• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,401 83.0%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 223 13.2%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 36 2.1%

  • Total voters
    1,687

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,014
107,997
259
xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,021
173
Update - 18 ~ Trouble

Ab tak...

Wo hassi mazaak me laga hi hua tha ki tabhi andar uske mann me ek ghanti baji,


*Ding*

[Mission : Save Ragini!
Rewards : ?? Points
Time limit : 4 hours
Location : xxxxxxxx basement, near xxxxxxx road.]


'Huh?????'

Ab aage...


*Tuck*

*Tuck*

*Tuck*

Ek aadmi ke qadmo ke chalne ki awaaz uss jagah par goonj rahi thi. Perro me D and G ke wo kaale genuine leather waale formal shoes jinki keemat lakh ke bhi upar hogi. Wo aise chamak rahe the jaise bas kuch seconds pehle hi polish hokar aaye ho. Floor par unn jooto ke chalne ki awaaz saaf saaf ekdum crisp aur fresh sunaayi de rahi thi. Aur wo awaaz pehle se hi waha ke bhayanak mauhaul ko aur bhi teevr bana rahi thi.

Usne ek safed coat aur safed pant pehna hua tha. Andar ek blue shirt, coat ki breast pocket me ek gulaab ka phool aur sarr par safed hat.

Wo daaye se baaye aur baaye se daaye yu chalta jaa raha tha ki achanak hi wo ruka aur...

*Thud*

Ek zordaar awaaz uss floor par ek stick ke patakne se aayi jo uske haatho ne jakad rakhi thi.

Aur sab kuch ekdum se shaant ho gaya.

Usne apni hockey stick uthaayi aur saamne vyakti ki orr apni stick taante hue uss se bola,

"Ab samajh aaya na!? Kese kaam karte hai?"

"J... Jii bhau!" Saamne khade ek ladke ne darrte hue kaha.

"Kitni baar mene tumse kaha hai Ranga!? Ye kaam aise nahi hote. Hamaare desh me itne chochle hai ki ek baar me koi kaam hota hi nahi hai."

Ranga ne apna sarr hilaaya aur apne bhau ki baat me haa me haa milaayi,

Aatish : Tumhe kya laga tha? Ki tum Dinesh ka showroom bas uss se aise likhwa ke le aaoge, sign karwa loge aur showroom mera ho gaya? Arre aise nahi hota mere chele... Aise kaam hone laga apne desh me toh na jaane kaha pohuch jau mein.

Apne boss ki daant sunn Ranga ne apna sarr jhuka liya.

Aatish : Aatish hai mera naam... Kya? Aatish! Aur tum toh jaante hi ho mere naam ka matlab...!?

Usne apna sarr thodi niraasha me hilaaya aur ek gehri lambi saas lii.

Fir aankhein band kar, saas chorr usne dobaara aankhein kholte hue Ranga ko dekha jo abhi bhi sarr jhukae khada hua tha.

Aatish : Ranga tum bhale hi Dinesh se paavti banwaakar, uss se likhwa ke sign karwa ke le aaye par inn sab ke bawajood Dinesh abhi bhi chaahta toh boht kuch kar sakta tha. Wo mere khilaaf F.I.R kar sakta tha, lawyers dhund sakta tha, muqadma darz kar sakta tha, kya kuch nahi kar sakta tha agar...

Kehte hue wo rukk gaya.

Ranga : Agar?

Aur uska sawaal sunn Aatish muskuraaya. Uski muskaan kisi shaitaan ke jaisi prateet ho rahi thi.
Wo muskaan aisi thi jo saaf saaf apni jeet ko bayaa kar rahi thi.

Aatish : Agar uski aukaat hoti toh... Aur yadi uska paala mujhse na pada hota toh.

Uske itna bol, Ranga keval shaant raha. Na kuch bola, na kuch kiya.

Aatish : Police ho chaahe vakeel ho chaahe neta ho ya chaahe koi bhi ho. Yadi wo Mumbai ke ilaaqo se bhali bhaati waaqif hai toh wo jaanta hi hoga ki Aatish kaun hai aur uss se kyu nahi bhidna chaahiye.

