Maximumx11
Everything Matters!
- 907
- 3,203
- 124
Bahut he khubsurati kai saath likha huya update.Update 52
Bachpan ki Yaadain
Chintu apne raste or manu soch me chintu kya karega Nisha ke sath ???yeh sawal chod gaya manu ke jehan me..
Ab iska jawab toh aanewala time ya Nisha ki kismat hi bata sakti hai …
Ab aage......
“Ab kya hoga Nisha ka ???”
“Kya hoga Nisha ke sath ???”
“Kya chintu use koi na koi problem me lekar aayega ???”
Kya Nisha uski baton kaa bharosaa karegi ??”
“Nahi Nisha meri bahut achi dost hai main usko kuch nahi hone dunga …ab or bacha hi kon hai dosti ke naam per mere pass…” in sab sawalon ne manu ke dimaag ka sukun or chain chin rakha tha .
Jahan ek taraf use Khushi thi ki pushpi ab chintu ke dubara kisi chakkar main nahi faasnewali or ab uske ghar per uski sahi se care ho sakegi …or sath hi pushpi se ab chintu kahin na kahin ulajhnewala nahi hai kam se kam siddha toh nahi…per
“ Nisha ka kya chintu ne kaha hai ki Nisha ko mujhse alag kar dega …or agar Nisha ko usne kuch kiya toh nahi Nisha ko hath lagane se pehle who hazar baar sochega phir yeh chintu karne kya wala hai???”
Manu jitna sochta utna hi ulajhta jata ..per uske sochne per bhi koi hal na nikalta …kyuki chintu kya karnewala tha yeh toh sirf or sirf chintu hi janta hai..
Manu ab Nisha ko bachane ka mann bana chuka tha ..per kya sirf mann banana hi kaafi hota hai …???
Khair manu ne ab chintu ki har harkat ko barki se dekhna shuru kar diya …per chintu toh chintu hi tha …jahan use dyaal se pitne ke baad uski Nafrat manu ke liye ghari or jada ghari ho chali thi …itna pitne ke baad koi normal insaan ho toh apne mann or gand dono ko kaabu me kar le per chintu pyara haan bhai chintu pyara bada dhith tha ..itne ke baad bhi nahi mana …or ab uska target thi Nisha sala karne ki kya sochta hai …hai jhaant bhar ka per saale ka dimaag manna padega kitna shaitani hai …
Khair manu pura jasoos ban chuka tha kyoki usne ab chintu ki harhakat per peni nazar bana li thi …isme uska sath diya pushpi ne bhi kyuki pushpi ne wada liya tha na ussse ki sab batayega …or ek wajah or bhi thi school me toh chintu per nazar rakhna asaan tha manu ke liye per ghar per kon rakta so isme usne pushpi ka sahara liya dono bangaye pure jasoos chintu ke ..per
Chintu thera chintu uske bartav se lagta hi nahi tha ki shayad kuch karega Nisha ko per manu ke pure hosh ude hue the ..nisha ke matter me who koi bhi chance nahi lena chahta tha ..
Udhar Nisha ki diwangi bhi ab sar chadkar bolne lagi thi har roz apni maa manju se manu ke topic per ghanton baat karti “ mummy manu yeh ……mummy manu who……..mummy jab main badi ho jaungi toh manu ke kadhe tak puchungi ya uske kaan tak…mummy mere manu per white color acha lagta hai per main ek baar use sky blue color ke shirt me dekhna chahti hun?? Manju bhi eka chi maa ki tarah uske sath uske har topic per apni rai rakhti thi …use apni beti ki diwangi per ek taraf Khushi thi ki chalo manu ke chakkar me ab uski beti uski sabse pakki Saheli hai …uske pass jada time spend karti hai …or uske or jada karib ho chali hai ..per kahin na kahin use Nisha ki diwangi per darr bhi lagta tha “ki pata nahi agar manu ne use mana kar diya ki use Nisha se pyaar nahi hai ya apne garib hone ke chalte uski beti se duri bana li toh Nisha tutkar bhikhar jayegi tab Nisha ko kaise sabhalungi main …???”
Yeh sawal uske dimaag me uski bhi tension bana dete the kyuki who bhi ab kahin na kahin nisha ki Khushi chahti thi ..per sath me who manu ko bhi ache se jaanti thi ki manu apne garibi or Nisha ke amir hone ke chalte ek baar ko Nisha se duri bana sakta hai …kyuki manju ne manu ki ankhon me wahi khuddari dekhi thi jo ashok ki annkhon me hua karti thi..jahan Nisha or uski family ka clear tha ki manu ek baar haan kare toh Nisha uski zindagi me shamil ho jayegi per manu ka na uski family ka kuch pata tha ki unka decision kya hoga …per manju khud ko yeh kehkar samjha liya karti thi ki amir logo se dunia riste jodti hai …per agar manu ke maa baap ne khud ki garibi dekhkar Nisha ke riste ko mana kar diya toh ???
