- 16,011
- 107,974
- 259
Last edited:
Click anywhere to continue browsing...
Oye Teri!!!!! That high maintenance girl was Sonia.
Isi bahane update 13 pad lia. Enjoyed the rereading.
Click anywhere to continue browsing...
Superb storyMega Update
Update - 8 ~ A New Mission?
Ab tak...
Veer uski badi behan ki ungli apne muh me daale hue khada tha. Ab bas teeno ek dusre ko dekh rahe the aur ek khaamoshi sii chhaa gayi.
Veer : ....
Nidhi : ......
Shreya : .....
[]
Ab aage...
Iss waqt table ke saamne sofe par Nidhi aur Veer dono hi eksaath baithe hue the aur dono ki hi nazre neeche thi. Wahi unki dusri taraf Shreya single seat sofe par viraajmaan thi.
Uski nazre dono ke hi chehro par tiki hui thi. Khaaskar Veer par. Wo toh usse khaa jaane waali nazro se ghur rahi thi.
Ki tabhi Veer ke mann me ghanti baji...
*Ding*
[2 points have been rewarded.]
'2 points? Ye kisliye?'
[Uplabdhi ke liye!]
'Kesi uplabdhi?'
[Ek shadi shuda khubsoorat aurat ki ungli ko apne muh me bhar bhar ke uska lutf liya. Ye ek uplabdhi se kam hai kya?]
'What the...!?'
[Add karne hai points master?! Changes subah dekhne milenge!]
'Hmm! Add them to my intelligence.'
[Sure!?]
'Yesss!'
*Ding*
[2 points have been added to intelligence.]
[ Stats :
Strength - 10/100
Intelligence -8/100
Agility - 3/100
Endurance - 7/100
Appearance - 7/100]
'Good! Yadi sirf ungli muh me bharne se 2 points mile hai toh yadi mein... Fuck! Veer kesi kesi baatein sochne laga tu!?'
Abhi iss se pehle wo aur baatein kar paata system se Shreya ki awaaz usse hosh me laayi,
Shreya : Ab bataoge ki kya tha wo sab?
Nidhi : Shreya... Jesa tu soch rahi hai wesa kuch bhi nahi hai.
Shreya : Aap chup rahiye dii! Mein iss se puch rahi hu. Ohh hello~ bataoge kuch? Ya nahi?
Veer : Wait! I can explain.
Shreya (aage jhuk kar) : Toh bataiye janaab!!!
Veer : Wo... Wo toh... Wo bas... Ma'am ka haath achaanak hi jal gaya toh mene usse wo... Aise achaanak se usse thanda karne ke liye muh me bhar liya... Ek reflex action tha... Bas... Aur kuch nahi!
Shreya : Accha bacchu?? Toh maan lo ki meri ungli bhi yadi jal gayi toh usse bhi muh me bhar loge?
Veer : Haa!
Shreya : Whaaaaaaaatttt??
Veer : No! Mera matlab...
Shreya (ungli dikhaate hue) : My god! Suno! Ekdum kaan khol ke. Meri dii se ekdum dur rehna samjhe? Yadi mene zara bhi dekha na ki tum dii ke paas fattyaa rahe ho toh fir dekhna.
Veer : O... Okay!
Nidhi : Shreya! Kesi baatein kar rahi hai tu? Veer aisa nahi hai.
Shreya : Aap toh boliye hi mat. Bade acche se muh me ungli diye khadi thi aap toh...
Nidhi (blush) : Shreyyyaaaaaa!!!
Shreya : Hmph! Chalo dinner kare!
Aur ye maamla settle hote hi dinner shuru ho gaya.
Veer ne ek baar firse dono ko check kiya toh paaya ki Nidhi ki favourability 5 ank se badh chuki thi aur ab 35 par thi. Wahi Shreya ki jaha zero thi waha ab 5 ank nazar aa raha tha.
Dinner ke waqt uske bagal se Nidhi baithi thi toh wahi uske saamne Shreya aur uski god me Juhi baithi hui thi.
Aur dono hi kuch khuspusaate hue Veer ko ghurte hue baatein kar rahi thi...
'Ye dono... Kya baatein kar rahi hai ye mujhe dekh dekh ke...!?'
Shreya aur Juhi aapas me kisi khusur pusur me lage hue the.
Shreya : Juhi!!
Juhi : Hmm!
Shreya : Ye bhaiya jab bhi tumhari mummy ke paas jae na, mujhe bataana thik!
Juhi : Hmmm Hmmm! Par didi... Ye bhaiya kaun hai?
Shreya : Ye tumhari mummy ke chote bhai hai. Hehe~ Inko Mama kaha karo okay?
Juhi : Hmm! Hmmm!
Tabhi Juhi Shreya ki goad se utar Veer ko dekhne lagi aur boli,
"Mama! Ab se aap yahi rahoge?"
*Cough Cough*
Aisa phanda shayad hi Veer ko khaate time kabhi laga hoga.
'Kya mene sahi suna? Mama?'
[Haa! Mama! Haha~ Abhi boht mehnat karni baaki hai master!]
Nidhi : Arre Veer? Kya hua? Araam se khao...
Bolte hue, Nidhi uski peeth sehlaane lagi.
Shreya : Hahahahahaha~
Nidhi : Hass kyu rahi ho?
Shreya : Juhi ne isse Mama bulaaya toh isko khaasi aa gayi. Hahahaha~
Nidhi : J... Juhi!??
Juhi : Haa mummy! Ab ye Mama apne saath hi rahenge?
Shreya : Hahahaha~ Ek number Juhi...
Nidhi (blush) : Ummm... Haa beta!
Aur inhi sab hassi mazaak me ye dinner samaapt hua.
Veer iss waqt baahar hi sofe par so raha tha toh wahi Shreya ke sang Juhi aur Nidhi teeno andar bedroom me sthit bed par so rahi thi.
Jab sawera hua aur Veer apni neend se baahar aaya toh sabse pehle wo bathroom me gaya fresh hone.
Aur jaate hi uski nazar mirror me apne aap par padi. Kuch seconds toh wo yu hi apne aap ko dekhta raha aur fir ek jhatka laga usse.
'Fuck!!!!'
[You feel different right?]
'Haan! Mein... Strong mehsoos kar raha hu. Chehre me wese kuch samajh nahi aa raha. Mehsoos toh ho raha hai ki kuch badla hai but dikhaayi nahi de raha.'
[Appearance me ek hi point add kiya tha. Kya hi samajh aaega Master?]
'Toh! Kal mujhe Ma'am ki ungli muh me lene se 2 points mile the. Toh yadi mein... Kisi aur ladki ke saath aisa karu toh!?'
[Better quality! Better points!]
'Kya matlab?'
[Matlab jitni acchi ladkiya, jitna zyaada unka status, utne hi acche points.]
'Kya partiality hai.'
[Master! Aapne abhi tak mujhe naam nahi diya. Isliye, please! Name the system.]
'Naam?'
[Haa master!]
'Hmm! Wese... Tumne meri jaan bachaayi hai. Tum jab aayi ho jab mein iss duniya se jaane waala tha. Tumne mujhe sahara diya. Sach kahu toh mein waqai khushkismat hu jo tumhara saath mila. Kabhi kisi ne mujhse itni saari baatein nahi kii hongi. Haa tumhara ravaiyya thoda attitude wala tha shuru me but abhi thik hai. Meri life me tum kisi angel ki tarah aayi ho. Isliye... Aaj se tumhara naam... Pari.'
[System's default name has been changed to Pari!]
'Pari?? Theek hai na naam!?'
[Yes! Master! Ab se aap mujhe Pari kehke hi sambodhit karna.]
'Okay Pari!'
Abhi Veer brush hi kar raha tha ki wahi ghanti uske dimaag me firse baji,
*Ding*
[Mission : Lose your virginity.
Rewards : ?? Points.
Time limit : 18 hours.]
Aur Mission padhte hi Veer ki hawa tight ho gayi. Uske muh se tooth brush chhutak ke basin me hi gir pada.
'What the hell????? Pari??? Keh do ki tum ne prank kiya hai.'
[Master! Koi prank nahi hai. Ye missions randomly generate hote hai. Mera control nahi hai isme kuch.]
'Arre par abhi Nidhi Ma'am ka bhi toh mission mila tha na mujhe? Fir ye alag ekdum se?'
[Zaroori nahi hai ki ek baar me ek hi mission mile master.]
'Really? Fuck! Time limit 18 ghante? What the hell? Are you kidding me? Kaha se lose karu apni virginity? 18 ghante me ladki kaha se dhundu ab mein? Khud ko hi chodunga kya? Aur ye koi choti sii baat nahi hai. Mein kese apni virginity ko yu kho sakta hu?'
[Virginity ka toh nahi pata master, par yadi aapne mission time pe poora nahi kiya toh aap mujhe zaroor kho doge.]
'Damn it!!'
Kheejte hue usne apne haath basin pe patak diye.
[Aapko kese bhi apni virginity khoni hai.]
'No way! Pari!! Arre isme toh rewards bhi nahi dikha raha hai.'
[Mein kuch nahi kar sakti Master!]
'Fuck this!!!'
[Fuck a woman instead Master!]
'Shut upppp!!!'
[I can't help you with this master.]
'Kya mein puch sakta hu meri pyaari Pari ki iss type ka mission mujhe kyu mila hai?'
[Mujhe nahi pata master. But jaha tak mera andaaza hai, ye isliye hai taaki aap maturity ki duniya me kadam rakho. Khud ko mature banao.]
'Waah! Kya baat hai! Adhbhut!'
***
Shaam ke 7:30 baj rahe the. Aur Veer Nidhi ke ghar se 5 baje ka nikla hua tha. Ladki chodne ke liye. Yaani ki apni virginity khone. Ek ladke se aadmi bann ne. Dhaayi ghante se wo idhar se udhar bas fattyaa raha tha. Par ladki ko dur dur tak naamo nishaan nahi tha. Usse ek aisi ladki chahiye thi jo sundar bhi ho, khud raazi bhi ho aur sex ke baad koi lafda bhi na ho. Par aisi ladki milna toh jese khet me sui dhundne ke baraabar tha.
Uski kuch samajh nahi aa raha tha. Ghar pe wo Shreya ko ye keh ke jaldi nikal gaya ki wo dost ke yaha jaa raha hai. Nidhi uss waqt college se lauti nahi thi. Warna Nidhi toh uss se 100 sawaal karti. Kyuki wo jaanti thi ki uske koi dost nahi hai.
'Hum pichle ek ghante se iss bench pe baithe hue hai.'
[Hmm! Baithe toh hue hai.]
'Aur mujhe apni virginity lose karni hai.'
[Hmm! Karni toh hai.]
'Aur nahi ki toh mein tumhe kho dunga.'
[Hmm! Kho toh doge.]
Aur wo chillaayaa...
'Fuccckkkkkkk thiiiiiiissssss missionnn...'
[I told you to hire a slut. But aapko karna hi nahi hai uske saath...]
'Of course! Mein apna pehli baar aise kese kho sakta hu?'
[Go to Club then. Waha koi pasand aa jaaye aapko?]
'Hmm? Clubs me milegi mujhe koi? Unko ready kese karaunga?'
[Ye toh aap pe depend karta hai.]
'Fine!!'
Ghumte firte Veer bhaiya pohuch gaye ek club ke baahar. Pub hi tha ek prakaar se but with luxury rooms. Daaru piyo, ladki patao, thoko, aur baahar.
Samay samay aisi jagaaho par raids bhi padti rehti thi. Par insaan toh hote hi haraami hai. Ek baar pakde gaye agli baar se fir wahi kaam.
[Aapke paas paise toh hai na?]
'Hmm? Paise? Nahi! Mere paas toh phooti kaudi bhi nahi hai.'
[What the hell? Toh andar kese jaoge?]
Veer jeb me haath daale Club ke baahar apni pockets tatol raha tha. Tabhi uske kaano me ek madhur awaaz padi,
"You don't have money!?"
Usne jese hi palat ke dekha toh uski aankhein phati ki phati reh gayi.
Saamne ek behad hi khubsoorat ladki khadi hui thi. Itni khubsoorat ki usse dekh bechaare Veer ka muh khula ka khula hi reh gaya.
Ek kaali jaangh tak aati one piece dress jo uske gore badan se ekdum kass ke chipki hui thi. Uske stan ke ubhaar ki aakriti wo bhali bhaati dekh paa raha tha.
Uske khule kaale baal jo sirf kandho tak the. Halka make-up, hontho pe wo halki gulaabi lipstick, kaano me lambi stylish baali, harr jagah se wo saundarya ki pratima lag rahi thi.
Veer bechaare ki bolti band ho gayi thi. Wo shayad ab tak ki sabse khubsurat ladki thi jo Veer ne dekhi thi.
Veer : Wo...
Ladki : You don't have money right?
Uski awaaz sunn Veer ne haa me sar hila diya.
Ladki : Then, come with me. I'll pay for you.
Veer : Huh???
Veer ne notice kiya ki uss ladki ke peeche 2 hatte katte bodyguards bhi the jo kaala suit aur kaala chashma lagae hue the.
Aur Veer ko mana karna theek na laga. Wese bhi usse andar toh jaana hi tha. Jese bhi entry mile.
Entry milte hi andar ka nazaara dekhte hi Veer ki aankhein hi chaundhiya gayi.
Ek toh dherr saari disco lights, upar se high volume pe music, stage pe ladkiya aise naach rahi thi ki maano stage hi tod dengi.
Na koi hosh, na koi thikaana bas kahi pe bhi naache jaa rahi thi. Ladke bhi unhi ke saath kamar matkaane me lage hue the toh kuch logo ke toh alag hi scene chal rahe the.
Veer ne dekha ki side me kayi saare luxury sofe lage hue the jinpe baith ke ladka ladki kissing me doobe the. Ye saara nazaara Veer apni zindagi me pehli baar dekh raha tha.
'Damn!!!'
[Welcome to the world of Adults.]
Daaru toh aise pee rahe the log, arre pee kya kuch toh hawa me fek rahe the aur neeche launde laundiya muh khole beer ki boond apne muh me lene ki koshish kar rahe the.
Jese maano wo amrit ho unke liye. Ye sab scene dekh ke Veer ki bauhe sikud gayi. Kya inhi sab me inhe maza aata hai? Wo soch me doob gaya.
Saamne ke side bar tha jaha ladies aur gents dono hi hawa me bottle uchhaalte hue beer whiskey sab kuch serve kar rahe the toh wahi side me kitchen tha jaha se khaane peene ka samaan bhi tables pe serve kiya jaa raha tha.
Veer ne dekha ki jagah jagah hookah ke pipes bhi rakhe hue the jisse ladkiya badi hi chaud aur maze se pee rahi thi. Kuch toh besudh se nashe me doobe idhar udhar pade hue the. Na hi unhe koi uthaane waala tha aur na hi unka saath dene wala.
[Dekha master! Ye hai adults ki duniya. Shayad isliye aapko ye mission mila hai. Taaki aap mature bano.]
'Hmm! Dekh raha hu Pari!! Dekh raha hu...'
Veer chalte chalte uss ladki ke saath saamne bar ki seats par baith gaya.
Par abhi bada hi atpata lag raha tha usse. Uske sar ke peeche do bodyguards aise khade the ki maano yadi Veer ne galti se bhi uss ladki ko touch kiya toh wo dono bodyguard Veer ke ussi waqt do tukde kar denge.
Aur AC chalne ke bawajood usse ye sochte hi paseena aane laga.
Tabhi achanak uss ladki ne unn dono bodyguards ko dekhte hue kaha,
"You both go outside. I need some time alone."
Aur ye sunte hi dono bodyguards duwidha me pad gaye.
Bodyguard 1 : Sorry Miss! Aapko yaha akela chorr hum kahi nahi jaa sakte.
Ladki : I told you na... Go outside!
Bodyguard 1 : I'm sorry Miss!
Ladki (ghurte hue) : Jaate ho ya nahi? Mujhe baar baat kehna pasand nahi. It's an order.
Bodyguard 1 : Miss! I'm sorry! But bade maalik ka kehna hai...
Ladki : Bade maalik ko mein samjha dungi. Ab jao. Don't worry! Yadi koi bhi gadbad hui I will call you. Just go outside.
Bodyguard 1 : But Miss...
Bodyguard 2 : Theek hai Miss! Par aap kisi bhi mushqil me ho, bas ek call kar dijiyega. Hum just baahar hi hai. Chalo Raghu!
Raghu : Par Jassi...
Jassi : Chalo... Miss ko akela rehne do kuch derr...
Ladki : Thanks Jassi...
Jassi : It's okay Miss!
Aur Jassi Raghu ko leke waha se baahar nikal gaya.
Ab keval Veer aur wo ladki hi saath me agal bagal baithe hue the.
Tabhi ek lady bartender unke paas aayi aur unse unka order puchi...
Ladki : One cosmopolitan...
Bartender : Sure Ma'am! And you Sir?
Veer : Huh?
[Order do Master!]
'But mene kabhi sharaab nahi pee Pari! Fuck! Mujhe toh naam bhi nahi aate. Wo side me kya rakha hai... Orange orange sa... Orange juice lag raha hai. Bol du kya?'
[Hahaha~ bol dijiye master!!]
Veer : Umm... Wo... One orange juice...
Bartender bechaari Veer ka order sunn bada hi ajeeb sa muh banaayi aur usse upar se neeche tak dekhi fir peeche chali gayi.
'Fuuuuckkkk! She was laughing... She fucking laughed... I saw her...'
[Of course! Hahahaha~]
'Pari mene kabhi beer nahi pee, yadi abhi piyunga toh nasha toh chadhega hi... Aur tum jaanti ho na. Hum yaha mission pe hai. Tumhe toh meri madad karni chaahiye.'
[Sorry Master! But it was... It was just too funny hahahahaha~]
Iss se pehle ki wo Pari ko daat paata uss ladki ke bol usse sunaayi diye.
Ladki : So? Why are you here?
Veer : Huh!? Mein wo... Kuch kaam tha mujhe...
Ladki : Ohhh!
Veer ko bada hi ajeeb lag raha tha. Ye ladki thi toh ekdum apsara jesi, par uske chehre par koi bhi bhaav nahi the. Ekdum expressionless. Shuru se ant tak Veer ne uske chehre me koi badlaav nahi dekha. Na koi utsaah, na koi josh, na koi khushi, na koi dukh... Kuch bhi nahi!
Tabhi bartender unki drinks laayi aur unhe serve kari. Jaha wo ladki apni drink pee rahi thi wahi Veer orange juice pee raha tha. Ab usse khud ko sharm aa rahi thi.
'Ek na ek din mein bhi beer peene lagunga. Hmph! Usme itni badi baat nahi hai kuch...'
Ladki : Toh?
Veer : Hmm?
Ladki : Can I ask you something?
Veer : Hmm! Sure!
Ladki (Veer ko dekhte hue) : What do you think of life?