Usne bolte hue dobaara tehelna shuru kiya aur ek baar fir uske jooto ki awaaz uss jagah me goonjne lagi, par iss baar saath hi saath uske bol bhi goonj rahe the.

Prateet ho raha tha ki Aatish aur uske saathi kisi abandoned building ki basement me the jo kuch safed LED lights se jagmag hua pada tha.

Ranga : Par Bhau... Ye Dinesh toh aapki F.I.R karne gaya tha.

Aatish : Hmm! Gaya toh tha. Kyu hai na? Mister Dinesh? Gaye the na?

Aatish ne agle hi pal muskuraate hue apna sarr side me karte hue dekha jaha par ek vyakti pehle se hi kursi par rassiyo se bandhe hue baitha tha.

"Mmmmphhhh.... Mmmmmmmmmm"

Wo aadmi aur koi nahi balki Dinesh hi tha jiske muh par iss waqt patti bandhi hui thi aur wo bas chhatpataate hue rassi se chhutne ki nakaam koshishe kar raha tha.

Aatish : Arre re... Dekho uncle bechaare darr gaye.

Dheere dheere Aatish Dinesh ki orr badha aur qareeb aate hi uska jabda apne ek haath me pakadte hue bola,

"Mujhe tumse koi niji dushmani nahi thi pata. Par kya hai na jo raasta mein dhund raha tha wo mujhe mila nahi. Aur, jo mila wo tumhaare se hote hue jaa raha tha. Isliye, tumhaare saath ye sab ho raha hai."

"Mmmmmmphhhhhhhhhh..."

Par Dinesh ye sab sunke keval hilne dulne ka prayatn hi kar sakta tha.

Aatish : Na na na na... Tum gaye the na police me? Meri F.I.R karne? Kya hua? Kuch nahi na? Lawyer? Wo bhi nahi mile?? Arre re...

Usne Dinesh ke sarr par haath ferrte hue usse bade hi pyaar se puchkaara jese maano wo koi baccha ho,

"Pata kyu nahi hua kuch? Kyuki wo sab na mujhe jaante hai.... Haan! Wo mujhe jaante hai... Wo jaante hai ki Aatish bhau se panga nahi lena hai chaahe kuch bhi ho jaaye. Kyu??? Pucho pucho..."

"Mmmmmmmmmppphhhh..."

Aatish : Arre re... Kaise puchoge? Muh me patti jo bandhi hui hai. Par chalo mein hi bata deta hu. Mujh se na ye police ke chote mote log, ye chote mote vakeel ye sab panga nahi lete. Kyuki wo jaante hai ki jis din mere khilaaf gaye, uss din unke ghar me unki photo tang jaegi. Samjhe ab?

"Mmmmmmpphhhhhh...."

Aatish : Arre yaar... Ye baar baar bilbilaana band kardo samjhe? Warna bas trigger dabaana hai mujhe... Fir tumhaara ye kikiyaana bhi koi na sunn paega...

Kehte hue Aatish Dinesh ko chorr peeche hata par fir dobaara kuch sochte hue palta aur usse dekha,

Aatish : Arre! Hahaha~ Mein ye kaise bhul gaya? Aao tumhe ek tohfa deta hu.

*Clap*

*Clap*

Aur agle hi pal usne do baar taali bajaayi jiski awaaz sunte hi basement me ek gate khula aur ek aadmi ek chair ko dhakka dete hue aage laa raha tha.

Chair ke neeche pahiye lage hue the, jis se asaani se wo chair ko aage badha paa raha tha. Par uss chair me kuch alag baat thi...

Wo ye ki usme ek aurat bilkul Dinesh ki hi tarah rassiyo se lipti hui thi aur uske bhi muh me patti bandhi hui thi.

Aur jese hi Dinesh ki nazar uss aurat par gayi, uske perro tale zameen khisak gayi. Wo dekh paa raha tha uss aurat ki aankho me aasu the, aankhein ro ro kar laal ho chuki thi. Unn aankho me majboori, darr, aasha-heenta saaf jhalak rahi thi.