Phir who khud ko ashok ki who baat yaad karke samjha leti “jo ladka abhi itna talented hai aage kya nahi kar sakta …”ashok ki yeh baat uske dimaag me aati toh dua karti “khaas jo bhi ho unki beti ko uska pyaar mil jaye “??
Ab aage kya hoga yeh toh dono ki kismat …per yahan ek baat maanni hogi jahan dunia main senkdo logo ke pyaar main khud unke maa baap uche or niche jaat baradari dharam or mazhab ucha nicha dekhkar bachon ke pyaar ko suli per latka diya karte the wahin ..yahan toh khud Nisha ki maa apni beti ke pyaar ki duain manga karti thi..ahsok bhi kahin na kahin is pyaar ke support me hi tha ..kyuki khud ashok or manju ki love marriage thi toh dono hi pyaar ki ehamiyat ko bakhobi samjhte the ….per har maa baap ki tarah unki fikra bhi jayaz thi ki pyaar apni jagah or limit apni jagah hai …
Khair manu or pushpi pichle 2 hafte se chintu per barbar nazar rakh rahe the ..per kuch bhi hath nahi lagraha tha …
Pushpi “bhai tujhe lagta hai chintu kuch karega ???”
Manu “didi main khud yahi dua karta hun kina kare ..per kya mere or aapke hath me kuch hai nahi na ??”
Pushpi”per aisa kar kya sakta hai who ki Nisha tujhse dosti tod de..tu khud sochkar dekh na???”
Manu “pata nahi didi maine toh aajtak chintu ka buran ahi socha per pata nahi use problem kya hai mujhse??”
Pushpi “ toh tujhe such me nahi pata ..???”
Manu ne naa me sar hilate hue kaha …
Pushpi ...”ab tu mujhse jhuth bhi bolne laga loog bhale hi tere baton me aajate hon per mere bhai teri yeh behan teri Aankhen padti hai…such bol jati varna lagungi >>” pushpi ne jhutha gussa dikhate hue kaha …
Manu “ didi ab aapse kya chupana chintu aaj se nahi bahut pehle se mujhe nicha dikahne me laga hua hai ,pehle mere sath ke dostoon ko badkaya uske baad aage ka aapko pata hi hai…”
Pushpi “ haan jaanti hun use bhi or tujhe bhi ki who tujhe dabata rahega or tu dosti ke naam per dabta rahega ..hain na ..???”pushpi jaise kuch dundh rahi thi manu ke bhitar ..
Manu “ nahi didi iske baad bhi dosti ke naam per main nahi dabsakta hun..per dabne ki ek wajah hai ..or plz puchna mat varna aapko na main keh sakunga na aap sun sakogi..”
Pushpi “ mujhse sab jaanna hai chahe acha ho y abura or koi bahana nahi ..varna “
Manu “ok didi aajkal aapke is varna se bada darr lagta hai jab dekho kaan garam ho jaate hain…acha baba toh suno ……didi usse dabne ya use jawab na dene ki wajah aap hain …kyuki main nahi chahata ki uske or mere bich ki duri ka asar meri didi or mere bich me ho…so use jawab de nahi pata …”
Pushpi “ tujhe mere chalte kisi kea age jhukne ki zarorat nahi hai…kyuki dunia ki koi bhi takat tere or mere bich me nahi aa sakti ..aage se jo kuch bhi ho muh toad jawab dena ok …”
Manu “ ok didi”
Pushpi “ acha sun tune jo class me hua tha Nisha ko bataya ???”
Manu “ didi us baat ka yahan usse kya lena dena Nisha se bhala .???”
Pushpi ne zor se manu sar per ek tapli maari(chanta/slap type)or manu apna sar sehlane laga …
Pushpi “ pagal insaan kaise nahi hai kya pata uska yahi plan ho tere baare me ki Nisha ko uncle ke baare me ulta siddha bolkar tere bare me uske dil me tere liye Nafrat bhar de or Nisha ko tujhse dur karde …soch kar dekh duffer ..???”
Manu “ pehle toh didi aap marna thoda kam karo aajkal aapke hathon ki power mere upper kuch jada hi nikal jati hai …..or haan aapne sahi kaha aisa toh maine socha hi nahi …yeh bhi ho sakta hai…ab ??”