Veer : Life?
Ladki : Hmmmm!
Ye sawaal sunte hi Veer ko apne ateet ki yaad aa gayi. Wo lamhe...
Jisme usne dard saha, usse prataadit kiya gaya, usse fassaaya gaya, uska apmaan kiya gaya, na koi pyaar aur na hi koi pyaar karne waala.
Kese usse ghar se baahar nikaala gaya, kese dar badar wo bhatakta raha, wo accident...
Sab kuch ek pal me jese flashback ki tarah uske mann me aaya aur fir agle hi pal gaayab ho gaya.
Usne muskuraate hue apne bagal me uss ladki ko dekha jo uske uttar ka wait kar rahi thi aur fir wo bola,
"Life is merciless. Zindagi ko gam dena bakhubi aata hai. Jitna iss zindagi se dosti karna chaahoge na, ye utna hi dur bhaagti hai. Kuch logo ke paas kaabiliyat hoti hai toh wo apni zindagi badal lete hai. Kuch ke paas kaabiliyat hoti hai par halaat unhe apni zindagi na badalne par majboor kar dete hai. Aur jinke paas kaabiliyat nahi hoti wo bas kismat ke liye baithe rehte hai. Ki kisi na kisi din unki kismat chamkegi."
Wo ladki bade hi gaur se Veer ki baatein sunn rahi thi.
"Ek samay aisa bhi aata hai, jab aapke paas sab kuch hota hai, par jeene ki tamanna hi nahi rehti. Aisa lagta hai maano ki bas ye zindagi apne aap hi tham jaaye. Khud ko maarne ki himmat bhi nahi hoti kabhi. Bas talaash rehti hai toh kuch aisi cheez ki jo sab kuch badal ke rakh de. Aur pata... Baad me wo milta bhi hai. Wo kisi bhi roop me mil sakta hai, ek insaan ke roop me, ya ek jaanvar, ya fir kuch aur... Jo aapko ek raah dikhaata hai, khushiyaa deta hai, ek naya jeevan deta hai. Bas uska intezaar karna padta hai. Aur jab uss se mulaqaat hoti hai, tab pata chalta hai ki Life kya cheez hai."
Veer ne muskuraate hue apne khayalaat rakhe. Uske bol dil se nikle the. Wo bataate bataate kho gaya tha aur bhool gaya tha ki wo khud apna ateet vyakt kar raha tha iss waqt.
Aur indirectly wo Pari ki baat kar raha tha. Kyuki wahi toh aayi thi uske jeevan me ek farishta bann ke. Bhale hi insaan nahi thi par akhir kuch toh thi. Jo uska saath dene taiyaar thi.
[Idiot! Who told you to get so emotional?]
Pari ki baat sunn Veer kuch na bola bas muskuraata raha.
Jab usne waapas se uss ladki ki orr dekha toh dang reh gaya. Uss ladki ka muh halka khula hua tha aur wo stabdh sii bas Veer ko hi dekhe jaa rahi thi. Pehli baar Veer ne finally uske chehre par koi bhaav dekhe. Achambhav aur hairaani saaf nazar aa rahi thi uske chehre par.
Usne kuch bolna chaaha par shabd nahi nikle unn gulaabi hontho se. Aur wo honth waapas se band ho gaye.
Usne Veer se nazre hataayi aur apne glass jo ki aadha khaali ho chuka tha uss par gaur kiya. Fir ek badi hi dheemi sii awaaz me wo boli,
"Intezaar...... Huh!???"
Veer : Hmm?
Ladki : So... You mean... Yadi uss shaks ka intezaar karo toh wo milega...! Right!?
Veer : Huh? Yeah! Zaroor! Samay aane par...
Ladki : I see!!!
Aur bina kuch dobaara kahe... Wo drink pe drink leti gayi. Veer usse dekh ke dang reh gaya. Na jaane kitna alcohol consume kar chuki thi woh. Aur uski haalat dekh Veer ko ab thoda taras aa raha the uss par.
Veer : Hey!! Are you okay??
Ladki : Yesss!! *Hic* I am...
'Fuck! Ye toh tannn ho gayi!'
Ladki : Heyyy! Come with me...
Usne aage badh ke Veer ki collar pakdi aur usse kheechte hue wo kahi le jaane lagi.
Veer : Heyyyy! Wait! Ruko... Arre....
Par uski baato ko ansuna kar wo bas aage badhti rahi jab unn dono ke kaano me ek awaaz padi,
"Kaha jaa rahi ho chammak chhallo? Idhar toh dekho zara..."
Saamne ki orr dekha toh 2 aadmi unke saamne khade hue the. Boht sharaab pee rakhi thi unn dono hi ne. Shaqal se hi badtameez dikh rahe the.
"Aisa maal toh aaj tak nahi dekha behanchod!!"
Unme se ek ne bola. Toh dusra bhi shaamil ho gaya,
"Sahi kaha. Ayyye ladke! Tum jao aur jaake baahar khelo, yaha hum mardo ka kaam hai bas hahaha~ Aur aisa tanch maal toh keval hum hi sambhal sakte hai."
Kehte hue usne ek seeti maari.
Unn dono ke bol sunte hi Veer ka paara chadh gaya. Wo kuch kehta ki tabhi wo ladki Veer ke peeche aayi aur uss se kass ke lipat gayi. Apni nasheeli awaaz me usne Veer ke kaano me kaha,
"Beat them! See! They are harassing me..."
'Damn it!!!'
Uss ladki ki narm narm chuchhiya Veer ki peeth par dhassi hui thi. Usse toh khud ko khushkismat maan na chaahiye tha ki wo ladki uss se iss kadar yu lipti thi. Na jaane kitne logo ko ye anubhav praapt hua hoga.
Aur zaahir sii baat thi, wo ye sab nashe me kar rahi thi. Poori talli nahi hui thi woh, par kaafi hadd tak nasha chadh chuka tha usme.
Ye pehli baar tha jab Veer ko kisi stree ke urojo ka ehsaas apni peeth par hua tha. Aur usse ye ehsaas behad hi madhosh kar raha tha. Wo garam garam, narm narm, gol gol stan uski peeth par dabe hue the.
'I think now I understand ki kyu ye saare ladke ladkiya ye sab kar rahe hai. Aahh! It feels good!'
[Master! Ye maza baad me lena. Filhaal inn dono ko raaste se hatao.]
Pari kii baat sunn Veer ne haami bhari par tabhi wo aadmi ne aage badh Veer ki chhaathi par lipte uss ladki ke haath ko thaam liya.
Ladki : Look! They even dared to touch me. No man... No man has ever touched me without my permission... Kill them... Kill them now...
Ladki ki baatein sunn Veer ke hosh hi udd gaye. Ye kya bol rahi hai ye? Kill them?
'Shit! Kaha phass gaya mein Pari?'
Uss ladki ki garam garam saasein Veer ko sataaye jaa rahi thi.
Aur Veer se bhi raha na gaya. Usne uss aadmi ka haath thaama aur zorr se usse dhakka diya toh wo peeche ki orr dhadaam se jaa gira.
Dusre ne ye dekhte hi gusse me apna haath uthaaya par uss se pehle hi Veer ne uski kanpati pe ek jhaapad raseed diya aur bas...
Sunnnnnn ki awaaz uss aadmi ke kaan me gunjne lagi.
"Hahahahaha ~ Die you fucker..."
Ladki hasste hue Veer ke haath ko thaam lii.
Mauka dekhte hi Veer uss ladki ko bhaga kar stairs leke upar aaya.
Par upar aate hi usse alag hi drashya dekhne ko mila. Agal bagal bas rooms hi rooms the. Aur kuch rooms ke andar se badi hi tezz tezz siskiyo ki awaaz aa rahi thi.
[Yahi hai mauka! Maar do chauka!]
Ladki : Heyyyy! Let's go there...
Aur wo ladki kheechte hue usse wahi ek counter ke paas le gayi,
Ladki : I want a room!
Aadmi : Jii!
Aur pal bhar me hi Veer uss ladki ke saath room me tha.
Usne Veer ko yu dhakka deke litaaya aur uske upar aake baith gayi,
Ladki : Don't you want me??
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!!
Dhanyavaad!
Don't forget to like and share your comments down below.
Kya veer ki asli mom jinda hai? Lagta hai dadaji apna hissa bhi veer ko denge aur phir poora parivar uska dushman ho jaayega. Kya veer pragya ko ajay ki chat history share kar ke ajay ko pragya ki nazro se gira dega? Fantastic and exciting update.Update - 16 ~ Bad Timing
Ab tak...
Veer ne saara samaan uski bike se uthaaya aur jaate jaate usne ek akhiri baar behosh huye Ajay par daali...
"I promised someone... Ki ab se yadi jiyunga toh ek Raja ki tarah... Aur yadi marunga bhi... Toh bhi ek Raja ki hi tarah..."
[]
Dheemi awaaz me wo khud se itna bol waha se chal diya...
Ab aage...
"Aaarghhhhh!!!!" Achanak hi uski ek karaah nikli. Shareer me jagah jagah dard ka ehsaas ho raha tha. Usse apne chehre par kuch geela geela mehsoos hua.
Palke jhapki, aur dheere dheere usse saamne ka nazaara aaya. Do anjaan aadmi jhuk ke usse hi dekh rahe the aur ek haath se bottle leke paani ke chheete uske chehre par maar raha tha.
"Haa haa uth gaya... Uth gaya."
"Utha? Aur daalo thoda..."
Unki baatein sunn wo ladka kuch keh paata ki tabhi ek aur baar paani ka chheeta uske chehre par pada aur agle hi pal usne zorr se sarr daaye baaye hilaaya aur unhe rokne ke liye apne haath aage badhaaye.
Dono hi aadmi uska ishaara dekh rukk gaye.
"Arre bhai! Theek ho?"
Uss ladke na haa me gardan hilaayi aur dono ne usse pakad ke uthaaya.
"Kya naam hai bhai?"
Unme se ek aadmi ne pucha toh ladke ne apna naam bataya, "Ajay!"
Aadmi : Aise raste me dale the bhaiya tum. Nashe me the kya?
Ajay : Nahi! Wo mein... Kuch nahi balance bigad gaya tha isliye gir gaya.
Aadmi : Kamaal hai bhai! Itni khaali sadak pe balance bigad gaya? Tum toh bade heavy driver nikle bhai. Konu kartab artab kar rahe the kya beech raaste me?
Ajay : Nahi! Wo samaan tha zyaada isliye...
Itna bol jese hi Ajay ne apni bike par nazar daali usse ek aur jhatka laga. Uska saara samaan gayab tha. Wo mehngi chocolate ka dabba, wo pink teddy, wo rose, sab kuch gaayab tha.
Aur usse jese hi ye dhyaan me aaya ki ye harqat kiski hogi, uska paara chadh gaya. Apni mutthi kasste hue wo Veer ko yaad karte hi apne daant peesne laga.
Aadmi : Samaan? Kon sa samaan? Yaha koi samaan nahi mila hai hume tumhara. Lagta hai koi leke bhaag gaya. Batao...
Aadmi 2 : Aaj ka jamaana aisa hi hai bhai. Wo toh hum log the jo tumhe dekh ke forun aaye.
Ajay : Jii! Thank you! Meri madad karne ke liye.
Aadmi : Koi baat nahi! Sambhal ke chalaaya karo.
Ajay : Jii!
Aur itna bol wo dono aadmi apni bike par baith nikal gaye.
Idhar Ajay apni bike ki taraf aaya. Usne phone nikaal ke dekha, toh paaya ki 7:30 ho raha tha. Aur uska phone silent me hone ke kaaran na jaane kitne missed calls uski Maa, Sushma ke dale hue the.
Usne apni bike uthaayi, aur ek baar fir karaahte hue seat pe baitha.
'Yaad rakhunga mein ye chuze. Yaad rakhunga. Harr ek hisaab chukaunga.'
Apne aap se mann me sankalp baandhe wo bike utha ke waha se nikal gaya.
***
Idhar jab Veer Ajay ko sootne ke baad, haatho me samaan liye, raaste me chalte hue jaa raha tha tabhi usse mission complete karne ke liye system ki taraf 30 points mile the.
Jo abhi tak usne add nahi kiye the kisi bhi stat me.
Abhi wo raaste me chalte hue hi jaa raha tha. Paise toh the nahi uske paas, aur Nidhi se usne paise liye nahi the. Nidhi ne kuch paise dene ka prayaas kiya tha usse par usne ye keh ke mana kar diya, ki abhi zaroorat nahi hai, jab boht zaroori hoga toh wo khud maang lega.
Veer jaanta tha Nidhi ke ghar ki sthiti. Wo itna jaanta tha ki Nidhi paisa ikhatta kar rahi hai. Kis kaaranvash? Ye usse nahi pata tha. Par itna zaroor pata tha usse ki koi kaaran hai jiske chalte Nidhi jald se jald paisa ikhatta karna chaahti hai.
Aur shayad isliye wo apni job kese bhi karke nahi chorrna chaahti. Isliye, wo Vikaas ki harqato ko bardaasht karti rehti hai.
Aur yahi kaaran tha ki Veer ne abhi tak Nidhi se paise nahi liye the. Wo yaha tak aaya bhi tha toh lift le le ke. Aur abhi bhi wo lift ka hi intezaar kar raha tha chalte chalte.
Bhale hi Veer ne Nidhi ki baat kaat dii thi, par Nidhi ne zabardasti usse apna ek puraana phone pakda hi diya tha. Issi phone ki madad se toh Veer ne Ajay ko chomu banaaya tha.
Apni wahi puraani SIM daal ke wo isse use kar raha tha. Ab uski baat Kavya se bhi whtsapp par hone lagi thi.
Abhi wo chalte chalte jaa raha tha aur akhir kaar usse lift maangne par ek bhale vyakti ne usse lift dii aur usne Veer ko Nidhi ke ghar se bas kuch dur mod par chorr diya.
Yaha se ghar thoda sa hi dur tha, toh Veer ko ab koi tension nahi thi paidal jaane me. Wo Nidhi ki gaadi lekar nahi aaya tha, infact wo ghar me kuch bata ke bhi nahi aaya tha. Aur isliye Nidhi ke 3-4 missed calls pade hue the uske phone me.
'Ma'am aaj fir gussa karengi lagta.'
[Zaahir sii baat hai master. Wo aapki fiqr karti hai. Wo aapko hospital se apne ghar laayi thi. Aur, wo aapko khud ki ek zimmedaari ke roop me dekhti hai shayad. Isliye, aapki tension unhe lagi rehti hai. Upar se wo ek maa bhi hai toh wo aapki maa ka dard bhi samajh sakti hongi.]
'Meri Maa? Haha~ Wo Maa jo meri ghar me aisi ho rahi durdasha dekhti rahi? Par kuch na bolti thi? Wo Maa, jisne kabhi mujhse pyaar se baat tak naa ki? Wo Maa, jo mujhe ghar se nikaale jaane par bhi chup rahi? Wo Maa nahi hai Pari. Wo ek anjaan aurat hai mere liye.'
Veer ki baat sunn, Pari uske dil me ho rahe fluctuations ko mehsoos kar paa rahi thi.
[Mera matlab aapki sauteli Maa se nahi tha master. Mera matlab aapki asli Maa se tha.]
Pari ki baat sunn, Veer ka haath apne aap hi apne gale me tange uss locket par chala gaya jo uski asli Maa ki ek akhiri nishaani thi.
'Kya pata wo zinda bhi hai ya nahi!?'
[Aisa bhi toh ho sakta hai na master, ki wo zinda hai aur issi duniya me kahi par maujood hai. Aapke lakshyo me se ek lakshya aapka ye bhi hona chaahiye master. Apni asli Maa ke baare me jaan'na. Akhir unhone hi toh aapko janm diya hai.]
'Tum theek kehti ho Pari. Mein unke baare me jaan'ne ki koshish zaroor karunga.'
[Hmm! Wese, aap points invest kar rahe ho!?]
'Raat ko karunga.'
[Okay master!]
Veer abhi chal hi raha tha ki thodi derr baad achanak hi wo chalte chalte zorr zorr se hassne laga.
"Hahahahahaha~"
[Master?]
"Hahahahaha~"
[Master kya hua? Aise kyu hass rahe ho? Raat ho rahi hai, colony ke aas paas ke log sab aapko hi dekh rahe hai.]
Pari ki baat sunn, Veer ne thodi derr baad apna hassna band kiya aur fir bola,
'Pari!! Hahaha~ Mujhe darasal ye yaad aa gaya ki kese humne Ajay ko chutiya banaaya. Hahaha~'
[Ohhh!!]
'Thanks to you! Wo ladkiyo waale dialogues mujhe suggest karne ke liye. Wo chutiya mujhe sach me ladki samajh raha tha hahaha~ Kya kya khwaab saja raha hoga mann me haha~ Soch raha hoga aaj maal milega par mila kya? Pitaayi! Hehe!'
[Isme thanks kesa? Ye toh mere liye baaye haath ka khel tha.]
'Wese! Tumne kaha tha tum genderless ho. Fir itni acchi tarah ladkiyo ke dialogues kese suggest kiye tumne mujhe?'
[I'm not genderless. I'm a girl master.]
'Whaaaattttttt?? Par... Par tumne toh...'
[I lied to you.]
'What the fuck????'
[]
'Kyu?????'
[Aise hi... Tab mera mann ni tha sach bataane ka.]
'The hell????? But tum toh ek system ho aur fir... System ka gender kese ho sakta hai? I mean....'
[Aap iss se adhik jaan'ne ke kiye abhi qualified nahi ho master.]
'Jitna mene socha tha, ye system uss se bhi zyaada pechida nikla.' Usne mann me khud se socha.
[Yes! Mein samajhne me complicated hu...]
'Shit! I forgot ki tum meri mann ki harr ek baat sunn sakti ho.'
[Hmm! Isliye, mere baare me koi buri baat nahi bolne ka master.]
'Jaisa aap kaho meri pyaari Pari! Meri cutie Pari! Meri...'
[Bas bas master! Itni makkhan bhi nahi lagaana hai.]
'Pari!!!'
[Hmm?]
'Thank you!' Veer ne iss baar badi hi soft sii awaaz me muskuraate hue kaha. Aur uske yu bolne par Pari ekdum shaant sii pad gayi.
Kuch derr baad fir uski awaaz Veer ke mann me aayi,
[Kisliye master!?]
'For helping me out, Pari! Kal club me jaake tumhaare kehne par mene wo kisses kari thi unn drunk ladkiyo ke saath, entry bhi tumne karwaayi thi badi hi chaaplusi se. Mujhe shuru me wo sab bilkul accha toh nahi laga tha but ussi ke kaaran mujhe points mile the. Aur mein apni strength badha paaya. Warna mein ye mission kabhi nahi kar paata, and I would have lost you.'
[It's okay master! You don't have to be so emotional.]
Veer muskuraaya aur yu baato hi baato me wo ghar pohuch chuka tha.
