Sajid111
Member
- 484
- 886
- 108
Koun se brand ke jaam mein phas gaye hai Enigma bhai. Teacher's ya VAT69?Guru ji jaam me fase hue hai 8 ghanta se. Ab dekhiye kub niklte hai jaam se. Aane ke bad hi update likh payenge aur post karenge . Tab tak pichla update padhte rahe evam Santi banaye rakhe
Sadhubaad
Bhai meri suggestions ye hai ki jab koi story jyada achi chalne lagti hai tab kuch aise chutiye log bhi aate hai ...main aajtak ek sawaal sabse poochhta aaya hu ki yaha likhne ki koi sallery deta hai kya ?Dosto main Kahani band thodi na ka raha hu. Maine toh apna pehlu saamne rakha hai ki halaat sabhi ke alag alag beshak ho par jimmewari bhi sabke kandho par hai. Kisi ke kam aur kisi ke jyada. 2 hafto se main khud maan raha hu ki maine 5 update diye honge kyonki samay ka abhaav hai par likhna band nahi kiya chahe kitna bhi main safar me rahu, pariwar ke sath ya apne karya par.
Ab vyapaari wali tippanni aap jaanboojh ke karoge toh bhai insaan main bhi hu. Najarandaaz har baar toh nahi kiya ja sakta jab saamne se vyaktigat pehlu par sawaal uthaaye jaaye. Kahani me kuch pasand nahi aaya toh batao. Kuch galat likha toh kaho.. aur agar sabkuch thik hai toh ungli bematlab ki toh bilkul na karo kyonki ye naam aur kaam mera hai. Phir dhang se ungli karunga kyonki main Aanand bhai jitna sehansheel nahi hu jo khamoshi se thread he chhod kar chale gaye the aise he kataaksh sunn kar.
Kahani kitni lambi chalegi, kaunse characters aayenge jaayenge, kiske sath galat hua sahi hua ye toh aap raaye de sakte ho likhega toh lekhak he. Aur iske baad aap ye kaho ki aapka dhyaan kahi aur hai, vyapari maansikta hai.. xyz .. toh itna nivedan hai ki agli baar shabd maryaadit nahi rahenge. Aur bolne ke baad main bura bhi nahi maanunga. Jaise sab likh kar keh diya ki galat laga ho toh maafi chahunga.
Muje kabhi nahi Laga kabhi bhi ki kuch repeat hua ho. Aur aap apna best hi de rahe ho. Sab ki soch alag alag Hoti hai to wo apna dristikon bataya hai. Aap ka asal jindgi mein jyada mahatva hona hi chahiye kyonki wo vaastavik hai to usko najarandaj karna galat hoga. Family first baki sab Baad mein. Kahani ki wajah se vastavik jindgi mein fark nahi padna chahiye. Ha aap Kam waqt de rahe he ye shikayat jarror he Lekin fir bhi aage kaha hai ki family first. Time milte hi apdet likhte rehiye aur Hume hamari khurak dete rahiye. Dadi ki di huyi khurak se Arjun ki jindgi mein bahar hai aur humari jindgi mein aap ki kahani ki khurak se bahar hai. PyarAapki baat se na toh inkaar karte hai bhai aur na he ikraar karte hai.
Pehli baat jo sabse mukhya hai wo hai ki mera apna ek neeji jiwan aur pariwar hai. Lagbhag 10 se 12 ghante tak ek update ko likhne me lagte hai aur kabhi kabhi us se jyada bhi. Hafte ke 3-4 updates ka jodd kar ye 30 se 40 ghante ho gaye. Ab aap isko lekhak ke najariye se dekhiyega, reader wala toh aapne likh diya hai.
Dusri baat mere vyapaar ki toh bhai aap sabhi logo ki tarah mera ghar bhi kaam karne se he chalega aur kaam par har roj 10-12 ghante agar na du toh ghar ka kharch, gaadi-makaan ki kisht koyi aur toh bharega nahi. Bharega toh bhai aap us ganmaanya vyakti ka pata de do main din raat bas yaha ye kahaniya he likhta rahunga. Forum se meri kamaai minus 45000.00/ hai agar gor kare toh. Prati din 3000 ki kamaai ke hisaab se.
Ab baat karte hai kahaani me bematlab ka rehasya har update ke aakhir me chhodne ki toh jara 250 updates me se gin kar bata dijiye ki kab aisa hua ki maine update ko adhura chhoda ho ya bachkana? Main poori koshish karunga usko sudharne ki agar wajah sahi hui toh.
Chauthi baat ki main is kahani ko bematlab khinch raha hu? Matlab ye mera sawaal hai yaha maujood tamaam readers se. Jabki main bata chuka hu ki iske 650-700 update tak prastavit hai. Ek bhi sex scene ya ghatna bata dijiye jo maine dobara likhi ho ya usko copy kiya ho? Kya kisi vartalaap me kami aayi ya wo prasangik nahi laga? Choti choti baatein reader se jyada writer ko dhyaan me rakhni padti hai aur mujhe kahani ka har kirdaar neend me bhi yaad hai. Unhe likhne se pehle main chitra banata hu kyonki aapke liye beshak ye ek kahani maatra ho jisme ab aap ras ka abhaav laga par mere liye ye kahi jyada maayne rakhti hai kyonki main vyapaar ke barabar isko rakhe hu abhi bhi jab main avkaash pe rehna chahta tha.
Meri koyi bhi baat buri lagi ho toh main maafi chahunga kyonki vriksh lagaane wala he jaanta hai ki usne kitna samay aur mehnat jaya ki hai usko bada swaroop dene me. Phal ka mausam unke liye maayne rakhta hai jo vriksh se jyada tarjeeh un phalo ko dete hai jo bas mausmi hai. Vriksh toh wahi rahega dost aur usko barkaraar rakhna mujh jaise mamooli maali ka kaam hai.
Yaha ke samast nirantar padhne waalo se bhi main nivedan karta hu ki agar wo aapki baat se samarthan rakhte hai toh bataaye taaki main apna waqt yaha barbaad karne ki jagah sirf apne liye he likh saku.
Dhanyavaad
Aapka Enigma
Purn viraam

Enigma Bhai jannat aur janu ke manno ka yad aa raha that kal Bhai thoda aaj Bada update delar bharpai kar Dena aapka aapnaek reader
Tagada jari rahana chahie tabhi update Naam ka rupya milegakuchh log update aise mangte hain jaise Enigma bhai ne udhar liya ho unse...
udhar(update) kab de rahe ho....