Pushpi “ab kya “??
Manu “ ab kya karun??”
Pushpi “ are duffer Nisha ko apne trust me le or use pehle hi bata de ki chintu kyaa keh sakta hai jab who apna dimaag chala raha hai toh tujhe kisne roka hai…chal lagja kaam per ”
Manu “ yeh sahi kaha use trust me lena hi hoga varna mujhse pehle chintu ne kuch bhi kaha toh who meri baton per yakin nahi karegi…thanks didi ab yahi karunga pehle …”
Phir dono apne apne ghar chal diye …
Agle din school me manu ne Nisha se lunch me kisi or room me aane ko kaha …kyuki bhale hi chintu se manu ka clash tha per Nisha ke samne chintu manu ka sirf or sirf aam dost hi tha …or jab tak Nisha school me rehti thi..tab tak koi bhi ladka ya ladki manu ko kuch nahi kehta tha ab yeh chintu kaise manage karta tha chintu hi jaane ..per jis din Nisha nahi aati thi ..us din saare milkar aapne remaining days ki kasar nikal liya karte the manu ko zalil karne ki …
Khair Nisha ne jab kaha “aaj alag room kyu..??”
Manu “ kyuki koi khaas baat karni hai tumse jo chintu samne rahega toh nahi ho paayegi…”
Nisha ka dil machal gaya usne socha lagta hai jo pyaar ki aag uske dil me hai wahi manu ke dil me bhi hai …shayad manu aaj use purpose kar dega …
Nisha man me “ aaj agar mere manu ne mujhe purpose kiya toh kya hoga …kya kahungi main…kaise kahungi main usse ki
“dil ki baat dil tak puche yeh armaan hi kaafi hai..
Pyaar hai sirf itna kehdo, mere saajan tumhara yeh ahsaan hi kaafi hai..”
"Hay ek baar kehkar toh dekho mere saajan tumhari yeh Diwani kya kar jayegi..
Pyaar hai tumko mujhe se sirf itna kehdo verna yeh pagal gum me hi mar jayegi.."
Nisha……nisha …..nisha …manu Nisha ko pukar raha tha per Nisha apne mann me pata nahi kya kya soch rahi thi..usne toh khuli aankhon se who hasin pal mehsoos karne bhi shuru kar diye the …ki manu use kahega I love u Nisha …hay us samay thode nakhre dikhungi …manu se thoda or apni baat manvaungi …phir tab jaakar haan kahungi …
Nahi nahi kahin usne apna irada badal diya toh ..toh mera kya hoga ..or waise bhi usper marnewali yahan kam nahi hain kahin main koi nakra kiya or who bura maan gya toh na baba na mujhe koi chance nahi lena ..woh kahegaa or turant hi haan kar dungi ..mujhe bhi apne pyar ko pane ka pura haq hai..”
(ab nisha ko kya pata jinke baare me whoh soch rahi hai who bhi ab manu ke khilaaf chintu ke sath manu ko zalil karne ka koi mauka nahi choadti hai..kal tak jo Nisha ke samne manu ki achai ki tarifen kiya karti thi aaj wahi manu ko dekhkar muh bana leti thi…jaise manu koi badbudar cheez ho…kaise loog hote hain yahan jahan kaltak koi insaan acha lagta hai hero ki tarah per baap ka kaam ka sunkar sabhi use nicha dikane me lage the are bhai uske baap ke kaam se uska kya lena dena who kal bhi manu tha aaj bhi manu hai..woh kal bhi wahi insaan tha aaj bhi wahi insaan hai …farak manu me nahi..tha dekhne wale ki niyat me fark tha ..aaj bhi manu waisa hi tha agar koi usse madad magta toh who karta madad uski per ab unsabki beruki ke chalte manu ne bhi unsabhi se duri bana li thi..)
Khair Nisha ne bhi mann ban aliya tha ki manu bas ek baar kahe or who uski ho jaaye aanewali puri zindagi ke liye …
“Nisha ……..nisha …….nisha kahan khoyi hui ho…tumhari tabiyat toh thik hai ???” manu ne bechaini ke sath uske mathe per hath rakhkar pucha ..
Nisha uske hath rakhte hi apne me simat chali thi …nazare chuka kar boli ..”nahi thik hun bas aise kuch soch rahi thi..”
Manu “ tum pakaa thik ho na ..??”
Nisha haan me sar hilakar . kehti hai..”bilkul thik hun..”
Manu “ thank god main ghabra hi gaya tha …ki pata nahi tumhe hua kya hai..acha lunch me yaad se alag room me aajana acha chalta hun apna khayal rakhna ok …???”