Upar floor par aate hi jese hi usne ghar ke baahar se door bell bajaayi, gate Nidhi ne hi khola.
Aur Veer ko dekhte hi uski aankhe phati ki phati reh gayi.
Aur kyu na phati reh jaengi?
Veer ke gale me uski chunri jo bandhi hui thi.
Nidhi : Veer?
Veer : I'm sorry Ma'am! Mein bata ke nahi gaya aapse. Darasal, kaam hi aisa tha.
Uski baat sunn ek baar firse Nidhi ne uske gale me bandhi apni chunri ko dekha aur soch me padd gayi. Ye kis type ka kaam karne gaya tha Veer?
[Master! You are fucked!]
'Huh? Kya hua?'
[Apne gale par haath ferro...]
Pari ki baat sunn jese hi Veer ne apne gale par haath ferra ek mulaayam sa kapda uske haatho se sparsh hua. Aur uss sparsh ka ehsaas hote hi agle hi pal uski ankhein phati ki phati reh gayi.
'Fuuuuccckkkkkkkkkk!!!!'
Nidhi aur Veer dono aankhein faade bas ek dusre ko ghoor rahe the. Mahaul itna awkward tha ki na toh Nidhi me ye puchne ki himmat thi ki uski chunri Veer ke gale me kya kar rahi thi. Aur, na hi Veer me jawaab dene ki koi himmat thi.
Darasal, College se lautane ke baad jab Nidhi fresh hone gayi thi, tab hi Veer ghar se nikal liya tha.
Uske jaane ke baad Nidhi pink color ka apna suit pehn kar baahar nikli thi. Na jaane kab se wo iss chunri ko dhund rahi thi par usse mil nahi rahi thi. Aur ab jab mili toh kaha?
Veer ke gale me...
Bina kuch kahe usne Veer ko andar aane ke liye raasta diya. Awkwardly, Veer andar aaya aur badi hi bekaar si smile dii usne jiske badle me Nidhi keval sarr jhuka lii aur darwaaza band karne lagi.
'Fuckkkkkk! Ye mat kehna wo kuch galat soch rahi hai. I'm not gay! Pari! I'm not gay...'
[I know master!]
'Mere aise koi bhi shauk nahi hai...'
Sochte hue usne forun hi wo chunri utaari aur aage badh Nidhi ke saamne apne haath badhaate hue usse dene laga,
Veer : Wo ye... Ma'am!
Aur Nidhi ne wo chunri lete hue apne upar daal lii.
Nidhi : Mene pehle bhi kaha hai Veer. Kam se kam bata ke jaaya karo... Aur ye...
Veer : I know Ma'am! Uske liye sorry... Aur ye... Ye mein galti se le gaya tha.
Nidhi : Galti se?
Veer : Haan Ma'am! Jaate waqt ye meri jeans me kahi fass gayi thi.
Nidhi : Par kese? Mein toh kab se isse dhund rahi thi...
Veer : Wo...
'Fuccccckkkk me!!!! Mere sath hi aisa kyu hota hai? Itni gaandu timing kyu hai meri?'
[]
Veer : Wo... Shayad bed par rakhi thi ye aapke. Mein aapko bataane aaya tha ki mein jaa raha hu. Par aap washroom me thi aur Shreya jii bhi tab washroom me thi. Isliye, mein nikal aaya tha. Aur shayad nikalte waqt hi ye mere jeans me fassi aur mein jab baahar lift tak pohucha tab mujhe dhyaan aaya. Fir waapas aane ki bajaaye mein isse leke hi chala gaya tha. Sorry!
'Fuck this! Kon believe karega ye chutiya story par? Mein khud na karu.'
Par agle hi pal Veer ko ek jhatka laga jab usne Nidhi ke shabd sune,
Nidhi : O... Okay! I believe you!
Wo halka sa muskuraate hue boli aur turant hi Veer ka chehra garmaane laga.
Uske gaal laal ho gaye aur muh thoda khula ka khula reh gaya.
'Damn it! She's too pure Pari! She's too pure. Mujhe yakeen nahi hota ki Ma'am jesi aurat ki zindagi bhi itni dukhdaayi hai.'
Abhi doni ke beech kuch aur baatein hoti ki tabhi andar se Juhi daudti hui aayi aur Veer ke perro ko zorr se pakad lii.
Apna sarr upar kar wo Veer ko dekhi aur boli, "Veer Mama... Kya laaye mere liye?"
[]
'Ye Shreya ke kaaran... Mama Mama sunn'na pad raha hai.'
Veer : Aapke liye boht badhiya cheez laaya hu mein. Par pehle ek promise karo.
Juhi : Bolo...
Veer : Ki Shreya Jii ko aap Shreya mausi kehke bulaogi.
Juhi : Okaaaaaaayyyyy!
Veer (laughs) : Hahaha~ Ye lo fir.
Aur itna bol Veer ne ussi thaili me se chocolate aur Teddy nikaal ke Juhi ko pakda diya.
Chocolate aur teddy dekh ke Juhi ki aankho me chamak aa gayi. Wo apne haatho me lete hue ucchalne lagi, usne Veer ko neeche jhukaaya aur agle hi pal uske gaal pe ek pyaari sii pappi jad dii.
Juhi : Thank you Veer Mama!
Bol ke wo andar ki orr bhaag gayi.
Idhar Veer apna gaal sehlaata hua uss nanhi sii cute sii bacchi ko jaata dekhta raha. Fir, jese hi usne Nidhi par nazar daali...
Usne dekha...
Ki Nidhi muskuraate hue Juhi ko jaata hua dekh rahi thi. Uske chehre par ek sacchi muskuraahat thi.
Koi dard ya koi jhoothapan nahi tha uss muskaan me. Wo ek maa ki muskaan thi apni bacchi ki khushi ke prati.
Jab Nidhi ne palat ke dekha toh paaya ki Veer usse hi ek taq dekh raha tha.
Aur uski nazre apne upar paate hi usne chaunkte hue ek saans bhari.
Veer : Aapke upar yahi smile acchi lagti hai Ma'am!
Nidhi (blushes) : Huh!?
Veer (smiles) : Aap aise hi smile karti raha karo.
Nidhi (blushes) : Ye tum... Wo sab chorro! Aur ye batao...
Veer : Hmm?
Nidhi : Wo... Wo... Ye sab teddy bear, chocolates? I mean... Tumhari date thi kya? Acchi nahi gayi kya date? Kyuki... I can guess ye tum apni date ke liye hi le gaye hoge.
Veer : Ehh? Date? Pffftttt~ Hahaha~
Nidhi : K... Kya hua? Aise kyu hass rahe ho? Kuch galat kaha kya mene?
Veer : Aapko kisne kaha ki mein date pe gaya tha?
Nidhi (surprised) : You didn't?
Veer : No!!! Not at all! Bas, ye samajh lijiye ki... Mein ye lena chaahta tha toh le liya. Aur ye Juhi ke liye hi tha.
Nidhi : But tumhare paas paise...!?
Veer : Wo... Meri cousin ne diye.
Aur usse jhooth bolna hi pada.
Nidhi : Cousin? Toh... Iska matlab...
Veer : Yes! Bhale hi mujhe uss ghar se nikaal diya gaya hai. Par, meri ek chhoti behan hai Kavya. Wo mujhe waqai apna bhai maanti hai aur bhai jese pyaar bhi karti hai.
Nidhi (smiles) : Ye toh... Ye toh behad hi khushi ki baat hai Veer. Atleast, ab tumhe akelapan mehsoos nahi hoega. Atleast koi toh hai apna jis se ab tum baatein kar sakte ho.
Veer : Yes! By the way... Kya aap kabhi date pe gayi ho?
Nidhi : Huh? Mein?
Veer : Hmm!
Nidhi (giggles) : Haha~ Date kya hoti hai. Ye mein nahi jaanti. Mein kabhi nahi gayi.
Veer (surprised) : I don't believe it. Aapke jesi khubsoorat lady ko toh na jaane kitne proposal aaye honge dates ke.
Nidhi (blushes) : Huh? I mean... Well, thank you but... Even though proposals aaye the toh... I never actually went. Samay beet gaya aur fir gharwaalo ne shaadi karwa dii. Bas!
Veer : Toh? Aap kabhi apne husband ke saath...!?
Nidhi : No... Mein kabhi nahi gayi.
Veer : Aap... Aap kehti ho toh maan leta hu. Wese... Wo...
Nidhi : Hmm??
Veer ne thaili khol, usme rakhe rose ka phool nikaala aur Nidhi ko haath aage badhaate hue usse dene laga,
Veer (blushes) : Ye wo... Juhi ke liye mein wo laaya tha... So... Aapke liye ye...
Nidhi (blushes) : Ahh?? Ye...
Nidhi iske liye taiyaar na thi. Na jaane kab usse gulaab ka phool mila tha. Teacher's day me toh sabhi launde lapaade usse phool diya karte the par aise yu achaanak se shayad hi pehle usse kisi ne phool diya tha. Aur ye toh Veer tha. Uska apna student.
Veer : Ye... As a gratitude meri taraf se... Meri itni help karne ke liye... Ek beautiful lady ke liye... Ek beautiful flower...
Nidhi (blushes) : I... I...
Nidhi ke muh se lafz hi na nikle. Wo bas Veer ko dekhti aur fir uske haath me uss gulaab ke phool ko. Kya ye sahi tha? Kya Veer ke haath se phool lena sahi tha?
Wo thodi si duwidha me thi. Par abhi toh Veer ne kaha tha ki wo ye gratitude vyakt karne ke liye de raha hai aur toh aur Veer uss type ka insaan bilkul bhi nahi hai. Veer ki nazro se bhali bhaati waaqif thi Nidhi.
Apna haath aage badhaate hue usne finally, Veer ke haatho se wo gulaab ka phool le liya.
Veer : Bhale hi hum dono ne apni life me date experience na kari ho, par mein aapko ye phool toh de hi sakta hu na?
Nidhi (blushes) : Hmm! I never got to experience it. But jo bhi hota hai, acche ke liye hi hota hai. Maybe God has planned something else for me!? Accha wo sab chorro... Fresh ho lo, mein khaana lagaati hu. Aur, iss flower ke liye Thank you Veer.
Wo bol ke uthi aur apne dono haatho me phool ko pakad andar jaane lagi ki tabhi,
*Ding*
[Mission : Go on a Date with Nidhi.
Rewards : ??
Time limit - 1 month]
Aur mission padhte hi Veer ki gaand phatt ke chaar ho gayi.
'Pari keh do ki ye mazaak hai.'
[It's not master!]
'Pari! Dekho... Chaahe meri gaand maar lo, par keh do ki ye jhooth hai.'
[No master! Ye mission hai.]
'Kyuuuuuu? Kyu meri kismat itni gaandu hai? Kyuuu? Haan? Nidhi Ma'am ke saath date? Mere laude lag jaenge Pari... Mein unke saath bilkul baat nahi bigaadna chaahta. Kitni favourability hai unki?'
[Nidhi ki favourability 40 hai aapke prati master.]
'Dekha! Kitni badh gayi hai. Ye chutiya se mission ke kaaran zero pe na gir jaaye. Unki naraazgi mein sehan nahi kar paunga Pari.'
[I can't help it master!]
'Fucccccckkkkkkkk!!'
Veer bas apni kismat ko kos hi sakta tha. Uski kismat waqai gaandu thi. Yadi koi accha kaam kismat ne kiya tha toh wo tha Pari ka uske shareer me pravesh hona.
'Pari!!!'
[Yes! Master!]
'Show me my stats'
[Abhi lo master.]
[ Stats :
Strength - 37/100
Intelligence -11/100
Agility - 3/100
Endurance - 7/100
Appearance - 9/100]
Kal Pari ki baat maan'ne ke baad Veer bemann club me gaya tha aur waha jo jo harqate usne nashe me padi ladkiyo ke saath kii thi uske kaaran usse 17 points mile the jo usne apni poori strength me daal diye the. Koi aisi zabardasti waali harqate nahi kii thi usne. Keval kisses aur thode upar se hi boob press jo ki waha club me aam baat thi.
Bhale hi Veer ko wo tareeqa pasand nahi aaya tha par ussi tareeqe ke chalte usse points mile the aur wo Ajay ko dho paaya tha. Yaani ki Ajay ki strength 37 se kam thi.
'Pari!'
[Yes master!]
'8 points meri strength me daalo. 9 points mere intelligence me, 7 meri agility me, aur 3-3 mere appearance aur endurance me.'
[Okay master!]
*Ding*
[ Stats :
Strength - 45/100
Intelligence -20/100
Agility - 10/100
Endurance - 10/100
Appearance - 12/100]
'Good! Good!'
Veer muskuraaya aur andar fresh hone ke liye chal diya.
***
*Thud*
Ek table par ek aadmi ne file patki aur saamne khade ladke ko dekhte hue wo bola,
"Badhiya! Mene jin jin pe gola lagaaya hai, unke baare me pata karo. Aur dhyaan rahe, puraani takneek ke saath hi hume chalna hai. Samjhe?"
"Jii... Jii Bhau!" Uss ladke ne kaha.
Aadmi : Shabaash! Kaam karo toh itna bada karo, ki apne aap naam ho jaaye hahaha~
Wo aadmi cigarette ka dhua apne muh se nikaal ke hassne laga.
Uske saamne hi ek aur aadmi baitha hua tha jo usse dekh ke nakli hassi me hassne laga.
Aadmi : Aap kyu hass rahe ho Prasaad laal?
Prasaad laal : Wo... Wo... Jii... Jiii.. Aap hasse isliye mein hassa haha~
Aadmi : Accha!? Kuch samajh me aaya mene kya kaha?
Prasaad Laal : Jii ki kaam itna bada karo ki naam apne aap ho jaaye...
Aadmi : Hmm! Hmm! Par tumne abhi jo kaam kiya na!? Uske kaaran mera mood kharaab ho gaya.
Prasaad Laal : Huh???
Aur tabhi uss aadmi ne do baar taali bajaayi aur agle hi pal uske peeche khade do hatte katte aadmi ne Prasaad Laal ko uthaaya aur andar room me le jaane lage.
"Nahi! Bhau... Bhau... Isme meri kya galti!? Mujhe maaf kardo... Mujhe maaf kardo bhau... Please! Mujhe bachao..."
Prasaad Laal gidgidaata raha par uski ek na suni gayi. Aur usse ghaseet ke andar ek kamre me le gaye.
Wo aadmi apni chair se utha, sar par safed hat daali, apni hockey uthaayi aur apna mouth organ pant ki jeb me daalte hue wo kamre ki khidki ki taraf aage badha.
Aadmi : Jaan se nahi maarna. Prasaad Laal se hume abhi kaafi kaam hai...
Aur agle hi pal wo kamre ka darwaza band hua aur andar se Prasaad Laal ki raungte khade kar dene waali cheenkhe sunaayi dene lagi.
Na jaane kya suluk ho raha tha uske saath andar.
Aadmi : Ranga!
Ranga : Jii... Jii... Bhau!
Aadmi : File uthao! Mene pehle hi gola laga diya hai. Keval unpe hi dhyaan do. 6 companies hi hai. Mujhe do din ke andar sab kuch chahiye.
Ranga : Jii bhau! Ho jaega!
Aadmi : Good! Tumhe toh pata hi hai ki kya karna hai?
Ranga : Jii Bhau!
Aadmi : Kamzor kadi ko dhundo, raasta apne aap mil jaata hai.
Ranga : Jii Bhau!
Aadmi : Prasaad laal ko ab samajh aa jaega ki kin logo ke saath mazaak bilkul bhi nahi karna chaahiye.
Kehte hue wo kamre se baahar jaane laga.
Aadmi : Yadi fir bhi na maane, toh do chaar dose aur dena usko... Tab samajh aa jaega usse ki Aatish Bhau kon hai.
Ranga : Jii Bhau!
Aur Aatish Ranga ko itna bol kamre se baahar neeche ki orr chala gaya.
Idhar Ranga ne uske jaate hi apne maathe oar se paseena pocha aur file utha ke laal marker se banaaye gaye gole par dhyaan diya jo ki kul 6 naamo ke upar lagaaye gaye the.
Usse toh jese pata tha ki aage usse apne Bhau ke liye karna hai. Aur yahi soch wo forun hi apne kaam me lag gaya.
***
Issi raat Veer ke ghar yaani Nidhi ke ghar se kayi kilometres ki duri par ek behtareen hotel me ek sundar sii mahila kisi se phone pe baat kar rahi thi.
Kuch derr baat karne ke baad usne phone kaata aur wo apni jagah se uth khadi hui.
Wo apne cabin se nikli aur apne bagal ke cabin me gayi. Andar jaate hi usse ek behad hi khubsoorat sii ladki ke darshan huye. Usse dekhte hi uss aurat ke chehre par ek muskaan aa gayi.
"Ho gaya kaam?" Usne pucha toh cabin me baithi wo ladki usse dekhi aur usse dekhte hi wo bhi muskuraayi,
Ladki : Haa Mom!
Andar aate hue uss mahila ne saamne chair kheechi aur uspe baith gayi,
Aurat : Bas! Kuch samay aur fir uske baad dekhna, hamaare paas bhi humaara hissa hoga. Hum nishchint hoke reh paenge.
Ladki : I know Mom! Par...
Aurat : Par kya Bhumi!??
Jii haa! Ye aurat aur ye ladki Veer ki sauteli maa aur uski step sister thi. Yaani ko Shweta aur Bhumika.
Aur iss waqt wo apni hi hotel me baithe hue baate kar rahi thi.
Bhumika : Mom! Kya hum jo kar rahe hai wo sahi hai?
Aurat : Sahi!? Kyu nahi!?
Bhumika : Unka... Unka apna beta ghar se nikaal diya gaya. Aur...
Aurat (surprised) : Bhumiiii!?? Kya tum uske baare me soch rahi ho ab? Kahi hamdardi toh nahi hone lagi tumhe uss se?
Bhumika (bauhe sikodte hue) : Mom! Pehle nahi hoti thi. Par aajkal pata nahi kyu, jese jese samay beet raha hai. Mujhe andar se kuch sahi nahi lag raha.
Shweta : Par aisa kyu Bhumi beta? Hum itna aage aa chuke hai. Aur pehle kabhi toh tumhaare mann me uske liye aisa kuch nahi aaya na? Fir ye achanak se kyu?
Bhumika : Shayad isliye Mom, kyuki kabhi bhi usne hamaare saath galat vyavhaar nahi kiya. Wo jesa bhi tha, kam se kam usne hamaare beech me kabhi khalal nahi daali. Na hi hum uss se baat karte the aur na hi usse kabhi apna maante the. Par inn sab ke bawajood, usne kabhi inn baato ka virodh nahi kiya. Aur isliye, ab jab usse ghar se nikaal diya gaya hai, wo mere sapno me aata hai Mom. Uska chehra mere sapno me dikhta hai. Aur mujhe aisa lagta hai jese mene hi usse ghar se nikalwaaya hai.
