Badhiya update bhai
Arav bhai pura homework karke aya ha COD ka or akash ne pura homework kara ke bheja ha usko ki kisi bhi tarah se pichhe na rah jaye
Matlab ki akash ne deathwatchers bhi khud ke betha rakhe ha ek do to aisa lagta ha lekin wo arav ki madad aise kar rahe han ki sala madad madad hi na kage or ye Read Rose ha sala ye apni koi jan pehchan ki lag rahi ha ab to jise akash bahut achhe se janta ha aisa lagta ha mujhko to sala akash ki biwi sanvi per shak ha ki uski hi deathwatchers banake to na betha diya idhar akash ne
Kunle ko kya hi bachaya ha bolo koi soch bhi nahi sakta hoga ki arav sidha malphas se deal kar lega game master ne bhi nahi socha hoga ausa to sale ki bina tel lagaye hi mar li arav ne uska plan kharab karke
ki sala game master ko lagta ha ki game wo khel raha ha balki usi game master ke sath game arav khel raha ha ek game master ko to nipta hi diya ha is wale ka number bhi lagta ha ki jal hi ane wala ha
Idhar something ud cooking between arav and you jung you jung ki adaon per deathwatchers ke sath sath arav bhi fuda ho gaya to wahin you jung ne indirect propose mar diya arav ko han bhai kon kisi ki ankhon me aise khoker bokta ha ki uski ankhen itni khubsurat ha ye to wahi bolega na jiske dil me kuchh nahi bahut kuchh ho ab pata nahi in donon ka romance wala scene kab dekhne ko milega
Idhar ye arav ne locket dekar ausa kaha ha ki jaise ki wo khud ko sacrifice karne jaa raha ho like seriusly ab pata nahi arav kya Planing kar raha ha jo ki is bar to you jung ko bhi nahi bata raha
Or ye arav ne aisa game palta ha ki game master ko gussa aa raha ha ki arav to khud COD khel raha ha aise khatarnak challenges lekar kher unko pura karna uske liye badi bat nahi ha lekin fir bhi kahin jyada josh ke chakkar me lene ke dene na pad jayen