Nisha han me sar hilati hai or mann me kehti hai…
“Hay
“Unke ek ishare se udjaati hain hosh humare, pass hone se dil apna nahi rehta,or unki ada ka kya kehna ..
Na aankhon me neend hai dil ko karar hai.. mera lutera phir bhi kehta bedardi se mujhe apna khayal rakhna..”
Khair lunch ka time hua or Nisha or manu apne bateye hue room me pahunche ..wahan koi or nahi tha. Udhar chintu regular jagah gaya jahan Nisha or manu me se koi mila nahi toh use bada gussa aaya ..per pure school me dundta kahan kahan so gusse me dant piskar khud se bola”sale chutiye ek din bach gya toh har din Nisha ko bacha lega kya Nisha sirf meri hai …aaj tune bahut galat kiya hai ..tumje iski saza zaror milegi manu …ab tu dekhta ja main kya karta hun..???”or gusse me pagal hokar wapas class me chala gya..
Udhar manu or Nisha jab room me puhunche toh room me sirf un dono ke alawa koi or nahi tha ..jahaan Nisha apne me samti hui thi kyuki use lag raha tha ki aaj uska who sapna jo har ladki apne jivan me dekhti hai ..pyar pane ka or koi aisa waisa nahi pehla pyaar dunia gawah hai ki kitne khusnaseeb loog honge who jinhe apna pehla pyaar naseeb hua hoga ..ab Nisha bhi khud ko un chand khush naseebo me gin rahi thi or ek taraf dil se dua kar rahi thi ki manu shyaad usse apne pyaar ka izhaar karde or Nisha bhi badle me haan kehkar apna pehla pyaar haasil kar le …
Wahin dusri taraf manu bada sanjida or tanha feel kar raha tha ki pata nahi Nisha ka reaction kya hoga jab who rajinder ke kaam ke baare me Nisha ko bateyga …kahin who bhi chintu ke batane ke baad jaise puri class ne usse akela or tanhaa choad diya tha waise hi choad degi ya use apna legi ek dost ki tarah ya ab Nisha uske liye dosti ki jagah humdardi ya daya dikhayegi ….manu kahin na kahin in sab me ulajh chuka tha…kahin na kahin soch raha tha ki agar Nisha use ab daya or humdardi se dekhgi toh kya uska wajood is dosti me khush reh sakega ya who yeh sab she sakega …
Aise kai sawal the jinke jawab sirf or sirf Nisha ke pass the manu himmat juttne me laga hua tha ki kahan se shruwat kare or kaise shuru kare aaj dono hi chahe Nisha ho ya manu dono ke mann me alag alag vichar the dono ke samne roz wala tiffin tha per khane ki tamanna shyad hi kisi ke dil me ho ..??
Nisha jahan apne aanewale kal ke spane saza rahi thi …wahin manu apne aane wale kal me Nisha ke bartav ko lekar soch me gum tha ..kal jiska koi thikana nahi hai …kal kabhi insaan ke hath me nahi hota na hi bita hua kal na hi aanewala kal …kon jane kal kya hoga per saari dunia kal ke piche bhagne me bussy hai bina yeh soche ki kal kiske hath me hai …saari dunia apna kala cha dekhna chahti hai …sab ache ki hi ummid karte hain kehte hain ummid per hi dunia kaayam hai …per kya such me kal per koi zor nahi ..kehna thoda muskil hai kal kya hoga hum aaj ko acha banakar aanewale kal me bhi acha ho iske liye soch sakte hain..
Khair dono apni soch me gum the dono apne hisab se is khamoshi ka andaza laga rahe the …kisi ko toh is khamoshi ko toadna hi tha ..toh manu apne me gum that oh pehl Nisha ne hi ki …”haan toh kaho kya baat hai…tumne aaj yahan kyu bulaya hai mujhe ..???”Nisha mann se dua kar rahi thi ki manu bas aaj uske pyaar ko usse ek baar kehkar toh dekhe …nisha saari dunia ki Khushi apni saari umar manu ke naam kar degi …
Manu apne khyaalo ke Bhawar se bahar nikala or shabd dundhne laga ki kaise shuru kare ..wahin Nisha ki bechani ab bardast ke bahar ho chali thi..usne manu ko dekha toh paya ki manu gehri soch me gum hai toh khud usne shuruwat ki “kya baat hai tum pareshaan lag rahe ho sab thik toh hai na .???”
Manu abhi bhi sahi shabdon ke jaal me faansa hua tha ki shuru kahaan se kare ?? phir bhi usne sar hilkar thik hona ka ishara kiya …
Nisha “hum dost hain na itna toh bharosaa kar hi sakte ho mujhper jo bhi baat hai kaho bhi ya mujhe itna gair samjhte ho..??”Nisha ne use himmat dete hue uska hath pakadkar kaha ..