Aur wo aurat koi aur nahi uski apni beti, Ragini thi.

Aatish : Pasand aaya tohfa? Hahaha~

Hasste hue Aatish ne wahi rakhi ek kursi lii aur uspe baith gaya.

Aatish : Ranga!???

Ranga : Jii bhau!

Aatish : Ab samajh aaya tumhe ki kaam hamesha poora kyu karna chaahiye!?

Ranga : Jii... Jii bhau!

Aatish : Uss din tumne boht badi galti kari thi Ranga. Yadi tum uss din wo do naye navele ladke seedhiyo pe khade nahi karte toh wo ladki bhaag hi nahi paati. Aur mein ye daawe ke saath keh sakta hu ki wo wahi se bhaagi thi tumhare naye ladke ko chakma dete hue.

Ranga : Sorry! Sorry Bhau! Aage se aisa nahi hoga...

Aatish : Hmm!! Isliye kehta hu ki kaam poora karo. Aadha adhura nahi...

Ranga : Jii Bhau!

Aatish : Idhar Dinesh subah meri F.I.R karne jaa raha tha bechaara, jo mene usse karne dii. Bhai taaki usse bhi toh tasalli rahe ki usne police me apni taraf se bol diya hai... Hahaha~ Aur uske baad mene usse dabochwa liya...

Ranga : Bhau? Ab aage ka kya plan hai!?

Aatish : Wahi bata raha hu Ranga. Uske baad uski beti jiski hum talaash me the wo phassi aur fir finally...

*Clap*

*Clap*

Ek baar fir usne do baar apni taali bajaayi aur fir ek baar basement ka door khula aur dusra aadmi ek chair dhakelte hue aage laaya.

Iss chair par bhi ek shaks tha jo iss waqt ussi haal me tha jis haal me Dinesh aur Ragini the.

Jese hi Ragini aur Dinesh ki nazre uss shaks par padi, dono ki aankhein phati ki phati reh gayi. Ragini chhatpataayi par koi fayda nahi. Rassiya itni tight bandhi hui thi ki uski harr ek koshish nakaam thi.

Saamne laaya gaya shaks uska apna pati, Vivek tha.

Aatish (smiles) : Iski umeed nahi thi hai na? Par hume toh issi macchli ki talaash thi, ya yu kahe ki issi macchli ke zariye hume badi macchli haasil hoegi.

Ranga : Bhau!? Iske zariye... Ke... Kese?

Ranga ne thoda confused hote hue pucha. Kayi baar toh woh asaani se apne Bhau ke plans samajh jaata tha par kayi baar toh jese baatein uske sarr ke upar se nikal jaati thi.

Aatish : Mene tumse kaha hai na Ranga. Kamzor kadi ko pakdo, raasta apne aap milta hai...

Ranga : ??????

Aatish : Mujhe uss ladki ki talaash hai jo uss din club se bhaag gayi thi. Aur uske paas hum yadi asaani se pohuch sakte hai toh wo raasta hai uss dusri ladki ke paas pohuchna...

Ranga : Fir?

Aatish : Fir kya? Yahi par toh dikkat aa rahi thi Ranga. Ki hum wo dusri ladki ke paas nahi pohuch paa rahe the. Tum security tod nahi paaye isliye mujhe ye raasta dhundna pada.

Ranga : Huh???

Aatish (smiles) : Dusri ladki... Wo Companies se deals karne me busy hai kayi dino se. Mene tumse companies ke naam maange the na? Aur unki saari details bhi?

Ranga : Jii... Jii bhau!

Aatish : Bas! Udhar se hi toh raasta mila hai Ranga. Unn 6 ki 6 companies me se sabse easy target... Iss chutiye ki company....

Aatish ne kehte hue Vivek ki taraf ishaara kiya aur muskuraaya. Vivek keval gurraate hue hil hi sakta tha. Muh pe tape jo chipka hua tha aur haath perro me rassi bandhi hui thi.

Aatish : Aur yahi mera plan tha Ranga. Ki, iski company iske haath se lunga, fir iss company ke zariye uss dusri ladki ke paas deal leke jaunga. Aur jese hi security se guzarte hue wo haath me aaegi, fir usse dabochunga... Aur ant me... Uss ke zariye wo club waali ladki ko...

