- 16,014
- 108,003
- 259
Last edited:
Click anywhere to continue browsing...
Click anywhere to continue browsing...
Click anywhere to continue browsing...
Click anywhere to continue browsing...
Click anywhere to continue browsing...
Sab pata chalega bhai. Aur update 2 se 3 baje ke beech definitely aa jaega. Because it's half completed only. Kal mein dussehra ghoomne raat ko friends ke saath nikal gaya tha. Aur chutiyo ke saath town ke baahar aa gaye hum. Abhi ghar laut rahe hai ab. Rahi baat Veer ke dada ji ki toh abhi Pranjal aur Vivek ke zariye pata lagega ki kya chal raha hai Veer ki family me.Are bhai..veer k dadaji k faisle ka kya hua? Kya sabko faisla nahi chahiye jo koi bhi veer ko ghar leke nahi ja rha
Nice updateUpdate - 19 ~ Tactical Approach
Ab tak...
Na jaane kab Veer baato hi baato me kabhi daudte hue toh kabhi kisi se lift lete hue apni manzil pe pohuch gaya.
[Are you ready master?]
'Hmm!!!'
[Brace yourself!]
'Hmm!!!'
[You'll have to kill....]
'Huh???'
Ab aage...
Veer ko Nidhi ke ghar se gaye aadhe ghante ho chuke the. Raat ke 8:30 baj rahe the aur Nidhi idhar Juhi aur Shreya ko khaana paros rahi thi. Par uski khud ki thaali table par kahi nazar nahi aa rahi thi.
Shreya : Aap nahi khaa rahi?
Shreya ke sawaal par Nidhi ne khaane ko beech me hi paroste hue usse dekha aur uske haath achaanak rukk gaye. Ek lambi saas lete hue wo boli.
Nidhi : Thodi derr wait kar leti hu. Shayad abhi thodi derr me aa jaaye. Warna fir bechara akela baith ke khaega...
Shreya : Haa toh? He totally deserves that. Na toh bata ke gaya ki kab aaega, na ye bata ke gaya ki kaha gaya hai? Arre kaha gaya hoga!? Mein pakke se bata rahi hu aapko, ye gaya hai apni kisi maashooqa ke paas, aur dekhna waha...
Nidhi : Nahi Shreya! Aisa kuch bhi nahi hai.
Nidhi ne virodh karte hue kaha. Shayad usse apne mann me Veer ke wo bol yaad aa rahe the.
'Mein poori koshish karunga Ma'am. Jitni jaldi ho sake... Utni jaldi aane ki... Aur jesa aap soch rahi hai wesa kuch bhi nahi hai. Shreya jii ki baato ko ignore kariyega... And... And... Thank you.'
Jo shabd Veer ne kahe the, uss se toh yahi prateet ho raha tha ki wo kisi zaroori kaam se hi gaya tha.
Shreya : Aapko kese pata aisa kuch bhi nahi hai? Kya aap dekhne jaa rahi ho? Ki wo kya kar raha hai? Itna confidence kyu hai aapko?
Nidhi : Because he said to me Shreya... Wo bas kisi urgent kaam se gaya hai. Aa jaega abhi thodi derr me... Thodi derr wait kar leti hu. Tum dono khaao na khaana...
Shreya : Dekh lena... End me aapko hi bura lagega... Meri baat sunn'na hi nahi hai aapko.
Abhi wo dono aur baatein kar paati ki tabhi Nidhi ke phone ke ghanti baji, aur Nidhi ne phone uthaate hue screen par naam dekha.
Parantu naam dekhte hi uski bauhe chinta ke maare sikud gayi. Apni nazre uthaate hue usne ek jhalak Shreya aur Juhi ko dekha aur fir andar apne kamre me chali gayi.
Andar aate hi usne call uthaaya aur apne kaano se lagaaya.
Aur dusri taraf se uske kaano me ek jaani pehchaani awaaz aayi. Ek mard ki awaaz...
Nidhi : He... Hello!?
Aadmi : Kal tumhe aana hai.
Nidhi (frowns) : Kis liye!?
Aadmi : Baat karni hai. Zaroori baat.
Nidhi : Par jo kuch bhi hai wo...
Aadmi : Mene kaha na? Ghar pe aana hai. Din me... 2 baje tak...
Nidhi : Par jab...
Aadmi : Haa ya na!?
Nidhi : Mein...
Aadmi (tezz awaaz me) : Mene pucha... Haa ya na!? Aaogi ya nahi!?
Apna nichla honth daato tale dabaaye Nidhi ne apni mutthi kassi aur uss aadmi ko jawaab diya,
Nidhi : Fine!! I'll come!
Aadmi : Hmm! Late mat karna...
Nidhi : Hmm...
*Call cuts*
'Kab tak!? Kab tak aise hi chalta rahega?? I need to move forward. Par sab kuch jese... Mein Veer ko bhi ghar se aise nahi bhej sakti... Kharcha badh gaya hai kaafi but still... I cannot just... Leave him like that. Yadi uska koi relative aa jaaye tab toh koi baat hi nahi hai. But uski family... Kese karungi itna sab mein?? Bhagwaan!! Ab toh tum hi koi raah dikhaao. Mein phass chuki hu iss chakravyuh me...'
Nidhi haatho me phone liye apne mann me hi sochti jaa rahi thi ki uske theek peeche se achaanak hi Shreya ki awaaz aayi,
"Kiska phone tha!?"
Sunte hi Nidhi chaukte hue peeche palti.
Nidhi : Wo...
Bolte waqt uska sarr apne aap neeche jhuk gaya. Aur Shreya jese samajh gayi ki kiska phone tha.
Shreya : What did he say!?
Nidhi (sighs) : Kal bulaaya hai mujhe.
Shreya (surprised) : For what!??
Nidhi : Nahi pata... But kal jaake hi pata lagegi ye baat.
Shreya : And you told him that you are coming!?
Nidhi : Of course! Aur koi option hai mere paas!?
Shreya : Kyuuuuuuuuuuu!????
Nidhi : Shreyyyaaaa! I have to... Sab kuch... Issi ke liye toh kar rahi hu... Tum bhi dekhti aa rahi ho tabse... Mene ek bhi din aisa nahi gawaaya hai jidhar mene apna lakshya bhula diya jo... Batao tumhi...
Shreya : I know but...
Nidhi : Don't worry! It's just to talk. Baat karke ghar hi aana hai.
Shreya : Fine!!!! I'll go with you.
Nidhi : Nahiiiii! Juhi ko kaun dekhega!? Wo school se ghar aaegi toh kisi ko toh rehna hoga na!?
Shreya : But aap akele...
Nidhi : Chill! Everything will be fine...
Shreya : O... Okay!
Aur Shreya maayus bhara chehra liye waha se chali gayi. Yahi haal Nidhi ka bhi tha. Shreya ke jaate hi uska chehra agle hi pal murjha sa gaya. Aur wo apne bistar par girte hue baith gayi.
Na jaane kya uthal puthal machi hui thi uske mann me. Sawaal bhi the, gutthiya bhi jinhe wo suljhaana chaahti thi, par inn sab ke bawajood wo apni choti behan se sab kuch saajha nahi kar paa rahi thi. Choti behan kya, siwae khud ke wo sab ke saamne apni asli pravatti ko jese chhupa ke rakhi hui thi.
Jo kuch bhi tha, itna toh tay tha ki aane waala kal, uske liye asaan nahi hone waala tha.