Manu ne jab suna ki Nisha ko uski kitni parvah hai toh usne Nisha ked ono kandhe pakad kar uski ankhon me dekhkar kaha “ mere pass ab sirf tum hi toh ho , jise main kisi kimat per khona nahi chahta hun,,ab is dunia me sirf tum hi toh ho jise khona shayad ab main bardast nahi kar sakta …??”
Nisha ne jab yeh suna toh uske dil main ghantiyaan bazane lagi use laga ki manu ko such me usse kitna pyaar hai ,,uski kitni parvah hai Nisha manu ked ono hathon me samti hui khadi thi uski Aankhen manu ki aankhon me apne liye parvah or apne liye pyaar dundh rahi thi ..wahin manu bhi unki aankhon me apne liye parvaah dundh raha tha..
Nisha manu ke ander apne liye care dekh rahi thi…manu bhi uski aankhon me apne liye care dekh raha tha …
Manu”aaj kuch kehna chahta hun per tumhara jo bhi faisla ho aage mujhe manjoor hoga ..kyuki aanewale kal me humara rista chahe jo bhi ho main tumhari respect utni hi karunga jitni aaj karta hun..”manu ne bahut himmat ke sath kaha jime uska matlab yahi tha ki kalko agar tumbhi mujse duri banao toh tab bhi mujhe tumhari parvah hai ..
Nisha mann me “ mere saajan ab keh bhi do who 3 word ..or main tumhari ho jaungi ..bas keh bhi do ..
Hatt pagal tumne yeh kaise soch liya ki tumhare kisi bhi baat per main tumhe choad dungi ab toh zindagi hi tumse mera daaman chuda sakti hai …are tum bas himmat karo ek baar apne laabon se keh do ..main toh kabse tumhari hun…keh bhi do dekho ab yeh duri bardast nahi hogi mujhse or …kaho na keh bhi do ..”Nisha ke labo ki chupi se jada uske mann or uski aankhon me baatain chal rahi thi…
Manu “kuch toh kaho Nisha agar tumne mujhe dur kar diya toh pata nahi main kaise ji paunga …haan jiunga toh zaroor per pata nahi kaise .??”
Nisha ne manu ko apne seene se laga le aisa uska dil hua per saram or limit ka daayara usne nahi paar kiya …jabki uske dil me yeh sab sunkar kitni halchul hui thi yeh toh wahi janti thi..
Manu uske kandhe pakde hue uski aankhon me aanewale bhaavo ko samjhne ki koshish me laga hua tha …
Nisha “ ab kaho bhi tum mujhper ek baar bharosa toh kar ke dekho….” Aage uski zaban se who nikal nahi paya ki tum ek bar bharosa toh karke dekho..ek baar kehkar toh dekho..main toh tumhari hi hun..sirf keh do ek baar …hmmmphh kitna pagal hai mera naadan saajan akele tanha room me ek ladki ko lagbag apni bahoon me liye khada hai phir bhi soch raha hai …are kab kahoge..?nisha ke mann me dunia bhar ki jung chal rahi thi..
Manu ne shayd ab himmat juta li thi Nisha ke kehne ke baad ..
Manu “Nisha main tumse yeh kehna chahta hun ki main ek garib ghar ka ladka hun…”
Nisha “ haaan haan ache se jaanti hun tum kon ho kya ho mujhe issse koi problem nahi hai..ok tum mere liye kya ho yeh mera dil hi janta hai ..”Nisha jo sunna chahti thi uske liye manu ko himmat de rahi thi.kyuki who ache se janti thi ki manu kitna khuddar kisam ka insaan hai …per abhi shayad who sunna kuch or chahti thi..
Manu”Nisha tum shayad samjh nahi rahi ho …main yeh kehna chahta hunki …uske baad manu ne apne pita jo ek caretaker hain or aajkal kitni mehnat kar rahe hain jinko akele 3 ya 4 logo ka kaam karna padta hai sab bata diya…..”