Ranga ne apna thook nigla aur bola, "Bhau! Itna solid plan?? Par meri ye samajh nahi aaya ki hume dusri ladki ki zaroorat kyu hai uss club wali ko dhundne ke liye?"

Aatish : Bas itna jaan lo, ki dono ke beech ek connection hai. Yadi ye mil gayi toh club waali araam se mil jaegi...

Ranga : Ohhhhhh!

Aatish : Par... Iss Vivek ki company paane ke liye mujhe iski kamzor kadi ko pakadna tha... Jo ki thi iski patni... Aur iski patni ki kamzor kadi???

Ranga : Iske maa baap!??

Aatish : Hahaha~ Bilkul sahi! Seekh rahe ho ab tum... Good! Good!

Uski baatein sunn, Ragini zorr zorr se hilne ka prayatn karne lagi, khud ko jhanjhorte hue wo kursi me baithe hue rassiyo se chhutne ka prayaas karne lagi toh uski ye harqat dekh ek baar fir Aatish muskuraaya,

Aatish : Madam ke muh se zara tape hatao, lagta hai kuch kehna chaahti hai.

Ranga ne baat sunn, forun hi Ragini ke muh se tape nikaala aur tape nikaalte hi Ragini shuru ho gayi,

Ragini (chillaate hue) : Kuttteeeee.... Kameeeneee... Tujhe phooti kaudi tak nahi milegi... Tu kya soch raha hai ki aise hume baandh kar tujhe sab kuch mil jaega? Ek rupaya nahi milega tujhe dekhna, abhi police aaegi aur tujhe salaakho ke peeche daal degi...

"Hahahahahahaha~"

Uski baat abhi khatam hi nahi hui thi ki Aatish zorr zorr se thahaake lagaate hue hassne laga. Poore basement me uski hassi goonjne lagi. Aur uske aadmi keval khade hue usse dekhte rahe.

Aatish : Ye ladki badi mazaakiya hai yaar. Kaha se seekhi re tu? Haan? Comedy karna? Hehehe~

Wo apni aankhe malte hue pait pakad ke hassne laga, jisse dekh uske aadmi bhi dheere dheere daat niporne lage.

Par agle hi pal...

*Chataaaaaaaaaakkkkk*

Ek zordaar thappad ki goonj poore basement me fel gayi aur sabhi hass rahe aadmi ekdum shaant ho gaye. Unke raungte khade ho gaye.

Ek zordaar tamaacha aake seedhe Ragini ko pada, jo Aatish ne apne ulte haath se uske gaalo par maara.

Darr!

Shayad ab Ragini ko samajh aa raha tha ki wo kisi aerre gerre aadmi ke saamne nahi baithi hui thi.

Achaanak hi Aatish ne uski gardan ke peeche ek haath le jaake uski gardan pakdi aur uske kaano ki taraf badhte hue bola,

"Mujhe na... Mujhe na logo ka vishwaash todne me boht maza aata hai. Matlab boht zyaada... Jab... Jab unki wo shaqal banti hai na, baad me jab unka vishwaash toot'ta hai, aur fir wo bina koi aasha waala chehra banaate hai na... Wo... Usse dekh ke na... Usse dekh ke na... Pata nahi kyu par... Par mujhe boht zyaada sukoon milta hai. Mujhe mazaa aata hai..."

Ek ek shabd Aatish ke muh se Ragini ke kaano me ghuss raha tha aur bechaari Ragini darr ke maare aasu bahaate jaa rahi thi. Siski lete hue wo bas khud ke shareer ko kaapne se rokne ki koshish kar rahi thi. Par koi fayda nahi. Uske shareer ki thar-tharaahat jese band hone ke naam hi nahi le rahi thi.

Agle hi pal Aatish utha aur apne coat ke andar ki jeb se usne apna revolver nikaala. Usne Ragini ko dekha aur bola,

"Abhi dikhaata hu tumhe ki mein logo ka vishwaash kese todta hu."