***
Idhar Veer mission ke liye apni bataayi gayi destination par pohuch chuka tha.
Wo sunsaan sii sadak, raat ka andhera aur keval chaand ki roshini. Sadak ke idhar udhar keval ped paudhe, zameeno par bikhre pathhar, sookhe patte aur dhool. Aur saath hi saath ped paudho ke nazdeek se aati jhinghoro ki awaaz. Yahi manzar tha jo Veer ko waha pohuchte hue sabse pehle dikhaayi diya.
Kuch derr jab wo aage badha toh usse kayi building choti toh kuch halki badi nazar aayi. Kuch band ho chuki thi toh kuch poori tarah se abandoned thi aur unki haalat kisi bhootiya jagah se kam nahi thi.
Building ke dhaache aise toote hue bikhre hue kahi zameen par dale the toh kahi kisi sahaare se latke hue the. Andar wo concrete se nikli hui lohe ki rods jinme zang lag chuki thi unki vyatha ko bayaa kar rahi thi.
Toote sheeshe, aur upar terrace se neeche aati hui pedd paudho ki wo jade aur lambi lambi shakhaaye jo uss pehle se hi daraawni jagah ko aur bhi daraawna bana rahi thi.
Yadi kuch tha waha pe sabse zyaada maatra me toh wo thi hariyaali.
Raat me chaand ki roshni me ye abandoned buildings kya hi nazar aa rahi thi. Aas paas ke ped paudho ne jese building ko ek chaadar ki tarah lapet liya tha.
Veer issi building ke baahar hi tha. Aur dekhne me aisa lag raha tha ki ye building shayad pehle koi factory thi, jo ki saalo pehle band pad chuki thi. Uski dur dasha poori tarah se battar ho chuki thi aur structure jese poora ujad chuka tha.
Veer baahar khade bas andar jaane ke liye khud ko prepare kar raha tha, kyuki abhi abhi kuch derr pehle hi Pari ne uski kuch chand shabd kehke gaand phaadi thi. Aur wo shabde the ki~ He'll have to kill.
'Pari! You don't understand! I have never killed anyone. Ye mazaak nahi hai Pari!'
[Master! Mein aapko ye nahi keh rahi hu ki aapko maarna hi hai. Mein bas aapko ye bata rahi hu ki ab se... Ab se yadi aapki jaan khatre me hogi aur yadi aapko koi maarne ka prayas kare ya aapki life ke liye threat ho then aapko usse maarna hi padega. Aur mein issi se aapko ye realize karwa rahi hu ki yadi situation bani toh aapko maarna hi padega warna aap sab kuch kho baithoge...]
Bechaare Veer ko kya hi pata tha!? Wo toh jaanta hi nahi tha ki Ragini kis type ki musibat me phassi hai. Uske mata pita ke saath kya hua hai, aur iss waqt wo andar kis haal me hai, kiske paas hai? Ye saari baato se toh Veer bilkul hi anjaan tha.
Usse toh bas itna pata tha ki Ragini kisi musibat me hai aur usse bachaana hai.
'I... I understand Pari... But ye Ragini Bhabhi bhala aisi jagah me kya kar rahi hai!? Wait!!!! Don't tell me...!?'
Jese hi usko ab yaha aake ye realize hua, uski aankhein phati ki phati reh gayi.
[Yes! You may be right master. Mujhe bhi yahi lag raha hai. Aur isliye, satark rehne ke liye aap apna Phone silent me kar lijiye.]
'Good idea Pari! Mein wahi yaad karne ki koshish kar raha tha ki mein kya bhul raha hu.'
Phone ko silent kar, usse jeb me rakh, Veer building ke neeche bane basement ki orr badha...
*Badump* *Badump*
Uska dil zorro se dhadak raha tha. Ye darr tha anjaan ka. Neeche kya hai!? Kon hai? Kya cheez hai? Wo kuch bhi nahi jaanta tha. Aur issi kaaran uss anjaan cheez ka darr uske dil par apna asar dikha raha tha.
'Pari! Everything will be fine right!?'
[I'll guide you master. Bas dheere dheere aage badhiye. Dhyaan rahe, neeche ekdum dekh ke chalna, saath hi saath apne agal bagal bhi. Kisi bhi cheez se aap takrao na. Hume awaaz nahi karni hai.]
'I know that... But thanks for reminding me...'
Wo jese hi building ke neeche jaate uss slope se neeche aaya toh andar ek LED bulb jal raha tha aur theek side me ek scorpio gaadi khadi hui thi.
'Ye Scorpio yaha kya kar rahi hai!? Kahi issi me Ragini Bhabhi...!?'
[Yes master. I'm thinking the same. Andar situation kaafi critical bhi ho sakti hai. Mein suggest karungi ki aap ek hidden weapon dhund lijiye apna. Like koi rod wagarah, ya koi stick.]
'Yup! I got that...'
Apne dheere dheere qadam badhaate hue Veer zameen par idhar udhar apni nazre ghumaane laga, ki kahi se bas kuch aisa mil jaaye jo uski emergency ke waqt kam se kam hifaazat karne ke kaam aa sake.
Neeche itne phattar aur building ke toote hue hisse pade hue the ki Veer ki dekh ke hi phatt rahi thi ki kahi ye dhaancha gir hi na jaaye.
Jese tese kuch seconds ki mashaqqat ke baad usse jo chaahiye tha wo aakhir kaar usse mil hi gaya.
Ek choti zang lagi hui rod jo ki wahi side me pattharo ke neeche padi hui thi.
Apni shirt ko uthaa ke Veer ne uss rod ko apni peeth ki orr le jaate hue pant me khos lii aur shirt waapas giraate hue usse dhak lii. Kam se kam uske paas ab kuch toh tha. Wo khaali haath nahi tha.
Aur Scorpio ke aage badhte hi uski nazar darwaaze par gayi jo ekdum saamne tha. Wo lohe ka halka damaged darwaaza jisse dekh ke hi Veer bata sakta tha ki isko yadi khola toh ye pakke se chuu chaa ki awaaz karne waala tha.
[Ekdum dheere se khol ke pehle andar nazar maariye master.]
'Hmm!!!'
Pari ki baat sunn Veer ne bilkul wesa hi kiya aur jese hi uske haath darwaaze par lage aur usne darwaza dhakela wo chuu chaa ki awaazein karna shuru kar diya. Aur ye sunte hi uski phatti, usse laga jese wo gaya kyuki agle hi pal ek awaaz andar se aayi,
"Kaunn hai!???"
Ek aadmi ki awaaz andar se aise goonji ki Veer ke haath jo darwaaze par the wo itni tezzi se hate aur agle hi pal wo peeche hata aur darwaaze ke bagal ki diwaar ke peeche chhup gaya.
*Scrunch*
*Scrunch*
Aur tabhi kisi ke qadmo ki awaaz aane lagi jo theek uski taraf hi badh rahi thi.
Zameen par pade kachde, pathhar ke chalte unn qadmo ki awaaz badi hi zorr se aa rahi thi.
*Badump* *Badump*
Jese jese wo qadam aage badh rahe the Veer diwaar se apni peeth lagaaye apne dil ki dhadkano ko control me karne ki koshish kar raha tha. Ye kehna galat nahi tha ki qadmo ke saath saath uski dil ki dhadkane bhi badhti jaa rahi thi.
[Master....!]
Pari ne chintaa bhari awaaz me usse pukaara, kyuki wo mehsoos kar paa rahi thi. Veer ki dhadkane boht tezz jo ho gayi thi.