Shweta : Tu bhul jaa beti inn sab baato ko. Wo toh jaa chuka hai ab. Ab jaha bhi wo ho, apna jeevan jese usse jeena hai jee lega. Par hume hamaare baare me sochna hoga. Kyuki tum aur mein, bas hum dono hi hai ek dusre ke liye.
Bhumika : I know Mom... It's just!
Shweta : Apne aap ko kaam me vyast rakha karo. Okay?
Bhumika : Jii!
Shweta (smiles) : Hmm! Chalo! Ab chalte hai.
Ye raat toh sabhi ke liye jese tese guzar gayi. Par aane waala samay na jaane sabki zindagi me kya laane waala tha. Jo bhi hone waala tha, itna toh tay tha ki Veer ke liye aane waala samay sangharsh se bharpoor hone waala tha.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Click anywhere to continue browsing...
Update - 19 ~ Tactical Approach
Ab tak...
Na jaane kab Veer baato hi baato me kabhi daudte hue toh kabhi kisi se lift lete hue apni manzil pe pohuch gaya.
[Are you ready master?]
'Hmm!!!'
[Brace yourself!]
'Hmm!!!'
[You'll have to kill....]
'Huh???'
Ab aage...
Veer ko Nidhi ke ghar se gaye aadhe ghante ho chuke the. Raat ke 8:30 baj rahe the aur Nidhi idhar Juhi aur Shreya ko khaana paros rahi thi. Par uski khud ki thaali table par kahi nazar nahi aa rahi thi.
Shreya : Aap nahi khaa rahi?
Shreya ke sawaal par Nidhi ne khaane ko beech me hi paroste hue usse dekha aur uske haath achaanak rukk gaye. Ek lambi saas lete hue wo boli.
Nidhi : Thodi derr wait kar leti hu. Shayad abhi thodi derr me aa jaaye. Warna fir bechara akela baith ke khaega...
Shreya : Haa toh? He totally deserves that. Na toh bata ke gaya ki kab aaega, na ye bata ke gaya ki kaha gaya hai? Arre kaha gaya hoga!? Mein pakke se bata rahi hu aapko, ye gaya hai apni kisi maashooqa ke paas, aur dekhna waha...
Nidhi : Nahi Shreya! Aisa kuch bhi nahi hai.
Nidhi ne virodh karte hue kaha. Shayad usse apne mann me Veer ke wo bol yaad aa rahe the.
'Mein poori koshish karunga Ma'am. Jitni jaldi ho sake... Utni jaldi aane ki... Aur jesa aap soch rahi hai wesa kuch bhi nahi hai. Shreya jii ki baato ko ignore kariyega... And... And... Thank you.'
Jo shabd Veer ne kahe the, uss se toh yahi prateet ho raha tha ki wo kisi zaroori kaam se hi gaya tha.
Shreya : Aapko kese pata aisa kuch bhi nahi hai? Kya aap dekhne jaa rahi ho? Ki wo kya kar raha hai? Itna confidence kyu hai aapko?
Nidhi : Because he said to me Shreya... Wo bas kisi urgent kaam se gaya hai. Aa jaega abhi thodi derr me... Thodi derr wait kar leti hu. Tum dono khaao na khaana...
Shreya : Dekh lena... End me aapko hi bura lagega... Meri baat sunn'na hi nahi hai aapko.
Abhi wo dono aur baatein kar paati ki tabhi Nidhi ke phone ke ghanti baji, aur Nidhi ne phone uthaate hue screen par naam dekha.
Parantu naam dekhte hi uski bauhe chinta ke maare sikud gayi. Apni nazre uthaate hue usne ek jhalak Shreya aur Juhi ko dekha aur fir andar apne kamre me chali gayi.
Andar aate hi usne call uthaaya aur apne kaano se lagaaya.
Aur dusri taraf se uske kaano me ek jaani pehchaani awaaz aayi. Ek mard ki awaaz...
Nidhi : He... Hello!?
Aadmi : Kal tumhe aana hai.
Nidhi (frowns) : Kis liye!?
Aadmi : Baat karni hai. Zaroori baat.
Nidhi : Par jo kuch bhi hai wo...
Aadmi : Mene kaha na? Ghar pe aana hai. Din me... 2 baje tak...
Nidhi : Par jab...
Aadmi : Haa ya na!?
Nidhi : Mein...
Aadmi (tezz awaaz me) : Mene pucha... Haa ya na!? Aaogi ya nahi!?
Apna nichla honth daato tale dabaaye Nidhi ne apni mutthi kassi aur uss aadmi ko jawaab diya,
Nidhi : Fine!! I'll come!
Aadmi : Hmm! Late mat karna...
Nidhi : Hmm...
*Call cuts*
'Kab tak!? Kab tak aise hi chalta rahega?? I need to move forward. Par sab kuch jese... Mein Veer ko bhi ghar se aise nahi bhej sakti... Kharcha badh gaya hai kaafi but still... I cannot just... Leave him like that. Yadi uska koi relative aa jaaye tab toh koi baat hi nahi hai. But uski family... Kese karungi itna sab mein?? Bhagwaan!! Ab toh tum hi koi raah dikhaao. Mein phass chuki hu iss chakravyuh me...'
Nidhi haatho me phone liye apne mann me hi sochti jaa rahi thi ki uske theek peeche se achaanak hi Shreya ki awaaz aayi,
"Kiska phone tha!?"
Sunte hi Nidhi chaukte hue peeche palti.
Nidhi : Wo...
Bolte waqt uska sarr apne aap neeche jhuk gaya. Aur Shreya jese samajh gayi ki kiska phone tha.
Shreya : What did he say!?
Nidhi (sighs) : Kal bulaaya hai mujhe.
Shreya (surprised) : For what!??
Nidhi : Nahi pata... But kal jaake hi pata lagegi ye baat.
Shreya : And you told him that you are coming!?
Nidhi : Of course! Aur koi option hai mere paas!?
Shreya : Kyuuuuuuuuuuu!????
Nidhi : Shreyyyaaaa! I have to... Sab kuch... Issi ke liye toh kar rahi hu... Tum bhi dekhti aa rahi ho tabse... Mene ek bhi din aisa nahi gawaaya hai jidhar mene apna lakshya bhula diya jo... Batao tumhi...
Shreya : I know but...
Nidhi : Don't worry! It's just to talk. Baat karke ghar hi aana hai.
Shreya : Fine!!!! I'll go with you.
Nidhi : Nahiiiii! Juhi ko kaun dekhega!? Wo school se ghar aaegi toh kisi ko toh rehna hoga na!?
Shreya : But aap akele...
Nidhi : Chill! Everything will be fine...
Shreya : O... Okay!
Aur Shreya maayus bhara chehra liye waha se chali gayi. Yahi haal Nidhi ka bhi tha. Shreya ke jaate hi uska chehra agle hi pal murjha sa gaya. Aur wo apne bistar par girte hue baith gayi.
Na jaane kya uthal puthal machi hui thi uske mann me. Sawaal bhi the, gutthiya bhi jinhe wo suljhaana chaahti thi, par inn sab ke bawajood wo apni choti behan se sab kuch saajha nahi kar paa rahi thi. Choti behan kya, siwae khud ke wo sab ke saamne apni asli pravatti ko jese chhupa ke rakhi hui thi.
Jo kuch bhi tha, itna toh tay tha ki aane waala kal, uske liye asaan nahi hone waala tha.
***
Idhar Veer mission ke liye apni bataayi gayi destination par pohuch chuka tha.
Wo sunsaan sii sadak, raat ka andhera aur keval chaand ki roshini. Sadak ke idhar udhar keval ped paudhe, zameeno par bikhre pathhar, sookhe patte aur dhool. Aur saath hi saath ped paudho ke nazdeek se aati jhinghoro ki awaaz. Yahi manzar tha jo Veer ko waha pohuchte hue sabse pehle dikhaayi diya.
Kuch derr jab wo aage badha toh usse kayi building choti toh kuch halki badi nazar aayi. Kuch band ho chuki thi toh kuch poori tarah se abandoned thi aur unki haalat kisi bhootiya jagah se kam nahi thi.
Building ke dhaache aise toote hue bikhre hue kahi zameen par dale the toh kahi kisi sahaare se latke hue the. Andar wo concrete se nikli hui lohe ki rods jinme zang lag chuki thi unki vyatha ko bayaa kar rahi thi.
Toote sheeshe, aur upar terrace se neeche aati hui pedd paudho ki wo jade aur lambi lambi shakhaaye jo uss pehle se hi daraawni jagah ko aur bhi daraawna bana rahi thi.
Yadi kuch tha waha pe sabse zyaada maatra me toh wo thi hariyaali.
Raat me chaand ki roshni me ye abandoned buildings kya hi nazar aa rahi thi. Aas paas ke ped paudho ne jese building ko ek chaadar ki tarah lapet liya tha.
Veer issi building ke baahar hi tha. Aur dekhne me aisa lag raha tha ki ye building shayad pehle koi factory thi, jo ki saalo pehle band pad chuki thi. Uski dur dasha poori tarah se battar ho chuki thi aur structure jese poora ujad chuka tha.
Veer baahar khade bas andar jaane ke liye khud ko prepare kar raha tha, kyuki abhi abhi kuch derr pehle hi Pari ne uski kuch chand shabd kehke gaand phaadi thi. Aur wo shabde the ki~ He'll have to kill.
'Pari! You don't understand! I have never killed anyone. Ye mazaak nahi hai Pari!'
[Master! Mein aapko ye nahi keh rahi hu ki aapko maarna hi hai. Mein bas aapko ye bata rahi hu ki ab se... Ab se yadi aapki jaan khatre me hogi aur yadi aapko koi maarne ka prayas kare ya aapki life ke liye threat ho then aapko usse maarna hi padega. Aur mein issi se aapko ye realize karwa rahi hu ki yadi situation bani toh aapko maarna hi padega warna aap sab kuch kho baithoge...]
Bechaare Veer ko kya hi pata tha!? Wo toh jaanta hi nahi tha ki Ragini kis type ki musibat me phassi hai. Uske mata pita ke saath kya hua hai, aur iss waqt wo andar kis haal me hai, kiske paas hai? Ye saari baato se toh Veer bilkul hi anjaan tha.
Usse toh bas itna pata tha ki Ragini kisi musibat me hai aur usse bachaana hai.
'I... I understand Pari... But ye Ragini Bhabhi bhala aisi jagah me kya kar rahi hai!? Wait!!!! Don't tell me...!?'
Jese hi usko ab yaha aake ye realize hua, uski aankhein phati ki phati reh gayi.
[Yes! You may be right master. Mujhe bhi yahi lag raha hai. Aur isliye, satark rehne ke liye aap apna Phone silent me kar lijiye.]
'Good idea Pari! Mein wahi yaad karne ki koshish kar raha tha ki mein kya bhul raha hu.'
Phone ko silent kar, usse jeb me rakh, Veer building ke neeche bane basement ki orr badha...
*Badump* *Badump*
Uska dil zorro se dhadak raha tha. Ye darr tha anjaan ka. Neeche kya hai!? Kon hai? Kya cheez hai? Wo kuch bhi nahi jaanta tha. Aur issi kaaran uss anjaan cheez ka darr uske dil par apna asar dikha raha tha.
'Pari! Everything will be fine right!?'
[I'll guide you master. Bas dheere dheere aage badhiye. Dhyaan rahe, neeche ekdum dekh ke chalna, saath hi saath apne agal bagal bhi. Kisi bhi cheez se aap takrao na. Hume awaaz nahi karni hai.]
'I know that... But thanks for reminding me...'
Wo jese hi building ke neeche jaate uss slope se neeche aaya toh andar ek LED bulb jal raha tha aur theek side me ek scorpio gaadi khadi hui thi.
'Ye Scorpio yaha kya kar rahi hai!? Kahi issi me Ragini Bhabhi...!?'
[Yes master. I'm thinking the same. Andar situation kaafi critical bhi ho sakti hai. Mein suggest karungi ki aap ek hidden weapon dhund lijiye apna. Like koi rod wagarah, ya koi stick.]
'Yup! I got that...'
Apne dheere dheere qadam badhaate hue Veer zameen par idhar udhar apni nazre ghumaane laga, ki kahi se bas kuch aisa mil jaaye jo uski emergency ke waqt kam se kam hifaazat karne ke kaam aa sake.
Neeche itne phattar aur building ke toote hue hisse pade hue the ki Veer ki dekh ke hi phatt rahi thi ki kahi ye dhaancha gir hi na jaaye.
Jese tese kuch seconds ki mashaqqat ke baad usse jo chaahiye tha wo aakhir kaar usse mil hi gaya.
Ek choti zang lagi hui rod jo ki wahi side me pattharo ke neeche padi hui thi.
Apni shirt ko uthaa ke Veer ne uss rod ko apni peeth ki orr le jaate hue pant me khos lii aur shirt waapas giraate hue usse dhak lii. Kam se kam uske paas ab kuch toh tha. Wo khaali haath nahi tha.
Aur Scorpio ke aage badhte hi uski nazar darwaaze par gayi jo ekdum saamne tha. Wo lohe ka halka damaged darwaaza jisse dekh ke hi Veer bata sakta tha ki isko yadi khola toh ye pakke se chuu chaa ki awaaz karne waala tha.
[Ekdum dheere se khol ke pehle andar nazar maariye master.]
'Hmm!!!'
Pari ki baat sunn Veer ne bilkul wesa hi kiya aur jese hi uske haath darwaaze par lage aur usne darwaza dhakela wo chuu chaa ki awaazein karna shuru kar diya. Aur ye sunte hi uski phatti, usse laga jese wo gaya kyuki agle hi pal ek awaaz andar se aayi,
"Kaunn hai!???"
Ek aadmi ki awaaz andar se aise goonji ki Veer ke haath jo darwaaze par the wo itni tezzi se hate aur agle hi pal wo peeche hata aur darwaaze ke bagal ki diwaar ke peeche chhup gaya.
*Scrunch*
*Scrunch*
Aur tabhi kisi ke qadmo ki awaaz aane lagi jo theek uski taraf hi badh rahi thi.
Zameen par pade kachde, pathhar ke chalte unn qadmo ki awaaz badi hi zorr se aa rahi thi.
*Badump* *Badump*
Jese jese wo qadam aage badh rahe the Veer diwaar se apni peeth lagaaye apne dil ki dhadkano ko control me karne ki koshish kar raha tha. Ye kehna galat nahi tha ki qadmo ke saath saath uski dil ki dhadkane bhi badhti jaa rahi thi.
[Master....!]
Pari ne chintaa bhari awaaz me usse pukaara, kyuki wo mehsoos kar paa rahi thi. Veer ki dhadkane boht tezz jo ho gayi thi.
Ek galat qadam aur kuch bhi ho sakta tha.
Veer itna toh bhaamp gaya tha ki andar se jo bhi aa raha tha wo uska shubhchintak ya dost toh katayi nahi tha. Aur jis hisaab se usne andar se awaaz dii aur ab aage badh raha tha. Veer jaanta tha ki wo aadmi usse dekhte se hi kya karne wala tha. Aur, bas issi hamle ko counterattack karne ke liye Veer khud ko taiyaar kar raha tha.
Aur wo counterattack tha ~ Surprise attack.
Dushman tumpe waar kare uske pehle hi tum usse surprise karte hue uss par dhaawa bol do.
Yahi sab sochte hue usne Pari ki awaaz ka koi uttar na diya jiske chalte Pari ekdum hi bechain ho gayi. Par dubaara kuch na boli,
*Screeeeeeccchhhhhhh*
Aur agle hi pal...
Wo lohe ka darwaaza ek teevr awaaz karte hue khula aur jese hi aadmi baahar aaya...
"Mmmmmmmphhhhhhhhhhhhh"
Uss aadmi ki aankhein phati ki phati reh gayi kyuki achaanak hi uske muh par ek haath aaya aur uska muh poori tarah se seal kar diya.
Jab tak ki wo aadmi kuch samajh paata, dusra haath uske ek haath ko thaam chuka tha aur agle hi pal kisi ne usse peeche se kheencha aur apne saath hi neeche gira liya.
*Craaaaaashhhhh*
Neeche jo bhi kankad pathhar pade the uspe hi dono jaa gire...
Apna dusra haath jo ki uss aadmi ka free tha, jese hi usne uska istemaal karne ka socha ki tabhi ek perr ka dabaav uske dusre haath par pada aur uska wo haath bhi kisi anjaan vyakti ne perr me phassa ke uska virodh nakaam kar diya.
Agle hi pal jese uss aadmi ka pal bhar ke liye ek haath chootha aur usne bina koi chance gavaaye zorr se apni kohni se peeche waale vyakti par waar kiye jiske chalte uss bande ko chot toh aayi par next second hi...
*Thud*
Ek pathhar ka waar uske sarr par huwa aur ek baar fir...
*Thud*
Ek aur waar aur uske saamne hi turant hi andhera chhaa gaya.
*Huffff* *Huffff*
Zorr zorr se lambi lambi saasein chorr Veer uss aadmi ko apni giraft se azaad kar uske neeche se utha aur apni pasli ko malne laga.
'Shit! That was a bad move. Saale ki kohni zorr se lagi.... Aaargghhh!!'
[Endurance...]
'I know.... I know... Ab se endurance par bhi dhyaan dunga...'
'Ek minute! Pari!? Ye marra toh nahi na!?'
[No master. Wo behosh hai. Nice move by the way. Apni surrounding ka istemaal kiya aapne. Neeche jo pathhar pade the unhi ke zariye aapne ek thikaane laga diya.]
'Yeaaahhh! Rod nikaalne ka time nahi tha.'
[Check his pockets master. Kahi iske paas guns toh nahi!?]
Pari ki baat sunn Veer ne forun hi uss behosh ho chuke aadmi ko tatolte hue uski jeb check kari par Veer ko koi bhi hathiyaar nahi mila uska siwae ek choti sii pocket knife ke, jo Veer ne apne jeb me daal lii.
Ab jab Veer ne uss aadmi ko dhyaan se dekha toh wo aadmi nahi balki 28-29 saal ka hi koi ladka tha aur anumaan lagaya ki shayad ye yaha pe kisi ke under kaam kar raha tha.
Idhar Veer ek ko behosh karne ke baad aage badhne ki taiyaari kar raha tha par andar toh kuch aur hi scene chal raha tha.
Ranga Vivek ka video bana chuka tha jisme Vivek ne apni company Aatish ko saupne ke bol bole the.
Aur abhi Ranga Dinesh ka video banaane jaa hi raha tha jab usse baahar se kuch chahal pahal ya harqat hone ki awaaz sunaayi dii.
Ranga : Zara dekh ke aana baahar! Awaaz sii aayi mujhe...
Usne ek ladke ko dekhte hue kaha toh wo ladka haa me sarr hilaate hue baahar jaane laga.