Nisha khamoshi se sunti rahi sunte hue use ehsaas hua ki manu wasatav me kin pareshaniyon se jujhta hoga ,,pareshani jo aam logo ki zindagi me roz aati hain per amer logo ki zindagi unhi zaroraton ki jimmewari naukaron ki hoti hai..example dekar bore nahi karunga …samjh jao yaar aaploog bhi samjh sakte hain..acha thik hai phir bhi bata deta hun varna kal ko sawal yahi hoga ki aisi kon si special problem hoti hai..are bhai sabzi lene se cylinder badlna or samaan lana ghar ka uske sath kapade bartan jahan bade logo ke ghar in sab chote mote kaamo ko naukar handle kar lete hain wahi traveling me bhi unter hota hai jahan Nisha car se aati jaati thi shuru main per manu ke sath rehne ke chakker me ab paidal yatra karti thi taaki jada time speand kar sake uske sath ..wahin manu kyuki ab school bus chutwa di gayi thi afford na karne ki wajah se …karan dono maa baap milkar kama rahe the per ghar ke kahrche ka budget or us per Sumitra ki bewakoofi ki wajah se 70 hazar ki choat bas dono maa baap kaise manage karke dono bhaiyon ko us private school me pada rahe the wahi dono jante the…manu bhi sab samjhta tha so choti moti cheezo ka laalch ko kurban kar diya karta tha …kyuki ajay bhi ab thoda bada ho gaya tha so who bhi apne bhai ko dekhkar samjhdar hone laga tha per that oh bacha hi ..kabhi – kabhi zid kar jata tha ..so manu ko jab paise milte the toh who zid ajay ki manu puri kr diya karta tha..
pareshaniyon me palnewale bache apni umar se jada mature ho jaya karte hain kyuki kismat,waqt or real world se bada koi teacher nahi hai..manu bhi apni umar ke bachon se shayad insabhi baton ke chalte thoda jaldi mature ho gaya tha..
khair Nisha ke dil me bhi rajinder ke or Sumitra ke prati izzat paida ho chuki thi..ki kaise do maa baap lagbag dunia me apne bachoon ke liye har roz dunia me ek nayi jung lada karte the …kahin na kahin uske dil me dono ko dekhne ki bhawna zor per thi khud se apne mann me boli ..”hay mere saajan toh hain hi super per saasu maa or sasur ji bhi super se upper hain..hay abhi toh shaadi bhi nahi hui or maine unhe saas or sasur bhi maan liya main bhi kitni pagal hun are pehle yeh purpose toh karen ek baar uske baad picha nahi choadungi har ek badla lungi main bhi kya kya sochne lagti hun abhi toh bada bhi hona hai tab dekhte hai per mere saajan tum sirf mere ho sirf mere…” Nisha chupchap bethi manu ki har baat dhyaan se sun rahi thi or jab manu ne apni baat khatam kit oh bhi Nisha chup hi rahi manu ka dil betha ja raha tha ki pata nahi kya jawab de Nisha..
pata nahi Nisha ke mann me kya chal raha hoga yeh swal manu ko pareshan kar raha tha.. Nisha ka reaction per manu ki saari ummid tiki hui thi kya uski eklouti dost bhi use choad degi …akela pan kya hota hai kisi tanha insaan se puchna …
are puchne ki zarorat bhi nahi padegi ek baar uski aankhon me dhyaan se dekhna uski tanhai khud se kahegi aapse
“mat puch meri tahai ka alaam kya hai ,mera dil dunia ki bheed ko kahaan janta hai ..
meri tanhai ki dastan toh sirf mera wajood or mera tanha dil hi janta hai”
manu phir akele hone ke darr me simta hua Nisha ke chahre ko dekh raha tha …Nisha jo uski baat sunne ke liye pass padi bench per beth gayi thi ..per manu wahin gum gum kar bata raha tha …so Nisha apni jagah se uthkar manu ke pass aayi or usse kuch kehti us pehle hi …
“Nisha o Nisha lunch kab ka over ho gya hai class me chalo mam ne tumko dundne ko sabhi ko laga rakha hai..” ek ladki apni saans ko kaabu me karte hue boli …
Nisha kuch keh nahi paayi kehti bhi kaise ab who sirf do nahi the who tin the kisi or ke samne apne jazbaat kaise kehti who ..manu khud me simta hua Nisha ke laboon ko dekh raha tha ..ki shayad aaj uska dost use bhi khud se juda na kar de ..