Ek galat qadam aur kuch bhi ho sakta tha.
Veer itna toh bhaamp gaya tha ki andar se jo bhi aa raha tha wo uska shubhchintak ya dost toh katayi nahi tha. Aur jis hisaab se usne andar se awaaz dii aur ab aage badh raha tha. Veer jaanta tha ki wo aadmi usse dekhte se hi kya karne wala tha. Aur, bas issi hamle ko counterattack karne ke liye Veer khud ko taiyaar kar raha tha.
Aur wo counterattack tha ~ Surprise attack.
Dushman tumpe waar kare uske pehle hi tum usse surprise karte hue uss par dhaawa bol do.
Yahi sab sochte hue usne Pari ki awaaz ka koi uttar na diya jiske chalte Pari ekdum hi bechain ho gayi. Par dubaara kuch na boli,
*Screeeeeeccchhhhhhh*
Aur agle hi pal...
Wo lohe ka darwaaza ek teevr awaaz karte hue khula aur jese hi aadmi baahar aaya...
"Mmmmmmmphhhhhhhhhhhhh"
Uss aadmi ki aankhein phati ki phati reh gayi kyuki achaanak hi uske muh par ek haath aaya aur uska muh poori tarah se seal kar diya.
Jab tak ki wo aadmi kuch samajh paata, dusra haath uske ek haath ko thaam chuka tha aur agle hi pal kisi ne usse peeche se kheencha aur apne saath hi neeche gira liya.
*Craaaaaashhhhh*
Neeche jo bhi kankad pathhar pade the uspe hi dono jaa gire...
Apna dusra haath jo ki uss aadmi ka free tha, jese hi usne uska istemaal karne ka socha ki tabhi ek perr ka dabaav uske dusre haath par pada aur uska wo haath bhi kisi anjaan vyakti ne perr me phassa ke uska virodh nakaam kar diya.
Agle hi pal jese uss aadmi ka pal bhar ke liye ek haath chootha aur usne bina koi chance gavaaye zorr se apni kohni se peeche waale vyakti par waar kiye jiske chalte uss bande ko chot toh aayi par next second hi...
*Thud*
Ek pathhar ka waar uske sarr par huwa aur ek baar fir...
*Thud*
Ek aur waar aur uske saamne hi turant hi andhera chhaa gaya.
*Huffff* *Huffff*
Zorr zorr se lambi lambi saasein chorr Veer uss aadmi ko apni giraft se azaad kar uske neeche se utha aur apni pasli ko malne laga.
'Shit! That was a bad move. Saale ki kohni zorr se lagi.... Aaargghhh!!'
[Endurance...]
'I know.... I know... Ab se endurance par bhi dhyaan dunga...'
'Ek minute! Pari!? Ye marra toh nahi na!?'
[No master. Wo behosh hai. Nice move by the way. Apni surrounding ka istemaal kiya aapne. Neeche jo pathhar pade the unhi ke zariye aapne ek thikaane laga diya.]
'Yeaaahhh! Rod nikaalne ka time nahi tha.'
[Check his pockets master. Kahi iske paas guns toh nahi!?]
Pari ki baat sunn Veer ne forun hi uss behosh ho chuke aadmi ko tatolte hue uski jeb check kari par Veer ko koi bhi hathiyaar nahi mila uska siwae ek choti sii pocket knife ke, jo Veer ne apne jeb me daal lii.
Ab jab Veer ne uss aadmi ko dhyaan se dekha toh wo aadmi nahi balki 28-29 saal ka hi koi ladka tha aur anumaan lagaya ki shayad ye yaha pe kisi ke under kaam kar raha tha.
Idhar Veer ek ko behosh karne ke baad aage badhne ki taiyaari kar raha tha par andar toh kuch aur hi scene chal raha tha.
Ranga Vivek ka video bana chuka tha jisme Vivek ne apni company Aatish ko saupne ke bol bole the.
Aur abhi Ranga Dinesh ka video banaane jaa hi raha tha jab usse baahar se kuch chahal pahal ya harqat hone ki awaaz sunaayi dii.
Ranga : Zara dekh ke aana baahar! Awaaz sii aayi mujhe...
Usne ek ladke ko dekhte hue kaha toh wo ladka haa me sarr hilaate hue baahar jaane laga.
*Scrunch* *Scrunch*
Aur idhar Veer ko fir se unhi pathharo par chalne ki awaaz sunaayi dene lagi aur ye sunte hi wo samajh gaya...
Samajh gaya ki agla koi aa raha hai.
Veer ne forun hi uss behosh pade aadmi ko Scorpio ke peeche khiskaaya aur abhi wo kuch aur karta ki tabhi Pari ki awaaz uske sarr me goonjne lagi,
[Master! Go outside!]
'Huh?? Kyu???'
[Pehle aadmi ke chakkar me awaaz hui hai aur shayad isliye ye dusra achanak dekhne aaya. We cannot risk it master. Ab iske chakkar me andar ke saare log na aa jaaye. Baahar se isse bait kariye... Make him come oustide.]
'Nice idea Pari!'
Veer jaldi jaldi waha se bhaagte hue upar chala gaya, waapas se road par...
Par uske aisa karte hi uss ladke ko bhali bhaati awaaz sunaayi de gayi.
Aur kyu na deti!?
Sannaata hi itna tha waha ki halki halki harqato tak ki awaaz sunayi de jaati thi. Aur Veer toh tezz daud ke gaya tha.
Veer ke qadmo ki awaaz jese hi uss ladke ke kaano me gayi toh wo bhi daudte hue baahar ki orr jaane laga.
Aur slope ki chadhaan chadhte hi jese hi wo basement se baahar road pe aaya toh usne dekha ki...
Sab kuch ekdum shaant pada hua tha.
Par uss ladke ne saaf saaf kisi ke bhaagne ki awaaz suni thi. Bhale hi usne kisi ko dekha nahi par usse apne kaano par poora viswaash tha.
Usse yakeen tha ki saala koi toh yaha aaya tha aur abhi abhi bhaaga hai.
"Kaaaunnnn haii!??"
Par uski awaaz ka aur uske sawaal ka koi uttar usse na mila.
"Saamne aao..."
Ek baar fir usne pukaara...
Par iss baar bhi, koi jawaab na aaya. Chaand ki jitni roshni aa rahi thi, utni hi roshni me dekhna thoda mushqil tha par nazar kaafi kuch aa raha tha.
Wo apna sawaal firse dohraata ki tabhi road ke saamne waale ped ke paas usne dekha ki ek ped ki daal ajeebo gareeb dhang se hil rahi hai.
Jese maano usse koi hilaa raha ho.
Aur sach kaha jaaye toh ye dekh ke uss ladke ki phati toh thi. Bhale hi wo bhooto pe viswaash nahi karta tha par fir bhi aise waqt pe dhyaan udhar chala hi jaata tha. Aur jab sthiti aisi ho toh acche se accha insaan darr jaata hai. Aur yahi iss ladke ke saath bhi hua,
"Ka... Kaun?? Kaun hai!?"
Wo bolte bolte dheere dheere aage badhta raha. Jese tese karke wo ped ke paas pohucha jo bas ab kuch hi duri pe tha. Usne apne haath me liya danda aage kiya aur zorr se uss hil rahi daal ko maara...
Par nateeja!?
Waha kuch nahi nikla...