*Scrunch* *Scrunch*
Aur idhar Veer ko fir se unhi pathharo par chalne ki awaaz sunaayi dene lagi aur ye sunte hi wo samajh gaya...
Samajh gaya ki agla koi aa raha hai.
Veer ne forun hi uss behosh pade aadmi ko Scorpio ke peeche khiskaaya aur abhi wo kuch aur karta ki tabhi Pari ki awaaz uske sarr me goonjne lagi,
[Master! Go outside!]
'Huh?? Kyu???'
[Pehle aadmi ke chakkar me awaaz hui hai aur shayad isliye ye dusra achanak dekhne aaya. We cannot risk it master. Ab iske chakkar me andar ke saare log na aa jaaye. Baahar se isse bait kariye... Make him come oustide.]
'Nice idea Pari!'
Veer jaldi jaldi waha se bhaagte hue upar chala gaya, waapas se road par...
Par uske aisa karte hi uss ladke ko bhali bhaati awaaz sunaayi de gayi.
Aur kyu na deti!?
Sannaata hi itna tha waha ki halki halki harqato tak ki awaaz sunayi de jaati thi. Aur Veer toh tezz daud ke gaya tha.
Veer ke qadmo ki awaaz jese hi uss ladke ke kaano me gayi toh wo bhi daudte hue baahar ki orr jaane laga.
Aur slope ki chadhaan chadhte hi jese hi wo basement se baahar road pe aaya toh usne dekha ki...
Sab kuch ekdum shaant pada hua tha.
Par uss ladke ne saaf saaf kisi ke bhaagne ki awaaz suni thi. Bhale hi usne kisi ko dekha nahi par usse apne kaano par poora viswaash tha.
Usse yakeen tha ki saala koi toh yaha aaya tha aur abhi abhi bhaaga hai.
"Kaaaunnnn haii!??"
Par uski awaaz ka aur uske sawaal ka koi uttar usse na mila.
"Saamne aao..."
Ek baar fir usne pukaara...
Par iss baar bhi, koi jawaab na aaya. Chaand ki jitni roshni aa rahi thi, utni hi roshni me dekhna thoda mushqil tha par nazar kaafi kuch aa raha tha.
Wo apna sawaal firse dohraata ki tabhi road ke saamne waale ped ke paas usne dekha ki ek ped ki daal ajeebo gareeb dhang se hil rahi hai.
Jese maano usse koi hilaa raha ho.
Aur sach kaha jaaye toh ye dekh ke uss ladke ki phati toh thi. Bhale hi wo bhooto pe viswaash nahi karta tha par fir bhi aise waqt pe dhyaan udhar chala hi jaata tha. Aur jab sthiti aisi ho toh acche se accha insaan darr jaata hai. Aur yahi iss ladke ke saath bhi hua,
"Ka... Kaun?? Kaun hai!?"
Wo bolte bolte dheere dheere aage badhta raha. Jese tese karke wo ped ke paas pohucha jo bas ab kuch hi duri pe tha. Usne apne haath me liya danda aage kiya aur zorr se uss hil rahi daal ko maara...
Par nateeja!?
Waha kuch nahi nikla...
Uss ladke ki jese jaan me jaan aayi aur wo iss baar bina darre uss ped ki daal ke paas jaane laga.
Aur jese hi wo gaya.
*Thud*
Ek zorrdaar waar uske peeche sarr pe hua aur wo apne hosh wahi kho baitha...
*Huffff*
'This one took only one hit...'
Veer ne apni rod waapas se apni shirt me khusaayi aur bina koi samay gavaaye wo firse andar chala gaya.
Idhar andar Ranga Vivek ko baandh ke Dinesh ki rassiya kholne hi waala tha ki tabhi usse dhyaan aaya ki usne jis ladke ko bheja tha wo ab tak aaya nahi tha.
Keval wahi bas akela bacha hua tha Ragini, Dinesh aur Vivek ke saath.
Dinesh ko ussi haalat me chorr Ranga baahar jaane ka tay karta hai.
Wo ekdum alert hoke chalne lagta hai. Kyuki uske dono hi ladke kaafi derr se baahar the. Aur usse bhi kuch harqat ki awaaz aayi thi.
Jese hi wo darwaaze ko kholta hai ki uski nazar slope se neeche aa rahe Veer par padti hai.
Aur dono hi ek dusre ko dekh ek second ke liye jese wahi rukk gaye. Ek jhatka sa jo laga tha dono ko.
"Kaun hai tu!?"
Ranga ne tezz swar me chillaaya par fir achanak hi uski nazar Scorpio ke paas gayi jaha par usse ek aadmi ke thode perr dikhaayi de rahe the, aur Ranga ko samajhne me derr na lagi ki baahar kya chal raha tha.
Aur agle hi pal uska haath apni jeb me khuse revolver par gaya aur usne usse nikaal ke taana hi tha par tab tak derr ho chuki thi.
*Thud*
"Aaaaarrrrghhhhhhh!!!"
Ek bada sa pathhar aake uske haath pe laga jiske chalte uski ek karaah nikli aur patthar ke lagte hi uske haath se uska revolver chhutak ke peeche jaa gira.
Wo apne haath ke dard se ubhar paata ki tabhi...
*Pooowwwwww*
Ek zorrdaar ghusa aake seedha uske jabde par pada aur uska saara nichla jabda hil ke reh gaya.
Powerful impact ke saath wo ghusa jese hi pada, Ranga teen chaar kadam ki duri me uchalte hue gira aur bas...
Veer toot pada uspe...
Idhar unke ladne se jo awaazein basement me goonj rahi thi, wo Ragini, Vivek aur Dinesh samet sabhi sunn paa rahe the par unhe ye nahi pata tha ki unhe bachaane waala Veer hai.
Ranga ne sambhalte hue Veer ke agle waaro ka bakhubi saamna kiya aur badle me dherr saare waar kiye. Kahi pasli me, toh kahi pait me, kahi chehre me toh kahi seene me...
Dono ek dusre par aise jhapat'te hue ladd rahe the aur bhidte jaa raa the, toh kahi girte padte jaa rahe the. Kuch hi palo me jagah jagah unke shreer me chhilne ke ghaav aa chuke the aur khoon nikakna shuru ho gaya tha.
Wo ladte hue na jaane kab andar ki orr aa gaye jiske chalte Ragini samet baaki sabhi unn dono ko dekh sakte the.
Aur jese hi idhar Ragini ki aankhein Veer par padi, wo phati ki phati reh gayi.
Usse ek jhatka laga tha. Zorrdaar jhatka.
Ye usne apne poore jeevan me kabhi umeed na kari hogi ki Veer yaha usse bachaane aaega.
Aur agle hi pal...
Jo aasuo ka baandh abhi kuch Seconds se thama hua tha wo Veer ko Ranga ke saath ladte dekh hi toot pada aur uski aankho se mote mote aasu behne lage.
Vivek bhi ye dekh ke ekdum hairaan tha.
Usse bhi khud yakeen nahi ho raha tha ki Veer yaha unhe bachaane aaega. Mann me itne saare sawaal umad rahe the dono hi Ragini aur Vivek ke ki pucho mat.
Par iss waqt dono ki nazre aur dhyaan Veer aur Ranga ki ladaayi par tha.
Dinesh bhi khud bas ladaayi ko dekh raha tha aur aasha kar raha tha ki Veer ko kuch na ho.
Par kuch hi palo me jese uski aasha jese mitti me milne jaa rahi thi.
Kyuki Ranga iss waqt Veer ke upar baith apne dono haatho se ussi ki rod uske gale me gadaaye uska gala choke kar raha tha.
"Saaaleeee.... Aaj tu marega mere haatho... Mein nahi.... Ughhh.... jaanta tu kaun hai... Par itna zaroor jaanta hu ki tu inhe bachaane aaya hai aur ye bhi ki tu marrega mere hi haatho se.... Marr jaaa saaaaleee..."
Wo chilaayaa...
"Ugghhhhhhhh"
Veer ko apne gale me ab boht zyaada dabaav mehsoos ho raha tha. Kisi bhi waqt uska gala choke ho sakta tha...
Ki tabhi Pari ki awaaz gunji...
[Master!!!!! Your pocket...]
Aur agle hi pal Veer ne ek haath chorr apni pocket tatoli par ye move jaanleva tha...
Ranga ka dabaav aur badha aur uske gale pe bilkul wo rod jese poori satt chuki thi.
Bas derri thi toh kuch seconds ki aur Veer iss duniya se uth chuka hota agar...
Agar uske dusre haath me wo pocket knife ne aayi hoti.
Usse kholte hi Veer ne seedhi wo knife Ranga ki pasli me ghused thi...
*Splurt*
"Aaaaaarrrrrrrrrrrrrrgggggghhhhhhhhhhh"
Ek zorrdaar cheenkh jisse sunn aadmi ki rooh kaanp jaaye poore basement me fel gayi.
Ranga apni pasli pakad jese hi side hua...
*Thud*
Sarr pe ek waar aaya aur agle hi pal uski aankho ke saamne andhera chhaa gaya.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Click anywhere to continue browsing...
Mast update bhaiUpdate - 20 ~ Ragini's Breakout and An Unknown Visit.
Ab tak...
Usse kholte hi Veer seedhi wo knife Ranga ki pasli me ghused thi...
*Splurt*
"Aaaaaarrrrrrrrrrrrrrgggggghhhhhhhhhhh"
Ek zorrdaar cheenkh jisse sunn aadmi ki rooh kaanp jaaye poore basement me fel gayi.
Ranga apni pasli pakad jese hi side hua...
*Thud*
Sarr pe ek waar aaya aur agle hi pal uski aankho ke saamne andhera chhaa gaya.
Ab aage...
"Haaaah... Haaaah...." Zorr zorr se lambi lambi saas lete hue Veer wahi neeche baithe Ranga ko dekh raha tha, jo ki iss waqt sarr par waar khaane ke baad behosh ho chuka tha.
Aur agle hi pal, Veer apne haath se rod ko zameen par giraate hue, apni peeth ke bal dhadaam se floor par gir pada, wo lambi lambi saasein le raha tha, yaha tak ki kaafi khaasi bhi aa rahi thi usse.
Uske peeche se Ragini samet baaki sab kursi par bandhe side muh karke usse hi ghoor rahe the. Ragini ki aankho me ek chinta thi, saath hi saath darr, glaani aur na jaane kitne emotions uski aankhein bayaa kar rahi thi. Aur, wo aasu jo lagataar uske chehre ko bhigoye jaa rahe the, uski haalat ko bakhubi darsha raha the.
'Whyyyy!? Just... Just whyyy!??' Uske mann me yahi sawaal baar baar aa raha tha. Akhir kyu Veer yaha pe tha!? Ye baat toh saaf thi ki wo yaha usse aur baaki sabhi ko inn gundo ke changul se bachaane ke liye aaya tha. Par sawaal tha kyu!??
Jo ravaiyya uske gharwaalo ne uske saath kiya tha uss hisaab se toh usse yaha hona hi nahi chaahiye tha, ulta usse toh khush hona chaahiye tha. Par unn sab ke bawajood wo yaha par tha.
Jis hisaab se wo saasein le raha tha, aur uske shareer par aaye wo chhile hue ghaav jinse khoon beh raha tha, ye dekh ke hi Ragini ko ek chinta sii sataa rahi thi. Aisa hona nahi chahiye tha kyuki Veer se wo kabhi baatein hi nahi karti thi, ulta apne Pati ke plan me jaane ya anjaane me shaamil rehti thi jiske chalte Veer ko harr baar fassaaya jaata tha.
Par aaj Veer ne usse bachaaya, aaj wo uska ek saviour tha. Wo tab aaya jab usne poori umeed chorr di thi. Shayad isliye!? Shayad isliye aaj Ragini ko uski aisi haalat dekh thodi chinta ho rahi thi!? Abhi toh usne khud nahi realize kiya tha ki uska mann Veer ki aisi haalat dekh chinta me hai.
Vivek bhi Veer ko dekh khud hairaan tha.
'Ye!? Ye yaha kya kar raha hai!? Isse kese pata chala?? Jo bhi ho... Iske kaaran aaj mein bach gaya. Accha hua isse nahi pata hai ki Pranjal ke saath mein bhi mila hua hu. Shayad isse ye bhi nahi pata abhi ki Pranjal hi iski ye haalat ka kaaran hai. Hahaha~ good! Good! Ye sahi hai... I just have to console Ragini.'
Wo apne mann me soch apne aage ke plan ki taiyaari karne me abhi se busy ho chuka tha.
Dinesh bhi Veer ko dekh usse mann hi mann dhanyavaad de raha tha. Uske mann me Veer ke prati izzat badh chuki thi. Wahi dusri orr, Vivek ki chhavi uske mann me poori tarah se neeche gir chuki thi. Aaj jo asli Rang Vivek ne apna dikhaya tha usse dekh wo mehsoos kar sakta tha ki uski beti par abhi kya beet rahi hogi.
Idhar Veer unn sabhi ki nazro se anjaan apne gale me dono haatho ko ferr raha tha. Usse mehsoos hua ki kitna close tha wo apni maut ke. Yadi usne wo pocket knife na uthaayi hoti toh Ranga aaj pakka uska gala rod se choke kar ke usse maut ke ghaat utaar diya hota.
Aur maut ke baare me soch ke hi uske andar ek sihran sii daud gayi.
Yadi Pari ne usse uss aadmi ki jebe check karne na kaha hota, toh wo pocket knife usse milti hi nahi, yadi Pari ne usse ek secret weapon khojne ke liye na kaha hota toh uske paas wo rod hoti hi nahi. Ye sab soch ke hi Veer ke mann me Pari ke liye izzat badh gayi.
[Master!? Are you okay!?]
'I'm... I'm fine Pari! Thanks! Thanks a lot! Yadi tum na hoti toh...'
[It's okay master. Don't say it like that. It's okay!]
Veer khud ki saasein control kar neeche zameen se utha. Aur uski nazar jese hi Ranga pe gayi...
'Check!'
[ Name - Ranga
Age - 29
Bio - Ranga apne bhau ke liye kaam karta hai. Pehle se hi wo anaath tha aur uske bhau ne usse sahaara diya. Apne bhau ke prati poora samarpit hai.
Favourability : -2
Relationship : Strangers.]
'Bhau!?'
[Iska boss Master.]
'Toh kya naam nahi jaan sakta mein!?'
[It's because I'm level 2 master. Level me up then see the magic.]
'Yeah! Yeah!'
'Wait!! Ye minus me favourability??'
[Yes master! Because aapne uspe hamla kiya toh favourability minus me toh jaane hi thi jab wo pehle se hi zero pe thi. Strangers ki favourability zero rehti hai na master. You remember!?]
'Ah! Yes! I do!'
Uske baad thoda karaahte hue Veer utha aur dheere dheere aage badh wo sabse pehle Dinesh ke paas pochucha.
Dinesh ke muh se tape nikaalte hue usne uske ird gird bandhi rassiya kholi.
Dinesh : Beta... Beta aaj tum na aate toh pata nahi kya hota.
Veer ne keval apna sarr haa me hilaaya aur uske bagal me baithi Ragini ki rassiya kholne ke liye wo neeche apne ek ghutne pe baitha aur rassiya kholne laga.
Ragini rote hue usse hi dekhti jaa rahi thi. Wo dekh paa rahi thi ki kese jagah jagah usse chot aayi thi. Par Veer ki nazre ek baar bhi Ragini ki nazro se na takraayi. Wo jese bas bina koi bhaav ke apne haatho se rassiyo ko kholne me laga hua tha.
Na hi usne upar muh karke Ragini ko dekha aur na hi uss se kuch kaha.
Dinesh idhar Vivek ki rassiyo ko kholne me jut gaya.
Jese hi sabhi unn rassiyo ki qaid se azad huye, Ragini uthate hi daudte hue Dinesh ke gale se lag gayi aur sisak sisak ke rone lagi.
Ye sab kuch uske liye boht zyaada tha. Khaaskar jab usse Aatish ka wo tamaacha pada tha, uske baad se hi Ragini me ek darr baith gaya tha. Warna uske pehle toh woh yahi soch rahi thi ki police aake unn sabhi ko bacha legi ya ye gunde zyaada kuch nahi karenge.
Par jab Aatish ne apne hi aadmi ke perr me goli chalaayi aur bas...
Ye dekhte hi Ragini ko samajh me aa chuka tha ki wo kitni badi musibat me phassi hui hai.
Aur ussi musibat se usse bachaane Veer kisi farishte ki tarah aaya. Na keval usne unn teeno ki jaan bachaayi balki ab Vivek ki company bhi bach gayi thi aur saath hi saath ab Dinesh ke kaagaz bhi wo waapas le sakte the aur saare evidence mita sakte the.
Dinesh apni bacchi ko gale se lagaaye uske chehre ko dekh raha tha. Aatish ka tamaacha khaane ke baad bechaari ka poora gaal laal ho chuka tha. Kese uske mote mote aasu uske gaalo se behte hue gir rahe the, wo sab kuch dekh paa raha tha.
Ragini : Papa...
Dinesh : Meri bacchi... Tu theek hai na!?
Ragini : Mein thik hu Papa... Aap theek hai na!? Unhone aap ke saath kuch kiya toh nahi na!? Kahi chot toh nahi aayi na aapko!?
Dinesh : Mein theek hu meri bacchi! Mein theek hu... Kuch nahi hua mujhe...
Vivek idhar dono baap beti ko dekh ab nazre jhukaaye khada tha. Usse samajh nahi aa raha tha ki kese wo Ragini ko face kare. Usne jo kuch derr pehle kiya tha uske kaaran Ragini pakke se behad khafa ho chuki hogi uss se. Aur, Vivek ko ab yahi kaam karna tha ~ Usse Ragini ko manaana tha jese bhi karke.
Abhi wo kuch keh paata ki tabhi Veer ki awaaz unn sabhi ke kaano me padi,
Veer : Hamaare paas samay nahi hai. Hume jald se jald yaha se nikalna hoga.
Veer ki baat sunn Dinesh ne haa me sarr hilaaya aur wo forun hi wahi table me rakhe saare apne kaagaz aur mobile me bane videos ko udaane laga.
Jab usne sab kuch dekh liya ki sab sahi hai uske baad usne Veer ko nikalne ka ishaara kiya.
Veer bhi ye jaan ke hairaan tha ki maamla kitna bada tha. Yaha wo soch raha tha ki sirf Ragini hi musibat me thi par maamla toh kayi guna pecheeda tha. Ragini ke saath saath Vivek aur Dinesh bhi yahi the aur yaha tak ki Dinesh ke Showrooms tak chhin chuke the.
Agle second hi sabhi uss abandoned building se baahar nikal tezz tezz qadmo ke saath main road ki taraf jaane lage.
Aur kuch hi derr me wo road ke paas aa chuke the. Ab unki nazro me kuch kuch gaadiya raaste me chalti nazar aane lagi thi.
