- 4,125
- 57,982
- 173
That's it ?Ateet vo bhi itna gehra ki aaj ki pidi ko bhi chu raha hai, aur koi nahi chahta Arjun ko pata chale, Dada se networking achchi karni seekhi hai Arjun ne, aur usmein kahin na kahin unko bhi maat de raha hai. Shankar dar raha hai ke Arjun ko Lata aur uske rishte ka pata na chale lekin Richa ka college record sab kuch bayan kar raha hai, jiski gehrayi mein Arjun jana chahta hai, Agar Rekha ke munh se nikal gaya Arjun ke samne to Shankar ki khair nahi.
Lekin is kadvahat ki shuruwat tab se hui jab Arjun ke Dada ka baap Rajmunshi tha. Sawal ye hai ki jab Arjun ke samne ye aayega ki baap ne uski maa ka sirf istemaal kiya hai aur jise vo sach mein apni biwi samajhta hai vo hi uski maa ko maarna chahti hai ...tab jo tufaan aayega, kya Rekha bhi use rok paayegi ya rokna chahegi? Arjun ko ek aur vanvaas dena sabse badi galti hogi, kyunki tab use gehrayi mein jane ka moka mil jaayega, kyunki abhi vo samne hai, par tab, vo kya kar raha hai ye koi nahi jaan paayega.
Ye vanvaas Rekha ko Arjun ke aur kareeb le aayega, aur tab Shankar ke maayine hi khatam ho jaayenge na sirf Rekha ke liye uski sabhi behno ke liye bhi.
Bahut khub bhai!
Teer chalaya aur seedha machli ki aankh ke past. Waah bade Bhai Kya likha hai aapne. Harek shabd se main poori tarah sehmat hu aur ye darshata hai ki aapne Kahani ko poora nichoda hai aur bhavishya ka uchit bhaan hai aapko. Ye Rajmunshi ji bhi katghare me bulaye jaayenge fir chaahe ek gawaah ke taur par he kyu nahi.