Uss ladke ki jese jaan me jaan aayi aur wo iss baar bina darre uss ped ki daal ke paas jaane laga.
Aur jese hi wo gaya.
*Thud*
Ek zorrdaar waar uske peeche sarr pe hua aur wo apne hosh wahi kho baitha...
*Huffff*
'This one took only one hit...'
Veer ne apni rod waapas se apni shirt me khusaayi aur bina koi samay gavaaye wo firse andar chala gaya.
Idhar andar Ranga Vivek ko baandh ke Dinesh ki rassiya kholne hi waala tha ki tabhi usse dhyaan aaya ki usne jis ladke ko bheja tha wo ab tak aaya nahi tha.
Keval wahi bas akela bacha hua tha Ragini, Dinesh aur Vivek ke saath.
Dinesh ko ussi haalat me chorr Ranga baahar jaane ka tay karta hai.
Wo ekdum alert hoke chalne lagta hai. Kyuki uske dono hi ladke kaafi derr se baahar the. Aur usse bhi kuch harqat ki awaaz aayi thi.
Jese hi wo darwaaze ko kholta hai ki uski nazar slope se neeche aa rahe Veer par padti hai.
Aur dono hi ek dusre ko dekh ek second ke liye jese wahi rukk gaye. Ek jhatka sa jo laga tha dono ko.
"Kaun hai tu!?"
Ranga ne tezz swar me chillaaya par fir achanak hi uski nazar Scorpio ke paas gayi jaha par usse ek aadmi ke thode perr dikhaayi de rahe the, aur Ranga ko samajhne me derr na lagi ki baahar kya chal raha tha.
Aur agle hi pal uska haath apni jeb me khuse revolver par gaya aur usne usse nikaal ke taana hi tha par tab tak derr ho chuki thi.
*Thud*
"Aaaaarrrrghhhhhhh!!!"
Ek bada sa pathhar aake uske haath pe laga jiske chalte uski ek karaah nikli aur patthar ke lagte hi uske haath se uska revolver chhutak ke peeche jaa gira.
Wo apne haath ke dard se ubhar paata ki tabhi...
*Pooowwwwww*
Ek zorrdaar ghusa aake seedha uske jabde par pada aur uska saara nichla jabda hil ke reh gaya.
Powerful impact ke saath wo ghusa jese hi pada, Ranga teen chaar kadam ki duri me uchalte hue gira aur bas...
Veer toot pada uspe...
Idhar unke ladne se jo awaazein basement me goonj rahi thi, wo Ragini, Vivek aur Dinesh samet sabhi sunn paa rahe the par unhe ye nahi pata tha ki unhe bachaane waala Veer hai.
Ranga ne sambhalte hue Veer ke agle waaro ka bakhubi saamna kiya aur badle me dherr saare waar kiye. Kahi pasli me, toh kahi pait me, kahi chehre me toh kahi seene me...
Dono ek dusre par aise jhapat'te hue ladd rahe the aur bhidte jaa raa the, toh kahi girte padte jaa rahe the. Kuch hi palo me jagah jagah unke shreer me chhilne ke ghaav aa chuke the aur khoon nikakna shuru ho gaya tha.
Wo ladte hue na jaane kab andar ki orr aa gaye jiske chalte Ragini samet baaki sabhi unn dono ko dekh sakte the.
Aur jese hi idhar Ragini ki aankhein Veer par padi, wo phati ki phati reh gayi.
Usse ek jhatka laga tha. Zorrdaar jhatka.
Ye usne apne poore jeevan me kabhi umeed na kari hogi ki Veer yaha usse bachaane aaega.
Aur agle hi pal...
Jo aasuo ka baandh abhi kuch Seconds se thama hua tha wo Veer ko Ranga ke saath ladte dekh hi toot pada aur uski aankho se mote mote aasu behne lage.
Vivek bhi ye dekh ke ekdum hairaan tha.
Usse bhi khud yakeen nahi ho raha tha ki Veer yaha unhe bachaane aaega. Mann me itne saare sawaal umad rahe the dono hi Ragini aur Vivek ke ki pucho mat.
Par iss waqt dono ki nazre aur dhyaan Veer aur Ranga ki ladaayi par tha.
Dinesh bhi khud bas ladaayi ko dekh raha tha aur aasha kar raha tha ki Veer ko kuch na ho.
Par kuch hi palo me jese uski aasha jese mitti me milne jaa rahi thi.
Kyuki Ranga iss waqt Veer ke upar baith apne dono haatho se ussi ki rod uske gale me gadaaye uska gala choke kar raha tha.
"Saaaleeee.... Aaj tu marega mere haatho... Mein nahi.... Ughhh.... jaanta tu kaun hai... Par itna zaroor jaanta hu ki tu inhe bachaane aaya hai aur ye bhi ki tu marrega mere hi haatho se.... Marr jaaa saaaaleee..."
Wo chilaayaa...
"Ugghhhhhhhh"
Veer ko apne gale me ab boht zyaada dabaav mehsoos ho raha tha. Kisi bhi waqt uska gala choke ho sakta tha...
Ki tabhi Pari ki awaaz gunji...
[Master!!!!! Your pocket...]
Aur agle hi pal Veer ne ek haath chorr apni pocket tatoli par ye move jaanleva tha...
Ranga ka dabaav aur badha aur uske gale pe bilkul wo rod jese poori satt chuki thi.
Bas derri thi toh kuch seconds ki aur Veer iss duniya se uth chuka hota agar...
Agar uske dusre haath me wo pocket knife ne aayi hoti.
Usse kholte hi Veer ne seedhi wo knife Ranga ki pasli me ghused thi...
*Splurt*
"Aaaaaarrrrrrrrrrrrrrgggggghhhhhhhhhhh"
Ek zorrdaar cheenkh jisse sunn aadmi ki rooh kaanp jaaye poore basement me fel gayi.
Ranga apni pasli pakad jese hi side hua...
*Thud*
Sarr pe ek waar aaya aur agle hi pal uski aankho ke saamne andhera chhaa gaya.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Ye baat to sahi me dimag se hi nikal gyiAre bhai..veer k dadaji k faisle ka kya hua? Kya sabko faisla nahi chahiye jo koi bhi veer ko ghar leke nahi ja rha
Click anywhere to continue browsing...
Bhai apko explain karne ki zarurat nahi hai... life me enjoyment bhi bahat zaruri hai... aap jab bhi update do, cool mind se likhna aur interesting bana k likhna fir update dena... interesting bana k likhne me kitna hardwork karna padta hai wo mujhe pata hai... bhai update ane me 1 din late ho gaya to bhi chalega... update padhke humku maza ana chahiye... bhai aap update jab bhi do thoda sa long wala denaSab pata chalega bhai. Aur update 2 se 3 baje ke beech definitely aa jaega. Because it's half completed only. Kal mein dussehra ghoomne raat ko friends ke saath nikal gaya tha. Aur chutiyo ke saath town ke baahar aa gaye hum. Abhi ghar laut rahe hai ab. Rahi baat Veer ke dada ji ki toh abhi Pranjal aur Vivek ke zariye pata lagega ki kya chal raha hai Veer ki family me.
Click anywhere to continue browsing...
Nice updateUpdate - 20 ~ Ragini's Breakout and An Unknown Visit.
Ab tak...
Usse kholte hi Veer seedhi wo knife Ranga ki pasli me ghused thi...