Abhi jo sabse zyaada priority ka kaam tha wo tha yaha se nikalna. Kyuki kisi bhi waqt unn gundo ko hosh aa sakta tha aur wo Veer aur unhe dhundne aa sakte the. Isliye, jitna jaldi yaha se nikla jaaye utna behtar tha unke liye.
Kaafi derr tak wo bhaagte hue aage badhe the aur ab bas keval paidal hi chal rahe the kyuki Dinesh thak chuka tha.
Veer sabse aage chal raha tha aur uske peeche peeche Ragini aur baaki sab.
Apne qadmo ki raftaar tezz kar achanak hi Ragini Veer ke bagal se aayi aur uski chaal ke saath saath chalne lagi.
Ragini : Vee... Veer!?
Badi hi dheemi sii awaaz me usne pukaara. Par Veer ki taraf se koi reaction na mila usse. Wo bas saamne dekh chalta jaa raha tha. Jese maano Ragini uske liye bas hawa ke samaan thi.
Bauhe sikodte hue ek baar fir Ragini ne bechaini bhari awaaz me pukaara,
"Veer!!"
Par nateeja!?
Wahi...
Veer ne ek shabd na kaha.
Idhar Vivek apni patni ko Veer ke bagal se dekh hairaan tha.
'Ye!? Ye uss se kya baatein kar rahi hai!? Damn it! Mujhe... maamla suljhaana hoga, warna derr ho jaegi'
Aur agle pal hi Vivek aage badha aur Veer ke haath ko thaamte hue usse rok liya,
"Chote bhai..."
Usne badi hi vinamrta se usse pukaara aur aise me Veer ko rukna hi pada.
Vivek : Chote bhai! Aaj tumne hum sabhi ko bachaaya hai. Mein tumhara ye ehsaan kabhi nahi bhulunga bhai.
Bagal me khadi Ragini ne jese hi ye dekha uski aankhein phati ki phati reh gayi. Vivek kitni asaani se jhooth bol raha tha. Matlab ekdum safed jhooth.
Ab Ragini ko samajh aa raha tha ki uska pati kis kism ka ekdum nihaayti aur ghatiya insaan tha.
Na keval Vivek ne itne saare shadiyantra banaate hue Veer ko bhagaane me saath diya balki aaj usne apni hi patni ki jaan ki parvaah na kar seedhe seedhe usse qurbaan karne ki thaan bhi lii thi. Aur ab wo Veer ko apni meethi chikni chupdi baato me firse fassa kar usse behlaa raha tha.
'I never imagined you would be like this...' wo mann me soch Vivek aur Veer ke beech me hi koodna chaahti thi aur bataana chaahti thi ki uska pati kitna jhootha insaan hai, par Veer ne uski baatein suni hi nahi abhi kuch derr pehle hi...
'He must know... He must... Usse ye pata chalna hi chaahiye kese bhi karke...' Ragini ne jese thaan liya tha ki aage kya karna hai.
Vivek : Chote bhai! Mein jaanta hu tau jii tumse boht naraaz hai aur tumhe ghar se nikaal chuke hai. Par iska ye matlab toh nahi na ki mein aur baaki sab tumhaari parvaah nahi karte!? Bhale hi mein ghar me awaaz nahi utha sakta bhai... Par aaj jo tumne mere liye kiya hai. Usse mein kabhi nahi bhulunga. Tumhe jab bhi meri zaroorat pade bhai... Bejhijak mere paas aa jaana... Aur mein apni poori koshish karunga ki Tau jii ko mana ke tumhe waapas se ghar me laa saku. Kyu hai na Ragini!?
Par Ragini uski baat sunn keval usse dekhti rahi, wo kuch na boli. Aur jese...
Uski aankho me ek gussa tha. Jisse dekh Vivek awkwardly bas apni nazre idhar udhar firaata raha.
Veer : Koi zaroorat nahi hai. I had enough.
Itna bol wo waapas se palta aur kuch kadam chala hi tha ki Ragini bhaagte hue uske peeche se aayi aur uske haath ko thaam lii,
Ragini : Whyyyyy??? Kyu???? Kyu Veer!? Kyu bachaaya tumne hume!?
Usne tezz awaaz me chillaate hue Veer ko dekhte hue kaha.
Aur finally...
Veer uski taraf palta... Dono ki hi iss baar nazre mili aur Ragini achanak shaant pad gayi. Uske haatho ki pakad bhi Veer ke haath par se dheeli pad gayi.
Veer : Why!? Kyuki isme mera hi faayda tha. Just for my sake.
Ragini : Kesaaa faydaaaa!? Kya milaa tumhee!? Tumhe toh mujhe aur baaki sab ko hate karna chaahiye na!? Fir kyuuuu!? Kyu tumne aisa kiya!!!??
Veer : Mene kaha na! Just for my sake...
Ragini (chillaate hue) : I don't believe ittttt!!! I doooon'ttt...
Veer : Then so be it... And leave me alone.
Ragini : Whyyyyyyyyy!???
Par iss baar uske chillaate hi Veer ne apni aankhein dikhaate hue usse dekha jiske chalte bechaari Ragini thodi darr gayi aur uski awaaz achanak hi band ho gayi.
Veer : I won't repeat myself. Leave me fucking alone...
Pata nahi kyu... Par Veer ke bol sunn ek ajeeb sa dard hua usse andar hi andar. Kesa lagega aapko jab aapki koi jaan bachaane waala vyakti, aapke apno ki jaan bachaane waala vyakti aapse aisa kahe toh? Yahi hua tha Ragini ke saath.
Apna nichla honth daato tale dabaaye wo bas Veer ko ghure jaa rahi thi. Aankho se mote mote aasu beh rahe the. Usse apne sawaalo ke uttar bas chaahiye the, fir bhale hi Veer usse dhutkaar deta.
Par usne kuch bhi na bataaya.
Aur yahi sawaal Ragini ko andar hi andar khaaye jaa rahe the. Uski glaani ko badhaate jaa rahe the. Uski samajh me aa chuka tha ki kitna galat kiya tha usne Veer ke saath. Kitni buri bann gayi thi wo kisi ke liye.
Jis Veer se wo kabhi baat karne ke liye interest nahi rakhti thi aaj ussi Veer se baat karne ke liye wo marri jaa rahi thi. Bas ek baar bas wo uske muh se jese sunn'na chaahti thi ki akhir kyu kiya usne ye sab!?
Veer ka kehna tha ye uska swaarth tha, par iss baat pe Ragini ghanta believe karne waali thi.
Usse lag raha tha ki koi aur kaaran hai, aur yahi jaan'ne ke liye wo paagal hui jaa rahi rhi.
Veer : Aap sabhi jaaiye... Mein chala jaunga.
Veer ne Dinesh ko dekhte hue kaha toh Dinesh aage badh uske paas aaya.
Dinesh : Beta... Tum... Tum chalo... Mere saath... Ghar me. Tumne hamaari jaan bachaayi hai. Aise kese mein tumhe jaane de sakta hu? Aur aise akele kese jaoge!?
Veer : Mein akele hi toh aaya tha na? Don't worry! Mein chala jaunga. Aap log late mat kariye. Wo log kisi bhi waqt aa sakte hai yaha. Jald se jald taxi leke ghar ki orr nikaliye.
Kayi baar Dinesh ke manaane par bhi jab Veer na maana toh Dinesh ne ant me kuch paise nikaal Veer ke haatho me thama diye ki wo bhi taxi leke jald se jald yaha se nikal jaaye.
Jab taxi me baithne ki baari aayi toh Ragini ne ek bomb aur fod diya,
Ragini : Papa! Mein aapke saath aa rahi hu...
Aur ye sunte hi Vivek maano darr sa gaya...
'She... She's not leaving me right!?'
Vivek : Ragini!? Ghar nahi chal rahi!?
Ragini (stares) : Ghar hi jaa rahi hu.... Apne!!!!
Vivek : Accha!? Haha~ Theek hai. Aaj... Aaj Papa jii ke saath hi raho. Mein samajh sakta hu... Haha~
Aur Ragini Dinesh ke saath baith nikal gayi. Idhar Vivek bhi ek taxi kar nikal gaya aur bacha tha keval Veer.
Ant me usne bhi ek taxi kari aur wo bhi ghar ki orr nikal gaya.
Raaste me Ragini ne forun hi apna phone nikaal kisi ko call lagaaya,
Ragini : Hello!?
Dusri taraf se : Hello!? Haa bhabhi!
Ragini : Kavya!!! Kaha ho tum!?
Kavya : Mein toh ghar pe bhabhi, par aap kaha ho? Kabse aapko dhund rahe hai sab... Mujhe laga aap apne papa ke ghar gayi ho toh mene sabko wahi bataaya... Aap wahi ho na!?
Ragini : Oh thank god! Haa! Mein wahi hu... Aur suno na... Mujhe tumse boht important kaam hai.
Kavya : Kya kaam Bhabhi!?
Ragini : Kya tumhaare paas Veer ka number hai!?
Kavya (surprised) : Veer bhaiya ka!?
Ragini : Haa!
Kavya : Haa... Hai toh...
Ragini : Thank god! Please... Kavya... Please... Mujhe uska number send kar do jaldi. It's urgent.
Kavya : O... Okay!
Ragini : Haa! Thanks!
*Call ends*
Aur kuch hi seconds ke andar hi Kavya ki taraf se ek message aaya jisme Veer ka number tha.
Apne phone me Veer ka number save kar wo apni soch me pad gayi. Taxi me baithe hue uski nazre window se baahar raat me sadak par daud rahi gaadiyo par thi. Par dhyaan kahi aur...
'I must tell him... Mujhe bataana hoga usse ki kya kya uske saath hua hai. Jitna mujhe pata hai... I'll have to... And Vivek... I can never believe you again...'
***
Nidhi ke ghar pohuchte pohuchte Veer ko 10:30 baj chuke the. Usne door bell bajaayi, aur andar se Nidhi ne hi darwaaza khola.
Jese hi Nidhi ne door khol ke Veer ko dekha, uski aankhein ashcharya ke maare phatt gayi.
Veer ke chehre toh kahi haath me jagah jagah chot ke nishaan the, yaha tak kuch choto se khoon bhi beh raha tha.
Apne dono haatho se muh dhakte hue wo Veer ko stabdh nigaahon se dekhti rahi,
Nidhi : Veeeeeeerrrr!??? Ye...
Aur uska haath pakad wo kheechte hue usse andar laayi, usse baithaayi aur darwaaza band kar bhaagte hue andar se ek first aid ka dibba laayi.
Sofe par uske bagal se baith Nidhi ne bina kuch kahe hi sabse pehle uski first aid karna shuru kiya,
Dono ne hi na kuch kaha aur na hi ek dusre se nazre milaayi.
Veer ki nazre jaha neeche thi toh wahi Nidhi ki nazre uski choto par...
Ek ajeeb sii peeda Veer ko andar se ho rahi thi jis kaaran wo Nidhi se apni nazre nahi mila paa raha tha. Ek toh wo bina koi sacchaayi bataye ghar se gaya tha aur wo bhi tab jab aaj Nidhi ne bade hi pyaar se special dinner banaaya tha.
Dinner chorr ke gaya tha woh. Aur ab jab lauta toh aisi haalat leke. Par uske bawajood, Nidhi bina kuch puche uski itni parvaah kar rahi thi. Wo chaahti toh dherro sawaal kar sakti thi ki kaha se maar peet karke aa rahe ho? Wagarah wagarah.
Par jo sabse pehla reaction tha Nidhi ka wo tha chinta... Parvaah...
Uske prati...
Aur bas isliye Veer Nidhi se nazre nahi mila paa raha tha.
'She's too pure... I... I can't...'
[She cares for you master...]
'I...'
Veer mann me bhi kuch na keh paaya. Usse jese rona aa raha tha. Koi insaan itna accha kese ho sakta hai bhala!?
Na jaane kitne sawaal idhar Nidhi ke andar bhi umad rahe the jinhe puchne ke liye wo bechain thi. Par abhi first aid karna zyaada zaroori thi.
First aid hone ke baad dono hi chup chaap bas agal bagal baithe hue the.
Aur ant me Nidhi ne khaamoshi tod hi dii...
Nidhi : Veer!? You okay?
Veer (smiles) : I'm okay Ma'am! Thank you!
Nidhi (frowns) : Then!? Kya... Kya ab tum bataoge kese hua ye sab!? I mean... If you dont want to then... It's... It's okay...
Usne bolte hue nazre neeche kar lii par tabhi Veer ne uske haath ke upar apna haath rakh diya,
Nidhi : Huh???
Veer : I...
Usne Nidhi ka haath aur kass ke thaama aur bola,
Veer : I'm sorry Ma'am. Urgent tha...
[Master! Keh dijiye ki kisi ladki ko gunde cherr rahe the and you helped her... Isliye aap ko ladte hue chot aa gayi.]
'Nahi Pari! Mein jhooth nahi bolna chaahta unse ab. Kitna jhooth bolu Pari unse!? Look at her... Look at her eyes... I can't Pari... Iss se accha hai ki mein kuch na batau...'
[Then tell her the truth!]
'Huh!?'
[Yeah! Why not!? Tell her the truth. Bas mere baare me chorr ke... Tell her everything.]
Pari ki baat Veer ko sahi lagi aur isliye usne Nidhi ko ek baar fir dekha, uska haath kass ke thaama aur bolna shuru kiya,
Veer : Ma'am!!! Baat ye hai ki...
Aur fir Veer ne sab kuch...
Sab kuch bata diya ki Ragini kese waha gundo ke changul me thi aur kese usne unn sabhi ko waha se bachaaya.
Sunte sunte Nidhi kabhi chaunkti toh kabhi darrti, toh kabhi relax ho jaati ki akhir wo sabhi sahi salaamat the.
Nidhi : Itna sab kuch hua... Aur tumne mujhe nahi bataaya!?
Veer : Time nahi tha Ma'am... Wo....
Abhi wo apni baat aage rakh paata ki tabhi andar se Shreya aayi aur uski nazar Veer pe gayi aur agle hi pal wo hassne lagi,
Shreya : Pfffftttt ~ Hahahahaha~ Dekha!? Mene aapko bola tha na Dii ye gaya hai apni mashooqa ke paas... Par lagta hai aaj iski dhulaayi kar dii usne ya fir uske dusre boyfriend ne...
Nidhi : Shreyyyaaaaaa it's not funny! Tumhe pata bhi hai kya baat hai!?
Shreya : Kya!? I can tell easily ki ye kahi se pit ke aaya hai. Oyeeee! Bolo!? Aisa kya kar diya ki tumhari sutaayi ho gayi!? Haan!?
Nidhi se raha na gaya aur usne zorr se chillaate hue sab kuch bata daala jissse sunn Shreya thodi sann sii reh gayi...
Shreya : I... Wo...
Uske muh se ab ek shabd nahi nikal raha tha.
Uski ye haalat dekh Veer ne pyaar se muskuraate hue usse dekha par iss baar...
Shreya ko uski muskaan bilkul bhi acchi na lagi. Ulta dard hua usse...
"Sorry!" Wo kehte hue andar tezz qadmo ke saath chali gayi.
Nidhi : She didn't mean to...
Veer : I know Ma'am! It's okay! Don't worry! By the way... Aapne khaana khaaya!?
Uska sawaal sunn... Nidhi ne dheere se naa me gardan hila dii. Ye dekhte hi Veer ko ek aur jhatka laga aur uski glaani waale bhaav aur bhi badh gaye.
'If she keeps doing on that... Then... I will fall for her Pari... Inhe koi samjhaaye ki itna accha na rahe ye meri taraf... Warna mein inke pyaar me doob jaunga...'
[Anything is fair in love and war master.]
'I know... She deserves better though. Mein toh kuch bhi nahi unke liye Pari...'
[Maybe you are the best for her!?]
Pari ne budbudaate hue kaha.
'Huh? Kuch kaha tumne!?'
[Nothing master!]
Ant me dono Nidhi aur Veer ne saath me khaana khaaya aur aaj ki ye raat ek behad hi badi musibat tal chuki thi.
***
Naya din...
Nayi subah...
Roz ki tarah Nidhi aur Veer college me the. Aur abhi subah subah first lecture lagne me thoda time bacha hua tha.
Veer apni class me sabse peeche ki bench par baitha hua tha par wo akela nahi tha...
Uske saath ek behad hi pyaari aur khubsoorat ladki baithi hui thi.
"Veer Bhaiyaaaa!!! Rakhiyeee naaa!!!!"
Veer : Kavya I told you na!? Mujhe nahi chahiye...
Kavya : Aapne nahi rakha toh mein udaas ho jaungi.
Veer : But...
Kavya : Mene kaha na rakhiye... Itni mehnat se mene ghanto tak dhund dhund ke liya hai...
Kehte hue usne ek badi sa packet Veer ko thama diya.
Iss packet me wo apne bhaiye ke liye kayi saari t shirts aur baaki samaan laayi hui thi. Ye usne kal khud apne paiso se liya tha. Na jaane kitni derr shopping kari thi usne mall me apne bhaiya ke liye...
Veer : Arre but mujhe zaroorat nahi hai Kavya...
Kavya : Kya...!? Kya aap... Kya aap ab bhi mujhe apna nahi maante bhaiya...!?
Uske aisa kehne par Veer ne ek saas bhari aur usko apne bagal se chipka liya,
Veer : Pagli hai tu... Laa de... Fine... Ab toh khush hai na!?
Kavya (giggles) : Hehe~ Boht khush...
Veer : Jaa accha ab... Apni class me jaa...
Kavya : Haa... Jaati hu... But ek baat aur...
Veer : Hmm!?
Kavya : Wo... Kal... Kal bhabhi ka call aaya tha. Unhone mujhse aap ka number maanga tha, and I have given her...
Aur itna bol wo bhaagte hue baahar nikal gayi.
Veer apni soch me doob gaya par wo neeche chal rahe scene se anjaan tha.
Neeche college ke campus me ek black colour ki Rolls Royce aake jo khadi hui thi.
Sabhi aas paas ke students phone nikaal ke photo le rahe the toh koi bas dekhta hi jaa raha tha.
Itni shandaar gaadi unke campus me kya kar rahi thi bhala!?
Par jese ye gaadi toh kuch bhi nahi thi jab uss gaadi ka darwaaza khula aur andar se ek ladki baahar nikli...
Aur usse dekh waha khade harr ladke ke muh khule ke khule reh gaye. Usne ek tube skirt, andar ek shirt aur upar ek blazer daala hua tha. Poori professional lag rahi thi woh.
Tabhi andar se hi ek ladki aur nikli... Ye thodi umr me badi lag rahi thi aur isne golden colour ki ek saree pehni hui thi jo uske shareer se itni kass ke bandhi thi ki uske akaar ko bakhubi dikha rahi thi.