Nisha ne phir kuch kehne ki koshish ki,,,”chal jaldi puri class lagi hai tujhe dundne me or tu yahaan bekar me khadi hai,,,uska bekaar word per thoda jada zor tha jo usne laanat bhari nazar se manu ko dekte hue kaha tha …
manu ko uski who nazar ander tak chir gayi thi ..yeh wahi ladki thi jiske liye usne raat bhar jaag kar uski practical ki file ka kaam karke diya tha..per aaj wahi ladki jo kabhi uske aage piche gumma karti thi aaj “bekaar” kehkar bezzat kar rahi thi….
us bekaar ka matlab manu samjh gaya tha jabki Nisha ko uske baare me pata hi that oh who bechari kya samjhti…who jaate jaate us ladki ki taraf dekhkar aage chalne ka ishara kiya or manu ki taraf dekhkar boli “ kal lunch me mera wait karna bata dungi ok bye …”
uske baad Nisha chali gayi akela manu ko choadkar ….jahan Nisha yeh sochkar gayi thi ki kal manu ko ache se apne dil ka haal batadegi ki manu uske liye kitna khaas hai..or who akela nahi hai Nisha har kadam uske sath hai ,,
manu ko kahan pata kya soch rahi hai Nisha ..usne socha Nisha pata nahi kal kya kahegi akela khada khud se baat karte hue zor se bola (itna zor ki jitna khud se koi karta hai bhai..chillakar nahi kyuki school me hai) “kab tak khud ko or manyega Nisha sirf dost nahi hai teri …kab tak khud ko jhuthlaeyga kab tak apna pyaar chupayega usse ….haan main bhi pyaar karta hun Nisha se aaj se nahi bahut din se pather nahi hun ki koi ladki apne hath se khilaye or mujhme hulchul bhi na ho per apni aukaat kaise bhul jaaun main aab toh main sirf manu nahi hun ek naam or mila hai mujhe is dunia se “””jamadar””” kaisi dunia hai yeh maine aaj tak kuch saaf nahi kiya per is ek shabd ne mera wajood hi saaf kar diya or ab logon ki nazaron me main ek “”jamadar”””hun kaise bhala .???
tum toh Rajkumari ho Nisha kaise tumse kehdun ki haan main bhi tumhe pagaloon ki tarah chahta hun ..jab chintu jaise ko bhi tumse pyaar ho sakta hai toh main bhi insaan hun pather nahi …mere seene me bhi jazbaat hain ..per kahaan tum or kahaan main ..jiska khudka koi wazood bhi nahi hai per wada karta hun Nisha tumse ki main itni mehnat karunga ki tumko khush rakh sakun..i love u Nisha ..i love u so much per pata nahi kal tum mujhe kaise milogi …kya pehle jaisa hoga sab ya tum bhi ooron ki tarah chintu ka sath doogi…Nisha tum mat choadkar jana varna shayad pata nahi kaise khud ko sambhalunga main..i love u Nisha …I love u “ aaj manu ne is tanhai me apne pyaar ka izhaar kar diya tha ..jo usne pata nahi kabse apne dil me daba rakha tha …per keh nahi sakta tha who Nisha se kyuki Nisha or uske background ka lamba anter uski zubaan per who khuddari ka tala laga deta tha jiski chaabi usne aanewale kal ko soup di thi uskal ko jisme usne socha hua tha ki mehnat ke dum per nisha ke kabil banker use haq se hassil karega ..per waqt ke dil me kya hai kon samjha hai bhala waqt ko uske liye toh dosti ke naam per Nisha ke paas hone me bhi utni Khushi thi jinti apne pyaar ke pass Nisha ko hoti thi jo manu ko nahi pata tha ,,ab kyuki nisha dost ke sath uska pyaar bhi thi ..toh manu ka darr lagna bhi apni jagah sahi tha. Kyuki ab Nisha use thukrati toh iska matlab pyaar or dosti dono se manu dur …is ek ehsaas se manu ka haal- e-dil samjh sakte hain aap bhi ..
or maze ki baat yeh hai ki Nisha bechari jis I love u ko sunne ke liye kitni duain maagti rehti thi ..ki aaj manu use ek baar sirf ek baar I love u keh de per aaj uski dua kubul hui thi manu ne ek baar nahi 4 baar haan 4 baar I love u Nisha kaha tha ..per Nisha wahan nahi thi moujood bechari wahaan jo apne pyaar ka iqraar sun paati..