*Splurt*
"Aaaaaarrrrrrrrrrrrrrgggggghhhhhhhhhhh"
Ek zorrdaar cheenkh jisse sunn aadmi ki rooh kaanp jaaye poore basement me fel gayi.
Ranga apni pasli pakad jese hi side hua...
*Thud*
Sarr pe ek waar aaya aur agle hi pal uski aankho ke saamne andhera chhaa gaya.
Ab aage...
"Haaaah... Haaaah...." Zorr zorr se lambi lambi saas lete hue Veer wahi neeche baithe Ranga ko dekh raha tha, jo ki iss waqt sarr par waar khaane ke baad behosh ho chuka tha.
Aur agle hi pal, Veer apne haath se rod ko zameen par giraate hue, apni peeth ke bal dhadaam se floor par gir pada, wo lambi lambi saasein le raha tha, yaha tak ki kaafi khaasi bhi aa rahi thi usse.
Uske peeche se Ragini samet baaki sab kursi par bandhe side muh karke usse hi ghoor rahe the. Ragini ki aankho me ek chinta thi, saath hi saath darr, glaani aur na jaane kitne emotions uski aankhein bayaa kar rahi thi. Aur, wo aasu jo lagataar uske chehre ko bhigoye jaa rahe the, uski haalat ko bakhubi darsha raha the.
'Whyyyy!? Just... Just whyyy!??' Uske mann me yahi sawaal baar baar aa raha tha. Akhir kyu Veer yaha pe tha!? Ye baat toh saaf thi ki wo yaha usse aur baaki sabhi ko inn gundo ke changul se bachaane ke liye aaya tha. Par sawaal tha kyu!??
Jo ravaiyya uske gharwaalo ne uske saath kiya tha uss hisaab se toh usse yaha hona hi nahi chaahiye tha, ulta usse toh khush hona chaahiye tha. Par unn sab ke bawajood wo yaha par tha.
Jis hisaab se wo saasein le raha tha, aur uske shareer par aaye wo chhile hue ghaav jinse khoon beh raha tha, ye dekh ke hi Ragini ko ek chinta sii sataa rahi thi. Aisa hona nahi chahiye tha kyuki Veer se wo kabhi baatein hi nahi karti thi, ulta apne Pati ke plan me jaane ya anjaane me shaamil rehti thi jiske chalte Veer ko harr baar fassaaya jaata tha.
Par aaj Veer ne usse bachaaya, aaj wo uska ek saviour tha. Wo tab aaya jab usne poori umeed chorr di thi. Shayad isliye!? Shayad isliye aaj Ragini ko uski aisi haalat dekh thodi chinta ho rahi thi!? Abhi toh usne khud nahi realize kiya tha ki uska mann Veer ki aisi haalat dekh chinta me hai.
Vivek bhi Veer ko dekh khud hairaan tha.
'Ye!? Ye yaha kya kar raha hai!? Isse kese pata chala?? Jo bhi ho... Iske kaaran aaj mein bach gaya. Accha hua isse nahi pata hai ki Pranjal ke saath mein bhi mila hua hu. Shayad isse ye bhi nahi pata abhi ki Pranjal hi iski ye haalat ka kaaran hai. Hahaha~ good! Good! Ye sahi hai... I just have to console Ragini.'
Wo apne mann me soch apne aage ke plan ki taiyaari karne me abhi se busy ho chuka tha.
Dinesh bhi Veer ko dekh usse mann hi mann dhanyavaad de raha tha. Uske mann me Veer ke prati izzat badh chuki thi. Wahi dusri orr, Vivek ki chhavi uske mann me poori tarah se neeche gir chuki thi. Aaj jo asli Rang Vivek ne apna dikhaya tha usse dekh wo mehsoos kar sakta tha ki uski beti par abhi kya beet rahi hogi.
Idhar Veer unn sabhi ki nazro se anjaan apne gale me dono haatho ko ferr raha tha. Usse mehsoos hua ki kitna close tha wo apni maut ke. Yadi usne wo pocket knife na uthaayi hoti toh Ranga aaj pakka uska gala rod se choke kar ke usse maut ke ghaat utaar diya hota.
Aur maut ke baare me soch ke hi uske andar ek sihran sii daud gayi.
Yadi Pari ne usse uss aadmi ki jebe check karne na kaha hota, toh wo pocket knife usse milti hi nahi, yadi Pari ne usse ek secret weapon khojne ke liye na kaha hota toh uske paas wo rod hoti hi nahi. Ye sab soch ke hi Veer ke mann me Pari ke liye izzat badh gayi.
[Master!? Are you okay!?]
'I'm... I'm fine Pari! Thanks! Thanks a lot! Yadi tum na hoti toh...'
[It's okay master. Don't say it like that. It's okay!]
Veer khud ki saasein control kar neeche zameen se utha. Aur uski nazar jese hi Ranga pe gayi...
'Check!'
[ Name - Ranga
Age - 29
Bio - Ranga apne bhau ke liye kaam karta hai. Pehle se hi wo anaath tha aur uske bhau ne usse sahaara diya. Apne bhau ke prati poora samarpit hai.
Favourability : -2
Relationship : Strangers.]
'Bhau!?'
[Iska boss Master.]
'Toh kya naam nahi jaan sakta mein!?'
[It's because I'm level 2 master. Level me up then see the magic.]
'Yeah! Yeah!'
'Wait!! Ye minus me favourability??'
[Yes master! Because aapne uspe hamla kiya toh favourability minus me toh jaane hi thi jab wo pehle se hi zero pe thi. Strangers ki favourability zero rehti hai na master. You remember!?]
'Ah! Yes! I do!'
Uske baad thoda karaahte hue Veer utha aur dheere dheere aage badh wo sabse pehle Dinesh ke paas pochucha.
Dinesh ke muh se tape nikaalte hue usne uske ird gird bandhi rassiya kholi.
Dinesh : Beta... Beta aaj tum na aate toh pata nahi kya hota.
Veer ne keval apna sarr haa me hilaaya aur uske bagal me baithi Ragini ki rassiya kholne ke liye wo neeche apne ek ghutne pe baitha aur rassiya kholne laga.
Ragini rote hue usse hi dekhti jaa rahi thi. Wo dekh paa rahi thi ki kese jagah jagah usse chot aayi thi. Par Veer ki nazre ek baar bhi Ragini ki nazro se na takraayi. Wo jese bas bina koi bhaav ke apne haatho se rassiyo ko kholne me laga hua tha.
Na hi usne upar muh karke Ragini ko dekha aur na hi uss se kuch kaha.
Dinesh idhar Vivek ki rassiyo ko kholne me jut gaya.
Jese hi sabhi unn rassiyo ki qaid se azad huye, Ragini uthate hi daudte hue Dinesh ke gale se lag gayi aur sisak sisak ke rone lagi.
Ye sab kuch uske liye boht zyaada tha. Khaaskar jab usse Aatish ka wo tamaacha pada tha, uske baad se hi Ragini me ek darr baith gaya tha. Warna uske pehle toh woh yahi soch rahi thi ki police aake unn sabhi ko bacha legi ya ye gunde zyaada kuch nahi karenge.
Par jab Aatish ne apne hi aadmi ke perr me goli chalaayi aur bas...
Ye dekhte hi Ragini ko samajh me aa chuka tha ki wo kitni badi musibat me phassi hui hai.
Aur ussi musibat se usse bachaane Veer kisi farishte ki tarah aaya. Na keval usne unn teeno ki jaan bachaayi balki ab Vivek ki company bhi bach gayi thi aur saath hi saath ab Dinesh ke kaagaz bhi wo waapas le sakte the aur saare evidence mita sakte the.