Ek aadmi bhi nikla jo umr me kareeb 40-45 saal ka prateet ho raha tha.
Ladki : Yahi hai na!?
Aadmi : Jii Madam!
Ladki (smiles) : Interesting...
Dusri ladki : Dekh lena... Yaad hai na mene kya kaha tha!? Wahi hoega...
Ladki : I don't care... Ussi ke liye toh hai hum yaha aakhir...
Dusri ladki : It was just a coincidence... There's no need to...
Ladki : Still... I want to...
Dusri ladki : Hmph! Baad me mujhse mat kehna...
Ladki : Prakaash uncle!?
Aadmi : Jii!?
Ladki : Jaaiye...
Aadmi : Jii Madam!!!
Aur agle hi pal Prakaash campus se andar college ki building me jaane laga.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Like kar diyo...
Jabardast update, lagta hai dheere dheere veer ke ghar ke kuch log to uske side ho hi jayenge. Kavya, Bhumi aur Ragini to kaafi had tak uski side ho hi rahe hai.Update - 20 ~ Ragini's Breakout and An Unknown Visit.

Superb update bhaiMega updateAb tak...
Update - 21 ~ The Truth
Ladki : Prakaash uncle!?
Aadmi : Jii!?
Ladki : Jaaiye...
Aadmi : Jii Madam!!!
Aur agle hi pal Prakaash campus se andar college ki building me jaane laga.
Ab aage...
Kal raat jab Ragini samet Dinesh apne ghar laute toh andar ghar me pravesh karte hi unhe ek bada jhatka laga tha. Ghar ke baahar gate pe jo guard unki rakhwaali ke liye khada rehta tha, wo iss waqt khud andar hi pillar se chipke hue rassiyo se bandha hua tha.
Uski ye haalat dekh bhaagte hue Ragini aur Dinesh uske paas pohuche aur jese hi uski rassiya kholi toh usne bataaya,
"Saahab! Saahab... Andar... Andar Bhabhi jii..."
Aur bas uska itna kehna tha ki dono Ragini aur Dinesh daudate hue andar gaye jaha pohuch ke unhe dusra jhatka laga.
Ragini ki maa~ Rohini, single seat waale sofe par bandhi hui behosh padi thi. Ghabraate hue dono ne usse churraaya aur usse hosh me laaya uske baad Rohini ne saari baatein bataayi ki kese kuch gunde unke ghar me aake usse baandh ke chale gaye, jis kaaran se na hi wo police me complaint kar paayi na hi kisi ka phone utha paayi aur na hi laga paayi.
Ragini : Iska matlab... Shayad isliye udhar ghar me mere baare me kisi ko nahi pata tha... Shayad isliye Kavya ne ye keh diya tha ki mein yaha ghar pe hu... Kyuki hamaare saath waha kya ho raha tha, kisi ko uski khabar hi nahi thi...
Sochte hue wo ek gehre chintan me doob gayi. Uske liye khatra tala tha ya fir aur musibate aane waali thi!? Ye toh waqt hi bataane waala tha. Par aaj usse itna zaroor samajh aa chuka tha ki duniya me kese kese log rehte hai aur kya kya kar sakte hai. Shayad ab... Shayad ab wo samajh chuki thi ki kuch logo se kyu nahi bhidna chaahiye.
***
Idhar Veer ko kal raat me hi Pari ke dwaara mission completion par 40 points mil chuke the. Jisse usne apne stats me invest kar liye the. Aur itna hi nahi, uski Pari bhi ab level 3 par aa chuki thi.
Ab wo baaki logo ke stats dikhaane me bhi saksham ho chuki thi. Saath hi saath kuch sawaal the jo Veer ke mann me, unhe bhi wo answer karne waali thi.
Veer ne apne stats me, 5 points apni strength me daale, intelligence me usne iss baar seedhe 15 points bhar daale, wahi bache hue 20 points usne 5-5 karke apni agility, aur endurance me daale aur appearance me last me akhiri 10 points jo bache the wo daal diye. Ab uske stats kuch iss prakaar the...
[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 15/100
Endurance - 15/100
Appearance - 22/100]
Kal Veer ne saare hi points upyog kar liye the aur ab uske paas Skill shop se khareedne ke liye koi points nahi bache the. Skills dekh ke wo itna chakra gaya tha ki uski samajh me hi nahi aaya kon si skill wo khareede aur wese bhi, abhi usse skills ki itni koi zaroorat nahi thi, aisa soch usne saare points apne stats me daalna hi behtar samjha.
Abhi woh baithe baithe khayaalo me hi dooba hua tha ki tabhi Nidhi uski class mein andar aayi. Kyunki pahla lecture ussi ka tha.
Veer ko dekhte hi wo muskuraayi aur board pe usne ek question likha jisse sabhi students solve karne me lag gaye. Veer bhi bade mann laga ke padh raha tha.
Kal usne appearance me 10 points add kiye the, uska asar aaj subah hi Shreya samet Nidhi ko bhi dikha tha, aaj dono ne hi uss se kaha tha ki wo smart dikh raha hai pehle se...
Yaha tak ki Kavya bhi abhi kuch derr pehle yahi baat bol ke gayi thi. Par unhe kya pata tha...
Ki ye kamaal toh appearance stat ka tha.
Veer ko yu padhta dekh, Nidhi mann hi mann muskuraayi. Kal na keval Veer ne uss se saari baatein saanjha kii thi balki itna sab kuch hone ke baad bhi wo college aane ke liye bilkul bhi na katraaya.
Wo Veer ke liye sacche mann se khush thi. Wo aaj kitna aage aa chuka tha apni pichle dino ki zindagii se, jidhar Nidhi ne usse bas ek toote hue insaan ke roop me hi dekha tha.
Aaj waapas se uske andar aatmvishvaash, nishtha aur prerna dekh Nidhi behad khush thi. Usse aisa feel ho raha tha jese uske kuch yogdaan ke kaaran kisi ka jeevan ujadte ujadte bach gaya.
Aur Veer ko uss sthiti se baahar laane ke liye wo behad khush thi. Wo khud par proud mehsoos kar rahi thi.
Dheere dheere uske kadam Veer ki taraf apne aap hi badh gaye aur usse khud pata na chala ki kab wo Veer ke bagal se aake khadi ho gayi.
Aahat paate hi jese hi Veer ne apna sarr utha ke dekha toh paaya ki Nidhi uske bagal se khadi usse hi ghoor rahi thi.
Apne hontho pe muskaan laate hue Veer ne usse ek smile pass ki toh Nidhi bhi badle me muskura baithi.
Usne Veer ki copy dekhi, aur uski khushi aur bhi badh gayi. Veer ne solution ekdum sahi dhang se solve kiya tha.
Nidhi mann hi mann muskuraayi, 'Iska matlab Veer waqai dhyaan de raha hai... Mujhe laga tha uska baahar jaana, apni gf se milna julna aur... Inn sab ke maare uska dhyaan padhaayi me nahi rahega. Par shayad mein galat thi...'
Nidhi ab bhi yahi sochti thi ki Veer ki koi gf zaroor hai jis se milne wo jaata rehta tha. Bhale hi Veer ne kal usse sab kuch sach bata diya tha par uss din uske gale me lage wo hontho ke nishaan ke peeche ki sachaayi abhi tak bayaa na kari thi usne.
Aur shayad yahi kaaran tha, jiske chalte Nidhi yahi assume karti thi ki koi na koi gf zaroor hai Veer ki.
Agle hi pal jese Nidhi ko kuch yaad aaya toh usne abhi hi bataana sahi samjha,
"Vee... Veer!?" Usne dheemi awaaz me Veer ko pukaara.
Veer : Huh!?
Nidhi : Veer... Aaj mujhe... Wo...
Veer : Kya hua Ma'am!?
Nidhi (dheemi awaaz me) : Veer! Aaj mujhe 1 baje thoda kaam se ek jagah jaana hai. Matlab mein, break me hi college se nikal jaungi. But... But don't worry, mein departure hone se pehle tumhe lene aa jaungi, okay!?
Veer : Kuch... Kuch zaroori kaam hai kya Ma'am!?
Veer ke sawaal se hi Nidhi ekdum chup pad gayi, usne ek gehri saans lii aur boli,
Nidhi : Hmm! Mujhe kaam hai Veer. Isliye, mujhe thoda jaana hai. Okay!? Mein departure ke pehle aa jaungi. Isliye, mene socha tumhe bata du, kahi tum mujhe dhundne na lago.
Veer (smiles) : Okay Ma'am!
Nidhi (smiles) : Hmm!
Aur itna bol Nidhi palat ke board ki taraf jaane lagi. Par uske palat'te hi Veer ke hontho pe jo muskaan thi wo agle pal hi gaayab ho gayi aur wo Nidhi ko peeche se jaate hue bas ghurta raha.
'She's hiding something.'
[Kese master!?]
'Tumne dekha nahi Pari!? Wo kehte waqt apni ungliya chatka rahi thi, unki nazre meri aankho me nahi thi, balki idhar udhar hi daud rahi thi. Aur khaaskar wo fake smile... I can tell ki wo definitely ek fake smile thi.'
[Nice observation master.]
'Unki favourability kitni hai ab!?'
[48 master!]
'Hmm! Par aisi kya baat hai jiske chalte wo mujhse jhooth bol rahi hai!? Shayad wo mere saath ye share nahi karna chaahti!? Maybe ye unka niji maamla ho shayad isliye!?'
[Maybe master... Nidhi thodi reserved hai. Aapko khud uske muh se nikalwana padega yadi aap kuch jaan'na chaahte ho toh. Kyuki wo khud se nahi bataegi.]
'Hmm! Also, Pari... Mujhe ab uss sawaal ka jawaab chahiye. Ab tum level 3 pe ho, toh mujhe koi bahana nahi chahiye.'
[Konsa sawaal master!? If you're qualified, then I'll tell you.]
'Tumne kaha tha ki tum sirf wahi dekh sakti ho, jo mein dekh sakta hu. Right!?'
[Exactly master.]
'Toh fir uss din tumhe ye kese pata chala tha ki Ragini bhabhi kaha pe hai!? Tumne wo kese dekh liya!? Mission dete waqt tumne mujhe unki location bhi dii thi. Mujhe ye baat samajh me nahi aa rahi.'
[Hmmm! Fine! I'll tell you. Master! Mein abhi bhi keval utna hi dekh sakti hu jitna aap dekh sakte ho.]
'Then...!?'
[Samjhaati hu. Imagine kariye ki aasmaan se dherr saari balls gir rahi hai.]
'Hmm!'
[Ab aap apne aap ko maaniye ki aap system hai aur wo saari balls missions hai.]
'Okayyyy!'
[Hmm! Toh kya aap ko abhi pata hai ki wo saari jo balls gir rahi hai unme kaun kaun se missions hai!?]
'Nahi!?'
[Ab maan lijiye aapka haath apne aap aage badhta hai aur aap ek ball ko pakad lete ho jisme mission ki saari details dii hui hai. Toh ab toh aapko pata chalega na ki kaun sa mission mila hai!?]
'Haan bilkul! Yadi uss ball me sab kuch likha hai mission se related... Wait... Iska matlab...'
[That's right master. Mujhe nahi pata rehta ki mission kon sii location par hai, aur missions kaun se hai. Ye sab kuch randomly aate hai jinhe mein show karti hu.]
'Hmm! Ye toh ekdum hi alag nikla meri expectations se. Matlab tumhare haath me nahi hai ye control karna. Saare missions randomly apne aap aate hai.'
[Yes master!]
'Hmm! Aur ye kese hota hai...!?'
[You're not qualifi...]
'Fuck this!!'
[I cannot help it master.]
***
Abhi teesra lecture hi chal raha tha ki tabhi Veer ki class me ek anjaan aadmi aaya aur teacher ko ek parchi thamaaya aur kuch bola.
Parchi dekhte hi, teacher ne uski baat sunn awaaz lagaayi,
"Veer!? Hai koi!?"
Veer : Yes Sir!
Teacher : Go... Someone wants to talk to you.
Veer : Huh!?
Confuse hote hue Veer ne anjaan aadmi par nazar daali, jo ki dikhne me 45 kuch ka lag raha tha aur kapde wagarah kaafi acche pehne hue tha.
'Who is this guy!??' apni bauhe sikodte hue Veer mann me chintan kar dheere dheere uss aadmi ki taraf aage badha, jo muskuraate hue usse hi dekh raha tha.
Class se jese hi dono baahar aaye toh Veer ne sawaal kiya,
"Do I know you!? Kaun ho aap!?"
Aadmi : Mein!? Haha~ Mujhe bhi jaan jaoge... Par pehle... Neeche kyu nahi chalte!? Hmm? Koi aur hai jo tumse milne ke liye intezaar kar raha hai.
Veer : Mujhse milne ke liye!?
'Kaun ho sakta hai bhala!?'
[]
'Pari kahi ye log...'
[I don't know master.]
'Damn it!'
Aadmi : Toh chale!?
Usne apna ek haath felaate hue chalne ka ishaara kiya toh Veer ne haa me gardan hila dii.
Jese hi dono seedhiyo se neeche jaa rahe the, wahi side ki ek class me Nidhi ki nazar achanak hi ittefaaq se Veer par padd gayi aur ye dekhte hi wo vichaar me pad gayi.
'Veer!???? Ye aadmi kaun hai uske saath!? Koi ghar ka sadasya!?'
Pata nahi Nidhi ko kya hua ki wo class me 5 minute me aane ka instruction deke baahar aa gayi aur unn dono ke peeche peeche jaane lagi.
Jese hi Veer aur wo aadmi campus me aaye, Veer ki aankhein phati ki phati reh gayi.
Campus me side me ek black Rolls Royce hai khadi hui thi. Aur jese hi uski nazre bagal se khadi do ladkiyo par gayi toh usse ek aur jhatka laga.
Kuch hi palo me Veer aur wo aadmi unn do ladkiyo ke saamne the...
'Don't tell me ki ye dono mujhse milne aayi hai. Oh man!! This girl... She's... Too beautiful... Just like her...'
Jese hi Veer ne qareeb se unn dono ko dekha toh uske hosh hi udd gaye. Keval wahi nahi, campus me jo bhi log maujood the wo sabhi unn dono ko hi taad rahe the.
Unn dono ke upar se logo ki nazre hatt hi nahi rahi thi. Yaha tak ki canteen ke workers aur guards tak taadne me lage hue the.
Par inn dono me se, ek zyaada khubsoorat thi. Aur wo thi jisne professional outfit pehna hua tha. Saree waali mahila bhi khubsoorat thi par utni nahi jitni wo young waali ladki lag rahi thi.
Veer ki bolti hi band ho gayi thi. Yadi uss club waali ladki ki sundarta ko koi match kar sakta tha toh woh yahi ladki thi, jo iss waqt uske saamne khadi thi.
Ab tak Veer yahi sochta tha ki Club waali ladki ab tak sabse khubsurat ladki thi jo usne dekhi thi par ab ye kehna thoda mushqil tha. Kyuki ye ladki bhi uss club waali ki sundarta ko takkar de sakti thi.
Jese hi uss ladki ne Veer ko dekha, apne aap hi uski aankho me ek chamak aa gayi. Wo muskuraate hue usse dekhne lagi. Uski nazre Veer ki aankho me hi tiki hui thi jiske chalte bechaare Veer ko sharam aa rahi thi, kyuki wo thi hi itni attractive.
Par jese hi usne Veer ke chehre aur haatho me lagi jagah jagah bandages aur ek do patti dekhi, uski muskaan gaayab ho gayi aur ek chinta uske chehre par aa gayi.
Ladki : Are you okay!?
Aur uss ladki ki madhur awaaz Veer ke kaano me padi. Itni pyaari awaaz jo kisi bhi kathor se kathor aadmi ko yu pighla de... Uss anokhi awaaz ka anubhav Veer ekdum saamne se kar paa raha tha. Aur sabse badi baat... Wo ladki uss se uski haalat ke baare me puch rahi thi. Kitna Lucky hona padega logo ko aisa anubhav paane ke liye?? Veer mann me khud se puch raha tha...
Veer : Huh!? Mein!? Yes...
Ladki : Ye chot...
Achaanak hi usne apna haath aage badhaate hue Veer ke gaal pe rakh diya jaha bandage lagi hui thi. Aur unn komal haatho ka sparsh paate hi jese Veer maano jannat me pohuch gaya tha.
'Fuckkkkkkk! Her hand... Itna... Itna softtt!???'
Veer (blushes) : Ohh!? Ye!? Ye... Kal... Wo... Fight me... Ahahahaha~
Ladki : Ohhh!!
Veer (blushes) : Yeah...
Idhar Nidhi unhe follow karke neeche aa chuki thi aur wahi building ke paas se saamne chal rahe scene ko bhali bhaati dekh paa rahi thi.
Usne dekha ki ek behad hi khubsoorat ladki Veer ke gaalo ko thaame usse nihaar rahi thi. Saath hi saath ek aur khubsoorat mahila bagal se khadi hui thi aur yaha tak ki itni luxurious gaadi unke side se khadi thi jo saaf batla rahi thi ki wo kisi bade gharaane se thi.
Par...
Pata nahi kyu...
Veer ko aise yu uss ladki ke saath dekh...
Nidhi ko andar hi andar kuch toh ho raha tha. Jissse wo ya toh samajhna nahi chaahti thi ya uss feeling se anjaan thi.
'Kaun hai ye sabhi!? Veer ke ghar se!? Relatives!? Haa! Wahi hone chahiye... Itne pyaar se toh gharwale hi pesh aate hai. Shayad ye acche log hai jo Veer se prem karte hai? Ya nahi!? Ek minute!!! Kahi ye Veer ki girlfrie....!?? Huh!?!??! Is she really....!?'
Aur Nidhi bechaari na jaane kya kya sochne lagi thi. Par isme uski koi galti nahi thi. Scene hi aisa tha.
Idhar Veer sharam ke maare uss ladki se nazre nahi mila paa raha tha.
'Fuckkkkkkkk! Why is she staring at me like that Pari!??? It's making me uncomfortable... Mujhe sharam aa rahi hai...'
[Hang on master...]
Ladki : Do you know me!?
Veer : Hmm? Ohh haa! Mein yahi puchne waala tha. Kya aap mujhse milna chaahti hai!?
Ladki (smiles) : Mmm-hmmm!
Veer : Par... Mein toh aapko nahi jaanta. Aur... I don't think ki aap bhi mujhe jaanti ho!? Hum ek dusre se pehle kabhi nahi mile hai...
Ladki (smiles) : Mile hai...
Veer (surprised) : Huhhh!?
Ladki : I mean kind of... Hehe~
Veer : I... I don't get it...
Tabhi uss ladki ne apna haath milaane ke liye aage badhaaya aur boli,
"I'm Sonia!!"
Veer (haath milaate hue) : And... I'm...
Sonia (smiles) : Veer... I know...
Veer (shocked) : Huhhhhhh!??? Aapko... Kese....!?