Bolte hue wo seedha Vivek ke paas aaya aur uske muh se tape nikaal diya.

Aatish : Do option hai tumhaare paas. Ya toh tumhaari jaan ya toh tumhaari biwi ki jaan... Bolo kisse bachau? Tumhe ya tumhari biwi ko?

Vivek ye sunte hi ek Chakravyuh me phass gaya. Uski biwi aur uske sasur uske bagal se hi baithe huye the. Jese hi usne Ragini par nazar daali wo chillaa uthi,

Ragini : Noooooooo!!! Leave him alone... Chorro usse...

Uski cheenkhe sunte hi Aatish ne ek ishaara kiya aur Ranga ne aage badh forun hi dobaara se wahi tape Ragini ke muh pe chipka diya.

"Mmmmmmpphhhhhh"

Ab keval uski halki halki vidroh ki awaaz hi aa rahi thi.

Aatish : Bol jaldi ladke... Teri jaan ya teri biwi ki? Kisse bachau?

Par Vivek kuch na bola aur agle hi pal,

*Bang*

"Aaaaaaaarrrrrrrgggghhhhh"

Ek teevr awaaz goli chalne ki aayi aur peeche kayi aadmiyo me se ek aadmi apna perr pakad wahi neeche gir pada. Wo idhar udhar machalte hue zameen me dard se cheenkhne laga par na hi usse kisi ne uthaaya aur na hi uski kisi ne madad kii.


Aur kuch hi palo me uska perr lahu lahaan ho gaya.

Goli Aatish ke revolver se nikli thi jiski muzzle se abhi halka halka dhuaa baahar nikal raha tha.

Aatish : Ab bologe??? Nahi toh agla perr tumhara hoga.

Usne firse Vivek ko dekhte hue pucha. Par iss baar asar alag tha. Vivek kaanp raha tha. Uss aadmi ki dard se bilbilaate hui cheenkhe uske kaano me padd rahi thi, toh Vivek ke shareer ka thar-tharaana toh laazmi tha.

Vivek ne ek baar fir Ragini ko dekha jiski aankho me aasu the aur saath hi saath khauf bhi, uski poori aankhein laal pad chuki thi...


Revolver ka muzzle Vivek ke maathe par tika hua tha. Usne ye dekh apna sarr jhukaate hue nichla honth zorr se daato tale dabaaya aur ek awaaz me zorr se bola,

"Mujhe mat maaro... Mujhe chorr do!!!"

*Silence*

Jaha ye sunte hi Aatish ke chehre par muskaan aa gayi, wahi dusri taraf Ragini ki aankhein ye sunte hi phati ki phati reh gayi.

"Aaaaahhhhhh! Yessssss!!! This is the feeling!!!!!"

Apne dono haath hawa me felaate hue aur sarr upar kar Aatish wahi gol gol ghumne laga jese maano baarish ki bundo ka ehsaas kar raha ho jo aasmaan se tapak rahi ho.

Agle hi pal wo ek baar fir Ragini ke paas aaya aur uske kaano ki taraf jhukte hue uss se bola,

"Mene kaha tha na? Mujhe vishwaash todne me boht zyaada maza aata hai. Aur tumhaara chehra... Ssssss.... Uffff! Yahi... Yahi chehra toh mein dekhna chaahta tha... Poori tarah se toota hua... Jisme aasha ki ek kiran tak na ho.... Yessssss! This is it. Dil ko itna sukoon mil raha hai na ki pucho mat. Toota na? Tumhara vishwaash toota na? Dekho kese bikhar gaya toot ke... Hai na? Mazaa aaya na? Haan?"

Uski baat Ragini ke kaano me pad toh rahi thi par jese usse kuch sunaayi hi nahi de raha tha. Wo bas bhauchakki si apni aankhein faade Vivek ko ghur rahi thi, jo sarr jhukae waha baitha hua tha.