Dinesh apni bacchi ko gale se lagaaye uske chehre ko dekh raha tha. Aatish ka tamaacha khaane ke baad bechaari ka poora gaal laal ho chuka tha. Kese uske mote mote aasu uske gaalo se behte hue gir rahe the, wo sab kuch dekh paa raha tha.
Ragini : Papa...
Dinesh : Meri bacchi... Tu theek hai na!?
Ragini : Mein thik hu Papa... Aap theek hai na!? Unhone aap ke saath kuch kiya toh nahi na!? Kahi chot toh nahi aayi na aapko!?
Dinesh : Mein theek hu meri bacchi! Mein theek hu... Kuch nahi hua mujhe...
Vivek idhar dono baap beti ko dekh ab nazre jhukaaye khada tha. Usse samajh nahi aa raha tha ki kese wo Ragini ko face kare. Usne jo kuch derr pehle kiya tha uske kaaran Ragini pakke se behad khafa ho chuki hogi uss se. Aur, Vivek ko ab yahi kaam karna tha ~ Usse Ragini ko manaana tha jese bhi karke.
Abhi wo kuch keh paata ki tabhi Veer ki awaaz unn sabhi ke kaano me padi,
Veer : Hamaare paas samay nahi hai. Hume jald se jald yaha se nikalna hoga.
Veer ki baat sunn Dinesh ne haa me sarr hilaaya aur wo forun hi wahi table me rakhe saare apne kaagaz aur mobile me bane videos ko udaane laga.
Jab usne sab kuch dekh liya ki sab sahi hai uske baad usne Veer ko nikalne ka ishaara kiya.
Veer bhi ye jaan ke hairaan tha ki maamla kitna bada tha. Yaha wo soch raha tha ki sirf Ragini hi musibat me thi par maamla toh kayi guna pecheeda tha. Ragini ke saath saath Vivek aur Dinesh bhi yahi the aur yaha tak ki Dinesh ke Showrooms tak chhin chuke the.
Agle second hi sabhi uss abandoned building se baahar nikal tezz tezz qadmo ke saath main road ki taraf jaane lage.
Aur kuch hi derr me wo road ke paas aa chuke the. Ab unki nazro me kuch kuch gaadiya raaste me chalti nazar aane lagi thi.
Abhi jo sabse zyaada priority ka kaam tha wo tha yaha se nikalna. Kyuki kisi bhi waqt unn gundo ko hosh aa sakta tha aur wo Veer aur unhe dhundne aa sakte the. Isliye, jitna jaldi yaha se nikla jaaye utna behtar tha unke liye.
Kaafi derr tak wo bhaagte hue aage badhe the aur ab bas keval paidal hi chal rahe the kyuki Dinesh thak chuka tha.
Veer sabse aage chal raha tha aur uske peeche peeche Ragini aur baaki sab.
Apne qadmo ki raftaar tezz kar achanak hi Ragini Veer ke bagal se aayi aur uski chaal ke saath saath chalne lagi.
Ragini : Vee... Veer!?
Badi hi dheemi sii awaaz me usne pukaara. Par Veer ki taraf se koi reaction na mila usse. Wo bas saamne dekh chalta jaa raha tha. Jese maano Ragini uske liye bas hawa ke samaan thi.
Bauhe sikodte hue ek baar fir Ragini ne bechaini bhari awaaz me pukaara,
"Veer!!"
Par nateeja!?
Wahi...
Veer ne ek shabd na kaha.
Idhar Vivek apni patni ko Veer ke bagal se dekh hairaan tha.
'Ye!? Ye uss se kya baatein kar rahi hai!? Damn it! Mujhe... maamla suljhaana hoga, warna derr ho jaegi'
Aur agle pal hi Vivek aage badha aur Veer ke haath ko thaamte hue usse rok liya,
"Chote bhai..."
Usne badi hi vinamrta se usse pukaara aur aise me Veer ko rukna hi pada.
Vivek : Chote bhai! Aaj tumne hum sabhi ko bachaaya hai. Mein tumhara ye ehsaan kabhi nahi bhulunga bhai.
Bagal me khadi Ragini ne jese hi ye dekha uski aankhein phati ki phati reh gayi. Vivek kitni asaani se jhooth bol raha tha. Matlab ekdum safed jhooth.
Ab Ragini ko samajh aa raha tha ki uska pati kis kism ka ekdum nihaayti aur ghatiya insaan tha.
Na keval Vivek ne itne saare shadiyantra banaate hue Veer ko bhagaane me saath diya balki aaj usne apni hi patni ki jaan ki parvaah na kar seedhe seedhe usse qurbaan karne ki thaan bhi lii thi. Aur ab wo Veer ko apni meethi chikni chupdi baato me firse fassa kar usse behlaa raha tha.
'I never imagined you would be like this...' wo mann me soch Vivek aur Veer ke beech me hi koodna chaahti thi aur bataana chaahti thi ki uska pati kitna jhootha insaan hai, par Veer ne uski baatein suni hi nahi abhi kuch derr pehle hi...
'He must know... He must... Usse ye pata chalna hi chaahiye kese bhi karke...' Ragini ne jese thaan liya tha ki aage kya karna hai.
Vivek : Chote bhai! Mein jaanta hu tau jii tumse boht naraaz hai aur tumhe ghar se nikaal chuke hai. Par iska ye matlab toh nahi na ki mein aur baaki sab tumhaari parvaah nahi karte!? Bhale hi mein ghar me awaaz nahi utha sakta bhai... Par aaj jo tumne mere liye kiya hai. Usse mein kabhi nahi bhulunga. Tumhe jab bhi meri zaroorat pade bhai... Bejhijak mere paas aa jaana... Aur mein apni poori koshish karunga ki Tau jii ko mana ke tumhe waapas se ghar me laa saku. Kyu hai na Ragini!?
Par Ragini uski baat sunn keval usse dekhti rahi, wo kuch na boli. Aur jese...
Uski aankho me ek gussa tha. Jisse dekh Vivek awkwardly bas apni nazre idhar udhar firaata raha.
Veer : Koi zaroorat nahi hai. I had enough.
Itna bol wo waapas se palta aur kuch kadam chala hi tha ki Ragini bhaagte hue uske peeche se aayi aur uske haath ko thaam lii,
Ragini : Whyyyyy??? Kyu???? Kyu Veer!? Kyu bachaaya tumne hume!?
Usne tezz awaaz me chillaate hue Veer ko dekhte hue kaha.
Aur finally...
Veer uski taraf palta... Dono ki hi iss baar nazre mili aur Ragini achanak shaant pad gayi. Uske haatho ki pakad bhi Veer ke haath par se dheeli pad gayi.
Veer : Why!? Kyuki isme mera hi faayda tha. Just for my sake.
Ragini : Kesaaa faydaaaa!? Kya milaa tumhee!? Tumhe toh mujhe aur baaki sab ko hate karna chaahiye na!? Fir kyuuuu!? Kyu tumne aisa kiya!!!??
Veer : Mene kaha na! Just for my sake...
Ragini (chillaate hue) : I don't believe ittttt!!! I doooon'ttt...
Veer : Then so be it... And leave me alone.
Ragini : Whyyyyyyyyy!???