Sonia : Why don't we go somewhere else and talk about it!?
Iss se pehle Veer kuch keh paata, peeche se wo dusri ladki jisne saree pehni hui thi wo Veer ke paas aayi aur usse ghur ke dekhne lagi...
Veer : Umm... !??
Sonia (smiles) : Ah right! She's Suhana... My elder sister.
Suhana
Veer : Umm... Hello!?
Par Suhana na toh kuch boli aur na hi kuch kiya usne... Wo bas apni aankhein sikode Veer ko ghur ghur ke dekh rahi thi. Aur agle hi pal wo palti, aur car ki orr jaate hue boli,
"Sonu!! You will lose the bet. Apna vaada yaad rakhna."
Veer : Huh??
*Thud*
Aur car ka darwaza band kar wo andar baith gayi.
Idhar Sonia apni badi behan ki ye harqat dekh apni aankhein ghumaate hue naa me sarr hilaayi.
Sonia : Well... So!? Veer!? Shall we!?
Veer iss se pehle koi jawaab de paata, Sonia ne uska haath thaama aur usse kheechte hue car ke andar le gayi...
Idhar Suhana aur Prakash Sonia ki iss harqat par thoda achambhit reh gaye.
Suhana (mann me) : Sonu!??? Sonu ne... Uska haath pakda!? Kuch derr pehle bhi uske gaal pe... How can she...!?
Sonia ne car me ghuste hi Veer ko apni side se baithaaya.
Uske shareer se aati khushboo Veer ko pagal kiye jaa rahi thi.
'Kya lagaati hai yaar ye ladkiya!? Kon se talaab me dub ke aati hai!? Itni sugandh kyu aati hai inse!? Fuccckkk! Mujhe kuch kuch ho raha hai Pari...'
[]
Car me Suhaana window ke paas thi, beech me Sonia khud thi aur uske bagal se Veer tha.
Car drive toh Prakaash hi karne wala tha, uski driving skills par Sonia behad bharosa jo karti thi.
*Vroooom*
Aur agle hi pal car jitni jaldi waha aayi thi utni hi jaldi waha se nikal gayi...
Peeche khadi Nidhi bas hairaani aur thodi duwidha me sab kuch ghatit ho rahe scene ko dekhti rahi. Mann me dherro sawaal the jinhe wo Veer se puchna chaahti thi. Par abhi sahi samay nahi tha. Usse khud kuch derr me apne kaam ke liye nikalna tha aur isliye, apne sawaaliya mann ko thodi derr shaant kar wo andar waapas chali gayi.
***
Idhar Veer jaha college se nikla toh wo ab sheher ki sabse mehngi 5 star hotel me se ek hotel me baitha hua tha.
Wo bas ek poker face banaaye ek hi jagah dekhte jaa raha tha. Kuch hi minutes ke andar usne itni saari ayyaashi waali cheeze dekh lii thi ki inn sabko hazam karne me uska time toh lagne hi waala tha.
Rolls Royce ki andar ki wo luxury aur comfort, uske baad itni badi aalishaan hotel me lage wo bade bade jhoomar, aisa lag raha tha maano wo kisi palace me aa gaya ho.
Wahi Suhana aur Sonia itna comfortably baithi hui thi maano jese ye unka roz ka routine tha.
Sonia
Sonia : Do you know who I am?
Veer : Actually, Abhi aapke naam ke alaawa I don't know anything.
Sonia (giggles) : Fufu~ You know ****** motors!?
Veer : Huh!? Saare desh me mashoor hai ye company. Iske baare me kaun nahi jaanta!?
Sonia (smiles) : Ohh thank you so much! Mere great grandfather founder the iske. Abhi dad owner hai. Aur mein CEO thi... But abhi mene wo position kisi aur ko de dii hai. Ab mein COO hu.
Maano ek bomb sa phod diya tha Sonia ne Veer ke upar. Kya kaha!? ***** Motors ki CEO thi ye ladki pehle!? Great grandfather founder the!? Baap owner hai!? Soch ke hi Veer jo pehle hi awkward mehsoos kar raha tha, uska shareer ye sunte hi air stiff ho gaya.
Veer : Kyaaaaa!??? You're joking right!?
Sonia (giggles) : I'm not...
Veer : Wow! I mean... Wooowww!
Sonia (smiles) : Thank you! Toh shuru kare!?
Veer : Huh!? Ahh... Sure... Sure... Thanks!
'Huh? Thanks!? Fucccckkkkk.... Who tha fuck says Thanks? Thanks ke badle me hi thanks bol diya mene!? Pari... Help me... Mere muh se utt pataang shabd nikal rahe hai... I'm getting embarrassed...'
[]
Sonia (surprised) : Thanks? Kisliye!?
Veer (blushes) : Ummm... Wo...
Sonia : In fact, thanks to you... Veer!
Sonia ne bolte hue achanak hi uske haath par apna haath rakh diya, jiske chalte ek baar fir ye gesture Suhana aur Prakash ki nazro se na chooka.
Achanak hi Sonia ki awaaz dheemi ho gayi, aur wo bade hi pyaar se Veer ko dekh rahi thi. Saath hi saath kuch aisa tha jo uski aankhein bayaa kar rahi thi. Glaani!??
Veer (surprised) : Thanks!!? Mu...mujhe!? Wo kis liye bhala!?
Sonia (smiles) : You don't remember!?
Veer : Hmm?
Sonia : You saved me...
Veer : Hnn?
Sonia : That day... Remember... You had a car accident!?
Accident shabd sunte hi Veer ko dubaara se wahi manzar yaad aane laga, wo pal, wo din...
Ajay ke saath ladaayi... Wo baarish... Shareer me jagah jagah wo ghaav... Uske haatho se flower vase ka tootna... Brijesh ka usse ghar se nikaalna... Uske parivaar waalo ki wo nirdaayi aankhein... Dar badar bhatakna... Aur...
Aur wo raaste me car se accident.
Agle hi pal Veer ka sarr unn sab baato ko yaad kar jhuk gaya. Zakhm gehre the... Bharne me samay toh lagna hi tha.
Par kya pata...
Wo zakhm bhar bhi rahe the ya aur gehre ho rahe the!?
Veer : Hmmm... I remember.
Sonia abhi aage bolni hi waali thi ki tabhi bagal me khada Prakaash achanak hi sarr jhuka liya aur Veer se bola,
"Wo hamaari Madam ki hi car thi. Aur mein hi usse drive kar raha tha. Jo kuch bhi hua, usme meri galti thi. Uske liye mein aapse maafi maangta hu."
Prakaash ki baat sunn ek bada jhatka sa laga Veer ko. Aur usse jese realize hua.
Veer : Ohhhh! So... Isliye...
[Aaahhh! So that's what happened. Master! These people won't harm you. You can lower your guard.]
Sonia : Prakash uncle! Mein baat kar rahi hu na.
Prakash : Sorry Madam!
Sonia : Aur galti keval aapki nahi thi. Car me mein bhi thi, car meri thi, mere kaaran hi aap speed me the.
Prakash : Madam! Isme aap ki koi galti nahi thi... Galti saari...
Suhana : Ssssshhhhhhh! Pehle usse samjhao fir aapas me behas karna.
Sonia (blushes) : Aah! Right! Veer...
Veer : J...jii!?
Sonia : Actually... Ye lambi kahani hai. But, mein sirf tumhe utna hi bataungi jitna tumhara jaan'na zaroori hai.
Veer : Okay!
Sonia : Darasal, Uss din mein Prakash uncle ke saath kahi se laut rahi thi, hum boht jaldi me the. Baarish ke kaaran drive karne me bhi dikkat aa rahi thi aur upar se raat ka waqt...
Veer keval chup chaap saari baat sunta jaa raha tha.
Sonia : Aur... Koi hai jo meri jaan ke peeche pada hua tha.
Veer (shocked) : Huh!??
Sonia : Yes! Uss raat... Prakash uncle mujhe bachaane ke liye tezz raftaar me gaadi chala rahe the. Wo log... Hamaare peeche hi the... Unka bas ek hi target tha... Wo thi mein... Aur jese hi mod aaya, achanak se saamne tum aa gaye the. Jiske chalte wo haadsa hua...
Veer (surprised) : I... I see...
Veer ka reaction dekh, Sonia ne uska haath ek baar fir thaam liya.
Sonia : I... I'm so sorry Veer! I'm so sorry!
Veer ki samajh me hi nahi aa raha tha wo kya kare aur kya hi kahe. Aap ka accident hua, aap kuch dino baad uss haadse se ubhre par achaanak hi aapko pata chalta hai ki aapke saath wo haadsa karne waali ek behad hi khubsoorat ladki hai jo aapse milne kayi dino baad aayi hai aur aapse sach bata ke maafi maang rahi hai.
Uss waqt kya karenge aap!? Kya kahenge!? Kya uss ladki ko dosh denge!? Uss se medical fees ka kharcha maangege!? Uske khilaaf complaint darj karenge!? Ya maaf kar denge!?
Inhi sawaalo me Veer phassa hua tha. Uski samajh me hi nahi aa raha tha ki kya bole par iss waqt uske paas aur bhi kuch tha jo hamaare me se kisi ke paas nahi tha...
Wo thi Pari...
Apni buddhi ka istemaal karte hue Pari ne agle pal hi Veer ko suggestion diya,
[Master! Forgive her. I think ye hamaare boht kaam aaenge aage chal ke. Also, ye Sonia guilty feel kar rahi hai. Make her feel more guilt. Forgive her.]
'As you say then.'
Veer : It's okay! Mene aapko maaf kiya... Jo bhi baatein thi wo pichli baatein thi... Aur unn dino ko mein bhula chuka hu... Hospital me hosh aane ke baad se hi... Jo bhi yaadein bana raha hu, bas unhe hi yaad rakhna chaahta hu.
Uski baat sunn, Sonia kuch pal Veer ko yu hi dekhti rahi. Pehle toh usse vishwaash hi nahi hua ki Veer ne usse aise hi maaf kar diya. Same haal Prakash aur Suhana ka bhi tha. Unhe yakeen hi nahi hua ki Veer ne aise hi asaani se maamla rafa dafa kar diya.
Uske baad Sonia ke saath wahi hua jiska sanket Pari ne kiya tha. Uski glaani ke bhaav badh gaye...
Sonia : I... I... Mein tumse milna tak na aa saki. Bhale hi tumhara meri gaadi ke saamne ek ittefaaq tha, par Veer...
Veer : ?
Sonia : Tumhaare beech me aane se hi... Uss raat meri jaan bachi thi. Accident ke baad jo shor waha hua tha aur bheed jama hui thi... That saved me... Uss kaaran se wo log hamaari car ko catch na kar paaye...
Veer (smiles) : Ye toh... Acchi baat hai na!?
Uski muskaan dekh, Sonia ne apna nichla honth daato tale daba liya, "Par... Tumse ek baar bhi milne na aa saki mein... Mujhe wahi utar ke sabse pehle tumhe hospital le jaana chahiye tha par mein... Mein khud ki jaan ki parvaah kar, tumhe yu waha akela raaste me chorr ke chali gayi. I'm... I'm sorry Veer."
Veer : It's okay!
Sonia (tezz awaaz me) : Noooo! It's not okay!
Sonia : I mean... I... Jo kuch bhi hua. Usme meri galti thi. Aur isliye...
Suhana : Isliye, bolo kitne chahiye!? 1 lakh? 2 lakh? 5 lakh? 10 lakh? Kitne...!?
Veer : Huhhh!?
Suhana ke muh se shabd sunte hi Veer ko achambhav hua. Aur wo stabdh nigaaho se usse dekhta raha. Fir usne, Sonia ko dekha jo ek aas liye usse dekh rahi thi.
Saara maamla jese hi Veer ko samajh aaya toh woh gusse se uth khada hua...
Veer : Aap mujhe yaha isliye laayi thi!?
Suhana : Well! Haa! Mene toh kaha tha ki tumse milne ki koi zaroorat nahi hai. Jo kuch bhi tha keval ek ittefaaq tha aur mujhe nahi lagta ki tumse baat karne ki koi zaroorat thi par meri choti behan badi hi bholi hai aur ziddi bhi. Uska maan'na hai ki galti uski hai aur isliye uski bharpaayi wo aise karna chaahti hai. Tum apni maang rakhoge toh Sonu ke upar se thodi guilt gaayab ho jaegi... Toh batao... Kitne!? 5 lakh ? 10 lakh? Kitne!? Jaldi se batao toh ye matter close kare.
Sonia (chillaa kar) : Diiii!?? Ye kese bol rahi ho aap!? He'll misunderstand me...
Suhana ke ghamand se bhare shabd jab Veer ke kaano me pade toh uska mood aur bhi bigad gaya.
Kahi na kahi... Suhana ki chhavi uske pita Brijesh se mel khaa rahi thi. Vase toot'te waqt bhi uske pita uss samay vase ki keemat par zyaada dhyaan de rahe the na ki uski choto par.
Unn baato ko yaad kar Veer jaane ke liye palta par usne ek baar peeche dekha aur bola,
"Yadi keval ek baar hospital me mulaqaat karne aa jaati, toh uss se badi cheez mere liye kuch na hoti. In fact, abhi bhi maafi maangne ke baad mene aapko maaf already kar hi diya. Par ek galti kar dii...
Paiso ko beech me le aayi aap...
Even though mere paas paise nahi hai. Iska matlab ye nahi ki mein aise paiso ko apnaane laga. Paiso ka guroor, kabhi sahi nahi hota. Yaad rakhna!"
Aur bina kuch aage kahe Veer waha se chal diya.
"Veeeeeeeer.... Waaaiiiitttt!!" Sonia chillaayi par uska chillaaana bematlab tha. Kyuki na hi Veer peeche muda aur na hi usne Sonia ke chillane par koi response diya. Wo kuch hi derr me uski aankho se ojhal ho chuka tha.
Ek gehri saas lete hue Sonia waapas se apni kursi par baith gayi aur fir shuru ho gayi,
"What is wrong with you Dii!? Matlab great... Ab wo mujhe ek ghamandi paiso waali ladki samajh raha hoga."
Suhana : What is wrong with me!? Arre... What is wrong with you??
Sonia : Haan?
Suhana : Just how many times you touched him!? Tum, jiske peeche ladke khaali ek jhalak paane ke liye marte hai, itne bade bade gharaano ke ladke tumhaare paas rishta leke aate hai, jo tumse baat karne ke liye taraste hai aise logo ko tumne aaj tak bhaav na diya. Aur wo ladka... You touched him thrice. I noticed it. Tum kab se aise logo se baate karne lagi Sonu!? He doesn't even deserve to talk with you... Jinhe paiso ki aukaat ke baare me nahi pata wo kabhi paisa nahi kama paate. He's a fool... Jaane do usse... Yaha mein soch rahi thi, ki wo sabhi logo ki tarah laalchi niklega aur paiso ki maang karega... Aur fir mein tumse lagi shart jeet gayi hoti par... Nahi! Ye toh aur bhi bada waala bewakoof nikla... Haath me aa rahe paiso ko laat maar ke chala gaya waah...
Sonia : Dii! He's my benefactor. Ussi ke kaaran aaj mein tumhaare saamne hu. Bhale hi wo ittefaaq tha par hai toh fact hi. Yadi wo uss waqt saamne na aata, toh aaj pata nahi mein kaha hoti? Hoti bhi ya nahi!?
Suhana : Tum usse uski zaroorat se zyaada credit de rahi ho. Aur tumhe kuch nahi hua hota. Ek toh yaha usse college se utha ke yaha tak laaye aur uske baad bhi akad toh dekho uski... Usse pata bhi hai ki wo kiske saath baith ke baate kar raha tha!? Mann toh kar raha tha ek baar me usko uski aukaat dikha du. Par tum jo thi saath me... Fir tumhe bura lag jaata...
Sonia : Mujhe akele hi aana chaahiye tha. Na jaane wo kya soch raha hoga mere baare me...
Suhana : Sonuuu!?? Tum kab se ye sab sochne lagi!?? Ki dusre tumhare baare me kya sochte hai? Wo koi tumhara lover nahi hai Sonu, na hi koi celebrity ya crush hai jiske liye tum itna soch rahi ho. Arre usse toh khush hona chaahiye ulta aur hume thank you kehna chaahiye. Usse pehli baar Rolls Royce me baithne ka mauka mila, aur pakke se pehli baar itni badi hotel me aaya hoga. Fir bhi akad toh dekho uski... Hmph! I hate such men.
Ek aah bharte hue, Sonia apni behan ke bartaav par sarr hilaate hue seat se uthi aur baahar car ki orr chal dii.
'Will you hate me now!? Veer!?'
***
*Click*
Gaadi me se chaavi nikaalte hue Nidhi apni scooty se utri. Saamne ek bada ghar tha. Aaj usse yaha bulaaya gaya tha. College me recess ke waqt hi wo nikal gayi thi aur apni manzil par pohuch chuki thi.
Veer aur uss ladki ki chhavi abhi bhi kahi na kahi uske mann me mandra rahi thi. Usse bas jaan'na tha ki wo ladki kaun thi. Aur, Veer ki kya lagti thi.
Aage kadam badhaate hue Nidhi ghar ki entrance ki taraf badhi. Wo deewaare jo halki peele rang ki thi, wo rang jo aksar khushiyo ko darshaat hai.
Parantu, iss waqt Nidhi ki bauhe sikudi hui thi, chehre par shikan aur chinta thi. Aur uske dil ki dhadkane normal se kayi guna tezz ho chuki thi.
Jese tese kadam badhaate hue wo entrance par aayi aur usne door bell bajaayi,
*Ding* *Dong*
Aur kuch derr ke andar hi Darwaaza khula aur ek jaana maana ek aurat ka chehra uski nazro me pada.
Aurat ne dekhte hue usse andar aane ke liye raasta diya...
*Thud*
Aur gate band kar diya.
***
"Damn it! Damn it!! Arre yahi chaavi toh thi... Lag jaa taala..." Idhar Shreya ghar me apne haatho me spare chaaviyo ka guccha liye frustration nikaal rahi thi.
Uske saath me hi Juhi khadi hui thi jisse Shreya khud school jaake jaldi leke aa gayi thi.
Juhi : Maasi!?? Hum kaha jaa rahe hai!?
Shreya : Tumhari Mummy ke paas...
Juhi : Hmm? Mummy kaha gayi hai!?
Shreya : Sab pata chal jaega Juhi... Aao...
Aur Shreya Juhi ki ungli pakad forun se ghar se nikal ek taxi kar chal padti hai.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Like maar dena..![]()
Click anywhere to continue browsing...
Click anywhere to continue browsing...
Ab Sonia ke dil mein bhi feelings start ho jayengi veer ke liye. Lagta hai Nidhi aur Shreya bhi musibat mein padne waale hai aur Veer ko naya mission milne waala hai. Beautiful update.Mega updateAb tak...