per kisi or ne sun liya tha …jiske chehre per phir ek nayi shaitani chamak thi or uske hooton per darngi ke who alfaaz “meri Nisha se pyaar karega tu saale chutiya tujhe pehle hi kaha tha ki Nisha ko tujhse chin lunga ab tu dekh main kal kya karta hun..“haan yeh koi or nahi chintu hi tha jo Nisha ko dundhte hue aya tha ..per manu ko khud se baaten karte hue dekhkar or Nisha ke naam pyaar ka izhaar karte hue dekhkar rukkar uske dil ka haal jaane laga tha …manu ko nahi pata tha ki chintu wahan hai varna who ek shabd bhi na kehta …
khair chintu gusse se bhunbhunata hua chala gaya or manu bhi kuch der baad chala gya…manu agle din ke baare me or apne pyaar Nisha ke baare me sochte hue so gaya …
agla din aaya subah regular routine follow kiya or ajay ke sath school chal diya …jahaan roz ki tarah sabhi ki laanat bhari nazar uska roz ki tarah welcome karti hai …or who apni seat per jaakar beth gaya aaj Nisha chup si thi aaj manu se ,or manu ka dil is chupi se kitna bechain tha yeh toh wahi janta tha ..har seconds ke sath uske dil or dimaag me jung chid jaati thi ..per jawab Nisha ke pass hi tha …dil dimaag phir bhi lad rahe the apne apne hisaab se …
per ek azeeb baat aaj manu dekh raha tha ki Nisha jahan aaj uske sath chup thi per chintu k ek baar dekhne se Nisha muskura padti thi ..aaj dono ki chemistry hi alag sit hi …who chintu ka Nisha ko dekhna or koi ishara karna .or badle me Nisha ka sharmana or chup rehne ka ishara karna …
manu ne jab yeh notice kiya toh uske dimaaag se aawaz aayi ..”kuch toh gadbad hai manu aaj jo behuda kehnewale ko aaj Nisha itna muskura kar dekh rahi hai..maan ja tu dekh le iska ishara saaf hai yeh gayi aab teri zindagi se dur aab “
dil “abe pagal hai kya aise hi chali gayi ???”
manu ke dil dimaag phir se ladne lage the …per ghanta dono ke kuch samjh aanewala tha ..
khair launch hua or manu usi room ki taraf chal diya mare se mann se yeh sochte hue ki uska pyaar pata nahi uska hoga ya nahi per kamse kam dosti bhi na tut jaye ..
who room ke pass pucha uski zamin khisak chuki thi …use apni aakhon per yakin nahi ho raha tha samne ka nazara dekhkar ….
Haan samne ka nazara hi kuch aisa tha ,,jise dekhkar manu ko yakin hi nahi ho raha ki yeh sapna hai ya haqiqat …uske kadam room ke bahar hi ruk chuke the ..kyuki samne dekhkar ander jana shayad ab uske bas me nahi tha..
Samne Nisha apne hathon se chintu ko khana khila rahi thi,,wahi Nisha jisko manu pata nahi kabse chahne laga tha ..wahi Nisha jiske pass hone bhar se manu ka dil sukun paa leta tha ..wahi Nisha jo kal tak chintu ko behuda insaan kehti thi apne hath se hans- hanskar khila rahi thi..or chintu …
Chintu ke kya kehne aaj lagta hai janam bhar ka bhuka tha masti ke sath kha raha tha ….manu ke liye shayad ek jhataka or baaki tha ….
Achanak chintu ne Nisha ke kaan me kuch kaha jiske baad Nisha sharmate hue chintu ke gale lag gayi manu …ki Aankhen chalak chuki thi yeh sab dekhkar ..uski aatma tut chuki thi uski rahi sahi ummid khatam ho chuki thi..manu ka dil ro raha tha under se chintu ne thumsup ka ishara gate ki taraf kiya jo ek ishara tha jiska matlab manu bakhubi samjh gaya tha…use samjh aagya tha ki chintu ko pata hai ki manu wahan gate per hai …ab manu ke bardast ke bahar ho chala khud ke pyaar ko chintu ke gale lage hue dekhkar manu ke kadam wapas mud chuke the …jo jaakar ruke school ki chat (roof)per jahan who dil kholkar aansoo bhata gaya itna roya ki ek baar ko shayad asmaan ko bhi dil kiya ki ro de per real life hai yahan kisi ke rone se filmo ki tarah baarish nahi hua karti so samjh jao khud aap loog smart hain or rona bhi banta hai bhai uska…kyuki aaj uske pyaar ke sath uski ek louti dost shayad use tanha kar chuki thi …aaj kismat or Nafrat ne manu ke sath kaisa Mazak kiya tha are kal hi toh usne apna pyaar Nisha ke liye apni zubaan se kubul kiya tha ..or aaj Kismat or Nafrat ne uska Pyaar chin liya tha ..
Aisa kya hua tha ki Nisha chintu ko apne hath se khana khila rahi thi …or uske gale lagi hui thi ….kya manu ne jo dekha who sahi tha kya Nisha use such much tanha kar chuki thi ….kya chintu jeet gaya tha …kya manu humesha humesha ke liye tanha ho gya tha …kya manu ki aakhone ne sahi dekha tha ya yeh koi plan tha chintu ka ..ya Nisha ne chintu ko chun liya tha …….iska jawab kismat ke ya time ke hath hai….