Aatish peeche hata aur Ranga ko dekhte hue bola,

"Inn dono baap beto ki video banwao jisme ye qubool kare ki ye apni company aur showrooms mere hawaale kar rahe hai aur inn sab me koi zabardasti nahi hai. Rahi baat vakeel aur police ki aur kaagzi kaamo ki toh wo sab mein dekh lunga. 2 din me sab ho jaega. Fir hume inki koi zaroorat nahi hai, inhe jaane dena... Kuch nahi bigaad paenge ye..."

Aur itna bol wo waha se jaane laga.

Par jaate jaate...


Uske mouth organ ki wahi dhunn poore basement me goonj gayi...

***

Kuch derr pehle...

Ragini ne jab Vivek ko apni pareshani uski company me jaake bataayi thi uske baad se hi Vivek kahi police toh kahi apne source lagaa ke koi jugaad lagaane ki koshish kar raha tha. Par jese hi usse ye pata chala ki inn sab ke peeche Aatish ka haath tha toh usne apne haath khade kar diye.

Usne Ragini ko ye kehte hue samjhaaya ki Showroom toh baad me bhi banwa sakte hai, jisse sunn Ragini bhadak uthi aur usse khari khoti sunaane lagi.

Bas! Issi waqt Ragini ko ek unknown number se call aaya tha jo kisi aur ka nahi Aatish ka hi tha.

Jab Dinesh F.I.R karke laut raha tha toh usko uthwa ke wo apne basement me le gaya tha.

Call uthaate hi Ragini ko jab pata chala ki uske Dad ko agwa kar liya gaya hai toh bechaari itna darr gayi ki wo seedha seedha Aatish ke plan me jaa fassi.

Aatish toh chaah hi raha tha ki Ragini akeli basement me aaye aur isliye usne Ragini ko phone pe darraaya ki yadi akeli nahi aayi toh uske pita ko goli maar dii jaegi.

Itni tension me acche accho ka dimag nahi chalta aur Ragini ka bhi yahi scene tha. Wo Vivek se ladd jhagad ke basement ki orr nikal padi par usse aise yu jaate dekh Vivek khud apni gaadi nikal ke uska peecha karne laga.

Aur nateeja?

Dono ke dono basement me pakde gaye aur dono ko hi bandhi bana liya gaya.

Vivek toh buy 1 get 1 free offer ki tarah Aatish ki jholi me aake gir pada. Aatish ne khud ye nahi socha tha ki Ragini ke saath hi usse Vivek bhi mil jaega. Ye toh sone pe suhaaga tha uske liye.

Ab uska kaam aur asaan ho chuka tha...

***

Idhar Veer shaam ko Juhi ke saath khel raha tha jab uske dimaag me achaanak hi ghanti baji thi aur usse mission mila tha.

'Huh??'

[Master!!! Lagta hai aapki Bhabhi kisi musibat me hai.]

'Meri Bhabhi!? Hmph! Unhone toh mujhse aaj tak baat nahi ki. Wo bhi unhi logo me se hai Pari.'

[Wo jaisi bhi ho, but abhi aapko usse bachaana hai.]

'Huh?! Mein kyu bachau unhe bhala? Aur aisi kon si musibat aa gayi unpe bhala?'

[Arre master!!! Nahi bachaaya toh aap mujhe kho doge na?? It's a mission.]

'Shit! Mein toh bhool hi gaya tha. Mission nahi kiya toh tum hamesha hamesha ke liye chali jaogi.'

[Yes!]

'Par mujhe ek baat samajh nahi aayi. Tumhe location kese pata chali? Tum toh mere andar ho.'

[Master! Abhi aap ye jaan'ne ke liye qualified nahi ho. Level 3 pe pohuchaiye mujhe, uske baad hi kuch sawaal ke uttar milenge.]

'Fuck this! Harr baar mein qualified hi nahi rehta...'

[Hurry master!]

Iss se pehle ki Veer Pari ko jawaab de paata andar se Shreya ek katori lete hue baahar nikli aur Juhi aur uske saamne aake khadi ho gayi,

Shreya : Oye!!! Zara taste kar aur bata kese bane hai chhole?

Veer ne Shreya se katori haath me lete hue ek spoon se taste kiya aur fir usse dekhte hue bola,
"Ek number... Aur aapne toh banayi nahi hogi hai na?!"