Par iss baar uske chillaate hi Veer ne apni aankhein dikhaate hue usse dekha jiske chalte bechaari Ragini thodi darr gayi aur uski awaaz achanak hi band ho gayi.
Veer : I won't repeat myself. Leave me fucking alone...
Pata nahi kyu... Par Veer ke bol sunn ek ajeeb sa dard hua usse andar hi andar. Kesa lagega aapko jab aapki koi jaan bachaane waala vyakti, aapke apno ki jaan bachaane waala vyakti aapse aisa kahe toh? Yahi hua tha Ragini ke saath.
Apna nichla honth daato tale dabaaye wo bas Veer ko ghure jaa rahi thi. Aankho se mote mote aasu beh rahe the. Usse apne sawaalo ke uttar bas chaahiye the, fir bhale hi Veer usse dhutkaar deta.
Par usne kuch bhi na bataaya.
Aur yahi sawaal Ragini ko andar hi andar khaaye jaa rahe the. Uski glaani ko badhaate jaa rahe the. Uski samajh me aa chuka tha ki kitna galat kiya tha usne Veer ke saath. Kitni buri bann gayi thi wo kisi ke liye.
Jis Veer se wo kabhi baat karne ke liye interest nahi rakhti thi aaj ussi Veer se baat karne ke liye wo marri jaa rahi thi. Bas ek baar bas wo uske muh se jese sunn'na chaahti thi ki akhir kyu kiya usne ye sab!?
Veer ka kehna tha ye uska swaarth tha, par iss baat pe Ragini ghanta believe karne waali thi.
Usse lag raha tha ki koi aur kaaran hai, aur yahi jaan'ne ke liye wo paagal hui jaa rahi rhi.
Veer : Aap sabhi jaaiye... Mein chala jaunga.
Veer ne Dinesh ko dekhte hue kaha toh Dinesh aage badh uske paas aaya.
Dinesh : Beta... Tum... Tum chalo... Mere saath... Ghar me. Tumne hamaari jaan bachaayi hai. Aise kese mein tumhe jaane de sakta hu? Aur aise akele kese jaoge!?
Veer : Mein akele hi toh aaya tha na? Don't worry! Mein chala jaunga. Aap log late mat kariye. Wo log kisi bhi waqt aa sakte hai yaha. Jald se jald taxi leke ghar ki orr nikaliye.
Kayi baar Dinesh ke manaane par bhi jab Veer na maana toh Dinesh ne ant me kuch paise nikaal Veer ke haatho me thama diye ki wo bhi taxi leke jald se jald yaha se nikal jaaye.
Jab taxi me baithne ki baari aayi toh Ragini ne ek bomb aur fod diya,
Ragini : Papa! Mein aapke saath aa rahi hu...
Aur ye sunte hi Vivek maano darr sa gaya...
'She... She's not leaving me right!?'
Vivek : Ragini!? Ghar nahi chal rahi!?
Ragini (stares) : Ghar hi jaa rahi hu.... Apne!!!!
Vivek : Accha!? Haha~ Theek hai. Aaj... Aaj Papa jii ke saath hi raho. Mein samajh sakta hu... Haha~
Aur Ragini Dinesh ke saath baith nikal gayi. Idhar Vivek bhi ek taxi kar nikal gaya aur bacha tha keval Veer.
Ant me usne bhi ek taxi kari aur wo bhi ghar ki orr nikal gaya.
Raaste me Ragini ne forun hi apna phone nikaal kisi ko call lagaaya,
Ragini : Hello!?
Dusri taraf se : Hello!? Haa bhabhi!
Ragini : Kavya!!! Kaha ho tum!?
Kavya : Mein toh ghar pe bhabhi, par aap kaha ho? Kabse aapko dhund rahe hai sab... Mujhe laga aap apne papa ke ghar gayi ho toh mene sabko wahi bataaya... Aap wahi ho na!?
Ragini : Oh thank god! Haa! Mein wahi hu... Aur suno na... Mujhe tumse boht important kaam hai.
Kavya : Kya kaam Bhabhi!?
Ragini : Kya tumhaare paas Veer ka number hai!?
Kavya (surprised) : Veer bhaiya ka!?
Ragini : Haa!
Kavya : Haa... Hai toh...
Ragini : Thank god! Please... Kavya... Please... Mujhe uska number send kar do jaldi. It's urgent.
Kavya : O... Okay!
Ragini : Haa! Thanks!
*Call ends*
Aur kuch hi seconds ke andar hi Kavya ki taraf se ek message aaya jisme Veer ka number tha.
Apne phone me Veer ka number save kar wo apni soch me pad gayi. Taxi me baithe hue uski nazre window se baahar raat me sadak par daud rahi gaadiyo par thi. Par dhyaan kahi aur...
'I must tell him... Mujhe bataana hoga usse ki kya kya uske saath hua hai. Jitna mujhe pata hai... I'll have to... And Vivek... I can never believe you again...'
***
Nidhi ke ghar pohuchte pohuchte Veer ko 10:30 baj chuke the. Usne door bell bajaayi, aur andar se Nidhi ne hi darwaaza khola.
Jese hi Nidhi ne door khol ke Veer ko dekha, uski aankhein ashcharya ke maare phatt gayi.
Veer ke chehre toh kahi haath me jagah jagah chot ke nishaan the, yaha tak kuch choto se khoon bhi beh raha tha.
Apne dono haatho se muh dhakte hue wo Veer ko stabdh nigaahon se dekhti rahi,
Nidhi : Veeeeeeerrrr!??? Ye...
Aur uska haath pakad wo kheechte hue usse andar laayi, usse baithaayi aur darwaaza band kar bhaagte hue andar se ek first aid ka dibba laayi.
Sofe par uske bagal se baith Nidhi ne bina kuch kahe hi sabse pehle uski first aid karna shuru kiya,
Dono ne hi na kuch kaha aur na hi ek dusre se nazre milaayi.
Veer ki nazre jaha neeche thi toh wahi Nidhi ki nazre uski choto par...
Ek ajeeb sii peeda Veer ko andar se ho rahi thi jis kaaran wo Nidhi se apni nazre nahi mila paa raha tha. Ek toh wo bina koi sacchaayi bataye ghar se gaya tha aur wo bhi tab jab aaj Nidhi ne bade hi pyaar se special dinner banaaya tha.
Dinner chorr ke gaya tha woh. Aur ab jab lauta toh aisi haalat leke. Par uske bawajood, Nidhi bina kuch puche uski itni parvaah kar rahi thi. Wo chaahti toh dherro sawaal kar sakti thi ki kaha se maar peet karke aa rahe ho? Wagarah wagarah.
Par jo sabse pehla reaction tha Nidhi ka wo tha chinta... Parvaah...
Uske prati...
Aur bas isliye Veer Nidhi se nazre nahi mila paa raha tha.
'She's too pure... I... I can't...'
[She cares for you master...]
'I...'
Veer mann me bhi kuch na keh paaya. Usse jese rona aa raha tha. Koi insaan itna accha kese ho sakta hai bhala!?
Na jaane kitne sawaal idhar Nidhi ke andar bhi umad rahe the jinhe puchne ke liye wo bechain thi. Par abhi first aid karna zyaada zaroori thi.
First aid hone ke baad dono hi chup chaap bas agal bagal baithe hue the.
Aur ant me Nidhi ne khaamoshi tod hi dii...
Nidhi : Veer!? You okay?
Veer (smiles) : I'm okay Ma'am! Thank you!
