry bhai ki apke last update pr kuch bhi likh na payea pr maine ek baat note ki hai ki apne es update or last wale Mai story ko arohi ke nazaryie se dikhane pr kafi focus kiya hai kaise last update Mai bhi kahe to half update arohi ke nazaryie se likhi gayi or is baar bhi same thing hua but ye achaa hua ki arohi ko pranjal pr shaq to hua vivek pr bhi ho jaye to mast rahega
 
Top