Shreya : Huh? What do you mean??? Mene aur dii ne milke banaayi hai.

Veer : Jisme aapne unki boht madad kari hai na?

Shreya (nods) : Hmm! Hmm!

Veer : Jese ki masaale pakdaana aur chota mota samaan dena hai na?

Shreya (nods) : Hmm! Hmm!.... Huh? What the hell?

Veer : Hahahahaha~

Juhi : Veer maamu... Maasi se kuch nahi aata... Mummy hi banaati hai saara khaana...

Veer : Pffftttt Hahahahahaha~

Shreya : Juhiiiiiii tummmmm....

Wo kheejte hue katori leke andar jaane hi waali thi ki itne me hi Juhi ne katori pakad lii,

Juhi : Mujhe bhi khaani...

Shreya : Juhi chorro! Wo spoon tumhaare Veer maamu ki juthi ho chuki hai... Andar aake taste kar lo...

Juhi : Toh kya hota? Mein Veer maamu ka jutha kha lungi...

Aur usne chammach uthaate hue Veer ki hi chammach se ek baar taste kiya aur mundi haa me hilaate hue wo taste ka maza lete hue waapas se Veer ki godi me aake baith gayi.

Idhar bechaari Shreya hakki bakki sii khadi keval Juhi ko dekhti reh gayi.

Aaj tak Juhi ne uska jutha kabhi nahi khaaya tha, wo keval apni mummy ka hi jutha khaati thi. Par aaj usne Veer ka jutha khaaya. Ye baat Shreya ko bilkul bhi hazam nahi ho rahi thi...

Shreya : Tum dono... Dono mile hue ho...

Kheejte hue wo andar chali gayi aur Veer keval hassta raha.

[Master!???]

'I know Pari!'

Usne ek gehri saas lii...

'Aaj fir yu mujhe beech me jaana padega. Kitne pyaar se Nidhi Ma'am aaj special dinner bana rahi hai. Firse unhe tension hoegi... Aur firse ek baar dinner me mein nahi rahunga...'

[I know Master! But ye abhi zaroori hai.]

'Right!'

Aur wo utha aur andar kitchen me gaya jaha usse Nidhi ke darshan hue jo jaldi jaldi apne haatho ko chalaate hue dishes banaane me lagi hui thi.

Saath hi Shreya jo uski madad karti jaa rahi thi.

Usne badi hi narm awaaz me Nidhi ko pukaara,

Veer : Ma'am!!

Par Nidhi bina palte hue hi boli,
"Bas baitho Veer! 10 minute aur.... Fir Fatafat sabko thaali lagaati hu."

Par uske ye bol Veer ko jaane se aur baandh rahe the.

Maayus hote hue wo aage badha aur ek baar fir usne dheere se pukaara,
"Ma'am!?!"

Iss baar uski awaaz sunn dono hi Nidhi aur Shreya palti...

Kyuki iss baar...

Uski awaaz me wo alag baat thi...

Pukaarte waqt uski awaaz me wo komalta, wo narm sa ehsaas iss baar na keval Nidhi ko balki Shreya ko bhi mehsoos hua.

Aur dono hi jab palti toh dono hi ashcharya-chakit reh gayi.

Kyuki Veer ka boht hi maayus sa chehra unki nazro ke saamne tha.

Nidhi : Huh!?

Veer : I have to go... Kuch urgent kaam hai Ma'am.


Bolte hue usne ek feeki si smile dii. Uski baat sunn Nidhi usse kuch derr tak dekhti hi rahi aur fir Shreya ne khaamoshi todi,

Shreya : What??? Ab tumhe aenn time pe konsa urgent kaam yaad aa gaya? Kahi firse ladki ke chakkar kaatne jaa rahe ho kya? Mein bata rahi hu... Hamaare ghar me firse wo sab karke mat aana...

Nidhi (zorr se) : Shreyaaaaaaaaaa

Shreya : Thik toh kaha mene. Achanak khaane ke time isse kon sa kaam yaad aa gaya bhala?

Veer : It's urgent!