Nidhi (frowns) : Then!? Kya... Kya ab tum bataoge kese hua ye sab!? I mean... If you dont want to then... It's... It's okay...
Usne bolte hue nazre neeche kar lii par tabhi Veer ne uske haath ke upar apna haath rakh diya,
Nidhi : Huh???
Veer : I...
Usne Nidhi ka haath aur kass ke thaama aur bola,
Veer : I'm sorry Ma'am. Urgent tha...
[Master! Keh dijiye ki kisi ladki ko gunde cherr rahe the and you helped her... Isliye aap ko ladte hue chot aa gayi.]
'Nahi Pari! Mein jhooth nahi bolna chaahta unse ab. Kitna jhooth bolu Pari unse!? Look at her... Look at her eyes... I can't Pari... Iss se accha hai ki mein kuch na batau...'
[Then tell her the truth!]
'Huh!?'
[Yeah! Why not!? Tell her the truth. Bas mere baare me chorr ke... Tell her everything.]
Pari ki baat Veer ko sahi lagi aur isliye usne Nidhi ko ek baar fir dekha, uska haath kass ke thaama aur bolna shuru kiya,
Veer : Ma'am!!! Baat ye hai ki...
Aur fir Veer ne sab kuch...
Sab kuch bata diya ki Ragini kese waha gundo ke changul me thi aur kese usne unn sabhi ko waha se bachaaya.
Sunte sunte Nidhi kabhi chaunkti toh kabhi darrti, toh kabhi relax ho jaati ki akhir wo sabhi sahi salaamat the.
Nidhi : Itna sab kuch hua... Aur tumne mujhe nahi bataaya!?
Veer : Time nahi tha Ma'am... Wo....
Abhi wo apni baat aage rakh paata ki tabhi andar se Shreya aayi aur uski nazar Veer pe gayi aur agle hi pal wo hassne lagi,
Shreya : Pfffftttt ~ Hahahahaha~ Dekha!? Mene aapko bola tha na Dii ye gaya hai apni mashooqa ke paas... Par lagta hai aaj iski dhulaayi kar dii usne ya fir uske dusre boyfriend ne...
Nidhi : Shreyyyaaaaaa it's not funny! Tumhe pata bhi hai kya baat hai!?
Shreya : Kya!? I can tell easily ki ye kahi se pit ke aaya hai. Oyeeee! Bolo!? Aisa kya kar diya ki tumhari sutaayi ho gayi!? Haan!?
Nidhi se raha na gaya aur usne zorr se chillaate hue sab kuch bata daala jissse sunn Shreya thodi sann sii reh gayi...
Shreya : I... Wo...
Uske muh se ab ek shabd nahi nikal raha tha.
Uski ye haalat dekh Veer ne pyaar se muskuraate hue usse dekha par iss baar...
Shreya ko uski muskaan bilkul bhi acchi na lagi. Ulta dard hua usse...
"Sorry!" Wo kehte hue andar tezz qadmo ke saath chali gayi.
Nidhi : She didn't mean to...
Veer : I know Ma'am! It's okay! Don't worry! By the way... Aapne khaana khaaya!?
Uska sawaal sunn... Nidhi ne dheere se naa me gardan hila dii. Ye dekhte hi Veer ko ek aur jhatka laga aur uski glaani waale bhaav aur bhi badh gaye.
'If she keeps doing on that... Then... I will fall for her Pari... Inhe koi samjhaaye ki itna accha na rahe ye meri taraf... Warna mein inke pyaar me doob jaunga...'
[Anything is fair in love and war master.]
'I know... She deserves better though. Mein toh kuch bhi nahi unke liye Pari...'
[Maybe you are the best for her!?]
Pari ne budbudaate hue kaha.
'Huh? Kuch kaha tumne!?'
[Nothing master!]
Ant me dono Nidhi aur Veer ne saath me khaana khaaya aur aaj ki ye raat ek behad hi badi musibat tal chuki thi.
***
Naya din...
Nayi subah...
Roz ki tarah Nidhi aur Veer college me the. Aur abhi subah subah first lecture lagne me thoda time bacha hua tha.
Veer apni class me sabse peeche ki bench par baitha hua tha par wo akela nahi tha...
Uske saath ek behad hi pyaari aur khubsoorat ladki baithi hui thi.
"Veer Bhaiyaaaa!!! Rakhiyeee naaa!!!!"
Veer : Kavya I told you na!? Mujhe nahi chahiye...
Kavya : Aapne nahi rakha toh mein udaas ho jaungi.
Veer : But...
Kavya : Mene kaha na rakhiye... Itni mehnat se mene ghanto tak dhund dhund ke liya hai...
Kehte hue usne ek badi sa packet Veer ko thama diya.
Iss packet me wo apne bhaiye ke liye kayi saari t shirts aur baaki samaan laayi hui thi. Ye usne kal khud apne paiso se liya tha. Na jaane kitni derr shopping kari thi usne mall me apne bhaiya ke liye...
Veer : Arre but mujhe zaroorat nahi hai Kavya...
Kavya : Kya...!? Kya aap... Kya aap ab bhi mujhe apna nahi maante bhaiya...!?
Uske aisa kehne par Veer ne ek saas bhari aur usko apne bagal se chipka liya,
Veer : Pagli hai tu... Laa de... Fine... Ab toh khush hai na!?
Kavya (giggles) : Hehe~ Boht khush...
Veer : Jaa accha ab... Apni class me jaa...
Kavya : Haa... Jaati hu... But ek baat aur...
Veer : Hmm!?
Kavya : Wo... Kal... Kal bhabhi ka call aaya tha. Unhone mujhse aap ka number maanga tha, and I have given her...
Aur itna bol wo bhaagte hue baahar nikal gayi.
Veer apni soch me doob gaya par wo neeche chal rahe scene se anjaan tha.
Neeche college ke campus me ek black colour ki Rolls Royce aake jo khadi hui thi.
Sabhi aas paas ke students phone nikaal ke photo le rahe the toh koi bas dekhta hi jaa raha tha.
Itni shandaar gaadi unke campus me kya kar rahi thi bhala!?
Par jese ye gaadi toh kuch bhi nahi thi jab uss gaadi ka darwaaza khula aur andar se ek ladki baahar nikli...
Aur usse dekh waha khade harr ladke ke muh khule ke khule reh gaye. Usne ek tube skirt, andar ek shirt aur upar ek blazer daala hua tha. Poori professional lag rahi thi woh.
Tabhi andar se hi ek ladki aur nikli... Ye thodi umr me badi lag rahi thi aur isne golden colour ki ek saree pehni hui thi jo uske shareer se itni kass ke bandhi thi ki uske akaar ko bakhubi dikha rahi thi.
Ek aadmi bhi nikla jo umr me kareeb 40-45 saal ka prateet ho raha tha.
Ladki : Yahi hai na!?
Aadmi : Jii Madam!
Ladki (smiles) : Interesting...
Dusri ladki : Dekh lena... Yaad hai na mene kya kaha tha!? Wahi hoega...
Ladki : I don't care... Ussi ke liye toh hai hum yaha aakhir...
Dusri ladki : It was just a coincidence... There's no need to...
Ladki : Still... I want to...
Dusri ladki : Hmph! Baad me mujhse mat kehna...
Ladki : Prakaash uncle!?
Aadmi : Jii!?
Ladki : Jaaiye...
Aadmi : Jii Madam!!!
Aur agle hi pal Prakaash campus se andar college ki building me jaane laga.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Like kar diyo...