Shreya : Hmph! Aa gaya hoga baabu shona ka phone toh chal diye... Ab jaake gul chharre udaenge...

Nidhi : Shreya tum chup raho. Aur baahar jao...

Shreya Hmph karte hue Veer ko ghurte hue baahar nikal gayi. Aur kitchen me keval Nidhi aur Veer hi bach gaye.

Nidhi ne sarr jhukaaya aur palat ke wo apne kaam me lag gayi. Fir badi hi dheemi awaaz me boli,
"Jaldi aana..."

Aur bas...

Uska itna hi kehna tha ki...

Ek atyant hi ajeeb sa dard Veer ko apne andar mehsoos hua. Na toh Nidhi ne uss se kuch pucha ki wo kaha jaa raha hai aur na hi usse roka. Bas itna kaha ki jaldi aa jaana.

Pata nahi Veer ko kya hua ki...

Uska haath apne aap achaanak utha aur Nidhi ke kandhe par jaake tham gaya.

*Badump*

Achanak hi maano jese Nidhi ke dil ne ek dhadkan faand lii ho...

Veer ka haath uske kandhe par maroon gown ke upar aadha rakha hua tha. Uski 2 ungliya aur angutha uske nange kandhe ko sparsh kar raha tha.

Twacha se twacha ka mel hua shayad isliye Nidhi ke dil ki dhadkan achanak hi tezz ho gayi.

Aur agle hi pal uske kaano me Veer ki awaaz padi,
"Mein poori koshish karunga Ma'am. Jitni jaldi ho sake... Utni jaldi aane ki... Aur jesa aap soch rahi hai wesa kuch bhi nahi hai. Shreya jii ki baato ko ignore kariyega... And... And... Thank you..."

Nidhi ke honth khule par koi shabd na nikle. Ek baar fir usne prayaas kiya par fir wahi hua.

Ant me usne palat'te hue kuch kehna chaaha par...

Veer saamne nahi tha.

Wo jaa chuka tha.

Aur bauhe sikodte hue wo wahi khadi rahi...

Jab tak ki kuch derr baad waapas se kaam me nahi lag gayi.

***

*Huff* *Huff*

Idhar Veer sadak par bas bhaagte bhaagte khud ko hi kosta jaa raha tha.

Kese wo accha khaasa ghar ka mahaul bigaad ke aa gaya.

[Master! Run!!!!]

'Fuck!!! I am running Pari... Helicopter thodi hu...'

[Kaash aapne apni agility par dhyaan diya hota.]

'Yadi mene saare points agility me daale hote toh mein boht tezz ho jaata?'

[Bilkul! Boht tezz!]

'Ohhh! Hahaha~ Fir toh koi tension hi nahi rehti... Yu daud ke kahi bhi pohuch jaata.'

[Itna easy samajh rahe ho? :roll: Yadi keval agility pe dhyaan diya hota toh khoob tezz bhaag toh lete par bhaagne ke baad jo maaspeshiyo me dard umadta usse kese bardaasht karte?]

'Huh??'

[Jitna tezz bhaagoge, andar ki maaspeshiyo par bhi utna hi zyaada pressure padega. Uske baad jo dard uthega usse kese bardaasht karoge? Issi ke liye toh endurance stat diya gaya hai. Aapki sehan sheelta. Jispar aapne shuru se dhyaan nahi diya... :roll:]

'What the hell? Pari! Itne points ab kaha kaha daalu. Wese hi points ki tangi chal rahi hai.'

[Ye toh kuch bhi nahi hai... :roll:]

'Kya Matlab?'

[Kuch bhi nahi! :smile2: Master! Wo raha basement ka raasta.]

Na jaane kab Veer baato hi baato me kabhi daudte hue, toh kabhi kisi se lift lete hue apni manzil pe akhir pohuch hi gaya.

[Are you ready master? :eek1:]

'Hmm!!!'

[Brace yourself!]

'Hmm!!!'

[You'll have to kill.... ]

'Huhhh???'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!

Dhanyavaad!

Pasand aaye toh like kar diyo... :hi:
Lovely update bhai
 
xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Top